Module 4 - Assignment
Module 4 - Assignment
VILLAGE - MORNING
Arjun gets off a bus on the highway from where we can see a
small village nearby. But instead of going towards the
village, he starts walking to the lake which is nearby.
At the lake, we see Renu standing near a fallen tree trunk
near the shores. She is looking at the water. We see Arjun
slowly walking towards her from behind. Arjun starts feeling
really weak, his steps become shorter, his eyes fill with
tears. As Arjun steps on a dry leaf, Renu turns around and
finds him. Renu’s eyes also fill with tears and she runs
towards Arjun and hugs him.
After a while, Renu takes a good look at Arjun.
RENU
Patle ho gae ho.
ARJUN
Main mota kab tha?
Both smile.
ARJUN (CONT'D)
Chinta mat kar tu ab, main iss baar
tere baap se tera maangkar hi
rahunga.
RENU
Nhi... nhi Arjun...
(her eyes fill with tears)
Wo kabhi mujhe tere saath dekh
paenge, chaahe tu IIT engineer
bane, ya desh ka PM.
ARJUN
Kyun nahi,
(Renu goes and sits on the
tree trunk)
Tere liye jitne bhi rishte aa rahe
hain unse 4 guna salary meri hogi,
sirf meri jaat unse chhoti isiliye
wo meri shaadi tumse nahi hone
denge.
RENU
Tum nahi samajh rahe ho Arjun.
2.
ARJUN
Kya nahin samajh raha hoon, yahi ki
tumhare papa apni chhotti soch ke
vishal bojh ko tum par laad rahe
hain, aur tum unhe kuchh nahi keh
rahi, ek baar baat tak nahi ki
tumne... agar tum mein baat karne
ki himmat nahi hai, tu bhaag chalte
hain-
RENU
Taaki wo tumhare gharwaalon ko bhi
maar daalein.
ARJUN
To sheher chal chalenge, ham sab,
wahan to nahi aaege na tumhare
papa.
RENU
Tum apne maa baap ko pichhe nahi
chhod sakte, magar main apne papa
ko dhokha de kar bhaag jaaun, taaki
wo yahan akele pure gaon ki, door-
door tak ke rishtedaaron ki baatein
sunte rahein, jab tak ki mar naa
jae.
Arjun stays quiet for sometime.
RENU (CONT'D)
Tum jao apne ghar.
Arjun walks into the village and we start to see few people
near their houses. Some look at Arjun, while some ignores
his, but everyone refrains from talking with him. This is
when Sujeet runs up to him.
SUJEET
Arre Arjun bhaiya, aa gaye aap...
chachi bol rahi thi mummy ko ki
kuchh dinon mein aaenge aap.
ARJUN
Ye chot kaise lagi tujhe?
SUJEET
Ye? ye to Kunal nahi hai.
3.
ARJUN
Kaun, Renu ka bhai?
SUJEET
Haan, ussi ne maara tha parso, uski
cycle par galti se gir gaya tha,
isiliye. Aap ye bataiye, ki aap
mere liye kya lae hain?
ARJUN
Ghar to pahunchne de, phir deta
hoon.
Arjun looks around.
ARJUN
Surprise bolte hain maa isko.
ILA
(coming out of the
kitchen)
Waah, ek baar bata to deta, ab phir
se aata guthna padega.
4.
ARJUN
Haan to jaldi bana, bohot bhookh
lagi hai.
MAA
Bana hua hi hai. Tu muh-haath dho,
main khana laga deti hoon.
ARJUN
Thik hai maa.
CUT TO:
ARJUN
Maang kya rahe, bike aur kya?
MAA
Bike bhi aisa-waisa nahi, bullet.
Aur upar se 5 lakh rupaiya.
ARJUN
Karta kya hai?
MAA
Hawaldaar hai. Ab yahi samajh nahi
aata ki Ila ki shaadi karein, yaa
Pankaj (18) ki college mein
admission.
(MORE)
5.
MAA (CONT'D)
Tumhare jaisa to padhne mein hai
nahi, ki chhatravriti nikaal le.
Phir Thakur sahab se maangne ke
alawa koi aur upaay soojhta nahi
hai tumhare Papa ko.
ARJUN
Bas meri kahin naukari lag jae Maa,
company to bahut badi-badi aayi,
aur bohoton ko mera program bhi
pasand aaya. Unme se ek bhi agar
lele na, to sab ho jaega. Ila aur
Rupam ki shaadi bhi ho jaegi, aur
Pankaj aur Sunil (16) padh bhi
lenge.
ILA
Lag jaega, chinta mat kar.
(comes into the hall)
At the same time Rupam comes into the hall.
RUPAM
Bhaiya?
ARJUN
Arre waah, uth gayi newli, jaa ab
saanp maarne nikal ja.
RUPAM
Maa
(cryingly)
Rupam runs towards Arjun to slap him, but holds hands and
pins her down and slaps her instead. They all start to laugh
as wee see a happy family from outside the gate.
CUT TO BLACK.
PAPA
Arre to raat mein aaega wo, to kya
raat mein jaenge, kaisi baat karti
ho.
ILA
(from inside)
Aa hi raha hoga papa, bas thoda der
ruk jaiye.
PAPA
Thoda-thoda... lo aa gae
We see Arjun running towards
PAPA (CONT'D)
Ee daud kahe raha hai.
ARJUN
Papa... papa... naukri lag gayi
papa. Wo bhi Google mein.
Papa has big smile on his face. Maa and Ila also comes
outside and hugs Arjun.
ILA
(excited)
Bola tha na maine
PAPA
Kitna denge?
ARJUN
Shuru mein 7 lakh bola hai papa,
phir dheere-dheere badhega.
PAPA
7 lakh... badhiya hai, rajeev ka
ladka ka bhi 12 lakh ka laga tha.
Ek saal mein 7 lakh badhiye hai-
ARJUN
Saal nahi, mahina papa... ek mahine
mein 7 lakh.
PAPA
Aayen?
MAA
Ek mahina mein? Ee kaisa naukri
hai, ham to sunbe nahi kiye hain
kabhi, ek mahina mein 7 lakh deta
hai.
7.
ARJUN
Duniya ka sabse bada software
company hai maa, usme hua hai.
Google.
All rejoice in happiness, and start to celebrate Arjun’s
victory. This is when Arjun notices Renu passing his house
while riding a scooty, and his smile slowly disspates.