Untitled Document
Untitled Document
Khuda wande alam apni kitab Quran e Majeed main irshad farmata hai ke “Beshak Allah
Sabr karne walo ke sath hai”
Is ayat se wazeh ho jata hai ke agar kisi ko apni manzil main ya apne maqsad main khuda
ka saath chaiye to phir oske sabr ko intekhab karna padega kyonke sabr hi aik aisi konji
(key) hai jiske hasil karne par Allah apne bande ko apne sath hone ki guarantee deta hai. Or
jab Allah kisi manzil or maqsad ke liye bande ka sath dene ki zimmedari le le to phir os
maqsad ya manzil ki kamiyabi koi nhi cheen sakta.
Isi tarah se Irshad e Rasool e Akram hai ke “As Sabro kinzon min konozil Jannah yani Sabr
jannat ke khazano main se aik khazana hai.
Khazane ka kiya matlab hai? Khazana aik aisi cheez hai jo insan ko ghurbat, tang dasti or
faqr se mehfoz rakhti hai or insan ko hamesha dosro se be niyaz banati hai ab Allah ke
Rasool ne farmaya ke sabr aik jannati khazana hai. to ap log kabhi soch sakte hai ke agar
kisi ke pas jannati khazana yani sabr ho to woh kabhi kisi ka mohtaj ho sakta hai? Woh
kabhi ghareeb or faqeer ho sakta hai? Agar insan ke pas sabr hai to allah ka diya jo koch bhi
oske pas hoga woh osi par allah ka shukr krega or khosh rahega.
Isi ke sath Rasool e Akram ne sabir ki teen alamat yani nishaniya batain hain
1 Sabir kabhi sust or kasalat nhi karta
2 Sabir kabhi bhi beqarar or narahat nhi hota
3 Or Sabir kabhi bhi apne parwardigar apne khuda se shikwa nhi karta.
Sabr aik bhot qeemti amal hai. Is amal se insan ke andar khas leadership skills
develop hote hain. Kyonke leadership main aik Hadi or Leader ko pore lashkar ya
community ke be tadad masail par sabr karna hota hai or onka solution nikalna hota
hai lehaza agar insan sabr hath se kho de to phir woh aik acha rehbar nhi ban sakta
aj hamare samne la tadaad bade bade leaders ki misalein mojod hain magar on sab
leaders ka aik silent feature sabr bhi tha jisko onhone kabhi hath se jaane nhi diya or
woh aik misali leader or rehbar bhi ban gye.
Rasol e Akram ne isi cheez ko is tarah irshad farmaya hai. Allah ke kisi bhi nabi ko insano ki
rehbari ki ijazat nhi di jabtak ke os nabi ya rasool aik acha charwaha or gadariya na ban gya.
Kyonke aik acha gadariya or charwaha bhedo or bakriyo ko charate charate woh skills hasil
kar leta hai jo aik leader ke ander hone chaye or onme sabse boniyadi skill hai sabr.
Aik bar hazrat Moosa as apne rewad ko chara rahe the ke achanak aik bhed rewad ko chor
kar bahar nikli or bayaban jangal ki taraf bhagne lagi Janab e Moosa as ne osko pakadna
chaha to ap bhi oske peeche peche bhagne lage magar woh bhed rokne ka naam hi nhi le
rahi thi. Yahan tak ek shab ki tariki numayan ho gyi or woh bhed jab thak choki to roki moosa
ne os bhed ko pakda or bade piyar se oske sar se khak ko hatane lage. Allah ne jab moosa
ki is mohabbat or shafqat ko dekha to apne Farishto se kaha dekho Mosa kitna piyara nabi
hai ke jisne osko itni zehmat di or itna moshkilat main dala oski kitni piyar se sehla raha ha.
Isi liye kaha jata hai ke anbiya yani nabiyo ka pasandida kaam charwaha hona hai.
Sabr ko bas insan ko samajhne ki zarurat hai agar insan osko ache se samjhe to wohi osko
Kamiyabi bhi dila sakta hai. Aik bar aik kisan ka aik kafi bodha ghoda tha aik din woh ghoda
oske khet main tehal raha tha tehalta tehlta woh aik kuwain ke pas phoncha or osme jhanke
laga na jane kiya hua ke woh achanak os kuwain main gir giya. Osne bhot awazein nikali
bhot shor machaya magar koi oske awaz nhi sun paya. Jab kisan ko apne ghode ka khayal
aya to osne dhoondna shuru kiya or akhir main kisan kuwain tak phoncha jab osne ghode ko
kuwain main zakhmi or buri halat main dekha to osne apne dosto or sathiyo se kaha ke ye
kafi budha ho gya hai isko bahar nikalne ka koi fayda nhi lehaza isko isi main dafn kar dete
hain.
Ye soch kar in logo ne bahar se mitti khod khod ke kuwain ke ander dalna shuru ki jab kafi
der ho gyi or kisan ne ghore ki awaz bhi nhi suni to isne jhank kar dekha. Ye dekh kar hairan
ho gya ke jo mitti ye os ghore ko dafnane ke liye dal rahe the osi mitti ka shahar lekar ghora
opar ata chala ja raha tha or akhir kar woh aisa karke bahar a gya.
Is waqiye se pata chalta hai ke raste ki moshkilat se ghabrana nhi chaiye or jo log tomhe
challenge kar rahe hain onke challenge or onki rukawto ko hi apni kamiyabi ka rasta banana
chaiye.