0% found this document useful (0 votes)
393 views139 pages

Swordsman

Uploaded by

tarrriq
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
0% found this document useful (0 votes)
393 views139 pages

Swordsman

Uploaded by

tarrriq
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 139

Swordsman – Begins

Update 1
Sehar ki bheedh baadh wali galion mein ek Ladka bhaga ja raha
tha…wo apni puri takat laga kar bhag raha tha…

Pata nahi bhag raha tha yah bhaga raha tha…tabhi piche se kisi
Ladke ki awaj ayi…

Ladka: oye Sonu…ruk kamine kahan bhag raha hai…

Sonu ne jab wo awaj suni toh wo ruk gaya…


Sonu(hamfte huye): Are yaar Aadi tu kahan se aya…

(Toh pehle in dono ka ek short into.

Aadi(Hero): age 25 saal…Height 6’2”…gora rang…ankhon mein ajeeb


si kasish…muscular body...six pack abs …iska naam iske ashram
walon ne rakha hai…iska koi nahi hai…matlab anath hai…ek anath
ashram mein pala hai…Ab ek office mein kaam karta hai…itna kama
leta hai k khud ka pait bhar sake…aur baki ka usi anath ashram ke
bacho mein bant deta hai…kabhi kabhi toh un bachon ke liye apne
makan malik se bhi jhagda mol leta hai…

Sonu(Aadi ka best friend): Age 26 saal…yeh ek middle class family


se hai…pura naam Dhanveer…par iske dost ise Sonu hi bulate hain…
dikhne mein Acha hai…Aadi se boht pyar karta hai…par uski ek chij
se nafrat hai…Gym…wo Aadi ko pagal bolta hai k wo Sara din kaam
karta hai…aur baad mein gym chala jata hai…iske papa ki shop hai…
usi par yeh bhi baith jata hai…par papa thode kanjoos hain toh
paise kam hi milte hain ise...

Baki character story ke sath sath pata chalenge…)

Aadi: sale main toh bajaar gaya tha par jab tujhe bhagte dekha
toh tere piche chala aya…teri punsh(tail) ko kisne aag laga di jo is
tarah bhag raha hai…

Sonu(hamfte huye): Bhai wo a gaya Bhai…

Aadi(swalia najron se uski taraf dekh kar): yaar kya pahelian bujha
raha hai…kon agaya aur kahan a gaya…

Sonu(piche ki taraf dekh kar): Bhai wo mota saand a gaya…wo ghar


ka kiraya mang raha hai…

Aadi(hairan hote huye): toh wo mujhse mangega …tu kion bhag raha
hai…

Sonu(idhar udhar dekh kar): Bhai wo darasal maine wo…

Aadi: kya maine wo maine wo laga rakha hai…Saaf saaf bata na…

Sonu: Bhai maine use keh diya tha k wo tumse kiraya na mange
mujhe acha nahi lagta…main khud de dunga…ab wo mere piche pada
hai…mere paas abhi toh ek paisa nahi hai…papa se manga toh maar
denge…

Aadi ne jaise hi Sonu ki baat suni toh wo pait pakad kar jor jor se
hasne laga…wo itna jyada hans raha tha k uski ankhon se pani
nikalne laga…uski hansi se Sonu aur jyada pareshan ho gaya…

Sonu(gusse mein): sala kamina fuddu…sale tere jaise dost ki jagah


koi dushman hona chahiye…yahan tere chakar mein meri gaand fati
padi hai aur tu hans raha hai…sala kutta…

Sonu itne jor se galian de raha tha k aas paas ke log bhi uski taraf
dekhne lage…

Par Sonu ki batein sun kar Aadi ko aur hansi ane lagi kionk use Pata
tha k Sonu jab bhi tension mein yah gusse mein hota hai toh wo
boht jyada galian deta hai…Aadi bhi hamesha use tang karta hi
rehta tha…dono ki yaari hi aisi thi…

Sonu(tang a kar): Bhai yeh bhi bata k hans kion raha hai…yah sirf
hasta hi rahega….

Aadi(apni hansi control karke): yaar tu koi kaam toh karta nahi…
dukan ka sara paisa tera Baap le jata hai…wo paison par saap ki
tarah kundali maar kar baitha rehta hai…tune us saand ko kaha hi
kion k tu mera kiraya dega…

Sonu(uska gussa shant ho chuka tha): Bhai tu toh sare paise bachon
mein baant deta hai…wo saand tujhe galian deta hai…toh mujhse
raha nahi gaya aur faltu mein bol baitha…par ab kya karun…wo
mujhe dhundh kar boht bura bhala sunayega…

Aadi: koi baat nahi meri salary mil gayi hai…main use kiraya de
dunga…tu fikar na kar…vaise bhi wo apne ghar chala gaya hoga…usse
hila toh jata nahi…tumhare piche kya khak daudega...

Sonu(befikar ho kar): yaar mujhe aj tak ek baat ki samajh nahi


ayi…

Aadi: konsi baat…

Sonu: yaar tu mere ghar par kion nahi rehta…tujhe ek hi room toh
chahiye...Fir kion faltu kiraya bharta hai…

Aadi: yaar agar main tere sath rahunga toh tu kiraya toh lega
nahi…aise hi rehne se mujhe acha nahi lagega…main wahin thik hun…
ab chhod koi aur baat karte hain…

Sonu: aur baat kya karni hai…tu hi suna kya chal raha hai aj kal…

Aadi: kus nahi…aj half day tha toh jaldi ghar a gaya…tu dukan par
kion nahi gaya…

Sonu: yaar man nahi tha…ghumne nikla toh tera makan malik mil
gaya…

Aadi: chal chhod yaar kal ko Sunday hai…kahin chalein kya…boht din
ho gaye…

Sonu: han aisa karte hain…kal ko koi movie dekhne chalte hain…

Aadi: chal thik hai…abhi mujhe us saand se milna hai toh main
chalta hun…fir Ashram hokar aunga…
Sonu: chal thik hai Bhai…main bhi chalta hun…

Fir Aadi apne ghar ki taraf chala gaya…Asal mein Uska ghar do
room ek kitchen aur ek hall ke sath tha…ek bada sa washroom bhi
tha…wo akela hi rehta tha…salary thik thak thi toh kiraya dene
mein koi problem nahi thi…par wo khud kam hi paise use karta tha…

Aadi ke makan malik ka ghar bhi sath mein hi tha…wo ghar kafi
bada aur alishan tha…Aadi jab apne makan malik ke ghar gaya toh
wo bahar garden mein hi baitha tha…Aadi uske paas chala gaya…

Seth ji(saand): aaiye janab….aj hamari yaad kaise ayi…

Seth ji halke kataksh ke sath bole…

Aadi: seth ji kiraya dene aya tha…pichle mahine ka aur agle mahine
ka bhi…

Seth ne Aadi ko baithne ko bola…asal mein Aadi pichle 5 saal se usi


ghar mein reh raha tha…seth thoda rude toh tha par dil ka bura
nahi tha…

Seth ji: maine tujhe itni baar kaha hai k thode paise bacha kar wo
ghar kharid lo…Tum kabhi baat sunte nahi ho…Dhire dhire paise de
dena…fir shadi kar lo aur maje se life bitao…

Aadi: seth ji aise hi thik hun…acha lagta hai…choti si duniya mein


rehna…jyada bada sochenge toh khusian ruth jati hai…vaise bhi
kabhi kabhi lagta hai k meri manjil kus aur hi hai…

Yeh bol kar Aadi thoda soch mein dub sa gaya…

Seth ji: ek toh tu kabhi seedha jawab nahi deta khair jaisi teri
marji…mujhe toh kiraya mil jata hai…

Aadi ki life mein ek khalipan sa tha…par wo khus tha ek choti si


duniya mein…wo kamata tha sirf apna pait bharne ke liye par salary
jyada thi toh apne Bhai behano(anathon) ki jarurtein puri kar deta
tha…ek dost tha sacha...isse jyada use kus chahiye bhi nahi tha…
par uske dil mein kabhi kabhi aisi bhawna ati jaise koi uska intzar
kar raha ho…uski manjil kus aur hi ho…par kya…

Khair Aadi ghar gaya fresh huya thoda aram karne ke baad anath
ashram ki taraf chal pada…

Update 2
Khair Aadi ghar gaya fresh huya thoda aram karne ke baad anath
ashram ki taraf chal pada…

Ab Age

Aadi ashram gaya bachon ke liye chocolates kapde aur kus gifts
leke gaya…kus time un sab ke sath khelne ke baad wo wapis a
gaya…

Uske baad bhi kus khas nahi huya…thodi gym aur dinner ke baad
seedha bed room mein…

Next day Sunday tha toh subah uthte hi jogging gym breakfast aur
shower…

Dopehar ko Sonu ke sath movie dekhne jana tha…toh Aadi ne apni


bike li aur Sonu ke ghar ki taraf nikal pada…

Karib 10 mint baad Aadi ne ek ghar ke bahar bike roki aur horn
bajaya…

Sonu(ander se): Bhai aya do second bas…

Itne mein Sonu tez kadmon ke sath apne ghar se nikla…


Aadi(ghadi dekh kar): Bhai tu pure 15 second late hai…

Sonu: sale pehle toh bina second wali watch le…khamkha deemag ki
dahi karta hai…ab chal…nahi toh fir time table leke baith jayega…

Aadi(muskura kar): chal aja baith ja…vaise bhi trafic mein time sir
toh pahunch hi nahi sakte…

Fir Sonu bike par baitha aur Aadi ne bike chala di…thodi dur jate
hi signal par jam tha…kionk red light thi…

Aadi(gusse mein): sala yeh log bhi na pura maja kirkira kar dete
hain…week mein ek hi chhuti milti hai wo jam mein nikal jati hai…

Sonu: Bhai puch mat…kabhi kabhi toh man karta hai helicopter le
lun…par sala Yaad ata hai koi millionaire thodi hun…

Sonu ki baat sun kar Aadi halka sa muskura deta hai…dhire dhire
jam khulta hai aur bike age badhti hai…Aadi baar baar rear mirror
se dekh raha tha…use aisa lag raha tha jaise ek black luxury car
uska kafi time se picha kar rahi thi…

Par usne socha sayad uska beham ho…koi uska picha kion karega…ise
bhi sayad usi raste jana ho…usne apna dhyan road par lagaya aur
age badhta gaya…

Ek cinema hall mein gaye ticket liya aur movie dekhne lage…puri
movie dekhne ke baad jab bahar nikle toh wahan kus Ladke ek
Ladki ko tang kar rahe the…

Sonu(us taraf dekh kar): Bhai wahan dekh wo Ladke us Ladki ko


tang kar rahe hain…

Aadi: han yaar chal baat karte hain…

Sonu(kus soch kar): kya baat karenge aur wo samjhenge kya…


Aadi(halka sa muskura kar): jaise samjhe vaise samjha denge…

Aadi ki baat sun kar Sonu ne bhi smile pass ki aur dono us taraf
chal pade…

Aadi(un ladkon ke paas ja kar): Bhai kion ise pareshan kar rahe ho…
jane do na…

Aadi ki awaj sun kar wo Ladke un dono ki taraf dekhne lage…wo


Ladki bohat ghabrayi huyi thi…par Aadi ke ane se wo thoda relax
lag rahi thi…

Wo Ladke 5 the aur achi muscular body wale the…gunde toh lag hi
nahi rahe the…ache gharon ke bhi lag rahe the…

Ladka1: kya baat hai chotu tu yahan kya kar raha hai…

Ladka2: lagta hai ander se koi action movie dekhke aye hain aur
abhi khud ka maar khane ka man hai…

Ladka3: chal phut yahan se…warna hadian todkar churma bana


dunga…

Un ladko ki baat sun kar Sonu ke ander ka jwalamukhi jaag utha…


use vaise bhi gussa jaldi hi a jata tha…uper se wo Ladke uski
mardangi ko lalkar rahe the…

Sonu(gusse se): salo samaj kya rakha hai humein…dhamkian kisi aur
ko dena…faltu mein pit mat jana…

Sonu ki baat sun kar Wo sabhi Ladke hasne lage…Aadi abhi bhi
chup chap sab dekh raha tha…

Itne mein Sonu ka gussa ubala maar gaya usne aw dekha na taw
seedha ek ghunsa samne khade Ladke ke munh par jad diya…
Badi jor ki padi thi…honthon se khun nikal diya par tabhi do Ladke
aye aur Unhone Sonu ko piche se pakad liya…

Sonu(gusse se apne ap ko chudwane ki kosish karte huye): salo


hijado agar himmat hai toh samne se pakad kar dikhate…

Sonu ne apni baat abhi puri hi ki thi k Aadi ne apna hath jameen
par rakha aur uski help se jaise football mein volley marte hain…
dono pair un dono ladkon ke sir par de mare jinhone sonu ko pakda
tha…aur wapis apne dono pairon par land karke aise khada ho gaya
jaise kus huya hi na ho…

Wo Ladki badi gaur se wahin khadi sab dekh rahi thi…ab uske
chehre par dar nahi tha sirf hairani thi…kionk bina kisi jor ke Aadi
ne itni jabardast mara tha k samne khade do muscular pehlwan bhi
ek baar toh chakra gaye honge….

Par wo Ladke trained lag rahe the…koi sadak chhap gunde nahi the
jo koi bhi unhein peet de….

Un sab ne mil kar sonu ko toh side mein patak diya…aur ek Ladke
ko uske paas rehne diya…baki ke charon Aadi ki taraf chale gaye…

Unmein se ek Ladke ne ek jordar mukka Aadi ki chest par de


mara…itna jabardast punch tha k Aadi ki dil ki dhadkan bhi ek baar
toh ruk si gayi…

Par wo sambhla aur ek jump liya aur swing hoke ek baar fir us
Ladke ki kaanpatti par kick kar diya…aur use dobara mauka diye
bina usi flow mein ek baar fir usi tarike se usko kick kiya…

Aadi bhi ab full mood mein tha…akhir kisi ko toh pitna tha…toh
kosish karne mein kya jata hai…

Itne mein ek Ladka aya aur usne Aadi ka ek hath pakad kar ekdum
se twist kiya aur use niche patak diya…dusre ne jump lekar back
flip mari aur uski back par kud pada...

Sonu yeh Sab dekh kar aur gusse se bahar raha tha...Aadi ondhe
munh jameen par pada dard ke mare karah raha tha…uski peeth
mein boht hi jyada dard ho raha tha…

Sonu(us Ladke se khud ko chudwane ki kosish karte huye): Bhai uth


maar in salon ko…kamino mujhe ek baar chhod do…ek ek ko nani
yaad dila dunga…

Aadi ki sansein atak si gayi…wo Ladke trained the unhein pata tha k
kya karna hai…par Aadi bhi kafi practice karta tha…iske bawjud wo
char the aur wo akela…

Par ladna toh tha hi toh Aadi ne himmat ki aur paas khade Ladke ki
tang pakad kar uski tang ko twist kiya jaldi se khada huya aur ek
jordar punch uske ghutne ki back side de mara….

Wo Ladka dard ke mare karah utha…aur munh ke bal jameen par


gir pada...Itne mein us Ladki ke dimag mein kus aya usne turant
phone nikala aur kisi ko call karke puri situation bata di aur use
turant ane ko kaha…

Itne mein Aadi ko do ladkon ne pakad liya par tabhi Sonu kisi tarah
us Ladke ki pakad se nikal gaya aur seedhe akar Aadi ko pakadne
walon Mein se ek Ka piche se gala daba kar khinchne laga…jisse uski
pakad loose huyi aur Aadi ne dusre wale ko bhi gira diya…

Isse pehle wo kus aur kar pata piche se ek Ladke ne Aadi ke sir
par itni jor se spin kick mari ke Aadi do second mein hi
subcontinent ho gaya…sayad wo kafi trained the…isliye sab kus sahi
kar rahe the…kahan marna hai aur usse kya hoga…wo sayad jaldi
wahan se niklna chahte the…
Aadi ke girte hi sonu aur wo Ladki uski taraf daude… aur isi ka
fayada utha kar wo Ladke apni car lekar bhag nikle…Sonu ke toh
mano hosh hi ud gaye…wo Ladki bhi gabhra kar Use Uthane ki
kosish Karne lagi…itne mein police wahan pahunch gayi…asal mein us
Ladki ne hi police ko bulaya tha…

Update 3
Aadi ke girte hi sonu aur wo Ladki uski taraf daude… aur isi ka
fayada utha kar wo Ladke apni car lekar bhag nikle…Sonu ke toh
mano hosh hi ud gaye…wo Ladki bhi gabhra kar Use Uthane ki
kosish Karne lagi…itne mein police wahan pahunch gayi…asal mein us
Ladki ne hi police ko bulaya tha…

Ab Age

Itne mein Aadi apne ap hi normal huya aur palkein jhapkate huye
uth baitha…usne apne sir ko dono hathon mein pakad liya sayad
dard ho raha tha…jiske karan Sonu aur us Ladki ke chehre par
pareshani ke bhaw kus kam se huye…police wale bhi un logon ke
paas pahunch gaye…

Policeman(unke paas ja kar): kya huya hai kisne bulaya tha…

Ladki(khadi ho kar): sir maine hi phone kiya tha…

Aur usne puri baat bata di…

Policeman: toh FIR likhwa do…hum janch kar lenge k kon the wo
log…

Aadi(baithe huye hi): chhodo yaar jante toh hain nahi unko…kya
complaint karni…abhi toh jaan bach gayi yahi boht hai….

Ladki: sir main baad mein police station akar FIR kar dungi abhi
humein inhein(Aadi) hospital lejana hoga…
Itne mein Aadi Sonu ki help se khada huya…aur bola…

Aadi: kus nahi huya madam…ghar jana hai ab…koi chhot nahi lagi…

Yeh bol kar Aadi Halka sa langhdate huye bike ki taraf badha…

Ladki(Aadi ke paas jakar): dekhiye apne meri wajah se unse ladayi


ki…ab plz mujhe bhi kus karne dijiye apko kafi lagi hai…

Aadi: don’t worry…han agar jyada hi hai toh mujhe ghar chhod
dijiye… yeh car apki hai na(wahan khadi ek car ki taraf ishara
karke)…bike par problem hogi...

Aadi ne socha k jab wo itna bol hi rahi hai toh help le hi leta hun…
aur vaise bhi wo is time bike par baithne ki situation mein bilkul
nahi tha…

Ladki ne jaise hi Aadi ki baat suni toh uske chehre par ek smile a
gayi…sayad wo sach mein Aadi ki help karna chahti thi…

Aadi ne pehli baar us Ladki ki taraf dekha bala ki khubsurat thi…


lambe ghane baal ankhon mein kasish aur figure dekh kar lag raha
tha gym ka kafi shonk hoga…har taraf se perfect thi...pata nahi
use kya huya wo ekdum flat ho gaya….life mein pehli baar use kisi
ke liye yeh feelings ayi thi…

Ladki(smile ke sath): ji sure…

Police wale toh pehle hi chale gaye the…sayad us Ladki ki jaan


pehchan ho yah kisi bade ghar ki Ladki ho…khair Aadi us Ladki ki
help Se dhire dhire car ki taraf chal pada…

Par wo is chakar mein apne jigri yaar ko bhul gaya…Sonu wahin


khada hairani se Aadi ki taraf dekh raha tha…jo Aadi kabhi Ladkion
se baat tak nahi karta tha…wo aj us anjaan Ladki ke chakar mein
apne dost ko bhul gaya…

Sonu(halke gusse se): oye main kaise jaunga ghar…

Aadi uski baat sun kar ruka par uske baad jo Aadi ne kiya wo aur
bhi shocking tha….Aadi Sonu ki taraf palta use ankh mari(majak
mein chhidane ke liye) aur bike ki keys uski taraf fenk di…

Aadi: Bhai yeh leja main kal ko le jaunga…

Iske baad Aadi ruka nahi…aur sidha us Ladki ki car mein ja baitha…
Sonu bas munh fade uski taraf dekhta raha aur man mein use kosta
huya bike lekar nikal gaya…

Ladki(apni seat belt laga kar): Sorry par main kisi anjan ke sath
safar nahi kar sakti…toh ap plz apna prichaya karwayenge…

Aadi(halki smile ke sath): Aadi naam hai mera…

Ladki(kus soch kar): pura naam kya hai…

Yeh baat sun kar Aadi ka chehra utar sa gaya kionk jis swal ka
jawab use khud nahi pata tha wo kisi aur ko kya batata…Aadi ko
aise baitha dekh Wo Ladki kus kus toh samjh gayi…

Ladki(Aadi ki taraf dekhte huye): sayad tum bhi meri tarah anath
hi ho…Toh fir hum friends…kion?

Yeh bol kar wo Ladki Aadi ki taraf dekhne lagi…uski baat sun kar
Aadi ke chehre par smile laut ayi…aur usne apna hath us Ladki ki
taraf badha diya…

Ladki(Aadi se hand shake karte huye): Alia….

Aadi: toh tumhara naam Alia hai…

Alia: han…and thanks meri help ke liye…


Aadi: welcome yaar…but mujhe Pata nahi kion laga k tumhari help
karun…

Alia: mujhe Bhi yahi laga k tumhe ghar drop kardun…dil se awaj
ayi…

Aadi Alia ki baat sun kar hans Pada…

Alia(serious hote huye): Vaise tumhe chot toh nahi lagi…

Aadi: yaar sach kahun toh wo log ache the dekh dekh kar maar
rahe the k jyada chhot na lage…par kafi dhoya toh dard toh hai
hi…par aram karunga toh thik ho jaunga…

Alia(halka sa muskura kar): achi baat hai…toh ab humein chalna


chahiye na…

Aadi: han yaar aur jyada der nahi baith sakta jaldi chalo main
rasta batata rahunga…

Fir Alia ne Aadi ke kahe huye raste par gadi chala di…raste mein
dono mein koi khas baat nahi huyi…sirf Aadi rasta bata raha tha…
karib 30 mint baad Alia ne gadi Aadi ke ghar tak pahuncha di…

Aadi: thanks yaar…but sorry main coffee nahi bana paunga…agar


pani se kaam chalega toh ander a jao…

Alia(hanste huye): its ok…fir kabhi pi lenge coffee…main tumhe


ander tak chhod deti hun…

Aadi: koi baat nahi main chala jaunga…

Alia: yaar dost bola hai toh dost samjho bhi…

Ab Aadi kya bol sakta tha toh Alia ne Aadi ko shara diya aur ander
leke Jane lagi…
Ander pahunch kar Aadi hall mein hi sofe par baith gaya…aur Alia
bade gaur se pure ghar ko dekhne lagi…

Alia(Charon taraf dekhte huye): tumhara ghar bada khubsurat hai…

Aadi: thanks but yeh mera nahi hai main toh Bas kiraya deta hun…

Alia: ohhh…vaise tum karte kya ho…

Aadi: job karta hun…aur tum…

Alia: main bhi ek company mein job karti hun unhone hi meri
transfer yahan ki hai…abhi thode din pehle hi kaam par ayi hun…

Aadi: achi baat hai nahi toh hamari mulakat kaise hoti aur mujhe
maar kaise padti…

Alia(Halka sa Hans kar): so funny…but yaar tum achanak behosh


kaise ho gaye the…aur khud hi hosh mein bhi a gaye...

Aadi: nahi behosh toh nahi huya tha…aisa laga jaise k mind kus pal
ke liye so sa gaya ho…vaise yeh baat toh hai k wo log koi mamuli
log nahi the…puri tarah trained the…nahi toh koi kaise is tarah
perfect jagah par attack kar sakta hai…mujhe koi major injury bhi
nahi huyi sirf halka dard hai…mujhe toh kus gadbad lag rahi hai…
tumhe kya lagta hai…

Alia(confused lag rahi thi): may be…but honesty main us waqt


tumhari fight dekhne mein itna busy thi k kus aur dekha hi nahi…
kya ladte ho tum…maja a gaya agar main thodi dari huyi na hoti toh
kasam se seeti toh jarur Marti…

Alia bolte waqt itni exited lag rahi thi jaise koi chhoti bachi ho…aur
Aadi bhi uski is masoomiyat mein kho sa gaya…khair usne apne ap
ko kabu mein hi rakhna taki Alia use galat na samjh le…
Alia: toh ab main chalti hun…thanks again…

Aadi(normal hote huye): oh han…ok bye…aur thanks ki jarurat nahi


hai…

Alia: fir milte hain… byeeee…

Yeh bol kar Alia wahan se chali gayi…Aadi abhi bhi baitha usi ke
khyalon mein khoya huya tha…akhir Kaise koi anjaan itni jaldi itna
apna sa lag sakta hai…Aadi bas yahi Sab soch raha tha k use yaad
aya k usne Alia ka number toh liya hi nahi….ab na Jane fir kabhi
wo milegi yah nahi…

Update 4
Yeh bol kar Alia wahan se chali gayi…Aadi abhi bhi baitha usi ke
khyalon mein khoya huya tha…akhir Kaise koi anjaan itni jaldi itna
apna sa lag sakta hai…Aadi bas yahi Sab soch raha tha…k use yaad
aya k usne Alia ka number toh liya hi nahi….ab na Jane fir kabhi
wo milegi yah nahi…

Ab Age

Next Day Aadi ko abhi bhi thoda dard tha toh usne office se
chhuti le li…Breakfast bnaya aur kha kar room mein chala gaya…

Dopehar ko Uske ghar ki door bell baji…

Aadi(bed se khada hote huye): sala ab yeh kon a gaya…

Aadi uth kar anmane se dhang mein door tak gaya aur door khola…
samne Sonu khada tha…

Aadi(ubasi lete huye): are yaar tu?


Sonu kafi gusse mein lag raha tha upar se Aadi ne aise bola toh
uska gussa kafi badh gaya…

Sonu: sale aur kya wo kal wali Ladki honi chahiye thi…tharki kahin
ka…

Aadi(bina Sonu ke gusse ki parwah kiye huye): aja ander ake ladte
hain…

Fir wo chup chap jake sofe par baith gaya aur Sonu bhi door band
karke uske paas jake baith gaya…

Aadi(Aram se): han ab bata kion itna gussa a raha hai tumhe…

Sonu(Frustrate ho kar): Sale ab tujhe yeh bhi nahi pata k mujhe


gussa kion ana chahiye…

Aadi: nahi mujhe toh koi aisi wajah nahi lagti…

Sonu(gusse se): sale main tere sath un sab se pita aur wo Ladki toh
chup chap tamasha dekh rahi thi…tu uske sath nikal diya aur mujhe
wahin khada chhod gaya…

Aadi(normal way mein): toh matlab tujhe usse jalan ho rahi hai…

Sonu(frustrate ho kar): yaar main koi Ladki hun jo usse jalan hogi…
main hairan hun mere Bhai…dekh meri taraf meri shakal se saaf
pata chal raha hai k main boht jyada hairan hi nahi shock mein bhi
hun…

Aadi ko pata tha k Sonu kya baat karne wala hai par wo us bare
mein baat nahi karna chahta tha…toh wo wahan se uth kar kitchen
ki taraf jane laga…

Sonu: ab kahan chal diya?


Aadi(bina sonu ki taraf dekhe): yaar coffee banane ja raha hun…tu
piyega kya…

Sonu(uske paas ja kar): pehle mujhe sach sach bata akhir majra
kya hai…achanak yeh tera Ladki se dur raho wala manifesto kahan
chala gaya…

Aadi(coffee ka saman nikalte huye): yaar wo problem mein thi uski


help ki…Usne meri help karni chahi toh maine le li…aur tu hi bata
itni jyada padi thi k peeth akad gayi thi main bike par kaise ata
mere Bhai…

Sonu(Aadi ke chehre ki taraf ja kar): tu na yeh jhuthi batein kisi


aur ke samne karna…yeh sab batein ek taraf par main janta hun tu
use like karne laga hai….

Aadi(jhuthi muskurahat ke sath): swaal hi paida nahi hota…

Sonu: Bhai sach sach bata de nahi toh boht pitega…

Aadi ne socha k wo Sonu se kus nahi chupa sakta…toh faltu ki


footage kion khani hai…sab sach sach bata hi dena chahiye…

Aadi(Sonu ki taraf dekh kar): han yaar pata nahi usmein aisa kya
tha k dil ko achi lagi…uper se wo bhi anath hai toh ek alag si jagah
ban gayi uske liye ek soft corner hai dil mein bas isse jyada kus
nahi…

Sonu ne dhyan se uski baat suni aur uski taraf dekha…aisa nahi tha
k wo Aadi se jalta tha wo uska sacha dost tha aur thoda fikarmand
bhi tha uske liye…

Sonu(serious tone mein): Bhai main tujhse bada hun toh meri ek
baat manega?

Aadi(majak mein): sale ek saal bada hai…jyada bhi nahi hai…Chal fir
bhi bata de…

Sonu: yaar us Ladki ko hum log jante tak nahi…

Aadi(apna kaam karte huye): toh?

Sonu: yaar tu samjta kion nahi…hum aise hi kisi par trust toh nahi
kar sakte…

Aadi: Bhai main teri baat samjhta hun…par na toh mere paas paisa
hai na hi mere paas property jiske liye wo mujhe fasayegi…toh chill
maar na yaar…kion dimag kharach kar raha hai…vaise bhi maine yeh
nahi kaha k main usse pyar karta hun…

Sonu: baat toh teri bhi sahi hai…par mujhe dar hai k tu kisi Ladki
ke chakar mein hasna khelna bhul kar devdas na ban jaye...

Aadi(Sonu ki taraf dekh kar): fir kya huya tu hai na…dono sath
mein baith kar piyenge…

Aadi ki baat sun kar Sonu kus nahi bola bas muskura diya samne
Aadi ne bhi smile di…aur use gale laga liya…fir dono alag huye…

Sonu(majak mein): sale adha ghanta ho gaya abhi tak tujhse do cup
coffee nahi bani kya…

Aadi(coffee ko cups mein dalte huye): ban toh jati par tera lecture
khatam ho tab na…chal ab utha apna cup aur baith kar batein karte
hain…

Fir dono ne apni apni coffee uthayi aur sofe par ja kar baith gaye…
Tabhi Aadi ke phone ki ring baji…

Sonu: Bhai ab yeh kon hai…

Aadi: lagta hai mera khadus boss hoga…


Aadi ne gandi di shakal bana kar apna phone pocket se nikala par
koi unknown number tha…Wo sofe se uth kar thoda due chala gaya
aur usne kus soch kar phone pick kiya…

Aadi: hlo kon…

Samne se(Ladki ki awaj): itni jaldi bhul gaye…

Us Ladki ki awaj sun kar Aadi kisi gehri soch mein pad gaya use
laga k kahin usne yeh awaj suni hai…isse pehle k wo kus bolta samne
wale ne hi baat age badhayi…

Samne se: meri kal wali coffee abhi baki hai…kab dene wale ho…

Us Ladki ne jaise hi yeh baat kahi toh Aadi samajh gaya k samne
se Alia hai…par abhi bhi wo hairan tha…kionk un logon ne toh
numbers exchange nahi kiye the…

Alia(Aadi ko chup pa kar): tum yahi soch rahe ho na mujhe tumhara


mobile number kahan se mila…

Aadi(hairan si awaj mein): han…

Sonu bhi sofe par baitha Aadi ke chehre ke expressions samjhne ki


kosish kar raha tha…par use sirf yahi pata chal raha tha k Aadi
hairan pareshan sa lag raha hai...

Alia: tumhare office gayi thi…Wahan pata chala tumhari tabiyat


kharab hai toh tumhara number le liya…

Aadi: ok…par tumhe mera office kaise pata chala…

Alia: yaar mere liye itha bhi muskil nahi hai…main jis company mein
kaam karti hun uske paas sabki details hoti hai…

Aadi(hairan hokar): kamal hai aisi konsi company hai…maine toh


kabhi nahi suna…

Alia: main bata dungi uske bare mein par uske liye mujhse milna
hoga…batao kahan miloge…

Aadi bas hairan huye ja raha tha…use lag raha tha k wo apne se
kus jyada hi fast Ladki ke sath friendship kar baitha…ek toh usne
pehli baar kisi Ladki ko dost banaya…upar se wo itni fast forward…
Aadi ki toh kus samjh mein hi nahi a raha tha k kya ho raha hai…wo
toh bas hairan huye ja raha tha…

Aadi(dabi si awaj mein): milna jaruri hai kya…

Alia: han kion tum nahi milna chahte kya…

Aadi(ekdum se): nahi nahi aisi baat nahi…mujhe samajh nahi a raha
kya ho raha hai…

Alia(hans kar): yaar itna bhi hairan mat ho…abhi toh sirf shuruwat
hai…toh jaldi batao kahan milna hai…yah fir yeh bhi main hi
bataun…

Aadi: ab jab sab tum hi kar rahi ho…toh yeh bhi khud hi karlo…

Alia: thik hai main address SMS kar deti hun…

Aadi: ok…

Alia: ok bye…Kal ko milte hain 5:00 pm

Fir Alia ne phone kaat diya…Aadi ne ek gehri saans li aur Sonu ke


paas ja kar Sofe par baith gaya…Sonu chup chap Aadi ki taraf
dekh raha tha…Aadi ko pata tha k Sonu use kabhi us Ladki se milne
nahi dega toh usne kus bhi na batane ka faisla kiya…

Sonu: Bhai kya huya bada hairan pareshan sa lag raha hai…kon tha
phone par…

Aadi(bechari si shakal bana kar jhuth bolte huye): Bhai kya karun
Office se ek Ladki ka phone tha bol rahi thi kal ko ek important
meeting mein jana padega 5pm…isliye mood kharab ho gaya....

Aadi ne itni masoom si shakal banayi k Sonu bhi uske jhuth ko sach
maan baitha…fir dono ne coffee khatam Ki…kus der batein karne ke
baad Sonu wahan se chala gaya…

Update 5
Aadi ne itni masoom si shakal banayi k Sonu bhi uske jhuth ko sach
maan baitha…fir dono ne coffee khatam Ki…kus der batein karne ke
baad Sonu wahan se chala gaya…

Ab Age

Sonu ke jate hi Aadi apne bedroom mein gaya aur Bed par laptop le
kar baith gaya...par tabhi uske dimag mein Alia ka khyal aya…

Aadi(apne ap se): yaar yeh Ladki kya hai…itni fast…baap re…yaar


kal ko pata nahi kya kya shock degi…

Aadi ne in sab baton se apna dimag htaya aur apne kaam mein
dhyan lgaya…fir aise hi pura din nikal gaya aur agle din Aadi subah
office ke liye ready huya…

Aadi(jaldi mein breakfast thuste huye): chal Aadi hurry up warna


boss se dant khani padegi…

Aadi ne jaise taise jaladbaji mein nasta khatam kiya aur bike(Sonu
kal aya tha toh bike chhod gaya tha) lekar office ke liye nikal
pada…

Traffic mein se bachta bachata Aadi office gaya…usne Bike park ki


aur time dekha aur Time dekhte hi uske munh ka color change ho
gaya…

Aadi(mathe par hath maar kar): oh shit yaar pura 1 minute late…ab
toh us khadus se tumhe koi nahi bacha sakta…chal Bhai Aadi chadja
sulli par…

Aadi ne dar kam karne ke liye ek deep breath li aur ander chala
gaya…ander Pahunch kar usne idhar udhar dekha toh khadus kahin
nahi tha…usne chain ki saans li aur apni jagah par ja kar baith
gaya…

Aadi: uff bach gaya aj toh…

Kisse bach gaya Bhai mujhe bhi bata…

Aadi ne jaise hi piche se awaj suni toh uske tote fir se ud gaye…
par uski piche palat kar dekhne ki himmat nahi ho rahi thi…Par use
itna toh pata lag hi chuka tha k piche uska boss khada hai…

Aadi ke piche ek bola admi khada tha… jiski age 45-46 lag rahi
thi…uski shakal se hi wo khadus lag raha tha..

Aadi(bina piche dekhe dari si awaj mein): good morning sir…

Piche se: good morning…aj toh kamaal ho gaya tum sirf ek minute
late ho…

Aadi ko laga k uska boss aj toh use kus nahi kehne wala…toh wo
khusi se khada huya aur apne boss ki taraf palta…

Aadi(apne hi flow mein): sir wo kya hai na aj main jaldi uth gaya
tha…is liye jaldi a gaya…

Boss(muskurahat ke sath): toh meri daant aur saja ka asar ho raha


hai…
Aadi: han sir yeh toh hai…

Boss: mujhe yeh jaan kar boht khusi huyi…mujhe tum par garv hai…

Aadi toh pehli baar boss ki aisi batein sun kar boht hi khus lag
raha tha…par uski khusi jyada der na rahi…

Boss: toh Aadi tum aj bhi extra kaam karoge…main nahi chahta k
tum ek mint bhi late raho…

Aadi toh ek dum shock mein tha…akhirkar use aj bhi saja mil hi
gayi…par aj toh wo Alia se milne jane wala tha…par wo boss ko kus
bol bhi nahi sakta tha…

Khair boss use uska kaam bata kar chale gaye…sach mein kaam
boht jyada tha par use pura kaam 5 baje se pehle pura karna tha…
toh wo puri speed se kaam karne laga…

Usne dopehar ko lunch bhi nahi kiya…pura din kaam karne ke baad
usne akhirkar 4:30 tak kaam pura kar hi liya…

Usne boss ko bataya toh boss bhi is baar sach mein impress huye k
itne kam time mein kaam kar liya…

Fir Aadi jaldi se apni bike le kar seedha Alia ke bataye huye
address ki taraf chal pada…

Khair yahan toh wo time se hi pahunch gaya…yeh ek coffee shop


thi…Aadi ne rear mirror mein dekh kar apne baal thik kiye aur
ander chala gaya…

Wahan Alia pehle se hi baithi thi…Aadi ne uski taraf dekha toh wo


boht hi jyada khubsurat lag rahi thi…wo is time ek top aur jean
mein thi…Aadi ki toh ankhein hi wahan atak gayi…
Alia ne jab Aadi ko apni taraf is tarah dekhte paya toh use ajeeb
sa feel huya par usne Aadi ko smile de kar Hath hilaya aur hii
bola…Aadi ne bhi vaise hi jwaab diya aur uske paas ja kar baith
gaya…

Alia: toh tumhara dard kaisa hai…

Aadi: acha hai…tum batao kaisi ho…

Alia: I’m fine…toh pehle coffee order karein…baki batein baad mein
karenge…

Aadi: han sure...

Aadi ne waiter ko bula kar use do coffee ka order diya…

Alia(Aadi ko dhyan se dekh kar): Tumhe dekh kar aisa lag raha hai
aj office se seedha hi aye ho…

Aadi: han yaar boht kaam tha…

Alia: vaise Aadi main tumse ek jaruri baat karna chahti hun…

Alia ne serious hote huye kaha par tabhi Aadi ne Alia ki baat ko
kaat te huye kus kaha…

Aadi: Alia wo black car tumhari hai…

Alia ne Aadi ki najron ka peecha kiya aur wo car dekhi aur bade hi
normal way mein reply kiya…

Alia: han kion…us din tumhe isi mein toh drop kiya tha…

Aadi: yaar bura mat manna but wo fight wale din ghar se ate time
mera yeh car peecha kar rahi thi…yah sayad usi raste ja rahi ho
par mujhe laga k picha kar rahi thi…
Alia: yaar tum meri baat bhi sun lo mujhe isi bare mein baat karni
hai…

Aadi bhi is baar shant ho gaya aur Alia ki Baat seriously sunne
Laga…

Alia: Aadi main tumhe yeh batana chahti hun k Main tum par pichle
kus dino se najar rakh rahi thi…aur jo us din fight Huyi wo bhi
maine hi plan kiya tha…tumhe test karne ke liye…

Bas itna hi sunna tha k Aadi ko boht bada shock laga…use lagne
laga k Sonu usse sahi keh raha tha…Halanki aisa nahi tha k wo Alia
se pyar karne laga ho par ek dost ke roop mein us par bharosa
karta tha…jo sayad boht jaldi hi tut bhi gaya tha…

Use nahi laga tha k itne kam time mein yeh friendship use itna
bada dard degi…

Alia(Aadi ko hilate huye): Aadi…meri baat suno…

Aadi ki ankhon mein achanak ansoo a gaye…usne unko rokne ki


kosish ki par wo rok na paya…aur Ansoo seedha ja kar Alia ke hath
par gira…

Alia ko kus samjh nahi a raha tha K Aadi ro kion raha hai…use acha
bhi nahi lag raha tha k Aadi is tarah ro raha hai…

Alia(Aadi ka hath pakad kar): Aadi kya huya meri baat toh sun lo
pehle…Aadi…

Par Aadi is waqt na toh kus sunne ke mood mein tha aur na hi kus
bolne ke…usne Alia se apna hath chhudwaya aur chup chap uthke
bahar chala gaya…wo ander se is waqt kafi tut chuka tha…

Alia shocked si baithi uski taraf dekhti rahi…use samjh nahi a raha
tha k wo kya react kare…kionk use nahi pata tha k itne kam time
mein Aadi usse itna connect ho jayega…use bhi pata nahi kion par
ab boht bura lag raha tha…tabhi usne apna phone nikala aur kisi ko
call kiya…

Alia(phone par): mere liye yeh kaam asan nahi hone wala…

Update 6
Alia shocked si baithi uski taraf dekhti rahi…use samjh nahi a raha
tha k wo kya react kare…kionk use nahi pata tha k itne kam time
mein Aadi usse itna connect ho jayega…use bhi pata nahi kion par
ab boht bura lag raha tha…tabhi usne apna phone nikala aur kisi ko
call kiya…

Alia(phone par): mere liye yeh kaam asan nahi hone wala…

Ab Age

Samne se kya awaj a rahi thi wo toh mujhe nahi pata par Alia kya
baat kar rahi thi yeh main bata sakta hun…

Alia: han mujhe pata hai k yeh kaam boht jaruri hai…par…

Alia ko samne wale ne sayad isse jyada bolne ka mauka hi nahi


diya…aur khud ki baat boli…

Alia(ajeeb si shakal bana kar): ok sir jaisa ap kahein…main abhi jati


hun…

Fir phone kaat diya gaya…Alia abhi bhi pareshan si baithi thi…use
samajh nahi a raha tha k wo kya kare…

Alia(apne ap se): yaar kahan fas gayi…kaisa Ladka hai yeh Aadi…
life mein pehli baar emotional kar diya…par kaash yeh “HEAD” ko
bhi thode emotions de pata…unhone toh bol diya…Agent A tum life
mein kabhi bhi emotional fool nahi ban sakti…
Alia ne akhri line halki si kisi aur ki awaj mein bolne ki kosish ki…fir
gusse se apne daant peesti huyi khadi huyi aur apni car le kar
wahan se Aadi ke ghar ki taraf nikal padi…

Wo badi teji se Aadi ke ghar ki taraf gayi…use pata tha k Aadi


abhi tak ghar nahi pahuncha hoga…pehle toh usne apni car thodi dur
park ki…aur fir aas paas dekha…wahan koi nahi tha…toh usne apni
pocket se ek chij nikali sayad lockpick tha…aur uski help se lock
khol kar ander chali gayi...

Wo Aadi ka wait karne ke liye idhar udhar ghum kar uska ghar
dekhne Lagi…wo har ek chij ko badi gaur se dekh rahi thi…tabhi
usne Aadi ke bedroom mein jane ka socha…

Fir wo bedroom mein gayi aur aas paas ki chijon ko gaur se dekhne
Lagi…usne time dekha toh Aadi ke ane ka time lagbhag ho gaya
tha…kionk jyada speed ke karan wo karib 5-6 minute pehle pahunch
gayi thi…

Tabhi use door khulne ki awaj ayi aur wo ek curtain ke piche chip
gayi…aur side se dekhne ki kosish karne lagi…

Thodi der baad Aadi room mein enter huya aur door lock kar diya…
Usne apni file Bed par fenki…wo abhi bhi gusse mein lag raha Tha…

Usne apni Shirt nikali aur wo bhi bed par fenk di…aur jaise hi wo
Alia ki taraf palta…toh Alia k munh se wow nikal hi jata par usne
control kiya…aisa nahi tha k usne Kabhi muscular Ladke nahi dekhe
the….par use ek ajeeb si attraction mehsus huyi…khair wo kaam
karne ayi thi toh usne apna dhyan apne kaam ki taraf kiya…

Khair Aadi ne apni pent bhi utari aur apne kapde nikalne ke Liye
sirf underwear mein hi Almira ke paas gaya…Alia ke liye kafi hot
scene tha…ek muscular body wala handsome and hot Ladka uske
samne bina kapdon ke wo bhi band room mein…

Par usne apna dhyan Aadi ki peeth par bane tatoo ki taraf lgaya…
yeh tatoo ek sword ka tha…aur Aadi ke bachpan se tha…par Aadi
ko yeh bilkul bhi pasand nahi tha toh wo na toh khud dekhna chahta
tha aur nahi kisi aur ko dikhata tha…khair Alia ne toh dekh hi liya…
aur use wo kus jyada hi dhyan se dekh rahi thi…

Khair Aadi ne kapde nikale par isse pehle wo palat pata…Alia ne


badi Teji se akar puri majbuti se uske Dono hathon ko piche se
pakda aur use bed par pet ke bal patak diya…Is chakar mein
bichare ke kapde bhi jameen par gir gaye…Aadi ko koi bhi mauka
nahi mil raha tha khud ko chudwane ka…Aur uper se Alia kafi
trained fighter thi…

Aadi(munh dabe hone ke karan awaj bhi dabi si ayi): kon hai?

Alia ne kus nahi bola bas uske hathon ko ek hathkadi lagayi aur use
seedha kar diya…Aadi ke hath uske sharir ke niche dab gaye…Par
jaise hi uska chehra upar ki taraf aya toh wo shocked sa ho gaya…

Aadi(munh fade huye): tum?...

Alia ne han mein sir hilaya…Aadi ko ab Alia par aur bhi gussa a
raha tha…

Aadi(gusse mein): tum mere ghar mein kaise ghusi…aur mujhe kion
bandha…kya chahti ho tum mujhse…

Alia(ek smile de kar): mr. Aadi ab baton ka waqt nahi hai…yeh


batao k tumhari peeth par wo kamaal ka tatoo kahan se banwaya…

Aadi kus nahi kar sakta tha…wo hathkadi kafi majbut thi…aur uske
hath bhi ulti taraf the…toh wo apne ap ko chudwane ki kosish bhi
nahi kar raha tha…sirf Alia ke kus karne ka wait kar raha tha…
Aadi: dekho pehle toh wo tatoo boht bakwas hai…mujhe wo bilkul
bhi pasand nahi…samjh nahi ata tumhe kya acha laga ismein…dusri
baat mujhe nahi pata wo kahan se banwaya…jab tak mujhe sochne
samjhne ka pata chala tab tak toh yeh ban bhi chuka tha…

Alia: matlab Birth mark ki tarah hai…janam se hi…

Aadi(gusse se): wtf…koi tatoo bhi kabhi birthmark hota hai…aur tum
yeh sab kion kar rahi ho…kam se kam kus bata toh do…

Alia: sorry sweetu mere paas itna waqt nahi hai…fir kabhi batein
karenge…mujhe abhi tak coffee bhi nahi pilayi tumne…toh yaad
rakhna…

Aadi isse pehle k kus aur bol pata Alia ne apni pocket se ek
injectiongun nikali aur Aadi ki taraf badha di…

Aadi(chilate huye): yeh kya pagalpan hai…plz chodo mujhe…

Alia(Aadi ke lips par ungli rakh kar): shhh…

Aur Alia ne Aadi ke na chahte huye bhi wo uski arm mein inject kar
diya …aur Aadi ki ankhon ke samne andhera chha gaya…aur wo kisi
gehri neend mein matlab behosh hogaya…

Alia ko bhi acha nahi lag raha tha uske sath aisa karna…par yeh
uska kaam bhi tha aur farz bhi…khair Aadi ke behosh hote hi Alia
ne Uski hathkadi khol di aur Use uske nikale huye kapde pehna
diye…

Fir usne apna phone nikal kar kisi ko call kiya…

Alia: kaam ho gaya Admi bhej do….par jaldi…

Fir Alia ne phone kaat diya…


Kus ghante baad Aadi hosh mein aya usne apni ankhein kholi…aur
dekha k wo kisi cell mein hai…usne hilne ki kosish ki toh apne ap ko
kisi chair se bandha paya…

Aadi(apne ap ko chudwane ki kosish karte huye): koi hai kya…main


kahan hun?...

Par koi nahi aya…Aadi ko life mein pehli baar dar lag raha tha k
sala kahan fas gaya…

Aadi(apne dimag mein): Sonu Bhai sorry yaar…agar teri baat maan
leta toh yahan nahi fasta…

Aadi ko ab apni galti ka ehsas ho raha tha…par ab kya ho sakta


tha…ab toh wo yahan puri tarah se fas chuka tha…

Aadi(puri unchi awaj mein): are yaar kidnap toh kar liya par bata
toh do kya chahte ho mujhse…

Aadi ke kus der aur chilane par Alia wahan ayi…par uske sath ek
admi aur bhi tha…Wo admi black suit mein tha…uski umer karib 50
ke aas paas ki hogi…White skin aur blue ankhein…dekhne mein kafi
shant lag raha tha...aur kmaal ki personality thi us admi ki…

Aadi(un logon ke ate hi): Alia yeh sab kya hai…mujhe chhodo yaar…

Alia kus nahi boli par wo Aadmi hi bola…badi powerful awaj thi…usne
wahan khade guards ko bulaya…

Aadmi(guard ko bula kar): ise kholo aur bahar nikalo…

Update 7
Aadi(un logon ke ate hi): Alia yeh sab kya hai…mujhe chhodo yaar…

Alia kus nahi boli par wo Aadmi hi bola…badi powerful awaj thi…usne
wahan khade guards ko bulaya…

Aadmi(guard ko bula kar): ise kholo aur bahar nikalo…

Ab Age

Us aadmi ki baat sun kar guards aye aur Cell ka door khol kar Aadi
ko chair se khola aur pakad kar bahar laye…

Aadi(un guards ke kabze mein tha): Yeh sab ho kya raha hai…koi
mujhe batayega kya…

Aadmi(Aadi ki baat ko unsuna karke Alia ki taraf dekh kar): A tum


jao aur Agent Q ko bhej do…

Alia: ok Sir…

Fir Alia wahan se chali gayi aur Wo aadmi Aadi ki taraf palta…

Aadmi: kaise ho young man…

Aadi(gusse se): yeh kya majak chal raha hai mere sath…mujhe kus
btaya jayega?

Aadmi(Aadi ke kandhon par hath rakh kar): thoda patience rakho…

Us aadmi ne aisa bol kar Aadi ke kandhe ko thap thapaya…tabhi


Piche se kisi ki awaj ayi…

“Agent Q reporting sir”

Us awaj ka picha karte huye Aadi ne jab us taraf dekha toh wahan
ek usse thodi jyada age matlab koi 30-32 saal ka admi tha…dikhne
mein kafi fit and smart tha…aur puri tarah se high Technology
weapons se Armed tha…

Khair ab tak itna toh pata chal chuka tha k wo pehle wala aadmi in
sab ka boss tha…

Boss(guards se): ise mere cabin mein le ao…Aur Q tum mere sath
chalo…

Yeh bol kar Boss wahan se chal pada aur Q bhi uske piche piche
chal pada…

Guard(Aadi ko): chalo…

Fir Guard Aadi ko lekar usi taraf chal pada jis taraf wo dono gaye
the…Aadi bhi ab chup chap uske sath chala ja raha tha…

Guard use lekar ek Cabin mein chala gaya…wahan boss aur Q pehle
se hi maujud the…Wahan pahunch kar guards ne use chhod diya aur
khud wahan se chala gaya…

Aadi chup chap sa khada tha…use samjh nahi a raha tha k yeh sab
ho kya raha tha…Use jab cell se cabin tak laya gaya toh Usne
wahan kayi cells aur bhi dekhi…

Khair Boss ne Aadi ki taraf dekha…

Boss(Aadi ki taraf dekh kar): Welcome to “H.I.D.E.” “Prince


Kane”…

Aadi toh pehle hi confuse tha uper se ab yeh…kon Hide kon Prince
kahan ka Prince…sala ab toh main bhi confuse ho gaya hun…aur ab
sala yeh Kane kon hai…

Aadi(hairan sa ho kar): Hide? Prince? Kya ho raha hai yeh sab?...

Boss: Don’t worry Q tumhe sab kus samjha dega…

Boss ki baat sun kar Q Aadi ke paas gaya…aur uski taraf hath
badhaya…Aadi ne apna hath nahi badaya balki wo Q ke chehre ki
taraf dekhne laga…

Q: main tumhe khane nahi wala…tum itna toh trust kar hi sakte ho…
akhir main tumhe tumhare bare mein sab btane wala hun…

Aadi ne kus soch kar Q se hand shake kiya…use samajh nahi a raha
tha k uska kidnap kiya gaya hai Yah koi aur baat hai…

Q(chair ki taraf ishara karke): ao baitho hum shuru karein…

Aadi bhi chup chap chair par baith gaya aur Q ki taraf utsukta ke
sath dekhne laga…

Q(Aadi ke samne ek chair par baith kar): Toh pehle jaan pehchan
se shuru karte hain…(apna hath Aadi ki taraf badha kar)Agent Q…

Aadi(apna hath badha kar): Aadi..

Q ne jhat se apna hath piche khinch liya…tumhara real name


batao…

Aadi ne jaise hi uski baat suni toh wo hairani se uski taraf dekhne
laga…

Aadi: yahi mera naam hai…

Q: yeh toh tum ne rakha hai…jo Maa Baap ne rakha tha wo naam
kya hai…

Aadi ko ab Q par gussa a raha tha kionk use yeh bilkul bhi pasand
nahi tha k koi uske parents ki baat kare…

Aadi(gusse se): mujhe nahi pata aur tum yeh pahelian bhujani band
karo saaf puri baat batao…mujhe yahan kion laye ho…

Q: gussa mat ho yaar…main wahi batane ja raha hun…pehli baat toh


yeh k tum koi anath nahi ho…dusri baat yeh k tum yahan hamari
marji se nahi…tumhare Baap ki marji se aye ho…

Aadi ke liye isse badi shocking news koi nahi thi…ab use boht hi
ajeeb feel ho raha tha…k yeh sab kya ho raha hai…ab uska Baap
kahan se a gaya…

Aadi: tum log yeh kya majak kar rahe ho…kabhi mere uper hamla
karte ho…kabhi kidnap karte ho ab mere Baap ka naam le rahe ho…

Q: Aur hum sab kus soch samajh kar hi karte hain…wo hamla tum
par isi liye huya tanki ek baar dekh sakein k tum tyar ho ya nahi…

Aadi: kis chij ke liye tyar…Chalo chhodo agar tum mujhe jante ho
toh pehle yeh batao mera naam kya hai…mera Baap kon hai…aur
apne Baap ke hote huye main Anath ashram mein kion pala…aur agar
mujhe unhone chhod hi diya tha toh ab mujhse kya chahte hain…

Q: Main samjhta hun k tumhare swaal boht important hain par in


sab se badi baat koi aur hai…jo sayad main bhi nahi janta…aur wahi
batana sabse jaruri hai…toh kya tum ab shanti se meri baat
sunoge…

Aadi ne kus nahi kaha use bas apne bare mein sab kus janna tha
toh usne han mein sir hila diya…

Q(Boss se): sir ab ap ise sab kus bata sakte hain…kionk ap sab kus
jante hain…main toh abhi apse jana hun sab…

Yeh bol kar Q wahan se chala gaya aur kamre mein sirf Boss aur
Aadi hi bache…

Boss(Aadi ke paas ake): Pehle toh bata dun k darne ki jarurat


bilkul nahi tum yahan safe ho…aur tumhara koi kidnap nahi huya
hai…yeh H.I.D.E. hai aur main yahan ka head hun…

Aadi: hide?
Head: han H.I.D.E. Headquarter of International Defense and
Espionage…Yeh ek aise sanstha hai jo pure earth ki suraksha aur
uske bare mein choti se badi jankarion ka khyal rakhti hai….aur
kabhi kabhi dusre planets aur galaxies se bhi samparak karti hai…
taki hamara planet safe reh sake…

Aadi ke liye yeh planets aur galaxies ki batein soch se pare ki thin
toh wo sirf hairan ho raha tha…

Head(Aadi ke chehre ke expression dekh kar): mujhe pata hai


tumhare liye yeh sab batein abhi boht ajeeb hai…par ab jo main
tumhe batane ja raha hun usse ajeeb kus nahi ho sakta tumhare
liye par I hope k tum ise samjhne ki kosish karoge…

Head ne apni baat puri ki aur ek baar Aadi ki taraf dekha aur bina
uske jwaab ka wait kiye bolna shuru kiya…

Head: tumhara naam “Kane Henliff” hai…tumhare pita “Lord Steve


Henliff” ek alag galaxy ke planet “Arenous” ke King hain…

Head ne apni baat badi sarlata se bata di uske liye yeh koi badi
yah ajeeb baat nahi thi…par Aadi ke liye yeh ek bure sapne jaisa
tha…jiski life itni simple thi achanak uski life kisi bhul bhulaya se
kam nahi lag rahi thi…agar head ki baat sahi thi toh iska saaf
matlab yeh tha k wo ek alien hai aur jinke sath wo aj tak reh raha
tha wo sab uske liye aliens hain…vaise toh uske munh se shabad
nikal nahi rahe the par usne himmat karke bola…

(Ab jab humein Aadi ka real name pata chal gaya hai toh ab se
wahi use karenge…)

Kane: agar tum sach bol rahe ho toh main yahan kaise aya aur ab
tum log mujhe yahan kion laye ho…
Head(ek gehri saans le kar): yahi sabse aham baat hai…aur isi baat
ke uper Hamare aur tumhare planet dono ka future nirbhar karta
hai…

Update 8
Kane: agar tum sach bol rahe ho toh main yahan kaise aya aur ab
tum log mujhe yahan kion laye ho…

Head(ek gehri saans le kar): yahi sabse aham baat hai…aur isi baat
ke uper Hamare aur tumhare planet dono ka future nirbhar karta
hai…

Ab Age

Jab head ne yeh baat kahi toh uske chehre par gambhirta thi…jise
Kane ne bhi badi asani se padh liya…

Kane: kya main ismein kus kar sakta hun…

Head: sayad tum hi kus kar sakte ho…

Kane: akhir aisi konsi baat hai…

Head: yeh koi chhoti baat nahi hai…yeh ek jung hai jo karib 23 saal
pehle shuru huyi…

(Toh dosto ab hum flashback mein jayenge aur wo kahani janenge jo


is story aur Kane urf Aadi ki life ka sabse important part hai…)

Karib 23 saal pehle H.I.D.E. mein sabhi log apna apna kaam kar
rahe the Tabhi sab kus hilne laga jaise koi earthquake aya ho…

Head(yahi wala tha par us waqt thoda jwaan tha): kya ho raha hai…
sab hil kion raha hai…
Abhi head ne apni baat puri ki hi thi k tabhi ek tufaan aya aur ek
Aadmi pata nahi kahan se wahan a gaya…

Uske ate hi sab normal huya aur sabne uski taraf dekha…wo apni
bhesh bhusa se kahin ka King lag raha tha…Uske hath mein ek
Chamakdar Sword thi aur sath ek 2-3 saal ka bacha…Hide ke
soliders ne use puri tarah se gher liya …

Head(jor se): kon ho tum aur yahan kaise aur kion aye ho…

Shaks(raubdaar awaj mein): Lord Steve Henliff naam hai mera…


Sabse takatbar warriors ke planet Arenous ka King hun…

Head: toh yahan kion aye ho…

Steve: ek sauda karne…

Yeh bol kar Steve age ki taraf badha…tabhi guards uske raste mein
a gaye…

Head: ane do unhein wo hamare mehmaan hain…bhale hi bin bulaye


hain(yeh baat head ne halke se kahi)…

Head(respect ke sath): Hamare planet par apka swagat hai Lord…

Steve(usi tarike mein): Shukriya….toh hum log jara akele mein baat
kar sakte hain…

Head: han kion nahi aiye mere sath…

Uske baad Head use lekar apne cabin mein chala gaya aur baithne
ko kaha aur khud bhi baith gaya…

Head: toh ab bataiye kya baat karni hai…

Steve: ek sauda karna hai hamare planet ke future ke badle mein


apke planet ke bajud ka…
Head ne jaise hi Steve ki baat suni toh wo gusse se bhar gaya…

Head(halke gusse ke sath): ap hamare planet mein khade ho ke


hamein hi dhamka rahe hain…

Steve(halka muskura kar): dhamka nahi raha bacha raha Hun…nahi


toh mera Bhai is planet ke sath sath pure universe ko tehas nehas
kar dega …takat ne use andha kar diya hai…

Head(swaliya najron se dekh kar): yahan tak maine apke planet ke


bare mein suna hai ap sabse takatwar yodha ho…uper se ap wahan
ke King…toh fir hum insano ki madad ki apko kya jarurat…

Steve: kionk tum insano ki jarurtein bhi wahi hain jo hamari hain…
asal mein Earth aur Arenous bhale hi alag galaxies ke alag planet
hon…par dono ke log unki jarurtein wahan ka atmosphere sab same
hai…hamein bhi oxygen pani aur khana chahiye…bas farak itna hai k
hum science aur physical strength ke mamle mein tum logon se boht
age hain…

Head: main sab janta hun par in sab ka apke Bhai ko rokne se kya
lena dena…

Steve(bache ki taraf dekh kar): yeh mera eklauta beta hai Arenous
ka waris Kane Henliff…main ise yahan chhodna chahta hun…Tum
logon ko iska khyal rakhna hoga…badle mein main apke planet ke
teleporter ko band kar sakta hun taki mera Bhai kisi aur planet par
ja na sake…

Head: apki baat sahi hai…par kya ap use rok yah khatam nahi kar
sakte…

Steve: wo kafi takatwar hai uper se Ajaad hai jabki mujhe Pure
planet ka khyal rakhna hai…usne kafi badi ginti mein hamare faujion
ko bhadka diya hai aur baghawat kar di hai…agar usne meri talwaar
mujhse cheen li toh pure universe ko khatra hai…isliye main ise
yahin chodke ja raha hun taki wo iske bina teleporter ko use na kar
sake…

Yeh bol kar Steve ne apni talwar jameen mein gaad di…

Steve: ab mujhe jana hoga…bas tum yeh yaad rakhna k yeh talwaar
sirf wahi utha sakta hai jo iska waris hoga…aur han ek baat aur
mere wapis jate hi Hamare teleporter ka bridge hamesha ke liye
band ho jayega…par agar is talwar ka istemal karke koi hamare
planet par jata hai toh bridge fir se khul jayega…aur Mera Bhai
tumhare planet par a sakta hai…par mujhe umeed hai k tum apne
planet ke sath sath mere planet ka bhi khyal rakhoge…main bade
bharose ke sath tumhe apna beta aur yeh talwar saunp raha hun…
yeh mere planet ka bhabisya hai…aur ab yeh tumhare hath mein
hai…mujhe umeed hai k tum mujhe nirash nahi karoge…

Steve ne bas itna hi kaha aur wo wahan se ek baar fir tez tufaan
ke sath chala gaya…aur apne bete aur talwar ko wahin chhod gaya…

(Ab present mein)

Kane puri baat bade dhyan se sun raha tha…use samjh nahi a raha
tha k wo apne pita par use chodne ke liye gussa ho yah pure
universe ko bachane ke liye unki di huyi kurbani par garv mehsus
kare…

Kane(bhari gale ke sath): toh mere parents jinda hain…

Head(Apne kandhe uchka kar): pata nahi…but I hope k wo jinda ho…

Kane: toh ab tum mujhe yahan kion laye ho kya chahte ho mujhse…

Head: tumhe tumhari amanat dene ke liye…taki main tumhare pita


ke ehsan ka badla chuka sakun…

Kane: matlab?

Head: ao mere sath…

Kane uth kar Head ke sath chal pada aur wo use usi room mein
maujud ek chote se kone mein bani huyi char dibari ke paas le
gaya…head ne uska door khola toh Kane ki ankhein fati ki fati reh
gayi…

Kane(hairani ke sath): bilkul aisa tattoo meri peeth par hai…

Head(Kane ki taraf dekh kar): bilkul sahi kaha kionk tum iske waris
ho…yeh tumhari amanat hai…

Kane: kya ise koi aur aj tak nahi nikal paya…

Head: nahi …vaise han maine kosish ki thi par ise chhuna bhi muskil
hai…bada jor ka shock lagta hai…

Head yeh bol kar muskura diya…aur sath mein Kane bhi…Asal mein
samne ek talwar padi thi…boht chamakdar…boht hi khubsurat…

Kane: par apko yakeen hai k main ise nikal sakta hun…

Head: han tumhare bina koi ise chu tak nahi sakta…

Kane: par agar main ise na nikal paya toh…

Head: aisa nahi hoga par agar aisa huya toh tum apne ghar ja
sakte ho…

Kane(ek lambi saans lekar talwar ki taraf badhte huye): thik hai…
kosish karta hun…

Yeh bol kar Kane us talwar ki taraf badha aur darte huye apna
right hand uski taraf badhaya…

Usne jaise hi hath talwar ko lgaya toh ek jordar shock laga aur
Kane piche ki taraf uchal pada…aur seedha ek deewar se ja
takraya…

Update 9
Yeh bol kar Kane us talwar ki taraf badha aur darte huye apna
right hand uski taraf badhaya…

Usne jaise hi hath talwar ko lgaya toh ek jordar shock laga aur
Kane piche ki taraf uchal pada…aur seedha ek deewar se ja
takraya…

Ab Age

Kane ko kafi chhot lagi…uski peeth mein boht tez dard huya…aur
uske munh se ek ahh nikal gayi…Head bhi yeh najara dekh kar
ghabra gaya…aur daud kar Kane ke paas gaya…

Head: Kane tum thik ho na…

Kane(dard bhari awaj mein): boht jor se dard ho raha hai…lag raha
hai koi haddi tut gayi…

Head(Kane ko khada karne ke liye pakad kar): kus nahi huya…tum


khade ho jao…main doctor ko bulata hun…

Kane bhi head ki help se khada huya aur wo use ek akag room mein
le gaya yahan ek bed laga huya tha…usne use wahan letne ko kaha…

Aur usne doctor ko bulaya…doctor bhi Hide ka apna hi tha… usne


Kane ka pura checkup kiya…

Head: ise kya huya hai…


Doctor: kus nahi huya hai…bas halka shock ki wajah se hai…thodi
der mein khud thik ho jayega…

Head: ok ab tum jao aur Agent A(alia) ko bhej dena…

Doctor wahan se chala gaya…Head Kane ke paas bed par baith


gaya…

Head(Kane ki taraf ghur kar): tumne talwar kion nahi nikali…

Kane(apni najrein side karke): tumme dekha nahi mujhe kitna jor ka
jhatka laga…main use nikal nahi paya…

Head: dekho pichle 30 saal se hide ka head hun…tum abhi bache


ho…mujhe sab pata hai k jhatka laga hai yah lagwaya hai…

Kane(head ki taraf dekh kar): Kya kehna chahte ho tum…

Head: dekho mujhe sab pata hai k tum us sword ko nikalna hi nahi
chahte the…vaise agar chaho toh tum sab bata sakte ho…sayad
main tumhari koi help kar sakun…

Kane head ki taraf dekha jo use hi ghur raha rha tha use itna toh
pata chal hi gaya tha k head se koi baat chupana asaan nahi hai…
toh use sab sach batane ka faisla kiya…

Kane(ek gehri sans leke): jab main sword ke karib gaya toh mujhe
apne planet ki puri halat ka andaza ho gaya…mere chacha ne mere
parents ko jail mein daal diya hai aur khud ko King declare kar diya
hai…isliye maine wo sword nahi nikali…

Head(hairani ke sath): par kion? Tum sword ke help se apne planet


par teleport kar sakte ho…aur apne planet aur apne parents ko
bacha sakte ho…
Kane: par isse yahan ka khatra badh jayega…uske sath boht
takatwar saina hai…aur agar main wahan teleport karta hun toh
interglacial bridge dobara open ho jayega…aur tum bhi jante ho k
iske baad kya ho sakta hai…

Head: yahan ki responsibility meri hai main sab sambhal lunga…tum


sirf apne planet ka socho…

Kane(hans kar): yeh tum bhi jante k us jalim Lord ka samna na toh
main kar sakta hun aur na hi tum log…wo hamari soch se kahin
jyada powerful hai…wo isi baat ke intzar mein hai k wo kab yahan a
sake aur apna kabza yahan jama sake…

Head(kus soch kar): thik hai yeh tumhari marji hai par main har
keemat par tumhare pita ka ehsan chuKane ko tyar hun…chahe
mujhe apni jaan hi kion na deni pade…par mujhe yakeen nahi hota k
us takatwar aur himmat wale sakhs ka eklauta beta itna bujdil hai…

Head ki baat sun kar Kane ne koi jwaab nahi diya…aur kamre mein
kus der snaata hi raha…thodi der baad Alia room mein enter huyi…

Alia: Agent A reporting sir…

Head: A tum ise iske ghar chhod do…ise aram ki sakhat jarurat
hai…

Yeh bol kar Head wahan se chala gaya aur Alia halke se chalkar
Kane ke paas gayi…wo thoda guilty feel kar rahi thi…isliye wo apni
ankhein Kane se nahi mila pa rahi thi…

Alia(Kane ke paas jakar halki awaj mein): Sorry Aadi…main majbur


thi…

Kane: its ok yaar…main samajh sakta hun…har kisi ki koi na koi


majburi hoti hai…aur abhi yeh baat mujhse behtar kon samajh
sakta hai…

Alia: thanks Aadi samjhne ke liye…

Kane(halka sa muskura kar): Samajh hi toh nahi Pa raha hun…khair


ghar chhodne chalo gi…

Alia(ek smile ke sath): han Par coffee pilani padegi…

Kane: ok…par plz is baar wo injector mat leke jana sath mein…

Is baat par wo dono hi muskura pade…Fir Alia ne Kane ko shara


diya aur use lekar bahar gayi…fir usne use ek lift mein chdhaya aur
uper jane lagi…

Kus time baad lift ka door khula aur wo log ek Registan(desert)


mein the…aas paas kus bhi nahi tha…sirf ret hi ret…Kane ko abhi
abhi itne jhatke lage the k ab use koi hairani nahi ho rahi thi…khair
wo lift bhi ab us ret ke ander chali gayi aur uska bhi koi namo
nishan nahi tha…

Kane(normal se way mein hi): kya hum abhi thik iske niche the…

Alia: han ab chalein…

Kane(aas paas kus na dekh kar): paidal jana padega kya…

Alia: nahi driver a raha hai humein lene…(ek taraf ishara karke)wo
dekho a gaya…

Tabhi ek gadi unke paas ake ruki aur Alia ne Driver se car ki keys
li…driver wahin utar gaya aur Alia Khud driver seat par baith gayi…
Kane bhi car mein baitha aur wo dono Kane ke ghar ki taraf chal
pade…

Kane car mein baith apne hi ap se deemag mein batein kar raha
tha…

Kane(apne man mein): yeh sab kya ho raha hai…pehle mera Hide
mein jana…fir meri asliyat ke bare mein pata chalna…aur ab itna
majbur hun k apne parents ko chah kar bhi us jalim se nahi
chhudwa sakta…kahin na kahin Us(head) ki baat bhi sahi hai k main
bujhdil hun…par kya main itna kabil hun k dono planets ko bacha
sakun…akhir mere pita ne pure universe ke liye apne bete ko apne
se dur rakha…toh main kaise sirf apne bare mein soch sakta hun…

Sach mein Kane ke deemag mein boht udhed bun chal rahi thi…khair
usne ab sab waqt Par hi chhod diya…akhir swaal sirf uske parents
yah uske planet ka nahi tha…

Update 10
Sach mein Kane ke deemag mein boht udhed bun chal rahi thi…khair
usne ab sab waqt Par hi chhod diya…akhir swaal sirf uske parents
yah uske planet ka nahi tha…

Ab Age

Khair kafi lambe safar ke baad Kane ka ghar a gaya…aur Alia ne


uski chalne mein help ki…Dono hall mein hi sofe par baith gaye…

Alia: main coffee bana kar lati hun…

Kane(khade hote huye): nahi main bana deta hun…

Kane yeh bol kar kitchen ki taraf jane laga tabhi Alia ne uska hath
pakad liya…Aur Kane ne palat kar uski taraf dekha…

Alia: aise kya dekh rahe ho chup chap baitho…main bana lungi…

Kane: par…
Alia(use beech mein hi tokte huye): par war kus nahi…main bana
lungi…

Kane: ok…but tumhari help kar dunga…saman bata dunga…toh sath


mein chalta hun…

Alia(ek smile dekar): han sahi kaha…chalo…

Fir dono kitchen mein chale gaye aur Alia ne Kane ki help se pura
smaan nikal liya…aur coffee banane lagi…

Alia(apna kaam karte huye): vaise ek baat puchun bura toh nahi
manoge…

Kane: han pucho…

Alia: wo head ne tumhe kion uthwaya tha aur tumse kya baat ki aur
yeh chhot kaise lagi tumhe…kya unhone tumhe mara…

Kane ne jab Alia ke itne sare swaal sune toh wo muskuraye bina na
reh saka…

Kane: yaar itne sare swaal ek sath…

Alia(apni jeebh nikal kar): oh sorry…

Kane: its ok…par tumhe sach mein kus nahi pata kya…

Alia: nahi mujhe kus nahi pata…nahi toh main tumse kion puchti…

Kane: ok bata deta hun…mera bhi thoda man ka bojh halka hoga…
pata nahi tum believe karogi yah nahi…

Alia: vaise HIDE mein kaam karte waqt kayi impossible si aur
unbelievable chijein dekhi hain toh main samjh sakti hun…

Alia ki baat sun kar Kane ko bhi laga k Alia uski baat ache se
samajh sakti hai toh usne shuru se lekar ant tak puri baat Alia ko
bata di…

Alia bade dhyan se sun rahi thi aur wo jaise jaise sun rahi thi uski
hairani aur utsukta badhti hi ja rahi thi…par wo sath mein apni
coffee tyar karke cups mein daal chuki thi…

Kane ki baat jab khatam huyi tab tak wo dono sofe par baithe
coffee pi rahe the…Kane ki baat puri hote hi ek baar puri tarah se
khamoshi fail gayi…par jaldi hi Alia ne is khamoshi ko toda…

Alia: toh tum orphan nahi ho…aur tumhara name Kane Henliff hai…

Kane(han mein sir hilate huye): han abhi abhi pata chala hai…

Alia(kus sochte huye): mujhe baki baat toh samajh mein a gayi par
ek baat samajh mein nahi ayi k jab tumhare paas apne ghar jane ka
mauka tha toh tumne wo talwar nikali kion nahi…

Kane ne jab Alia ki baat suni toh wo udaas ho gaya…

Kane(sad si awaj mein): Alia mujhe kus ghante pehle tak apne Maa
Baap ka kus pata nahi tha kam se kam is baat ki tassali thi k mera
koi nahi hai…par ab jab mujhe yeh pata chala k mere bhi Maa Baap
hain toh main itna majbur hun k unhein chah kar bhi bacha nahi
sakta…kionk agar main unhein bachane ke liye wahan gaya toh
Bridge khul jayega aur mera jalim chacha har taraf tabahi macha
dega…aur mere pita ki 23 saal pehle di huyi kurbani barbaad ho
jayegi…

Yeh bolte huye Kane ka man bhar aya…uska gala bhari ho gaya aur
ankhein nam…use baar baar apne Maa Baap ka jail mein band hona
dikhayi de raha tha…Kane ke lakh kosish karne ke bawjud ansoo beh
hi nikle…
Alia se bhi yeh sab dekha na gaya…halanki Agency ki training aur
kaam ne use kafi strong bana diya tha…par wo Kane se ek lgaaw
mehsus karne lagi thi is liye use dukhi dekh uski bhi ankhein bhar
ayi…

Alia ne age badh kar Kane ko hug kar liya aur uske balon ko
sehlane lagi…

Kane(rote huye): main kayar hun…main dar gaya…

Alia: nahi tum kayar nahi ho…koi kayar bhala itna bada decision
kaise le sakta hai…tumne sabit kar diya hai k tum mein tumhare
pita ka khoon hai…jis tarah unhone pure universe ko bachane ke liye
tumhe apne se dur rakha…vaise hi aj tumne bhi ek kathor faisla liya
hai…isliye ab ro mat plz…

Alia ne Kane ka chehra uper uthaya aur use gaur se dekhne lagi…
Kane ki ankhein band thi aur un mein se ansoo gir rahe the…Alia ko
pata nahi achanak kya huya k wo khud wa khud Kane ki taraf
badhti chali gayi aur uske honth bilkul Kane ke honthon ke kareeb
pahunch gaye…

Alia ka dil joron se dadhak raha tha yeh pehla mauka tha uski life
mein jab wo kisi ke itna kareeb thi…usne apni ankhein band ki aur
apne honth Kane ke honthon se mila diye…

Kane ko jaise hi apne hothon par kisi mulayam aur gili chij ka ehsas
huya usne jhat se apni ankhein kholi…aur use shock sa laga jab usne
Dekha k Alia use kiss kar rahi hai…

Kane jhatke se Alia se dur huya aur Sofe se khada ho gaya…

Kane(halke gusse se): Alia yeh kya badtameeji hai…

Alia par Kane ke chillane ka koi asar nahi huya…wo toh jaise Ek
alag hi duniya mein khoyi huyi thi…

Kane(Alia ke kandhon ko jhanjodte huye): Alia…main tumse baat kar


raha hun…yeh sab kya hai…tum pagal ho gayi ho kya…

Alia ko jaise hosh sa aya aur wo bhi Sofe se khadi ho gayi…aur


apna sir jhuka kar himmat karke boli…

Alia: I'm sorry Kane…but jab se tumhe pehli baar dekha hai tab se
bolna chahti thi…par meri duty mujhe roke huye thi…par aj main
khud ko tumhare itna kreeb pa kar rok nahi payi…I love you…par
mujhe pata hai k tum mujhse pyar nahi karte maine tumhari jasoosi
jo ki thi…tum meri wajah se roye the…

Yeh sab bol kar Alia boht emotional ho gayi aur wo wahan se bhag
jana chahti thi…Kane bhi shocked sa khada tha...uske dil mein bhi
Alia ke liye ek alag jagah thi…sayad yahi wajah thi k wo us din itna
roya tha…Uper se aj wo emotional tha toh use Alia ka sath acha lag
raha tha…use uska is tarah hausla dena acha laga…aur wo usse
emotionally connected sa ho gaya…

Kane thoda sambhal pata isse pehle hi Alia wahan se bahar ki taraf
tez kadmon se chal padi…Par jaise hi usne use jate huye dekha toh
wo bhi uske piche chal pada…

Kane(Alia ka hath pakad kar): Alia tum janti ho na main ek alien


hun…

Alia(apne ansoo poch kar): mujhe is chij se koi farak nahi padta…

Kane: ho sakta hai main kal ko apne planet wapis chala jaun…toh bhi
tum mujhse pyar karogi?

Alia: main hamesha tumhara intzaar karungi…par tum nahi toh koi
aur bhi nahi...
Kane(Alia ke Galon ko apne hathon mein tham kar): tumhe pata hai
main bhi tumse boht pyar karta hun…

Alia(rote huye): tum mera dil rakhne ke liye bol rahe ho…

Kane: sach mein…I love you…

Alia(apne ansoo puri tarah se saaf karke): sach mein na…mujhse


badla toh nahi le rahe…

Kane: sach mein…I really love you…

Alia ne jhat se Kane ko hug kar liya…wo dono boht khus the…Kane
bhi kus pal ke liye apni pareshani bhul sa gaya…par tabhi Alia ne
khud ko sambhala aur Kane se alag huyi…

Alia: agar tum mujhse pyar karte ho toh meri baat manoge?

Kane: han kion nahi…main kus Bhi karunga…

Alia: fir tum apne planet jaoge aur apne planet ki raksha karoge…
Tumne yeh sahi socha k tum universe ko khatre mein nahi daal
sakte…par yeh nahi socha k tumhare papa ne tumhe yahan kion
bheja?...kionk wo chahte the k ek din tum apne planet ko bachao
aur ek asli Arenous Warrior hone ka sabut do…tum Pure universe ko
bachane ke liye paida huye ho…khud par bharosa karoge toh koi
takat tumhe hara nahi sakti..Main tumhara sath dungi…I love you
Kane…Abhi main chalti hun…tum soch samajh kar decision lena…

Yeh bol kar Alia ne Kane ke hontho ko halka sa chuma aur wahan se
chali gayi…Kane wahin khada Use jate dekhta raha…

Kisi ne sach hi kaha hai k pyar se badi koi takaat nahi…aj Kane ko
Alia ke sache aur Selfless pyar ne ek nayi takaat di…uski baat ne
Kane man mein chal rahi confusion ko dur kar diya…ab uske dil mein
koi dar nahi tha…uske ander soya huya “Arenous” ka Warrior Prince
jaag utha…

Usne apne pita ko yaad kiya aur Alia ke piche bahar ki taraf
bhaga…Alia car mein baith chuki thi…Kane yeh dekh kar Alia ki car
ke samne ja kar khada ho gaya...

Alia(window niche karke): kya huya ab?

Kane: lift dogi kya…

Alia: kahan jana hai…

Kane: HIDE…

Kane ki baat sun kar Alia ke chehre par muskurahat a gayi…Aur


usne car ka door khol diya…Kane bhi Alia ki taraf muskura kar
dekha aur daud kar Car mein baith gaya…

Update 11
Alia: kahan jana hai…

Kane: HIDE…

Kane ki baat sun kar Alia ke chehre par muskurahat a gayi…Aur


usne car ka door khol diya…Kane bhi Alia ki taraf muskura kar
dekha aur daud kar Car mein baith gaya…

Ab Age

Kus time ke baad Dono HIDE pahunch gaye…Alia use seedha Head
ke cabin mein leke gayi…

Alia: Agent A reporting sir…Kane apse kus baat karna chahta hai…

Head ne Kane ki taraf dekha…Wo samajh chuka tha k Kane wapis


kion aya hai…
Head(muskura kar): ab toh koi jhatka nahi lagega na…yah fir pehle
hi doctor bula lun…

Kane: nahi ab iski koi jarurat nahi…

Head(Alia ki taraf dekh kar): ok A tum bahar jao…humein kus


jaruri kaam hai…

Head ki baat sun kar Alia wahan se bahar jane lagi…par Kane ne
uska hath pakad liya…

Kane(Head se): Alia yahin rahegi…ise sab pata hai…

Kane ki baat sun kar Head ne ek baar Alia ki taraf dekha aur fir
Kane ki taraf dekh kar bola…

Head(chair se khade ho kar): Ok mujhe koi problem nahi…ao fir


kaam shuru karein…

Fir Head dobara Sword ke paas gaya uske sath sath Kane aur Alia
bhi gaye…Alia ne jab us sword ko dekha toh uski ankhein khuli reh
gayi…

Alia(Hairan hote huye): Kitni khubsurat hai…Kitni chamak hai


ismein…

Head: toh Kane ab nikalo ise…baki batein baad mein…

Kane ne lambi saans li…aur Sword ke paas gaya…usne Apne pita ko


yaad karte huye Sword ko hath lgaya is baar use kus bhi nahi
huya…

Iske baad usne apne dono hathon se Talwar ko pakda…aur apni puri
takat ke sath use khinchne laga…uska body temperature dhire dhire
badhne laga…usko pasina ana shuru ho gaya…
Kane ne apni puri jaan laga di…Tabhi Ekdum se Pura atmosphere hi
change ho gaya…kale ghane badal ghir aye…taz hawayein behne
lagin…bijli chamkne lagi…Aur God har tarah se jaise apni khusi byan
kar raha tha…

Tabhi Ek tez dahad lagate huye Kane ne Wo talwar nikal li…Par wo


itna weak feel kar raha tha k wo wahin apne ghutno ke bal gir
pada…Aur jor jor se hamfne laga…

Yeh dekh kar Head aur Alia jo side mein khade sab dekh rahe the
daud kar uske paas gaye…

Alia(Kane ke paas baith kar): Are you ok?...

Kane(hamfte huye): han main bilkul thik hun…bas aisa lag raha hai
jaise boht garmi ho aur pasina bhi boht a raha hai…

Head(Thodi pareshani ke sath): Oh shit…lagta hai iska blood


pressure high ho raha hai…Main abhi doctor ko bulata hun…Kane
tum talwar ko yahin chhod do...

Kane(Alia ka hath pakad kar): Alia ab mera sir boht bhari lag raha
hai…tum log plz mere Dost Sonu ko bula loge…

Head(Kane ki taraf mud kar): Kane tum bhi yeh jante ho yeh ek
secret jagah hai…yahan koi bhi common man nahi a sakta…

Kane: plz wo mera eklauta dost hai Use bula do…uski responsibility
main leta hun…

Head(man maar kar): ok thik hai…ab main doctor ko bula lun…A tum
iska khyal rakhna…

Yeh bol kar Head wahan se chala gaya….aur Kane bhi dhire dhire
apni akhein band karne laga aur wo Behosh ho kar Alia ke kandhe
par gir pada….
Doctor ke ane par Use utha kar bed par le jaya gaya aur doctor ne
uska checkup kiya…

Doctor: Kane ki impulse rate aur BP badh gayi hai…sayad Yeh sword
ek energy source hai aur ise pakadne wala insan usse energy
observe karta hai…par yeh energy itni jyada hai k isse hamare
internal system par boht jyada pressure padta hai….sayad yahi
wajah thi k koi aur ise chhu nahi sakta tha…

Head: han maine pichle 23 saal mein iske bare mein boht research
ki hai…aur pata chala hai k ismein boht sari supernatural power hain
aur Arenous ke scientists ne iski power mein ijafa kiya hai…aur
Kane ko iska istemal seekhna hoga…

Alia(chintit hokar): doctor yeh kab tak thik hoga…

Doctor: jaldi hi iska BP normal hone par thik ho jayega par is sword
ki powers ke use mein abhi humein boht careful hona padega kionk
abhi Kane Physically aur mentally prepare nahi hai…khair abhi ise
aram karne do…

Head(Alia se): tum tab tak iske Dost ko le ayo…use kus btana mat
agar jyada deemag khaya toh behosh karke utha lana…ek Agent ko
apne sath le Jao…

Alia(head se): ok sir…main jati hun…

Yeh bol kar Alia wahan se chali gayi aur Head bhi Kane aur us
Talwar ke bare mein jyada janne ke liye doctor ke sath chala
gaya…

(Khair wo talwar abhi bhi yahan Kane ne chhodi thi wahi giri padi
hai kionk koi aur toh use utha nahi sakta tha…)

(HIDE ki laboratory)
Doctor(Kane ke blood sample ko test karte huye): Vaise Kane mein
immunity kafi badh chuki hai…par is sword mein Kafi jyada
electrical aur nuclear force hai…aur ise control karna asan nahi…

Head(Chair par baithe huye): Vaise manna padega Arenous ke logon


aur unke deemag ko…

Doctor: han yeh toh hai…khair humein Kane ko roj thoda thoda
Itemal karwana hoga…nahi toh uski body itni Power sambhal nahi
payegi…par mujhe hairani is baat ki hai k Uski immunity level aur
uski physical strength hum insano se 10 guna hai…toh jo log wahan
rehte hain wo kitne takatwar honge…

Head: isi liye toh mujhe chinta hai k Hum uske chacha aur uske
sipahion ka samna kaise karenge…par karna toh hoga hi…23 saal
pehle Lord Steve ne humein us jalim se bachaya tha toh hamara bhi
farz banta hai…

Doctor: iske liye toh apko HIDE scientists yah Q ki help leni padegi
taki Hum log apne weapons mein kus sudhar kar sakein…

Head: han main bhi yahi soch raha tha…main abhi meeting bulata
hun taki koi strategy tyar ki ya sake…yeh jung itni asan nahi hogi…

Yeh bol kar Head wahan se uth kar chala gaya…

Update 12
Head: han main bhi yahi soch raha tha…main abhi meeting bulata
hun taki koi strategy tyar ki ya sake…yeh jung itni asan nahi hogi…

Yeh bol kar Head wahan se uth kar chala gaya…

Ab Age
Head ne Q ko meesage diya k wo Head ke cabin mein aye…thode
time baad Q wahan a gaya…

Q: Agent Q reporting sir…

Head: Q tumhe pata chal hi gaya hoga k Kane ne talwar nikal li


hai…

Q: han sir…

Head: toh ab uski training shuru ki jayegi…main chahta hun k


hamare Training area ko puri tarah se khali kar diya jaye…

Q: main abhi karwata hun sir….

Head: aur han jab Kane ko hosh a jayega toh hamare sabhi main
officers aur Scientists ki meeting arrange karo…

Q: don’t worry sir sab ho jayega…

Fir Q wahan se chala gaya udher Alia Sonu ki dukaan par pahunch
gayi…

Alia: Tum hi ho na Sonu…

Sonu: han aur maine tumhe kahin dekha hai ek mint tum toh wahi
Ladki ho na…tumne mere Dost Aadi ko kahin dekha hai kya…wo Kal
se dikhayi hi nahi diya…

Sonu ke itna jyada bolne se Alia pareshan ho gayi aur usne Apni
pocket se ek spray pump nikala aur Sonu ke face par spray kar diya
jisse Sonu behosh ho gaya…

Alia ne dusre Agent ki help se use utha kar car mein dala aur HIDE
le gaye…

Tab tak Kane ko bhi hosh a gaya tha…Sonu ko Kane ke paas ja kar
chhod diya gaya…use raste mein hi hosh a gaya tha…aur wo boht
chilaya…par uski kisi ne ek na sunu…use wahan chhod kar Alia wahan
se chali gayi aur ab wahan sirf Kane aur Sonu hi the…

Par jab usne Kane ko aise bed par pada dekha toh wo pareshan ho
gaya aur usko boht gussa ane laga…

Sonu(gusse mein chilate huye): salo kamino mere Bhai ki aisi halat
kisne ki…sab ko fod dalunga…kamine kahin ke…

Kane(muskura kar): are Shant gadadhari bheem…in logon ne kus nahi


kiya...ulta yeh toh mujhe thik kar rahe hain…tu yahan a mere paas
tujhe sab btata hun…

Kane ki baat sun kar Sonu Shant ho jata hai…aur Kane ke paas
jakar uske bed par baith jata hai…

Fir Kane use puri baat bata deta hai…Sonu ko yakeen hi nahi ho
raha tha k uska best friend ek Alien Prince hai…Agar Kane ki jagah
koi aur use yeh baat btata toh sayad wo yakeen hi nahi karta…

Sonu(puri baat sunne ke baad): toh tera naam Kane hai…aur tu kisi
dusre planet ka Prince hai…aur ab tu apne Maa Baap ko bachane
wahan ja raha hai…

Kane: han Bhai …aur maine tujhe yahan isliye bulaya kionk mera aur
toh koi nahi hai…jo mere jane se pareshan ho…par tu jarur mujhe
dhundta…Aur ab tu ghar ja Bhai…

Sonu ko Kane ki baat sun kar boht bura laga aur uska para high
hone laga…

Sonu(gusse mein): Sale kamine samajh kya rakha hai khud ko…boht
bada hero hai kya…tere Maa Baap mere Maa Baap nahi hain kya…jo
tu akela ja raha hai…main bhi jaunga tere sath…
Kane: Bhai tu kaise jayega…aur main kisi picnic par nahi ja raha…jo
tu bhi chalega…wahan boht khatra hai…

Sonu: toh sale tere liye khatra nahi hai kya…tu bhi toh ja raha hai
na…

Kane: yaar main pehle training lunga…

Sonu: toh main bhi training karunga …par tujhe akele nahi jane
dunga…

Kane: par ghar par kya bolega…

Sonu: mere Baap ko bol dunga kaam mila hai aur usi ke liye bahar
ja raha hun…use vaise bhi mere se kya farak padta hai…

Kane: toh theek hai main us khadus(head) se baat karta hun…agar


wo maan jaye toh…

Yeh bol kar Kane bed se utha aur Sonu ko wahin rehne ka bol kar
Khud Head ke office mein chala gaya…

Head(Kane ko dekh kar): Kane tum abhi aram karo…

Kane: mujhe apse kus baat karni hai…

Head: kya baat karni hai…

Kane Head ko puri baat bata deta hai…

Head(halke gusse ke sath): Aisa kaise ho sakta hai…yeh koi game


nahi hai jo har koi khelna chahta hai…yeh boht badi baat hai aur
boht important bhi…

Kane: wo mera best friend hai…main use mana nahi kar sakta…vaise
bhi wo hamari boht help kar sakta hai…
Head: acha kya kar sakta hai wo…

Kane: wo ek acha shooter hai…do baar competition jeet chuka hai…

Head: par Kane ek putle par nishana lgana aur kisi ko marna alag
batein hain...

Kane: apko mujh par trust karna hoga…main keh raha hun na…

Head(Kane ki jid ke karan use manna pada): ok…use bhi sath mein
training di jayegi…par kisi Mission ke dauran kisi ki maut ho jaye
toh uski reposibiliye HIDE nahi leti…yeh yahan ka rule hai…

Kane: wo mera dost hai toh responsibility bhi meri hi hogi…

Head: ok ab tum jaldi se Apne dost ko lekar meeting ke liye ao…


uske baad tum dono ki training shuru ki jayegi…

Kane: ok abhi aya…

Yeh bol kar Kane wahan se chala gaya…

Update 13
Head: ok ab tum jaldi se Apne dost ko lekar meeting ke liye ao…
uske baad tum dono ki training shuru ki jayegi…

Kane: ok abhi aya…

Yeh bol kar Kane wahan se chala gaya…

Ab Age

Kane Sonu ke paas gaya toh Sonu usi ki wait kar raha tha…

Sonu: Bhai kya bola wo…


Kane: Bhai tyari shuru kar wo maan gaya…

Sonu: sach mein kya?

Kane: aur nahi toh kya jhuth bol raha hun…

Kane ki baat sun Sonu khusi ke mare nachne laga fir Kane ne use
shant kiya…

Kane(Sonu ko pakad kar): bas kar Bhai…Abhi meeting bulayi gayi hai
usmein jana hai…

Sonu: ok toh fir chal..

Kane: aur han koi gadbad mat kar dena…

Sonu: main kab gadbad karta hun…tu fikar mat kar…

Fir Kane aur Sonu Meeting ki jagah pahunche wahan kayi log pehle
se maujud the…Humari jaan pehchan ke toh Alia Head aur Q hi
the…

Khair Wo dono bhi jakar sabke sath baith gaye aur fir Head ne
bolna shuru kiya…

Head: toh dosto…hum yahan ek boht hi important mudde par


planning ke liye baithe hain...Pehle toh main ap sabhi se inka(Kane
aur Sonu ki taraf hath karke) intro karwa dun…yeh hain Arenous
Planet ke Prince Kane Henliff aur yeh hain unke dost Sonu…apmein
se lagbhag sabhi ko pata hoga k Aj se 23 saal pehle Kane ke pita
Lord Steve Henliff ne apne bete aur apne planet ki parwah na
karte huye humein aur pure Universe ko safe kiya tha…toh jahir si
baat hai is Ehsan ka badla chukana humara faraz hai…toh ab
humein Arenous ko bachane ke liye sakhat karwayi karni hogi…isse
na kewal Arenous balki pure universe par tabahi ka khatra tal
jayega…
Head ne abhi itna hi bola tha k tabhi wahan se ek aadmi uth kar
khada huya…

Aadmi: Sir hum kisi aur planet ke liye apne ap ko khatre mein nahi
daal sakte…

Head(us aadmi ki taraf dhyan se dekh): Sabse pehli baat k hum


apne wade se nahi mukrna chahte…dusri baat maan lo hum log
bridge nahi kholne dete…fir bhi Arenous ki technology itni advance
hai k wo log dusra bridge kabhi na kabhi toh bana hi lenge…toh hum
abhi kion na is problem ko jad se ukhad dein…yeh problem hum sab
ki hai…Kabhi agar kisi ke ghar mein chori ho toh us chor ko chhodna
nahi chahiye kionk uska agla nishana apka ghar bhi ho sakta hai…

Head ki baat se wahan baitha har insaan sehmat tha…Par abhi bhi
kayi swaal the toh isi liye ek aur aadmi khada huya…

Aadmi: Sir par jaisa k hum jante hain hum un logon ke samne jyada
powerful nahi hain toh hum unka mukabala kaise karenge…

Head: good question…isi liye toh yeh meeting bulayi gayi hai…main
chahunga k hamare Chief Scientist is baat ka jwaab dein…

Chief Scientist(Head ki baat sun kar khada hote huye): dekhiye


Kane ki body par kus tests kiye ja sakte hain jisse hum jaan sakein
k in logon ki weakness kya hai…yah fir itni takat kya hai…aur hum
yeh ladayi Bal se jyada budhi se jeet sakte hain…aur bhuliye mat
agar wo log takatwar hain toh Kane wahan ki Royal family ko belong
karta hai aur Universe ke sabse khatarnak weapon ka malik bhi
hai…

Head(swaal karne wale aadmi ki taraf dekhte huye): Umeed hai


sabko jwaab mil gaya hoga…toh ab sabse important decision ka time
hai…Arenous jane ke liye ek Team banegi…aur us team ki training ka
pura intzam kiya jana chahiye…Toh dosto Mission Arenous ke liye
Jo team chuni gayi hai usmein hamare teen best Agents…Agent A,
Q, Z(Yeh bhi ek Ladka hi hai…dikhne mein smart hai) hain…Aur
jahir si baat hai k Kane toh jayega hi aur uska dost Sonu bhi uske
sath jana chahta hai…

Toh Sabko Team ka pata chal chuka tha…uske baad Meeting


khatam huyi aur bari ayi training ki…Teeno Agents ke sath Kane aur
Sonu bhi the…

Z(Kane ki taraf hath badha kar): Prince apke sath kaam karne ki
khusi hai…main apni akhri saans tak ladunga…

Kane(Z se Hand shake karke): Apke jazbe ko dekh acha laga…

Tabhi wahan Head Apne kus scientists aur Doctors ke sath aya…

Head(Sab ke samne ja kar): Toh Tum sab tyar ho…aj se hum muskil
training karenge…Arenous ke log Janam se yodha hote hain toh
Kane ke liye jyada muskil nahi hogi…Sonu ko sabse jyada mehnat
karni hogi…Main Abhi chalta hun tum logon ko kus Advanced
weapons diye jayenge…Par abhi Sirf Training ke liye…Arenous jane
ke waqt Tak humari team kus naye Weapons tyar karegi taki tum
log muskil halaton ka samna kar sako…

Kane ko Training ke liye alag jagah di gayi thi kionk uske aas paas
khatra ho sakta tha…baki sab ek sath hi the…

Toh Kane ne apni Talwar uthayi aur wahan se apne training area
mein chala gaya…uske paas koi nahi tha…uske uper cameras se najar
rakhi ja rahi thi…aur earphone laga kar use directions diye ja rahe
the…

Kane(talwar pakad kar): ok ab kya karun…


Technical Team: Kane tum sword ki Electromagnetic energy ko apne
ander feel aur observe karne ki kosish karo…but slowly slowly…

Kane: ok…

Fir Kane ne apni akhein band ki aur Sword ki energy ko apne ander
feel karna shuru kiya…kafi time yeh process chalta raha…

Technical Team(TT): Ok Kane ab lagta hai…tumhara apni sword se


connection establish ho gaya hoga…ab next step…

Kane(ankhein khol kar): han bolo kya karna hai…

TT: hamari research ke mutabik Tum ise apni taraf kahin se bhi
kheech sakte ho…Apne ander ki magnetic force ki help se…

Kane(muskura kar): ab yeh kya majak Hai…main koi magnet nahi


hun…

TT: han par aisa hi hota hai…yeh tumhari isse bonding ke karan
hai…ab jyada theory mein mat ghuso sirf practical mein dhyan do ..

Kane: thik hai…main ise dur rakh deta hun…

Fir Kane ne Talwar dur rakhi aur apni jagah par jakar khada ho
gaya…

Kane: ab kya karun…

TT: tum us force ko feel karo aur apni taraf khinchne ki kosish
karo…

Kane: try karta hun par yeh almost impossible hai…par sayad mere
Alien hone jitna nahi….

Fir Kane thik vaisa hi kiya…usne force ko feel kiya aur apna ek
hath age badhaya aur us hath ki taraf use khinchne ki try karne
laga…kafi der try karne ke baad bhi koi fayda nahi huya…

Kane: kus nahi ho raha yaar…yeh sab bakwas hai…

TT: thoda patience rakho…aur Sword par ache se concentrate


karo…koi thought man mein mat lao…

Kane ne fir se Directions ko follow kiya aur is baat asar Bhi huya …
talwar apni jagah se hilne lagi…yeh dekh kar sab khus the khas kar
Kane…

Tabhi Talwar wahan se uthi aur tezi ke sath Kane ke hath ki taraf
badhne lagi…aur Speed itni jyada thi k Kane usko Counter nahi kar
saka aur Talwar ke sath hi use pakde huye piche deewar se ja
takraya…

Update 14
Tabhi Talwar wahan se uthi aur tezi ke sath Kane ke hath ki taraf
badhne lagi…aur Speed itni jyada thi k Kane usko Counter nahi kar
saka aur Talwar ke sath hi use pakde huye piche deewar se ja
takraya…

Ab Age

Kane ke girte hi…Head aur doctor bhag kar us training area mein
gaye…

Head(Kane ke paas baith kar): Kane are you ok?

Kane(Talwar ka shara lekar khade hote huye): Han main theek hun…
Aur main dobara try karna chahta hun…

Head: Kane nahi tumhe khud ki powers par aur jyada control karna
hoga…
Kane: nahi main samajh gaya hun mujhe Magnetic force thodi kam
karni hogi…

Head(doctors ki taraf dekh kar): ek baar iska check up karo…

Fir Doctors ne Kane ka sara jaruri check up kiya…

Doctor: sab normal hai…yeh dobara ise kar sakta hai…

Head: ok thik hai…sab yahan se chalo…Aur Kane is baar thoda


sambhal kar…

Kane ne Head ko sir hila kar haami bhari…aur fir sab wahan se
chale gaye…Kane ne apna gira huya microphone lgaya aur Talwar
pehle wali jagah par rakh kar apni jagah par ja kar khada ho gaya…

TT: Kane kya tum tyar ho…

Kane(Camera ke samne thumbs up karke): han tyar hun…

TT: toh shuru karo…

Fir Kane ne fir se vaisa hi kiya par is baar kus behtar tha…par abhi
bhi wo puri tarah se control nahi kar pa raha tha…

Isliye wo baar baar try kar raha tha…Aur dhire dhire wo control
karna seekh raha tha…Tab tak hum log Sonu ka haal dekh lete
hain…

Q(sonu se): tumhara nishana acha hai…par thodi phycal strength bhi
badhani hogi…

Sonu: wo kaise…

Z: simple hai Gym karo…Running karo…Thode Marshall Arts seekho…

Sonu ki toh itna sab sun kar hi fat gayi…Use yeh sab Karne se
sakhat nafrat thi…

Sonu(bade confidence ke sath): yaar main yeh sab nahi karunga…

Q: toh fir apne ghar jao…tum sirf nishane nahi laga sakte…kabhi
vaise bhi ladna pad sakta hai…

Sonu(bechari si shakal bana kar): nahi yaar ghar nahi jana…tum log
karwao kya karna hai…

Bechara Sonu toh Dost ke chakar mein buri tarah se fas gaya tha…
Par kar bhi kya sakta tha…dosti toh nibhani hi thi…

Sonu ki pura din jam kar bajayi…aur kafi training ke baad chhoda…

Q: ab tum aram karo…tumhe tumhara room dikha diya jayega…

Sonu(khus hote huye): chalo aj ka din toh gaya…ab aram se jake


sounga…kal ko aram se uthunga…

Sonu ki baat sun kar Q ekdum se bola…

Q: Subah 4 baje uthna hai…running karne jayenge…

Sonu ab toh bas apne faisle par pachta raha tha…par ab kya
karta…Good night bol kar chala gaya….

Khair aise hi kafi din un logon ki training chalti rahi…Kane ache se


Sword par control seekh gaya…Sonu bhi kafi muscular ho gaya tha…
baki logon ka toh roj ka kaam tha…

Khair Head ke cabin mein yeh panchon khade the…sayad koi


important baat ho rahi hai...

Head(apni chair par baithe huye): toh tum logon ki training puri
huyi hai…ab bas ek kaam bacha hai…Wo teleporting Bridge kholna…
uske liye Kane ko hi kus karna hoga…humein kus nahi pata…
Q: Sir kya hum is bare mein kus nahi kar sakte…

Head: nahi Yeh kaam sirf Kane hi kar sakta hai…use khud hi
seekhna hoga k talwar ki help se bridge kaise open ho sakta hai…

Alia: sir ise kaise pata chalega…

Head(Kane ki taraf muskura kar): ab tak toh yeh sab seekh gaya
hoga…kion Kane?

Kane: han main kar lunga…Thoda muskil hai par mujhe pata hai
kaise karna hai…main kosish toh kar hi sakta hun…

Q: ismein tumhe kya kya chahiye hoga…

Kane: dekho yeh sword sirf key hai…Arenous par teleporter maujud
huya hai…mujhe kisi tarah uske sath contact karke use kholna
hoga…

Z: yeh toh kafi muskil hoga…

Kane: han muskil toh hoga…aur mujhe is kaam ke liye ek khuli jagah
aur kus waqt ki jarurat hai…

Head: khuli jagah toh hamare uper hi hai(registan)…waqt bhi hai…


par jyada nahi…

Kane: fir jyada problem nahi hogi…

Head: ok toh kaam shuru karo…par pehle apne apne weapons le jao
taki baad mein tum log Arenous ke liye nikal jao…kionk ek baar
teleporter khul gaya toh jung shuru…

(Alia ko ek Bow diya gaya jismein Arrows nahi balki layers shoot
hoti thi…kionk wahan un logon ko unlimited ammos ki jarurat thi…
isliye sabko unke weapons Layers wale hi diye gaye…
Q ko ek pistol aur ek Shotgun di gayi…Z ko ek Hi- tech Lappy jaisa
tha…aur ek Pistol bhi di gayi(Z aise kamon mein mahir tha toh Use
HIDE se lagatar contact mein rehne ki responsibility di gayi matlab
wo is team ke sare technical kaam dekhne wala tha)…Sonu ko ek
Sniper gun aur ek Pistol di gayi…)

Apne apne weapons collect karne ke baad sab HIDE se bahar


matlab uper registan ke khule ilake mein chale gaye…

(Kane ko ab apni manjil samne dikh rahi thi…par pahad jaisi


rukawatein bhi…uske hath mein boht badi responsibility thi…use pata
tha k uska ek galat kadam na sirf uske parents balki uske planet
aur pure universe ke liye khatra ban sakta tha…Par use pata tha k
use marte dum tak ek Arenous Warrior Ki tarah ladte rehna tha)

Update 15
Apne apne weapons collect karne ke baad sab HIDE se bahar
matlab uper registan ke khule ilake mein chale gaye…

Ab Age

Bahar pahunch kar baki sab thoda piche ruk gaye aur Kane Un sab
se thoda dur jake khada ho gaya…

Fir Kane ne uper ki taraf dekha aur apni ankhein band ki…usne
Talwar ko uper ki taraf uthaya aur apne mind ke jariye travel
karna shuru kiya…

Wo dhire dhire apne mind ko us jagah lejane ki kosish kar raha tha
yahan wo teleporting Bridge maujud tha…wo Jaise hi wahan par
pahuncha toh usne apni energy ke jariye connect karne ki kosish ki…

Par wo aisa nahi kar pa raha tha…Use baar baar koi energy rok
rahi thi…aur use mehsus ho raha tha k yeh energy boht powerful
hai…Asal mein yeh uske pita ki banayi huyi Shield thi…

Kane ne kafi kosish ki par wo Kus bhi nahi kar pa raha tha…Kafi
der aise hi karne ke baad usne himmat chhod di…Aur apni akhein
kholi…

Kane(baki logon ki taraf mud kar): Guys kus nahi ho raha…main ise
nahi kar paunga…

Kane ki baat sun kar baki sab bhi nirash ho gaye…Kionk Sab ko
pata tha k agar yeh bridge nahi khula toh puri mehnat bekar…Wo
sab log Kane ke paas aye…

Q: Kane tum dobara kosish karo…

Kane: Guys maine apni puri kosish ki…par ek shield mujhe rok rahi
hai…Main kus nahi kar paya…

Kane ki baat sun kar sab ka chehra utar gaya aur sab tension mein
pad gaye…Z ne HIDE ko bhi inform kar diya k Kane fail ho gaya…

Z(gusse se): sala kis pagal ne wo shield khadi ki hai…

Z ki baat sun kar Kane uski taraf gusse se dekha…Kane pehle se hi


thoda pareshan tha aur Z ki baat ne uski Pareshani ko gusse mein
badal diya…

Kane: jara tamiz se baat karo…wo mere pita ne banayi hai…

Z(frustration mein): jab unko pata tha k tum wahan jaoge toh kion
banayi…

Kane ko bhi ab Z ki baton par gussa a raha tha…

Kane(unchi awaj mein): taki wo tum jaise ehsan framosh insano ko


bacha sakein…
Z ko Kane ki baat bilkul bhi achi nahi lagi…Uska Gussa bhi badh
gaya…

Z: ehsan framosh kisko bola be…ehsan toh hum kar rahe hain tum
logon par…

Kane pehle hi Shield todne mein fail ho chuka tha…uper se Z ki aisi


batein use aur gussa dila rahi thin…Kane itna angry ko chuka tha k
wo Z ko marne hi wala tha…

Kane(Z ko collar se pakad kar uper utha kar): tum log hamare
samne kus bhi nahi ho…toh fir tum log kya ehsan karoge hum par…

Kane ke is tarah ke behavior se Sonu aur Alia boht hairan the…Wo


log Kane ko hatane lage…Aur Q bhi un logon ki help kar raha tha…

Alia: Kane plz chodo use…wo hamara team mate hai…

Kane: iski itni himmat kaise huyi hamare bare mein aisa bolne ki…

Sonu: Bhai chhod use…tujhe achanak kya ho gaya hai…

Q: yaar tum dono yeh hum tum kya kar rahe ho…hum log apne
universe ko bacha rahe hain…kisi ek insan yah planet ko nahi...

Alia aur Sonu baar baar Kane ko rokte rahe…ant mein unki baat
maan Kar Kane ne Z ko niche patak diya…

Z ko Q ne uthaya toh uska bura haal tha…uski sansein teji se uper


niche ho rahi thin…uska dar ke mare bura haal tha…

Tabhi wahan Head a gaya...usne jab wahan ka mahol dekha toh use
kus samajh nahi aya…

Head(un logon ke paas jakar): Yeh kya ho raha hai…Z ki aisi halat
kaise huyi…
Q ne Head ko puri baat batayi toh Head ko samajh a gaya k Apne
parents ke itna paas ho kar Arenous na ja pana Kane ko
disappointed kar raha hai…Isliye mauke ki najakat ko samajh kar
Alia se kaha…

Head: A tum Kane ko iske room mein chhod kar ao…baki tum teeno
mere sath ao…

Head ki baat sun kar Alia Kane ko apne sath lekar jane lagi…Kane
bhi wahan aur nahi rukna chahta tha…Isliye wo uske sath chal
pada…

Kane ke room mein ja kar Alia ne door ko lock kiya…aur Kane ko


uske bed par baithne ko bola…Kane chup chap baith gaya…Alia bhi
uske paas ja kar baith gayi….

Alia(Kane ka hath apne hath mein pakad kar): Kane kya huya hai
tumhe…

Kane Alia ki baton ka jwaab nahi dena chahta tha…Wo Is waqt kisi
se koi baat nahi karna chahta tha…

Kane(dusri taraf munh karke): mujhe kus nahi huya…tum jao yahan
se…

Alia samajh sakti thi k Kane is waqt kafi pareshan hai…isliye wo


uski kisi baat ko dil se nahi le rahi thi…

Alia: main toh nahi jane wali…

Kane: fir baithi raho yahin main toh kisi se koi baat nahi karne
wala…

Alia(apne kandhe uchka kar): ok thik hai…main baithi rahungi…

Kane: Alia yaar tum chahti kya ho…mujhe akela chhod do abhi…
Alia: Kane plz pareshan mat ho…yaar tum apni puri kosish kar rahe
ho…hum log baad mein fir try karenge…

Kane ab thoda naram pad gaya tha…Vaise bhi wo Alia ke sath jyada
rude nahi ho sakta tha…kionk wo use pyar jo karta tha…

Kane(uski awaj se uski bewasi saaf jhalak rahi thi): yaar main kion
nahi kar paya…mujhe karna chahiye tha…

Alia: Kane tumne apni kosish ki kal ko fir karenge…

Kane: nahi yaar wo boht powerful hai main use nahi tod paunga…

Alia ko samajh a gaya k Kane se abhi is bare mein baat nahi karni
chahiye…kionk is time wo boht jyada sad hai…Tabhi Alia wahan se
khadi huyi aur Kane ka hath pakad use khada hone ko kaha…aur
baad mein use bed par letne ko kaha…

Kane ne vaisa hi kiya…Alia uske sir ke paas baith kar uske sir ko
dabane lagi…Kane ko dhire dhire acha feel ho raha tha…wo kafi
light feel kar raha tha…

Alia(pyar ke sath): Kaisa lag raha hai ab…

Kane(ankhein band kiye huye): Acha lag raha hai…Alia ek baat


puchun?…

Alia: Han pucho…

Kane(apni ankhein khol kar Alia ki taraf dekhte huye bola): Yaar
main use kaise todunga…

Kane ka deemag chah kar bhi us baar se hat nahi raha tha akhir
hat ta bhi kaise…Wo apne Parents aur planet ke itna kareeb
pahunch kar haar nahi manna chahta tha….isliye wo Alia se kisi
tarah ki help ki umeed kar raha tha…

Alia: Dekho main is bare mein kus nahi janti…tumhe khud sochna
hoga…Jab tumhare Pita ne tumhe talwar di hai toh kus soch kar hi
di hogi na…Unhe pata hoga k tum iske layak ho....

Alia ne yeh baat aise hi boli thi…par Kane ko sayad isse koi Idea
mil gaya…uske chehre par ek badi si smile a gayi…aur wo uth kar
teji se door ki taraf gaya…Alia ko kus samajh nahi a raha tha…

Alia: ab kya huya kahan ja rahe ho…

Kane(Wahin khade khade): Baad mein pata chal jayega…abhi tum


jao aur un logon ko bolo k main bridge open karne wala hun…sab a
jayein…

Alia kus aur puchti isse pehle hi Kane ne hath badha kar Sword ko
apni taraf khincha aur wahan se chala gaya…wapis usi jagah ki
taraf…

Alia bhi sabko bulane ke liye chali gayi…Z ko bhi Head ne samjha
diya tha k Kane ne kus bhi jaan bujh kar nahi kiya wo emotional tha
us waqt…wo maan gaya tha par uske dil mein abhi bhi wo baat thi…
khair Alia ke bulane par apne apne weapons utha kar sab wahin
pahunch gaye yahan Kane pehle se maujud tha…

Head ne un logon ko thodi dur hi rukne ko kaha…aur is baar khud


bhi wahin ruk sab dekhne laga…Kane ne wapis vaise hi apni ankhein
band ki…aur Talwar uper ki taraf karke mind ke through
Teleporting Machine tak travel kiya…Aur us shield ko tod kar
Bridge kholne ki kosish karne laga…par is baar usne kus alag kiya...

Update 16
Head ne un logon ko thodi dur hi rukne ko kaha…aur is baar khud
bhi wahin ruk sab dekhne laga…Kane ne wapis vaise hi apni ankhein
band ki…aur Talwar uper ki taraf karke mind ke through
Teleporting Machine tak travel kiya…Aur us shield ko tod kar
Bridge kholne ki kosish karne laga…par is baar usne kus alag kiya...

Ab Age

Pichli baar Kane ne sirf apni powers use ki thin par is baar usne
apne sath sath apni swords ki powers bhi use ki…

Aur kaam hone laga yeh powers dhire dhire Shield ko todne lage…
Shield ne jaise hi tutna shuru kiya toh Kane ka hausla badh gaya…

Kane ne apni puri takat laga di…Aur Shield puri tarah se tut gayi…
Kane ko ab sirf Bridge se connect karna tha…

Usne apni energy ko thoda control kiya aur Bridge ko kholna shuru
kiya…Kane ke liye yeh kaam jyada muskil nahi tha…

Bridge open ko gaya…Aur Kane ke bilkul samne ek darwaje ki tarah


gol akar mein ek white fog ka hole sa ban gaya…Yeh dekh kar Kane
ke piche khade sab log hairan ho rahe the…

Bridge open hote hi Kane ne apni ankhein kholi aur samne dekha…
usne jaise hi Bridge ke door ko dekha toh wo khusi ke mare uchhal
pada…

Kane(piche palat kar): A jao sab jaldi...

Wo log toh jaise sirf Kane ke kehne ka intzar kar rahe the…Wo log
bhag kar us door ke paas pahunche aur Kane unke sath chal pada…
Kane ne piche palat kar Head ki taraf dekha…

Kane(unchi awaj mein): agar mauka mila toh fir milenge…

Head(muskura kar): han jarur…


Fir Kane wapis palta aur sab ke sath us hole mein chala gaya…Wo
log jaise hi ghuse toh unko har taraf andhera mehsus ho raha tha…

Agle hi second wo log ek ujale mein a gaye…Sab hairani se aas paas


dekh rahe the…

Alia: yeh hum kahan a gaye…yeh toh koi room lag raha hai…

Kane: yeh koi room nahi yeh Teleporter hai…wo dekho teleporting
machine…

Sab ne Kane ke kehne par us taraf dekha toh sab hairan the…ek
badi machine rakhi huyi thi…jis par boht sari switches lagi huyi
thin...aur boht si chijein thin…

Sab us machine ke paas gaye aur hairani se use dekhne lage…

Z: yaar kamal hai kaise iski help se teleport kiya jata hai…aisa kya
hai ismein…

Q: pata nahi yaar…sayad koi magic…

Q yeh bol kar halka sa muskura diya…sath mein Kane bhi…

Kane: koi magic nahi hai…yeh sirf yahan ki advanced technology ka


ek namuna hai…Arenous ke logon ne apni physical strength aur
Science ko itna develop kiya hai k Earth se hajaron saal age nikal
aye hain…

Sonu(Aas paas dekhte huye): yaar yeh sab toh thik hai par yahan
se niklein kaise…

Sonu ki baat sun kar sab ka dhyan is taraf gaya k yahan se niklein
kaise…

Kane(ek taraf dekh kar): wo dekho door…


Sab ne Kane ke ishare ka picha kiya toh wahan ek door tha…aur fir
sab us door ki taraf chal pade…

Q(door ko kholne ki kosish karte huye): par yeh toh locked hai…

Z(ache se door ko check karte huye): aur ismein koi password


baghera bhi nahi hai k Main ise khol paun…

Un dono ki baat sun kar Kane Door ke paas gaya …

Kane: tod dete hain…

Kane ne itna bola aur talwar se ek war kiya toh door tut gaya…Sab
log bahar dekhne lage…wo log kisi jungle mein the…

Aas paas ped hi ped…par yeh ped earth jaise nahi the…kus alag se
the…koi alag paryati…Khair sab log us room se bahar nikle…

Alia(aas paas dekh kar): Yahan toh ghana jungle hai…ab humein
kahan jana hoga…

Q(Z se): Z tum yahan ki satellite se connect karo aur pata lagao…

Z ne vaisa hi kiya usne apna Lappy nikala aur connect kiya…usne


map dekha…

Z: Map ke according yahan se 4 kilometer dur ek sehar hai…Aur usi


Sahar mein Royal Family ka mahal hai…matlab yeh yahan ki capital
city hai...

Kane: iska matlab Yahin mere parents hain aur yahin wo kameena…

Q: toh chalein guys…

Tabhi Kane ke deemag mein kus cheej ayi…use laga k pehle wo Z se


jhagde wali baat clear karle…Sach mein Kane ko ab bada bura lag
raha tha…

Kane: ek mint…

Kane ki baat se sabhi ruk gaye…Iske baad Kane ne apni baat age
badhayi…

Kane(z ki taraf dekh kar): yaar sorry main tumhe hurt nahi karna
chahta tha…gusse aur frustration ki wajah se wo sab huya…

Kane ki baat sun kar sab khus ho gaye k chalo kam se kam use uski
galti ka ehsas toh huya…Z bhi kus bolna chahta tha…

Z: main bhi sorry feel kar raha hun…galti meri bhi thi…maine bhi
mauke ko nahi samjha…aur tumhare pita ke bare mein galat bolne
ka afsos hai…wo sach mein ek mahan insan aur Lord hain…

Yeh bol kar dono gale mile…Ab In dono ki durian toh khatam huyi…
toh ab time tha age badhne ka…

Q: toh ab hum log chalein…

Sonu(excited ho kar): chalo us dokhebaaz(Kane ka chacha) ko sabak


sikhayein…

Sonu ki baat se sab muskura diye aur fir sab us taraf chal pade…Z
unko rasta dikha raha tha…wo log uski batein follow karte huye age
badh rahe the…

Update 17
Sonu ki baat se sab muskura diye aur fir sab us taraf chal pade…Z
unko rasta dikha raha tha…wo log uski batein follow karte huye age
badh rahe the…
Ab Age

Wo log chalte chalte sehar ke bilkul najdeek pahunch gaye…wahan


se sehar saaf najar a raha tha…kya khubsurat najara tha…

Raat hone ke karan har taraf lights chal rahi thi…Boht sunder
buildings thin…Ek pal ke liye toh sab jaise us mahaul mein kho se
gaye…

Alia: kitna khubsurat sehar hai…Aisa sehar kabhi dharti par toh
nahi dekha…

Sonu: han sahi kaha…..Mera Bhai kitna lucky hai jo yahan ka Prince
hai…

Kane: Bhai abhi toh sirf naam ka Prince hun…(itna bol kar Kane
serious tone mein bola) yeh batao ab kahan chalein…

Z: Apke mahal mein seedha toh ja nahi sakte humein puri planning
ki jarurat hai...Abhi toh kisi tarah raat bitani hogi…par jab tak
hamari planning puri nahi ho jati humein Tumhare chacha ki najron
mein nahi ana…

Z ki baat se sab sehmat the…par ab raat ka kya intzam karein yeh


kisi ko samajh nahi a raha tha…

Q: kion na aisa karein k hum log jungle ke ander hi kahin raat bita
lein…

Kane: han yeh sahi rahega…par yahan toh Sehar boht jyada kareeb
hai…chalo is taraf chalte hain…taki kisi ko hamare bare mein pata
na chale…

Kane ki baat par sab tyar ho gaye aur Jungle mein thoda ander ki
taraf chale gaye…Yahan un logon ko laga k koi khatra nahi hai…
Wahan sab ruk gaye…
Kane: Aisa karo k tum log is ped ke niche aram karlo…main najar
rakhta hun…

Q: han par tum aram nahi karoge kya…

Kane: ab kisi ko toh najar rakhni padegi na…

Fir sab Kane ki baat maan kar us ped ke niche kus sukhe patte daal
kar let gaye…aur Kane wahan thodi hi dur ek pathar par baith
gaya…

Kus der baad wo log so gaye aur Kane wahan se uth kar jungle ke
thoda aur ander jane laga…wo wahan maujud har ek cheej ko gaur
se dekh raha tha…wo aisa karte karte kafi ander tak a gaya…

Tabhi use wahan Par kisi ke kadmon ki ahat suni…Kane ekdum se


alert ho gaya aur apni sword nikal li…usne piche palat kar dekha toh
use laga k ek tree ke piche koi hai…

Kane: Kaun hai wahan…

Tabhi us tree ke piche se Alia bahar nikal kar ayi…Use dekh kar
Kane ki saans mein saans ayi…

Kane: tum yahan kya kar rahi ho…

Alia: tum kya kar rahe ho?...

Alia ne Kane ke swaal ke jwaab mein ek aur swaal puch liya…

Kane: mujhe laga tum log so gaye toh main thoda ghum aun…par tum
mere piche kion a rahi ho…

Alia: aise hi…neend nahi a rahi thi…

Kane(Alia ke kareeb hokar): acha neend kion nahi a rahi thi…


Alia ne jaise hi Kane ko apne itna paas mehsus kiya toh uski sansein
uper niche hone lagi…dil ki dhadaKane badh si gayin…Uske munh se
koi shabad na nikla…

Kane dhire dhire Alia ke lips ki taraf apne lips badhata gaya…Dhire
dhire Alia ki ankhein band ho gayin…Kane ne Alia ke lips ko jaise hi
chhuya toh mano dono ki body mein currant sa daud gaya…

Alia ne apne lips ko khol kar Kane ke uper lip ko chusna shuru kar
diya…Iske baad Kane ne apni jeebh Alia ke hothon par firani shuru
ki toh apne ap Alia ke honth khulte chale gaye…

Alia ne Kane ki jeebh ko apne munh mein bhar liya…aur apni jeebh
se use suck karne lagi…dono ki kiss ab passionate hone lagi thi…

Kane ne Alia ko apni bahon mein bhar liya aur Alia ne bhi Kane ko
hug kar liya…

Kane ke hath dhire dhire Alia ki peeth ko sehlane lage…Jiske karan


Alia ka pura badan Excited hone laga…Dhire dhire Kane ke hath
neeche ki taraf sarKane lage aur Alia ki kamar tak pahunch gaye…

Kane usse age na badha aur wahin Rub karne laga…Alia ko pata lag
gaya k Kane uske signal ka wait kar raha hai…isliye Alia ne Apna ek
hath un dono ke beech kar ke Kane ke Pet par rakh diya…

Alia ne bhi Kane ki tarah rub karna shuru kar diya…ab dono excited
ho chuke the…Kane ne bhi himmat ki aur apna hath niche khiska kar
Alia ke tight hips par rakh diya…

Kane ka hath mehsus hote hi Alia ki Excitement itni badh gayi k


uske pair kampne lage aur uski panty geeli ho gayi…

Par Alia ne khud ko sambhala aur apna hath niche ki taraf karke
Seedha Kane ke lund par rakh diya…Kane ka lund puri tarah se
khada tha aur kafi bada aur hard bhi tha…

Kane ko jaise hi Alia ka hath apne Penis par mehsus huya toh usne
excitement ke karan Alia ke hips ko jor se daba diya…jiske karan
Alia ki ek aah nikal gayi…

Unki kiss itni der se chal rahi thi k ab Alia ko saans lene mein
problem hone lagi…aur jab yeh Baat Kane ko mehsus huyi toh usne
apne lips Alia ke lips se alag kiye…Aur unke lips ke beech unke
saliva ki tar se ban gayi thi…

Alia ki ankhein sharam ke mare abhi bhi band thin aur uske gaal bhi
laal ho chuke the…

Par usne Kane ke penis ko Rub karna jari rakha…Kane ke hath ab


Alia ke hips par ruk gaye the…Tabhi na jane Kane ko kya huya k
Kane ne Apna hath hataya aur Alia ke hath ko bhi apne se dur kar
diya…

Alia ke liye yeh boht hi unexpected tha…Wo hairani se Kane ki


taraf dekh rahi thi aur usse puchna chahti thi k use kya huya…par
usse pehle hi Kane bol Pada…

Kane(Alia se thoda dur hokar): Alia hum dono yeh nahi kar sakte…
yeh galat hai…

Alia: par kyon galat hai…hum dono pyar karte hain ek dusre se…aur
yeh bhi pyar ka hi ek roop hai…

Kane: Alia I love you but tum bhi janti ho hum dono kabhi ek nahi
ho sakte…

Alia ko Kane ki baat bilkul bhi achi nahi lagi…use gussa ane laga…

Alia: tum kon hote ho yeh decide karne wale k hum ek honge yah
nahi…main tumhe kabhi nahi chhodungi…main mar jana pasand…

Abhi Alia ne itna hi bola tha k Kane ne uske lips par apna hath
rakh diya aur apna sir na mein hila use aisa na kehne ka ishara
kiya…

Alia(Kane ka hath hata kar): fir tum kabhi yeh baat dobara nahi
bologe…nahi toh main sach mein…

Kane(alia ka dil rakhne ke liye): promise nahi bolunga…aur sorry


baba…ab chalo aur chal kar so jao…

Kane ab is baat ko aur nahi badhana chahta tha aur na hi Alia ke


Sath aur jyada der akela rehna chahta tha…

Alia(Kane ko hug karke): tum bhi sath chalo…

Kane: chalo thik hai…

Fir wo dono baki logon ke paas a gaye aur Alia Kane ko apne sath
lita kar use hug karke so gayi…par Kane nahi soya…kionk uski
ankhon mein Ane wale kal ki jhalkiyan thin…use apne parents mil
jayenge par uski Alia usse dur chali jayegi…use samajh nahi a raha
tha k wo khus ho yah na ho…par itna jarur pata tha k wo apne
faraz ko pura karne ke liye kus bhi kar sakta hai…

Update 18
Fir wo dono baki logon ke paas a gaye aur Alia Kane ko apne sath
lita kar use hug karke so gayi…par Kane nahi soya…kionk uski
ankhon mein Ane wale kal ki jhalkiyan thin…use apne parents mil
jayenge par uski Alia usse dur chali jayegi…use samajh nahi a raha
tha k wo khus ho yah na ho…par itna jarur pata tha k wo apne
faraz ko pura karne ke liye kus bhi kar sakta hai…

Ab Age
Agle din subah sab uth gaye…Un logon ke paas thoda khana tha toh
un logon ne wo kha liya…Tabhi wahan kisi ki awaj ayi…

“kon hai wahan” is awaj ko sunte hi sab ghabra gaye…un sab ko laga
k ab toh wo log gaye…

Sab ne us taraf dekha toh udhar se ek aadmi a raha tha…Vaise toh


pata nahi kya umer hogi but 40-45 ka lag raha tha…

Wo dhire dhire un logon ke paas aya…aur un logon ko gaur se


dekhne laga wo un logon se bilkul bhi nahi dar raha tha…

“kon ho tum yahan ke toh nahi lagte” us aadmi ne ek baar fir se un


logon se swaal kiya…

Unmein se kisi ko samajh nahi a raha tha k wo log kya bolein…unko


laga k ab khatra ho sakta hai….isliye Kane ko chhod kar sabne apne
weapons nikal liye…

Par us aadmi ki ankhon mein koi dar nahi tha… “oh toh tum log
earth ke jeeb ho…yeh weapons dekh kar pata chal raha hai…” us
aadmi ne bade hi normal se way mein pucha jaise uske liye yeh sab
khilone the…

“dekho tum koi bhi ho yahan se chale jao…” is baar Q ne us aadmi


ko darane ki kosish ki but abhi bhi use koi farak na pada…

“Humne in khilono ke sath khelna 300-400 saal pehle chhod diya


hai…” Is baar us aadmi ne apna raub jamate huye kaha…

Kane ko laga k ab baat had se badh rahi hai…kahin kisi aur ko shak
ko isse pehle hi us aadmi se ulajh lena chahiye…Isliye Kane ne bhi
apni talwar nikal li…

“Dekho main tumhe akhri baar bolta hun k chup chap yahan se chale
jao nahi toh jo bhi tumhare sath hoga iske responsible tum hoge…”
Kane ne us aadmi ko apni talwar dikhate huye khuli chetabni di…

Us Talwar ko dekh Pehli baar us aadmi ki ankhon mein thoda dar


tha aur sath mein hairani bhi…

“yeh Toh hamari Royal Sword hai…yeh tumhare paas kahan se ayi…
tumne ise uthaya kaise” us aadmi ke man mein jitne Swaal the usne
sab ek sath puch dale…

Un sab ne jaise hi us aadmi ke munh se yeh sab suna toh unko laga
k ab toh bas pakde jayenge…

Par tabhi kus aisa huya k sab hairan se khade dekhte rahe…wo
Aadmi Kane ke samne apne Ek gutne ko jameen par tika kar sir
jhuka ke baith gaya…

“Ap toh Prince Kane Henliff ho…kionk Lord Steve ke baad wahi unki
sword utha sakte hain…” Us aadmi ne badi respect ke sath apni
baat kahi…

“Tum kon ho…aur kya tum jante ho k Mere parents kahan hain…”
Kane ne jaise hi Uske munh se apne pita ka naam suna toh wo boht
jyada emotional ho gaya…

“Sir main Jhon Doffel hun…Apke pita ke under main Arenous ka


head scientist tha…yeh talwar bhi maine hi banayi thi…kya main ise
chhu sakta hun…” us aadmi ne vaise hi baithe baithe apni baat
kahi…

Par abhi Kane kisi par trust nahi kar sakta tha…kahin koi uske
chacha ka aadmi ho aur wo log kisi musibat mein fas jayein…

“ji nahi ap ise nahi chhu sakte…aur ap yahan jungle mein kya kar
rahe hain…” Kane ne us aadmi ko saaf saaf mana kar diya…
“Sir yeh ek lambi kahani hai…isse apke pita ka jail mein jana juda
hai…agar ap chahein toh ap log mere ghar mein chal sakte hain…
yahin paas mein hai…”
Us aadmi ki baat sun kar sab ek dusre ki taraf dekhne lage…

“Par hum ap par yakeen kaise kar sakte hain” Z ne us sab ki taraf
se Bola…

“agar main George Ke liye kaam karta toh abhi tak ap sabhi ke
bare mein unko bata deta…”us aadmi ne yeh bol kar ek baar apni
gardren uper utha kar sabki taraf dekha…

“Hum log tumhare ghar mein safe toh hain na?” sayad Kane ko us
aadmi par yakeen ho gaya tha…kionk use apne parents ko jald se
jaldi khojna tha…

“Sir ap puri tarah se safe rahoge…ap ek baar chal kar dekh lijiye…”
us aadmi ne badi respect Ke sath apni baat kahi…aur Kane tyar bhi
ho gaya…baki sab ko kus problems thin but wo log bhi thoda
samjhane ke baad maan gaye…

“Toh fir chalo tumhara ghar kahan hai” Kane ne us aadmi se kaha
toh wo aadmi uth khada huya aur jungle ke thoda bahar ki taraf
chal pada…

“Sehar mein humein kisi ne dekh liya toh gadbad ho jayegi” Z ne


apni chinta jatate huye kaha…

“nahi mera ghar jungle mein hi hai” Jhon ne age badhte huye kaha…

Thodi der baad hi wo log ek ghar ke age a kar ruke…Jungle ke


ander hi yeh ghar maujud tha…

“kya tum yahan rehte ho” Kane ne us ghar ki taraf dekhte huye
John se swaal kiya…
John: han main Yahin rehta hun…ap sab ander aiye…

Fir john ne apne ghar ka gate khola aur sabhi log ander chale
gaye…John ne un sab ko baithne ko kaha…aur khud bhi wahan baith
gaya…

Kane apne pita ke bare mein sab janna chahta tha toh usne baith
te hi John se puch liya… “Ab tum batao k Mere chacha ne mere
pita ke sath kya kiya tha…”

Kane ki baat sun kar John jaise kisi Purane waqt mein kho gaya ho…
wo puri baat yaad kar raha tha…Uske dimag ke ander waqt ki ek ek
parat khul rahi thi…

Kus time ke baad John ne bolna shuru kiya…

“Apke pita ek mahan Shasak aur yodha the…Unke Shasankal ke


ander Arenous ne kafi vikas kiya…Hamari Science bhi kafi age
badhi…yeh Talwar bhi usi ka ek namuna hai…yeh Universe ka sabse
khatarnak aur takatwar hathyar hai…Yeh itna powerful hai k uske
jariye hi teleport kiya ja sakta hai aur kisi bhi planet ko seconds
mein haraya ja sakta hai…aur sayad yahi baat George Henliff (Kane
ka uncle) ke dimag mein baith gayi…

Itna bol kar John chup ho gaya…Kane uski taraf hi dekhe ja raha
tha…wo apne pita ke bare mein Sab kus janna chahta tha…K akhir
itne takatwar yodha ko George ne kaise hara diya…

Update 19
Itna bol kar John chup ho gaya…Kane uski taraf hi dekhe ja raha
tha…wo apne pita ke bare mein Sab kus janna chahta tha…K akhir
itne takatwar yodha ko George ne kaise hara diya…

Ab Age
John ki baat sab dhyan se sun rahe the…Kus time ke baad john ne
wapis bolna shuru kiya…

“George chahta tha k Arenous ka raj pure Universe par ho…par


Lord Steve is baat ke haq mein nahi the toh un dono mein durian
ani shuru ho gayin…George Army ka chief tha…Usne isi baat ka
fayada uthaya aur Army ko lalach dekar yah Pure universe par
kawje ke supne dikha kar Apke pita ke khilaf baghawat karwa di…
Jab unko pata chala k George puri army ko unke khilaf kar chuka
hai toh unhone is talwar ko aur iske waris matlab apko safe karne
ke liye yeh sab kiya…George ne apke Parents ko jail mein daal diya
aur khud Lord ban gaya but is sword ke bina wo kus bhi nahi kar
sakta…”

John ne shuru se lekar ant tak puri baat bata di…Puri baat sunne
ke baad Kane ka gussa aur bhi badh gaya tha…Baki sab ko bhi ab
jald se jald George se niptna tha…

Par hamare shaki baba Z ka kya…wo thodi na kisi par itni jaldi
trust karte…toh John par bhi ek aur swaal daag diya usne…

“baki sab toh thik hai but ap yahan jungle mein kya kar rahe hain”
Z ne apne man ki baat John se puch hi li…baki sab uske kaam mein
taang nahi adate the kionk sabko pata tha k wo sabki bhalayi ke
liye shak karta hai…

Z ki baat sun kar John ne bade hi simple way mein jawab diya…
“Lord Steve ke baad Bhi main Head Scientist hi tha…but Kus time
baad George ne mujhe mere pad se hata diya…aur yahan jungle
mein toh main pehle se hi rehta tha kionk main apne experiments se
kisi ko khatre mein nahi daal sakta tha…par ab baat alag hai kionk
ab kisi ko mere hone yah na hone se farak nahi padta…George ki
najaron mein main bekar ho gaya hun…”
John ne sabke samne apne dil ka dard khol kar rakh diya…Baki sab
ke dil mein uske liye Sahanubhuti thi but Kane ke nahi…use pata tha
k Arenous ke log kamjor nahi hain…

“Par ap bekar nahi hain…Universe ke sabse powerful hathyar ko


banane wala shaks bekar toh kabhi nahi ho sakta…kahin na kahin
abhi bhi ap boht kus kar sakte ho…maine thik kaha na?”

Kane ne John ke Kandhe par hath rakh kar usse Sayad indirectly
pucha k kya wo unke sath hai…Kane ki baat sun kar John ne ekbaar
un sab ki taraf dekha aur fir ek badi smile dekar bola…

John: Han main abhi bhi itna toh kar hi sakta hun k George jaise
Dhokhebaaz ka jhutha raj khatam kar sakun…Aur sayad Kismat ko
bhi yahi manjur hai k main Is Sword ke malik ka hi sath dun…pehle
apke pita aur ab ap…

John ki baat sunkar Kane ko samajh a gaya k wo un logon ki boht


help kar sakta hai…

“Toh ap kya kar sakte hain…kya ap hamari koi help kar sakte
hain…” Kane ne bade hi Saaf shabdon mein John se yeh swaal kiya…
Aur uski taraf dekhne laga…

Kane ki Baat sun kar John ne Apni watch se ek button dbaya aur
Wo sab jin Couches par baithe the wo sab achanak niche jane lage…

Yeh hote hi Sab John ki taraf aise dekhne lage jaise wo koi bhut
ho…John ke sath sabhi vaise hi baithe baithe niche ja rahe the…

Kane ko chhod sabko kisi musibat mein fasne ka dar bhi sata raha
tha…Sonu ki halat kafi buri ho rahi thi…Wo ghabra chuka tha…

“Akhir kahan leja rahe ho humein” Sonu ne Kafi ghabrahat ke sath


John se pucha…Par john ne koi jwaab nahi diya…
John ko chup pa kar Is baar thodi jyada unchi awaj mein Sonu ne
ek baar fir se pucha…. “maine pucha kahan le ja rahe ho humein”

Is baar John ne badi hi respect ke sath answer diya… “Ap dariye


mat bharosa rakhiye…bas kus seconds aur sab pata chal jayega…”

John ki baat sun kar na chahte huye bhi Sonu chup baith
gaya...Uske baad kus hi seconds mein wo lift ruk gayi…aur sab ek
laboratory mein the…

Boht sara saman tha aas paas…Kafi machines bhi thin…Sab couches
par baithe baithe apne charon taraf dekh rahe the…

Z(charon taraf dekh kar): wow john tumhare paas ek secret lab
hai...Kamal hai sach mein…

John: thanks…vaise abhi tak ap sabhi ne apne naam nahi bataye…

John ki baat sunkar Kane ne use sabse introduced karwaya…Aur


uske baad sab us lab mein maujud har ek chij ko dhyan se dekhne
lage…

John aur Kane wahin khade the…Baki sab ko aise ghumte dekh John
ne ek baar warning di… “plz koi bhi kisi chij ko chhuna mat…kionk
kahin bhi khatra ho sakta hai”

John ki baat sab ne dhyan se suni aur maan bhi li…Sab kus dekhne
ke baad Wo charon Kane aur John ke paas a kar khade ho gaye…

Sabke ane ke baad John ne ek baar fir se bolna shuru kiya… “Toh
Guys mujhe itna toh pata chal hi chuka hai k ap sab yahan kion aye
ho….Lord Steve ko chhudwane aur George ko khatam karne ke liye…
Lekin George ko harana asan nahi hai…Wajah hai uski Army…Un sab
ke age hum 6 kus bhi nahi hain...”
John Ki baat sun kar sab ko tension hone lagi…par unko yeh baat
toh pehle se hi Malum thi…

Kane: yeh humein pata hai…par hamara target Puri Army nahi sirf
George hai…

John(Kane ko beech mein rokte huye): Maaf kijiyega Prince…but


yeh itna asan nahi…Agar apne Arenous ke Lord ko kus bhi kiya toh
iska seedha seedha matlab hai Arenous se dushmani…

Sab John ki baat ko ghambirta se samajh rahe the…Sab ko laga k


unki planning mein kami reh gayi hai jise ab sayad John pura kar
sakta hai…

Z: toh ab hum kya kar sakte hain…apke paas koi rasta hai kya…

Z ki baat sun kar John ne apna plan sab ko Btaya… “dekho agar
hum log Pehle Lord Steve ko chhudwa lein toh koi hamara virodh
nahi karega…kionk sab ke liye asli Lord toh wahi hain…Wo toh sab
George se darte hain isiliye koi kus nahi bolta…but Agar Lord Steve
ko bahar nikal sake toh sab hamare sath honge…”

Q: par Lord Hain kahan…aur hum unhein bahar kaise nikalenge…

John: Wo George ke Mahal mein Bani Ek secret jail mein hain…


yahan boht jyada security hai…toh wahan ghusna itna asan nahi
hoga…

Kane: par hum ghusenge…Mujhe pata hai Apko wahan jane ka koi Na
koi rasta jarur pata hoga…

John: han pata hai…par usse pehle ap sabhi ko thodi aur tyari ki
jarurat hogi…

Alia: kaisi tyari…


John: ap sab mere saath aiye…

John yeh bol kar ek taraf chal pada aur baki sab bhi uske sath
chal pade…Usi lab mein ek side John ek door ke samne khada ho
gaya aur Ek paasword dalne ke baad…apne fingerprints ke jariye
door ko khola…

Jaise hi door khula toh sath mein sab ke munh bhi khule k khule
reh gaye…Samne ek pura room weapons se bhara pada tha…

Z: wow itne sare weapons…

John(room ke ander jate huye): han mera shuru se yahi kaam raha
hai…par suspend hone ke baad shaunk pura karne ke liye yeh sab
naye naye weapons bana liye…par kabhi socha nahi tha k yeh sab
kisi kaam ayenge…”

Q(khus hote huye): par ab yeh hamare kaam ayenge…

Alia: Bilkul sahi kaha…

Update 20
John(room ke ander jate huye): han mera shuru se yahi kaam raha
hai…par suspend hone ke baad shaunk pura karne ke liye yeh sab
naye naye weapons bana liye…par kabhi socha nahi tha k yeh sab
kisi kaam ayenge…”

Q(khus hote huye): par ab yeh hamare kaam ayenge…

Alia: Bilkul sahi kaha…

Ab Age

Sab log us room mein chale gaye…itne jyada Weapons dekh kar sab
hairan the…aur boht hi jyada alag tarah ke the Jo kabhi in sab ne
dekhe toh kya soche bhi nahi the…

“Ao main tum sab ko ek aur cheej dikhata hun...” John ne un logon
ki taraf dekh kar kaha…aur fir us room mein pade ek safe ke pass
chala gaya…

Usne us safe ka paasword fill kiya aur use khol Liya…Usmein kus
watches padin thi…John ne Usmein se ek khud rakhli aur baki sab
un logon ko de di…

“ab yeh watch kion de rahe ho…kis brand ki hai…” Sonu ne watch
lete huye kaha…

Sonu ki baat sun kar sab has pade…John bhi Halka sa muskura kar
bola…. “ nahi yeh koi simple watch nahin hai…yeh ek Tracking device
hai…jo Arenous ke ek ek kone ko pehchanti hai…aur uske jariye
humein ek dusre ki locations bhi pata chalti rahengi…”

“Wow mujhe Aisa lag raha hai main kisi spy movie ka part hun”
Sonu ne khus ho kar kaha…

Kane: Sale tu ab sach mein HIDE ka secret Agent hai aur is waqt
mission par hai…

“Oh sorry main toh bhul hi gaya tha…” Sonu ne apne sir par Halka
sa maar kar kaha…

Kane(john se): vaise mujhe lagta hai…apke paas kus aur bhi hai…

John: Han abhi toh boht kus hai…vaise toh yeh pura Room hi apke
liye hai...but abhi kus important chijein…

Yeh bol kar John ne ek Aur cheej nikali pata nahi kya tha…ek
chhoti si chij thi…

John: yeh ek advanced lock pick hai…isse hum kisi bhi high security
lock ko khol sakte hain…

John ne ek ek un sab ko de diya…aur khud bhi rakh Liya…

Uske baad John wahan se hat gaya aur Safe band kar diya…Fir
usne un sab ko ek ek Pistol(Arenous style) di…kus bullets bhi…

Fir John un sab ko Apne sath usi lab mein bane ek cabin mein le
gaya…aur sab ko Chairs par baithne ko kaha…

Khud usne wahan lagi ek Screen ko on kiya…aur usmein kus dala


sayad un ki koi memory storage hogi…

Uske baad Screen par kus map type ane laga…Sab use dhyan se
dekh rahe the…tabhi John ne uske bare mein btana shuru kiya…

“ Toh yeh hai Arenous ka pura map…Is planet ki khas baat yeh hai
k ismein Earth ki tarah boht sari countries nahi hain…Yahan pure
planet par ek hi Person ka Hukum chalta hai…Arenous ke Lord ka…
Aur hum log is waqt main capital mein hain…

Isi city mein Royal tower bhi hai…Yahan sab kus earth ki tarah
hai…Jaise ghar streets Roads buildings…Yahan bhi bike cars trucks
etc. Sab vaisa hi hai…han thode technology mein advance hain...Toh
yahan sab samajh a gaya na…”

John ki baat par sabne han keh diya…toh John ne age shuru kiya…
John ne Thoda idhar udhar karne ke baad ek building par touch
kiya…

“yeh hai Royal Tower humein yahan pahunchna hai…Main gate se


enter karna possible nahi hai…Toh hum log iske piche wali street
mein jayenge…Wahan koi guard nahi rehta….Uske baad hum Mere
Special Gloves aur Shoes ki help se Diwar ke jariye uper ki taraf
jayenge…aur uske baad Left se no. 3 ki window ke through tower
mein enter honge…wo room khali rehta hai…uske baad hum us room
se security guards ko chakma dekar…Basement par jayenge…yahan
jail bani huyi hai…Basement par jane ke liye humein do jagah
Security system ko hack karke age badhna hoga…aur mere khyal se
yeh kaam Z kar lega…Main ise ek special system de dunga…Uske
baad hum log Cell no. 13 se tumhare parents ko chudwayenge…aur
fir usi Raste wapis ana hoga…uske baad Hum log Arenous ke
Temporary Lord matlab George ko Uske pad se utar sakte hain…
kionk wo puri tarah se Lord nahi hai…usne sirf asli Lord ko jail mein
daal kar kawja kar liya hai…agar hum Asli Lord ko uski jail se ajad
kar denge toh Army aur Parja par uska hukum nahi chalega…”

John ki baat aur plan sab samajh gaye the…Par Kane ke dimag mein
ek swaal a raha tha… “Toh puri tarah se Lord kon banta hai”

John: jise pehle wala Lord Apna waris declare karde…isi liye toh
George ne tumhare pita ko aj tak kus nahi kiya…Ek dusra rasta hai
agar koi person Yeh Royal Sword Utha kar Tajposhi karwa le…Par
wo yeh nahi kar sakta…

Kane: par kion nahi kar sakta…wo bhi toh Henliff family se hai…

John: han hai but Biologically nahi…

Kane(hairan hokar): kya matlab?

John: use Apke Grandfather ne God liya tha…

John Arenous ke boht are secrets un sab ko bata raha tha…aur


plans bhi…ab dekhna yeh hai k akhir age kya hota hai…is plan ko
Kitna Kamyab bana payenge yeh sab…

Khair puri discussion ke baad Sab log wapis usi lift mein baith kar
uper a gaye…
Q: vaise humein kab plan ko start karna chahiye…

John: aj tum log rest karo…kal subah hote hi main tum sab ko City
mein leke jaunga…taki tum log Sab kus jaan sako…uske baad kal
raat ko apne plan ko anjaam denge…

John ki baat se sab sehmat the…uske baad John ne Ek room Alia


ko aur Ek room Kane ko de diya…Baki sab ko wo ek hi room mein le
gaya…kionk uske ghar mein sirf 4 hi room the…

Update 21
John: aj tum log rest karo…kal subah hote hi main tum sab ko City
mein leke jaunga…taki tum log Sab kus jaan sako…uske baad kal
raat ko apne plan ko anjaam denge…

John ki baat se sab sehmat the…uske baad John ne Ek room Alia


ko aur Ek room Kane ko de diya…Baki sab ko wo ek hi room mein le
gaya…kionk uske ghar mein sirf 4 hi room the…

Ab Age

Sab apne apne room mein lete huye the…Raat ho chuki thi…Kane
Sone ki kosish kar raha tha but use neend nahi a rahi thi…sirf
Intzar tha k kab wo apne parents ko chhudwa sake…

Aise hi Raat beet gayi…agli subah sab uthe aur sab hall mein ikathe
huye…John bhi sab ke sath tha…

John: good morning….sabhi ko neend toh ache se ayi na?...

Sonu: han …

Kane: toh mere khyal se hum sabko apna kaam shuru karna
chahiye…
Q(Kane ki baat se sehmat hote huye): han sahi kaha…plan ke
mutabik abhi hum sab ko city ko dhyan se dekhna hai…fir raat hone
ka intzar karna hai…

John: ok toh tum sab tyar ho na?

Sonu: ever ready…

John: toh theek hai main apni gadi nikalta hun…

Yeh bol kar john ghar se bahar chala gaya…Thodi der baad usne
horn diya toh baki sab bhi bahar chale gaye…

Jab sab ne samne dekha toh sab ke munh khule ke khule reh gaye…
Samne ek shandar gadi khadi thi…aisa nahi tha k yeh earth ki
gadion se alag thi but thi boht hi shandar…kafi badi thi sab aram
se baith sakte the…

Sab us car mein baith gaye…aur fir John ne car age badha di…jaldi
hi wo log Arenous ke road par the…Kane John ke sath wali seat par
hi baitha huya tha…

Sab bahar dekh rahe the bilkul earth jaisa hi njara tha but kus
bikes aur cars thodi alag thin…But dekha jaye toh boht hi
khubsurat sehar tha…

Wo log aise hi age badhte rahe…kafi ghumane ke baad John ne ek


khubsurat Mahal ke samne Gadi roki…us Mahal ko dekh sab ka munh
khula hi reh gaya…sach mein boht hi jyada sundar tha…

Alia: kitni shandar building hai…

John: yeh hai Arenous ka Royal tower…humein aj Raat ko yahin se


plan shuru karna hai….jaise ke tum log dekh rahe ho yahan main
gate par kitni jyada security hai toh hum log Yahan se nahi
jayenge…main tumhe dikhata hun hum kahan se ander jayenge…
Yeh bol kar usne car fir se chala di…ek do turn lene ke baad wo usi
building ki back side par pahunch gaye…Yeh koi main road nahi tha
ek street thi…wahan car park karne ke baad sab bahar nikle…

John(uper ki taraf dekhte huye): yahan se humein ander jana hai…


wo jo left side mein 3rd window hai uske jariye…age ka plan toh
tum sab ko pata hi hai…plan ko anjaam dete hi hum sab wapis yahin
se niklenge…

Z: toh thik hai Aj raat ka intzar karte hain…

John: toh thik hai ab humein yahan se chalna chahiye…

Fir sab wapis car mein baithe aur John ke ghar laut gaye…Wahan
jate hi sab apne apne room mein chale gaye…Kane apne room mein
idhar udhar round laga raha tha…Usse Raat ka intzar bhi nahi ho
raha tha…

Tabhi uske room ka door knock huya…Kane ne jakar door khola toh
samne Alia khadi thi…

“Are Alia tum yahan?” Kane ne Alia ko dekh kar aise hi puch liya…

Alia: kion main a nahi sakti kya?

Kane: maine aisa kab kaha k tum a nahi sakti…main toh puch raha
tha k tumhe koi kaam tha kya…

Alia: pehle ander toh ane do…

Alia ki baat sun kar Kane darwaje se hat gaya aur Alia ander a
gayi…Alia seedha jakar bed par baith gayi…Kane bhi darwaja wapis
band karke wahan jakar baith gaya…

“han ab batao kya kaam tha?” Kane ne baithte hi Alia se puch liya…
Alia ne kus nahi kaha…wo bed se niche utari aur Kane ke shoes
utarne lagi…

“Alia tum yeh kya kar rahi ho” Kane ne Alia ko rokte huye kaha…
par Alia ne bina kus bole Kane ko apne munh par ungali rakhke chup
rehne ka ishara kiya aur uske shoes utar diye…

“Chalo ab Chup chap bed par let jao…” Alia ne jaise koi order diya
ho…Kane ko bhi uska is tarah karna acha lag raha tha toh wo bhi
uska dil rakhne ke liye let gaya…

Uske baad Alia uske bagal mein let gayi aur Uske mathe ko apne
hathon se sehlane lagi…

“kya ab mujhe bata sakti ho k tum kya kar rahi ho” Kane ne ek
baar fir se Alia se swaal kiya…

Alia: mujhe pata tha k tum aram nahi karne wale isliye main yahan
ayi…taki tum thoda aram karlo…ab jyada batein nahi chup chap so
jao…

Kane: yaar neend nahi a rahi…Mujhe bas jaldi se jaldi apne parents
ko bachana hai…

Alia: dekho tum pareshan mat ho…hum sab tumhare sath hain…par
Raat ka wait toh karna hi padega na…aur mere khyal se agar so
jaoge toh time jaldi nikal jayega…

Alia ki baat sun kar Kane ne ek baar Alia ki ankhon mein dekha…
Uski ankhon mein Kane ke liye pyar aur fikar saaf dikh rahi thi…

Kane ko Alia par boht pyar a raha tha toh usne Alia ke hothon par
halki kiss ki aur apni ankhein band karke let gaya…Kane ki is harkat
se Alia ke hothon par muskurahat fail gayi…aur wo bhi Kane ki
bahon mein apni ankhein band karke let gayi…
Dono jaldi hi neend ke agosh mein kho gaye…Kane ko toh aj boht
dinon baad achi neend ayi thi…

Update 22
Kane ko Alia par boht pyar a raha tha toh usne Alia ke hothon par
halki kiss ki aur apni ankhein band karke let gaya…Kane ki is harkat
se Alia ke hothon par muskurahat fail gayi…aur wo bhi Kane ki
bahon mein apni ankhein band karke let gayi…

Dono jaldi hi neend ke agosh mein kho gaye…Kane ko toh aj boht


dinon baad achi neend ayi thi…

Ab Age

Sab log sham tak aise hi aram karte rahe…sham ko sab Wapis se
ikathe huye…sab ke sab boht utsuk the jane ke liye…John ne sab ko
jarurat ki chijein jaise kus emergency weapon, special shoes aur
gloves diye…Z ko ek khas system bhi diya jo k jail ke high security
defensive lock ko hack karne ke liye jaruri tha..

John: toh ab hum sab ko niklna chahiye…agar koi dar raha hai toh
abhi bhi mauka hai yahin ruk kar hum sab ka wait kar sakta hai…

Sonu(halka sa hans kar): Bhai majak mat karo agar darna hota toh
ab tak apne apne ghar mein sab aram kar rahe hote…

Q: sahi kaha ab toh faisla kar chuke ab kya darna…jis insan ne


hamare liye itne secrifises kiye uske liye hum itna toh kar hi sakte
hain..

Alia: toh fir chalo aj hum bhi us George ko dikha dein k hum bhi
kisi se kam nahi hain…

Yeh bol kar Alia aur baki sab bhi bahar ki taraf chal pade…vaise
toh sab josh se bhare huye the par Kane aur John kus jyada hi
tatpar the us George ka hisab karne ke liye…

Sab gadi mein baithe aur nikal pade apni manjil ki aur John drive
kar raha tha aur Z uske sath wali seat par baitha apne system ko
tyar kar raha tha…Kus hi der mein sab Royal Tower ki back street
mein pahunch gaye…

John(car se utarte huye) toh chalo guys apna samaan nikalo… aur
apne gloves pehan lo aur han ek baar check jarur kar lena…

Q(halki hairani se): check kar lena matlab?

John(apna gloves pehnate huye): matlab yeh k ho sakta hai koi


glove yah shoe kaam karna band karde toh uske liye ek baar check
kar lena jaruri hai…

Q(gusse mein John par chilate huye): matlab agar tumhara yeh
bekar experiment fail huya toh yeh plan bhi fail ho jayga …tum
pagal ho jisne ek bekar si chij ke bharose itna bada plan bana liya…

John ko uske experiment ki insult bilkul bhi bardast nahi huyi wo


bhi Q par bhatak utha… “main koi jasoos nahi hun jo diwaron par
latkata firun… maine sirf safety ke liye sab ko btaya”

John aur Q ke badhte tanav ko dekh kar Kane ko beech bachaco ke


liye ana pada…

Kane: guys lado mat hum sab apna apna kaam kar rahe hain…toh
sab ek dusre se ladne ki bajaye plan par dhyan do…hum sab ek
team hain hamari success yah failure ek insan ki nahi balki puri
team ki hai…so plz cooperate karo…

Kane ke samjhane se dono thoda shant huye aur fir sab ne apna
apna samaan carry kiya aur apne gloves pehan kar deewar ke paas
jakar khade ho gaye…

John: toh guys pehle main aur Kane jate hain uske baad hum jab
bole toh sab uper ana…aur han kus bhi ho jaye par apne
microphones ko khone yan inka connection mat tutne dena…

Sab ne han mein sir hilaya uske baad Kane aur John ne apne gloves
aur shoes mein lage buttons press kiya aur apna ek ek hath deewar
laga kar dekha…jab unka hath chipak gaya toh unhone dusra hath
bhi deewar par lagaya uske baad apni upper body strength ka use
karte huye uper ki taraf badhe…

“Kane plz sambhal kar” Alia ne Kane ke liye thoda fikarmand hote
huye kaha…
Kane ne bhi halka sa piche dekh kar apni ankhon se use ashwashan
diya…uske baad wo bhi john ke sath uper badhne laga…jab dono ke
pair jameen se uth gaye toh unhone ne apni back ko halka sa piche
kar ke apne pair bhi deewar se lag diye…

Ab wo dono jyada tezi se uper badh rahe the…par wo khidki kafi


jyada unchi thi…kafi takat bhi lag rahi thi…

Kane fit hone ke karan yeh kaam badi asani se kar raha tha but
John ke liye asan nahi tha..Wo kafi jyada thak chuka tha…wo kafi
hamf bhi raha tha…

“bas John thodi dur hi bacha hai…hausla rakho” Kane ne John ko


thakta dekh use thoda hausla dene ke liye bola…

John(hamfte huye): thanks Kane..chalo age badhte hain…

John ki baat sun kar Kane ne uski tarf dekha aur fir dono age
badhne lage…thodi aur mehnat ke baad wo dono us window tak
pahunch gaye…
Kane(John ki taraf dekh kar): ab kholo ise…

John ne Kane ki baat sun kar lock pick nikala tabhi usne apna hath
rok liya jaise use kus yaad a gaya ho…wo pareshan hone laga aur
kus sochne laga…yeh cheej Kane ne bhi notice ki…

Kane: kya huya tumhe? Kya soch rahe ho?

John: ek problem ho gayi hai…

Kane(halka sa pareshan hokar): kya problem hogayi hai ab…

John: hamne planning ke waqt yeh nahi socha k tower ke har room
mein cameras honge…

John ke itna bolte hi Kane samajh gaya k yeh ek badi gadbad ho


gayi hai…Kane bhi pareshan ho gaya…

Kane: ab kya karna hoga…

John(nirash hokar): ab kus nahi kar sakte sab gadbad ho gaya…


humein Plan ko yahin rokna hoga…

John ki awaj se saaf pata chal raha tha k wo puri tarah se


hathiyar daal chuka hai…par Kane aisa bilkul bhi nahi kar sakta
tha…wo apne parents ke itna paas ake wapis nahi laut sakta tha…

Kane: hum aisa nahi kar sakte hum yahan se nahi laut sakte…kus
aur hal nikalo but main wapis nahi jane wala…

Kane toh apni jidd par kayam tha John ne ek do baar aur samjhane
ki kosish ki…but Kane koi bhi baat samjhane ko tyar nahi tha…

John(thak haar kar) : aur hum kya kar sakte hain… koi rasta nahi
hai hamare paas…

Kane(John ko beech mein tokte huye): ek tarika hai…


Kane ne bade hi confidence ke sath kaha toh John bhi tyar ho
gaya…

John: chal thik hai jo bhi karna hai jaldi karo…hum aise latke huye
nahi reh sakte…

Kane: toh thik hai mujhe Z se baat karne do…

Fir Kane ne Z se connect kiya…aur use puri baat bata di…Z car
mein hi rehne wala tha kionk wo wahin se sab kus control karne
wala tha…

Z(Kane ki baat sun kar): yeh toh boht badi problem hai…

Kane; yeh humein bhi pata hai…but kya tum kus kar sakte ho…

Z: han kar toh sakta hun but thoda time chahiye…

Kane: kitna time?

Z: Ab yeh toh security par depend hai k kitni tight hai aur kitni
loose…

Kane: toh thik hai but jitna jaldi kar sakte ho karo…John se jyada
der aise deewar par nahi raha jayega…

Z: thik hai…main apna best try karta hun…

Z ne baat karte waqt hi apna kaam shuru kar diya…usne pehle toh
khud ke system ko Tower ke security system mein enter hone diya…
uske baad usne cameras wale system ko khola…tabhi use halki si
probem huyi…

Z(Kane se): Kane kya tum mujhe yeh room number bata sakte ho…

Kane(John se): Z room number puch raha hai…


John(kus soch kar): Room no. 8…

Kane ne Z ko wo bata diya…uske baad Z ne us room ka camera


khola…John ke btane ke mutabik wo room sach mein khali tha…uske
baad Z ne use hack karne ki kosish ki but kafi strong security ke
karan wo denied ho raha tha…usne 2-3 baar aur kosish ki but same
result…

Z(Kane se): Kane mein nahi kar pa raha hun…

Kane: yaar kus toh kar ab sab tumhare hath mein hai…

Z(kus soch kar): chal thik hai main dobara try karta hun…

Z ne dobara apni kosish karni shuru ki…use abhi bhi us system mein
ghusne mein kafi problem ho rahi thi…par use kosish toh karni hi thi
toh wo apne kaam mein laga raha…

Udhar John puri tarah se thak chukka tha uske liye yeh kaam boht
muskil tha…wo bhi intzar kar rha tha k Z kab security system ko
hack kare....

Dusri taraf Q Alia aur Sonu bhi niche khade un dono ko dekh rahe
the…unko nahi pata tha k wo log kion ruk gaye…un teeno ko bhi
fikar hone lagi thi toh Alia ne Kane se connect karke usse problem
ke bare mein pucha toh Kane ne puri baat Alia ko bata di..

Alia: yeh toh badi problem hai…kya koi solution mila?

Kane: han Z try toh kar raha hai…dekhte hain kya banta hai…

Kane ki baat se Alia kafi pareshan ho gayi thi…usne Sonu aur Q ko


bhi puri baat bata di…Sonu bhi ab kafi pareshan hone laga toh
wahin Q ko ab John par ilzam lagane ka ek aur mauka mil gaya
tha…
Q(Gusse se bola): humein is John par trust karna hi nahi chahiye
tha…isse koi kaam dhang se nahi hota…

Alia(Q ko samjhate huye): dekho wo hamari boht help kar raha


hai…ab galti toh insan se ho jati hai…

Q(vyangatmak tarike se): insan se hoti hai galti par wo toh Arenous
ka rehne wala hai…in logon ka dimag toh humse boht jyada hai na
toh galti kaise ho sakti hai…

Sonu: yaar ab bas bhi kar ab…chal Z se puchte hain kaam huya yah
nahi…

Sonu ki baat sun kar wo teeno Z ke paas chale gaye…wo gadi mein
baitha apna kaam kar raha tha…

Alia(Z se): kaam huya kya…

Z(halki si chinta ke sath): yaar baki toh break kar diya but last
wale mein fas gaya hun..kosish kar raha hun…

Tabhi Z khusi ke mare uchal pada “yes ho gaya…”

Z ke sath sath baki sab bhi khus ho gaye…uske baad Z ne Kane se


connect kiya…

Z: Kane ab tum log ander chale jao…pure cameras mere control


mein hai…jo main dikhana chahunga…wahi inmein dikhega…

Kane ne yeh baat John ko batayi toh wo bhi khus ho gaya…wo log
uper gaye aur John ne lock pick ki help se window kholi…Kane uske
jariye ander chala gaya …ander koi bhi nahi tha…

Kane(John se): tum bhi ajao…

Kane ki baat sun kar John ne bhi ander jane ki kosish ki…but usne
jaise hi ek hath window ko dala toh thakne ki wajah se achanak
uski force apne dusre hath se bhi hat gayi aur uska wo hath
deewar se chhut gaya…isse pehle k uska balance puri tarah se
bigdta Kane ne uska ek hath pakad liya…

Update 23
Kane(John se): tum bhi ajao…

Kane ki baat sun kar John ne bhi ander jane ki kosish ki…but usne
jaise hi ek hath window ko dala toh thakne ki wajah se achanak
uski force apne dusre hath se bhi hat gayi aur uska wo hath
deewar se chhut gaya…isse pehle k uska balance puri tarah se
bigdta Kane ne uska ek hath pakad liya…

Ab Age

John ke pair bhi uth gaye aur wo ab sirf Kane ka hath pakde huye
hawa mein latak raha tha…

Kane(John ko uper khinchte huye): chalo ao thodi takat lagao…uper


ki taraf push karo khud ko…

John khud ko uper ki taraf uthane laga…Kane bhi use khinche ja


raha tha…niche khade sab yeh najara dekh kafi pareshan ho rahe
the…

Kus time ki mehnat ke baad Kane ne John ko uper khinch liya…Wo


dono jor jor se hamf rahe the…

Kane(john ke kandhon par hath rakh kar): tum thik toh ho na…

John: han main thik hun…chalo ab bakion ko uper bula lein…

Fir un dono ne baki logon ko uper ane ko kaha…un teeno ko jyada


takleef nahi huyi…
Sabhi is waqt us kamre mein maujud the…

John(sab ko samjhate huye): ab humein yahan se bahar niklna


hoga…han ho sakta hai koi hum logon ko dekh le…us situation ke liye
tyar rehna…

Sonu(apni gun nikal kar load karte huye): ever ready…

Fir sab ne apni gun par silencer lgaya…Kane sab se age ja kar lock
kholne laga…

Kus hi time mein wo lock khul gaya…fir usne dhire se apni garden
bahar nikal kar dekha toh wahan koi nahi tha…

Kane(dheemi awaj mein): guys rasta saaf hai…

Fir Kane aur baki sab us room se bahar nikal aye…wo log dhire
dhire age badhne lage...Kane sabse age chal raha tha…

Wo log thodi dur hi aye the k Kane ekdum se ruk gaya…Asal mein
use kisi ke kadmon ki awaj sunayi di…

Usne apne hath se sabko wahin rukne ka ishara kiya aur khud dhire
dhire age badhne laga…thodi dur ja kar ek turn tha…

Wo us corner par deewar ke piche chhup kar dekhne laga…wahan do


guards the…Un dono ko dekhte hi Kane ne baki sab ko ishara karke
paas ane ko kaha…

Jab wo sab wahan aye toh Kane ne apni talwar nikali aur dhire
dhire us taraf badhne laga…wo dono apas mein batein kar rahe
the…

Kane dhire dhire bina kadmon ki awaj kiye us dono ke piche pahunch
gaya aur usne dhire se apni talwar ek guard ki garden mein ghusa
di…

Wo usi waqt mar gaya wo cheekh bhi nahi paya…yeh sab itna jaldi
huya uske sath wala bhi kus samajh nahi paya…par jab tak wo kus
samjhta ek goli ayi aur seedha uske mathe mein ja lagi…

Wo bhi wahin dher ho gaya…Kane ne piche mud kar dekha toh wo


goli Alia ne chalayi thi…

Kane ne uski taraf dekh kar ek smile ki aur fir sab sath mein age
badhne lage…

Wo dono ek aisi jagah pahunch gaye yahan do raste the…wo sab


wahan a kar ruk gaye…

Q: ab kidhar jana hai…

John(apni gps watch dekhte huye): humein basement par jana hai…
aur iske hisab se basement ka rasta idhar hai(John ne Right ki
taraf ishara karte huye kaha)…

Sonu: Bhai sahi bol rahe ho na…kahin fasa mat dena…

John(us taraf chalte huye): jisko jana hai a jao…jisko yakeen nahi
hai dusri taraf chala jaye…

Kane ko john par pura trust tha toh wo bina kus bole udhar chal
pada…Alia aur Sonu bhi Kane ke piche chal pade…

Q ko jyada yakeen toh nahi tha but wo bhi un sab ke sath hi gaya…
wo sabhi dhire dhire age badhte ja raha the…

Unko koi bhi khatra nahi mila us taraf…fir wo log seedhion se niche
jane lage…ab toh sab ko yakeen ho gaya tha k yeh rasta Basement
par hi jata hai…
John sab se age tha…wo sabhi jaise hi seedhio ke last mein
pahunche toh dekha k samne ek security door hai…

John us door se thoda dur hi ruk gaya…baki sab bhi uske piche ruk
gaye…

Kane: yeh kya hai ab?

John: yeh ek security door hai…maine tumhe bataya tha na…yeh


wahi hai…ise hack karke kholna hoga…agar ise kisi ne bhi chhua toh
alarm bajega aur puri security team alert ho jayegi…

Q: toh fir jaldi se Z ko kaho k ise khole nahi toh gadbad ho


jayegi…

Kane: main bolta hun use…

Kane ne Z se connect kiya aur use kaam bata diya...

Z: don’t worry ab mere liye jyada muskil nahi hogi…kionk maine kafi
sare system ko hack kar liya hai…

Kane: ok jaldi kholo ise…

Z baat karte hi kaam par lag gaya use jyada problem nahi huyi
usne jaldi wo door khol diya…aur un logon ko bata kar confirm kar
diya k wo log ja sakte hain…

Z ki baat sunte hi wo sab age badhne lage…yahan bhi koi guard nahi
hai…

Kane: kamal hai…usne itne kam guards kion rakhe huye hain…

John(age badhte huye): ise over confidence kehte hain…use apne


security locks par aur khud par kus jyada hi yakeen hai…

Sonu: aj toh sale ke confidence ki dhajian uda dunga…


Sonu ki baat par sab halka sa muskura pade aur apne raste age
badhte rahe…

Wo log Dusre security door tak pahunch chuke the…sabhi ka dhyan


puri tarah se us taraf tha…par yahin toh gadbad ho gayi…

“Kon ho tum log?” unke piche se awaj ayi…

Sab ke sab is awaj ko sun kar ghabra gaye…aur sabhi ne palat kar
piche dekha…

Update 24
“Kon ho tum log?” unke piche se awaj ayi…

Sab ke sab is awaj ko sun kar ghabra gaye…aur sabhi ne palat kar
piche dekha…

Ab Age

Samne ek guard khada tha…aisa nahi tha k koi dar gaya ho kionk
wo log khatre se ladne toh aye the…

Par thoda tension tha k kahin sab ko pata chal gaya aur sab se
ladna pad jaye…Par Sonu ne sahi waqt par deemag chalaya aur bina
koi bak bak kiye…ek goli seedha us guard ke forehead mein thok
di…

Wo wahin gir pada…Sab kus itni jaldi huya k kisi ko kus bhi samajh
nahi aya…Par jaldi hi sab age ki taraf badh chale…

Kane ne dobara Z ko dusra security door kholne ke liye kaha…Z ne


jaldi hi door khol diya…Fir wo sab age badhe…

John: toh hum pahunch chuke hain…ab humein cell no. 13 tak
pahunchna hoga…

Kane: thik hai age badhte hain…

Sab un dono ki baat sun kar age badhe…wahan boht sari cells thin…
sab ke uper ek number likha huya tha…John us number ko padh
raha tha…

Sab cells puri tarah se covered thin…matlab ander se bahar aur


bahar se ander kus nahi dekha ja sakta tha…

John padhte padhte age badh raha tha…baki sab use follow kar
rahe…tabhi wo ek cell ke bahar ruka…

John(number ki taraf dekh kar): guys yeh rahi hamari manjil…yahin


hain Lord Henliff…

John ki baat sun kar sab khus ho gaye…Khas kar Kane toh mano
khusi se pagal ho jayega…

“Toh intzar kion kar rahe ho John jaldi kholo cell ko”… Kane ne
apna utawlapan dikhate huye kaha…

John: han kholta hun…

Yeh bol kar John apne ghutne ko niche tika kar baith gaya aur Lock
kholne laga…

John ne jyada der na lagayi aur lock khol kar wapis khada ho gaya…
uske baad usne Door ko khol diya…

Door khulte hi ander maujud do log jhat se bahar ki taraf dekhne


lage…

Sab us aadmi aur aurat ki taraf dekha…un dono ki halat boht


kahrab thi…Us aadmi ki beard kafi badh chuki thi…dono ko dekh kar
lag raha tha k kafi buri condition mein hain…

Wo dono bhi sab logon ko bahut dhyan se dekh rahe the…par kisi ki
pehchan nahi a rahi thi…Tabhi Us aadmi ka dhyan door ke bilkul
sath khade john ki taraf gaya…

John ko dekhe hi kus hi time mein use pehchan liya aur wo aadmi
khus hokar khada ho gaya…

“John tum yahan kaise aye…tumhe George ne ander kaise ane diya”
us aadmi ne ek bhari awaj mein john ki taraf dekhte huye pucha…

Kane abhi bhi bas dekhe hi ja raha tha…wo pehle un dono ke chehre
apni ankhon mein sama lena chahta tha…uski ankhon mein thodi nami
bhi thi…

Udhar John ne Lord ki baat ka koi jawab nahi diya aur wo apne ek
ghutne ko neeche tika kar apna sir jhuka kar baith gaya…

Baki sab bhi John ko follow karte huye vaise hi baith gaye…unko
samajh a chuka tha k yahi Lord hain…

Kane abhi bhi akela hi khada tha…Uske Maa Baap ki najar us par
padi…Kane ki Maa ko thoda laga toh tha par Kane ki kamar mein
latak rahi talwar ne sab saaf kar diya…

Kane bhi ab age badha aur baki sab ki tarah apne pita ke bilkul
samne jakar baith gaya…Lord Steve ne bhi apne bete ko pehchan
liya tha…

Unhone thoda jhuk kar Kane ko uske kandhon se pakda aur uper
utha kar gale laga liya…

“mujhe pata tha tu yahan jarur ayega..” Steve ke munh se ek dabi


si awaj mein bas yahi nikla…
Kane: pita ji apne mujhe bachane ke liye kya kus nahi kiya toh
mera bhi farz hai k main apko aur apne planet ko bacha sakun…

Kane ki baat sun kar Steve boht khus huya…uske baad Kane apni
Maa se bhi mila…Kane ki Maa kafi emotional thi…wo apne bete ko
dekhkar boht khus bhi thi…

Khair uske baad Kane ne Baki sab ka intro diya...John se mil kar
Steve boht khus huya…usse uska haal chal pucha aur Kane ko yahan
tak lane ke liye thanks bhi kaha…

Kane: Ab hum sab ko niklna chahiye…isse pehle k George ko pata


chale humein puri parja ke samne Pita ji ko lana hoga…taki Sab
George ke khilaf hamara sath dein…

Q: bilkul sahi kaha…Humein jaldi niklna hoga…

Uske baad sab is baat se sehmat hote huye wahan se bahar jane
lage…Z ne wo security door abhi bhi khula rakha tha toh wo log
usse bahar a gaye…

Wo log teji aur sabdhani se age badhne lage…Wo log jaldi hi


Seedion ke paas pahunche…wahan ka security door band tha…

Kane(Door ko band dekh kar): main abhi Z ko ise kholne ke liye


bolta hun…

Kane yeh bol kar Z se connect karne laga…par wo kus bol pata isse
pehle hi Z boht hi ghabrayi huyi awaj mein bola…

“Kane ek gadbad ho gayi hai…”

Kane: kya huya ab?

Z: Salon ko pata lag gaya hai k security system mein koi gadbad
hai…

Kane(tension ke sath): toh ab kya hoga?

Z: dekh Bhai wo log ab kisi bhi waqt dobara pura system apne
control mein kar lenge…main ab kus bhi nahi kar sakta…ab tumhe hi
kus karna hoga…par jaldi niklo wahan se…kionk jaldi hi puri security
force hum sab ke piche hath dho kar pad jayegi…

Update 25
Kane(tension ke sath): toh ab kya hoga?

Z: dekh Bhai wo log ab kisi bhi waqt dobara pura system apne
control mein kar lenge…main ab kus bhi nahi kar sakta…ab tumhe hi
kus karna hoga…par jaldi niklo wahan se…kionk jaldi hi puri security
force hum sab ke piche hath dho kar pad jayegi…

Ab Age

Z ki baat sun kar Kane ke chehre par tension saaf dekhi ja sakti
thi…use samajh nahi a raha tha k wo kya kar sakta hai…

“Dosto ek bahut badi gadbad ho gayi hai” Kane ki baat sun kar sab
ka dhyan uski taraf gaya aur unke chehre par chinta najar a rahi
thi…

Q: Kya huya Kane?

Kane ne puri baat sabko bata di…Yeh baat sun kar sabki hawa tight
ho gayi thi…

John: ab hum kya karenge?

Kane ki samjh mein kus nahi a raha tha…use pata tha k sab gadbad
ho chuka hai…ab koi plan kaam nahi ayega…
“Bhai tu chup kion hai? Kus toh bol.” Sonu ne Kane ko chup dekh
kar bola…

Kane ko sare raste band najar a rahe the…uske dimag mein ek hi


tarika a raha tha…pata nahi wo sahi tha yah galat…yah fir ap ise
suicide bhi bol sakte ho…par iske ilawa kus bhi nahi tha…

“Humein un logon ko ek target dena hoga” Kane ne apni chupi ko


todte huye kaha…par uski yeh baat kisi ki samjh mein nahi ayi…

Alia: kya kehna chahte ho tum?

Kane: dekho sabse pehle hum sab ko yeh pata hona chahiye k hum
fas chuke hain…mujhe nahi pata kya karna chahiye…but main ek
warrior hun toh ladunga…aur un logon ko ek target dunga taki tum
log yahan se nikal sako…

Kane ki baat se sab ko saaf saaf samajh a chuka tha k wo kya


karna chahta hai…par yahan koi bhi is baat ko manne ko tyar nahi
tha…

Steve: beta main bhi ek warrior hun…tum akele nahi ladoge main
bhi ladunga…

Kane's mom: itne salon baad mile ho…tumhe akela chhod kar nahi ja
sakti beta…

Kane: Ap log samjhiye yeh pure Arenous pure universe ke liye hai…
agar ap safely yahan se bahar gaye toh George ka jalimraaj
khatam ho jayega…

John: par hum apko chhod kar nahi ja sakte…

Alia: han main bhi nahi jane wali…


Q: Bhai main toh duty par hun bhag nahi sakta…

Sonu: aur main yahan tere sath ladne aya hun ab kaise bhag jaun…

Kane ko pata chal chuka tha k koi use akele nahi ladne dega…uper
se itna time nahi tha k sabko samjha paye…is liye uske dimag mein
ek idea aya…

“toh thik hai…Alia Sonu aur Q tum log mere sath chaloge…Aur John
tum pita ji aur Maa ko lekar hamare plan ke according car tak
jaoge…Par plan mein kus changes honge…”

John: ab kya change karna hai…

Kane: dekho hum log pehle yahan se niklenge aur wo log hum par
attack karenge…jab puri force hum par dhyan de rahi hogi toh ap
log yahan se nikloge…george ap logon ke piche padega…but Hun log
Age se protect karenge…aur safely bahar nikal sakenge…ab toh kisi
ko problem nahi hai na sab ek Sath bahar niklenge…

Sab ne han bola...uske baad Steve Kane ke paas aya aur uske
kandhe par hath rakh kar kaha…

“Beta tum mein boht power hai…apni shakti ka sahi istemal karna…
tum ek warrior ho ek survivor ho aur sabse badi baat ek
responsible Prince ho…tum khud par yakeen karo…koi tumhe nahi
hara sakta…”

Kane ne apne pita ji ki baat ki gehrayi ko samjha aur apne uper


yakeen karke ek smile di…

Sonu: par ab ise kaise kholenge…

“kholna kya hai…jab plan fail ho hi gaya hai toh fod daalte hain…”

Itna bol kar Kane ne apni talwar nikali aur ek jordar attack kiya
aur wo door tod dala…door tut te hi pure tower mein security alarm
baj utha…

Kane ke sath Q,Alia aur Sonu sedion ke sahare uper chal pade…Wo
charon teji se uper badh rahe the…

Udher ek Aadmi jo koi officer lag raha tha,ghabraya huya ek shahi


darbaar mein ghusa…aur apne ghutno par sir jhuka kar baith gaya…
wahan boht sare log maujud the…

Samne ek unche singhasan par ek lamba chauda takatwar Insan ek


shahi poshak mein baitha tha…Yahi tha cruel Lord George Henliff…

Wo shakal se hi kameena lag raha tha…aur is waqt gusse mein bhi


tha…

“Main yeh kya sun raha hun k kisi ne hamari suraksha parnali mein
kharabi paida ki hai…aur ab yeh security alarm…”

George ne apni raubdaar aur unchi awaj mein us officer se pucha…

Officer(vaise hi baithe huye): My Lord pata nahi yeh kaise huya…


yeh bilkul bhi mumkin nahi tha…par hum jaldi hi sab thik kar denge…
abhi hamare cameras kaam nahi kar rahe…par alarms chal rahe
hain…aur pata chala hai k jail ki taraf koi ghuspeth huyi hai…maine
force us taraf bheji hai…

Officer ne apni baat George ke samne rakhi…par uski baton se


George ko bechaini hone lagi k kahin jis bete ko Steve ne is umeed
mein bachaya tha k ek din wo Arenous ko bachayega…wo wapis toh
nahi a gaya…

“Jaldi se Steve ke cell ki suraksha badha do”

George ne badi hi gabhrayi huyi awaj mein kaha…but use nahi pata
k wo late ho chuka hai…
Update 26
“Jaldi se Steve ke cell ki suraksha badha do”

George ne badi hi gabhrayi huyi awaj mein kaha…but use nahi pata
k wo late ho chuka hai…

Ab Age

George ke kehne par officer ne apne soldiers us taraf bhej diye…

Dusri taraf Kane aur baki teji ke sath bahar ki taraf bhag rahe
the…wo log teji se badhte huye us room tak pahunch chuke the
yahan se wo log ander aye the…

Kane(sab ko): Ab suno Z,John aur Ap dono(Kane ke parents) yahan


se John ke ghar chale jayiye...Hum in logon ko rokte hain…

Steve: par beta tum bhi toh chal sakte ho…

Kane: pita ji abhi tak un logon ko pata chal chuka hoga…agar hum
bhi chale gaye toh wo log piche ayenge…isse acha hai yahin sab
nipta liya jaye…

Kane ke samjhane par sab uski baat se sehmat ho gaye…Un teeno


ke wahan se chale jane ke baad Kane Alia Q aur Sonu wapis ander
jane lage…

Udher ab tak Steve ke bhag jane ki khabar George ko bhi mil chuki
thi…wo is waqt apne raaj darbar mein apne takhat ke paas idhar
udhar ghum raha tha….

George(gusse wali awaj mein): Khatam kar dalo usko aur jisne uski
help ki hai…

Itne mein Officer dobara darbar mein aya aur pehle ki tarah salam
karke wahin khada ho gaya…

Officer: My Lord hamare cameras chalu ho gaye hain…humne Tower


mein 4logon ko dekha hai…unmein se ek ke paas Lord Steve ki
talwar hai…

Talwar ke bare mein sunte hi use samajh a gaya k Steve ka beta


Kane hai…

George: Lekin Steve kahan hai?

Officer: sir wo nahi mile…lagta hai wo tower ke bahar ja chuke


hain…

George ko toh jhatke pe jhatke mil rahe the…use samjh nahi a raha
tha k kya ho raha hai…

Udher Kane aur Uske sathi lagatar teji se Tower mein Darbar ki
taraf jane lage…Yeh baat Officer ko pata chali toh usne Apne
Soliders bheje…

Kane ko jaise hi kisi ke ane ki awaj huyi toh wo log alag alag jagah
chhup gaye…Itne mein Wo sipahi bhi wahan a gaye…

Sonu(Sab ek dusre se connected the): yaar yeh toh boht sare


hain…

Alia: han par jab tak chhup kar attack kar sakte hain acha hai…

Q: Sahi kaha…apni gun par silencer lagao aur shuru ho jao…

Un teeno ne apni guns par silencer lagaya aur target karna shuru
kiya…wo log lagatar un logon ko marte ja rahe the…

Par cameras mein dekh kar Soliders ko bata diya gaya k yeh log
kahan chhupe hain…Toh wo log us taraf badhne lage…
Jaise hi yeh chij Kane ne dekhi toh use pata nahi kya huya…apni
jagah se nikla aur jor se chilate huye apni talwar nikal kar un logon
ki taraf kar di…

Talwar se boht sari electromagnetic waves niklin jisse wo sab log


taash ke patton ki tarah bikhar gaye…

George is waqt control room mein tha aur yeh najara dekh raha
tha…uski rooh bhi dar ke mare kaamp uthi…

Dursi taraf Kane ke dosto ko bhi samajh nahi aya k yeh kya huya
kaise huya…Sab hairani se munh fade khade the…

Kane(un sabko aise hairan hote dekh): chalo guys hairan mat ho…
abhi toh boht kus hai dekhne ko…chalo age badhte hain aur us
george ki faad dalte hain…

Kane ki baat sun kar sab jaise hosh mein aye hon aur wo sab age
badhne lage…

Alia(chalte huye): Kane vaise tumne yeh kiya kaise…

Kane: main apni internal power ko is talwar se connect karke boht


kus kar sakta hun…

Fir wo log Age badhne lage…Wo log John ki di huyi watch se rasta
dhundh rahe the…

Udher George ke dar ke mare pasine chhut rahe the…

“Jao Commander jaldi se aur soliders bhejo…apni best force bhejo…


but yeh Kane ka bacha jinda nahi bachna chahiye…aur us Steve ko
bhi dhundho…isse pehle k wo Logon ke samne a kar mujhe Lord ke
pad se utar de…” George ne chhilate huye kaha toh commander bhi
darte huye apne kaam mein lag gaya…
Toh jara hum bhi dekh lein k Steve kahan hai…Wo log wahan se
niklne ke baad Car se jungle ki taraf badh rahe hain…

John(drive karte huye): My Lord George kabhi bhi hamare piche


pad jayega…mere khyal se abhi humein mere ghar chale jana
chahiye…

Steve: Nahi humein jald se jald Arenous Court jana hoga…wahan


main khud ko ajad bata kar George ke kawje wale raaj ko khatam
kar dunga…uske baad Arenous ke wafadar log George ko apna Lord
manne ke liye majbur nahi honge…

Steve ki baat ko samjh kar John ne car Court ki taraf badha di…
Arenous ke court mein teen dharam guru hote hain…jinke announce
kiye jane par George power se hat jayega…Aur Steve wapis Lord
ban jayega…

In teeno ke uper kisi ka order nahi chalta…isliye yeh bilkul ajad


hain…par yeh khud se kisi ko Lord nahi bana sakte…Agar asli Lord
chahe toh wo khud ko ajad ghosit karke apna raaj wapis le sakta
hai…

George ko bhi pata hai k wo log Court hall mein jayenge toh usne
apne admi us taraf bhej diye hain…aur unko sakhat nirdesh diye
hain k Un teeno guru ko kus na ho…kionk Arenous ke rules ke
mutabik unki safety ki jimmedari Lord ki hoti hai…agar wo asafal
raha toh usko apne pad ke liye koi aur niyukt karna hoga…

Toh Ek taraf Kane george ki Taraf badh raha hai toh dusri taraf
Steve Court ki taraf…ab dekhna yeh hai k kya George un logon ko
rokne mein safal hoga yah nahi…

Update 27
Toh Ek taraf Kane george ki Taraf badh raha hai toh dusri taraf
Steve Court ki taraf…ab dekhna yeh hai k kya George un logon ko
rokne mein safal hoga yah nahi…

Ab Age

Kane aur sathi kafi teji se age badh rahe the k tabhi unke samne
kus soliders ki tukdi a gayi…

Kane ne yeh dekhte hi…apni talwar ki help se ek safely shield bana


diya…

Kane(Q ki teraf dekh kar): ab in logon par firing karo…

Kane ke bolte hi dono taraf se firing shuru ho gayi…kabach sari


golian rok raha tha…aur ander se wo teeno side se goli chala rahe
the…

Kus der ke baad unmein se kus soliders mar gaye…Commander ne


aur jyada soliders bhej diye…aur kus piche se bhi a gaye…

Q(piche dekh kar): Kane hamare piche se hamala hone wala hai…

Kane ne bhi dekha toh ek tukdi wahan se a rahi thi…

Kane: tum log kisi room se firing karo…main yahan sambhalta hun…

Kane ki baat sun kar wo log darwajon ke piche chup kar piche wali
tukdi se mukabala karne lage…

Kane ne apni puri takat laga kar wo defensive shield samne wali
tukdi ki taraf dhakel di…

Un soliders ne us shield par firing karni shuru kardi par koi farak
na pada…Kane ne apna dhyan piche wali tukdi par kar diya…

Udher shield ke contact mein jo koi aya sab rakh ho gaye…Matlab


ab sirf ek taraf ki ladayi bachi thi…

Kane apni talwar lekar sab par tut pada…wo kisi bijli ki tarah aya
aur un logon par toofan ki tarah baras pada…

Uski hamale ki speed itni jyada thi k kisi ko kus samajh nahi aya
aur sab sipahi dher ho gaye…

Fir wo log wapis apne raste badne lage…George ki tension badhti ja


rahi thi…

Dusri taraf Steve bhi apni manjil ke paas pahunch gaya tha…Par usi
wapt uske piche 3-4 cars ati dikhayi din…jo k Arenous Army ki
thin…

John(rear mirror mein dekh kar): a gaye kamine…

John ne apni speed badha di…wo kafi tej ja rahe the par army
walon ki cars kus kam nahi thin…wo log bhi teji se bhag rahe the…
Traffic ke beech se yeh race chal rahi thi...

John baar baar rear mirror se dekhta toh fasla kam hota ja raha
tha…Itne mein Z apni gun load karne laga…

Use aisa karte Steve ne dekh liya aur wo jhat se rokte huye bola…
“aisa mat karo age kafi sare log rehte hain…kisi ko nuksan pahunch
sakta hai…jab tak samne se firing na ho hum bhi nahi karenge…”

Steve ki baat maan kar Z chup chap baith gaya…aur Race jari
rahi…

Udher Kane aur sathi darbar ke kafi najdeek pahunch gaye…

Alia(chalte huye): kya tum apne chacha ko maar daloge…

Kane(halke gusse se): wo mera chacha nahi hai…wo ek kamina hai…


jisne mere parents aur planet ko boht salon tak rulaya hai…wo sirf
maut ka hakdar hai…

Sonu: sahi kaha Bhai…hum us par koi taras nahi khane wale…

Q(apni watch dekhte huye): guys hum log pahunch chuke hain iske
mutalib left turn aur darbar a jayega…

Q ki baat sun kar sab khus ho gaye aur Kane ki ankhon mein gussa
aur badhne laga…ek baat toh saaf thi k yah Kane nahi yah george
nahi…

Itne mein sab darbar ke door tak pahunche…par wahan ka najara


kus khas acha nahi tha…wahan pura darbar army se bhara pada
tha…lag raha tha boht badi jung hone wali hai…

Kane aur uske sathi wahin par ruk gaye…baki teeno toh thoda gabra
gaye par Kane ko koi farak na pada…

“George Kahan ho tum…itne soliders ko marwake kya milega agar


himmat hai toh khud samne ao…agar tum jeete toh tum yahan ke
Lord aur agar main jeeta toh tum vaise bhi marne wale ho…”

Kane ne jor se garjte huye kaha…George darbar ke piche bane


control room mein tha par Kane ki awaj sun pa raha tha…

Wo Kane ki baat sun kar bahar nikla aur apne singhasan par ja kar
baith gaya…hajaron soldiers ke uper se George aram se dikh raha
tha…

“Tumne dekha main tumse kitna uper baitha hun…yahan tak


pahunchne ke liye tumhe in sab se bhidna padega…tum logon ki
saans bhi yahan tak nahi pahunch sakti…jameen mein gad diye
jaoge…aur sath mein tumhara mujhe harane ka sapna bhi…”
George ne badi hi kameeni awaj mein kaha…yeh baat Kane se bilkul
bhi sehan nahi huyi toh usne apni talwar nikali aur jor se chilate
huye hawa mein hi ek vaar kiya…

Usmein se electromagnetic force nikli aur sab soliders ko uda le


gayi…aur sath mein George bhi apne sighasan se udta huya piche ja
gira…

Kane ne kisi ko mara nahi sirf jakhmi kar diya…wo itne logon ko
faltu mein marna nahi chahta tha…

“George abhi bhi waqt hai apne ghutne tek do…hum tumhe sirf jail
ki saja denge…nahi toh aj mere hathon se mare jaoge…”

Kane ne George ko ek baar samjhane ki kosish ki…par wo kahan


manne wala tha…Wo wapis khada huya aur jor se chilate huye bola…
“lagta hai tumhe apni power ka namuna dikhana hi padega…”

Udher dusri taraf Wo log court room tak pahunch chuke the…par
wo cars bhi sath mein thi aur wo ab Steve ki car par firing karne
lage…

Update 28
Udher dusri taraf Wo log court room tak pahunch chuke the…par
wo cars bhi sath mein thi aur wo ab Steve ki car par firing karne
lage…

Ab Age

Firing ke karan Steve ki car ke sabhi kanch tut gaye the…wo log
bas khud ko kisi tarah bachane ki kosish kar rahe the…Z ne niche
jhuke huye hi apni gun load ki…aur wo Steve ko dedi..

John ne bhi apne liye ek gun load ki..Z ne ek gun pehle se load
rakhi thi wo utha li…
Z: John ap Kane ke parents ko lekar court room ki taraf badiye
main in logon ko rokta hun…

John: tum pagal ho gaye ho kya..yeh log 30-35 hain aur tum
akele…kaise rokoge in sab ko…

Z: wo dekha jayega par Lord ko ander pahunchana boht jaruri hai…


nahi toh hum sab vaise hi mare jayenge..

John: thik hai main inko ander pahuncha kar tumhare paas wapis
aunga…tab tak apna khyal rakhna…

Z: thik hai ab tum jaldi jao…

John(Steve se): ap dono chaliye humein yahan se niklna hoga…

Fir John aur Kane ke parents wahan se jhuk kar car ki aad mein
court room ko taraf badne lage…

Z ander se hi apne kus weapons collect karne laga…car par lagatar


firing ho rahi thi…Z ne do pistols…ek shotgun…6 bombs aur kafi
sare bullets uthaye aur apni jacket mein daal liye…uske baad wo bhi
court wali side se car mein se bahar a gaya…

Z car ke piche chhup kar side se dekhne laga toh kafi sare army
wale us par firing kar rahe the…Z ne apni shotgun nikali…jo pehle se
load ki huyi thi…usne ek admi ke sir par aim kiya aur fir fire…us
admi ki khopdi ud kar dur ja giri…

Uske baad sabko pata chal gaya k koi car ke piche se jawabi firing
kar raha hai…Toh us tukdi ke chief ne apne soliders ko ishare se us
taraf badhne ko kaha….Soliders bhi order milte hi dhire dhire dono
side se Car ki taraf badne lage…

Z ne bhi unki movement dekh li…usne apni jacket ke ander se 2


bombs nikale…usne apni gun niche rakhi aur bombs ka button daba
kar unhe activate kar diya...

Uske baad Z ne lambi saans li aur teji se khade hokar dono taraf
se a rahe soliders par ek-ek bomb gira diya…jab tak wo soliders
kus samajh pate tab tak bomb fat chuke the…

Z ne mauke ka fayada utha kar apni gun uthayi aur bhag kar court
room ki taraf jane laga…jaise hi bomb se uthi dust aur smoke ki
chadar hat gayi aur Chief ne Z ko bhagte huye dekh liya…

Usne apni baki bache 15-20 soliders ko Z ko marne ke liye uske


piche bheja…Z ander nahi gaya wo bas door ki ander wali side jakar
khada ho gaya…taki chhup kar un army walon ka mukabala kar
sake…

Udher Kane aur george ke beech mahol kafi garam ho chuka tha…
George jameen se uth kar dobara apne singhasan par baith gaya…

George(apne sipahion se): soliders khatam kar do is bache ko…aur in


dharti walon ko bhi bata do k Arenous se dushmani kitni mehngi pad
sakti hai…

George ki baat sunte hi sabhi sipahi wapis khade ho gaye aur josh
se bhar gaye…wo log apni choton ki parwah kiye bina hi ladne ko
tyar the…

Udher Kane bhi puri tarah se tyar tha…aur usne ek baar apne
sathion ka hausla badhane ke liye kaha…

“Hum sab yahan is kamine ko khatam karne aye hain aur ab itne
karib a kar kisi bhi halat mein piche nahi hatenge…chalo dosto dikha
dein is kamine ko…”

Kane ke itna bolte hi sabne apne hathyar nikal liye…Sonu jaldi se


apni sniper gun lekar ek jagah ja kar chhup gaya…Alia aur Q ne bhi
apni apni position le lin…

Kane ne apni gun nikali…itne mein Arenous army ke commander ne


firing ke orders de diye toh samne se firing shuru ho gayi…Kane ne
bachne ke liye khud ko shield se cover kar liya…

Kane kisi se bhi nahi ladna chahta tha uska aim sirf george hi tha…
isliye usne aise hi age badhne ki sochi…par soliders lagatar shield
par firing kiye ja rahe the…isliye Alia Sonu aur Q ne bhi un logon
ko nishana banana shuru kar diya…

Kane ko bhi laga k George use aise age nahi badhne dega…isliye
usne apni takat laga kar vapni shield ko charon taraf faila diya jiski
wajah se darbar mein maujud sabhi soliders udte huye diwaron se
ja takraye….

Dusri taraf court room mein Z un logon ko lagatar roke huye tha
aur Steve dharma gurus ke paas pahunch chuka tha…

Steve aur Gurus ne ek dusre ko dekhte hi izzat ke sath salam


kiya…

Gurus ko behad khusi huyi k Steve ajad ho gaya hai…aur ab


Arenous ko George ke julam se chhutkara mil jayega…

Isliye unhone bina der kiye apna kaam shuru kar diya…John bhi
bahar ki taraf a gaya…usne dekha k Z wahan chhup kar firing kar
raha hai toh wo bhi uske paas chala gaya…

John(z ke paas jakar): ab tak kitne mare…

Z: 15 toh mar diye honge…

John: achi baat hai chal bakion ko bhi nipta dein…


Udher Kane apni powers ka use karke sab soliders ko khatam kiye
ja raha tha…Sonu Alia aur Q bhi apna kaam ache se kar rahe the…

In charon ne lagbhag sabhi ko khatam kar diya tha…George ab


pareshan ho gaya tha…par abhi uski pareshani aur jyada badhne
wali thi kionk Steve ke ajad hone ki khabar har jagah fail gayi aur
Gurus ne bata diya k Steve abhi se apna pad sambhalta hai..

Toh ab George ki satta khatam ho chuki thi…par george is baat se


anjan tha…Uski ankhon ke samne Kane aur uske sathion ne uski puri
fauj ko khatam kar diya…wo pareshan ho chuka tha…

George jaldi se control room mein gaya…wahan commander maujud


tha…George seedha uske paas gaya…

George(gusse se): tum kya kar rahe ho jaldi se aur sipahi bhejo…

Commander ne George ki baat sun kar kus sipahion ko bulaya…sipahi


jaldi hi wahan pahunch…

Commander(Sipahion se): chalo guys is George ko pakad kar jail


mein dalo…

George ko toh jaise koi shock laga ho…use kus samajh nahi a raha
tha k kya ho raha hai…wo puri tarah se ghabra chuka tha…

George(Chilate huye): main tumhara Lord hun…

Commander: tum hamare Lord nahi ho aur kabhi hone bhi nahi
chahiye the…jo hamare Lord hai wo jaldi hi yahan a rahe hain…ab
tumhari kismat ka faisla wahi karenge…(sipahion se) ise le jao aur
jail mein daal do…

Update 29
George(Chilate huye): main tumhara Lord hun…

Commander: tum hamare Lord nahi ho aur kabhi hone bhi nahi
chahiye the…jo hamare Lord hai wo jaldi hi yahan a rahe hain…ab
tumhari kismat ka faisla wahi karenge…(sipahion se) ise le jao aur
jail mein daal do…

Ab Age

Commander ke kehne par soliders ne george ko pakad liya…George


ke liye yeh baat bardast ke bahar thi…usne apni powers ka use kiya
aur sipahion ko gira kar wahan se gupt darwaje se bhag nikla…

Uske bhagte hi commander jaldi se Darbar mein pahuncha aur usne


apne baki bache sipahion ko hathyar daal kar Kane ke samne sir
jhuKane ka hukam diya…

Hukam milte hi Kane ke samne sabhi ne sir jhuka liya…Kane aur


uske sathi is chij se thode hairan huye par unko yeh samjhne mein
der na lagi k Steve ne George ko barkhasat kar diya hoga…is baat
se sabhi ke chehre par khusi thi…

Itne mein commander aya aur Kane ke samne apna sir jhuka par
baith gaya…

“Prince Kane apko mubarkbaad…par ek buri khabar hai k George


hamari pakad se bach nikla aur kahin bhag gaya…humne use rokne ki
kosish ki par rok nahi paye…” Commander ne Kane ke samne apni
problem batate huye kaha…

Kane pehle toh soch mein pad gaya k George kidhar gaya hoga..par
use samjhte der na lagi k George abhi apni haar se baukhlaya huya
kahan ja sakta hai…

Kane(pareshan chehre ke sath): jaldi se court room ke paas apne


suraksha karmi bhejo …mujhe pura yakeen hai k George abhi wahin
jayega aur Pita ji ko nuksaan pahunchane ki kosish karega…

Kane ki baat sunte hi Commander ne yeh suchna sab sainikon tak


pahuncha di aur sab ko alert kar diya…

Boht hi jyada ginti mein saina wahan jane lagi…Kane bhi apni talwar
aur apni shaktion ka istemal karke wahan se ud gaya…yeh ek aur
hairani wali baat thi Alia,Sonu aur Q ke liye…

Khair wo log bhi Commander ke sath wahan se Court room ki taraf


chal pade…Unke sath kafi army thi…

Udher dusri taraf Kane ke parents,John aur Z charon log bahar ki


taraf ja rahe the k tabhi unke samne George pahunch gaya…George
ko dekhte hi Z aur John ke chehre par ghabrahat saaf dekhi ja
sakti thi…

George boht hi jyada gusse aur ghamand se bhara huya tha…Steve


abhi shant tha toh wahin Kane ki Maa thoda pareshan lag rahi thi…
George gusse ke sath unke paas gaya…

“Boht badi galti ki jo tumhe aur tumhare bete ko jinda chhod diya…
is umeed mein k ek din tera beta yahan ayega aur uske garden par
talwar rakh kar tera sab kus tujhse chin lunga…par galat tha main…
sab ulta ho gaya…tum Baap bete ne mera sab kus chheen liya
mujhse…par main bhi hisab barabar karke rahunga…aj tum sab ko
maut ke ghat utar dunga..”

George bade hi gusse aur jalan ke sath yeh sab bol raha tha…Steve
bade hi shant tarike uski yeh bakwas sun raha tha…George ne apni
talwar nikal li…uski yeh harkat dekh kar John aur Z apni gun lekar
uske samne a khade huye…
John(apni gun George ki taraf karke): tumhe Lord tak pahunchne se
pehle hum se takrana hoga…

Z(John ki han mein han mila kar): sahi kaha hum tumhe tumhare
ghatiya maksad mein bilkul kamyab nahi hone denge…

George(gusse mein un dono ki taraf dekhte huye): side ho jao tum


dono nahi toh sabse pehle maroge…

George ne jyada batein nahi ki aur ek ek laat un dono ki chhati


mein mari wo dono dur jakar gire…uske baad wo Steve ki taraf
bada par isse pehle wo uske paas pahunch pata Kane hawa mein teji
se uski taraf aya aur uski peeth mein ek jordar laat maar kar use
dur gira diya…

Kane(apne parents se): ap log jaldi se kisi surakshit jagah pahunch


jaiye…

Kane ki baat sun kar wo dono Z aur John ke paas pahunche aur un
dono ko sahara dekar wapis court room mein chale gaye…

Kane gusse mein ankhein red kiye huye George ke paas gaya aur use
utha kar bahar fenk diya…George jakar wahan khadi ek car se
takra gaya…Kane ne lambi jump lagayi aur udta huya uske paas
jakar khada ho gaya…

Isse pehle wo kus kar pata George ne ek jordar kick uske pet mein
jad di…Kane piche ki taraf udta huya Court room ki diwar se upar
ki taraf takra gaya…George bhi jaldi se khada huya…aur ud kar
uske paas gaya aur utha kar niche patak diya…

Kane ko kafi chhot a gayi thi…George ab us par bhari padne laga


tha wo lagatar us par hamla kiye ja raha tha…Kane kafi ghayal ho
chuka tha…wo jameen par gir chuka tha…itne mein Alia aur uske
dost commander aur army ke sath wahan pahunche…
Kane ki aisi halat dekh kar sab kafi pareshan ho gaye…Alia toh
uske paas jana chahti thi par commader ne use rok diya aur saina
ko hamla karne ki agaya di…sab soliders George ki taraf bade…

George ne un sab ko dekha toh uska gussa aur jyada badh gaya
usne gusse mein a kar chilana shuru kar diya aur apni talwar se
jameen par jordar war kiya…usse ek wave paida huyi aur sab
soliders hawa mein udte huye idhar udhar ja gire…

Itni power dekh sab hairan the…George pure gusse mein Kane ki
taraf palta…aur apni talwar se us par war kiya…Kane ne apna Khula
hath us talwar ke samne kiya Aur Kane ki side mein giri huyi talwar
magnet ki tarah Kane ke hath mein a gayi…

Usne talwar se George ka attack rok diya aur ek kick George ke


pet mein mardi…George pichhe ja gira aur itne mein Kane jaldi se
khada ho gaya…Aur Ud kar George ke paas pahuncha…

Update 30
Usne talwar se George ka attack rok diya aur ek kick George ke
pet mein mardi…George pichhe ja gira aur itne mein Kane jaldi se
khada ho gaya…Aur Ud kar George ke paas pahuncha…

Ab Age

Iske baad toh Kane ne George ko uthne ka bhi mauka nahi diya…wo
lagatar uske sharir par tez tarar hamle karta raha…George adh
mara sa ho chuka tha…

Ab yeh ladayi bilkul ek tarfi ho chuki thi…Kane maar raha tha aur
george kha raha tha…Par ab George ka ladna namumkin sa lag raha
tha…Kane toh ab jaise kisi lash ko maar raha tha…

Wo sirf apna gussa nikal raha tha…George ki sansein ab dheemi


padne lagi thi…George ki ankhein band ho rahi thin…par Kane ke
gusse ki aag bujhne ka naam nahi le rahi thi…

Akhirkar Kane ne jor se chilate huye ek ghunsa George ke dil par


mara aur uski dhadaKane band ho gayin…George mar chuka tha…

Jab Kane ko tassali ho gayi k wo mar gaya hai toh usne usko marna
chhod diya aur wahin uske paas apne ghutno ke bal baith kar jor
jor se hamfne laga…

Jab Kane ka gussa shant huya toh usne court room ki taraf dekha
wahan uske parents khade the…Kane ne apni talwar wahin fenk di
aur uthkar apne parents ke paas gaya…

Kane unke samne apna ek ghutna niche tika kar aur apna sir jhuka
kar baith gaya…Lord Steve ne apne bete ki taraf dekha…aj unko
apne khoon par boht proud feel ho raha tha…unki ankhon mein ek
alag chamak thi…

Steve ne niche jhuk kar Kane ko kandhon se pakda aur uper utha
kar apne gale se laga liya…

“pita ji hum jeet gaye” Kane ke munh se bas yahi nikla aur usne
apne pita ko jor se hug kar liya…

Aj un dono ki ankhon mein nami thi…Kane ko kafi der gale lagane ke


baad Steve ne use khud se alag kiya…Iske baad Kane apni Maa se
mila…

Har taraf khusi ka mahaul tha…Steve ne puri parja ke samne


George ki maut ki ghausna ki…sab boht khus the k unko itne lambe
time ke baad ajadi mili hai…George ki body ko ek tabut mein daal
kar dafna diya gaya…

Khair is khusi bhare mahol ke beech ek chehra aisa bhi tha jo boht
dukhi aur mayus lag raha tha…Sayad ap samajh hi gaye honge k
main kiski baat kar raha hun…Ji han main baat kar raha hun Alia
ki…

Kane ne bhi Notice kiya k Alia boht udaas hai toh wo use lekar ek
side chala gaya…Wo kus der uski taraf dekhta raha…Alia usse
lagatar Ankhein churati rahi…Kus der ke baad Kane ne usse puch hi
liya…

Kane: Kya baat hai Alia tum khus nahi lag rahi…

Alia(apni garden niche kiye huye): nahi koi baat nahi hai…

Kane(Alia ke chehre ko uper utha kar): dekho mujhse jhuth mat


bolo mujhe pata hai tum kion itni dukhi ho…par yeh toh hona hi
tha…maine tumhe kaha toh tha k hum kabhi ek nahi ho sakte…

Kane ki baat sunte hi kafi der se ruke huye ansoo Alia ki ankhon se
beh nikle…

“kion nahi ho sakta…main yahin rahungi…vaise bhi mera kaun hai


tumhare ilawa…plz mujhe yahan se mat bhejo…” Alia ne rote huye
Kane se kaha…Kane bhi kafi emotional ho chuka tha…par wo kus
bolta isse pehle hi kisi ki awaj piche se ayi…

“Beta tumhe yahan se jana hi hoga…tum yahan nahi reh sakti…main


janta hun tum Kane se pyar karti ho…par yeh nahi ho sakta…tumhe
dharti par lautna hi hoga” yeh baat Steve ne boli thi…

Is baat se Alia ki bachi huyi umeed bhi khatam si ho gayi thi par
usne ek baar aur try karne ka socha…

Alia: par Sir…

Steve(alia ko beech mein rokte huye): aur kus nahi sunna humein…
tum yahan nahi ruk sakti…aur tumhare sathi jane ko tyar hain tum
bhi jao…jaldi hi Bridge khulne wala hai…

Lord ne apna hukam suna diya…Alia ka chehra bilkul murjha gaya…


par agle hi pal uske liye jaise khusion ka samunder umad aya ho…

Steve: par han Kane ko bhi apne sath leti jana…Mujhe pata hai yeh
wahan jyada khus rahega…aur ab toh bridge bhi khul chuka hai jab
man kare hum isse mil sakte hain…

Is baat se Alia itna jyada khus ho gayi k usne khusi ke mare Kane
ko ek kiss kar liya…Kane bhi Alia ko khus dekh kar kafi khus tha…
par uske man mein ek swaal tha…

Kane: par main apko chhod kar kaise ja sakta hun…

Steve(Kane ke kandhe par hath rakh kar): tum humein chhod kar
nahi ja rahe…tum Alia ke sath ja rahe ho…main aur tumhari Maa
yahi chahte hain k tum apni pehle wali life mein khus raho…aur jab
tumhara yah humara man karega toh hum mil sakte hain…

Ab Kane ke man mein koi question nahi tha…isliye wo Alia,Sonu,Q


aur Z ke sath jane ko tyar tha…Kane Apne Maa Baap se mila aur
John ko bhi bye bola…Uske baad Lord Steve ne bridge khol diya…
uske baad wo Panchon bridge ki taraf badne lage…

Tabhi Piche se Lord Steve ne Kane ko awaj di…Kane ne ruk kar


piche dekha toh Steve ke hath mein Sword Of Arenous thi…Kane ne
ek baar uski taraf dekha aur bola…. “Pita ji ab mujhe iski jarurat
nahi hai…vaise bhi yeh apki amanat hai….”

Steve: han par yeh ab tumhari hai…meri taraf se gift samajh kar
rakh lena…aur kya pata kabhi jarurat pad jaye…

Iske baad Kane ne koi sawal nahi kiya aur Steve ne wo talwar Kane
ki taraf fenk di…Kane ne wo talwar pakdi aur bola… “shukriya pita
ji…par mujhe nahi lagta k aj k baad kabhi ise Istemal karunga… AJ
KE BAAD YEH TALWAR SIRF FRAME MEIN RAHEGI…DEEWAR
PAR LATAK KAR…MERI LADAYI AB KHATAM HUYI….”

Itna bol kar wo log bridge mein chale gaye….Apni jindagi ki ek nayi
shuruwat karne…

(SHAYAD KANE KI TARAH AP LOG BHI SOCH RAHE HONGE K


SWORDSMAN KE SAFAR KA ANT HO CHUKA HAI…YAH SHAYAD
MAIN BHI YEH SOCH RAHA HUN…PAR MUJHE LAGTA HAI K
HUM SAB GALAT HAIN…CHALO HUM JATE JATE KUS DEKH
LETE HAIN…USKE BAAD KANE KA TOH PATA NAHI PAR
SHAYAD HUMARI SOCH BADAL JAYE…

JAGAH- GEORGE KI KABAR…

5 log jinke chehre par mask chada huya hai…wo george ki kabar
khod rahe hain…

Ek Mask man ne dusre se pucha “ hum is lash ka kya karenge…yeh


mar chuka hai humare ab kis kaam ka…”

Dusra Maskman: chup chap khodte raho…mujhe bhi kus nahi pata…
mujhe toh lagta hai k wo pagal ho chuka hai jo humein George ki
lash lene bhej diya…Bol raha tha k George mara nahi hai…

Pehla Maskman: han sahi kaha lagta hai wo itne saal junglon mein
reh kar pagal ho gaya hai...

Fir wo panchon haste huye apna kaam karte rahe...)

{TOH ISKE BAAD KUS SAMAJH NAHI A RAHA K ANT MEIN


“THE END” LIKHUN YAH FIR “TO BE CONTINUED”…AP LOG
KHUD HI SAMAJHDAR HAIN…SHAYAD SAMAJH GAYE HONGE K
KYA HONE WALA HAI…KHAIR ABHI KE LIYE BAS ITNA HI…AUR
MERE SABHI DOSTON KA SHUKRIYA JINHONE MERA IS SAFAR
MEIN SATH DIYA HAI…THANKS DOSTO…}

You might also like