Bank OD Account in Tally 1
Bank OD Account in Tally 1
Bank OD Account in Tally 1
com/c/happylearny
1. Bank OD Account
2. Bank OCC Account
in Dono ka matlab ek hi hota hai in dono me se koi bhi Group le Sakte hai
Bank Saving Account ya Current Account me jo Paisa Jama hota hai wo hamara hota hai aur
uska Group Bank Account hota hai.
ye dono Account Loan ki Tarah hi hote hai lekin Loan Account me aur OD Account me bahut
Fark hai.
to sabse pehle Bank OD Account ka concept Clear karte hai ki bank OD Account hota kya hai.
ab Jab tak ye 1 Lakh rupye usi Bank OD Account me Pade hai tab tak hamare ek rupya bhi byaz
nahi lagta aur bank hamse ek rupya bhi nahi mangta.
ab usi Account me se maan lijiye hamne business use ke liye 30000 Rupye Nikal Liye to Ab
Bank Hamse 30000 Rs. mangega aur jab tak ham wo 30000 rs. Bank me Wapas Nahi jama
karwate tab tak kewal 30000 Rs. par hi Byaz Lagega na ki 1 lakh par aur ye 30000 Rs. Jab aap
wapas jama karwa denge tab se aapka 30000 rs par bhi byaz lagna band ho jayega.
isi kehte hai Bank OD Account Jisme Bank Dwara jitne Bhi Rupye ki Limit di Jati hai Utne
Rupye ham Use kar Sakte hai aur Un rupye me se jitne bhi paise use karte hai kewal utne hi
rupye par byaz lagta hai aur jaise hi wo rupye wapas jama karwa denge to byaz bhi lagna band
ho jayega.
Bahut se log Aise Ledger ko Loan Account ke Group me Daal dete hai jabki ye galat hai Bank
OD Account me Aur Bank Loan Account me Bahut Fark Hota hai jo Kuch is Tarah hai
www.tallyclass.com Bank OD Account www.youtube.com/c/happylearny
Bank Saving aur Current Account Alag hota hai Jiska Group hai Bank Account
aur Agar Aapke Bank me Limit hai to Uska Group Alag Hota hai Jo Bank OD Account ya Bank
OCC Account dono me se koi Bhi Le Sakte hai.
Aur Bank me Loan Account ka Group bhi Alag Hota hai jo ham Aage Sikhenge
Maan lijiye kisi ki HDFC Bank me CC limit hai to Ledger Banana Chahiye "HDFC
Bank OD Account”
Credit Card liya huwa hai to Ledger Banana Chahiye "HDFC Bank Credit Card
Account"
www.tallyclass.com Bank OD Account www.youtube.com/c/happylearny
to Dosto ye 2 hi tarah ke Account hai Jinka Ledger Bank OD Account ke Group me Banta hai ab
baki ke jo bank Loan account hai unka Kaunsa Group hai to wo ham aage Sikhenge.
Agar Kisi ne Bank se CC limit Le Rakhi hai aur wo us limit ko Use Kar Raha hai to Wo Paise
Bank ko Wapas Lautane hai to Simply Bank OD Account ka Nature ho Gaya Liability ka.
Kyunki Ye Ham Par Liability hai ke Jo paise Hamne Limit se Use kiye hai wo hame Bank ko
Wapas Lautane hai.