0% found this document useful (0 votes)
28 views9 pages

Skit Final

Uploaded by

pkakash1042004
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
0% found this document useful (0 votes)
28 views9 pages

Skit Final

Uploaded by

pkakash1042004
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 9

​।। श्रीः।।

SKIT- THE IMPORTANCE OF CHARAK SAMHITA

(Gopal is sitting, studying)

(Guruji enters)

Gopal: Pranaam Guruji (Stands up)


Guruji: Arre Gopal, baitho baitho
Gopal: (Sits) Guruji, aapne aane ka kasht kyu kiya, aap mujhe
yaad karte mei aa jaata
Guruji: Arre uski koi awashyakta nahi hai, accha, Gopal,
mujhe tumhaari sahayata chahiye
Gopal: Kahiye Guruji
Guruji: Tumhaari kaksha mei tumhaare jo mitr hai, Udhav,
Ashwani,Angad, unko ayurvedacharya banne ki yatra mei
bohot kathinaai ho rahi hai, kisi ko ayurved ka gyaan nahi
toh kisi ko uska prayog nahi aata, vahi kisi ko dono hi nhi
aate, charak jayanti aa rahi hai, mei chahta hu ki uss se pehle
vo bhi tumhari tarah ayurveda mei nipun ho jaye
Gopal: Arre guru ji, bass itni si baat, mei aapko batata hu ki
aapko kya karna hai
Gopal (Tells something in Guru ji's ears)
Guruji: Theek hai Gopal, hum dono esa hi karege, ab
tumhaare mitr aane wale honge, esa vyavhaar karo jese kuch
bhi na hua ho
(Angad, Ashwani, Shambhu enter)
Everyone: Pranaam Guruji
Guruji: Shows blessing hand
(They are about to sit, Guruji stops them)
Guruji: Balako aaj koi abhyaas nahi hoga, tum sab jaa sakte
ho
Everyone: Ji guru ji

(Jab sab jaane lagte hai tab guruji sabko rokte hai)

Guruji: zara thehro, muje tum sabse kuch baat karni hai.
(Angad ke alawa Sab jaate jaate ruk jaate hai)

Guruji: Angad, moorkh, maine tumhe bhi rukne ko kaha hai

(Sab guruji ke paas aate hai)

Everyone: Ji guruji
Guruji: Muje tum teeno se yaha prashn hai ki tum teen Gopal
se kuch seekhte kyu nahi ho, Ashwani, maana ki tum
Ayurveda ka gyaan rakhte ho, parantu tum chatur nahi ho,
Udhav, maana ki tum chatur ho, parantu tumhe dhang se
ayurveda ka gyaan kyu nahi hai? Or Angad, tum toh moorkh
ho moorkh, na hi tum chatur ho na hi tum ayurved ka gyaan
rakhte ho.

(Sab garden neeche kar lete hai)


Guruji: Accha ab niraash hone ki awashyakta nahi hai, mere
paas tum teeno ke liye ek chunoti hai, kal mei kisi karya se
bahar jaa raha hu, toh maine ye vichaar kiya hai ki kal jitne
bhi rogi yha aayege unki chikitsa tum teeno milkar karoge

(Ye bolkar guruji chale jaate hai ek taraf, dusri taraf gopal
jaane lagta hai)

Shambhu: Mitron hume kuch na kuch upaye toh nikalna


hoga
Ashwani: Sahi kehte ho mitr
Angad: Hey bhagwaan, Ye kesi duvidha hai..Gopal..
Ruko..Muje tumhaari sahayata chahiye

(Gopal ruk jaata hai, vapis aata hai)

Gopal: Haan bolo mitr


Angad: Tum toh jaante ho ki ayurveda ko samjhne mei
mujhe bhot kathinta hoti hai, ese m muje kuch esa upaye
batao ki m ek din m ek vidvaan ayurvedacharya ban jau
Gopal: Bhot duvidha hai, keval ek din mei toh yaha sambhav
nahi, par tum ek kaarya kar sakte ho, ayurveda ke mool,
charak samhita ki madad lo, tumhari kuch sahayata zaroor
hogi
Angad: Accha sujhaav hai, mei esa hi karunga, dhanyawad
mitr

(Gopal chala jaata hai, Angad ab Ashwani or Shambhu ke


sath hai)
Angad: Gopal ne mujhe yaha sujhaav diya hai ki hum charak
samhita ki sahayata le, mere paas charak samhita toh hai
parantu mujhe iska gyaan nahi hai
Ashwani: Bass itni si baat, mujhe charak samhita ka gyaan
hai parantu mujhe iska prayog karna nahi aata
Shambhu: Bass itni si baat, prayog karne mei m sahayata
karunga
Angad: Fir toh humaari saari duvidha dur ho gayi samjho

(Teeno stage chhod dete hai)

(Next day ka scene)

(4 patients stage pe entry lete hai, Inka well build hai orr esa
lagta hai ki kushti-pehelwaani karte honge)

Patient 1: Aaj toh pehelwaani karke aanand aa gaya


Pateint 2: Sahi kehte ho mitr
Pateint 3: Lekin ye pehlwaani ke baad sharir m hone wali
peeda se bohot kasht hota hai, chalo, ayurvedacharya aate hi
honge, unse kuch upaye mangege

(Angad, Ashwani, Shambhu enter)

Udhav: Jaldi jaldi chalo, aaj toh bohot vilambh ho gaya, kahi
guruji ko pata na chal jaaye

(Angad looks at the audience)


Angad: Arre Shambhu, Ashwani, Zara dekho toh, humaari
chikitsa ko dekhne ke liye kitne saare log aaye hai
Ashwani: Sahi kehte ho mitr
Shambhu: Arre murkh, ye sab log Charak Jayanti ke uplaksh
mei yha ekatrit huye hai, humaare liye nahi
Angad (Points at the four patients) : Accha, fir toh tum ye bhi
kahoge ye sajjan bhi humare liye nahi aye hai
Ashwani: Sahi kehte ho mitr
Udhav: Arre tum toh sach m murkh ho, dikhta nahi yadi koi
chikitsalaya aaye, toh veh apne rog ki chikitsa ke liye yaha
aata hai, humse milne ke liye nahi
(Then Shambhu starts to talk with them)

Shambhu: Ji bataiye, mei aapki kese sahayata kar sakta hu


Patient 1: Namaskar, hum sab pehelwaani karte hai orr hum
aapke paas apne shram ko dur karne ke liye upaaye
maangne aaye hai
Angad: Bass itni si baat, ek kaam kariye, kushti karni chhod
dijiye, na rahega baans na bajegi baasuri
Shambhu: Arre murkh, ese karoge chikitsa, orr ashwani, tum
shaant kyu ho, jaldi se inhe upaaye batao
Ashwani: Ahem..(Tells the patients regarding श्रमहर महाकाशय)
Patients: Aapka dhanyawaad
(Patients leave)

Shambhu: Angad, tum bhi na, ese hi kisi ko koi bhi chikitsa
bata doge kya? Kisi orr rogi ke saath yaha galti na dohraana
Angad: Theek hai mitr, jesa tum kaho

(3 men enter, looking healthy)


Patients: Namaskar
Ashwani & Udhav: Namaskar
Angad: Namaskar baad m kijiyega aap ye bataiye ki aap
yahan kya karne aaye hai, aap toh ek dum swasth prateet
hote hai, aapko chikitsa ki kya jarurat
Shambhu (To Angad): Murkh apna muh band rakho, tumhe
nahi maloom ayurveda ka prayojan kya hai? Ashwani, muh
latka ke kyu khade ho? Angad ko batao ki Ayurveda ka
prayojan kya hota hai
Ashwani: Ahem (Tells Ayurveda Prayojan)
Shambhu (To Patients): Mei aapse shama chahta hu, bataiye
m aapki kese sahayata kar sakta hu
Patient: Ji agle maah (month) mere mitr ka vivah hai, jiske
liye hume uttar disha m jaana hoga, parantu vaha par hone
waali sheeet se hum aswasth na ho jaye, iske liye koi upaaye
bataiye.
Angad: Toh esa kariye na, apne mitr ko kahiye ki abhi sheeet
m vivah na kare, garmi aane ki pratiksha kar le, saari
duvidha hi khatam ho jayegi.
Ashwani: theek kehte ho mitr
Shambhu: Iski baat par dhyaan matt dijiyega..Ashwani.. Jaldi
se inn sajjano ko koi upaaye batao
Ashwani: Ahem..(Tells sheetprashman mahakashaye)
Patients: Aapka dhanyawaad
(Patients jaane lagte hai, suddenly they stop)
Patient: Lekin hume toh inn dravyo ka gyaan hi nahi hai
Ashwani: Arre, chaliye mei aapko humaare aushadhaalaye se
ye dravya uplabd kara deta hu

(Patients and ashwani leave)


(A man enters with an old lady)

Man: Namaskar ved ji


Shambhu & Angad: Namaskar
Man: Ye meri dadiji hai, inhe nidra aane mei takleef ho rahi
hai
Angad: Ye aapki daadiji ke mukh pe dadi hone ke naate kuch
zyada hi kesh nahi hai?
Dadiji: Putr, yahi meri nidra na aane ka kaaran hai, mere
mukh pe itne kesh dekh kar mere swami mujhe apni
swamini maan ne se inkaar kar dete hai
Angad: Aapke swami se mei bilkul sehmat hu, Jab mei aapko
dadiji swikaar karne ke liye taiyaar nahi hu, toh aapke
swami kyu hi maanege
Shambhu: Murkh, tum fir shuru ho gaye
Shambhu (To Patient): Aap chinta na kijiye, aapko upaaye
batane ke liye humaara mitr aata hi hoga
Patient: Nahi Putr, mujh se orr pratiksha nahi hogi, muje
sheeghr hi upaaye chahiye
Shambhu: Parantu mujhe orr mera mitr angad ko ayurved ka
sampoorn gyaan nahi hai, hum aapki chikitsa kaise karenge?
Man: Ved ji aap samjhne ka prayaas kijiye, meri dadiji abhi
zara si bhi orr pratiksha nahi karengi, aapko hi unko koi
upayee batana hoga
Angad: Lagta hai dadiji maanegi nahi Shambhu, mujhe lagta
hai ab hum dono ko hi inhe koi upaaye batana hoga
Shambhu: Sahi kehte ho mitr, ek baat batao, jab guruji nidra
ke vaig ko rokne se huye rog ke baare mei hume padha rahe
thhe, tab unhone hume iske kya upaaye bataye thhe?
Angad: Mitr mujhe yaha bohot acche se toh yaad nahi hai,
parantu jahan tak mujhe gyaat hai unhone hume bataya thha
ki aise rogi ke haath, pair orr sar ko dabana chahiye, jise
champi kehte hai
Shambhu (To patients) : Ji Angad ka diya huya upaaye bilkul
sahi hai, saath ye baat yaad rakhiyega ki neend ke vaig ko
rokna ya bharpoor nidra mei kisi ko jagaana, dono hi karya
anuchit hai
Patient (In manly voice): Adhbhut! Adhbhut! Adhbhut! Bohot
hi uttam chikitsa ki gayi hai
Angad: Ye dadiji ki vaani achanak se nar mei kaise badal gayi
Patient: Vo isliye kyoki mei inn sajjan ki daadiji nahi hu, balki
mei tumhaara guru hu (Removes ghunghat)
Angad and Shambhu: Arre guruji aap (Touch his feet)

(Ashwani enters)

Ashwani: Arre Guruji, aap? Mujhe laga aaj aapko kisi karya
se bahar jaana thha
Guruji: Nahi Ashwani, vo sab ek jhuth thha, ye saari yojna
tumhaare mitr Gopal ne banayi thi taaki tum sab
aatmanirbhar ban sako, lekin tum mujhe yaha batao ki jab
mei aaya tab tum apne mitro ke sath kyu nahi thhe
Ashwani: Guruji kuch samay pehle yahan par aaye kuch
sajjano ko aushadh pradaan karne ke liye mei aushadhaalaye
gaya tha
Guruji: kya iska arth yaha hai ki tumne shambhu ki sahayata
liye bina hi yukti lagakar chikitsa ki?
Ashwani: Ji guru ji
Guruji: Adhbhut! Gopal, ab tum bahar aa sakte ho

(Gopal enters)
Gopal (To man): Dhanyavaad mitr, tumne bohot hi accha
naatak kiya
Man: (Smiles & Nods)
Guruji: ab tum teeno yaha vichaar karo ki maatr ek din mei
charak samhita ki sahayata se tumne chikitsa ka yaha sturr
paa liya hai, toh ayurveda kitna hi balwaan hoga, mei
chahata hu ki tum meri iss pariksha se seekh lo orr ayurveda
ke prati apna ravaiyya badlo
Ashwani: Ji guruji, mei aapko yaha vachan deta hu ki ab se
mei apni yukti par bhi karya karunga
Shambhu: Ji guruji, mei bhi aapko yaha vachan deta hu ki ab
se mei ayurveda ke sidhhant ko acche se seekhuga
Angad: Aur guruji, mei bhi aapko vachan deta hu ki mei
ayurveda ka gyaan grehen karunga tatha yukti mei nipun
hounga
Gopal: Mitro, kyu na iss naye aarambh ki shuruaat ayurveda
ka mool dene waale charak ji ko dhanyavaad karke ki jaaye
All 3: Sahi kehte ho mitr
Gopal: Toh ho jaaye?

(Shlok recitation)

Everyone on the mic


DHANYAVAAD

You might also like