English Learning Way - Output
English Learning Way - Output
Umeed karta hu aap sab thik honge Salamat honge, ye meri ek choti si kosis hai
aap sabko thora bahut English sikhane ki. Mai ye nahi kehta hu ki ye best way
hai but ha kafi had tak ye aapko help karega English sikhne mei khash kar k
bolne mei.
Maine 16 chapters mei apne lessons ko divide kar di hai taki aap logo ko kafi
muskilat ka samna karna pare aur kafi acha bhi lage aur asssani bhi ho sab k
liye.
Grammer k through English sikhna namumkin sa hai magar halki si bhi agar aap
k pass knowledge ho then aap bol sakte ho baat kar sakte ho English mei
Kyu na ishko ek majedar khel ki Tarah dekhe, Samjhe aur ek game ki tarah
majedar aur surprise bana de
Chaliye start karte hai English bolne ka sabse pahlay jo important factor wo hai
sense.
Aap kis sense mei baate karte ho wahi matter karta hai, Halki fulki grammer k
sath sense ka complete combination mil jul kar ek Spoken English ko complete
meaning deti hai.
Ab aap sab soch rahe hoge ki actual mei kayse ishki suruwat kare.Main aapko
typical aur kasmakash se uljahe grammers pe na lay ja kar muddey ki baat pe
lata hu wo bhi kuch examples se -
Some rules and sense ko nazar mei rakh kar hum ish pe asani se command pa
sakte hai
For example-
1.What does he do ?
2.What he does
1. What does he do ?
(Meaning – wo kya karta hai )
Yaha ye sentence kehna wala/wali janna chahti hai ki “wo kya karta hai “
2. What he does.
( Meaning – wo kya karta hai)
Magar ye dyaan rakhna aap ki jo ye sentence keh raha hai ya rahi hai wo
kafi haadh tak jante/janti hai ki wo kya karta hai magar wo jaan mujh kar ye
sawal kar rahi hai taki complete jankari lay sake.
3. He does what.
(Meaning- Wo kya karta hai )
Yaha pe ye sentence kehne wala ya kehne wali Gusee (angry) mei and ish
sentence ko hum tab hi use karte hai jab hum kafi gusee mei ho aur apni
baate kehte kehte ruk jate hai beech mei.
Note- Ye bus ek simple si example thi and ab hum sare rules aur tarike aur
sense ko kab aur kayse use karna hai sab janne wale hai dheere dheere
(ahista ahista)
Lekin ush se pahlay kuch aur majeed (more) examples de du taki aur andar
ka kauf(daar) khatam ho jaye aur aap mei ek confidence aaye ki ye utna
bara kaam bhi nahi hai English sikhna hai jitna humne bana diya hai.
Let’s see some more example
Kafi interesting hai na ? I know ab tak maine examples di hai magar aapko rules ni
sikhaya hai and thora patience rakhe aaj nahi toh kal sikh loge aap agar aap k pass
patience hai toh.
Some important tips for better communication and best English learning
1. English videos dekhna start kar de and songs bhi youtube mei lekin sub
tittles on kar k aur kosis kare story and song mei na ulajh kar text pe focus
karne ka taki real characters kayse bolte hai wo sense aap mei aa jaye.
2. Jo bhi new English word aap dekho kahi pe bhi turant google mei meaning
dekho and ush ko apne life ka ek part bana lo aur wakht aane pe use kar lo
un words ko.
3. Bekauf ho kar English bole chahe kitni bhi galat ho I mean mauj masti se
English bole ek khel ki tarah.
Kuch important se term jinko main aane wale wakht par use karne
wala hu, waha aap confuse honge ish se best ye hoga ki un words se
main aap sabhi ko Rubaru (mulakat) karwa du. Wo kuch terms hai
jinko jaan lena kafi jaruri hai and mai kosis karunga kafi simple sa
rakhu sabko taki aap ko daar na lage aur maje se aap padh bhi lo
1. Verb - a word used to describe an action, state, or occurrence, and
forming the main part of the predicate of a sentence, such
as hear, become, happen.
( Meaning – Ek word jo kisi k action (work) , state (situation keh lo
ishko), work ko describe kare wo verb kehlata hai. Eg - Sunna ,
Peena, Rona , Ban jana , wo tamam
Example
a) Qasim is Singing.
Yaha Singing main verb hai kyuki ye Qasim k action ko
indicate kar raha hai and “is” yaha pe helping ya auxilary
verb hai jo Singing ko ek complete meaning de raha hai.
Note- singing means “Gana gana” and is ka meaning –
“hai”
Urdu/Hindi Translation - Qasim gana ga raha hai
2. Jab hum naraaz (kafi jyada ) ya gusse mei rehte hai toh
humara subject pahlay aa jata hai aur humara
interrogrative words last mei aa jata hai
Ex – a), He does what ( wo Kya karta hai)
b). You love what (Aap/Tum kis se pyaar karte ho)
ye rule hum tabhi use karte hai jab hum gusse mei ho
aur ye sawal karne k baad hum khamosh ho jate hai
aur aage kuch nahi kehte.
3. Addict to
(urdu/hindi –Lath lag jana/buri adat lag jana)
We addict to tea.(hindi/urdu – Hum Tea peene k buri
adat mei fass jate hai.)
4. Believe in
(urdu/hindi - yakeen karna)
She must believe in me (urdu/hindi – Ushey mera
yakeen karna chahiye)
5. Care for
( urdu/hindi – fikar karna)
We care for nothing (urdu/hindi – Hum kisi ki bhi fikar
nahi karte)
**** Some more useful sentences jo hum kafi use
karte hai
1. Kya kare – What to do?
**** Some more useful sentences jo hum kafi use karte hai
~ rule – Who/which/name( person, place, animal, bird or
anything)also called noun/+auxiliary verb + to+ be+ verb (3rd)
1. Kisey Chuney? or Kisko chunna hai? – Who is to be
selected (for living things) ? And Which is to be selected
(non living things).
**** Some more useful sentences jo hum kafi use karte hai
**** Some more useful sentences jo hum kafi use karte hai.
Rule – How much + material noun [water / tea etc …every
material things (chiez)]
Some verbs which you can use (all forms are given)
V1 V2 V3
BASE FORM OF VERB PAST SIMPLE PAST PARTICIPLE
do did done
go went gone
Ye book first chapter hai aap batana mujhe ki kaysa laga aur kya
total 16 chapters hai ye first chapters hai
Umeed karta hu aap sab ko pasand aayi hogi
Kafi research k baad maine ye likha hai and kosis ki mai apna
best de saku
yaha se aapka kaam start hota hai
Khul k bolna start kare and rules ko ignore kare and directly kuch
simple se words samjh kar ushey zahan mei basa lay aur
aazmana start kare dosto mei and English movies ya serials
dekhe wo bhi subtitles on kar k and waha se bhi English ko best
banaye.
Agar pasand aaya then batana aap sab aur nahi aaya toh bhi
batana taki stop kar saku likhna
And I nkw market mei kafi sare best books mil jayenge aapko but
sayad ek easy zariya hai ye book bhi and aage aapki marji jo best
lage wo try kare.
Thank you.