0% found this document useful (0 votes)
1K views6 pages

Story

1) The author's family has experienced paranormal activities in their home for many years, including finding strange patterns in dirt and drops of blood appearing overnight. 2) The author's mother has had disturbing dreams of snakes for many years and her health has declined, experiencing blood loss, sugar issues, and infections without clear causes. 3) The author witnessed his cousin experiencing possession during a wedding, speaking in strange voices and threatening violence, until an imam arrived and said Allah's name, resolving the issue.

Uploaded by

Kumail Khan
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
0% found this document useful (0 votes)
1K views6 pages

Story

1) The author's family has experienced paranormal activities in their home for many years, including finding strange patterns in dirt and drops of blood appearing overnight. 2) The author's mother has had disturbing dreams of snakes for many years and her health has declined, experiencing blood loss, sugar issues, and infections without clear causes. 3) The author witnessed his cousin experiencing possession during a wedding, speaking in strange voices and threatening violence, until an imam arrived and said Allah's name, resolving the issue.

Uploaded by

Kumail Khan
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 6

#spooky

my own family story.

Assalam u alaikum everyone.


Mera talluq Punjab se hai. Meri walida sahiwal se Hain aur Walid Sahab Faisalabad se. Mery
Walid Sahab taqreebaan 13-14 Saal ki Umar se Karachi mein reh rahay Hain. Aur filwaqt aik
achi textile industry mein as a H.O.D kaam karr rahy hain. Meri walida housewife Hain aur bilkul
simple Hain. Itni simple ke ab at the age of 50+. Unhay smartphone chalana sikhaya hai.

Ammi aur Abbu ki Shaadi ke baad se hi hamary Ghar mein paranormal activities start hona
shuru hoo gaen. Hamara apna Ghar nai. Rent kaa hai aur taqreebaan 3 se 4 Baar Ghar change
karr chukay Hain but yeh activities kabhi khatam nai Hui. Hum loog shuru se hi Karachi,
Nazimabad mein reh rahay Hain aur agar koi yahaan Janta hai to nazimabad #3 ke paas aik
railway track hai. Hamary Ghar ki backside pe woh railway track hai.

1) Jab hum chotay thy to ammi btati Hain ke unhoon ne subah hamein madarsay ke liye tayyar
Kiya aur phir Ghar ki safayi waghera Kari. Baqool un ke unhoon ne khud apny haath se poray
parking area ko saaf Kiya. Aur us ke baad Walid Sahab hamein madarsay choorh ke jab waapis
aye to gate pe aik reteli mitti (samandari mitti) kaa teela bana hua tha. Walid Sahab ne ammi se
poocha to ammi ne btaya ke jab mainy jhaaro mara tha tab Kuch nai tha aisa aur mainy khud
saaf Kiya hai. Khair Abbu ne woh mitti uthaa ke phenk di.

2) is waqiye ke Kuch din baad hi same usi jagah pe khoon ke drop bhi thy aur woh taza khoon
tha. Subh ke time 7-8 bajay Jo ke office janay ka time hota hai. Mery waalid Sahab ne khud
dekha aur khud hi phir us jagah ko saaf kiyaa.

3) is waaqiye ke Kuch months baad ammi btati Hain ke Shaam ke time 5-6 ke darmiyaan
peechy railway track se baray baray rait ke patthar hamary Ghar aa ke girr rahay thy. Pehly to
laga ke peechy koi bachay shararat karr rahy Hain Jesy ke hum bhi kartay thy patthar phenkna
Kisi ke ghar mein Yaa bell Baja Dena but yeh silsila rukk nai Raha tha aur woh patthar bhi mitti
ke thy. Hamary Ghar ka ground floor 2 hisson mein divided tha. Beech mein Aik wall thi Jo ke
Sirf itni oonchi thi ke aap kisi stool waghera pe kharay hoo ke neighbor se baat krr saktay thy.
2nd floor pe owner rehty thy aur phir roof thi Jo ke kaafi bari thi. But woh patthar naa hamary
neighbor ke ghar jaa ke giray jab ke jo wall thi woh buhot Choti thi aur naa hi woh uppar owner
ki roof pe jaa ke giray. Sirf hamary sehn mein girr rahay thy. Walid Sahab ne uppar owner ko
phone karr ke Kaha ke aap uppar jaa ke dekhein please roof se ke koi bachy naa Hoon peechy.
Us ke baad Walid Sahab, owner aur unka beta. Woh Sab gaye but peechy Kuch nai tha..!

4) Abbu ne aik jan'nay walay alim se mashwara Kiya Jo ke neighbor bhi thy. Unhoon ne Kaha
ke yeh sab kuch brandish ke liye hai aur Kuch hua hai aap ki family ke uppar. Mery Abbu ko
yaqeen hai in Sab cheezoon pe lekin unhoon ne kabhi is cheez ko apny uppar sawaar nai
kiyaa.
Then us ke Kuch time baad mery Walid Sahab ki aik achi jagah job lagi. Us time 40K se aap ko
direct 1 lac above offer ho to aap new opportunity ki taraf Jao gy. Meri Walid Sahab ne bhi yehi
Kiya. Job switch ki. Company ki taraf se gaari thi aur salary bhi achi thi. But phir 5-6 months
baad Walid Sahab ki job chali gayi aur us ke baad kahein job nai Mili taqreebaan 1 saal Tak.
Jab ke mery Walid Sahab ko Faisalabad aur Karachi ki bari bari textile industries ke owner
jantay thy/Hain. But job nai Milti thi. Us ke baad Abbu Thora serious hue is maslay pe aur un
aalim se rujoo Kiya. Unhoon ne Sirf namaaz aur quraan Paak parhny ko kaha aur Wohi kiyaa
Abbu ne tab bhi taqreebaan 1 saal baad jaa ke Abbu ko job Mili aur woh bhi us position pe nai
thi jahaan woh pehly thy. Lekin us company se job janay ke baad se aaj Tak mery Abbu ko unki
worth ke mutaabiq job nai Mili. ALLAH ki marzi Hogi is mein aur yeh shikwa nai aik fact hai. Jo
main bayaan karrr Raha Hoon.

5) hum Sab ab baray hoo chuky thy aur us ke baad ke Jo halaat bhi aye woh sab yaad Hain.
Ammi Meri sehatmand thi MA SHA ALLAH se shuru se hi but in waaqiyaat ke baad se aaj Tak
unki tabiat poori Tarah se sanbhal nai payi.
Unhy Sab se arq un nisaa ka dard uthaa Jo ke buhot takleef deh hota hai. Jab yeh Sahi hua to
blood loss hona shuru hoo gaya baghair Kisi bemaari ke. Naa vomiting mein blood nikla kabhi
naa hi unhay koi injury hui but blood loss hoga rehta tha aur weekly bases pe hamein blood
lagwana parta tha. Jab yeh halaat thory sahi huye to ammi ko sugar aur BP ne aa ghera. Phir
pittay mein infection hoo gaya to uska operation karwaya. Gharz ke us job ke janay ke baad se
walida ki tabiat aaj Tak nai sanbhli. 2007-2022.

6) Meri walida ko aksar khuwaab mein saanp aur Bichoo dikhty Hain. Aur kuch khoufnaak
shaklein bhi jinhy woh biyaan nai karr paati Hain. Main dosry bhaiyyoon ki nisbat ammi se
ziyada qareeeb Hoon iss liye woh kaafi baatein mujh se share karr leti Hain.
Aksar un ke khuwaab mein saanp hotay hai Jo un ki taraf barhty Hain. Aur qareeb puhonchty hi
woh saanp Kisi cheez ko dekh ke door hoo jaatay Hain. Matlab khuwaab hamesha isi Tarah ke
hotay Hain ke koi cheez nuqsaan puhonchany aa rahi hai but qareeb aatay hi woh Kisi cheez se
darr ke Chali jaati hain.

7) In 2016 Meri cousin ki Shaadi thi aur hum Sab loog hi Faisalabad gaye. Wahaan Jo Ghar
Liya tha us ke bilkul saamny maidaan tha aur Thora saa aagay jaa ke qabristan tha iss liye hum
avoid karty thy ke Raat mein naa niklein.
Valimy ke baad hamari cousin hamary Saath hi thi aur jab Sab Soo gaye Raat mein to
taqreebaan 2-3 ke darmiyaan aik bachy ne aa ke Kaha ke Dulhan ki tabiat kharaaab hoo gayi
hai.. i thought ke shayad koi medical condition Hogi but jab jaa ke dekha to Meri cousin ko unki
sisters aur unki ammi ne pakra hua hai. Her voice was changed. Yeh nai Kahoon ga films Wala
scene tha but I literally heard someone's voice from her. Unki awaaz thori bareek thi Jesy
larkiyoon ki Hoti but at that time woh heavy voice thi . Woh Kisi ko pehchaan nai Rahi thi siwaye
apny shohar ke aur mujhay q ke main aur unky shohar Jesy hi room mein enter huye to unhoon
ne Mera Naam Liya aur Kaha ke kaisay ho. Mainy Kaha theek ALHAMDULLILAH. Aur phir
unhoon ne apny shohar ko dekh ke Kaha ke main iska qatal karr doon gi. Meri aunty ne apny
cousin se Kaha ke alim ko bulayen q ke unhy pehly hi un ke alim ne btaya tha ke Kuch garbarr
zuroor Hogi. Iss liye unhy foran bulaya gaya aur phir Meri cousin ke maathy pe ALLAH likha
with permanent marker. Aur Meri aunty ne Kaha ke beta Tum yahein raho q ke unhoon ne Sirf
mujhay aur apny shohar ko pehchana tha. Mainy wahein kharay hogay QUL parhny shuru Kiya
aur taqreebaan adhay ghantay baad Sab kuch theek hoo gaya. Shukar ALHAMDULLILAH.
Aalim ne Kaha ke is Ghar pe Sab se pehly ALLAH ka Naam likhwayen q ke woh Naya Ghar tha
aur normally Ghar banany ke baad log us pe ALLAH ke Naam likhwatay Hain on entrance. But
is Ghar pe nai tha. Khair ALHAMDULLILAH yeh sab Sahi hoo gaya taqreebaan adhay ponay
ghanty ke baad.

8) I still remember the exact date which was 27th march 2016. Cousin ke waaqiye ko guzray
abhi 2 din huye thy aur Sab loog daray huye thy to we decided to take everyone for an outing.
Sab loog tayyar huye maghrib ke baad aur jab Sab bhethy gariyoon mein to mery Saath Meri
cousin ki dost aur unki ammi thi. Baqool Meri cousin ke unki friend ki ammi pe haazri Hoti hai q
ke un ke family system mein peechy se hi yeh silsila chalta aa Raha tha. Hum log janay ko
tayyar thy ke suddenly woh aunty utri aur unki beti unhay Ghar ke andar le gaen. 5 mint baad
woh waapis ayi and she said ke mat Jao aaj. Sahi nahi hai aaj Jana. Aur unhoon ne hamein
rookny ki kooshish ki buhot Baar. But hum loog larky thy aur unki nai Suni. Insist Kiya ke chalty
Hain Kuch nai hoga. After that I asked my Younger brother and cousin ke yaar jaa ke mery
mobile pe balance dalwaa ke ajao jaldi se phir chalty Hain.
i) woh Donoon gaye aur la-pata hoo gaye. Naa un ke paas us time mobile tha. Taqreebaan
adhay ghanty baad aik naik auto wala (ALLAH USAY AJAR DY) un Donoon ko leky Ghar aa
gaya because usay area ka Pata tha aur mera cousin aur Bhai 14-15 Saal ke Hoon gy. Chotay
nai thy but area ka nai pata tha aur area bhi aisa ke ghar ke saamny maidaan tha aur us se
aagay graveyard. Khair ALLAH ke fazl se woh jab aye to hum loog nikalny ke liye tayyar huye.
Main road Tak hi puhonchy thy ke hum Sab ke saamny aik accident hua jis mein bike rider
expire hoo gaya usi time. Tab Thora hosh Aya ke aunty ne mana Kiya tha ke mat Jao aaj. But
phir bhi hum nikly. Aur seedha Sindbad wonderland puhonchy. Wahaan puhonchty hi Khabar
Mili ke mulk ke sab parks ko band karr diya gaya hai q ke abhi thori dair pehly hi Lahore ke park
mein blast hua hai. (You can find it on Google.) Aur us time to bss Dil bheth hi gaya tha poora
ke hum q nikly aaj Ghar se mana karnay ke baa wujood.

9) yeh waaqiya Meri aankhoon dekha hai aur mery saamny hua tha aur shayad ab Tak Meri life
mein sab se ziyada khoufnaak yehi waaqiya tha. after the above incidents. Meri ammi chotay
Bhai ko leky Karachi aa gaen pehly hi q ke usky papers start thy SSC ke. Main, Sab se chota
Bhai aur Walid Sahab Lahore gaye aik kaam ke silsilay mein aur us ke baad main Lahore se
waapis faislabad aa gaya aur Abbu wahein thy. Jab Karachi waapis aye to taqreebaan 3-4 din
baad Abbu bhi aa gaye to unhoon ne Kuch cheezein di ammi ko. Jis mein Aik paani ki bottle aur
aik mixture tha jari bootiyoon kaa. jis ki dhooni deni thi (dhooni Matlab usay jalaa ke poray Ghar
mein dhuwan Dena tha har konay pe) aur yeh kaam fajar aur maghrib ki namaz ke baad Karna
tha 40 din Tak. Beech mein chorhna nai tha q ke Abbu jin se laye thy usny kaha ke agar chorha
Yaa nagha Kiya to iska Ulta asar hoga. .
Meri walida ne start Kiya aur abhi 3 din huye thy ke dophar mein unhoon ne mujh Kaha ke Meri
tabiat nai theek hai.. ajeeb saa hoo Raha hai Dil ko. Aur depression waali baatein karr Rahi thi. .
Mery inter 2nd year ke paper start honay walay thy aur main dophar ki namaaz ke baad tayyari
karr Raha tha. Jab ke ammi mery Saath hi bhethi hui thi aur kapry press karr Rahi thi. Aur
baatein karr Rahi thi. Meri walida ne Kaha ke beta paani pilana.
Main glass mein paani leky Aya. Un ke haath mein rakha mainy glass aur bheth ke apny notes
uthaye hi thy ke ammi zoor zooor se cheekhny lagg gaen. Mujhay ab bhi yaad hai woh lamha.
Un ka chehra asmaan ki taraf tha aankhein jhapak Rahi thi aur continues aanso girr rahay thy
and she was crying Soo loud. Cheekh Rahi thi. Woh Kuch nai bol Rahi thi. Sirf roo Rahi aur usi
ke Saath cheekh Rahi thi. Hum Sab Bhai Ghar pe hi thy mainy Sab ko bulaya. Bara Bhai bhi
panic hoo gaya. Humny litaya amo ko but still unka chehra uppar hi dekh Raha tha aur woh
roye jaa Rahi thi cheekhoon ke Saath. Samjh nai aa Raha thaa tab Kuch bhi. Then mainy apni
aunty ko call ki aur unhoon ne apni beti ko Bheja foran ke jaa ke Manzil parho bheth ke aur woh
bhi aa gaen thori dair baad hi. Yeh silsila 40-45 mint tk chalta Raha jis mein unki aankhein naa
band thi naa khuli hui thi. Aansoo girr rahy thy. Aur cheekhoon ke Saath uppar roof ki taraf dekh
ke roo Rahi thi bss. Jab Manzil parhi aur is time period ke baad halat Kuch behtar hui ammi ki
for a time being.

10) Mery Abbu ne Kaha ke Tum aik kaam karo yeh dhooni waghera Tum Dena ab aur 4th day
se leky 40 days tk mainy yeh kaam Kiya.
jab yeh sab hua to us din se leky taqreebaan aik haftay Tak Meri ammi continues jaagti Rahi.
Unhoon ne Kuch nai khaya. Even humny sleeping pills bhi di but woh nai soti thi. Injection bhi
diye through drip but still koi affect nai hota tha. . Raat ko sab aik hi room mein hotay thy q ke
ghar mein khouf ka mahool tha. Mery papers bhi isi wajah se achay nahi gaye aur mujhay
repeat Karna para apna 2nd year q ke marks Kam thy aur merit nai ban Raha tha kahein.
Khair walida ki tention thi ke naa woh Kuch khaati thi aur naa woh sooti thi aur jab unki
aankhoon mein dekho to hamein khouf aanay lagg jata tha ke hamari maa ki aankhein aisi kaisy
hoo sakti Hain. Ammi ki aankhoon mein hamesha pyaaar, reham, aur shafqat dikhti hai sab
bachoon ko but us time us aik haftay mein hamein Sirf unki aankhoon se khouf aata tha. Aik
Raat main jaag Raha tha to mainy dekha ammi bhethi hui thi. Mainy unki taraf dekha aur
soocha ke aaj nazrein nai hataon gaa bhalay woh kitni hi dair tak mujhay ghoorein. Aur aisa hi
hua hai adhay ghanty Tak I was staring at my mother and she was staring back. Farq itna tha ke
unki aankhein nai jhapki aik Baar bhi. Main Sab note krr Raha tha and suddenly I saw someone
behind her aur usi time mujhay mehsoos hua ke mery peechy bhi koi hai jab ke I remember
mery peechy dewaar thi. But us time Jo feel hua wohi beyaan karr Raha Hoon main. After 5
days. Mery Walid Sahab ko Kisi ne mazaar ka btaya. Mazaar ka Naam shah aqeeq hai. Andron
e Sindh mein hai yeh mazaar. Mainy is se pehly kbhi iska Naam nai suna tha. But jab Abbu ne
btaya to mainy google Kiya. Articles parhy to Pata Chala ke yeh mashoor isi Liye hai ke yahaan
paranormal activities ka ilaaj hoo Jata hai Sirf stay karny se. Aik Raat rukna hota hai aap ko
mazaar ke andar. Mery Walid Sahab ne hamein kabhi nai sikhaya ke mazaroon pe jao aur naa
main is cheez ko acha samjhta Hoon q ke shirk ka khatra hota hai. Aap ko nai Pata hota hai ke
aap ki zubaann se kab Kuch aisa nikal jaye Jo aap ko imaam se khaarij karr Dy but us time yehi
aik raasta nazar Aya to mery Abbu ne Kaha Sunday ko subh ke time leky jayen gy. Jummay ka
din tha jab Raat ko mery Walid Sahab ne mujh bulaa ke Kaha ke beta tumhari ammi Tum se
attached Hain buhot to may be may be woh Tum se kahein ke Haris mujhay nai Jana apny
Abbu ko mana karo to tumny unhy samjhana hai. Mainy haami bharr li and I was shocked ke on
the very next day Meri ammi ne 5 din baad Kisi ka Naam Liya aur woh bhi Mera aur mujhay
bulaya. Pyaar kiyaa aur tab mujhay un se khouf nai Aya. Aisa laga ke sab normal hoo chuka hai
aur unhoon ne wohi baat ki Jo Abbu ne mujhay pehly hi samjhayi thi ke beta mujhay nai Jana..
mana karo. Main bilkul theek Hoon aur mainy samjhata Raha unhy kaafi dair tk but jab unhy
Pata chal gaya ke woh mujhay raazi nai karr sakti to again unki eyes mein wohi wehshat thi aur
mujhay khouf anay lagg gaya. Mainy apny Abbu ko btaa diya tha ke aisa hua hai aur unhoon ne
Kaha ke haan mujhay shak tha ke aisa hoo sakta hai ke woh tumhy mana karein janay se..
khair Abbu leky gaye amo ko Sunday ki subh aur Monday ko Shaam mein waapis aye aur phir
aahista aahista aik week Tak ammi theek hona shuru hoo gaen . Sonay bhi lagg gaen. Khana
bhi khanay lagg gaen. Ghar ke kaam waghera bhi. Normal routine pe aa gaya tha sab
ALHAMDULLILAH. Us ke baad jab mainy ammi se poocha ke aap ko us din dophar mein Kya
hua tha aur aankhein band thi to Kya dikha tha.
Unhoon ne btaya ke mery har taraf itny khoufnaak chehry thy ke main beyaan nai karr sakti
Hoon. Aur in Sab chehroon mein 3 chehry mujhay yaad hain.. woh thy. Mamo nana aur nani ke.
Aur inki death hoo Chuki hai kaafi pehly hi. (ALLAH jannat mein Alla muqaam ata farmaye).
Ammi kehti Hain ke yeh 3 chehry pur Noor thy. Safaid aur mujhay Keh rahay thy ke pareshaan
nai ho. hum Hain tumhary Saath aur tumhy Kuch nai hoga. Aur dilasy de rahay thy like woh
muhaafiz thy Jo un khoufnaak chehroon se ammi ko Door rakhy huye thy.

In Sab ke waaqiyaat ke baad ALHAMDULLILAH Sab kuch theek hoo gaya aur ammi bhi normal
hoo gaen routine pe aa Chuki thi but still woh Kuch time Tak darti thi akely honay se aur hum
Sab Bhai bhi kabhi Akela nai chorty thy unhy. ALHAMDULLILAH ab Sab Sahi hai q ke phir
humny kabhi brandish khatam karwany ki kooshish nai ki q ke jab bhi kooshish ki uska Ulta asar
hi hota tha aur pehly se ziyada khatrnaak hota tha. Iss liye humny ALLAH pe choorh diya us ke
baad sab

11) last waaqiye ke baad abbu ke kehny pe jab main dhooni deta tha to I literally felt someone
on back. Qul parhty huye dhooni deni Hoti thi aur dhooni ke baad surah baqra parhni Hoti thi.
Aur mujhay Pata hai ke fajar ke baad ka aur maghrib ke baad kaa woh time kaisay guzrta tha.
Ab bhi feel hota hai jab Kisi akely jagah pe Hoon. 40 din guzarny ke baad mainy Abbu ko kaha
ke ab aisa Kuch nai Karna hai but I was changed because of that. I don't know aisa q hua but
mujhay ab presence feel hoo jaati hai. Mujhay office mein presence feel hoti thi to mainy aik
guard se poocha Jo kaafi purana tha udhar aur usny kaha ke is building ke 3rd-4th floor pe, 7th
floor ke washroom mein aur aap ke office ki backside pe Kuch hai q ke kaafi loogoon ne yeh
btaya hai and I was right. Mery Saath Meri aik colleague bhi thi usay aur mujhay hum Donoon
ko office ke backside pe server area ki taraf aik white kaproon mein aurat dikhi thi.. mainy
baatoon mein us se zikar Kiya tha aur usnyy Kaha ke mujhay bhi dkhti hai aksar.

12) aik last incident share karr Raha Hoon Jo ke mujh se related tha. Office ke time Raat ke
1:30 - 2 baj rahay thy and I was talking with my ex on call. Hamara jhagra hoo Raha tha aik
baaat pe to main uth ke bahar stairs ki taraf aa gaya and I was crying while talking to her .
Smoke bhi krr Raha tha and suddenly I felt someone on my back and then main behosh hoo
gaya. Baqool Dostoon ke jab woh dekhny aye ke kaafi time hoo gaya hai aur main andar nai
Aya q ke main manager tha to woh bahar aye dekhny aur mujhay unconscious dekh ke hospital
leky gaye jahaan doctor ne routine check up ke baad Kaha kamzoori hai. But I know it was
something else. Mainy Kisi ko nai btaya q ke hamara culture yehi hai ke har cheez ko mazaaq
banaya jata hai . Us time main Wese hi kaafi sad tha because of my ex. Khair is waaqiye ke
baad jab is pe soochna shuru Kiya to Mujhay yaad Aya ke yeh naa nazar anay waali makhlooq
un pe hi hamla karti Hain Jo ziyada Khush hotay Yaa ziyada udaas q ke in Donoon conditions
mein Banda ALLAH se door hota tha. Buhot Kam loog hotay Hain Jo Khushi ke mauqy pe
ALLAH ko yaad karty Hain aur same yehi case sadness pe bhi hota hai ke aap ke zehn mein
ghalt raasty aatay Hain lekin ALLAH ka zikr nai ata. Mujhay tab apny is waaqiye ka jawab Mila
ke main Aik to smoke karr Raha tha.. dosra main udaas tha aur roo bhi raha tha. Iss liye shayad
yeh sab hua q ke is se acha mauqa nai hota aisay shaks pe hamla karnay kaa.

Story kahein Yaa haqeeqat yeh aap logoon pe depend karta hai. Yeh copy paste nai hai.. yeh
Meri apni haqeeqat hai.
Aap Sab loog Jesy chahein mujhay judge krr sakty Hain . Jhoot samjhein Yaa Sach Yaa
mazaaq banayen. Mujhay koi masla nahi. Woh loog Jo mazaaq Karna chahein comments mein.
Most welcome to all of them. But yeh saary incidents haqeeqat Hain Jo mery Saath aur Meri
family ke Saath huye. Aik baat Jo Sach hai aur 100% Sach hai.
Ab mujhay unki presence feel hoti hai. Aur main mehsoos karr leta hoon ke mery Saath koi hai.

You might also like