Raqeeb Gazal

Download as txt, pdf, or txt
Download as txt, pdf, or txt
You are on page 1of 3

1 # paye hai itna ke arzoo ab hone nahi deti

saamaan kuchh to kam ho


hairaan hu yeh jahan khone nahi deti

lahoo chashm se katrate hai bahut


aane ke liye bahe jane ke liye
aafat yeh khushi rone nahi deti

hum aachche hai yeh dawa nahi karte


ranj-e-bura bhi kaha hota hai
honi koi anhoni bhi to hone nahi deti

maut to ek haseen khwab hai, raqeeb,


tum ko bhi dekhna hum ko bhi
par zindagi hai ki sone nahi deti...

2 # tune iHtiyaaj(need) mein mujhe dil ki kareeb bana dala


teri NIYAAZ (desire /poverty) aisi thi ke khudko gareeb bana dala

teri ibtisaam (smile) dekha to samjhe duniya khush hai


teri tazgi ko main apna naseeb bana dala

ulfat ke bazar hai lagi chustan-e-gulistaan mein


meri naa-raasti (dishonesty) mujhe badnaseeb bana dala

riKHt (the URDU language ) to ata nahi kya karoon bayan ab to


aashuftah mujhko tune aye 'gHalib' (the famous poet) bana dala

dil-e-durush puchhe yeh kya kar dala raqeeb tune


hay re tune khud hi apna ek raqeeb bana dala

3 # dil rakh jaay fir dil na puchhe aise dilbar koi milta nahi
aise befikr koi milta nahi aise be-khabar koi milta nahi

tasleem karte hai uski jo ishq mein mita


lekin aise dil-jale ki qabr koi milta nahin

mehfuz rakkha aise is asir ko tune dil mein


ke dil ko apne dil ka hi khabar koi milta nahin

falak tak jashn hai aj ke mausam badal gaya


ashq ko bahna hai par abr koi milta nahi

shab ke maqam par chand utarne ko hai taiyar


waqt se pahle aaye.... aise be_sabr koi milta nahin

justaju jari hai janaza tak ab mitna hai mujhe


ai raqeeb tere barabar koi milta nahi

---------------------
chay hi sahi tere liye ai raqeeb
sharaab to ghalib ka hai dawa-e-dard

---------------------
raastah , wastaah , khastah, hasta huya miley basta gul-dastah

---------------------

hijaab aur din pas pas baithe hai


aise anjuman mein chand nikal ne ko sharmati hai

ae duniya itna khush-rukh mat ho ke mujhe rona aay


--------------------

aakhir hai yeh tera gham jo na kabhi roostan huya


mein chaaha yeh jara huye mein kaha to yeh dastaan huya

bahas-e-mudda mano isko ya mazaq mein chahey uDa do


humne dekha hai aakhon se khwabon ka aj uDaan huya

yun to thi bikhri huyi baatein yahaan- wahaan


tune dekha to ashq bane, tune chuya to muskaan huya

teri gali mein raqeeb akhir kitne dil tuta na jane


ek ekela nachis hi tha jo ki pashemaan huya
--------------------------

sang-e - gulaab kaha...lahu -e ahat hoti hai


ruswaa ke hoto pe kab muskurahat hoti hai chahat hoti hai... rahat hoti hai

neithr rose bloom in stone ...nor bleeding make noise


smile is not for unwanted ppl

----------------------------
hum se visaal na ho apni duniya salamat rahne do
dur se nigAhahban karo bas ek chahat rahne do
-----------------------------------

RAT BHAR GIRE AANSOO SUBAHA SHABNAM HO GAYE


ibtidaa hona tha khatam ho gaye
-----------------------------------------------------------------
dakhil shamil dil qabil mujmahil hasil manzil

--------------------------------------------------------------
yun tera khafaa hona
surur -e - ishq mana humne
jaaiye dur jaayiye kitna
aapke dil ke kareeb huu.n
--------------------------------

ishq mein sochte ho zakhm kaise ho


shola na ho to shabnam kaise ho

khwabon se hai nisbat raat ka ... alag thehra


itni rukhi hai zindagi aakhein nam kaise ho

jo chute karwaan se to humrahi ho tanhai


koyi sathi kaise ho humdam kaise ho
har ek shaam qabil ho to yaadgaar kaise ho
koyi bazm kaise ho shaam e gham kaise ho

bari lambi hai yeah dastaan -e - zindagi


Ibtidaa huyi hai bas khatam kaise ho

khud se ab kya bhagna raqeeb


jab tum na ho to yeh hum kaise ho

You might also like