0% found this document useful (0 votes)
376 views21 pages

PDF Aur

PDF aur EPUB By Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri Abde Mustafa Publications PDF Aur EPUB mein farq ke bayaan par mushtamil, Islami literature ke farogh ke liye digital format EPUB ki ahmiyat
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
0% found this document useful (0 votes)
376 views21 pages

PDF Aur

PDF aur EPUB By Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri Abde Mustafa Publications PDF Aur EPUB mein farq ke bayaan par mushtamil, Islami literature ke farogh ke liye digital format EPUB ki ahmiyat
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 21

PDFAUR

EPUB
ABDE MUSTAFA

Abde Mustafa Publications


PDF aur EPUB?
Writer: Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri

Roman Urdu Transliteration


By Team Abde Mustafa Official

Publisher: Sabiya Virtual Publication


Running Under Abde Mustafa Publications
Powered by Abde Mustafa Official

Copyright © 2023 by in association with: Technical Sunni


Abde Mustafa Publications Powered by Abde Mustafa Official

All rights reserved. Publication Date: July 2023 Total Pages: 21


No part of this publication Genre: Aqaide Ahle Sunnat
may be reproduced, Launguage: Roman Urdu
distributed, or transmitted Book No.: SVPBN411
in any form or by any
means, including Cover Design & Formatting : Pure Sunni Graphics
photocopying, recording,
or other electronic or
mechanical methods,
without the prior written
permission of the publisher,
except in the case of brief
quotations embodied in
critical reviews and certain
other noncommercial uses
permitted by copyright law.

in association with:

graphics
A B D E M U S T A F A O F F I C I A L
All Praise to Allah, the Lord Of e Creation,
and countless blessings and peace upon
our Master Muhammad, the leader of the Prophets.
EPUB aur PDF 1

Contents
About Us ........................................................................... 2
PDF Ya EPUB? ................................................................. 4
Kya dusre formats Portable nahin hain? ............................. 4
EPUB kya hai? ................................................................... 5
PDF aur EPUB mein pehla farq: Fix layout ....................... 6
Dusra farq: copy paste limit ............................................... 7
Teesra farq: Search ............................................................. 8
Chautha Farq: Editing ....................................................... 9
Panchwa Farq: Colors ...................................................... 10
EPUB ke liye kaunsa app use karein? ............................... 10
Chhata Farq: File size ...................................................... 11
Saatwa Farq: Conversion ................................................. 13
Aathwa Farq: Digital Publishing ...................................... 13
Nawaa'n Farq: E Book Readers........................................ 14
EPUB yaani App ............................................................. 15
Aakhiri baatein ................................................................ 16
EPUB aur PDF 2

About AMO
AMO yaani Abde Mustafa Official ek team hai jiska
aaghaz sana 1435 hijri (2014 eiswi) mein hua, Is ka talluq
Ahle Sunnat Wa Jama'at se hai, Ye team aalami satah par
electronic media aur print media ke zariye Islami taleemaat
ke farogh ke liye kaam kar rahi hai

Humare departments aur activities:

• Blogging
Hum mukhtalif zubano aur mauzuaat (topics) par
tehreerein aam karte hain jo ke ilmi, tehqeeqi aur islahi hoti
hain, ye tehreerein humare blog par dekhi ja sakti hain
visit: amo.news/blog

• Abde Mustafa Publications


Ye humara markazi shoba (department) hai jahan
mukhtalif zubano aur mauzuaat par kitabein publish ki jaati
hain, Humari shaya ki gai kitabo ko padhne ke liye humari
website par jaayein
visit: amo.news/books

• Sabiya Virtual Publication


Ye platform virtual publishing ke liye hai yaani kitabo ko
digital formats mein internet par publish kiya jaata hai, iske
zariye digital library mein musalsal kitabein shamil ki ja rahi
hain
EPUB aur PDF 3

• Roman Books
Ye department kitabo ko Roman Urdu script mein
dhaalne ke liye hai, Roman Urdu ke badhte hue istemal ko
madde nazar rakhte hue ye kaam shuru kiya gaya hai
visit: romanbooks.in

• E Nikah Service
Ye ek matrimonial service hai jo khaas ahle sunnat ke liye
shuru ki gai hai, Is service ke zariye Sunni rishte talash kiye
ja sakte hain
visit: www.enikah.in

• Nikah Again Service


Ek se zaaid nikah (Polygamy) ki tarweej ke liye Nikah
Again Service shuru ki gai hai

• Technical Sunni
Technology se judi malumaat ko aam karne ke liye
humne is muhim ka aaghaz kiya hai, Is mein hum
Technology se judi malumaat ko munfarid andaz mein pesh
karte hain taaki qaum usse faida utha sake

Mazeed malumaat haasil karne ya kisi tarah ki koi shikayat


darj karne ke liye humse rabta karein

Abde Mustafa Official


EPUB aur PDF 4

PDF Ya EPUB?
PDF ek bahut mash'hoor file format hai, meri is tehreer
ko padhne waala shayad hi koi shakhs aisa hoga jisne ye naam
na suna ho, PDF files ka istemal kasrat se hota hai, Aaj se 12-
15 saal pehle ki baat alag thi lekin ab har shakhs ke paas
smartphone hai jin mein PDF files support karti hain to
taqreeban log ab isse waqifiyat rakhte hain

PDF ke istemal ka daaira bahut bada hai, Ye hargiz na


sochein ke faqat deeni kitabo ke liye iska istemal hota hai ya
sirf kitabo tak hi iska daira mahdood hai
Ye aisa format hai ke jiska istemal har tarah ke document
ke liye kiya jaata hai ab chahe wo certificate ho, receipt ho,
printing ke liye kisi tarah ki file share karni ho, kisi tarah ka
notice ho ya phir kisi aur qism ka dastawez ho, har jagah iska
istemal bilkul aam hai

PDF ka full form Portable Document Format hai yaani


aisa format jiske zariye documents ko portable yaani idhar
udhar aane jaane waala bana diya jaaye

Kya dusre formats Portable nahin hain?

Aisa nahin hai ke sirf PDF format hi portable hai, dusre


formats bhi portable hain lekin PDF kaam ko aasan banata
hai, dusre formats ke jinse convert kar ke hum PDF banate
hain, un formats ko aage bhejna PDF ki tarah aasan nahin
EPUB aur PDF 5

hai aur dusri mushkil ye hai ke agar hum unhein aage bhej
dete hain to phir use access karne ke liye same software hona
bhi zaroori hai to zaroori tha ke koi common file format ho
jo sabke paas ba aasani availabe ho to iske liye PDF behtareen
format hai

EPUB kya hai?

EPUB yaani electronic publication, iske zariye kitabo ko


virtually publish kiya jaata hai, ye format sabse zyada kitabo
ke liye istemal kiya jaata hai, Jise hum Ebook kehte hain uske
liye EPUB best format hai, Ise hum aasan lafzo mein kahein
to digital kitabein padhne ke liye PDF se behtar EPUB
format hai aur yahi humari is tehreer ka unwaan hai ke "PDF
ya EPUB?"

Ab hum iski tafseel bayaan karenge ke EPUB kyun behtar


hai aur is mein humein wo kaunse features dekhne ko milte
hain jo PDF mein nahin milte, Ummeed hai ke isse log faida
zaroor uthayenge, Jo dunyawi kitabein padhte hain yaani asri
uloom se jinka talluq hai wo bhi EPUB ke istemal se faida
uthayenge aur apne exams, reading experience aur financial
life mein aasani paida kar payenge aur isi tarah deeni kitabo
mein bhi iska riwaaj padega jo ke na ke barabar hai
EPUB aur PDF 6

PDF aur EPUB mein pehla farq: Fix layout

PDF mein layout waghaira fix hota hai yaani agar ek kitab
ke page ka size 6x9 inches hain to wo isi ke saath har jagah
open hoga, Agar fonts ka size 16pt hai to phir har jagah ye
isi size mein khulega, haan ye zaroor hai ke badi screens pe
bada dikhega aur chhoti screens par landscape mode mein ya
phir zoom kar kar ke padhna hoga

EPUB mein aisa nahin hai, is mein reflowable text hota


hai yaani aap page ke size ke saath saath text font bhi tabdeel
kar sakte hain! Agar aap koi kitab PDF mein padh rahe hain
ke jiske fonts bahut chhote hain aur aapki screen kisi mode
par readable nahin hain aur aapko baar baar zoom in zoom
out karna pad raha hai to zaahir si baat hai ke padhne mein
disturb hoga aur waqt bhi zyada lagega lekin aise mein EPUB
ko adjust kiya ja sakta hai, aapki screen ke mutabiq aur aapke
focus ke mutabiq

sirf page size yaani screen ke corners se margins aur fonts


ke size hi nahin balki do lines ke beech ka difference (line
spacing) bhi ghataya ya badhaya ja sakta hai! hai na kamaal?
agar aap koi kitab padh rahe hain jis mein do lines ke
darmiyan ka space kam hai to EPUB format mein aap usko
customize kar sakte hain
EPUB aur PDF 7

Dusra farq: copy paste limit

PDF files mein bhi text copy ho jaata hai lekin is mein
bahut masail hote hain, maslan urdu files yaani urdu kitabo
mein jab aap urdu text ko copy karenge to use kahin aur
paste karne par uski haalat bigad jaati hai, wo apni asli haalat
mein paste na ho kar kuchh aur ban jaata hai, niche hum ek
urdu pdf file se text copy kar ke paste kar rahe hain

”.ì.ÂŒ?E}xÉ·÷5!P!Ù$Œ„!B."m!@!.B!ÈD.B@X!,œ.JÌ!åö
ÂxÌ0è@!LE}Ò$Œ„!B!/E÷j!/$U|„Y!Œ?@´Š.+
:ñŸ@!•œ+_j!+ŒAŒ?ÙA'`!0å.B!"2ƒ@!•Aāz°3ˆ$[.B!L¼R
@õ9(…A_!¦!B(…œU¼BF!"L.B!A3?B!.ËxÉ
/ó3;Æ™Ÿ@!L>Ú"$!‰-
/dB$!!.ÚŒ?@´Š.+•@!.B!È!|K!.B!4Gõ9"‘QFBzŬÙ(…xÉô»,
•@!.B!E}+œ"6´ iá.@‰zŬE}xÉ·÷œ
iáKÕ(…!%Ä”!(…±6*Ž!›Èg¾Ž«"A“E.j.B!L"$óÌg¿!!FBM•2!.
B!ÈÀõ·WŸ@!'{Ô•?‘! Ž;ÐÙÀÇ.Óé›È0ùlÜÀÇ$X<›A“

EPUB file mein aisa nahin hota, Agar aap EPUB file mein
urdu text ko copy karte hain to wo proper paste hota hai, Ek
EPUB file se aap urdu text ke kisi bhi hisse ko copy kar ke
kahin bhi paste kar sakte hain, Ab hum EPUB file se urdu
text copy kar ke yahan paste kar rahe hain:
‫وہ اچےہامسوہی وہں ایریغ امسوہی؛انبس ےن‬،‫داین ںیماپےئ اجےن واےل ےنتجیھب ذمابہ و اداین ںیہ‬
‫اسالہن ایرھپروزرمہےکومعمالتںیمھچکابعداتالزمیکںیہ۔انابعداترپعلطم‬،‫اےنپامےننواولںرپاماہہن‬
‫رکےن ےک ےیل رہ ذمبہ ےن اانپ اکیرطہقی راھک ےہ۔ےسیج دنہووں اک اینپ وباچ اپٹ ےک ےیل یٹنھگ اجبےن اک‬
EPUB aur PDF 8

‫ااختنبرکانوریغہ۔ایسرطحاالسمیکامہرتنیابعدتامنزیکرطفالبےنےکےیل احتجشیپآیئ۔رشوع‬
‫االسم ںیم االعہین ابعدت اک ومعمل ںیہن اھت نکیل ےسیجیہ االسم اتلھپ وھپاتل دمےنی یک اضفوںکت اچنہپ ؛وت اب‬
‫اس امہرفہضی ینعیامنزرپعلطمرکےنےک ےیلثحبڑھچی ہکامنزیکرطف ےسیکالبای اجےئ۔رھپاحصہبرکام ےن‬
‫فلتخمآراشیپںیک۔‬

Ye to urdu ki misaal thi, Iske ilawa aap English ya Hindi


waghaira kisi bhi language mein text ko copy karenge to
aapko aise masail ka saamna karna padega, Maan lete hain
ke english mein text ki haalat nahin bigdegi lekin jab aap do
teen pages ko copy karenge to wo page numbers ke saath
header footer mein maujood tilte waghaira ko bhi copy kar
lega jisko edit karna ek alag mas'ala baaqi rahega

Ab aap khud sochein ke EPUB file ka ye feature kitna


faidemand hai

Teesra farq: Search

do bade bade farq ko batane ke baad ab hum teesre aise


farq ke baare mein batane ja rahe hain ke jo bahut zyada
aham hai, ji haan! wo hai search ka feature

PDF file mein bhi search ka option hota hai lekin wo itna
achha nahin ke jis tarah EPUB mein hai, PDF file mein aap
jab search karenge to kai tarah ke issues dekhne ko milenge,
Urdu file mein to bahut zyada hi milenge aur achhi tarah
search bhi nahin hoga phir jo results aayenge un mein switch
EPUB aur PDF 9

aur jump karna bhi EPUB ki tarah nahin hoga

EPUB file mein aap search karne ke baad dekhenge ke


results bahut jald saamne aa jaate hain aur un tak pahunch
kar unhein badi aasani se copy kiya ja sakta hai

Misaal ke taur par Abde Mustafa Publications ki taraf se


Seerate Mustafa ki roman urdu EPUB file publish ki gai hai,
jab hum is file mein Seerate Mustafa ke kisi pahlu ya kisi
waqiye ko search karna chahein to badi aasani se kar sakte
hain, Agar humein junge khaibar ki tafseel padhni hai ya usse
mutalliq koi baat talash karni hai to search mein sirf
"Khaibar" likh kar hum results ke zariye na sirf tafseel ko
fauran dekh sakte hain balki copy kar ke share bhi kar sakte
hain

Chautha Farq: Editing

PDF file mein editing mushkil hai kyunki wo aslan kisi


aur format mein thi jisse use PDF mein convert kiya gaya
hai, EPUB file mein editing aasan hai kyunki asal text par
aapko access milta hai, bina baahar nikaale hi us mein kaafi
customization ho jaati hain aur agar baahar nikaal lein to
jaise chahein edit kar sakte hain

Kai log humse ye kehte hain ke Abde Mustafa


Publications ki roman urdu kitabo mein sentence case rakha
jaaye (yaani ek sentence mein bas pehla word capital ho baaqi
EPUB aur PDF 10

sab small, jaisa ke is risale mein bhi hai) aur kai logon ko aur
humein bhi har word ka pehla letter capital achha maloom
hota hai aur isi tarah kai log chahte hain ke totally small ho
to wo text ko kisi bhi case changer website ya app se fauran
change kar sakte hain aur use WhatsApp, Telegram ya kahin
bhi paste kar ke padh sakte hain

New formatting bhi is tarah text nikaal kar aasani se ki ja


sakti hai, Agar deeni kitabo ko EPUB mein dhaal diya jaaye
to ye aisa hai ke use humesha ke liye digital kar dena, Aainda
jo jab chahega aasani se access kar lega aur editing kar ke kisi
bhi tarah publish kar sakega

Panchwa Farq: Colors

PDF file mein hota ye hai ke jin colors mein formatting


ki gai hai, hum unhi colors mein document ko dekh sakte
hain aur zyada se zyada dark night mode ya grayscale mode
waghaira istemal kar sakte hain lekin EPUB file mein aap
manpasand colors ke saath document ko customize kar sakte
hain aur highlights waghaira ke bhi aapko kai options
dekhne ko mil jaate hain

EPUB ke liye kaunsa app use karein?

PDF ke liye to Adobe Acrobat Reader bahut mash'hoor


hai lekin hum XODO humari taraf se recommended hai
PDF ke liye bahut saari applications hain maslan Google
EPUB aur PDF 11

ka PDF viewer aur by default bhi mobile phones mein


maujood hoti hain agarche wo kuchh khaas nahin hoti lekin
kaam chalane ke liye kaafi hoti hain

EPUB ke liye agar aap smartphone use karte hain to


"Lithium" ko istemal karein aur agar PC par EPUB files ko
open karna hai to "Calibre" ko use karna behtar rahega

Iske ilawa aur bhi bahut saari applications maujood hain


aur jinke paas waqt aur resources hain to unhein chahiye ke
mazeed applications ko try kar ke dekhein aur sab ke saath
khelein taaki aapko wo new ideas aur cheezein mil sakein jo
humein bhi nahin mili

Waise talented log kabhi bhi aisa nahin karte ke jitna


unhein bataya gaya hai usi par aankh band kar lein aur aisa
band kar lein ke kuchh dekhne ki koshish hi na karein,
Talent ek aisa parinda hai jo qaid se faraar hone ke liye
humesha koshish karta rehta hai aur kisi ek maqaam par
thehar kar khush fahmi mein nahin padta balki wahan tak
ud kar jaata hai jahan tak uski asal udaan hai

Chhata Farq: File size

PDF files ka size kaafi zyada hota hai, Kabhi kabhi kaafi
kam hota hai lekin us waqt ke jab standard formatting ki
jaaye, Abde Mustafa Publications ki kitabein bahut kam size
mein available hain jiski wajah ye hai ke humne standard
EPUB aur PDF 12

style choose kiya hai aur agar ye kiya jaaye ke ek kitab mein
phool patto se bhare page borders aur phir har heading
(unwaan) aur zeli unwaan (sub heading) par bhi aise boxes
saza diye jaayein to file ka size itna zyada ho jaata hai ke aisi
aisi 10-12 kitabo mein 1GB memory full ho sakti hai

EPUB file ka size bahut kam hota hai, Achha khaasa


mawaad 1MB se kam mein aa jaata hai aur agar bahut zyada
mawaad hua to 5MB ke andar kaam ho jaata hai, Haan
EPUB file mein ek option hota hai fonts ko shamil karne ka
jise fonts embedding kehte hain, iska seedha matlab ye hai
ke jo fonts aapne istemal kiye hain unhein bhi aap file ke
saath attach karna chahte hain taaki jo bhi use open kare to
unhi fonts ke saath dekh sake, ab yahan file ka size depend
karta hai ke aapne kitne aur kaun kaun se fonts use kiye hain
aur unke sizes kya hain, agar aapne 10MB waale 4-5 fonts
use kiye hain to phir file ka size kaafi badhne waala hai

Abde Mustafa Official ki website par aapne ghaliban


dekha hoga ke EPUB files do tarah ki available hain, ek LQ
aur ek HQ, LQ yaani low quality aur HQ yaani high quality,
Low quality mein fonts embedded nahin hote jabki HQ
mein fonts embedded hote hain, LQ files system ke hisab se
open hoti hai aur HQ mein aap un fonts ke saath file ko dekh
sakte hain jo creator ne use kiye hote hain
Ab ye ek lambi bahas hai ke EPUB files banai kaise jaati
hain aur fonts embedding ka kya process hai, Ye hum phir
kabhi bayaan karenge
EPUB aur PDF 13

Saatwa Farq: Conversion

Ye editing ke farq se milta julta hai magar usse alag hai,


Poori file ko convert karna kaafi aasani faraham karta hai aur
PDF file ko kisi aur format mein convert karna kaafi
challenging saabit ho sakta hai jabki EPUB file ko dusre kai
formats mein aasani se convert kiya ja sakta hai maslan
HTML, TXT aur DOC

Agar kitabo ko ek baar EPUB file bana diya jaaye to


present aur future se related kai faido ko ek saath haasil kiya
ja sakta hai, Aaj wo kitabein padhi jayengi aur kal kabhi bhi
use publish karna aasan hoga

Aathwa Farq: Digital Publishing

kitabo ke jo bade bade platforms hain jahan par poori


dunya se readers visit karte hain, un ke paas faqat angrezi
kitabo ki bharmaar hai, deeni kitabo ki tadaad agarche hai
lekin Ahle Sunnat Wa Jama'at ki kitabein bilkul na ke
barabar hain, Ek badi wajah yahan EPUB bhi hai kyunki ye
websites ya platforms PDF file nahin lete, Agar aapke paas
faqat PDF file hai to in bade platforms par aap kitabein
submit nahin kar sakte, Yahan EPUB format kaafi kaam aata
hai, ye taqreeban har website par acceptable hota hai

Agar humein Digital Publishing mein aage badhna hai to


EPUB format par kaam karna hi hoga, Iske zariye hum apne
EPUB aur PDF 14

content ko aalami satah par ek bahut bade paimane par aam


kar sakte hain

Nawaa'n Farq: E Book Readers

ye bhi ek bada difference hai kyunki kai E Book Readers


aise hain jin mein PDF supported nahin hain aur ek tadaad
aisi hai jo in readers par angrezi kitabein EPUB format mein
padhti hain lekin PDF files ko us mein open nahin kar paati,
Ab agar hum EPUB format provide na karein to do sooratein
ho sakti hain, Ek to ye ke aisi audience deeni kitabo se
mukammal door rahegi ya phir ghairo ki kitabein mutale
mein layengi, Hum in dono ko rokna chahte hain aur iske
liye humein EPUB files par kaam karna hi hoga
EPUB aur PDF 15

EPUB yaani App


Agar kisi kitab ko EPUB format mein dhaal diya jaaye to
iska ek matlab ye hota hai ke us kitab ka app ban gaya! aaiye
dekhte hain wo kaise:
Aapne app store par aisi apps dekhi hongi ke jo kitabo ke
upar based hai maslan mashhoor kitabein jaise Fatawa
Razawiyya aur Bahaare Shariat waghaira ki app maujood
hain, In apps mein sabse bade do features maane jaate hain,
Pehla hai copy paste aur dusra hai search ka option aur
EPUB file mein ye dono baatein maujood hoti hain

Ek aur bada point ye hai ke app store se aakhir kitni


kitabo ke apps download kiye ja sakte hain? Agar aapne 20-
25 kitabo ke apps install kar liye to aapki memory ka kya haal
hoga? Agar aapke paas bahut zyada mehenga smartphone hai
to bhi aap kitne apps install karenge? Aur phir kitni kitabo
ke apps bhi available hain?
EPUB files mein bas aapko ek app install karna hai aur
wo hai Lithium app, ye humari taraf se recommended hai
baaqi aur dusre bhi try kiye ja sakte hain, Ab aapke paas bas
ek app hai aur aap is mein jitni chahein EPUB files open kar
sakte hain yaani bina mobile phone ke app storage ko block
kiye aap saikdo apps rakh sakte hain! hai na kamaal?

Misaal se yun samjhein ke aapne Lithium app download


kiya aur uske baad Abde Mustafa Official ki website se 100
EPUB files download kar li, Ab aap sab ko ek jagah istemal
EPUB aur PDF 16

kar sakte hain aur wo bhi ek interface ke saath, Aapko alag


alag apps nahin rakhni hongi aur na to sab ko alag alag open
karne ka mas'ala rahega, Bas ek reader open kijiye aur uske
andar saikdo kitabo ki apps paaiye aur phir search aur copy
paste karte jaaiye!

App banane mein bahut zyada kharch bhi hota hai aur isi
wajah se tawanai ek hi kitab mein zyada lag jaati hai jabki
EPUB file bana kar kai kitabo par bachi hui tawanai aur maal
sarf kiya ja sakta hai

Aakhiri baatein
Is talluq se aur bhi tafseel bayaan ki ja sakti hai lekin
yahan itna kaafi hai, Samajhdar logon ke liye ye ishare hi
bahut hain aur na samajhne waalo ke liye bahut zyada tafseel
bhi nakaafi

Allah Ta'ala se dua hai ke wo humari qaum ke naujawano


ke andar jazba paida farmaye ke wo aage aa kar deen ka kaam
karein aur qaum ke faide ke liye apne shabo roz guzarein

You might also like