0% found this document useful (0 votes)
995 views8 pages

Hindi Script

Uploaded by

samaerachawla935
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
0% found this document useful (0 votes)
995 views8 pages

Hindi Script

Uploaded by

samaerachawla935
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 8

HINDI SCRIPT

Final roles: Police officer: avni

Old saint: yukta Kaka: shreyansh


Bhai1: arshiya Mahant: samaera
Wife1: jaskaran Narrators: avichal, Ayaan, hiti

Bhai2: sanvi Pujaari: ishaan


Wife2: sohana Kidnapper: harshit

Bhai3: reet Minister: prisha


Ayaan (narrator 1): sabhi ko namaskar, sat sri akal, adaab and a very good morning. aaj hum hariharkaka par ek romanchak
nukad prastut karne jaa rhe hai. Aasha karte hain ki aapko humara pradarshan changa lage....

SCENE 1:
Avichal (narrator 2): toh bhaiyon, yeh hai humare pyaare hariharkaka. Inki life story badi hi dukhbhari hai. (hariharkaka
enters dramatically)
Hiti (narrator 3): bechare ki 2 shaadiyan hui aur dono ke hi antim sanskar mein jaana pada ( 2 shaadiya?? In background).
Kake ke paas tisra rishta bhi aaya magar usne sharmeeli bahu ki tarah inkar kr diya.
Avichal (narrator 2): dusri aur unke teen bhai. Aur teeno ke hi apne biwi bache. teeno apne hi jeevan mei mast magan hai.
Hiti (narrator 3) : aur ab aata hai kahani mei twist. charo bhaiyo ke hisse ki zameen mei se harihar kaka ke paas bhi 15
beeghe zameen thi. Aur baaki teeno bhaiyo ki nazar unki is sampati par tiki hui thi.
Avichal (narrator 2) : aur isi ke beech hai humari thakurbari (everyone repeats thakurbari). Aas paas ke ilaake ka thakurji ka
sarvshresht mandir. Thakurji is gauv mei rehne vale har kisi ke man mei bas gaye the. (depiction of thakurbaari in
background)
Hiti : ab chalte hai seedhe kahani ki aur.

SCENE 2:
bhai 1 (arshiya): sun rahi ho... aaj khana mast banana. bete ka dost sheher se aa raha hai.

jaskaran (wife1) : ( HIGH PITCH VOICE): theek hai ji. Sabzi , bajke , chutney aur raita, tadka marke banoongi.
Bell rings (ding dong, guest enters). Talks in drawing room.

Harihar kaka ( thinking to himself in the side) : itne dino se bimaar hu. Aaj jaake kuch accha khaane ko milega.

Avichal : lekin bechare harihar kaka ka kya? Unko kisi ne khana hi nhi diya.

Hiti : kaka bas intazaar hi karte reh gye aur saara khaana khatam ho chuka tha.

Harihar (walking out of room) : arre bhai koi mujhe khaana de do!

Wife 2 (sohana) (handing him plate): ye le. Tujhe iss rookhe-sookhe khaane se better kuch nhi mil sakta. Pet bhar le.

Kaka: (throws away plate in disgust) : YE KYA HAI?? Kya samajhti ho? Tumhare kharche pe rehta hu kya?? Nhi, mere hisse ki zameen ki
bhi peidaavaar bhi is ghar me hi aati hai! Mein jaa rha hu yaha se.

SCENE 3:
Avichal : issi vakt ghar ke bahar khade pujaari ne harihar kaka ko chilaate hue suna

Hiti: aur voh bhaagte-bhaagte hue thakurbaari laut gaye aur mahant se baat ki.

Pujaari (ishaan) runs towards thakurbaari

Pujaari (ishaan) to mahant : arre!! Suno! Abhi abhi harihar kaka ke yahan se aaya hu. Lag rha hai ki kaka ki apne ghar vaalo se ladaayi ho
gyi hai. Yhi mauka hai ki hum sone ki chidiya ko apne kaabu mein kar le. Abhi hi jaao aur usse behla lo. Mauke pe chauka maar lo!
Mahant runs towards harihar and talks to him: harihar, meri baat dhyaan se suno. Tum iss moh maya mein na faso. Yeh saare rishte
bhagwaan ke saamne kuch nhi. Apne hisse ki zameen thakurji ke naam par likh do. Devo ke saath tumhaari bhi aarti utaari jaayegi. Bade
bade saadhu sant tumhare per padenge. Tumhe is gauv mein janma har aadmi yaad rakhega. eisa karte hai ki hum abhi thakurbaari
chalte hai. Aapke liye udhar ek shaandaar mehmaan nawaazi intazaar kar rhi hai.

Avichal: lekin harihar kaka ka thakur baari mein hona ki bhanak unke bhaaiyo ko bhi lag gyi, jo unhe le jaane Ke liye aa pahunche.

Bhai3 (reet): chalo kaka. Aap humein bina bataaye idhar aa gye. Hum bahut chintit the. Chalo, ab ghar chalein.

Mahant (samaera): aaj inhe idhar hi rehne do. Inki tabiyet kharab hai. Bhagwaan ke nikat rahenge toh man ko shaanti milegi.

Hiti: harihar kaka ko thakurbaari mein ek behtareen bhojan mila. maalpue, laddu, kheer, dahi, chena aur kya nhi. (background repeat
wah wah bhai wah wah)

SCENE 4:
Avichal: Ab dekhte hai agli subah kya hua.

Bhai2 (sanvi): arre kaka. Ab toh aap ek raat thakurbaari mein ruk bhi gye. Ab toh ghar chalo na please. (other two repeat “please kaka
please”) dekho, humaara khoon ka rishta hai. Aakhir aapke sage hum hi toh hai!

Harihar kaka: tum sahi keh rhe ho. (does namaste to mahant and pujari) chalo ab mein chalta hu.

Hiti: lekin iss baar ghar par mahol alag tha. 5 mahilaein kaka ki khatirdaari mein humesha maujood rehti. Kaka ko jitna samman mila,
utna toh kisi mehman ke aane pe bhi nhi milta hoga.

Avichal: ab hua yeh, ki kaka ki zameen ka yeh silsila poore gauv mein fel chuka tha. Poora gauv do vicharon mein bat gya tha. Ek jo
sochte the (one group onstage speak: harihar kaka ko apni zameen thakurbaari ke naam kar deni chahiye) aur doosre, jo maante the
(Two group onstage: kaka ko apni sampati bhaiyon ko de deni chahiye).
SCENE 5:
Hiti: ab baari aati hai uss ghatna ki, jab harihar kaka ka apharand hua.

Avichal: Mahant ji ke aadmi hatiyar sang kaka ko utha le gye.

Harshit (kidnapper), mahant, pujaari come to house. Harshit tapes shreyansh’s (hariharkaka) mouth shut.

Harshit (in whispers): bilukul chup. Koi chillam-chaali nhi karne ka samjha?

Harshit picks up shreyansh and takes him to thakurbaari.

Bhai 3 (reet) in panic : arre dekho! Koi log aake kaka ko utha le gye.

Bhai 1(arshiya): Ab kya karein. Kisne yeh apaharand kiya hoga? Humein kaka ko dhoondhna hi hoga.

Bhai2(sanvi): yeh pakka mahant ka kaam hai. Vahi hai jo kaka ki zameen hadapne ki koshish kar rha hai.

Avichal: ab teeno bhai thakurbaari ki aur apne pakshdhar ke saath bhaag gye.

Hiti: lekin udhar toh patharbaazi shuru ho gyi. Firing bhi hui. Bhaiyo ke sabhi pakshdhar bhaag gye.

Pujari forcefuly takes kaka’s thumbprint: chal ab harihar, idhar jald hi apna angootha chaap.

Harihar kaka is beaten by mahant and kidnapper.

Mahant: harihar, tum ise abhi zor-zabardasti samajh rhe hoge lekin yeh sab tumhaari bhalaayi ke liye hi hai.

Bhai3(reet) outside: chalo bhaiyo. Eisa lag rha hai police ko bulana padega. Yeh log eise nhi maanenge.

3 bhai go come back with police inspector.(avni)

Avni (polce) knocks on the door of the thakurbaari and shouts: darvaaza kholo! Nhi Khologe to tod denge!
SCENE 6:
Avichal: dekhte hi dekhte subah ho gyi lekin kisi ne darwaaza hi nhi khola tha.

Hiti: subah jaakar ek vridh saadhu ne dwaar khola.

Old baba (yukta) opens door

Avni: namaste baba ji. Bahot jaldi darwaaza khol diya aapne.accha ab yeh batao ki mahant, pujaari aur harihar kaka kahan hai?

Yukta (talking like very old man) : arre beta, muje kuch malum nhi.

Avni searches many rooms but finds nothing. Finally finds a room with a lock.

Avni: iss kamre pe taala hai. Shayad kaka isi mein pade ho. Baba, humein iss kamre ki chaabi de do.

Yukta: mere paas nhi hai

Avni, yeh batao iss kamre mein kya hai?

Yukta: anaaj hai beta.

Avni: ab toh taala todna hi padega.

Avni pushes the door and harihar kaka is there with his hands and feet tied and tape on mouth. Kaka tries to speak.

Harihar (after tape is removed by bhai) : yeh daaku, gunde pandit mujhse zabardasti angootha chapva ke bhaag gye. Pata nhi kahan gye
honge.

Avichal: iss poori ghatna ke baad harihar kaka ke man mein mahant aur pujari ke prati nafrat hui.

Hiti: kaka fir apne bhai ke saath unke ghar mein rehne lage aur unki suraksha ke liye balwaan rishtedaaron ko bulaya gaya.
3 bhai surround kaka and act as bodyguards.

SCENE 7:
Bhai1: kaka ab sun rhe ho, jald hi apni zameen humaare naam karva do. Abhi pyaar se bol rhe hai, baad mein zor-zabardasti kare toh
hume mat kehna.

Bhai2: haan. Varna toh hum tumhe idhar hi maar ke dafna denge. Kisi ko pata bhi nhi chalega.

3 bhai start beating up harihar.

Harihar shouts: bachaaaoo!!

Harihar tries to run away but bhai holds on tightly.

Common people come to rescue kaka.

Bhai2 : yeh humaare ghar ka niji maamla hai. Tum sab isse bahar rho.

Harihar kaka comes with police officer (avni)

Avni finds kaka lying on the ground, almost dead.

Kaka: officer sahab, accha hai aap aa gye. Thodi der aur deri hoti toh yeh kameene mujhe maar hi dete.

Avichal: yeh harihar kaka ke maamle ki aakhri ghatna thi. Iske baad voh akele mein rehne lage.

Hiti: haan, unki suraksha ke liye 4 rifledhaari jawaan rakhe gye. Unke bhai aur mahant unki suraksha ke liye bahut kharch karte the.

Minister (prisha) comes to kaka: kaka, aap apni saari zameen humein daan kar dein. Aapki zameen par harihar ucch vidyalay ki
sthapana ki jaayegi. Zara socho!
Kaka: nahi ji. Mein apni zameen se filhal bahut khush hu. Aap jaa sakte hai.

Ayaan: bas, aur kya? Kaka ke khet ki fasal se jitna bhi paisa aata, usper jawan eish ki zindagi jeete. Harihar kaka toh iske baad
goongepan ka shikaar ho chuke the. Kuch nhi bolte, kuch nhi karte. Unhone ant mein asli duniya jo dekh li thi. Aur yahin humaara natak
samapt hota hai. Aasha karte hai ki aapko bharpoor aanand aaya hoga.

Everyone: dhanyawaad.

You might also like