Download as TXT, PDF, TXT or read online from Scribd
Download as txt, pdf, or txt
You are on page 1of 1
Aapka masoom woh chehra,
Aapki samundar si woh aankhein,
Un leheron jesi zulfein woh aapki, Ehtimaam se bhari wo baatein aapki, Is shidat mai bhari aankhein meri, Un aashiqui mai bhare gaano si raatein meri, Un raaton mai kuch baatein esi, Kese batau ab ye baatein meri, Bas akele pan mai kat rahi hein raatein meri. Baarish ka woh samaa ho, Aapke dil mai hamare liye thodi jagah ho, Ye waqt ruk jaye, In hawaon ko humpe thodi daya ho, Kaale woh badal, Geele raaste ho, Saaf dil bhe aur in haaton mai aapka haath ho, Aur kuch natkhat soch waale vichaar ho, Aap jhoomo us barish mai, Woh baarish jhoom uthe jese koi tez toofan ho, Ke un badalon mai, Us baarish mai, Un boondon mai, Us paani mai, Un aansuon si qeemat hai aapki, Aapki us ek nazar se toh asmaan bheeg jaye, In badalon ki utni qadar kahan thi, Aapki us ek muskurahat se toh din ban jaye, Phir hamare akelepan ki qeemat kya khaak thi. ~pK
Aaj Phir Teri Yaad Aai Barish Ko Dekh Kar, Dil Pe Zor Na Raha Apni Bebasi Ko Dekh Kar, Roye Is Qadar Mai Ae Dost K Barish Bhe Tham Gaye Meri Barish Ko Dekh Kar .. Ê
Main Udaas Hu Mujhko Udas RehneDe Abhi Thoda Aur Waqt Mujhe Apne Paas Rehne de Na Bujh Sakegi Ye Shabnam Ke Katro Se Mere Labon Pe Tu Sehra Si Pyas Rehne de