Drama Script
Drama Script
Introduction: Namskar... swagt h aap sb ka hmare aaj k karykrm me jisme hmesha ki trh aaj
hum firse ek nyi kahani pe gor frmaenge. Aaj ki kahani ka sheershk h "samay or privrtn" jiske
lekhk h preeti, khushi, joel or yatin.
(Signature tune....)
Scene 1st
Phone ring
Mom - hello priyanshi beta...mai or tumhara Bhai dono theek hai...tumhe yaad kr rhe hai
Priyanshi - mai bhi yha theek hun...apke kaashi ke darshan kaise rhe?
Mom - hann humare kaashi ke darshan bhaut aache rhe hai..tumhare liye Prasad bhi liya hai
Priyanshi - achaaa...main apko bhaut yaad kr rhi hun ap jaldi se Delhi aa jao Mai Nani ke Ghar apka
intezaar kr rhi hun
Mom - hn hn beta hum aj raat ki gaadi se hi aa jayenge, tere Bhai Yash ne or maine tere liye ek gift bhi
liya hai.
Yash - main bhi aacha hoon...teri yaad aa rhi hai..agar tere exam na hote to terko bhi sath mai ghumane
laate.
Priyanshi - (sad voice) Haan... Main bhi tumhe yaad kr rhi hu kaash aa pati...
Yash - Maine tere liye ek bhaut hi payara sa key ring liya hai aur pta hai mumma ne tere liye ek sundar sa
laal rang ka purse liya hai
Priyanshi - kyaa lal wo to mera favourite colour hai
Yash - Han maa janti hai tujhe laal bhaut aacha lagta Hai.
Priyanshi - aacha to tum jaldi se wapis aa jao...aur jab ghar aao to mujhe bta dena Mai bhi Nani ke Ghar
se kal wapis aa jaungi
Call cut
Background Music
Scene 2
Subhay kay 8 baj rahay hotay hai priyanshi phone baj jata hai
Papa - chal tujey 1 khush khabri sunani hai , woh yaad hai nah mainey bataya tha meri posting ke baat
office may chal rahi thi , aakhir hoh he gayi delhi may dwaraka may
Beti- ( muskuratay huay bolti hai ) arey papa apnay toh yeh bahut khushi ke baat batai mai aaj he
mandir may parsaad chadaky aaungi
Papa - thik hai aur sab kaisa chal Raha hai ,khana peena toh sab thik say kha rahi hai nah
Beti - Haji papa bass wohh khana khaney he jah rahi thi abhi
Beti - hello mummy apko pata hai papa ke postingdelhi mayhoh gayi hai
Mummy - haah haah teray papa ka phone sabsey pehalay meray pass he aaya tha , bahut khushi ke baat
hai ,
Beti- haah , waisey aap log kabtak poch rahay hoh delhi
Mummy - mai aur yash ( place ) bass railway station par poch he gay , fir sidha ghar kay liay ravana
hongay ,
Beti- apney batay nahi apka safar kaisa Raha
Mummy - safar toh bahut badiya tha lekin yeh local train may chain ke neend kaha milnay ko rahi , itna
shoor sharaba , train kay jhatkay maano bhukamp aah gaya
Mummy -haah tum bhi time par khana kha lena , chal ab rakhi tu ,is bheed bhaad ilakay say nikal kar
ghar poch kar karti hui call
Scene 3
1 hour later
(Self talk)
Priyanshi : ( Ahaan ! Kitna acha lagta h apne ghar wapis akar. Apna pan sa lagta h dil khush ho jata h.
(Sound of dusting)
Arey waah ! Kya baat h - Gher toh chammak uth raha h. Atte hi dono ne gher ki safai ker di.
Yash : Arey bhudhu, Ghar 5 din se khali tha , dhul-mitti se bhara hua tha , saafai toh kerna hi padega na
Verna tu abhi dhul mitti ke karan khas rahi hoti.
(Little shock)
arey yeh mummy itni chup chup kyu h , itna udas kyu lag rahi h (gap) or tere chehere ko kya hua Yash
latka kyu hua h ,
(Gap)
(Breaths)
Mummy : arey beta ! Papa ka phone ayya tha keh rahe they ki yeh gher hame khali kerke kahi or Jana
padega bs yahi sochke thoda (emotion)
Priyanshi : (shocked)
Kya ? Lekin kyu ? Posting toh papa ki ho rahi h toh fir hum kyu gher Khali kare ? Hume kyu jana padega ?
Haa mana ki vo ek dangerous zone se safe zone me aa rahha ha lekin fir bhi.
(breaths)
vo kisi ki nhi sunte. Ek baar unhone koi fesla kerdiya toh bss koi usse agge peeche nhi ker sakta. Khair
parso vo pohoch jayenge tab saf saaf baat kerlena , abhi chalti train me vese bhi kese hi baat ker paoge -
network ki dikhat hogi.
Scene -4
(Door bell ring yash jata hai darvaza kholta hai papa ko apnay safar kaybarey may apni mummy kay sath
bataney lagta hai )
Papa- arey safar may kafi thakan hoh gayi , beti Zara chai bankey Lana ,
Papa - toh fir shifting ka saman aaj say he pack karna start kartey hai
Mummy - -2 din toh lg he jyngy sirf saman pack karney may ,aur lekar bhi toh Jana hai
Papa - uski chinta mat karo mainay 1 agency say baat karlleh hai woh Sara saman sahi salamat pocha
dengay
Mummy - lekin jana zaroori hai kya itnay samay say iss ghar may rehatay hai humaray beti bhi isi ghar
may paida hui thi
Papa - ab kya he kar saktay hai , mera ghar ana jaha nahi hoh payega , Sara parivaar ikkatha nahi rehay
payega toh favada he kya hai
( Yeh sunkey beti kitchen say bhaag kay aati hai )
Beti - hum kyu chod rahay hai is gahr ko papa , kitni yaadey hudi hai is ghar say humari , apki , meri ,
mummy aur bhai ke , aap bhi toh Isis gahr may aay thay papa ,
Papa- mana yeh ghar humko bhot pyara hai par us say zaruri mera desh aur mera parivaar hai ,
Tabhi desh ke seva ka kartavya nibhaney kay liay parivaar ko sath lekar chal raha huh
( Yeh sunkay beti thodi thodi emotional hoh gayi aur apnay kamaray may chali gayi )
Papa - koi nah beti badi hoh gayi hai baat samaj jayegi abhi nahi toh baad may samaj jayegi
Aur haah mainey ghar bhi dekh lia hai CRPF camp k samne hi h.
Scene 5
Mom - Acha theek h, ab kuch bdl to skte ni h..aaiye fr tyaari shuru krte hai...hum dono apne kamre ka
saman pack krte hai... priyanshiiii yashhh tum dono bhi drawing room ka saman pack Krna shuru kro
Priyanshi - Yash idhr aa ye dekh...yaad hai ye whi mark hai jisko hum dono ne apni height napne ke liye
bnaya tha...tb Teri height mujhse badi thi
Yash - hn yaad hai mujhe... main chota tha lekin height meri lambi thi islie sb muje bada samjhte the
Priyanshi - hn...aur ye dekh ye whi stool hai jis pr chdh kr hum aaiyna dekha krte the kyuki aaiyna kaafi
upr tha
Yash - hnnn yaad hai...kaise tu merko tyaar nhi hone deti thi aur mujhe school late phuchna pdta tha
Priyanshi - hn
Yash - aur wo dekh wo yaad hai us darwaje ke pass tune ek baar rangoli bnai thi aur mera pair uspr pd
gya tha..puri rangoli khrabh ho gyi thi
Yash - pure mohale ko pta chl gya tha itna roi thi
Priyanshi - hn aur baad m papa ne tujhe data bhi tha aur mujhe gift Diya tha
Yash - is Ghar se kitni yaadein judi hui hai humari...yaad hai phle sirf ground floor tha baad main first
floor jb bna tha..humne kitne mjje kiye the
Priyanshi - hn (sad voice) yaad hai kitni yaadein hai is Ghar se isse kaise chrd kr jaye
Mom - Han yaadein to hai tumne bhle hi mjee kiye ho is Ghar Mai par maine to sirf mehnat ki hai is Ghar
ko bnane k liye
Tumhare papa to humesha se duty or desh ke liye kam krte the... zimmedari Mai lage rhe
Meri bhi kam hi Umar thi fr bhi maine tumhara dhyan rkha...akele is Ghar ko bnawaya..akele
sambhala...aur ab isse chrd kr jana pdega
Yash - hn papa Sara saman ho gya pack or truck m bhi rkhwa diya hai
Dad - aacha ye to aachi baat chlo fr der kis baat ki hai sb baitho gaadi Mai
Priyanshi - hn papa bs gate pr tala lga kr aai...mummy ab kya vaps kbhi ni aaeneg yha, is ghr me?
Mummy: zada mt soch beta, ghr se rote rote vida nhi hote...hs k chloge to accha hi hoga nyi jgh pe bhi !
Lock sound
Scene 6
Papa: chlo finally ab sb set ho hi gya or ghr kaafi khila khila lg rha h !!
Haashhh!!
Sunti ho, zra tum teeno drawing room me aana agr kaam khtm ho gya ho toh !!
Yash( thinks a while) : umm papa mere according privar vo hota h jo sath rehte h jese hum charo h...ek
hi ghr me rehte h or ek sath khate Peete h.
Papa: haha privar mtlb khushi hai jaha sb sath hste gaate hai. Sath me dukh sukh baat te h or zindagi ek
jut ho k bitate h pyaar se.
Papa: me kbhi bhi meri nokri ki vjh se apne privar k sath nhi reh paya ...tum dono ka bchpn poori trh se
nhi dekh paya...pr ab jb ye moka mila tha to me ise gvana nhi chahta tha..
Mummy: dukh toh hai thoda...us jgh ko chodne ka pr smy k sath sath dhl jaenge.
Papa: tum dono ki zindagi me nya mod aa rha h, tum dono 19-20 saal k ho chuke ho or is pehlu me meh
khaas tor se tum dono ki trkki me hissa lena chahta hu.
Priyanshi: aapki baatein sun k ab thoda bhot lg rha h ki hme aapki baatein bhi smjhni chahiye thi pr baat
bs itni h ki us ghr me bchpn bitaya h toh bhoolna thoda mushkil h.
Papa: tum teeno khud socho, din bhr nokri krunga or shaam ko mess ki jgh apne ghr ka bna hua khana
khaunga , apne privar k sath hs bol k toh zindagi ka bojh kuch km lgega or sare dukh drd bhool jaunga!
Mummy: hmm
Papa: janta hu ki tum teeno ko mere upr gussa aa rha hoga pr beta vo zameen meri pehli dhrohr thi jise
mene apne jaan ko dao pe lga k kmae hue peso se li thi. ek mamuli sipahi k liye uska khud ka ghr hona ek
spne ki trh hi hota h !
mummy: chlo chlo...ab zada bhavuk mt kro sbko...me jaa rhi hu khana banane or tum dono pdhne betho
ab !!
Scene 7
Papa : hahaha ! Kyu bacho abh man lag raha haina yahha ? Ya me galat kehe rahha hu ?
Yash : ha papa sachme , abh toh sachme pyaar ho gaya h iss jagah se. Yahha Anne ke bad sab kuch badal
sa gaya lekin sab ache ke liye badala.
Papa : haha ! Batao beta kesa lag rahha h yahha abh ?
Yash : bohot acha papa . Yahha se mera or didi ka clg bhi pass h subha subha had badi me bhagna nhi
padega abh ..arram se khana khake clg jaa sakte h. Yahha pass walle parks bhi bohot sundar h , nay nay
dost bhi mile h jo bohot ache se peshate h, or papa (small laugh) sabse maze wali baat toh yeh h ki app
abh duty se ate wakt burger bhi late ho haha !
Mummy ka bhi man lag gaya h - keheti h ki samne walla mandir bohot hi sundar or man ko bhane walla
h. Priyanshi ko yahha ke markets pehele walle markets se zyada acha lagta h. Acha h ! Sab acha h yahha .
(Happy breath)
Papa: Bde hmesha tumhari bhlai k liye hi sochte h...accha to chlo fir isi baat pe aaj bahr khana khane
chlte h...ftaaft sb tyaar ho jao... or haa 10 minute se zada mt lgana. theek h? or suno tum zada time mt
lgana sjne me...
Moral of the story: Ma-baap kbhi apne bcche k liye glt nhi soch skte...ho skta h ki vo jo kehna chahte
h, hum use smjh nhi paa rhe isliye hme hmesha dheerj rkh k unhe sunna chahiye or smjhna chahiye.
Shree Krishan ne kaha h ki " Parivrtn hi prakirti ka niym h" or zaroori nhi ki hr privrtn glt ho, smy kyi
baar apne sath acche bdlav lata h jo zindagi svaar deti h...is bhaag dodh ki duniya me privaar k bare
me sochna bhi utna hi zaroori h jitna apni jivika k bare me h.