Bachon Ke Tarbiyat Ke Usool

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 18

BACHON KI

TARBIYAT KE KUCH
REHNUMA USOOL
Muratab By:
Fayyaz Ahmed Azmi (Abu Asim).

Roman Transliteration by:


Farheen khurshid

www.imsjeddah.com
BACHON KI
TARBIYAT KE
KUCH REHNUMA
USOOL
(MUKHTASAR
MEIN)
www.imsjeddah.com
‫الَّر ِح ۡی‬ ‫ۡح‬ ‫ۡس ا الَّر‬
‫ِب ِم ِہّٰلل‬
‫ِم‬ ‫ٰم ِن‬
Asal marabi to Allah Ta'ala hi hai !

Aulaad Allah Ta'aala ki aik bohat barhi nemat hai, aulaad ki Qadar unse
puchein jo bay-aulaad hain, naik aulaad hamaray liye burhapay ka
sahara aur zakhirah akhirat hai, magar jab yehi aulaad nalayiq aur
badtameez nikal jaati hai to hamaray liye wabaal jaan ban jaati hai.
Bachay kore kaghaz ki manind hotay hain, un par khoobsurat drawing
bananay ka kaam walidain ka hai. Tarbiyat aulaad ke oopar to mustaqil
kayi kitaaben likhi ja chuki hain, is ke bawajood ahqar ko qalam uthaane
ki zaroorat is liye pari ke aaj ke masrufiyat walay daur mein logon ko
taweel video aur mufassil kitabon ke liye waqt nahi, is liye ahqaar ne is
mauzo’ ko mukhtasar ajma karne ki koshish ki hai, is mein mandarj saari
baatein social media ke mukhtalif platform se makhooz aur manqool
hain, aur chand kitaaben jaisay

(1)Bachon ki tarbiyat kaisay karein?

“Siraj Uddin Nadwi”

(2) Walidain aur aulaad ke haqooq.

“Javed Ahmed sialkoti”

(3)Bachon ki tarbiyat ke 130 tareeqay.


Dr Ahmed almajid (Tafseel ke liye un kitabon ki taraf rujoo’ karein),
aur kuch Aalim -e-Deen ke bayanaat se bhi madad li gayi hai. Is
ummeed se ke is par amal kar ke aap ko tarbiyat aulaad mein kuch
madad milegi, aur aap ki aulaad aap ke liye aankhon ki thandak aur
naik nami ka zariya banaygi, aur mere liye sadqa jaria saabit hoga.
Sahi rahnumayi aur hidaayat to Allah Ta'ala ke haath mein hai .
www.imsjeddah.com

Jama wa tarteeb

(Anas) Fayaz Ahmed aazmi July 2021


Bachon ki tarbiyat ke kuch rehnuma usool
(Mukhtasar mein)

‫ۡس اِہّٰلل الَّر ۡحٰم الَّر ِح ۡی‬


‫ِم‬ ‫ِن‬ ‫ِب ِم‬

‫َيٰٓـَأُّيَه ا ٱَّلِذ يَن َء اَم ُنو۟ا ُق ۟ا َأنُف َس ُك ْم َو َأْه ِليُك ْم َناًۭرا َو ُق وُدَه ا ٱلَّناُس َوٱْلِح َج اَر ُة‬
‫ٓو‬
Tarjumah:Apne aap ko aur apni aulaad ko is aag se bachao jis ka
eendhan insaan aur pathar hain.
[Surah Tehrim:66:06]

(Bukhari: 893 ) wali hadees ke tehat walidain ki zimmedaari hai ke


woh apne bachon ki achi tarbiyat karen warna akhirat mein unhen
jawab dena ho ga. Sayyiduna Abdullah bin Umar (‫ ) رضی اللہ عنہ‬ka
irshad hai : "apni aulaad ko adab sikhao, qayamat walay din tum se
tumhari aulaad ke baray mein poocha jayega ke tum ne usay kya adab
sikhaya, aur kis ilm ki taleem di"
[Shu'ab al Iman lil Bayhaaqi: 8662]

Nabi Kareem (‫ )ﷺ‬ka farmaan hai :

"‫"مانحل والولدہ مزن حلفضل من ادبحسن‬


kisi baap ne apne betay ko husn adab se behtar tohfa nahi diya.

[Tirmidhi: 1952] zaeef.


Bachon ki tarbiyat ke kuch rehnuma usool ( mukhtasir mein )


www.imsjeddah.com

Nabi Kareem (‫ )ﷺ‬ka farmaan hai apni aulaad ki izzat-e- nafs ka


khayaal rakho aur inhen achay aadaab-o-akhlaaq sikhao.

[Ibn Majah 3671] zaeef


Allah aur Rasool( ‫) ﷺ‬se behtar koi rahnumayi nahi kar sakta.

Naik aulaad ke liye naik-o-saleh, shareef aur pakdaman maa ka intikhab.

•Naik o saleh aulaad ke husool ki duaein yehto bunyaad hai .

1. Bachon ki sahih tarbiyat karni hai to hamal ke pehlay hi din se karni


chahiye .

2. Jab aurat hamal se ho tabhi se apni soch-o- fikar sahih rakhay.

3. Allah Ta'ala ke har haraam kardah aur na pasandeeda feal se bachay,


aur Allah aur Rasool (‫ )ﷺ‬ki itaat ko lazim pakde.

4. Haraam khanay peenay aur pehnnay se parhez kare.

5. Gheebat, chughli, film baeni aur naach ganay se bachay.

6. Apne pasandeeda qaari ki aawaz mein qiraat sunay, aur deeni bayanaat
se mustafeed ho.

7. Apni zubaan se hamesha uthte baithtay kaam karte waqt Allah ka zikar
kare.

8. Jab bacha paida ho jaye to kisi naik aur saleh se takhneek karaein.
[Bukhari 5467]

9. Satwein din aqeeqa karaye (agar istetat ho) aur koi acha naam rakhay.
(yaad rahe ke naam ka bachay par assar hotaa hai)
[Tirmidhi: 1513; Sunan Bayhaqi]

10. Shir khwaar bachay ko jab bhi pilaye to "Bismillah" kahe aur jab bacha
pi chuke to "Alhamdulillah" kahe, bacha jab (baar baar sunay ga to khud
ba khud bada ho kar is par amal kerega .
www.imsjeddah.com

11. Jab bacha so raha ho to uskay sarahnay dheemi aawaz mein Qur'an ki
tilawat / bayan wagerah chala kar rakh day, is se bacha Qur'an se
maanus(attached) rahega .

12. Naach ganay ki aawaz se ko-soun dur rakhen.

01
13. Bachay ki neend ka bhi bohat khayaal rakhen, bachay ka dair tak
gehri neend sona is ki jismani-o-zehni nasho-o-numa ke liye bohat
mufeed hai .

14. Bachay ko sulatey waqt sonay ki duaein aur so kar uth jaye to jaagne ki
duaein sunaye, khawa bacha samjhay ya na samjhay.

15. Sotay waqt bachay ke oopar surah falak aur surah Ikhlaas parh kar
dam karein aur poooray badan par haath phairay.
[Bukhari: 5748]

16. Agar bacha kuch bara ho jaye aur koi tibbii nuqsaan nah ho to jab
pishaab kare to is ki sharamgah par pani daalday, jab bacha bara ho
jayega tab aap ko kehna nahi parega.

17. Dr Valton ka manna hai ke teen baras ki umar tak bachay ke andar
tamam jazbati zindagi ki bunyaad rakh di jati hain .

18. Jab aap kahin bahar se ghar wapas ayen aur bacha aap ko dekh kar
lapke aur aap ki taraf barhay to usay zaroor uthayen, usay pyar karein
khawa bacha kisi haal mein ho, bachay ke dil ko thais na pahochayein.

19. Jab bacha aap ki gaari(vehicle) dekh kar bethnay ki khaahish kare to
thori der ke liye zaroor bhaithayein warna uska dil toot jayega .

20. Apne bachon se pyar karein, un se khoob baatein karein, un ko yeh


ehsas nah honay paye ke hamaray walidain ko hamari fikar hi nahi,
warna koi doosra unpar tawajjoh dega to bacha usi ka ho kar reh jayega.

21. Mohabbat dil mein rakhnay wali cheez nahi hai, agar aap ko apne
bachon se mohabbat hai to bachon se is ka izhaar bhi karein taa ke
bachay apne aap ko mehrum nah samjhain.

22. Jis tarha phool songha jata hai kabhi kabhi apne bachay ko bhi
songhin

[Mishkaat: 1722 ) muttafiq.


www.imsjeddah.com

23. Kabhi kabhi bachon ko apni chadar mein bhi mein bhi ghusaein.
[Bukhari: 37310]

02
24. Apne bachon ko chumein gaal par, sar par apna haath pherein, un ko
bosa dein jaisa ke Aap (‫ )ﷺ‬se saabit hai.
[Bukhari: 5998]

25. Bacha abhi bacha hai har baat nahi samjhta is liye kuch ishare se bhi
batlaein .

26. Jab bachon se pyar karein to un ko duayein bhi dete rahen .

27. Jab bacha bolna shuru kardein to sab se pehlay kalma ( lailaha
ila'Allah ) seekhaiye.
[Shu'ab ul-Iman 8649] zaeef.

28. Bachay ko jab taleem dein, ya kuch seekhaye, batayen to Allah Ta'ala
se sath sath duaein bhi karte rahen, asal murabbi to wohi hai.

29. Bachay ko yeh kabhi nah kahein ke tum bewaqoof ho, tum kisi kaam
ke nahi ho, warna bacha agay barhne ke bajaye peechay hi rahayga .

30. Bachon ko baron ke paas bithaya karein, is se tor tareeqa sekhenge.

31. Bachon ka zehen deeni bananay ke liye kabhi kabhi usse kaha karein
ke"
(mera bacha bara ho kar bara aalim, hafiz banayga wagerah).

32. Bacha jab kuch likhe to uspe uski bharpur tareef karein, khawah
chidiyan ki tang ki tarah kyun na likha ho, isse dusri martaba aur acha
likhne aur banane ki koshish karega.

33. Bache ki alag se copy qalam banayein, jo kuch bhi likhta hai kahin bhi
likhta hai likhne dein mana na karein, yeh uske seekhnay ki umar hai.

34. Maaen to pehlay khud bolna sikhati hain, aur jab bacha khoob bolnay
lagta hai to kehti hain! kam bolo! bohat boltay ho, aap aisa na karein,
khoob bolnay dein.

35. Chhota bacha har waqt kuch na kuch seekhnay ki koshish karta rehta
www.imsjeddah.com

hai isliye jo kar raha hai usay karne den, bachon par hamesha tanqeed
nah karein ke yeh kaisay hua, yeh kyun kiya wagerah

36. Hamesha uski hosla afzai karein, kuch biger jaye ya nuqsaan ho jaye
to nah danten nah maarein balkay pyar se sumjhaayein aur uski madad
karein.

03
37. Bachay ke andar khud itemadi paida karein, kabhi bhi ehsas kamtaree
ka shikaar nah honay dein warna aap ka bacha agay kuch nahi kar
sakayga .

38. 3 se 4 saal tak ki umar mein hi bachon ko apne waalid ka naam, mobile
number aur ghar ka pata zarur yaad kara dein.

39. Bachon ko khoobsurat aur mu’aziz alfaaz seekhaiye, jaisay


mohtaram, uncle, chacha jaan, bhai jaan, pyare dost, behna, dear
madam, ustaad mohtaram wagerah.

40. Bachon ko zindagi ka maqsad batayen, agar aap ne unko deen nahi
sikhaya to kuch bhi nahi sikhaya .

41. Unko bari shaksiyaat aur kamyaab logon se milaen.

42. Deen-o-duniya ke kamyaab logon ki aap beeti aur sanawah hayaat par
mushtamil kitaaben laa kar dein unke waqiyaat sunaein.

43. Apne bachon ko acha sochna seekhaiye, manfi soch se bachayen .

44. Bachon ki zehni nasho numa ke liye unke samnay paheliyan


bujhayen.

45. Bachay qissay kahaaniyon mein bohat dilchaspi letay hain, unhen
naseehat amooz kahaniyan sunaein, andaaz khushk aur khatibana nah
ho, andaaz bachon ko lubhaney wala ho.

46. Jab bacha saat saal ka ho jaye to usay namaz ka hukum karein, aur jab
das saal ka ho jaye (aur namaz nah parhay ) to marain, is ka bistar alag kar
dein.
[Abu Dawood 495]

47. Jab namazi banana ho to pehlay sirf aik namaz ka aadi banayen, phir
do, phir teen.

48. Bachay se yeh nah kahein ke namaz parho warna sidhe jahannum
www.imsjeddah.com

mein jao ge! balkay kahin ke, aao aik sath ikathay namaz parhen taake
hum jannat mein bhi ikathay ho jayen .

49 Bachay se aisa wada nah karein jissay aap poora karne se aajiz hon, jo
wada karein usay zaroor poora karein, warna bachay aap ko jhoota
samjhainge .

04
50 Bachon se kabhi jhoot nah bolein warna aap khud un ko jhoot bolnay
ki dawat dainay walay ban jayenge .

51 Unki tarbiyat ke liye khud ilm seekhtay rahein, warna bachon ko kya
seekhaiyege .

52. Agar aap ka bacha khata nahi, parhta nahi to aap doosron ke bachon
ko khilanay, parhanay par dheyaan dein, dekhye aap ka bacha bhi khana
pina aur likhna padhna shuru kar day ga.

53. Aap doosron ke bachon ka jitna khayaal karenge Allah Ta'ala aap ke
bachon ka isse ziyada khayaal karenge.

54. Apne bachon ke sath sath uske doston ki bhi islaah ki fikar karein,
kyun ke aap ka bacha inhin ke darmiyan rehta hai agar dost sahih
rahenge to aap ka bacha bhi gumraah nah hoga .

55. Bachon ke liye jo usool banayen aap is par khud bhi amal karein, is par
qayim rahen, warna bacha kisi baat ko ahmiyat nahi day ga.

46. Jab bacha saat saal ka ho jaye to usay namaz ka hukum karein, aur jab
das saal ka ho jaye ( aur namaz nah parhay ) to marain, is ka bistar alag
kar dein.
[Abu Dawood 495]

47. Jab namazi banana ho to pehlay sirf aik namaz ka aadi banayen, phir
do, phir teen.

48. Bachay se yeh nah kahein ke namaz parho warna sidhe jahannum
mein jao ge! balkay kahin ke, aao aik sath ikathay namaz parheen taake
hum jannat mein bhi ikathay ho jayen .

49 Bachay se aisa wada nah karein jissay aap poora karne se aajiz hon, jo
wada karein usay zaroor poora karein, warna bachay aap ko jhoota
samjhainge .

50 Bachon se kabhi jhoot nah bolein warna aap khud un ko jhoot bolnay
www.imsjeddah.com

ki dawat dainay walay ban jayenge .

51 Unki tarbiyat ke liye khud ilm seekhtay rahein, warna bachon ko kya
seekhaiyege .

05
52. Agar aap ka bacha khata nahi, parhta nahi to aap doosron ke bachon
ko khilanay, parhanay par dheyaan dein, dekhye aap ka bacha bhi khana
pina aur likhna padhna shuru kar day ga.

53. Aap doosron ke bachon ka jitna khayaal karenge Allah Ta'ala aap ke
bachon ka isse ziyada khayaal karenge.

Bachon ki tarbiyat ke kuch rehnuma usool ( mukhtasir mein )

54. Apne bachon ke sath sath uske doston ki bhi islaah ki fikar karein,
kyun ke aap ka bacha inhin ke darmiyan rehta hai agar dost sahih
rahenge to aap ka bacha bhi gumraah nah hoga .

55. Bachon ke liye jo usool banayen aap is par khud bhi amal karein, is par
qaim rahen, warna bacha kisi baat ko ahmiyat nahi day ga.

56. Kisi naseehat ka faida dekhnay mein jaldi nah karein, agar usne sun
liya hai to aaj nahi to kal zaroor is par amal kerega, (abhi zehen mein
mehfooz kar liya hai ).

57. Aaj beej boya kal phal kahan se aayega.

58. Maar kar tarbiyat nahi hoti, kyunkay jab bacha bara ho jayega to yeh
harba kaam nahi dega, usay bas khauf delae.

59. Bacha agar baat nah manay to sirf uski taraf dekhna chore dein. (yeh
is ke liye bohat bari saza hai)

60. Bachay ko maarny se pehlay sochen! kyun maar rahi hain.

61. Agar saza hi dena hai to, in baton ka khayaal rakhen saza munasib
waqt mein dein, taakeh is ka asar ho, wajah bata kar dein, saza jurm se
nah kam ho, nah jurm se ziyada, saza rozana nah dein, majlis mein nah
dein, chehre par nah maarein aur saza dainay ke baad foran pyar nah
karein, aur hum umar sathiyon ke samnay saza nah dein, kisi aisi ghalti
par saza nah den jisay woh ghalat samjhta hi nahi, bachay ko baar baar
saza nah dein kabhi chor bhi diya karein, jab saza dein to sath sath laan
www.imsjeddah.com

taan nah karein .

62. Jab bacha apni ghalti se baz aa jaye to is par inaam bhi dein.

06
63. Saza bilkul aakhri rasta hai, saza sirf maar nahi hai, be rukhi ikhtiyar
karein, bolna band kar dein, tasbeeh wagerah parhen .

64. Bachon ko un ki ghalti par maarna, peetna yeh koi hal nahi hai,
maarna bhool jayen, agar islaah ka koi tareeqa kaargir nah ho tabhi
marain, ki das )‫ (ﷺ‬ne Huzoor ‫‫ رضی اللہ عنہ‬yaad rakhein Keh Hazrat Anas
ne nah kabhi mara, nah jhirka. )‫ (ﷺ‬saal khidmat ki magar Aap
[Bukhari 8603]

65. Yeh nah bhulen, jo bachay maar khatay hain woh maarna bhi seekh
jatay hain, phir apne bhai behan par haath saaf karte hain .

66. Isi tarha jab hum taaqat ke zor se bachay se koi kaam karwatay hain to
woh barray ho kar yahi tareeqa ikhtiyar karenge.

67. Bachay pedaishi badtameez nahi hotay sahih tarbiyat nah honay se ya
dosray bachon ke sath reh kar badtameezi seekh jatay hain.

68. Kabhi kabhi kisi ghalti par sirf naam leker mana karein jaise Anas !
Anas !! Anas !!!

69. Kisi ghalti par gussa nah karein, bacha hai, koi graduate nahi, ghalti
aap bhi karte hain .

70. Bachon ko kam se kam sattar ( 70 ) martaba maaf karein.

71. Koi ghalti karne ke baad sach bataday to usay hargiz nah marain,
warna doosri baar woh ghalti karne par kabhi sach nahi bolay ga balkay
jhooti kahani gharr kar khud ko bachanay ki koshish kerega .

72. Ghalti ke foran baad hi bachay se aitraaf jurm karanay ki koshish nah
karein.

73. koi bhi aadat chay 6 haftay mein aati hai aur pukhta hoti hai chay 6
mahinay mein, is liye jaldi nah karein.

74. Agar bachay ke dakhal andazi se koi kaam nahi huwa to usse yeh bhi
www.imsjeddah.com

nah kahein ke tumhari wajah se mera yeh kaam nahi huwa.

75. Bachon ke andar khud itemadi paida karne ke liye kabhi usay bara
kaam bhi karne ko dein.

07
76. Agar bachay ke sath bazaar jayen aur woh koi buri, ghalat ya nuqsaan
da cheez pasand karle to use yeh nah kahen ke, nahi! yeh cheez nahi de
laengay balkay is waqt dihyaan doosri cheezon ki taraf karne ki koshish
karein aur Allah Ta'ala se dua karein, aur jo munasib ho woh dila dein.

77. Bacho ko nafa-o-nuqsaan ki cheez samjhaye.

78. Agar bache se koi chiz mangi ya bazar se mangwaya to jab lakar de to
tareef karein keh tum wohi cheez laye ho jo mai chahti thi, han agar
cheez sahi ho to rakh le aur ghalat ho to pyar se dusri mangalein.

79. Ghar par aaye huye mehmaan se bache ki shikayat kabhi na karein
balki uski tareef hi karein.

80. Tareef aur tanqeed aik saath na karein keh! Sab to bara acha kiya bas
yehi kharab kar diya.

81. Bachay se yeh nah kahein, ke yeh nahi khana hai yeh khana hai balkay
jo behtar ho usay pakra dein.

82. Bacha jab koi bekaar, ya purani baat bata raha ho, tab bhi khoob
dihyaan se mutawajjoh ho kar sunein.

83. (Bachay hain kuch bhi sawal kar satke hain ) agar kabhi koi jinsiyat se
mutalliq sawal kar bathain to, nah to ahal-e-maghrib ki tarah sab bata hi
dein aur nah hi un ko jhidak dein, balkay un ko sanjeedgi ke sath umar ka
lehaaz karte huye kuch aasaan sa jawab day dei .

84. Bachay ke har kaam mein rok tok nah karein, usay kuch azad bhi
chore dein .

85. Jab aap kisi se phone par mashgool hon, ya kisi se baat kar rahi hon,
aur us waqt bacha aap ko bulaye to zaroor sunein, aap ka phone aap ke
bachay ke dil se pyara nahi hai, phone kaat dein, bachay ka dil nah
torein.

86. Jab bahar se ghar ayen to koi napasandeedah kaam dekh kar daant
www.imsjeddah.com

dapat nah shuru kar dein.

87. Bacha jab koi cheez bahar se utha laye to pyar se pochein, kon diya ?
kahan se laye ?

08
88. Jab bachay se koi cheez chhupa kar rakhein, bacha jab pouche to
btadein ke haan, chupaya hai, aur sath sath wajah bhi batayen .

89. Bachay ke sahih kaam karne par ya achi kar kardagj par inaam bhi
dein, aur bachay ki pasand ka inaam dein .

90. Bacha jo maa baap ko karte dekhta hai woh bhi wohi kartaa hai.

91. Khayaal karein koi bachay ka ulta naam nah rakhay .

92. Apne bachon ko, cheezon ki qadar se ziyada insanon ki qadar karna
seekhaiye taake barray ho kar woh insaaniyat ki ahmiyat ko samjhain .

93. Ghuroob aftaab ke waqt chhootey bachon ko bahar nikalne se


bachayen
[Bukhari 5623]

94. Bachon ke samnay doosron ki madad karein, taake woh bhi seekh
jaye, yaad rakhein bacha wohi kuch kar taa hai jo aap ko karte huye
dekhta hai .

95. Bachon ko mil baant kar khana seekhaiye .

96. Bachon ko moazrat karna seekhaiye aur moazrat ke alfaaz seekhaiye,


aur is par khud amal kar ke deikhein .

97. Bachon se baat cheet ke baghair unpar apne faislay zabardasti


musallat nah karein .

98. Bachon ki zindagi ke challenges unhen khud hal karne dein, nakami
se bachanay ke bajaye unhen itna himmat aur hosla dein ke woh barray
se barray maslay mein hawaas bakhta nah hon.

99. Apne bachon se yun kaha karein ke : ab so jao, subah Fajar ke liye
uthna hai, yun kehnay se un ki nazar hamesha Akhirat par rahaygi .

101. Bachon ko ibtida hi se choti choti zimmedariyan dein .


www.imsjeddah.com

102. Bachay un auqaat mein naseehat ziyada qubool karte hain! (1) safar
ke douran (2) sair o tafreeh ke douran (3) raat ko sonay se qabal (4) subah
school jatay aur wapas atay waqt .

09
103. Bachon se painting karwaen! is se unki takhleeqi quwwat mein
izafah hota hai.

104. Bachon ko bachpan hi se taqreer aur behtareen bolnay ki aadat


dalwain.

105. Bachon se chhutti ke din ke maloomat munazzam karwaen, chhutti


ke din jitne din kaam karne hain un ki fehrist banayen .

106. Agar bacha gir kar ya chot lagnay se ronay lagey thori der ke liye
waisay hi chore dein, khud bakhud chup ho jayega.

107. Bachon ko khailnay ke liye kaafi waqt muhayya karien taake unki
jismani sehat bhi barabar rahay.

108. Unhen mufeed aur zahen ko jila bakhsnay walay khelon mein
mashgool rakhein. (khel mein shari’at ki hudood ka khayaal zaroori hai. (
Abu-Anas )

109. Agar bacha (aap ki nigah mein) bekaar-o-bemaqsad cheezien jama


kar raha hai to usse cheen kar pheink nah dein, har bacha apni umar ke
hisaab se hi dil lagi kartaa hai. (Abu-Anas)

110. bachon ke sath khelain aur kabhi kabhi jeettay jeettay haar bhi jayen.

111. Har bacha science takhleeqi zehen le kar paida ho taa hai agar kisi
cheez ke baray mein maloomat haasil kar raha hai to uski rahnumayi
karein.

112. Bacha jab kabhi bemaar ho jaye to usko bemari ka ehsas nah honay
dein.

113. Larkon ko larkiyon par hargiz tarjeeh nah dein, yeh gunah hai.

114. Agar aik se zayed bachay hon to unke darmayan barabari aur adal-o-
insaaf ka mu’aamla karein.
www.imsjeddah.com

[Bukhari 2586, Muslim 4177]

115. Bacha agar sharamgaah wagerah se khel raha ho to pehlay dihyaan


doosri taraf karein, pyar se samjayein, kyun ke usko abhi acha ya bura,
sahih-o-ghalat nahi maloom, abhi bacha hai.

10
116. Jab koi nazebah, be haya harkat kar raha ho to abhi se rokain, yeh
keh kar nah chodein ke abhi to bacha hai. (warna aadat ban jayegi)

117. Bacha jab do saal ka ho jaye to uske samnay libaas nah badlein .

118. Khush baash bacha udaas rehne lagey to uski wajah maloom karen .

119. Bachay ko naye cartoon ya film dikhaane se pehlay khud dekhlein .

120. Bachay ki masoomiyat khatam karne wali filme, game aur kitaaben
usse duur hatayein.

121. Bachay cable, computer aur mobile par kya dekhte hain is baat ka
khayaal rakhein.

122. Bacha ghar se niklay to aap ko maloom ho ke woh kahan hai aur kya
khel raha hai.

123. Bachay ko khabar daar karein ke kisi ajnabi ki goad mein nah baithy.

124. Bacha kisi rishtedaar ya hamsaaya ke yahan nah jana chahta ho to


usay hargiz nah bhejein .

125. Bachay ko tutor, van, rickshaw driver, qaari sahib, kisi hamsaaye,
dost ya cousin ke sath kabhi tanha nah chodein, khaas tor se bachiyon ko.
[Muslim 3272]

126. Choti bachiyon ko bilaa zaroorat ghar se bahar nah jane dein.
[Surah Ahzab:33]

127. Agar apni bachiyon ko baaparda dekhna chahti hain to un ko shuru


hi se sharam-o-haya wala libaas pehnayein.
[Surah Ahzab: 59]

128. Bulughat ke nazdeek bachay jab washroom mein mamool se ziyada


der lagayen to hooshiyar ho jayen, aur unhen narmi se samjhaayein .
www.imsjeddah.com

129. Bachon ko ziyada waqt tanha mat rehne dein.

130. Bachon ke kamray aur cheezon ko ghair mehsoos tor par check karte
rahein .

11
131. Bachon ke kamreh mein jane se pehlay un se ijazat le len, is tarah
bachon ko kisi jagah daakhil honay se pehlay ijazat lene ki aadat par
jayegi .

132. Bachon ke samnay kabhi nah larein, aapas mein kitna hi ikhtilaaf
kyun nah ho bachon ko yeh mehsoos karayen ke un ke walidain mein
bari mohabbat hai .

133. Bachay se yeh nah kahein ke baen karvat mat soya karo! balkay
kahin ke hamein Rasool Allah (‫ )ﷺ‬ne sikhaya hai ke hum dayen karvat
soya karein.
Al-Hadith [Bukhari 6315]

134. Bachon ko jaganay ke liye un ke oopar se chadar hargiz nah


khinchein, aawaz day kar aur paon daba kar uthayein.

135. Bachon ko jald sonay aur jald uthnay ki aadat dalain.

136. Bacha jab pehli aawaz par bedaar ho jaye to usay shabashi dein aur
uski tareef karein .

137. Bachon ko sulanay ke liye billi, churail wagerah se nah darayein,


warna bachay buzdil ban jayenge, shuru hi se Allah Ta'aala ka khauf
dilain.

138. Bachay aap ki naseehat se kam, amal se ziyada seekhtay hain, aap
zubaan se laakh naseehat karein, agar khud achi misaal qayem nahi
karenge to aulaad sahih raah par nahi aayegi .

139. Kisi kisi kaam mein bachon se bhi raye le liya karein, barray ho kar
un ko mahswara ki aadat ho jayegi .

140. Bachon se itna pyar nah karein ke bachay biggr jayein, aur nah hi
unke naz-o-nahkre uthany mein mubaligha karein .

141. Bachon ko khilao sonay ka niwala aur dekho sher ki nigah se. ( yeh
baat mujhe bilkul ghalat lagti hai, kyunkay pooray zakheera ahadees
www.imsjeddah.com

mein aisi koi riwayat nahi millti, aur nah hi munasib hai. (Abu Anas)

142. Bachay ka dost ban kar usse dost jaisa mu’aamla karein take woh aap
se apna har qisam ka masla share kar sakay .

12
143. Bachon se yeh nah kahein ke utho aur apna kamrah saaf karo, kya
jungle bana rakha hai! balkay kahein ke beta! kya kamray ki safai mein
koi madad chaahiye kyun ke hamesha tum safai aur saleeqay ko pasand
rakhtay ho .

144. Bachay se yeh nah kahein ke utho aur daant brush karo, mein tumhe
hukum day rahi hon, balkay kahein ke mein tum se bohat khush hon,
kyun ke tum hamesha mere kahe baghair daant saaf kar letay ho.

SUNEIN !

Aap ka bacha aap se kuch keh raha hai !!

1. Jab main koi acha kaam karoon to meri hosla afzai karein, mujhe koi
inaam bhi dein.

2. Mujhse jo wada karein use zarur poora karein

3. Mujhe mere doston mein mu'aziz banayen, koi cheez ziyada miqdaar
mein layein jo mein unke sath baith kar khaoun.

4. Jab mujhse koi ghalti ho to, please! mujh par cheekhen chillayein nahi,
narmi se mujhe meri ghalti batayen.

5. Chhutti ke din mujhe bhi behan bhaiyon ke sath tafreeh par le jayen .

6. Saza dete waqt yeh batana nah bhulein ke saza kyun di ja rahi hai.

7. Mujhe nikamma, gadha, bewaqoof aur nalayiq keh kar nah pukaarain.

8. Mujh se cheeze chhupa chhupa kar nah rakhen, isse mein chori ki taraf
aasakta hoon.

9. mujhe achi kahaniyaan sunanay ke liye zaroor waqt nikalein.

10. Apne doston se milnay jayen to mumkeen ho to mujhe bhi le jayen


www.imsjeddah.com

11. Mujhe sab ke samnay bura bhala nah kahein, tanhai mein
sumjhaayein .

13
12. Mere sawalaat ka kaisa hi, kyun nah ho, narmi se jawab dein, gussa
nah karei‫‫‬n

13. Aap dono mere samnay aapas mein nah jhagarein.

14. Mujhe doosron se muqaabla karke nah batayen ke falan to aisa aur
falan aisa hai .

15. Mujh par tanqeed aahista magar tareef buland aawaz mein karein.

16. Mere maathey par aap ka bosa mujhe fakhr se bhar deta hai.

17. Aap yeh kyun bhool jatay hain ke aap bhi kabhi bachay thay.

Makhuz: Az-Tarjuman Al-Qur'an

Note !!

Agar aap bachon ko haraam khelate aur haraam pehnate hain to mu’aaf
karein! yeh saari nasheehatein aap ke liye bekar hain .

Aap ke bachon ka kherkhaa. (Abu-Anas) Fayaz Ahmed aazmi.

www.imsjeddah.com

15

You might also like