Waqiat - Roman Hindi
Waqiat - Roman Hindi
Hazrat Bibi Asma Binte Umais (Raziyallahu Ta’ala Anha) Ka Bayan Hai Ki “Khaibar” Ke
Kareeb “Manjile Sahba” Me Huzur (Sallallahu Ta’ala Alayhi Wasallam) Namaze Asar Padh
Kar, Hazrate Ali (Raziyallahu Ta’ala Anhu) Ki God Me Apna Sar-E-Aqdas Rakh So Gaye, Aur
Aap Par Wahi(Quraan Sharif Ki Ayat) Nazil Hone Lagi. Hazrat Ali (Raziyallahu Ta’ala Anhu)
Sar-E-Aqdas Ko Apni Aagosh Me Liye Bethe Rahe. Yahan Tak Ki Suraj Gurub(Dhal) Ho Gaya
Aur Aapki Namaze Asar Qaza Ho Gayi. Jab Wahi Khatm Huyi Aur Aapne Apna Sar-E-Aqdas
Uthaya Aur Aapko Yah Maloom Hua Ki,
Hazrate Ali (Raziyallahu Ta’ala Anhu) Ki Namaz Qaza Ho Gayi Toh Aapne Dua Farmaee Ki,
“Ya Allah ! Yakinan Ali Teri Aur Tere Rasool Ki Eeta’at Me The, Lihaza Tu Suraj Ko Wapas
Lauta De, Taki Ali Namaz-e-Asar Ada Kar Le.”
Hazrate Bibi Asma Binte Umais Kehti Hai Ki, “Maine Apni Aankho Se Dekha Ki Duba Hua
Suraj Palat Aaya, Aur Pahado Ki Chotiyo Par Aur Zamin Ke Uper Har Taraf Dhoop Fail Gayi.
Refrence : >Zurkani Part-5 Page-113, >Shifa Shareef Part-1 Page-185,
>Madarijunnubuvvah Part-2 Page-257, >Sirate Mustafa Part-20 Page-545
Hiqayat :- Hazrat Shafiq Balkhi (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Farmate Hain Ki Ek Roz Hazrat
Ibrahim Bin Adham Basre Ke Bazaar Se Guzre Rahe The! Toh Logon Ne Aapki Khidmat Me
Haazir Hoker Arz Ki, Huzoor! Quraan Me Khuda Ta’aala Ne Farmaya Hain Ki Tum Mujhse
Dua Maango Main Kabul Karuga! Hum Ek Muddat Tak Dua Maangte Rahe Hain Magar
Kubul Nahi Hoti! Iski Kya Wajah Hain?
Hazrat Ibrahim Bin Adham Rehmatullah Ta’aala Alaihi Ne Jawab Diya Ki,
Aye Logon! Tumahre Dil 10 Chizon Se Murda Hogaye Hain! Fir Tumahri Dua Kaise Kubul
Hogi?
∗ (1) Tumne Khuda Ko Pehchana Magar Uski Maarfat Ka Haq Ada Na Kiya!
∗ (2) Tumne Quraan Padha Magar Usper Amal Nahi Kiya!
∗ (3) Tumne Mohabbat-A-Rasool Ka Daawa Kiya Magar Unki Sunnat Per Amal Na Kiya!
1|Page
∗ (4) Tumne Adawat-A-Shaitaan Ka Daawa Kiya Magar Uski Mukhalifat(Against) Na Ki!
∗ (5) Tumne Jannat Ko Chaha Magar Usme Dakhile Ke liye Amal Na Kiye!
∗ (6) Tumne Jahannam Se Panaah Maangi Magar Khud Hi Apne Nafs Ko Usme Daal Diya!
∗ (7) Tumne Mout Ko Haq Jana Magar Uske Liye Taiyyari Na Ki!
∗ (8) Tumne Bhaiyon Ke Aib-Jui Ki Magar Apne Aib Na Dekhe!
∗ (9) Tumne Allah Ki Nematain Khayi Magar Uska Shukr Ada Na Kiya!
∗ (10) Tumne Murdon Ko Dafan Kiya Magar Ibrat Haasil Na Ki!
(Durratun-Nasiheen, Pg-513)
Sabak :- Apne Jaahir Wa Baatin Ko Paak Aur Saaf Sutra Karke Aur Zubaan Ko Allah Ki Yaad
Se Mo-Attar Karke Jo Bhi(Nek) Dua Maangi Jaye Wo Kubul Hoti Hain! Agar Hamari Koi Dua
Kubul Na Ho Toh Yeh Hamara Kasoor Hain!
Shaane Lu’aab-e-Mustafa ……
★ Shaane Lu’aab-e-Mustafa ★
Hazrat Muhammad Bin Hattib Radiallahu Ta’ala Anho Farmate Hain,
‘Mein Bachha Tha Aur Jalti Haandiya Mujh Par Gir Gayi Jis Se Mera Badan Jal Gaya To
Mere Waalid Mujhe Huzoor-E-Akram Salallahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ki Khidmat Me Le
Gaye, Toh Huzoor-E-Paak Salallahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ne Mere Badan Par
Apna Lu’aab-E-Dahan (Thoonk Mubarak) Laga Diya Aur Upar Apna Hath Pher Diya Aur
Kaha
“Aye Rab ! Iss Ki Takleef Ko Dur Kar De ! Bas Fir Kya Tha Huzoor Ke Dua Ke Baad Mai Bilkul
Sahi Ho Gaya Aur Mujhe Uss Se Koi Takleef Na Huyi.
Nasai Shareef, Jild-1, Page No-214,
Zarkaani Al-Lamwaahib, Jild-5, Page No.292
2|Page
SABAK :- Kisiki Geebat Karne Se Sarasar Apna Hi Nuksaan Hota Hain! Jiski Geebat Ki Jaye
Wo Faide MayRehta Hain! Uski Nekiyan Usko Miljati Hain! Lihaza Geebat Se Bachna
Chahiye!
Yeh Bhi Malum Hua Ki Nek Bande Burayi Ka Badla Burayi Se Nahi Dete Balki Burayi Ke
Badle Bhi Neki Hi Karte Hain!
Sabak :- Allah Walo Ki Yeh Sirat Hain Ki Burayi Ka Badla Kuch Aise Tarike Se Dete Hain Ki
Khatakaar Sharminda Hoker Apni Khata Se Kinara Ker Leta Hain Aur Neki Ikhtiyar Ker Leta
Hain!
Ehteraam-E-Hadees ……
Hazrat-E-Imaam Maalik (Radi Allahu Anhu) Ek Martaba Huzoor(Salallahu Ta’ala Alaihi
Wasallam) Ki Hadees Bayaan Farma Rahe The Ki Logo Ne Dekha Ki Aapka Chehra Kisi
Takleef Ke Baa’is (Wajah) Zard Ho Raha Hai, Aur Bade Be-Chain Ho Rahe Hain, Bawajud
Iske Aap Ne Hadees Ka Dars Tark Na Farmaya. Aur Ba-Dastur Bayan Farmate Rahe
Aur Jab Bayan Khatm Farma Chuke Toh Logo Ne Wajah Daryaaft Ki, Toh Aap Ne Qamees
Utaar Di Jis Me Ek Bichchhu Nikla. Jisne 6 Daf’a (Baaz Kitabo Me 70 Daf’a Bhi Aaya Hai)
Hazrat-È-Imaam Ko Dasa Tha.
Hazrat-E-Imaam Ne Farmaya Ki: “Hadees Bayan Karte Huye Ye Bichchhu Mujhe Das Raha
Tha. Magar Maine Ehteraam-E-Hadees Ke Pesh-E-Nazar Hadees Ka Dars Na Chhoda. Mera
Kya Hai, Kuchh Ho Magar Hadees Ka Adab-O-Ehteraam Bahar Haal Muqaddam Hai.”
(Sachchi Hikaayaat Safa. 368)
Khatoon-A-Jannat Hazrat Fatima (Radi-Allahu-Ta’ala-Anha) Jab Bimaar Hui Toh Hazrat Ali
Radi-Allahu-Ta’ala-Anhu Ne Farmaya Aye Fatima! Meri Yeh Wasiyat Hain Ki Jab (Sallallahu
Alaihay Wasallam) Ke Paas Pahucho Toh Mera Salaam Arz Karna Aur Kehna,
3|Page
Ya Rasoolallah! Main Aapka Mushtaq Hoon!
Hazrat Fatima (Radi-Allahu-Ta’ala-Anha) Ne Farmaya Ki Meri Bhi Ek Wasiyat Hain Ki Jab
Mera Inteqal Ho Jaye Toh Mujh Per Cheekh-Chillaker Maatam Mat Karna Aur Mere Noor-
A-Chasm Hasan Aur Husain Ko Maarna Nahi!
Hazrat Ali Ne Farmaya, Fatima! Rasoolallah Ka Waasta Deker Kehta Hoon Ki Mujhe Bata
Do Ki Uss Kaagaz Me Kya Likha Hain?
Hazrat Fatima (Radi-Allahu-Ta’ aala-Anha) Ne Farmaya Ki: Jab Mera Nikaah Aapse Hone
Laga Tha Toh Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Mujhse Farmaya-
Aye Fatima! Mai Ali Se 400 Miskaal Chandi Ke Maher Per Tumahra Nikah Karne Laga
Hoon!
Maine Arz Kiya, Ya Rasoolallah! Ali Mujhe Manzoor Hai Lekin Itna Maher Mujhe Manzoor
Nahi!
Itne Me Zibrayil Amin Ne Haazir Hoker Huzoor Se Arz Kiya, Ya Rasoolallah! Khuda Farmata
Hain Ki Main Jannat Aur Uski Nematain Fatima Ka Maher Mukarrar Karta Hoon!
Huzoor Ne Mujhe Iski Khaber Di Toh Main Fir Bhi Razi Na Hui!
Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, Toh Fir Khud Hi Batao Ki Mehar Kya
Ho?
Maine Arz Kiya Ya Rasoolallah! Aap Har Waqt Apni Ummat Ke Gham Me Rehte Hain! Mai
Chahti Hoon Ki Aapki Gunahgar Ummat Ki Bakshish Mera Maher Ho!
Chunanche, Zibrayil Wapas Gaye Aur Fir Yeh Kaagaz Ka Tukda Leker Aaye Jisme Likha Hai -
“Mai Ne Ummat-A-Muhammad Ki Shafa-at Fatima Ka Maher Mukarrar Kiya”
SABAK:-
Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Sadqe Me Hum Gunahgaron Per ALLAH Ka Bada
Fazl Wa Karam Hain Ki Huzoor Ki Sahab-Zaadi Ko Bhi Hum Gunahgaron Ka Khayaal Raha
Aur Wo Hamari Bakshish Ka Intezaam Farma Gayi!
Fir Yeh Kehna Ki Un ALLAH Walon Se Kuch Haasil Nahi Hota, Kis-Qadr Jahaalat Ki Baat
Hain! Yeh Bhi Malum Hua Cheek-Chillaker Maatam Nahi Karna Chahiye! Iss Chiz Se Khud
Khatoon-A-Jannat Ne Bhi Mana Farmaya Hain!
4|Page
Keemti Sharbat ……
Hazrat Imaam Hasan (Radhi Allahu Anhu) Ke Yaha Ek Mehmaan Aaya. Usne Khana Khane
Ke Baad Sharbat Talab Kiya. Hazrat Imaam Hasan (Radhi Allahu Anhu) Ne Daryaft Farmaya
Ki, Aapko Koun Sa Sharbat Darkar Hai?
Mehmaan Ne Jawaab Diya Woh Sharbat Jo, Na Milne Ke Waqt Jaan Se Jyada Kimti Aur Mil
Jaane Ke Waqt Nihayat Kam Keemti Hota Hai.
Imaam Saahab Ne Noukaro Se Farmaya Ki Mehmaan Paani Maangta Hai.
Haazrin Ko Aapki Jahanat Par Nihayat Hairani Hui.
(Mugniyul Waajneen, Safa-218)
Sabak : Paani Allah Taala Ki Ek Badi Giraqadra Aur Keemti Naimat Hai.
Shaikh Saadi (Alihiraham) Farmate Hai Ki Murgi Ko Dekhiye Ki Ek Ghunt Paani Pikar
Fouran Apna Muh Aasmaan Ki Taraf Uthakar Goya Allah Ka Shukr Ada Kar Leti Hai Magar
Afsos Ki Gaafil Insaan Bisiyo Man Paani Pikar Bhi Allah Ka Shukra Ada Nahi Karta.
5|Page
Bus Maine Katai Taur Par Dekha Ki Huzoor Ki Mukaddas Ungliyo Ki Ghaiyo Se Paani Ubal
Raha Tha.
(Bukhari Sharif Jild 1 Safa 505, Mishkat Safa 538)
Zaalim Ka Anzaam ….
Hazrat Imaam Muslim (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Ke Dono Sahabzaado Ko Jab Haaris Ne
Shahid Kar Liya Toh Socha Ki Unke Sar Ibne Jyaad Ke Paas Le Chalu Aur Inaam Pau.
Chunanche Wah Un Mukaddas Saro Ko Lekar Ibne Jyaad Ke Paas Aaya. Ibne Jyaad Ne Inn
Nanhe Aur Nurani Saro Ko Dekhkar Pucha Ki Yeh Kiske Sar Hai?
Haaris Ne Bataya Ki Muslim Ke Baccho Ke. Ibne Jyaad Bajaye Khush Hone Ke Kehne Laga
Aye Malun! Mene Toh Yazeed Ko Yeh Likha Hai Ki Bacche Mere Paas Qaid Hai. Agar Usne
Zinda Mangwaye Toh Me Kaha Se Launga? Tu Inhe Mere Paas Zinda Kyu Nahi Laaya?
Haaris Ne Kaha Agar Zinda Laata Toh Sehar Wale Mere Se Cheen Lete Aur Me Inaam Se
Mehrum Reh Jaata.
Ibne Jyaad Ne Kaha Tune Mujhe Khabar Ki Hoti. Me Khufiya Taur Par Manga Leta.
Haaris Chup Ho Gaya. Ibne Jyaad Ne Makatil Naami Ek Shakhs Jo Muhibbe (Ahle Bait Tha)
Ko Hukm Diya Ki Iss Kabees Ko Nahar-E-Furaat Par Le Jaake Qatl Kardo. Jaha In Dono
Baccho Ke Sar Daale Gaye Hai Wahi Inke Dhad Bhi Daal Do.
Makatil Yeh Hukm Sunkar Bahot Khush Hua. Haaris Ka Haath Pakadkar Apne Raazdaro Se
Kehne Laga Ki Agar Ibne Jyaad Mujhe Tamam Mulk De Deta Tab Bhi Mujhe Itni Khushi
Nahi Hoti Jitni Iss Hukm Se Hui.
Phir Makatil Ne Haaris Ke Haath Baandhe, Seer Nanga Kiya Sare Bazaar Lekar Chala.
Baccho Ke Sar Logo Ko Dikhate Jaata Tha Log Unhe Dekhkar Rote Aur Haaris Pe Lanat
Karte. Haalaki Makatil Ne Pehle Un Dono Mukaddas Saro Ko Nahar Me Daal Diya. Kudrat-
E-Ilahi Se Dono Ke Tan Paani Ke Upar Aakar Saro Se Mil Gaye Aur Phir Paani Me Dub Gaye.
Phir Makatil Ne Zaalim Haaris Ko Bhi Wahi Qatl Kar Diya Aur Uski Laash Ko Furaat Me Feka
Toh Furaat Ne Use Qabool Nahi Kiya Aur Bahar Feke Diya. Phir Use Zamin Me Dabaya Toh
Zamin Ne Bhi Qabool Nahi Kiya Aur Bahar Fek Diya.
Aankhirkaar Lakdiya Jama Kar Ke Use Jala Diya Gaya.
(Tazkira, Safa-50)
6|Page
Chunki, Hazrat Ismaail(Alaihi Salaam) Abhi Kam-Umr The, Isliye Aapne Unse Sirf Itna Kaha
Ki Beta Rassi Aur Ek Churi Le Kar Mere Sath Chalo. Chunanche, Apne Bete Ko Leker Aap Ek
Jungal Me Pahunche…
Hazrat Ismaail (Alaihi Salaam) Ne Pucha, Abbajaan! Aap Yeh Churi Aur Rassi Le kar Kyun
Chalte Hain?
Farmaaya “Aage Chal kar Ek Qurbani Zabaah Karenge”
Phir Aage Chal kar Hazrat Ibrahim (Alaihi Salaam) Ne Saaf-Saaf Bayaan Farmaa Diya Aur
Kaha “Beta! Main Allah Ta’ala Ki Raah Me Tumhe Hi Zabaah Karne Aaya Hun, Maine
Khwaab Me Dekha Hai Ki Tumhe Zabaah Kar Raha Hoon…
Beta! Yeh Allah Ta’ala Ki Marzi Hai, Bata Tumhari Marzi Kya Hai?”
Bete Ka Yeh Zurrat Aamez Jawaab Sun Kar Hazrat Ibrahim (Alaihi Salaam) Bade Khush Hue
Aur Apne Bete Ko Allah Ta’ala Ki Raah Me Zibaah Karne Par Taiyyar Ho gaye!
Jab Aapne Apne Bete Ko Maathe Ke Bal Litaaya Aur Gardhan Par Churi Rakhi Aur Use
Chalaya Toh Churi Ne Gardhan-A-Ismaail Ko Bilkul Na Kaata!
Aapne Aur Zorse Churi Chalayi Toh Awaaz Aayi, “Bas Aye Ibraahim! Tum Hukm-E-Iaahi Ki
Taamil Kar Chuke Aur Iss Sakht Imtihaan Me Khare Utre…”!
Aapne Mud Kar Dekha Toh Ek Doomba Paas Hi Khada Tha Aur Aapse Keh Raha Tha Ki
Hazrat Ismaail (Alaihi Salaam) Ki Jagah Mujhe Zabaah Kijiye! Aur Inhen Hataa Dijiye,
Chunanche Hazrat Ibraahim (Alaihi Salaam) Ne Uss Doombe Ko Zibaah Farma Diya..!
Hazrat Ismaail (Alaihi Salaam) Uth Baithe Aur Iss Imtihaan Me Kaamyaab Ho gaye!
(Al-Quran : Para-23, Kutub-A-Tafasir)
Sabak :- Allah Waale Allah Ta’ala Ki Raah Me Sab Kuch Qurbaan Karne Par Taiyyar Ho jaate
Hain, Hatta Ki Aulaad Bhi! Fir Aaj Jo Log Allah Ta’ala Ki Raah Me Ek Bakra Bhi Dene Par
Hazaar Heel Wa Hujjat Karte Hain, Unka Khuda Se Kya Taalluk?
7|Page
Sabak :- Agar Mehfil Me Ek Ka Rona Rab Ko Pasand Aajata Hain Toh Allah-Ta’aala Baaki
Sabki Duayen Bhi Kabul Kerleta Hain! Aap Bhi Ba-Qaiyadgi Se, Pabandi Se Mehfilon Me
Jaya Karen! Aur Yeh Bhi Dil Me Niyat Leker Baitha Karen Ki, Mai Gunahgar Sahi, Khatahkar
Sahi, Meri Zubaan Zhooti Sahi Magar Mera Rab Bada Karim Hain Aur Mere Aaka Ki
Duayen Hain, Aur Iss Mehfilon Me Kitne Allah Ke Bande Hoge Jinke Amal Allah Ke Yahan
Maqbool Hoge, Lihaja Mai Bhi Inke Sath Dua Maanguga Toh Parwardigar In Nekon Ke Sath
Milker Meri Duaon Ko Bhi Kabul Farma Lega!
(Sukoon-A-Khana Pg-259-60)
Sabak :- Auratain Mard Keliye Wakayi Guldasta Hain! Ba-Shartain Ki Unmay Rang-A-Haya
Ho! Boo-A-Wafa Ho! Aur Agar Unmay Yeh Rang Wa Boo Nahi Aur Wo Guldaan Me Nazar
Na Aaye To Fir Wakayi Ba-Qaul Uthbi Shaitaan Hain Aur Aisi Maadar-Pidar, Aazaad Aur
Uryani Wa Be-Hijaab Auraton Se Ham Allah Ki Panaah Maangte Hain!
Hazrat Haatim Asam (Rehmatullah Ta’aala Alah) Ek Martaba Kahin Baaher Safar Me Jane
Lage Toh Apni Biwi Se Farmaya Ki Main 4 Mahine Tak Baaher Rahuga Tumahre Waaste
Kis-Qadr Kharch Muhaiyya Ker Jaoun? Unohne Jawab Diya Ki Jis-Qadr Aapko Meri Zindagi
Manzoor Hain! Hazrat Ne Farmaya Tumahri Zindagi Mere Hath Me To Nahi! Biwi Saahiba
Ne Jawaab Diya, Toh Meri Rozi Bhi Aapke Hath Me Nahi Hain! Hazrat Haatim Jab Chale
Gaye Toh Ek Budiya Ne Hazrat Ki Biwi Se Pucha Ki Haatim Aapke Waaste Kitni Rozi Chhod
Gaye Hain! Unohne Jawab Diya Ki Hazrat Haatim To Khud Hi Rozi Khane Wale The! Jo
Khane Wala Tha, Wo Chala Gaya Aur Jo Dene Wala Hain Wo Yahin Hain!
(Tazkiratul Auliya Pg-301)
8|Page
Sabak :- Huzoor (Sallallahu-Ta’aala-Alaihi-Wasallam) Ki Ummat Me Aisi Paak-Baaz
Auratain Bhi Guzri Hain Jo Badi Nek Aur Haq-Ta’aala Per Kaamil Ehtemaad Aur Bharosa
Rakhne Wali Thi! Fir Jo Mard Hoker Bhi Allah-Ta’aala Per Ehtemaad, Bharosa Na Rakhe
Toh Kis-Qadr Gaafil Hain!
9|Page
SABAK :-
Qabr Me Har Maiyyat Ke Paas Munkir-Nakeer Aate Hain Aur Pehla(1) Sawaal Yeh Karte
Hain Ki Tera Rab Kaun Hain?
Dusra(2) Yeh Ki Tera Deen Kya Hain? Aur Tisra(3) Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ke
Mutaallik Ki Unke Haq Me Tu Kya Kehta Hain?
Pehle 2 Sawaal Ka Sahi Jawab Dene Ke Ba-Wajudh Najaat Ka Daromadar Tisre Sawaal Ke
Sahi Jawab Dene Per Hain! Isliye Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Apni Fhoofi Ko
Jaamay Jawab Dene Ki Talkin Farmayi Ki Yun Keh Dijiye Mera Nabi Mohammad Mera
Bhatija Hain! Goya Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ko Jisne Apna Nabi Maan Liya
Usne ALLAH Ko Rab Maan Liya Aur Islam Ko Apna Deen Bhi Maan Liya! Aur Jisne Huzoor
(Sallallahu Alaihi Wasallam) Ko Nabi Na Maana! Wo Laakh ALLAH Ko Rab Maane Aur Islam
Ko Apna Deen Kehta Fhire Wo Naazi Hargiz Nahi Balki Paaji Hain!
Yeh Bhi Malum Hua Ki Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Fhoofi Ko Jo Yeh Talkin
Farmayi Ki Wo Jawab Me Mujhe Apna Bhatija Batayen! Toh Goya Huzoor Ne Iss Nasbi
Taalluk Ko Bhi Mujib-A-Najaat Karaar Diya! Fir Jis Muqaddas Maa Ka Yeh Nabi Mohammad
(Sallallahu Alaihi Wasallam) Beta Ho Uski Najaat Me Kaun Shak Ker Sakta Hain? Aur
Yeh Bhi Malum Hua Ki Huzoor Ki Nazar Me Na Sirf Yeh Aalam Hi Hain Balki Aalam-A-
Barzak Bhi Hain! Jabhi Toh Aapne Farmaya, Ki “Qabr Me Meri Fhoofi Se Deen Ke Mutaallik
Sawaal Ho raha Hain, Aur
Yeh Bhi Malum Hua Ki Murde Sunte Bhi Hain Warna Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam)
Ka Apni Fhoofi Se Yeh Khitaab Farmana Bekaar Tha, (Maaz-ALLAH) Kyonki Na Fhoofi Sunti
Aur Na Huzoor Talkin Farmuda Jawab Dete Aur
Yeh Bhi Malum Hua Ki Huzoor Ke Sadqe Me ALLAH-TA’AALA Ham Gunahgaron Ko Bhi
“QAUL-A-SAABIT” Per Saabit Kadam Rakhker Munkir-Nakeer Ke Sawalaat Ke Jawabaat
Hamper Aasaan Farma Dega!
Sabab : Aaj Ka Ghafil Ummati Jo Apni Jubaan Se Gandi Gandi Baatein Nikalata Hai Aur Phir
Apne Aapko Huzoor Salallaho Alayhe Wasallam Ke Misla Hone Ka Daawa Karta Hai To
Kitna Bada Zaahil Wa Ganwaar Hai
10 | P a g e
Paani par Patthar ka Tairna …..
♥ Mojza-e-Rasool Allah : Paani par Patthar Ka Tairna ♥
Ek Martaba Huzoor (Salallaho Alayhe Wasallam) Ek Taalab Ke Kinare Tashrif Farmaa The Ki
Wahan Abu Zahal Ka Beta Iqrama (Razianllaho Anho, Aap Baad Me Musalman Ho Gaye
The) Aaya Aur Kehne Laga- Agar Aap Sache Ho To Wo Jo Taalab Ke Dusre Kinare Par
Pathhar Padaa Hai Use Hukm Dijiye Ki Wah Paani Par Tairta Hua Aapke Paas Pahuch Jaaye
Aur Dube Nahi!
Huzoor (Salallaho Alayhe Wasallam) Ne Uss Pathhar Ki Taraf Ishara Farmakar Kaha Mere
Paas Aao, Toh Pathhar Usi Waqt Apni Jagah Se Ukhadkar Paani Me Aa Gaya Aur Paani Par
Tairata Hua Huzoor (Salallaho Alayhe Wasallam) Ki Khidmat Me Haazir Ho Gaya Aur Ba
Aawaz Buland Kalima Shareef Padhne Laga, Huzoor (Salallaho Alayhe Wasallam) Ne
Ikrama Se Farmaya- Bas Ya Kuchh Aur Hai, Ikrama Ne Kaha Ab Use Kahiye Ki Wah Wapis
Apne Muqam Par Chala Jaaye To Huzoor (Salallaho Alayhe Wasallam) Ne Phir Us Pathhar
Ko Irshad Farmaya To Wah Wapis Tairta Hua Apni Jagah Chala Gaya,
(Tafshir-E-Raazi, Zild/8, Safaa/466)
Sabak :
Hamare Huzoor (Salallaho Alayhe Wasallam) Ke Beshumar Moazzizat Me Se Aapka Ye Bhi
Moazziza Hai Ki Pathhar Ko Paani Par Taira Diya.
Sabak : Allah Ke Maqbool Bande Jo Sahi Maaino Me Saahibe Imaan Hote Hai Unki Nazar
Se Koi Baat Poshida Baat Chhupi Nahi Rehti, Woallah Ke Noor Se Sabkuchh Dekhte Hai
Phir Jo Khud Sarwar E Aalam Huzoor Salallaho Alayhe Wasallam Ke Jinke Sadqe Me In
Allah Walo Ko Aisi Nazar Ataa Hoti Hai Ki Qayenaat Ki Koi Shai Poshida Nahi Reh Sakti,
Aurjo Apne Ghar Me Kya Ho Raha Hai Uska Haal Nahi Rakhte Aur Huzoor Ki Misl Hone Ki
Baat Kahe Wo Kitne Bade Ganwaar Hai
11 | P a g e
Hazrat Isa Alaihi Salam Ka Zamana Paane Ki Khaber ….
•••» KARAMAAT-A-GAUS-A-AAZAM «•••
””””””””””””””””””””””””””””””
» Hazrat Isa Alaihi Salam Ka Zamana Paane Ki Khaber Dena:-
Aapke Sahab-Zaade Hazrat Abdul Wahab Rehmatullah Ta’aala Alaihi Ke 5 Bete The! Un
Mayse Ek Hazrat Sayyad Jamalullah Aapke Hum-Shakl Aur Hum-Shabih Aur Nihayat Khub-
Sirat The! Aapne Unse Farmaya Ki Teri Umr Lambi Hogi, Tu Zamana Hazrat Isa Alaihi Salam
Ka Payega! Mera Salam Unki Khidmat May Pahuchana! To Wo Abhi Zinda Aur Maujudh
Hain Aur 7 Abdaal Mayse Ek Abdaal Hain Aur Shaher Bistaan May Tehre Hue Hain!
Ek Habsheen Kaneez ….
∗ Habsheen Kaneez ∗ HIQAYAT
Ek Din Haroon Rashid Ne Apne Khidmatgaron Per Ashrafiyan Nichawar Ki, Tamaam
Kaneez Gulamon Ne To Looti Magar Ek Habsheen Kaneez Ne Unki Taraf Dyaan Bhi Na
Kiya! Haroon Rashid Ne Usse Uska Sabab Pucha, Toh Usne Jawab Diya, Aye Baadshah!
Main Dirham Wa Dinaar Ki Parwaah Nahi Karti! Main Toh Dirham Wa Dinaar Wale Ko
Chahti Hoon! Jiske Aap Hogaye Sab Kuch Usi Ka Hain!
Haroon Rashid Iss Jawab Se Itna Khush Hua Ki Use Apne Nikaah Me Le Liya!
(Nujjahtul-Majalis, Jild-1, Pg-116)
12 | P a g e
SABAK:- ALLAH Ke Nek Aur Ba-Wafa Bande Wo Hain Jo Duniyawi Daulat Wa Maal Ki Taraf
Dyaan Na Kare! Daulat Wa Maal Ke Khaliq Wa Maalik ALLAH Ko Chahe! Aise Bande Ko
Khuda Apni Panaah Me Le Leta Hain Aur Khuda Ka Ho jane Ke Bayis Saari Khudayi Uski Ho
jati Hain!
Yeh Kirdaar Tha Ek Habsheen Aurat Ka Aur Aajkal Ki Modern Aurat Ka Kirdaar?
Hiqayat:- Ek Aurat Hazrat Junaid Baghdaadi (Alaihir Rehmaan) Ke Paas Aaker Kehne Lagi,
Mera Shohar Dusra Nikah Karna Chahta Hain! Farmaya, Agar Is Waqt Uske Nikah Me 4
Auratain Nahi Hain Toh Use Dusra Nikah Jayez Hain! Aurat Ne Kaha, Aye Junaid! Agar Gair
Mard Ko Auraton Ki Taraf Dekhna Jayez Hota Toh Main Apna Chehra Kholker Aapko
Dikhati Taaki Aap Mujhe Dekhker Kehte Ki Jiske Nikah Me Mere Jaisi Khubsurat Aurat Ho
Use Mere Siwa Dusri Aurat Ki Taraf Ragbat Karna Layak Hain Ki Nahi?
Hazrat Junaid Baghdaadi (Alaihir Rehmaan) Aurat Ki Yeh Guftagu Sunker Be-Hosh Hogaye!
Jab Hosh Me Aaye Toh Kisine Uska Sabab Pucha! To Farmaya, Mere Zahen May Is Waqt
Yeh Khayaal Aaya Ki Haq-Ta’aala Farmata Hain, Agar Duniya Me Kisi Ko Mujhe Dekhna
Jayez Hota Toh Main Apna Hijaab Uthaker Usper Jaahir Hojata Ki Wo Mujhe Dekhta, Fir
Uss Waqt Maloom Hota Ki Jiska Mujh Jaisa Rab Ho Uske Dil Me Mere Gair Ki Mohabbat
Hona Chahiye Ki Nahi?
(Nujjahtul-Majalis, Jild-1, Pg-45)
13 | P a g e
Sabak:- Saccha Musalman Wo Hain Jo Apne Dil May Khuda Hi Ki Mohabbat Rakhe Aur
Uske Gair Yani Boothon Wagaira Duniya Ki Mohabbat Dil May Na Aane De! Usi Ke Rasool
Ki Ita-at Kare, Usi Ke Nizaam Ko Apnaye Aur Usi Ke Ahkaam Per Chale!
Maulana Roomi Alaihir Rehmaan Ne Likha Hain Ki Ek Aawaara Aadmi Ek Aurat Ke Piche-
Piche Chalne Laga! Aurat Ne Jo Dekha Ki Koi Aawaara Uska Picha Ker Raha Hain To
Moodker Usse Puchne Lagi! Kya Baat Hain? Jo Tum Mera Picha Kar Rahe Ho? Wo Bola,
Mujhe Tumse Mohabbat Hain! Isliye Tumahre Piche-Piche Aaraha Hoon! Aurat Boli, Agar
Mohabbat Karni Hain To Meri Choti Bahen Jo Mujhse Zyada Khubsurat Hain Aur Wo
Dekho Mere Piche Aarahi Hain, Usse Mohabbat Karo! Aawaara Aadmi Ne Piche Moodker
Jo Dekha To Aurat Ne Zor Se Use Laat Maari Aur Kaha, Zhoote Aashiq, Dawaa Meri
Mohabbat Ka Aur Dekhta Hain Dusri Taraf? Jao Tumeh Aazma Liya! Tum Aawaara Aadmi
Ho! Sacche Aashiq Nahi!
Isi Tarah Jo Shaks Padhta To “La-Ilaha-Illallah-Mohammadur-Rasoolullah” Aur Dekhta Ho
Kisi Aur Leader Wa Nizaam Ki Taraf…. To Jaan Lijiye! Wo Nakaara Aadmi Hain Aur Zhoota
Musalman!
SABAK
Jamaal Ki Pari Se Wafa Bhari Aurat Behter Hain! Isliye Ki Use Apne Husn Per Naaz Aur
Khawindh Ki Tankhwah (Salary) Se Pyar Hota Hain Aur Use Apne Shoher Per Naaz Aur Uski
Mohabbat Bhari Nigah Se Pyar Hota Hain!
Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIhI-WASALLAM Ka Irshad Hain Ki Rishta Karte Waqt Koi
Husn Wa Jamaal Ko Dekhta Hain Aur Koi Daulat Wa Maal Dekhta Hain! Tum Sabse Pehle
Deen Ko Dekho!
14 | P a g e
Deen Hoga To Zaujain (Miyan-Biwi) May Ek Dusre Ke Huquq Malhuz (Lihaaz Karna)
Rahege! Yeh Bhi Malun Hua Ki Pari Jamaal Magribi Tehzeeb Ne Musalamn Se Kaha Hain Ki
Tum Islami Tehzeeb Ko Chhod Do Aur Mujhe Apna Lo! Magar Saccha Musalman Use Yeh
Jawab Deta Hain Ki Tum Sekdon Aaiyashon Ki Zhooti Ho Mujhe Tumse Kya Garaz?
15 | P a g e
Deendar Khatoon …..
» Deendar Khatoon «
Hiqayat :- Abu-Zafar Saayiz Kehte Hain, Ek Aurat Bahoat Deendar Thi Aur Uske Shab Wa
Roz (Din-Raat) Yaad-A-Khuda May Sarf Hote The! Wo Apne Shoher Se Kaha Karti, Uttho
Kabtak Neendh Ke Maze Lete Rahoge! Khwab-A-Gaflat Se Be-Daar Hojao! Yeh Madh-Hoshi
Kabtak Rahegi! Yeh Bhi Kehti Aapko Khuda Ki Qasam Hain Rizk Halaal Tarike Se Kamayiye!
Apni Maa Ki Khidmat Kijiye, Rishtedaron Ki Khabardaari Kijiye! Warna ALLAH Aapse
Naraaz Hojayega!
-: (Auraton Ki Hiqayatain, Pg-136)
Sabak :- Nek Aur Paras Aurat Ke Din Raat Yaad-A-Khuda Me Sarf Hote Hain Aur Wo Dusron
Ko Bhi Hatta Ki Apne Shoher Ko Bhi Yaad-A-Khuda Ka Der’s Deti Hain! Aur Rizk-A-Halaal Ka
Sabak Deti Hain! Maa-Baap Ki Khidmat Per Bhi Ubhaarti Hain Aur Rishtedaron Se Bhi
Accha Suluk Karne Ki Hidayat Deti Hain!
Sabak :- Khush-Nasib Hain Wo Log Jinke Maa-Baap Zinda Hain! Wo Khidmat Karke ALLAH-
TA’AALA Ke Yahan Apna Martaba Bada Len Aur Jinke Maa-Baap Fauth Ho Chuke Hain
Ramzanul Mubarak Ke Is Mahine May Unki Taraf Se Sadqaat Karen, Khairaat Karen Aur
Unke Liya Duayen Karen!
ALLAH Rabbul Izzat Aage Unke Darjaat Bulandh Farmayen Aur Hame Iss Shari-at Ke Masle
Me Sahi Samjh Ata Farmayen!
“Aameen Summa Aameen”
16 | P a g e
SABAK :- Maa Ka Bahoat Bada Darja Hain! Maa Ki Dua Apne Bacchon Keliye Dilse Nikalti
Hain! Isiliye Ba-Qaul-A-Shayer-
Ek Roz Ek Shaks Ne Hazrat Abu-Ishaaq Se Zikr Kiya Ki Raat Ko Khwab Me Maine Aapki
Daadi Yakoot Wa Jawahiraat Se Murassa (Jadi Hui) Dekhi Hain! Abu-Ishaaq Farmane Lage,
Tune Sach Kaha Raat Maine Apni Maa Ke Kadam Choome The! Yeh Uski Barkat Hain Aur
Fir Ek Hadees Sunayi Ki
17 | P a g e
Aurat Ke Sath Ek Shaitaan Aur Haseen ….
» Amradh Ek Fithna Hain «
Hadees:- Hazrat-A-Abdullah Bin Umar (Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu) Ghar Se Baaher Baithe
The Ki Ek Haseen Ladka (Amradh, Hijdaa) Aata Hua Nazar Aaya! Aap Daudker Ghar Me
Ghus Gaye Aur Darwaza Bandh Kerliya! Kuch Der Baad Pucha Fithna Chala Gaya Ya Nahi?
Logon Ne Kaha Chala Gaya, Tab Aap Baaher Tashrif Laye Aur Farmaya, Nabi Ka Farmaan
Hain, Unki(Amradh, Hijdaa) Taraf Dekhna, Baat Karna Aur Unke Paas Baitna Haraam Hain!
Janab-A-Kazi Imaam Rehmatullah Ta’aala Alaihi Ka Qaul Hain, Maine Baaz Mashayik Se
Suna Hain Ki Aurat Ke Sath Ek Shaitaan Aur Haseen Ladke Ke Sath 18 Shaitaan Hote Hain!
Riwayat Hain Ki Jisne Shehwat (Sex Ke Irade) Ke Sath Bosa Diya Wo 500 Saal Jahannam Me
Jalega Aur Jisne Kisi Aurat Ka Bosa Liya Usne Goya 70 Koonwari Khawateen Ke Sath Zina
Kiya Aur Jisne Kisi Koonwari Aurat Se Zina Kiya Usne Goya 70 Hazaar Shadi-Shuda Auraton
Se Zina Kiya!
(Mukashfatul Kulub, Pg-149)
Ek Badhwi Ne Hazrat Mohammad Bin Ali Bin Hussain Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Se Arz Ki,
Ki Tumne ALLAH Ko Dekha Hain?
Us Ki Ibadat Karte Ho?
Aapne Farmaya, Haan! Dekhker Ibadat Karta Hoon!
Pucha, Wo Kaise?
Aapne Farmaya, Wo Aankhon Ke Noor Se Nahi Dil Ke Idraaq Se Dekha Jata Hain, Use
Hawaas Nahi Pa Sakte, Wo Apni Anginat Nishaniyon Se Pehchana Jata Hain, Be-Andaza
Ausaaf Se Mausoof Hain! Wo Kisi Per Zulm Nahi Karta, Wo Aasmaan Wa Zameen Ka
Maalik Hain Aur Uske Siwa Koi Maa-Budh Nahi Hain!
Badhwi Be-Saakhta Keh Utha ALLAH Jaanta Hain Ki Use Kis Gharane May Apna Rasool
Bhejna Hain!
(Mukashfatul Kulub, Pg-163)
18 | P a g e
Haazir Wa Naazir ……
» Haazir Wa Naazir «
Hazrat Imaam Tirmizi Wa Saahib-A-Mishkaat (Radi-Allahu-Anhum) Ka Aqida :-
Tashrih :-
Huzoor Sayyad-A-Aalam (Sallallahu-Ta’aala-Alaihi-Wasallam) Ka Madina Munavwara Se
Qarbala Sharif Ke Maidaan-A-Jung Me Jana Aur Wahan Ke Halaat Ko Mulahiza Farmana,
Haazir Wa Naazir Ke Maana Hai!
Hazrat Imaam Tirmizi Aur Saahib-A-Mishkaat Allama Khatib Tabrezi (Alaihir-Rehmaan-
Wer-Rizwaan) Ne Apni-Apni Kitaabon Me Iss Hadees Sharif Ko Likhker Apna Yeh Aqida
Saabit Ker Diya Ki Huzoor (Sallallahu-Ta’aala-Alaihi-Wasallam) Haazir-Naazir Hai!
19 | P a g e
Har Wo Aurat Jo Shoher Se Bahoat Mohabbat Karne Wali, Zyada Bacche Janne (Paida
Karne) Waali, Jab Uska Shoher Naraaz Ho Toh Wo Apne Shohar Ke Hath Me Hath Deker
Kahe Ki Uss Waqt Tak Iss Jagah Se Nahi Hilungi Jabtak Ki Aap Mujhse Raazi Nahi Hojayege!
Toh Jitni Bhi Nabi-A-Karim (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Nishaniyan Batayin Ki Jannati
Aurat Wo Hoti Hain Ki Jo Shoher Se Be-Panaah Mohabbat Karne Wali Ho, Aulaad Wali Ho
Aur Agar Kabhi Uska Shoher Kisi Baat Per Naraaz Ho Toh Wo Apne Shoher Ke Hath Me
Apna Hath Deker Kahe Main Tumahri Hoon Aur Yahan Se Nahi Hatungi Jabtak Ki Aap
Mujhse Raazi Nahi Hojayege, Iss Tarah Manalen!
Yeh Manane Ka Amal ALLAH-TA’AALA Ko Itna Pasand Hain Ki ALLAH Ke Mehboob Ne
Jannati Aurat Ki Pehchaan Batayi Aur Aajkal Ki Kayi Biwiyan Aisi Baat Karti Hain Ki Jaan-
Bujker Khawindh(Shohar) Ko Sataati Hain, Uska Dil Dukhati Hain! Un Auraton Ko Jannat Ki
Hawa Bhi Nahi Lagegi!
(Sukoon-A-Khana, Pg-130-31)
20 | P a g e
Ilm-E-Gaib-E-Nabi-E-Paak : Ek Chor ki Pehchan ….
★ Ilm-E-Gaib-E-Nabi-E-Paak (Sallallahu Ta’ala Alayhi Wasallam) Hikayat ★
Hazrat Abu-Hurairah Kehte Hain Ki Mai Dusri Raat Bhi Uske Intejaar Me Raha! Kya Dekhta
Hoon Ki Wo Waakayi Fir Aa Pahuncha Aur Maal Churane Laga! Maine Fir Use Pakad Liya!
Usne Fir Minnat-Khushamad Ki Aur Mujhe Fir Rahem Aagaya Aur Maine Fir Chhod Diya,
Subah Jab Huzoor Ki Bargah Me Haazir Hua To Huzoor Ne Fir Farmaya,
Abu Hurairah! Wo Raat Wale Qaidi Ne Kya Kiya? Maine Fir Arz Kiya, Ki Ya Rasool Allah!
Wo Apni Haajat Bayaan Karne Laga Toh Mujhe Rahem Aagaya Aur Maine Fir Use Chhod
Diya!
Huzoor Ne Farmaya, Usne Tumse Jhoot Kaha, Khabardar! Aaj Wo Fir Aayega!
Hazrat Abu-Hurairah Kehte Hain Ki Tisri Raat Wo Fir Aaya! Maine Use Pakadkar Kaha Ki
Kambakhat Aaj Na Chhodunga Aur Huzoor Ke Paas Zarur Le Kar Jaaunga! Wo Bola, Hazrat
Abu-Hurairah! Main Tumhe Kuchh Aise Kalimaat Sikhana Chahta Hoon Jinko Padhne Se
Tum Nafa Me Rahoge! Suno!
Jab Sone Lago Toh Aayatul-Kursi Padhkar Soya Karo! Isse Allah Tumhari Hifazat Farmayega
Aur Shaitaan Tumhare Nazdiq Nahi Aa Sakega! Hazrat Abu-Hurairah Kehte Hain Wo Mujhe
Yeh Kalimaat Sikhakar Mujhse Rihayi Pa Gaya! Maine Jab Subah Huzoor Ki Bargah Me Yeh
Saara Kissa Bayaan Kiya Toh Huzoor Ne Farmaya, Usne Yeh Baat Sachchi Kahi Hai! Halaaki
Khud Wo Bada Jhoota Hai! Kya Tum Jaante Ho, Aye Abu-Huraira, Ki Wo 3 Raat Aane Wala
Kaun Tha? Maine Arz Kiya, Nahi Ya Rasool Allah! Main Nahi Jaanta! Toh Huzoor Ne
Farmaya, Wo Shaitaan Tha!
(Mishkaat Sharif Page-177)
21 | P a g e
Sabaq:- Hamare Huzoor (Sallallahu-Ta’ala-Alaihi-Wasallam) Guzre Hue Aur Hone Wale Sab
Waqiyaat Ko Jaante Hain! Hazrat Abu-Hurairah (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Ke Paas Raat Ko
Chor Aaya To Huzoor Ne Khud Hi Farmaya Ki Abu-Huraira Ki Raat Ke Qaidi Ne Kya Kiya? Fir
Yeh Bhi Farmaya Ki Aaj Fir Aayega! Chunanche, Wahi Kuchh Hua Jo Huzoor Ne Farmaya!
Malum Hua Ki Huzoor (Sallallahu-Ta’ala-Alaihi-Wasallam) Aalim-E-Ma-Ka-Na-Wa-Ma-
Yakun Hain!
********************************
SABAK
Khuda Ki Ek Shaan Yeh Bhi Hain! “Yukrijul-Haiyyi-Minal-Maiyyat” Murde Se Zinda Ko Paida
Kerdeta Hain! Namroodh Jaise Kaafir Se ALLAH Ne Aisi Momina Ladki Paida Ki Jo
Paighambaron Ki Maa Bani!
Malum Hua Ki Jiski Zubaan Per Kalima-A-Tauhidh Jaari Ho Aur Dil May Irfaan-Baari Ho Wo
Aag Se Bari Hain! Deen Se Pyar Ki Ba-Daulat Namroodh Ki Beti Per Bhi Aag Gulzaar Hogayi!
22 | P a g e
Baap Ko Chhoda Magar Deen Se Mooh Na Moda! Yeh Hain Paak-Baaz Momina Aurat Ka
Kirdaar! Aur Namroodh Ki Ladki Ki Khush-Kismati Dekhiye Ki Kaafir Ki Beti Hoker
Paighamberon Ki Maa Bangayi Aur Aaj Musalman Ki Betiyaan Hoker Hippiyon Aur
Tiddiyon Ki Maayen Bangayi!
Aye Meri Maa-Behno! Namroodh Ki Beti Ki Tarah Zubaano Per Kalma Jaari Rakkho Aur Dil
May Irfaan-A-Baari Paida Karo! Musalman Zaadiyaan Bano Aur Mujahidh Wa Gaazi Jano!
» Hazrat Imam Fakharudin Razi Radiallhahu Tala Anhu Farmate He Ke Jab Huzure Akdas
Sallallahu Alayehi Waslam Hazrat Ali-ye-Murtuza Sere Khuda Ko Apne Bistar Mubaarak
Par Sulakar Tasrif Le Gae Toh Allha Tala Ne Hazrat Jibril Alayehis Salam Va Hazrat Mikail
Alayehis Salam Se Farmaya Ke:
“Jao aur Ali-ye-Murtuza Ki Hifazat Karo Jo Mere Mehebub Par Jaan Fida Karne Ke Liye
Tayyar He.
Toh Hazrat Jibrail Alayehis Salam Hazrat Aliye Murtuza Ke Sar Ki Taraf Khade Ho Gaye aur
Hazrat Mikail Alayehis Salam Paav Ki Jaanib Khade Ho Gaye aur Hazrat Jibrail Alayehis
Salam Pukar Uthe Vah Vah Aye Ali Bin Abi Talib!
Aaj Is Waqat Koun Tum Jesa Khus Nasib He Allha Tala Malaika Ke Saamne Tumhari Iss
Jaanisari aur Bahaduri Par Fakhar Farma Raha he…. Khedo Subhanallha.
» Allha Tala Har Momin Iman Walo Ko Hazart Ali Sere Khuda Se Mohebbat Karne Ki Tofike
Rafik Ata Farmaye… Ameen
“Wo Moka-E- Hizrat Ho Ya Juge Ohud Ho.
Har Haal Me Sarkar Par Kurbaan Ali He.”
23 | P a g e
AASMAAN KA RONA ………..
•» AASMAAN KA RONA «• HIQAYAT
Madina Munavwara May Ek Bar Sukha Padgaya! Baarish Hoti Hi Na Thi! Log Ummul-
Momineen Hazrat Aayesha Siddiqa Radi-Allahu-Ta’aala-Anha Ki Khidmat May Faryaad
Leker Haazir Hue! Hazrat Ummul-Momineen Radi-Allahu-Ta’aala-Anha Ne Farmaya,
Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ki Qabr-A-Anwar Per Se Chath May Ek
Suraakh Kerdo, Taaki Aasmaan Aur Qabr-A-Anwar May Koi Hijaab Na Rahe!
Chunanche, Logon Ne Aisa Hi Kiya To Is Qadr Baarish Hui Ki Khetiyaan Hari-Bhari Hogayi
Aur Jaanwar Mote Hogaye(Tandurust Hogaye)!
»» SABAK:-
Hamare Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ka Faiz Pak Visaal Sharif Ke
Baad Bhi Ba-Dastur Jari Hain! Huzoor Ki Qabr-A-Anwar Ki Ziyarat Se Har Aankh Aasuoan
Ke Phool Barsane Lagti Hain! Yeh Bhi Malum Hua Ki ALLAH Se Kuch Pane Ke liye Huzoor Ka
Waseela Zaruri Hain!
24 | P a g e
Hum Marne Se Kyon Darte Hain? ….
Hum Marne Se Kyon Darte Hain?
Hiqayat :- Sulemaan Ibne Abdul Malik Ek Martaba Hazrat Abu-Haazim (Alaihir-Rehmaan)
Se Pucha Ki Hum Marne Se Kyon Darte Hain?
Aapne Jawab Diya Ki, Wo Isliye Ki Tumne Duniya Aabaad Ker li Aur Aakhirat Barbaad Ker
Daali! Aabaadi Se Nikalker Viraane Ko Jane Ko Kiska Dil Chahta Hain?
Sulemaan Ne Fir Pucha Ki Qayamat Ke Din Khuda Ke Saamne Pesh Hone Ki Kya Surat Hogi?
Aapne Jawab Diya Ki Nek Aadmi Toh Yun Pesh Hoga Jaise Koi Goomshuda Aadmi Ghar
Laute! Ghar Walon Se Khushi-Khushi Mile! Bure Aadmi Ki Misaal Yun Hogi Jaise Koi
Bhaaga Hua Gulam Pakda Jaye Aur Use Uske Aaka Ke Huzoor Haazir Kiya Jaye! Wo Larajta,
Darta, Aur Kaampta Hua Pesh Ho!
(Rauzul Fayik, Pg-13)
SABAK :- Hame Apni Aakhirat Ki Taiyari Kuch Iss Tarah Karna Chahiye Ki Marne Se Dar Na
Lage! Duniya Se Haste Hue Jaye! Qayamat May Bhaage Gulam ki Tarah Pesh Na Hoker Aise
Pesh Ho Jaise Goomshuda Apne Ghar Pahucha Ho!
La-Ilaha-Illallah-Mohammadur-Rasoolullah
Ek Martaba Huzoor (SALLALLAHU-TA’A ALA-ALAIHI-WASA LLAM) Ne Siddiq-A-Akbar (Radi-
Allahu-Ta’ aala-Anhu) Ko Apni Anghuthi Mubarak Di Aur Farmaya Ki Is Per “La-Ilaha-Illall
ah” Likhwa Lao…
Siddiq-A-Akbar Gaye Aur Anghuthi Per “La-Ilaha-Illall ah” Likhwa Laye, Jab Anghuthi
Huzoor Ki Khidmat May Pesh Ki Toh Usper Likha Tha “La-Ilaha-Illall ah-Mohammadur-R
asoolullah” Aur Uske Sath Hi Siddiq-A-Akbar Ka Apna Naam Bhi Likha Tha!
Magar Mera Naam? Yeh Toh Yahan Tak Aate-Aate Hi Likha Gaya Hain. Warna Maine
Hargiz Nahi Likhwaya, Itne May Jibrayil Amin Haazir Hue Aur Arz Kiya, Ya Rasoolallah!
Khuda Ne Farmaya Hain Ki Siddiq Iss Kaam Per Raazi Na Hue Ki Aapka Naam Hamare
Naam Se Juda Karen, Siddiq Ne Aapka Naam Hamare Naam Ke Sath Likhwaya! Humne
Siddiq Ka Naam Aapke Naam Ke
Sath Likh Diya…
(Tafsir-A-Kabir Jild-1, Pg-91)
25 | P a g e
Allah Walo Ko Hasad Wa Nafrat Ki Nigah …..
Allah Taala Ne Jab Hazrat Aadam (Alayhi Salam) Ka Putla Mubarak Taiyar Farmaya Toh
Farishte Hazrat Aadam (Alayhi Salam) Ke Iss Putla Mubarak Ki Ziyarat Karte The Magar
Shaitan Hasad Ki Aag Me Jan Vun Gya.
Ek Martba Uss Mardud Ne Bugz W Kine Me Aakar Hazrat Aadam (Alayhi Salam) Ke Putle
Mubarak Par Thuk Dia. Ye Thuk Hazrat Aadam (Alayhi Salam) Ki Naf Mubarak Ke Makam
Par Padi.
Khuda-E-Taala Ne Hazrat Zibrail Alayhi Salam Ko Hukm Dia Ki Iss Jagah Se Utni Mitti Nikal
Kar Us Mitti Ka Kutta Bana Do !
Chunanche Uss Shaitani Thuk se Mili Mitti Ka Kutta Bana Dia Gya !
Ye Kutta Aadmi se Manus Isliye He Ki Mitti Hazrat Aadam Alayhi Salam Ki He aur
Palid(Ganda) Isliye He Ki Thuk Shaitan Ki He ! Rat Ko Jagta Isliye He Ki Hath Ise Hazrat
Zibrail Ke Lage He !
(Ruhul Bayan Jild 1, Safa 68)
Pata Chala Shaitan Ke Thukne se Hazrat Aadam (Alayhi Salam) Ka Kuch Nhi Bigda Balki
Makam-E-Naf Shikam(Pet)Ke Liye Wajhe Jinat Ban Gaya.
Isi Tarha Allah Walo Ki Bargah Me Gustakhi Karne Se Unn Allah Walo Ka Kuch Nahi Bigadta
Balki
Unki Shan aur bhi Chamakti He. Ye bhi Maloom Hua Ki Allah Walo Ko Hasad Wa Nafrat Ki
Nigah se Dekhna ‘Shaitani Kaam Hai’
26 | P a g e
“Ash-Hadu-An-Laa-Ilaaha-Illallah-Wa-Ash-Hadu-Anna-Mohammadan-Abdahu-Wa-
Rasoolahu!”
(Nujjahtul Majalis, Kitaabuz-Zikr Jild-1, Pg-52)
Sabak :- Malum Hua Ki Maa Ka Bahoat Bada Darja Hain! Maa Ke Be-Adab Wa Gustaakh Ka
Anjaam Accha Nahi Hota! Haan, Agar Maa Muaf Kerde Toh Uski Najaat Mumkin Hain!
Yeh Bhi Malum Hua Ki Aadmi Namaz, Roze Ka Pabandh Hojane Ke Ba-Wajudh Maa Ki Be-
Adbi Karne Se Bhi Jala Dene Ke Kaabil Ho Jata Hain! Toh Jo Shaks Quraan Ka Der’s Bhi De,
Namaz Bhi Padhe, Roza Bhi Rakhe, Daadi Bhi Rakhe, Tablig Bhi Kare Lekin Huzoor
Sallallahu-Ta’aala-Alaihi-Wasallam Ka Be-Adab Ho, Wo Kyon Na Jahannam Ki Aag Me
Jalne Ke Kaabil Hoga!
Namaz Roza Huququllah Hain Aur Maa Ka Adab Huququl-Ibaad Me Se Hain!
Yani Huququllah Ada Na Karne Per Khuda Jise Pakdega Huzoor Apne Shafa-At Se Use
Chuda Lege Aur Jisne Huzoor Ki Haq-Talfi Yani Be-Adbi Ki Hogi Use Agar Huzoor Ne Pakad
Liya, Toh Use Khuda Bhi Nahi Chhodega!
Baargaah-e-Risaalat Ke Aadab ….
∗ Baargaah-e-Risaalat Ke Aadab
Ek Sahabi Hai Jinka Naam Hain Hazrat Kais Bin Shahaas (Radiallahu Ta’ala Anho), Jinko
Ooncha Sun Ne Ki Beemari Thi, Jab Bargaah-e-Risalat Me Haazir Hote Toh Baat Karne Me
Aawaz Oonchi Ho Jaati Toh Bhala RAB Tabarak Ta’ala Ko Ye Kab Manzoor Tha Ke Koi Mere
Habeeb Ke Darbar Me Huzoor Ke Saamne Oonchi Aawaz Me Baat Karey ..
Isrhaad Farmaya:
♥ Al-Quraan : “Aye Imaan Waalo ! Nabi (Salallahu Ta’ala Alaihi Wasallam) Ki Aawaz Par
Apni Aawaze Oonchi Na Karo Aur Unn Ke Hazoor Baat Chilla Kar Na Kaho Jaise Aapas Me
Ek-Dusre Ke Sath Chillate Ho Kahi Tumhare Amal Barbad Na Ho Jaaye Aur Tumhe Khabar
Bhi Na Ho”
(Para-26, Surah Huzraat)
Subhan Allah Kaisa Adab Sikhaya Ke Us Bargaah Risalat Me Haazri Dene Walo Ko Jor Se
Bolne Ki Bhi Ijaazat Nahi , Hazrat Kais Bin Shahaas (Radiallahu Ta’ala Anho) Iss Aayat Ke
Naazil Hone Ke Baad Khauf ki Vajah Se Bargaah-E-Risalat Me Haazir Nahi Huye…
Ek Din Sarkar (Salallahu Ta’ala Alaihi Wasallam) Ne Farmaya Ki Kuch Roz Se Kais Nahi
Aate, Logon Ne Hazrat Kais Bin Shahaas (Radiallahu Ta’ala Anho) Ke Ghar Ja Kar Gair
Haazri Ka Sabab Poocha Toh Farmane Lage. Me Jahannami Ho Gaya Kyun Ki Meri Aawaz
Oonchi Hain Aur Aayat-e-Kareema Ne Irshad Farmaya hain.
Ye Baat Bargaah-e-Risaalat Me Arz Ki Gayi To Huzoor (Salallahu Ta’ala Alaihi Wasallam) Ne
Farmaya Ke
“WO JANNATI HAIN” Yaani Ab Tak Jo Ho Gaya Wo Muaf Hain”.
27 | P a g e
Gustakh-E-Rasool Ka Hashr ……
★ Gustakh-E-Rasool Ko Har Shai Pehchanti Aur Nafrat Karti Hai ★
Hazrat Anas Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Farmate Hain Ki Ek Isayi Musalman Hua Usne Sur-A-
Bakr Aur Sur-A-Aale-Imraan Parhli Fir Wo Nabi-A-Karim Sallallahu-Ta’aala-Alaihi-Wasallam
Ki Bargah Me “Wahi” Ki Kitaabat Karne Laga, Iske Baad Wo Isayi Ho Gaya Aur Kehta Tha Ki
Mohammad Wahi Jaante Hain Jo Maine Likh Diya Hain! Fir Allah-Ta’aala Ne Isko Maut De
Di Aur Logon Ne Ise Dafn Ker Diya,
Agle Din Uski Laash Zameen Per Padi Mili, Kehne Lage Yeh Mohammad Aur Unke Sathiyon
Ne Kiya Hoga Kyonki Yeh Unke Paas Se Bhaagker Aagaya Tha, Isliye Inn Logon Ne Hamare
Aadmi Ki Qabr Khodh Daali!
Dusre Din Inn Logon Ne Iske Liye Aur Gehri Qabr Khodhi Lekin Wo Agle Din Zameen Per
Pada Mila, Kehne Lage Yeh Mohammad Aur Inke Sathiyon Ka Kaam Hain Kyonki Yeh Inke
Paas Se Bhaag Aaya Tha!
Tisre Din Inn Logon Ne Iske Liye Jitni Unke Bas Ki Baat Thi, Utni Gehri Qabr Khodhi! Subah
Hui To Fir Dekha Laash Baaher Padi Hain! Ab Wo Log Samajhe Ki Yeh Insaano Ka Kaam
Nahi Hain (Yani Yeh Sab Kuch Gaib Se Ho Raha Hain) Toh Ise Wahin Pade Rehne Diya!
(Bukhari Jild-1, Baab Almaatin-Nubuwat Pg-511)
Tashrih: Is Hadees Ka Khulasa Yeh Hain Ki Gustakh-E-Rasool Ko Har Shai Pehchanti Aur
Isse Nafrat Karti Hain, Zameen Ne Bhi Iss Be-Adab Ko Kubool Na Kiya Aur Bar-Bar Dafnane
Ke Ba-Wajudh Wo Isse Baaher Nikaalker Fhenk Deti Thi!
Allah Ke Inaam ……
★ Allah Ke Inaam ★
Hiqayat :- Ek Aarif Ne Ek Magroor Shaks Ko Ghode Per Sawaar Dekhker Taajjub Se Pucha,
Bhai! Itna Kyon Akadte Ho? Usne Kaha Ki Main Baadshah Ka Khaas Aadmi Hoon! Wo Sota
Hain To Pehra Deta Hoon, Use Bhook Lagti Hain To Khana Main Khilata Hoon, Pyaas Lagti
Hain To Pani Pilata Hoon Aur Mujhe Din May 3 Bar Pyaar Se Dekhta Hain! Aarif Ne Pucha
Ki Aur Agar Tum Se Kisi Baat Per Khatah (Naraaz, Galti) Hojaye To Kya Hota Hain? Wo
Bola, Kode Lagte Hain Aur Maara Jata Hoon!
Aarif Ne Farmaya, Agar Yeh Baat Hain To Mujhe Tumse Zyada Naaz Wa Fakr Hona
Chahiye, Kyonki Main Jis Baadshah Ka Gulam Hoon Wo Mujhe Khud Khilata-Pilata Hain,
Sojaoun To Meri Hifazat Karta Hain Aur Tanhayi May Monis (Humdam) Banjata Hain!
Mujhse Koi Gaflat Ya Khatah Hojaye To Muaf Bhi Kerdeta Hain Aur Har Roz Din May 360
Martaba Nazr-A-Rehmat Se Mujhe Dekhta Hain!
Wo Baadshah Ka Gulam Is Baat Se Muttassir Hua Aur Ghode Se Uter Pada! Kaha Ki Mujhe
Bhi Us Baadshah Ka Gulam Bana Dijiye!
(Nujjahtul Majalis, Jild-1, Pg-440)
Sabak :- Jo Inaam Wa Ikraam ALLAH Ne Apni Makhluk Per Kiye Hain Aise Inaam Wa Ikraam
Koi Bade Se Bada Baadshah Bhi Nahi Ker Sakta!
28 | P a g e
Taaoun Ke Marizon Ko Shifa Dena …..
» Karamaat-A-Gaus-A-Aazam (Rehmtullah Alaihi) « Taaoun Ke Marizon Ko Shifa Dena:
Ek Martaba Baghdaad Me Taaoun Iss Kasrat Se Hui Ki Rozana Hazaaron Log Marne Lage!
Logon Ne Aapse Iss Baat Ki Shikayat Ki, Aapne Farmaya, Hamare Madarse Ki Ghaas
Kootker Marizon Ko Khilayi Jaye, Allah-Ta’ala Uski Barkat Se Shifa Dega Aur Taaoun Ki
Bimaari Jati Rahegi! Logon Ne Aapke Hukm Ki Taamil Ki, Mariz Shifa Paane Lage! Marizon
Ki Zyada Tadaad Ki Wajahse Aapne Farmaya, Jo Hamare Madarse Ka Ek Katra Paani Pi
Lega Use Bhi Shifa Hogi! Logon Ne Aapke Madarse Ka Pani Piker Shifa-A-Kaamila Haasil Ki
Aur Taaoun Ka Marz Jata Raha Aur Aapke Zamane Me Yeh Bimaari Dobara Nahi Aayi!
(Tafrikhul Khaatir, Pg-78)
Tashrih :- Aapke Madarse Ki Ghaas Aur Paani Me Bhi Allah-Ta’ala Ne Shifa Rakhi Hain!
Aapne Ek Makaam Per Farmaya Ki Jo Shaks Mere Madarse Se Hoker Guzar Jaye Usper
Dozak Ki Aag Haraam Hain! Aapke Madarse Ki Be-Shumaar Barkatain Hain! Yeh Aisa Hi
Hain Jaise Ki Sayyad-A-Aalam (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ne Farmaya, Ki Meri Qabr Aur
Mimber Ke Darmiyaan Jo Jagah Hain Wo Riyaaz-A-Jannat Hain! Yani Jannat Ki Kiyaari!
Isliye Log Wahan Nafl Padhte Hain Taaki Bakshish Ka Sabab Bane! Jo Riyaazul Jannat May
Pahuch Gaya Wo Goya Jannat May Pahuch Gaya Aur Yeh Ki Sayyad-A-Aalam (Sallallahu
Alaihay Wasallam) Jis Pani May Luaab-A-Dahan (Thoonk) Daalte The Wo Bimaaron Keliye
Shifa Ka Sabab Hota Tha!
Sabak :- Allah Walon Ke Paas Ba-Jaahir Duniya Nazar Aaye To Kisi Kism Ki Badh-Gumani
Nahi Karna Chahiye! In Allah Walon Ka Dil Duniya Ki Mohabbat Se Bilkul Khali Hoti Hain!
KAFAN CHOR……
» KAFAN CHOR «
”””””””””””””””””
HIQAYAT
Hazrat Haatim Asam Rehmatullah Ta’aala Alai Ek Bar Balkh Shaher May Vaaz Farma Rahe
The! Aapne Vaaz Ke Darmiyan Farmaya Ki, ILAHI! Jo Is Majlis May Sabse Zyada Gunahgar
Hain Usper Apna Raham Farma Aur Us Shaks Ko Baksh De!
29 | P a g e
Ek Kafan Chor Bhi Is Majlis May Maujudh Tha! Jab Raat Hui To Kafan Chor Qabristan May
Gaya Aur Ek Qabr Ko Khodha! Usne Hatif Se Ek Awaaz Suni, Ki Aye Kafan Chor, Tu To Aaj
Din Ko Haatim Asam Ki Majlis Vaaz May Baksh Diya Gaya Hain! Fir Aaj Hi Raat Ko Dobara
Yeh Gunah Kyon Karne Laga?
Kafan Chor Ne Yeh Awaaz Suni To Rone Laga Aur Sacche Dil Se Taayib Hogaya!
(Tazkiratul Auliya, Pg-297)
*********************************
SABAK
””””””’
ALLAH Walon Ki Majlis May Haaziri Se Insaan Khuda Ki Magfirat Wa Bakshish Pa Leta Hain
Aur Gunahon Se Paak Hojata Hain!
*********************************
Sabak
» Kisiki Geebat Karne Se Sarasar Apna Hi Nuqsaan Hota Hain! Jiski Geebat Ki Jaye Wo
Faide May Rehta Hain! Uski Nekiyan Usko Mil jati Hain! Lihaza Geebat Se Bachna Chahiye!
» Yeh Bhi Malum Hua Ki Nek Bande Burayi Ka Badla Burayi Se Nahi Dete Balki Burayi Ke
Badle Bhi Neki Hi Karte Hain!
30 | P a g e
“Maine Aabaadi Ka Pata Pucha Hain Aur Tum Qabristan Ka Pata Bata
Rahe Ho, Yeh Kya Baat Hain?” Wo Bola, Isliye Ki Maine Dusre Tamaam Makamaat Ke
Logon Ko Yahan Aate Dekha Hain Aur Yahan Se Kisiko Jate Nahi Dekha!
Aabaadi Kehte Hain Us Makaam Ko Jahan Dur-Dur Se Log Aayen Aur Wahan Se Fir Viraane
Ko Na Jayen! Meri Nazar May To Sahi Mayine May Aabaadi Yahi Hain!
(Rauzul-Fayik, Pg-17)
*********************************
SABAK
””””””’
Har Ek Ko Ek Din Marna Hain Apne Shaandar Makaan, Mohalle Aur Shaher Ko Chhodker
Qabristan Jana Hain! Jise Hum Aabaadi Kehte Hain! Use Ek Din Barbaadi Ka Saamna Hoga
Asal Aabaadi To Qabristan Hi Hain, Jahan Aahista-Aahista Sab Log Jama Ho Rahe Hain!
*********************************
Har Shaheed Zinda Hain ……
31 | P a g e