The document discusses the Islamic belief that prophets remain alive after death. It provides several hadiths and quotes prominent Islamic scholars from over 1000 years ago who affirmed the prophets are alive in their graves, pray, and respond to greetings. The document aims to counter modern claims that this belief was introduced recently, arguing it has been the consensus Islamic view for 1400 years. It encourages having faith in the hadiths and scholars rather than doubting this core tenet.

UPON HIM aur puri dunya ke TAAZDAAR apni qabr Mubarak mei zinda hain , aur ummat ke sare halaat se ba khabar hain. Is baat mei koi shak nahi ki ALLAH PAAK ke qanoon ke mutabiq un par bhi maut ka lamha taari huwa lekin ye bs utne lamhe ke liye hi tha jitna ALLAH PAAK ne chaha phir ALLAH PAAK ne AAP ki ROOH SHAREEF ko APKE ZISM E MUBARAK mei wapas kar diya. BAREILLY KE IMAM FARMATE HAIN: AMBIYA KO BHI AJAL AANI H.. (ajal= maut) MAGAR AAISI KI FAQAT AANI H… PHIR US AAN KE BAAD UNKI ZINDAGI… MISL E SABIQ WAHI JISMANI H… Yaha ye baat khoob ache se zehen mei rahe ki AMBIYA KIRAAM ki maut aura am logo ki maut me zameen aasman ka fark h … hmari zindagi mei hmara koi bas nahi chalta aur naa hi hmse aakr FARISHTA hmse ijazat HAYAT_UN_NABI HMARE NABI ZINDA HAIN
leta h lekin ALLAH NE APNE NABIYO ko ye martaba diya
h ki MAUT KA FARISHTA begair UNKI ijazat ke unki ROOH qabz nahi kar sakta MUSLIM SHAREEF mei ye HADEES PAAK maujood h ki jb HAZRAT MUSA PEACE BE UPON HIM se bina ijazat ke FARISHTE ne unse se kaha ki mei AAP ki ROOH qabz karne aaya hu to HAZRAT MUSA PEACE BE UPON HIM ne unhe thappad mara jis se unki aankh bahar aagayi. Ye ALLAH KE NABIYO ki shan hoti h wo ALLAH sab se pyare bande hote hain UNHE hm apni zindagi par qayas nahi kar sakte. Ye koi afsana nahi, ye koi khud ka bnaya huwa aqeeda nahi, ye khud MUSTAFA JAAN E RAHMAT ka farmaan h jis par 1400 saal se puri UMMAT yaqeen karti chali aa rahi h. 150 saal se pehle puri ISLAMIC LITERATURE kahi ap ko ye nahi milega ki kisi ne bhi HAYAT UN NABI ka inkaar kiya ho, ye 150 saal mei YAHUDIYO AUR ANGREZO ke hatho par apna imaan bechne walo ne ye inteshaar HAYAT_UN_NABI HMARE NABI ZINDA HAIN
UMMAT me phailaya, maqsad sirf ye tha is UMMAT ka
apne NABI ke sath jo qalbi Rishta h usko khatm kar diya jaye. Ab aaye Mei aap ko QURAN O HADEES ka bayan aaap ke saamne rakhta hu uske baad faisla aap ke hath mei hoga , QAYAMAT ki din kisi ko ye kahne ka bahana nahi hoga ki hm tak QURAAN O HADEES se dalel nahin pahunchi thi is liye hm TERE HABEEB PEACE BE UPON HIM ki hayaat ka inkaar karte rahe
MUSTAFA JAANE RAHMAT PEACE BE UPON HIM
IRSHAAD FARMATE HAIN AMBIYA APNI QABRO MEI JINDA HOTE HAIN AUR NAMAAZ PADHTE HAIN(FATHUL BARI, JILD 2 PAGE; 935)
Dekhye kitne saaf laafzo mei MUSTAFA JAANE
RAHMAT PEACE BE UPON HIM irshaad farma rahe hain ki TAMAAM AMBIYA apni qabro mei jinda bhi hain aur namaz bhi padhte hain HAYAT_UN_NABI HMARE NABI ZINDA HAIN
Jb aaj ka MUSALMAN ye aqeeda rakhta h to BIDA’ATI
log mazaak bnate huwe kahte hain ki btao wo zinda hain to khate kya hain? ?saans kaise lete hain? Un aqal ke andho se kahta hu tm kiska Mazak bna rahe ho? APNE NABI KE FARMAN KA? jo kaam hazaroo saal se gair muslim log karte aaye the ki wo HADEES E MUSTAFA KA mazaak bnate the ab wo zimma tmne apne sir le liya ? Shayad tm jaise logo ke liyee si ne ye sher kaha tha : Paida huwe MUNAFIQ to IBLEES ne kaha…. Lo aaj hm bhi sahib e aulaad ho gaye….
RASOOL ALLAH PEACE BE UPON HIM NE IRSHAAD
FARMAYA KI SAB SE BEHTAR DINO ME SE JUMA KA DIN H ISLIYE JUME KE DIN TUM MUJH PAR JYADA SE JYADA DUROOD BHEJA KARO, Q KI TMHARA DUROOD MUJH PAR PESH KIYA JATA H. SAHABA NE ARZ KI YA RASOOL ALLAH PEACE BE UPON YOU JAB AAP INTEQAL KAR JAYENGE TB AAP PAR HMARA DUROOD KAISE PESH HAYAT_UN_NABI HMARE NABI ZINDA HAIN
KIYA JAYEGA, RASOOL ALLAH PEACE BE UPON HIM NE
IRSHAAD FARMAYA ; BE SHAK ALLAH NE ZAMEEN PAR HARAAM KAR DIYA H KI WO NABIYO KE JISM KO KHAYR TO ALLAH KE NABI ZINDA HAIN AUR RIZQ DIYE JAATE HAIN.(MISHKAAT SHAREEF, HADEES NO:1315) MUSTAFA JAANE RAHMAT PEACE PE UPON HIM IRHAD FARMATE HAIN JAB KOI BANDA MUJHE SALAAM KAHTA H ALLAH PAAK MERI ROOH KO MUJH PAR WAPAS KAR DETA H YAHA TAK KI MEI USKE SALAAM KA JAWAB DETA HU ( SBU DAWOOD SHAREEF, HADEES NO:2041)
Kitna sukoon dene wala h irshaad h MERE AAQA KA
PEACE BE UPON HIM ki aj se le kar qayamat tak jo koi jaha se bhiho, chahe wo MADINA SHAREEF me hon ya phir HINDUSTAN me jab kabhi wo mujhe salaam karega to mei uske salaam ka jawab dunga. Janab aap ko naaz hoga kia ap ko fala mantri salam karta h, hm faqeero se bada BADSHAH is jahan mei koi nahi KI ALLAH KE HAYAT_UN_NABI HMARE NABI ZINDA HAIN
HABEEB KAINAAT KE MALIK HMARE SALAM KA JAWAB
IRSHAAD FARMATE HAIN Is HADEES E PAAK me h ki “meri rooh waps” kar di jaati h iska matlab har giz ye nahi ki pehle ROOH badan mei nahi thi baad me waps ki jaati h.. iska matlab bayan karte huw SHAIKH ABDUL HAQ MOHADDIS DEHLVI farmate hain ; iska matlab ye h ki ALLAH PAAK RASOOL ALLAH PEACE BE UPON HIM ki tawajjo salaam padhne wale ki traf fer deta h is se pehle RASOOL ALLAH PEACE BE UPON HIM ALLAH PAAK ke jalwo me khoye rahte hain, aur aisa zahri hayaat mei bhi hota tha ki jb RASOOL ALLAH PEACE BE UPON HIM par WAHI naajil hoti to kuch der tak kisi se kuch baat na karte phir jab thoda waqt guzar jata to farmate ki MERI ROOH MUJH PAR WAPS KAR DI GAYI H MUSTAFA JAANE RAHMAT PEACE BE UPON HIM IRSHAAD FARMATE HAIN MEI MERAAJ WALI RAAT HAZRAT MUSA PEACE BE UPON HIM KI QABR KE PAAS SE GUZRA TO WO APNI QABR MEI KHADE HO KAR HAYAT_UN_NABI HMARE NABI ZINDA HAIN
NAMAZ PADH RAHE THE (MUSLIM SHAREEF, HADEES
NO;2375)
IN AHAADES PAAK ko padhne ke baad ye baat rooz e
roshan kit rah wazah ho jaati h ki ALLAH KE NABI apni qabro mei zinda h wo namaz bhi padhte hain UMMATI ke salaam ka jawab bhi dete hain.
Meine upar bhi zikr kiya tha ki HAYT UN NABI ka
aqeeda 1400 saal se chala araha h jisme kabhi kisi MUSALMAN ne inkaar nahi kiya, haan 150 saal pehle YAHIDYO ke paise kha kar ye fitna paida huwa jisne iska inkaar kiya. Aab aaye mei aap ko 1400 saaL ke UMMAT ke ulma ka aqeeda bayan karta hu jis se HAQ suraj ki trah roshan ho jayega… han agr kisi ki aankhe andhi ho chuki h to phir suraj ki roshni mei bhi use kuch dikhai nahi de sakta. HAYAT_UN_NABI HMARE NABI ZINDA HAIN
IMAM BEHAQI (458 HIZRI) YE AJ SE QAREEB 1000 SAAL
PURANE IMAM H INHONE IS TOPIC PAR PURI EK KITAB LIKHI JISKA NAAM HI “HAYAT UL AMBIYA” RAKHA
IMAM SYUTI(900 HIZRI) NE APNI KITAB “HAWI LIL
FATWA MEI” LIKHA IMAM SAMHOODI (800) NE APNI KIYAANB “WAFA ULWAFA “ME ISE ABYAN KIYA IMAAM SHARANI (900HIZRI) NE”KASHFUL NGUMMAH” ME IMAM ZURQANI (1000 HIZRI) NE “SHRAH ZURQANI” ME IMAM ALLAMA ALI QAARI (900HIZRI) NE “MIRQAAT” ME IMAM SUBKI NE(800 HIZRI) “SHIFA US SIQAAM” ME SHABUDDIN KHIFAJI(1000 HIZRI) NE “NASEEM UR RIYAZ”ME ALLAM SAWI (1240HIZRI) NE “TAFSEER SAWI” ME HAYAT_UN_NABI HMARE NABI ZINDA HAIN SHEIKH ABDUL QADIR JILANI(560 HIZRI) “ SIRRUL ASRAAR “ME ALLAMA AALUSI BAGDAGI(1100 HIZRI) NE “ROOH UL MA’ANI” ME ALLAMA AINI NE(800 HIZRI) “UMDATUL QARI SHRAH SAHI BUKHARI” ME IMAM ABDUR RAUF(952 HIZRI) NE “FAIZ UL QADEER” ME IMAM IBNE HAZAR ASQALANI( 800 HIZRI) NE “ FATHUL BARI SHRAH SAHI BUKHARI “ IMAM RAAZI NE(600 HIZRI) “TAFSEER KABEER” ME ALLAMA ISMAIL HAQQI(1000 HIZRI) NE “TAFSEER ROOHUL BAYAN” ME Ye kuch mash’hoor ULMA E ISLAAM aur unki kitab ka naam h jisme HAYAT UN NABI ke mas’ale ko saaf lafzo mei bayan kiya gaya h,aap inlogo ka zamana dekhye inme se koi bhi BAREIILY mei paida nahi huwa.. lekin aqeeda wahi bayan kar rahe hain jo BAREILLY KE IMAMA ne kaha tha HAYAT_UN_NABI HMARE NABI ZINDA HAIN
CHAMAK TUJH SE PAATE HAIN SAB PAANE WALE…
MERA DIL BHI CHAMKA DE CHAMKANE WALE.. TU ZINDA H WALLAH TU ZINDA H WALLAH… MERE CHASME AALAM SE CHUP JAANE WALE