Surface, Deep and Dark Web
Surface, Deep and Dark Web
Introduction...
Yha sabhi students ne apni day to day life me kabhi na kabhi computer to use kiya hi hoga.???
Aur jiska jawab naa me hai use mai bta du ek chota sa computer to apki apni jeb me hi hai..
Apka Smartphone... To ab to kisi ka jawab na nhi hona chahiye
Accha ab sab to ek computer user hogye to sabne internet bhi jarur use kiya hi hoga...chahe vo
google search karna ho ,,,online studies ho ,,,,entertainment purpose jese songs, Movies dekhna
ho....ya online shopping karna ho hum sab kisi na kisi tarah se internet ki duniya se jude hue hai.
Lekin kya apko pta hai hum jitna bhi internet apni normal daily usage me use kar pate hai wo
kewal internet ki duniya ki bas 4% jise hum Surface Web kehte hai baki ka 96% internet ....Deep
web aur Dark Web me hai jiske bare me shayad hi hum logo ne kabhi suna hota hai aur suna bhi
hota hai to uske bare me jyada jankari nhi hoti....
Ab sabke man me ye question to aa hi raha hoga ki ye Surface web, Deep Web aur Dark Web me
difference kya hai???
akhir ye Deep Web aur Dark Web hai kya jo itna bada internet ka part joki Surface web ka 24
times hai...liye hue hai???
Sabse pehle baat karte hai Surface Web jiske naam se hi pata chal rha hai ki ye aesa internet ka
part hai jo surface par hi hai yani jise hum dekh sakte hai access kar sakte hai kahi bhi... kabhi
bhi ye sabhi direct search engine par index hone wali websites hai .. jese Google, Youtube,
Facebook, E-Commerce websites Wikipedia Surface web ke kuch examples hai..
Ab baat ati hai Deep Web ki ..ye aesi unindexed websites hoti hai jinhe direct search engine ke
result se access nhi kiya jaa sakta hai..inhe access karne ke liye Login Id aur Password ya kisi
special type ke authentication ki need hoti hai jise ye verify kiya jaa sake ki ek authentic person
is information ko access kar raha hai..
Jese agar mera bank account State bank Of India me hai aur mai google pe search karu ki my sbi
account to kya mera account google ke direct result me index hoga ????
Kabhi nahi ..!!
Aur agar yhi par mai SBI ki website me jakar apna account no aur password se login karta hu to
mujhe apni sari account details mil sakti hai.
Isliye deep web ka use sensitive information, bank transaction, Research papers, Medical
Records in sab me hota hai.
Ab sabse interest aur sabse darawna internet ka part Jise hum Dark Web kehte hai..
Dark web ko kisi bhi normal search engine jese Google, Yahoo, Bing se access nhi kiya jaa sakta
hai..Dark web ki websites ko .onion.com extension se chupa diya jata hai jise access karne ke
liye ek special browser TOR ya The Onion Routing Browser ki need hoti hai....dark web ka use
wo log karte hai jo apni identity baki duniya se chupana chhate hai kyunki isme IP address ko
track kar pana lagbhag impossible hai kyunki isme person ke IP address ko ek address se dusre
address me root aur re-root kiya jata hai jisse indenting chupi rehti hai.
Ab jesa ki dark net ya dark web me indentity chupi rehti hai to iska use scammers karte hai aur
illegal activities hoti hai jese hathiyar benchna kharidna ,human organs ki supply karna, Drugs
Supply karna kisi ko marne ka contract dena ya logo ke computers laptops mobile phones ko
hack karna dark web me ye sab hi nhi wha par infanticide , Genocide jese crimes ke videos
upload kiye jate hai.
In sabhi illegal kamo ki payment bhi virtual currency jese Bit-Coins me payment hota hai jisse
transaction ko trace na kiya ja sake..
Ye dark web to samjh aya lekin ye onion routing hi kyu kha gya ise...???
Aisa isliye kyunki jese onion me bhut sari layers hoti hai thik vese hi TOR browser user ki ip
address ko encryption ki layers mein chhupa deta hai jisse user track nhi hota kabhi.
Ab sab soch rhe honge ye Dark Web itna kharab hai itne illegal activities hoti hai isme to
countries me ban kyu nhi kiya jata hai ye upar se USA jesi country aur Google jesi badi
companies ise funding karti hai taki ye chal sake....aesa isliye kyunki country ki security ke liye
us country ki Secret agencies Dark web ka use karke hi Terrorist attacks ko rokti hai aur other
illegal activities ka pta lgati hai.
Aur anonymous hokar scammers aur smugglers ko pakadte hai.