0% found this document useful (0 votes)
13 views4 pages

Error 404 (Ep-01)

The document describes a narrative involving a character named Xameer, who is starting college and facing challenges with bullying from a classmate named Vridul. Xameer is portrayed as quiet and reserved, while his peers engage in typical college interactions, including friendships and conflicts. The story hints at Xameer's emotional struggles and sets the stage for further developments in his college life.
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
0% found this document useful (0 votes)
13 views4 pages

Error 404 (Ep-01)

The document describes a narrative involving a character named Xameer, who is starting college and facing challenges with bullying from a classmate named Vridul. Xameer is portrayed as quiet and reserved, while his peers engage in typical college interactions, including friendships and conflicts. The story hints at Xameer's emotional struggles and sets the stage for further developments in his college life.
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 4

Error 404 (Ep-01)

Xameer -
Pralay (rote hue) - kitna dukhi jeevan hai.
Vilasa - xameer ke paas humesha sabse achchi kahaniya hoti hai sunane ko.
Smriti - xameer tum kahan se laate ho ye kahaniya?
Abhijit - laate ho se kya matlab? Xameer khud likhta hoga ye kahaniya. Kyun xameer?
Smriti - kya sachme xameer?

Xameer shant rehta hai.

Ranvir- bahott achchhe, xameer. To aaj ke session ko hum yahi end krte hai. Milte h next session
me. Or haa xameer, kal se tum college jana start kr rahe ho na? I wish you with best. Khub dost
banana phle din or enjoy krna. Okay?

Xameer nod krta h.


Ranveer - okay guyz, sab araam se ghar jana or raste me dekh ke chlna.

Ranvir apni seat se uthke chla jata hai.

Pralay rote hue apna bag uthata hai

Pralay - ab next session tak mai kya karunga. (Sisakte hue)

Abhijit pralay ke paas jata hai.

Abhijit - bas bhi kr pralay.

Smriti bhi wahi aati h

Smriti - bas karo abhijit pralay bhott sensitive hai. Usme uska koi fault nahi.

Abhijit - achchha achchha thik hai.

Smriti, abhijit or pralay sath nikal jate hai.


Smriti jate jate - xameer tum yaha sab wrap up kr dena please.

Xameer earphones pehn hi raha hota hai

Xameer - par aaj to tumhari baari hai.


Smriti - Humein aaj movie dekhni to humein jldi jana hoga. Please help krdo na. Please.

Xameer sir jhukata hai.

Smriti - thankyou xameer. Tum bhott achche ho.

Smriti, pralay or abhijit chle jate hai.

Xameer chairs ikkathi krke rkhta hai kone me. Lights bnd krta hai. Room se bahar niklta hai. Room
lock krta hai.

Xameer road pe chl raha hai. Xameer room pr pahonchta hai lights on krta hai or bed pe jaake let
jata.

Xameer ka phone ring hota hai.


Xameer call uthata hai, company walo ki call.

Short synopsis for story ahead from here.


Xameer college jata hai wahan pe bhott saare logon ko dekhta hai sab bachchhe phle din ek
dusre se interact kr rahe hote hai.
Xameer apni class me jata hai or mid row ki mid me beth jata hai. Xameer ke aas paas bachche
naye dost bnare hote hai.
Class me vridul naam ka ladka enter hota hai apne do followings ke sath jo ki school time se uske
sath hai.
Xameer ne earphones lga rkhe hote hai or shant betha hua hota hai.
Vridual xameer ke paas aa bethta hai or uske do followings uske peeche.
Vridul xameer se baat krta hai xameer apne earphones utarta hai. Dono ek dusre ko introduction
dete hai. Vridul funny jokes crack krta hai uske do followings bhi haste hai pr xameer nahi hasta
pr bolta hai yeh funny tha. Vridul ko kuch ajeeb lgta hai. Itne me class me ek or character enter
krti hai Bhavya.
Bhavya kaafi sundar hoti hai to class ke bachche use dekhte hai enter hote hue. Bhavya jaake
aradhya ke paas bethti hai joki one of the leads character hai. Bhavya or aradhya me apas me
dosti ho jati hai. Vridul ko bhavya pasand aati hai woh xameer or apne do followings se baat krta
hai iss baare me. Uske do followings uski baat pe agree krte hai pr xameer koi reaction nh deta.
Class me cc ishaan ki entry hoti hai. Cc sabke introduction lete hai or class ke rules or syllabus
ke baare me btate hai. Vridul uss time bhavya ko ghoor raha hota hai side row me sir vridul ko
dekh lete hai. Sir vridul ko khada krte hai or introduction ki shuruaat vridul se krte hai.
Vridul ke intro pe class ke bachchhe haste hai or sir uski mjak bnate hai jo use bura lga hota hai.
Class over ho jati hai kuch time baad. Vridul apni seat se uthke bhavya ke paas jata hai or bhavya
se flirt krta hai pr bhavya use beizzat krke bhaga deti hai or class ke bachchon ke aage vridul ki
mjak bn jati hai. Xameer apni seat se uthta hai earbuds lagata hai or class se bahar ko jaa raha
hota hai. Vridul xameer ko apne paas bulata hai awaaz lagake pr Xameer ne earbuds phene hote
hai to woh sunta nahi or seedhe class se bahar chla jata hai.
Class me hui beizzati ke baad vridul ko iss baat pe jada gussa aa jata hai. Vridul uthta hai or
xameer ke peeche jata hai. Vridul ke sath uske do followings jate hai.
Xameer washroom me hath dhul raha hota hai ki vridul peeche se aata hai or use bully krna start
kr deta hai. Xameer resist krta hai to vridul use washroom me gira deta hai uski bottle se usi pe
paani dalta hai or uske earbuds tod deta hai. Vridul or uske do followings xameer pe haste hue
bahar nikal jate hai. Vridul thodi der same pose me betha rehta hai floor me phir apne toote hue
earbuds or bag uthake ghar chla jata hai.
Xameer apne room pe phochta hai apne kapde badalta hai or speaker me gaane chlake apne bed
pr aankh kholke leta rehta hai upar ceiling ko dekhte hue.
Xameer shaam ko phir counselling session ke liye jata hai.
Waha pe ranveer sir btate hai aaj humare beech ek nayi member hai jo ki bhavya nikalti hai. Vridul
ne bhavya ke rejection ki wajah se xameer ko bully kiya hota hai to xameer bhavya ko dekh ko
jada psnd nh krta. Woh sochta h usi ki wajah se ye hua hota hai. Bhavya session me apni story
sunati hai or sb logon ko story psnd aati hai sb log bhavya ko appreciate krte hai. Pr xameer
jahan ek jagah use log puchte the waha bhi khud ko akela paata hai.
Xameer room pe jaa raha hota hai pr waha phir use seat dikhti hai to xameer waha jake beth jata
hai or ab earbuds nahi hai to xameer phone pe gaane chlake beth jata hai.
Next day at college xameer pe earbuds nahi hote use sb logon ki awaazein aati hai jo ki baat kr
rahe hote hai ki vridul ne xameer ko bully kiya. Xameer sab baaton ko ansuna krne ki try krta hai
woh apne toote hue earbuds nikalta hai phir jeb me rkh deta hai or corner ki last seat pe beth jata
haj jaake sbko avoid krne ke liye.
Tabhi xameer ke paas ek ladka aata hai or beth jata hai. Xameer kuch bolne wala hota hai. Tbhi
dusra ladka uski baat ko kaat ke bolta hai - mera naam hai max, aaj se mai daily tumhare sath
bethunga.

To be continued…..

You might also like