Break Up Ke Baad Kya Karein (Roman Urdu)

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 48

Break Up Ke Baad Kya Karein?

Title : Break Up Ke Baad Kya Karein?


Author : Muhammad Sabir Ismayeeli Qadri Razvi also
known as Abde Mustafa
Language : Roman Urdu
Topic : Islahe Muashra
Composing : Abde Mustafa Official
Published By : Sabiya Virtual Publication
Year Of Publishing : February 2022 (Rajjab 1443 Hijri)
Pages : 45

All Rights Reserved.


Sabiya Virtual Publication
Powered by Abde Mustafa Official

1
Break Up Ke Baad Kya Karein?
Contents
Important Note ......................................................... 4
Aaghaz ...................................................................... 6
Kyun Likha? ............................................................... 7
Ek Pahlu Ye Bhi :........................................................ 8
Sufiya Kehte Hain : .................................................... 8
Maulana Jaami Kehte Hain : ..................................... 9
Ab Aazmaish Shuru Hoti Hai ................................... 10
Ishq Se Allah Ki Panah ............................................. 11
Pehla Nuqta : Apne Rab Ki Janib Laut Aayein .......... 13
Dusra Nukta : Tauba Aur Dua Karein ...................... 14
Teesra Nukta : Khair Ki Ummeed Rakhein .............. 15
Chautha Nukta : Apni Muhabbat Ko Rasta Dikhayein
................................................................................ 16
Paanchwa Nukta : Aapki Muhabbat, Aapse Muhabbat
................................................................................ 17
Chhata Nukta : Zyada Akele Na Rahein ................... 20
Saatwa Nukta : Safar Karein .................................... 22
Aathwa Nukta : Jism Ko Kamzor Na Hone Dein ....... 23
Nawaa'n Nukta : Zyada Jima (Sex) Karein ............... 24
Duswa Nukta : Gaane Hargiz Na Sunein .................. 26
Gyarahwa Nukta : Ladkiya Jaan Lein Ke Har Ladka
Aapse Pyaar Nahin Karta......................................... 27

2
Break Up Ke Baad Kya Karein?
Barahwa Nukta : Aurato Ki Muhabbat .................... 28
Aurat Ki Muhabbat ................................................. 28
Hazrate Aatika Binte Zaid ........................................ 29
Daana Kehte Hain : ................................................. 31
Baaz Auratein Bahut Ba Wafa Hoti Hain ................. 34
Aakhiri Baatein........................................................ 37
Our Books In Roman Urdu : .................................... 38

3
Break Up Ke Baad Kya Karein?

Important Note
Sabiya Virtual Publication Mukhtalaf Zaraaye Se
Mausool Shuda Mawaad Ki Isha'at Kar Rahi Hai, Kai
Likhne Waale Apna Sarmaya Humein Shaaya (Publish)
Karne Ke Liye Irsaal Kar Rahe Hain, Hum Ek Aham
Wazahat Bayaan Karna Zaroori Samajhte Hain Ke
Humari Shaya Karda Kitabo Aur Risalo Ke Mundarijaat
(Contents) Ki Zimmedari Hum Is Hadd Tak Lete Hain
Ke Ye Sab Ahle Sunnat Wa Jama'at Se Hai Aur Ye Bilkul
Zaahir Bhi Hai Ke Har Likhari Ka Talluq Ahle Sunnat Se
Hai Aur Phir Ulama -e- Ahle Sunnat Ki Kitabo Ka
Mukhtalaf Zubaano Mein Tarjuma Kiya Ja Raha Hai
Jinke Baare Mein Kisi Ko Koi Shak Nahin Hona Chahiye
Aur Phir Baat Aati Hai Lafzi Aur Imlayi Waghaira
Ghalatiyo Ki To Jo Isha'at Khaas Humari Janib Se Hoti
Hai Yaani Wo Kitabein Aur Risale Jo Team Abde
Mustafa Official Ki Peshkash Hoti Hain Unki
Zimmedari Hum Lete Hain Aur Jo Humein Dusre Zariyo
Se Mausool Hota Hai Un Mein Is Tarah Ki Ghalatiyo Ke
Hawale Se Hum Bari Hain Ke Wahan Hum Har Har Lafz
Ki Chhaan Phatak Nahin Karte

4
Break Up Ke Baad Kya Karein?
Team Abde Mustafa Official Ki Ilmi, Tehqeeqi
Aur Islahi Kitabein Aur Risale Kai Marahil Se Guzarne
Ke Baad Shaya Hote Hain Lekin Iske Bawajood In Mein
Bhi Aisi Ghalatiyo Ka Paaya Jaana Mumkin Hai Lihaza
Agar Aap Unhein Paayein To Humein Ittela Farmayein

Sabiya Virtual Publication


Powered by Abde Mustafa Official

5
Break Up Ke Baad Kya Karein?

Aaghaz
Ye Ek Chhota Sa Lafz Hai "Break Up" Lekin Apne
Andar Dard Ka Samundar Liye Hue Hai, Aasani Se Iska
Matlab Samjhein To Wahi Hai Jo Ise Aam Taur Par
Sunne Ke Baad Samjha Jaata Hai Yaani Do Pyaar Karne
Waalo Ke Beech Judayi
Ek Ladke Aur Ek Ladki Ne Pyaar Kiya Uske Baad
Kisi Wajah Se Dono Ko Alag Hona Pada To Ise Break Up
Kaha Jaata Hai, Alag Hone Ki Wajah Kuchh Bhi Ho Sakti
Hai Maslan:
Aapas Mein Hi Koi Ghalat Fahmi (Misunderstanding),
Ya Kisi Ek Ki Taraf Se Bewafayi,
Ya Phir Ye Bhi Ho Sakta Hai Ke Dono Ke Darmiyan Koi
Teesra Aa Kar Is Ka Sabab Bane Jaisa Ke Aksar Dekha
Gaya Hai, Apne Hi Mukhalif Ho Jaate Hain Aur Kabhi
Ladki To Kabhi Ladke Ke Ghar Waale Raazi Nahin Hote
Ek Baat Kehte Huye Aage Badhenge Ke Yahan
Hum Is Tafseel Mein Nahin Jayenge Ke Is Mein Kise
Ghalat Qaraar Diya Jaaye Aur Kise Nahin Kyunki Ye Ek
Alag Mauzu Ho Jayega, Yahan Humara Maqsad Sirf Ye
Bayaan Karna Hai Ke Agar Koi Is Bala Mein Pad Kar Is

6
Break Up Ke Baad Kya Karein?
Haalat Ko Pahunch Jaata Hai To Aage Kya Karna
Chahiye

Kyun Likha?
Ho Sakta Hai Kisi Ke Zehan Mein Ye Baatein
Aayein Ke Is Mauzu Pe Likhne Ki Kya Zaroorat Thi? Kya
Ye Bhi Koi Mauzu Hai Jis Pe Risala Likha Jaaye?
Hum Kehte Hain Ke Bahut Zyada Zaroori Hai Ke
Is Mauzu Aur Is Se Mutalliqa Dusre Masail Par Baat Ki
Jaaye , Ye Kaafi Aam Mas'ala Hai, Ek Badi Tadaad Isse
Pareshan Hai Phir Ye Kaise Munasib Hoga Ke Hum Is
Par Baat Hi Na Karein Aur Phir Khamosh Reh Kar Hum
Naujawano Ko Kis Taraf Bhejna Chahte Hain? Zara
Ghaur Karein To Maloom Hoga Ke Is Pe Baat Karna
Kitna Zaroori Hai
Hum Jis Baare Mein Baat Kar Rahe Hain, Ye Ek
Aisi Kaifyat Aur Ek Aisa Marhala (Stage) Hai Ke Yahan
Se Aage Badhne Waala Ek Qadam Khud Ki Zindagi,
Mustaqbil Balki Keh Lijiye Ke Aakhirat Ko Barbaad Kar
Sakta Hai
Hum Jis Par Baat Kar Rahe Hain, Ye Koi Chhota
Mas'ala Nahin Balki Iska Andaza Aap Bhi Ba Aasani
Laga Sakte Hain
7
Break Up Ke Baad Kya Karein?
Is Bala Ki Wajah Se Kya Aapne Zindagiyo Ko
Tabaah Hote Huye Nahin Dekha?
Kya Aapki Nazro Se Tadpa Dene Waale Manazir Nahin
Guzre?
Kisi Ek Ki Hi Sahih, Aapne Jaan Jaate Nahin Dekhi?
Phir Hum Kyun Na Is Par Baat Karein, Kya Pata Kisi Ek
Ke Hi Humari Baatein Kisi Hadd Tak Kaam Aa Jaayein

Ek Pahlu Ye Bhi :
Jahan Ye Sach Hai Ke Is Chakkar Mein Phansne
Waale Tabaah Aur Barbaad Ho Jaate Hain Wahin Ek
Pahlu Ye Bhi Hai Ke Kabhi Is Haalat Se Guzar Kar Log
Kamyaab Bhi Ho Jaate Hain
Ise Yun Keh Lein Ke Is Dard Mein Kabhi To
Halakat Ke Siwa Kuchh Haath Nahin Aata Aur Kabhi Ye
Dard, Dawa Se Badh Kar Fayeda De Jaata Hai
Sufiya Kehte Hain :
Yaani Ishqe Majazi Ek ‫المجاز قنطرۃ الحقیقۃ‬
Pul (Bridge) Hai Ishqe
Haqeeqi Ki Taraf (‫)دںیھکیوسزواسزرویم‬
Yahi Wo Dusra Pahlu Hai Jis Mein Kamyaabi
Nazar Aati Hai Aur Aisa Kayi Baato Ki Wajah Se Hota
8
Break Up Ke Baad Kya Karein?
Hai Jin Mein Ek Ye Bayaan Kiya Gaya Hai Ke Koi Haadsa
Pesh Aata Hai Jo Ishqe Haqeeqi Ki Taraf Mod Deta Hai
Ya Phir Aisa Bhi Hota Hai Ke Insan Kabhi Dhokebaz Aur
Makkar Logon Ke Rawaiyye Se Tang Aa Kar Bil Aakhir
Samajh Leta Hai Ke Is Dunya Mein Haqeeqatan Koi Dil
Lagane Ke Qabil Nahin Phir Wo Thak Haar Kar
Mahboob -e- Haqeeqi Ki Maarifat Haasil Karta Hai Aur
Is Tarah Ishqe Haqeeqi Ki Raah Pe Pahunch Jaata Hai
Maulana Jaami Kehte Hain :
"Ishq Se Moonh Na ‫اتمبازقشعرورگہچاجمزیاست‬
Modo Agarche Majazi
Hi Kyun Na Ho Kyunki ‫ہکآںرہبتقیقحاچرہاسزیاست‬
Majazi Ishq Bhi
Haqeeqi Ishq Ki Taraf
Chaara Saazi Karta
Hai"

Ye Bhi Khayaal Rakhein Ke Jab Ishq Hoga To Hi


Wo Apna Rang Dikhayega Yaani Agar Sirf Shehwat
Parasti Aur Shaitani Waswaso Ko Hi Ishq Ka Naam Diya
Jaaye Jaisa Ke Nawaqif Log Karte Hain To Ye Ishq
Nahin Jiski Parwaaz Aapko Ishqe Haqeeqi Ki Taraf Le
Jaaye Balki Ye To Tabahi Ka Samaan Hai

9
Break Up Ke Baad Kya Karein?
In Baato Ko Hum Bayaan Kar Rahe Hain Taaki Log
Jaanein Aur Iski Haqeeqat Ko Jaanein
Jab Haqeeqat Ko Jaan Jayenge, Har Pahlu Ko Madde
Nazar Rakhenge To Aasani Se Apna Rukh Sahih Janib
Mod Sakenge Warna La Ilmi Mein Uthe Qadam Na
Jaane Kidhar Le Jaayein

Ab Aazmaish Shuru Hoti Hai


Jab Insan Kisi Ko Khud Se Zyada Chahne Lage To
Ab Khud Ka Khayaal Bhi Usi Ke Khayaal Ke Saath Jud
Jaata Hai
Jab Kisi Se Aisi Muhabbat Ho Jaaye Uske Baad
Judayi (Break Up) Maano Jaan Jaane Ki Tarah Hota Hai
Aur Aisi Haalat Ho Jaati Hai Ke Bhale Hi Aap Kaafi
Samajhdari Rakhte Ho'n, Door Andesh Ho'n, Aap
Bahut Sabir Ho'n Par Ye Cheezein Achanak Ghaayib Si
Ho Jaati Hain Aur Kuchh Bhi Samajh Nahi Aata Ke Kya
Karein! Ye Aazmaish Ka Asal Waqt Hota Hai
Aazmaishein Aur Bhi Hoti Hain Maslan Ghareebi
Ke Zariye, Maal Ke Zariye, Awlaad Ke Zariye Par Ye
Aazmaish Bilkul Mukhtalaf Hai Jis Mein Aisi Haalat
Hoti Hai Jo Lafzo Se Bayaan Nahin Ki Jaa Sakti (Allah
Ta'ala Ki Panaah)
10
Break Up Ke Baad Kya Karein?
Jo Log Is Se Mahfooz Hain Unhein Chahiye Ke
Khud Ko Is Ke Liye Pesh Na Karein Aur Allah Se Panaah
Talab Karein, Chunache Allama Luqman Shahid
Hafizahullahu Ta'ala Ki Ek Tehreer Hum Yahan Naqal
Karte Hain :

Ishq Se Allah Ki Panah


Maidan -e- Arafat Mein, Sayyiduna Abdullah Bin
Abbas Ke Saamne Ek Naujawan Pesh Kiya Gaya Jo Is
Qadr Kamzor Ho Chuka Tha Ke Us Ki Haddiyo Par
Maans Bhi Baaqi Nahin Raha Tha
Aap Ne Puchha : Is Ke Saath Aisa Kyun Hua?
Logon Ne Kaha : Ishq Ne Is Ka Ye Haal Kar Diya
Us Din Se Sayyiduna Ibne Abbas Radiallaho
Ta'ala Anho Rozana Ishq Se Allah Ki Panah Maangte
The
(‫ھ‬1429‫س‬،‫ط دارعالم الفوائد مکۃ المکرمۃ‬،497‫ص‬،‫ودواءھذاادلاءااتقلل‬:‫لصف‬،‫ادلاءوادلواء‬:‫)ارظن‬
Jo Khush Naseeb Ishq Mein Mubtala Nahin
Huye, Unhein Aafiyat Ki Dua Karni Chahiye, Kyun Ki,
Bachta Nahin Hai Koi Bhi Beemar Ishq Ka
Ya Rab! Na Ho Kisi Ko Ye Aazaar Ishq Ka

11
Break Up Ke Baad Kya Karein?
Aur Jo Mubtala Ho Chuke Hain, Unhein Himmat
Haarne Ke Bajaye Apne Karam Waale Rab Ki Taraf
Dekhna Chahiye, Us Ke Khazano Mein Koi Kami Nahin,
Wo Jo Chahe, Jab Chahe, Jaise Chahe Ata Kar Sakta Hai

"Tere Rab Ki Ata Par ‫ك َم ْحظ ْو ًرا‬


َ ‫َان َع َطآء َر ِّب‬
َ ‫َما ك‬
Koi Pabandi Nahin"

Uljhe Huye Zahan Ko Sukoo Deta Hai


Insan Ko Soch Se Fuzoo Deta Hai
Dekha Hoga Kabhi Barasta Baadal??
Wo Dene Pe Aa Jaaye To Yun Deta Hai!!

Ab Hum Kuchh Nukte (Points) Bayaan Karenge


Ummeed Karte Hain Inki Madad Se Thokar
Khaaye Huye Dilo Ko Sahaara Milega Jisse Sambhalne
Mein Aasani Hogi

12
Break Up Ke Baad Kya Karein?

Pehla Nuqta : Apne Rab Ki Janib Laut Aayein


Allah Ki Rehmat Toote Huye Dilo Ka Sahara Hai,
Jab Dil Dunya Se Toot Jaaye To Ye Sabse Behtar Hai Ke
Apne Rab Ki Taraf Ruju Karein
Jaan Lein Ke Dunya Ke Mahboob Aur Muhabbat
Ki Kya Haqeeqat Hai Aur Phir Aapko Lagne Lagega Ke
Aapko Jo Jhatka Laga Wo Aapke Liye Kitna Mufeed Hai
Ye Dunya Humara Daayimi (Humesha Rehne
Waala) Ghar Nahin Hai, Hum Ek Safar Mein Hain Jahan
Mumkin Hai Ke Hamsafar Milein Aur Saath Chhod
Jaayein Par Jaane Waale Humein Bahut Kuchh Seekha
Kar Jaate Hain, Humein Seekhna Chahiye Taaki Aage
Ka Safar Aasan Ho Jaaye
Ek Baat Yaad Rakhein Ke Raah Ko Isse Farq Nahin
Padta Ke Aap Akele Hain Ya Kisi Ke Saath Hain, Aap
Sawaar Hain Ya Paidal Hain Balki Raah Apni Jagah Hai
Jis Pe Aapko Chalna Hai
Apna Safar Jaari Rakhein, Allah Ta'ala Ki Rahmat
Aapko Aa Legi Bas Aap Ek Qadam Badhayein

13
Break Up Ke Baad Kya Karein?

Dusra Nukta : Tauba Aur Dua Karein


Yaad Karein Ke Dunya Se Dillagi Mein Aap Kis
Qadr Apne Rab Ko Bhool Baithe The
Allah Ki Bargaah Mein Tauba Karein Ke Ab Bhi
Der Nahin Huyi, Sachhe Dil Se Tauba Karein, Beshak
Agar Aapki Tauba Rab Qabool Farma Le To Aapke Dil
Ko Aisa Itmenan Haasil Hoga Ke Aapne Kabhi Gumaan
Bhi Na Kiya Ho
Tauba Ki Qabooliyat Ke Baad Aapke Dil Ki Dunya
Aisi Sanwar Jayegi Ke Aap Apne Andar Ek Dunya
Mahsoos Karenge, Dil Toot Jaane Ke Baad Aapko
Shayad Aisa Lagta Ho Ke Ab Kuchh Bhi Nahin Ho Sakta
Par Jaan Lein Ke Ab Bahut Kuchh Aisa Ho Sakta Hai Jo
Pehle Nahin Hua Yaani Ab Aapke Dil Mein Wo Jagah
Khaali Ho Rahi Hai Ke Jahan Asal Muhabbat Aabad
Hone Waali Hai
Saath Hi Saath Dua Karein, Ye Bahut Hi Aham
Shay Hai, Allah Ta'ala Se Dua Karte Rahein Aur Uski
Rehmat Ko Pukaarte Rahein, Jald Hi Dil Ko Aaram Ho
Jayega, Allah Ta'ala Ke Ikhteyar Mein Hai Ke Kisi Ke Bhi
Dil Ko Kisi Ki Taraf Pher De, Lihaza Ye Zehan Mein
Rakhte Huye Duao Ka Silsila Jaari Rakhein

14
Break Up Ke Baad Kya Karein?
Teesra Nukta : Khair Ki Ummeed Rakhein
Kehte Hain Jo Hota Hai Achhe Ke Liye Hota Hai
Yaani Jo Hota Hai Us Mein Kahin Na Kahin Khair Ka Bhi
Pahlu Hota Hai Agarche Humein Nazar Na Aaye Ya
Baad Mein Aaye, Jab Aisa Ho Jaaye To Humein Jaan
Lena Chahiye Ke Jo Hona Tha Wo Ho Chuka, Ab
Humein Rab Ki Raza Pe Raazi Rehna Hai, Wo Jo Ata
Kare Use Apne Liye Neamat Samajhna Hai Aur Usi Pe
Shukr Ada Karna Hai, Yahi Imaan Waalo Ke Shayaane
Shaan Hai
Muhabbat Mein Agarche Hum Apne Mahboob
Ko Apna Sab Kuchh Samajhne Lagte Hain Par Ye Sirf
Hum Samajhte Hain, Iski Haqeeqat Samajhne Ka
Aapko Mauqa Mila Hai To Jaan Lein Ke Jo Humne Jo
Samjha Tha, Us Mein Hum Hadd Se Badh Gaye The,
Asal Ab Saamne Hai, Ise Qabool Karein
Iske Baad Allah Ta'ala Ki Zaat Se Ummeed
Rakhein Ke Jisne Humein Itni Neamato Se Nawaza Hai
Jiska Shumaar Nahin Kiya Ja Sakta Phir Sochein Ke Jab
Wo Dene Pe Aaye To Humein Kya Kya De Sakta Hai
Wo Humein Dil Aur Dil Ka Sukoon, Sab Ata Kar
Sakta Hai To Khair Ki Ummeed Rakhein Aur Apne Aap
Ko Mayoosi Ke Andhere Mein Hargiz Na Jaane Dein

15
Break Up Ke Baad Kya Karein?

Chautha Nukta : Apni Muhabbat Ko Rasta


Dikhayein
Chunki Hum Insan Hain To Insani Fitrat Ka Inkar
Bhi Nahin Kiya Ja Sakta Aur Humara Deen Bhi Deene
Fitrat Hai Lihaza Is Zawiye Se Bhi Hum Kuchh Nukte
Bayaan Karenge
Ye Dunya Ki Muhabbat Bhi Insan Ke Liye Kaafi
Hadd Tak Zaroori Hai, Hum Dunya Mein, Dunya Waalo
Ke Darmiyan Rehte Hain Aur Asbaab Ki Bhi Ek
Haqeeqat Hai
Hum Aapki Tawajjoh Is Baat Ki Taraf Karna
Chahte Hain Ke Insan Ke Andar Muhabbat Ka Madda
Hota Hai (Keh Lijiye Ke Beej Hota Hai Ya Ye Kaifyat
Humare Andar Hoti Hai) Aur Isiliye Ise Apni Raah Ki Bhi
Talash Hoti Hai, Humein Ise Raah Dikhani Hai Yaani
Kisi Pe Ye Muhabbatein Nichhawar Karni Hain
Hum Mazeed Aasan Lafzo Mein Kahein To Jo
Muhabbat Ka Samundar Humare Andar Maujein Maar
Raha Hai Aur Ye Maujein, Inki Rawani Aur Inka Shor
Humein Beqarar Kar Raha Hai To Ise Kisi Ke Hawale
Kiya Jaaye Taaki Sukoon Haasil Ho Jaaye

16
Break Up Ke Baad Kya Karein?
Iska Saaf Matlab Ye Hai Ke Kisi Se Rishta
Banayein, Nikah Ka Paak Rishta Jo Humein Rab Ne Ata
Kiya Hai Aur Phir Uske Liye Apni Ye Muhabbatein Aur
Andar Maujood Shiddat Ko Baahar Laayein, Ye Kaafi
Kaaraamad Saabit Hoga
Usse Itna Pyaar Karein Ke Usse Bhi Aapko Pyaar
Hi Mile, Phir Aapki Haalat Bahut Badal Jayegi, Andar
Jo Shor Tha, Jo Bechaini Thi Wo Thamne Lagegi Aur
Muhabbat Mein Bhi Izafa Hota Jayega

Paanchwa Nukta : Aapki Muhabbat, Aapse


Muhabbat
Aisa Bhi Hota Hai Ke Humne Kisi Se Muhabbat Ki
Aur Uski Muhabbat Mein Humne Un Par Ghaur Nahin
Kiya Jinhone Humse Muhabbat Ki Aur Karein Bhi Kaise
Ke Ek Kahawat Hai :
"Jab Dil Lage Deewar Se To Pari Kya Cheez Hai"
Yaani Kisi Ka Dil Deewar Se Lag Gaya Hai To Uske
Liye Phir Pari Bhi Koi Cheez Nahin Lekin Ab Jab Aap Aisi
Haalat Mein Aa Gaye Hain To Aapko Bahut Kuchh
Sochna Samajhna Hoga Warna Aap Halakat Ki Taraf
Badhte Chale Jayenge

17
Break Up Ke Baad Kya Karein?
Aapne Bina Soche Samjhe Bahut Kuchh Kiya Aur
Karte Chale Gaye Par Ek Thokar Ab Aapko Lagi Hai To
Sochiye, Sochne Ka Mauqa Mila Hai
Aapko Ab Ye Sochna Hai Ke Aapne Kisko Ya Kin
Baato Ko Nazar Andaaz Kiya Tha, Un Sab Par Ghaur
Karein, Hum Kuchh Misaalein Pesh Karte Hain :
Kisi Ki Zindagi Mein Pehle Se Koi Tha Yaani Nikah
Ho Chuka Tha Aur Hamsafar Saath Hai Phir Bhi Usne
Kisi Aur Se Muhabbat Kar Li To Ab Jab Use Thokar Lage
To Achhi Tarah Samajh Jaaye Ke Usne Apne Paas
Maujood Shifa Ko Nahin Jaana Aur Shifa Ki Talash
Mein Nikal Pade Phir Zakhm Le Kar Waapas Laute
Isi Tarah Aapke Saamne Koi Apni Zindagi Liye
Maujood Hai, Aapka Humsafar Banne Ki Khwahish
Mein Khada Hai Aur Aapne Apni Dillagi Mein Use
Nazar Andaaz Kiya To Ab Behtar Hoga Ke Unka Haath
Thaamne Mein Der Na Karein
Ye Sach Aur Maani Hui Baat Hai Ke Kisi Ki
Muhabbat Insan Ko Andha Bana Deti Hai Aur Phir
Usko Apne Mahboob Mein Maujood Aib Nazar Nahin
Aate Halanki Kayi Aib Hote Hain
Ab Jab Aapko Ek Thokar Lagi Hai To Ye Ek Achha
Mauqa Hai Is Baat Par Ghaur Karne Ka Ke Aapne
18
Break Up Ke Baad Kya Karein?
Kahan Dil Lagaya Hai? Ghaur Karein Ke Kya Waqayi Jin
Aibo Ko Aapne Nazar Andaaz Kiya Hai Wo Mustaqbil
Mein Bahut Zyada Masail Paida Nahin Karte? Kya Ye
Sahih Nahin Ke Kisi Wajah Se Aapko Aaj Hi Rukna Pad
Raha Hai Warna Kya Pata Baad Mein Kaafi Der Ho
Jaati!
Ho Sakta Hai Mahboob Ne Wafa Hi Zaahir Ki Aur
Us Mein Aisa Koi Aib Nahin Ke Jiski Bunyad Pe Aap
Khud Ki Khata Ko Samajh Sakein Aur Phir Kisi Aur
Sabab Se Aapko Alag Hona Pada To Bhi Kya Ye Durust
Hai Ke Aap Isi Pe Apni Zindagi Ko Tamaam Samajh
Lein? Kya Ye Kehna Sahih Hoga Ke Ab Aage Kuchh Bhi
Nahin Hai?
Humare Aage Lamba Safar Hai, Kayi Manzilein
Hain Aur Jo Mar Ke Uthne Pe Imaan Rakhta Ho Wo
Kaise Keh Sakta Hai Ke Yahi Sab Kuchh Hai?

Ek Toofan Zindagi Mein Aaya, Chala Gaya Lekin


Ab Dekhna Ye Hai Ke Kaunse Darakht Jame Rahe Aur
Kaunse Gir Gaye, Ek Baat Yaad Rakhein Ke Apni
Muhabbat Ko Apni Kamzori Na Banne Dein, Ye Aapki
Taaqat Honi Chahiye, Ishq Agarche Ek Aag Hai Par Is
Mein Jal Ke Raakh Hone Waala Samaan Na Banein

19
Break Up Ke Baad Kya Karein?
Balki Is Mein Jal Ke Aap Nikhar Jaayein, Aise Ban
Jaayein

Chhata Nukta : Zyada Akele Na Rahein


Akele Rehna Achha Bhi Ho Sakta Hai Aur Kabhi
Bura Bhi, Aisi Haalat Mein Zyada Akele Rehna Achha
Nahin Hai Warna Wahshat Kaafi Nuqsan Pahuncha
Sakti Hai
Is Tarah Toota Hua Dil, Aur Bahut Saara Dard
Upar Se Yaado Ki Zarb Jo Talwar Se Zyada Sakht
Mahsoos Hoti Ho, Inhein Le Kar Tanhayi Ikhteyar
Karna Khud Ko Aisi Aag Mein Dakhil Karna Hai Ke
Shayad Hi Aap Khud Pe Qaabu Paa Sakein, Bahut Kam
Log Honge Jo Is Mein Sambhal Paayein
Aam Logon Ko Aisa Bilkul Nahin Karna Chahiye
Jinhein Deen Se Zyada Waqifiyat Na Ho Kyunki Wo
Deen Hi Hai Ke Jo Aisi Haalat Mein Bande Ko Sahih
Tarah Sambhaal Sakta Hai Warna Baaqi Baatein Furoo
(Upar Ki) Haisiyat Rakhti Hain To Ye Tanhayi Aapke
Liye Bahut Khatarnak Bhi Saabit Ho Sakti Hai Balki
Jaanlewa Bhi
Dosto, Rishtedaro Aur Dusre Janne Waalo Ko
Waqt Dein, Jo Waqt Aapke Kaam Karne Ka Hai Us
20
Break Up Ke Baad Kya Karein?
Mein Pabandi Se Kaam Karein Balki Aisi Haalat Mein
Kaam Karne Ka Ek Junoon Apne Andar Paida Kiya Ja
Sakta Hai Par Khayaal Rakhein Ke Darmiyana
Rawaiyya Rakhein, Khud Ko Nuqsan Pahunchana Bhi
Shuru Na Kar Dein
Koshish Yahi Karein Ke Khud Ko Zyada Tanhayi
Se Bachayein Aur Kaamo Mein Mashghool Rahein ,
Kitabo Ka Mutala Shuru Karein, Ye Behtareen Saathi
Hain Jo Humesha Aapse Wafa Karenge
In Sab Ke Bawajood Jab Tanhayi Mein, Khaas Kar
Raato Mein Jab Khud Pe Ikhteyar Na Rahe, Dil
Tadapne Lage Aur Aansuo Ka Silsila Khud Se Shuru
Hone Lage To Aise Mein Rabbe Kareem Ko Yaad
Karein, Uska Naam Le Kar Royein, Uski Rehmat Ko
Pukarein Aur Nabiye Kareem Sallallaho Ta'ala Alaihi
Wasallam Ko Nida Karein, "Ya Rasoolallah" Kahein Aur
Phir Salaam Bhejein To Insha Allah Ye Tadap, Ye Haalat
Aapke Baatin Ko Nikhaar Degi
Ye Shuru Ka Waqt Aapko Guzaarna Hai, Ye Aasan
Nahin Hoga Par Ye Waqt Bhi Guzar Jayega...

21
Break Up Ke Baad Kya Karein?

Saatwa Nukta : Safar Karein


Ye Bhi Kaafi Fayedemand Saabit Hoga Ke Aisi
Haalat Mein Safar Kiya Jaaye
Aapne Suna Hoga Ke Ameer Log Koi Haadsa Pesh
Aane Ke Baad Apne Bachho Ko Shehar Balki Mulk Se
Baahar (Abroad) Ghoomne Phirne Ke Liye Bhej Dete
Hain, Isi Tarah Musalsal Padh Rahe Bachho Ko Picnic
Par Le Jaana Aur Phir Hum Jo Subah Ya Shaam
Ghoomte Phirte Hain Use Bhi Shamil Kar Lein To Ye
Keh Sakte Hain Ke Safar Se Kafi Farq Padta Hai
Hawa Paani Aur Phir Manazir Ki Tabdeeli, Aas
Paas Rang Badalte Nazaare Dil Ko Moh Lete Hain Aur
Zauq Ko Ek Nayi Zindagi Dete Hain
Agar Mamla Zyada Badha Hua Ho To Shuru
Shuru Mein Sab Kuchh Mushkil Hoga Par Namumkin
Nahin Hai, Allah Ta'ala Ki Zaat Se Ummeed Rakhein
Aur Koshishein Karte Jaayein Phir Jab Kamyaabi Aapke
Qareeb Hogi To Dekh Ke Aap Saare Gham Bhool
Jayenge, Beshak Allah Ata Farmane Waala Bada
Meherban Hai

22
Break Up Ke Baad Kya Karein?

Aathwa Nukta : Jism Ko Kamzor Na Hone Dein


Jism Kamzor Pad Jaane Se Shehwat Zyada
Bhadakne Lagti Hai Aur Phir Baatin Mein Is Dard Ki
Shiddat Haalat Ko Mazeed Naazuk Bana Deti Hai
Aise Mein Zaroori Hai Ke Sihhat (Health) Ko
Madde Nazar Rakha Jaaye, Khaan Paan Ka Khayaal
Rakhein Aur Jism Ko Kamzor Na Hone Dein Warna
Agar Kamzori Zyada Badh Gayi To Phir Ye Kaafi
Mushkil Hoga Ke Is Andhere Se Sahih Salamat Baahar
Aa Jaayein
Ye Aisi Baat Hai Ke Jaan Par Bhi Ban Aati Hai
Lihaza Khaane Peene Aur Neend Waghaira Par
Tawajjoh Dein Kyunki Khud Ko Nuqsan Pahuncha Kar
Aap Kuchh Haasil Nahin Kar Payenge

23
Break Up Ke Baad Kya Karein?

Nawaa'n Nukta : Zyada Jima (Sex) Karein


Aap Soch Rahe Honge Ke Ye Hum Kaisi Baatein
Kar Rahe Hain Par Humne Jo Padha Hai Wo Bayaan Kar
Rahe Hain Aur Humein Ye Bhi Lagta Hai Ke Ye Fayede
Se Khaali Nahin Hai
Ek Ladke Aur Ladki Mein Jab Pyaar Hota Hai To
Is Mein Shehwat Ko Bhi Dakhal Hota Hai , Mukhalif Jins
(Opposite Gender) Hone Ki Wajah Se Dono Mein Ek
Mailaan (Attraction) Hota Hai , Dono Chahte Hain Ke
Ek Dusre Ke Qareeb Aayein, Doori Gawara Nahin Hoti
Khwahish Hoti Hai Ke Ek Dusre Ki Awaaz Sunein,
Dekhein Aur Phir Ye Ke Qareeb Se Qareeb Aa Kar
Hasratein Mitayein
Hum Ye Nahin Kehte Ke Faqat Shehwat Ki Wajah
Se Hi Muhabbat Hoti Hai Lekin Ek Wajah Ye Bhi Hai
Aur Kahin Na Kahin Ye Maujood Hoti Hai Jiska Inkar
Nahin Kiya Ja Sakta To Jab Shehwat Zyada Hogi To Ye
Is Muhabbat Ki Aag Mein Izafa Hi Karegi
Shehwat Ko Kam Kar Ke In Sholo Ko Kaafi Had Tak
Thanda Kiya Ja Sakta Hai
Ye Sabse Pehle To Un Mardo Ke Liye Hai Ke Jinki
Shadi Ho Chuki Hai Aur Biwi Ke Hote Huye Wo Kahin
24
Break Up Ke Baad Kya Karein?
Aur Dillagi Karte Hain, Unhein Chahiye Ke Apni Biwi Ke
Saath Zyada Jima Karein Aur Shehwat Ko Kam Karein
Taaki Ye Aapko Kisi Ghair Ke Liye Na Ubhaare
Ab Jinki Shadi Nahin Hui Aur Is Chakkar Mein Pad
Gaye To Fauran Nikah Ki Koshish Karein Aur Biwi Se
Jima Kar Ke Shehwat Ko Kam Karein, Ye Bhi Is Haalat
Mein Muaawin (Helpful) Saabit Hoga
Jab Ek Dusre Ka Luaab Ghul Kar Dono Mein
Utrega Aur Ye Zyada Hoga To Dono Ek Dusre Ke Dil,
Nazar Aur Zehan Mein Rach Bas Jayenge

25
Break Up Ke Baad Kya Karein?

Duswa Nukta : Gaane Hargiz Na Sunein


Ye Gaane, Gaano Ke Ash'aar Kisi Indhan Se Kam
Nahin Hain Jo Aapke Andar Jal Rahi Aag Ko Aur Zyada
Bhadkayenge
Agar Aapne Gaane Sunne Shuru Kar Diye, Dard
Bhare Ash'aar Aapke Kaano Mein Goonjte Rahe To
Goya Ye Aisa Hoga Ke Aap Khud Ko Aise Andhere Ki
Taraf Le Ja Rahe Hain Jahan Se Waapas Aana Bahut
Mushkil Ho Jayega Aur Agar Waapas Na Aa Sake To Ye
Barbadi Ki Inteha Pe Le Ja Chhodega
Gaano Ke Bajaye Naat -e- Rasool Sallallaho
Ta'ala Alaihi Wasallam Sunne Ki Aadat Daalein,
Quraan Ki Tilawat, Hamde Ilahi Aur Manqabat Ke
Ash'aar Sunein Aur Deeni Kitabo Ka Mutala Karein,
Janazo Mein Shirkat Karein, Qabristan Jaaya Karein
Taaki Aap Apni Aakhirat Ko Yaad Kar Sakein Aur Jin
Yaado Ke Dabaao (Pressure) Se Aap Pareshan Hain
Use Kam Kar Sakein

26
Break Up Ke Baad Kya Karein?

Gyarahwa Nukta : Ladkiya Jaan Lein Ke Har


Ladka Aapse Pyaar Nahin Karta

Ladkiya Bahut Jazbaati Hoti Hain, Kayi To Faqat


Chaar Achhe Jumle Ya Koi Ek Amal Hi Dekh Kar Kisi Ke
Liye Apna Sab Kuchh Pesh Kar Deti Hain Jo Ke Nadaani
Ke Siwa Kuchh Nahin Hai
Ye Waqti Jazbaat Insan Ko Aksar Ruswa Karte
Hain Lihaza Ghaur Kar Lein Aur Apne Faisle Ko Achhi
Tarah Dekh Lein Ke Wo Kamyaabi Ki Taraf Le Jayega
Ya Barbadi Ki Jaanib

Kisi Bhi Ladke Ki Baato Mein Aa Kar Apne Jazbaat


Ke Haatho Kathputli Na Banein
Ye Zaroori Nahin Ke Har Ladka Aapse Muhabbat
Hi Karta Hai, Ho Sakta Hai Ke Muhabbat Ki Meem Se
Bhi Uska Talluq Na Ho Aur Gumaan Hi Gumaan Mein
Ise Muhabbat Samajh Kar Dono Ek Kashti Mein
Sawaar Ho Jaayein Aur Beech Darya Mein Pata Chale
Ke Hum Ne Jise Muhabbat Samjha Tha Wo To Bas Kisi
Cheez Ki Gharz Se Thi, Ab Wo Gharz Poori To

27
Break Up Ke Baad Kya Karein?
Muhabbat Bhi Khatm Aur Aise Mein Na Kashti Se
Utarte Banegi Aur Na Kinara Milega

Barahwa Nukta : Aurato Ki Muhabbat


Aaghaz Mein Hi Hum Ye Kehna Chahte Hain Ke
Agar Is Unwaan Par Tafseel Se Likhna Shuru Karein To
Bahut Kuchh Likha Ja Sakta Hai, Hum Yahan
Mukhtasaran Kuchh Baatein Arz Karenge Jinse
Waazeh Ho Jayega Ke Hum Kya Kehna Chahte Hain
Ho Sakta Hai Kisi Ko Ye Baatein Durust Na Lagein
To Unhein Ikhtelaf Ka Poora Haq Hai Lekin Humari
Baato Par Ghaur Zaroor Karein
Sabse Pehle Hum Allama Luqman Shahid
Hafizahullahu Ta'ala Ki Do Tehreerein Naqal Kar Rahe
Hain, Mulahiza Farmayein :

Aurat Ki Muhabbat
(Aap Likhte Hain) Mere Paas Ek Afsurda (Udaas)
Shakhs Taweezat Ke Liye Aaya Aur Kehne Laga Ke
Maine Pasand Ki Shadi Ki Thi, Lekin Meri Ahliya Ne
Zabardasti Talaaq Le Li Halanki Us Ne Humesha Saath
Nibhane Ka Pakka Waada Kiya Tha Aur Qasmein Bhi
Khayi Thi........,
28
Break Up Ke Baad Kya Karein?
Ab Main Us Ke Bighair Reh Nahin Sakta, Mera Koi
Hal Nikalein, Maine Tasalli Dete Huye Kaha Ke Aap Ka
Hal Nikalta Hoon, Lekin Us Se Pehle Meri Baat Sun
Lein!
Hazrate Aatika Binte Zaid Ka Nikah Hazrate
Abdullah Bin Abu Bakar Siddique Se Hua Tha, Aap Un
Se Be Had Muhabbat Karte The, Un Ki Judayi Bilkul
Bardasht Na Karte, Isi Wajah Se Jab Baaz Jungo Mein
Shareek Na Ho Sake To Sayyiduna Siddique -e- Akbar
Ne Kaha Ke Apni Biwi Ko Talaq De Do!
Aap Ne Walid Ki Ita'at Mein Na Chahte Huye Bhi
Talaq (Rajayi) To De Di, Lekin Shiddat -e- Muhabbat
Mein Ash'aar Padhte Rehte The
Ek Din Sayyiduna Siddique -e- Akbar Ne Suna,
Wo Keh Rahe The :
Aye Atika! Main Tujhe Us Waqt Tak Nahin
Bhulunga Jab Tak Mashriq Se Raushni Nikalti Rahegi
Aur Tauq Daar Qumri (Ek Parinda) Ku Ku Karti Rahegi
Aye Atika! Har Din Raat Mera Dil Tujhe Yaad
Karta Hai, Un Jazbaat Ki Wajah Se Jo Mere Andar
Chhupe Hain
Ye Ash'aar Sun Kar Sayyiduna Siddique -e- Akbar
Par Riqqat Taari Ho Gayi Aur Aap Ne Farmaya : (Talaq
Se) Ruju Kar Lo!
29
Break Up Ke Baad Kya Karein?
Kuchh Arse Baad Jab Hazrate Abdullah
Radiallaho Ta'ala Anho Shaheed Ho Gaye To Hazrate
Aatika Ne Un Ka Marsiya Kaha, Jis Ka Ek Sher Ye Tha :
Maine Qasam Khayi ‫فآلیت التنفک عیین حزینۃ‬
Hai Ke Meri Aankhein
Aap Par Humesha ‫ وال ینفک جلدی اغربا‬،‫علیک‬
Royengi Aur Mera
Badan Ghubaar Aalud
Rahega
Phir Sayyiduna Umar Faruque Ne Hazrate Aatika
Ko Paigham -e- Nikah Bheja, Jise Aap Ne Qabool Kar
Liya, Walime Par Hazrate Ali Bhi Maujood The, Aap
Kehne Lage Ke Ameerul Momineen! Ijazat Dein Main
Aatika Se Baat Karna Chahta Hoon
Ijazat Milne Par Aap Ne Darwaze Ki Oat Mein
Khade Ho Kar Kaha :
Aye Apni Jaan Ki ‫یاعدیۃ نفسھا ا ین قولک‬
Dushman, Tera Ye
Qaul Kahan Gaya Ke
"(Aye Abdullah)
Maine Qasam Khayi
Hai Ke Meri Aankhein
Aap Par Humesha
30
Break Up Ke Baad Kya Karein?
Royengi Aur Mera
Badan Ghubaar Aalud
Rahega"
Ye Sun Kar Hazrate Aatika Ro Padi
Sayyiduna Umar Kehne Lage :
Aye Abul Hasan! Aap Ko Ye Baat Dohrane Ki Kya
Zaroorat Pesh Aa Gayi?
Saari Auratein Isi ‫كل النساء یفعل ھذا‬
Tarah Karti Hain
(‫دارالمعرفۃ بریوت‬،7088‫ر‬،337‫ص‬،5‫ج‬،‫بابانیعل‬،‫اسدالغابۃ یف معرفۃ الصحابۃ‬:‫)ارظن‬
Maine Kaha Ke Is Mein Humare Liye Bahut
Kuchh Sabaq Hai!
Aurat Ke Behte Aansu Aur Muhabbat Bhare
Alfaaz Par Bahut Zyada Etimaad Karne Ke Bajaye Aqlo
Samajh Se Kaam Lete Huye, Apne Aap Ko Qaabu Mein
Rakhna Chahiye
Daana Kehte Hain :
1- Khana Jab Tak Hazam Na Ho Jaaye Us Ki Tareef
Nahin Karni Chahiye
2- Dost Se Jab Tak Qarz Na Maang Lein Us Par
Bharosa Nahin Karna Chahiye
3- Aur Aurat Ke Marne Se Pehle Tareef Nahin
Karni Chahiye
31
Break Up Ke Baad Kya Karein?

(‫ھ‬1436‫س‬،‫طدارالکتب العلمیۃ بریوت‬،20‫ص‬،‫اابلبااثلینیفالقعلواذلاکء‬،‫المستطرف یف كل فن مستظرفت‬:‫)ارظن‬


Kyunki Khana, Hazam Hone Se Pehle Pet Aur
Maada Bhi Kharaab Kar Sakta Hai, Is Liye Qabil -e-
Tareef Usi Waqt Hoga Jab Hazam Ho Jaaye
Aur Baato Baato Mein Dosti Ke Daawe Har Koi
Kar Sakta Hai, Lekin Jab Qarz Maanga Jaaye To
Maloom Hota Hai Wo Kitna Mukhlis Hai, Aur Aurat
Zindagi Mein Kisi Mod Par Bhi Wafa Badal Sakti Hai, Is
Liye Marne Se Pehle Tareefo Tauseef Se Parhez Karna
Chahiye
Aaj Kal Humare Naujawano Ki Ek Tadaad Aurato
Ki Dasi Huyi Hai, Allah Paak Un Ke Haal Par Raham
Farmaye, Be Inteha Muhabbat Sirf Aur Sirf Rasool -e-
Paak ‫ ﷺ‬Se Karein, Baaqi Sab Muhabbatein Jhooti Hain
(Aap Mazeed Likhte Hain) Kuchh Din Pehle Ek Khasta
Haal Aur Pur Malaal Shakhs Mila, Jo Badi Shiddat Se
Ro Raha Tha
Sabab Puchha To Kehne Laga : Main Ek Aurat Se
Muhabbat Karta Tha Aur Wo Mujh Se, Humari
Muhabbat Aisi Thi Ke Jab Us Ke Ghar Waalo Ko Pata
Chala To Unhone Use Maara Peeta Aur Use Dara
Dhamka Kar Uska Nikah Kahin Aur Karwa Diya Lekin
Usne Mujhe Nahin Chhoda Aur Na Main Use

32
Break Up Ke Baad Kya Karein?

Main Afghanistan Rehta Tha Aur Wo Pakistan...


Usne Rukhsati Se Pehle Hi Talaq Le Kar Mujhe
Message Kiya Ke : Pakistan Aa Jaao, Main Tumse Hi
Nikah Karungi, Tumhari Khatir Sab Ko Chhod Dungi
Jis Din Usne Message Kiya Us Din Mere Sage Bhai
Ki Baraat Thi, Main Uski Shadi Chhod Kar, Maa Baap
Ko Bataye Baghair Pakistan Chala Aaya Phir Humne
Court Marriage Kar Liya Aur Usi Ka Ho Ke Reh Gaya
Mera Behnoi Faut Hua, Bhateeji Faut Hui, Taaya
Jaan Faut Huye, Mere Walidain, Behan Bhai Mujhe
Phone Karte Rahe Par Main Ise Tanha Chhod Kar
Afghanistan Nahin Gaya
Lekin...... Ab Wo Mujhe Chhod Kar Kisi Aur Ke
Paas Chali Gai Hai Aur Usne Mujhe Phone Kar Ke Kaha
Hai : Wapas Afghanistan Chale Jaao, Ab Dobara Main
Tumhare Paas Nahin Aaungi

Mujhe Pata Chala Hai Ke Kisi Ladke Ke Saath Ek


Mahine Tak Uski Baat Hui Hai Aur Wo Usi Ki Ho Ke Reh
Gai Hai, Mujhe Ab Na Neend Aati Hai, Na Aaram, Na
Bhook Lagti Hai, Na Pyaas, Main Use Yaad Kar Ke Bas
Rote Rehta Hoon......

33
Break Up Ke Baad Kya Karein?
Baaz Auratein Bahut Ba Wafa Hoti Hain, Marte
Dam Tak Rishte Nibhati Hain Lekin Baaz
Auratein.......... Tauba Tauba!!
Ghulam Ali Aazad Bilgirami Ne Kaha Tha :
(Hindi Zubaan Mein ‫زن بود در زبان ہندی نار‬
Aurat Ko "Naar" Kehte
Hain) ‫وقنا ربنا عذاب النار‬
Yaani Aye Humare
Rab Humein Azaabe
Naar Se Bacha Le
Aurat Ko Samajhte Samajhte Zamana Guzar
Jaata Hai Lekin Mard Use Kama Haqquhu Samajh
Nahin Paata
Miyan Muhammad Bakhsh Rahimahullahu
Ta'ala Kehte The :
Yaani Aurato Ke
Makar To Dekho, Ye ‫ ِدےناِہہیاکرنتووھکیرکمزَ باںت‬،‫راںیتاَوہ‬
Raat Ko Kuchh Aur Din
Ko Kuchh Hoti Hain ‫دے‬
Ye Apne Dil Ka Raaz ‫ساں ونں دنی ہنت‬ ‫ ََس َ ّ ی‬، ‫ دابیاں‬، ‫امبیاں‬
Na Apni Maa Ko Batati
‫تیھب َماںدے‬
Hain, Na Daai Ko, Na
Kisi Qareebi Saheli Ko
34
Break Up Ke Baad Kya Karein?
‫چن‬ ‫چن‬
Auratein Badi Chalaak ‫کییہنت‬ ‫ہشیمہ َ چل َ ت‬،‫َر ّباں َ چلاہر‬
‫کَ ر‬
Hoti Hain, Humesha
‫ت‬
‫ی‬ ‫ن‬َ ‫راںیت‬ ، ‫وولں‬ َ ‫ِدیینہن َڈرن اھچپوںی‬
‫ک‬
Chalaaki Waale Kaam
Karti Hain, ‫تییہنت‬
‫َر‬
Inki Chalaaki Dekho Ke
Din Ke Ujaale Mein
Saaye Se Darengi Aur
Raat Ke Andhere Mein
Darya Paar Kar Ke
Mahboob Se Milne
Chali Jayengi

Quraan Mein Allah ‫ رکم زباں دےت‬، ‫وِچ قرآن ےہک ربتاچس‬
Ta'ala Ne Aurato Ke
Makro Ko "Azeem" ‫اھبرے‬
Kaha Hai ‫ ںیم یھبت‬، ‫گِن گِن ےک لک ِھ َدےس باںیہ‬
( ‫) اِّ َن ك َْی َدك َن َع ِّظ ْیم‬ ‫ڈردےامرے‬
Isiliye Maine Inke
Makar Nahin
Ginwaye, Main To Dar
Gaya Ke Jinhein Rab
Ta'ala Azeem Kahe
Wo Kaise Ihaata -e-

35
Break Up Ke Baad Kya Karein?
Tehreer Mein Aa
Sakenge!
Aurat Ko Pyaar Muhabbat Dein, Uske Saath
Khuloos Se Pesh Aayein, Uska Har Tarah Se Khayal
Rakhein, Lekin Apni Aql Ko Humesha Qaabu Mein
Rakhein, Lattu Na Ho Jaayein
Jo Aurat Aaj Aap Ke Liye Apne Maa Baap Ko
Dhoka De Rahi Hai, Wo Kal Ko Kisi Aur Ke Liye Aapko
Bhi Dhoka De Sakti Hai
Nikah Ke Liye Aisi Aurat Ka Intekhab Karein Jo
Apne Walidain Ki Farma Bardaar Ho Aur Unki Ijazat Ke
Baghair Baahar Na Nikalti Ho, Allah Ne Chaha To Aisi
Khatoon Humesha Aap Ki Bhi Farmabardaar Rahegi
Aur Sukh Dukh Mein Saath Nibhayegi
Jab Aap Jaan Chuke Ke Aurato Ki Muhabbat Ki
Haisiyat Kya To Phir Dhoka Milne Par Ise Achhi Tarah
Samajh Lein Aur Samajhdari Se Kaam Lein
Aap Aham Hain, Aapki Zindagi Aur Aapse Jude
Logon Ki Zindagiya Aham Hain, Unke Baare Mein
Sochiye Aur Fuzool Ki Fikr Ko Kinare Karein

36
Break Up Ke Baad Kya Karein?

Aakhiri Baatein
Is Risale Mein Kai Baato Ko Mukhtasar Taur Par
Bayaan Kiya Gaya Hai Aur Zyada Tafseel Nahin Likhi
Gai Taaki Log Ise Aasani Se Padh Sakein Aur Asal
Maqsad Ko Samjhein, Ummeed Hai Ke Qaum Ke Haq
Mein Ye Risala Mufeed Saabit Hoga

37
Break Up Ke Baad Kya Karein?

Our Books In Roman Urdu :


(1-13) Bahaar -e- Tehreer (Ab Tak 13 Hisso Mein)
(14) Allah Ta'ala Ko Uparwala Ya Allah Miyan Kehna
Kaisa?
(15) Azaan -e- Bilal Aur Suraj Ka Nikalna
(16) Ishqe Majazi - Muntakhab Mazameen Ka Majmua
(17) Gaana Bajana Band Karo, Tum Musalman Ho!
(18) Shabe Meraj Ghause Paak
(19) Shabe Meraj Nalain Arsh Par
(20) Hazrate Owais Qarni Ka Ek Waqiya
(21) Dr. Tahir Aur Waqar -e- Millat
(22) Taqreer Karne Waala Kaisa Ho?
(23) Ghaire Sahaba Mein Radiallaho Ta'ala Anho Ka
Istemal
(24) Ikhtelaf Ikhtelaf Ikhtelaf
(25) Chand Waqiyaat -e- Karbala Ka Tehqeeqi Jaayeza
(26) Binte Hawwa By Kanize Akhtar
(27) Sex Knowledge
(28) Hazrate Ayyoob Alaihissalam Ke Waqiye Par
Tehqeeq
(29) Aurat Ka Janaza By Janabe Ghazal Sahiba
(30) Ek Aashiq Ki Kahani Allama Ibne Jauzi Ki Zubaani

38
Break Up Ke Baad Kya Karein?
(31) Huzoor Ki Shaan In The Quraan - Mufti Ahmad
Yaar Khan Nayeemi Rahimahullahu Ta'ala
(32) Husne Mustafa Aur Kalame Raza - Maulana Sajjad
Ali Faizi
(33) Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooqe Aazam
- Huzoor Tajushshariah Rahimahullahu Ta'ala
(34) Kya Hazrate Bilal Radiallaho Ta'ala Anho Ka Rang
Kaala Tha?
(35) Hazrate Bilal Ke Islam Laane Ka Waqiya Kya Tha?
(36) Sharah Mishkaat (Kitabul Iman) - Mufti Ahmad
Yaar Khan Nayeemi Rahimahullahu Ta'ala
(37) Chand Ghair Motabar Kitabein - Maulana Hasan
Noori
(38) Tirmizi (Part 1)
(39) Aaiye Namaz Seekhein (Part 1)
(40) Sharah Mishkaat (Kitabul Ilm) - Mufti Ahmad Yaar
Khan Nayeemi Rahimahullahu Ta'ala
(41) Sahih Bukhari Aur Ilme Ghaib - Allama
Muhammad Abdul Qadir
(42) Difa -e- Kanzul Iman - Huzoor Tajushshariah
Rahimahullahu Ta'ala
(43) Pehle Farz Nafl Baad Mein - Aala Hazrat
Rahimahullahu Ta'ala

39
Break Up Ke Baad Kya Karein?
(44) Qiyamat Ke Din Logon Ko Kis Ke Naam Ke Saath
Pukara Jayega
(45) Yaare Ghaar By Dr. Asif Ashraf Jalali
(46) Tie Ka Mas'ala - Huzoor Tajushshariah
Rahimahullahu Ta'ala
(47) Sawaneh Tajushshariah - Mufti Dr. Yunus Raza
(48) Huzoor Tajushshariah Aur Bukhari Shareef Ki
Pehli Hadees Ka Dars - Maulana Muhammad Raza
Markazi
(49) Huzoor Tajushshariah Ke Kalaam Mein
Muhawraat Ka Istemal - Muhammad Kashif Raza
Shaad Misbahi
(50) Hussamul Haramain
(51) Haque Par Kaun? By Allama Muhammad Zafar
Attari
(52) Shirk Kya Hai?
(53) Qurbani Ka Bayaan From Bahaar -e- Shariat
(54) Zibah Ka Bayaan From Bahaar -e- Shariat
Aulia -e- Rijalul Hadees By Allama Abdul Mustafa
Aazmi
(55) Eisaiyat Se Islam Tak - Allama Ghulam Rasool
Qasmi
(56) Zambik Ka Maana Aur Masla -e- Durood - Allama
Syed Ahmad Sayeed Kaazmi
40
Break Up Ke Baad Kya Karein?
(57) Islami Taleem (Part 1) - Allama Mufti Jalaluddin
Ahmad Amjadi
(58) Muharram Mein Kya Jaiz Aur Kya Najaiz? - Allama
Tatheer Ahmad Razvi
(59) Muharram Mein Nikah By Abde Mustafa Official
(60) Islami Zindagi - Mufti Ahmad Yaar Khan Nayeemi
Rahimahullahu Ta'ala
(61) Riwayato Ki Tehqeeq (Part 1)
(62) Riwayato Ki Tehqeeq (Part 2)
(63) Sharahe Kalaame Raza - Al Hafiz Al Qaari Maulana
Ghulam Hasan Qadri
(64) Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique – Allama
Ghulam Rasool Qasmi
(65) Aulia -e- Rijalul Hadees By Allama Abdul Mustafa
Aazmi
(66) Tamheede Imaan - Imam -e- Ahle Sunnat, Aala
Hazrat Rahimahullahu Ta'ala
(67) Sharah Qasida -e- Meraj - Al Hafiz Al Qaari
Maulana Ghulam Hasan Qadri

41
‫?‪Break Up Ke Baad Kya Karein‬‬

‫اردوزبانںیم مہاریدورسیاتکںیباورراسےل‪:‬ت‬
‫(‪)13-1‬اہبر ی ر‬
‫رحتت(ابت‪13‬وصحںںیم)ت‬
‫(‪)14‬اہللاعتیلوکاورپواالبیااہللایمںانہکاسیک؟ت‬
‫(‪)15‬اذانالبلاوروسرجاکنکلناات‬
‫(‪)16‬قشعاجمزی‪-‬تبختنماضمںیماکومجمعت‬
‫(‪)17‬اگبااجببادنبرکو‪،‬متاملسمنوہ‬
‫(‪)18‬سرعماجوغثباکت‬
‫(‪)19‬سرعماجنیلعنرعشرپت‬
‫اتواہعق‬‫(‪)20‬رضحتاوسیقریناک ی‬
‫(‪)21‬ڈاٹکت م ر‬
‫اطہاورواقرلمت‬
‫(‪)22‬رقمراسیکوہ؟‬
‫(‪)23‬ریغاحصہبںیمترضت‬
‫(‪)24‬االتخفاالتخفاالتخفت‬
‫(‪)25‬راضمناوراضقےئرمعیامنزت‬
‫(‪)26‬دنچوااعقترکالباکیقیقحتاجترتہ‬
‫(‪)27‬تنبوحات‬

‫‪42‬‬
‫?‪Break Up Ke Baad Kya Karein‬‬

‫(‪)28‬سکیسباجل‬
‫(‪)29‬رضحتاویبہیلعاالسلمےکواےعقرپیقحتت‬
‫(‪)30‬الکمدیبعرضت‬
‫(‪)31‬وعرتاکانجزہت‬
‫(‪ )32‬ی‬
‫اتاعقشیکاہکینالعہمانبوجزییکزباینت‬
‫(‪)33‬یقحترعافنیفرختجیومشلاالالسمت‬
‫(‪)34‬رحممںیماکنحت‬
‫(‪)35‬رواوتیںیکیقحت(الہپہصح)‬
‫(‪)36‬رواوتیںیکیقحت(دورساہصح)‬
‫(‪)37‬االصحاعمرشہ(بختنم ی‬
‫ااحدییکروینشںیم)ت ت‬

‫‪43‬‬
Break Up Ke Baad Kya Karein?

ह दिं ी ज़ुबान में मारी दूसरी किताबें और रसाइल :


(1-13) बहारे तहरीर (अब तक 13 हहस्सों में)
(14) अल्लाह त'आला को ऊपरवाला या अल्लाह ममयाँ कहना कैसा?
(15) अजाने मबलाल और सूरज का मनकलना
(16) इश्के मजाज ी़ - मुत
ुं खब मजाम न का मजमुआ
(17) गाना बजाना बुंद करो, तुम मुसलमान हो!
(18) शबे मेराज गौसे पाक
(19) शबे मेराज नालैन अशश पर
(20) हजरते उवैस क़रन का एक वाककया
(21) डॉक्टर ताहहर और वक़ारे ममल्लत
(22) गैरे सहाबा में रहदअल्लाहु त'आला अन्हु का इस्तिमाल
(23) चुंद वाककयाते कबशला का तहक ी़क ी़ जाइजा
(24) मबुंते हव्वा
(25) सेक्स नॉलेज
(26) हजरते अय्यूब अलैहहस्सलाम के वाककये पर तहक ी़क़
(27) औरत का जनाजाी़
(28) एक आशशक़ क कहान अल्लामा इब्ने जौज ी़ क जुबान
(29) 40 अहाद से शफा'अत
(30) हैज, मनफ़ास और इस्तिहाजाी़ का बयान बहारे शरीअत से
44
Break Up Ke Baad Kya Karein?

(31) कक़यामत के हदन लोगों को ककस के नाम के साथ पुकारा


जाएगा?
(32) जन और यक़ न
(33) जम न साककन है
(34) शशकश क्या है? - अल्लामा मुहम्म
ी़ द अहमद ममस्बाह
(35) इस्लाम तअी़ल म (हहसी़्सी़ा अव्वल)
(36) इस्लाम तअी़ल म (दूसरा हहसी़्सी़ा)
(37) ररवायतों क तहक ी़क़ (पहला हहस्सा)
(38) ररवायतों क तहक ी़क़ (दूसरा हहस्सा)

45
ABOUT US
Abde Mustafa Official Is A Team From Ahle Sunnat Wa Jama'at
Working Since 2014 On The Aim To Propagate
Quraan And Sunnah
Through Electronic And Print Media.
We are :
Writing articles, composing & publishing books, running
a special matrimonial service for Ahle Sunnat

Visit our official website

www.abdemustafa.in
Books Library

books.abdemustafa.in
about 150+ tehqeeqi pamphlets & books are available in
multiple languages.

E Nikah Matrimony

www.enikah.in
there is also a channel on Telegram
t.me/Enikah (Search “E Nikah Service” on Telegram)

Find us on Social Media Networks :


Subscribe us on YouTube | abdemustafaofficial
like and follow us on Facebook & Instagram | abdemustafaofficial
Join our official Telegram Channel | t.me/abdemustafaofficial
Books Library on Telegram | t.me/abdemustafalibrary
or search “Abde Mustafa Official” on Google
for more details WhatsApp on +919102520764

SABIYA VIRTUAL PUBLICATION


POWERED BY ABDE MUSTAFA OFFICIAL

Abde Mustafa Official Sabiya Virtual Publication

You might also like