0% found this document useful (0 votes)
32 views4 pages

MMG Series Scripts

Mmg script
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
0% found this document useful (0 votes)
32 views4 pages

MMG Series Scripts

Mmg script
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 4

Script_1:

Hi guys! Did you know LinkedIn sirf ek social media platform nahi hai, yeh
ek professional network hai jo aapki career growth mein help kar sakta hai.
Agar aap student ho, toh yeh platform aapko internships, job opportunities,
aur professional connections ke liye perfect hai! LinkedIn par apna profile
banana, apne skills showcase karna, aur industry experts se connect hona,
yeh sab aapko apne career journey mein ahead bana sakta hai.

Abhi se apne LinkedIn profile ko strong bana lo, taaki jab career ka time
aaye, aap ready ho! Aur yeh video series, 6 parts mein, aapko step-by-step
dikhayegi kaise aap LinkedIn ko effectively use karke apna career grow kar
sakte ho! Toh, let's get started with how you can ace LinkedIn in the
upcoming videos!

LinkedIn ka powerful use seekhne ke liye is series ko follow kariye, aur


apna career next level par le jaiye!

Script_2:

Hi guys! Welcome back to our LinkedIn growth series. Aaj hum baat
karenge kaise ek powerful LinkedIn profile create karte hain. Sabse pehle
basics important hai, apni profile picture professional honi chahiye, clear
background aur aapka friendly, confident face. Phir aata hai headline –
yahaan sirf 'Student' mat likho, apni field aur skills ko highlight karo jaise
'Digital Marketing Enthusiast | Aspiring Social Media Manager'.

Next, summary section, yeh aapki story hai. Apne baare mein likho, apne
goals aur passions share karo. Koshish karo yeh engaging aur authentic
lage. For example, 'I am passionate about leveraging social media and
digital marketing strategies to drive brand growth and engagement. I am
seeking opportunities to apply my skills in content creation, SEO, and
analytics to real-world projects.'

Experience section mein apne internships, projects, aur part-time jobs ko


detail mein mention karo. Har role ke saath, apne responsibilities aur
achievements ko highlight karo. Jaise, 'Managed social media accounts for
a local business, increasing engagement by 40% through targeted content
and campaigns.'

Skills section mein apni top skills add karo, jaise 'SEO, Content Creation,
Social Media Marketing,' aur certifications jaise 'Google Analytics Certified'
ko zaroor include karo – yeh sab recruiters ke liye important hota hai.

Aur haan, apni LinkedIn URL ko customize karna mat bhoolna – default
URL ko apne naam se replace karo taaki yeh professional lage, jaise
'linkedin.com/in/yourname'."

Ab apni profile ko upgrade karo, aur agle video mein milte hain jahaan hum
network building ke baare mein baat karenge.

Script_3:

Hi guys! Welcome back to our LinkedIn growth series. Aaj hum baat
karenge kaise effectively apna network build karte hain. Sabse pehle,
personalized connection requests bhejna important hai. Jab bhi kisi ko
connect karo, ek short message likho, jaise 'Hi [Name], I’m a digital
marketing student interested in learning more about [their field]. I’d love to
connect with you!'

Alumni aur professors se connect karo, yeh log aapke industry ke initial
contacts ban sakte hain. Industry leaders aur influencers ko follow karo,
unke posts par comment karo aur conversations mein participate karo. Isse
aapka visibility badhega aur valuable insights bhi milenge.

Aur haan, companies aur groups ko follow karna mat bhoolna. Apni field
ke relevant groups join karo, discussions mein actively participate karo. Yeh
sab aapko networking aur learning dono mein help karega.

Connections ke saath engage karo, unke posts like karo, comment karo,
aur jab kuch valuable share karte ho, toh tag karo. Yeh sab cheeze aapki
presence ko strong banati hain.
Toh, apne network ko abhi build karna start karo, aur agle video mein milte
hain jahaan hum content creation ke baare mein baat karenge.

Script_4:

Hi guys! Welcome back to our LinkedIn growth series. Aaj hum baat
karenge kaise LinkedIn par internships aur jobs search karte hain. Sabse
pehle, job search bar ko use karo aur apni desired role aur location search
karo. Filters ka use karo taaki aapko relevant openings mil sakein.

Job alerts set karo, yeh aapko notify karega jab bhi koi nayi job post hoti
hai jo aapki preferences se match karti hai. Companies follow karo
jinmein aap interested ho, taaki aap unki job openings aur updates dekh
sako.

Recruiters aur hiring managers se directly connect karo. Jab aap kisi job
mein interested ho, toh us company ke recruiter ko ek personalized
message bhejo, jaise 'Hi [Name], I came across the [Job Title] position at
[Company Name] and I'm very interested. I have experience in [mention
relevant skills or projects] and would love to discuss how I can contribute to
your team.'

Recommendations aur endorsements bhi important hain. Apne


connections se recommendations maango, aur unki skills endorse karo.
Yeh aapke profile ko aur strong banayega.

LinkedIn ka smart use karke apni job search ko easy aur effective banao.
Agle video mein milte hain jahaan hum engagement strategies ke baare
mein baat karenge.

Script_5:

Hi guys! Welcome back to our LinkedIn growth series. Aaj hum baat
karenge engagement strategies ke baare mein, jo aapki LinkedIn presence
ko strong banayenge. Sabse pehle, regularly post karo, apne
achievements, projects, articles ya industry news share karo. Yeh aapki
activity ko dikhata hai aur aapko visible rakhta hai.
Comments aur likes, apne network ke posts par thoughtful comments
karo, don’t post random comments like nice, good, proper padho aur apne
insights bhi share kro, aur unke content ko like karo. Yeh engagement
aapko unki notice mein laata hai. LinkedIn groups join karo, discussions
mein actively participate karo aur apne insights share karo. Yeh aapki
credibility aur network dono ko build karta hai.

Endorsements aur recommendations, apne connections ki skills endorse


karo aur recommendations likho. Most log aapke liye bhi same karenge,
which strengthens your profile.

Apne profile updates ko bhi share karo, jaise new certifications, skills ya
experiences. Yeh sab cheeze aapko actively involved aur engaged dikhati
hain.

Apni LinkedIn presence ko strong banane ke liye in strategies ko follow


karo. So I hope iss linkedin 101 series se apko kafii helful insights mile
honge, comment krke btaiye next series app kiss topic par chahte hain,
Poore series ko dekhne ke liye thank you, aur agar aapko yeh helpful lagi,
toh like aur share zaroor karo! Best of luck with your LinkedIn journey.

You might also like