Shirk Kya Hai (Roman)

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 41

SHIRK

Written by:
Khairul Azkiya Hazrat Allama Maulana
Muhammad Ahmad Misbahi Dama Zilluhu

Roman Urdu:
Muhammad Shoaib Ahmad
Founder Of Mission Qadri WelFare Society

SAB YA VIRTUAL PUBLICATION


SHIRK
Written by:
Khairul Azkiya Hazrat Allama Maulana

Muhammad Ahmad Misbahi


Dama Zilluhu

Roman Urdu:
Muhammad Shoaib Ahmad
Founder Of Mission Qadri WelFare Society

SAB YA VIRTUAL PUBLICATION


Shirk Kya Hai?

‫بسم اللہ الرحمن الرحیم‬

Shirk Se Bachne Ke Liye Ye Jaanna Zaroori Hai


Ki Shirk Kiya Hai?
Baaz Logon Ki Taskeen To Shirk Ki Taarif Aur
Haqeeqat Samjhe Baghair Sirf ''Shirk, Shirk' Ki Rat Se
Hoti Hai - Is Se Koi Sarokaar Nahi Ki Shirk Kiya Hai?
Aur Quran Wa Hadis Ki Roshni Mein Mushrik Kaun
Hai? Ayimma Ki Taqaleed Shirk, Ambiya Wa Auliya Se
Tawassul Shirk Maqboolan-e-Baaragah-e-Rab Ki
Taazeem Shirk- Un Ke Gird-o-Pesh Ka Adab Shirk- Un
Ke Liye Ghaib ka Ilm Aur Ikhtiyaar Wa Tasarruf Ki
Qaudrat Maanna Shirk, Aur Chu ki Ahde Sahaba Se Aaj
Tak Saari Ummat Ahal-e-ijtihaad Ki Taqaleed
Maqboolaan-e-Baaragah-e-Rab Ki Tazeem Un Se
Tawassul, Un Ke Liye Ilm e Ghaib Ikhtiyaar Wa
Tasarruf Etiraaf Ki Haamil Rahi Is Liye Saari Ummat
Musharik - In Ke Nazadeek Muvahhid Shayad Sirf Iblis
Hoga Jo Khuda Ke Siwa Kisi Nabi Wa Wali Aur Farshta
Wa Rasool Ki Azamat Ka Qail Nahi - In Mein Ek Tabqa
Wo Hai Jo Apne Asatiza Aur Mashaikh Ke Liye To Ilm-
e-Ghaib, Qudrat Wa Ikhtiyaar Tazeem Tawassul Sab
Kuchh Jaiz Aur aur Waaqe Maanta Hai - Magar Yahin
Cheezaen Ambiya Wa Auliya Ke Liye Shirk Gardanta
Hai. Dekhiye Allama Arshadul Qadri Ki Tasneef

1
Shirk Kya Hai?
''Zalzala'' Aur ''Zer-o-Zabar"- Iman Lana Hai To Pura
Iman Chahiye - Aadha Iman Aadha Kufur Ajab Chiz Hai
-
‫والعیاذ باهلل رب العالمنی۔‬

Hazrat Aasi Alaihir Rahma Farmate Hain:

Nisbat-e-Shirk Ba-Juz Tohmat-e-Be-Jaa Kiya Hai.


Dil Hai Jab Us Ki Taraf, Rukh Hai Wasaail Ki Taraf.

Aur Farmate Hain:

Milne Walon Se Raah Paida Kar.


Us Ke Milne Ki Aur Surat Kiya.

Khuda Ki Zaat Aur Us Ki Sifaat-e-Zaatiyya Mein


Kisi ko Shareek Thahrana Shirk Hai -

(1) Allah Ki Zaat Waajib -ul- Wujood Hai - Khud


Se Hai, Koi Use Wajood Dene Wala Nahi - Us Ka
Wajood Zaroori Hai Us Ka Adam Muhaal Hai - Wahi
Khaaliq Hai Koi Doosra Aesa Nahi Jo Kisi Shay Ko
Adam Se Wajood Mein La Sake Aur Bagaair Kisi
Maadde Ke Bana Sake-
2
Shirk Kya Hai?
Kisi Ghair Ko Waajib-ul-Wujood Ya Ilaha Maanna
Shirk Hai - Duniya Mein Koi is Ka Qaa'il Bhi Nahi-
(Magar B-Qaaule Baaz Dahriya Wa Malaahida Wa
Majoos) Isi Tarha Ghair Allah Ko Khaaliq Manna Bhi
Shirk Hai -
(2) Wo Waahid Wa Yakata Hai- Azli Wa Abdi Hai
- Wahi Mabood Hai Kisi Aur Ko Mabood Banane Wala
Agar Che Wo Use Makhalooq Hi Jane Mushrik Hai -
Ab Yahan Ye Janna Zaruri Hai Ki Ibadat Kiya Hai?
Aur Mabood Banana Kiya Hai? Ye Behas In Sha Allah
Ta'ala Aage Bayan Hogi, Magar Ye Mutayyan Hai Ki
Koi Muslmaan Khuda Ke Siwa Na Kisi Ki Ibadat Karta
Hai, Na Khuda Ke Siwa Kisi Ko Mabood Janta Hai-

(3)Allah Ki Sifaat e Zaatiyya Ye Hain:

(1) Hayat (2) Ilm (3) Sama(4) Basar (5) Qudrat (6)
Irada Wa Mashiyyat (7) kalam - Ye Sifaat Allah Ta'ala
Ke Liye Zaati Hain Yaani Us Ke Liye Kisi Ki Ata Ke
Baghir Khud Saabit Wa Lazim Hain -

In Sifaat Mein Se Kisi Sifat Ko Koi Shakhs Agar


Ghair Allah Ke Liye Zaati Toor Par Yaani Ataa-e-Ilaahi
Ke Baghir Mane To Mushrik Hai - Aur Agar Ataa-e-
Ilaahi Se Makhlooq Mein Ye Sifaat Koi Manta Hai To
Wo Mushrik Nahi - Han Agar Koi Shakhs In Sifaat Mein
Se Koi Sifat Allah Ke Liye Zaati Na Mane Aur Ghair Ki
Ata Se Kahe To Wo Kafir Hai - Agar Che Mushrik Na
3
Shirk Kya Hai?
Ho- Allah Ki Har Sifat Aur Us Ka Har Kamal Zaati Hai
Kisi Ki Ata Ka Ya Kisi Illat Wa Sabab Ka Mohtaaj Nahi-

Ab Ye Do Bahasen Huyi - Awwal Ye Ki


Mazkoorah Sifaat Allah Ke Liye Zaati Toor Par Saabit
Hain - Doom Ye Ki Sifaat-e-Bala Allah Ki Ata Se
Makhlooq Mein Ho Sakti Hain- Balki Hoti Hain - Donon
Ki Daleel Quran Ki Aayaat Se Sunein -

(1)Hayat:

َُ ْ‫ُهو ال‬
‫ح َل ۤ اِلٰه اِ ََل ُهو‬
Wahi Hai Hayat Wala, Us Ke Siwa Koi
Mabood Nahi -
(65‫آتیربمن‬:‫اغرف‬/‫)ومنم‬
(2) Ilm:

‫لس ِم ْی ُع الْع ِل ْی ُم‬ ُ َٰ ‫و‬


َ ‫اّلل ُهو ا‬
Aur Allah Hi Hai Sunne Wala, Ilm Wala -
(76‫آتی‬:‫)امدئہ‬
(3-4)Sama, Basar:

ُ ْ ‫لس ِم ْی ُع الْب ِص‬


ُ۠‫ی‬ َٰ ‫اِ َن‬
َ ‫اّلل ُهو ا‬
Beshak Allah Hi Hai Sunne Wala, Dekhne
Wala -
(20‫آتیربمن‬:‫اغرف‬/‫)ومنم‬
4
Shirk Kya Hai?

(5) Qudrat:

‫و ُهو الْع ِل ْی ُم الْق ِد ْی ُر‬-‫ی ْخل ُ ُق ما یشآ ُ ُۚء‬


Jo Chahita Hai Paida Farmata Hai Aur Wahi
Hai Ilm Wala, Qudrat Wala-
(54‫آتی‬:‫)روم‬

‫ی الْع ِز ْی ُز‬
َُ ‫اِ َن ر َبك ُهو الْق ِو‬
Beshak Tumhara Rab Hi Hai Quwwat Wala,
Izzat Wala -
(66‫آتی‬:‫)وہد‬

ِ َٰ ِ ‫ا َن الْق َُوة‬-
ۙ‫ّلل ج ِم ْی ًعا‬
Saari Quwat Allah Ke Liye Hai -
(165‫آتی‬:‫)رقبہ‬

‫نی‬
ُ ْ ‫اق ذُو الْق َُو ِة الْم ِت‬
ُ ‫الر َز‬ َٰ ‫اِ َن‬
َ ‫اّلل ُهو‬
Beshak Allah Hi Hai Bohut Rizk Dene Wala
Quwwat Wala Mazboot Taqat Wala -
(58‫آتی‬:‫)ذارایت‬
(6) Irada Wa Mashiyyat:

5
Shirk Kya Hai?

ِ ْ ‫قُ ِل اللَٰ ُه َم ٰم ِلك ال ُْمل ِْك ُت ْؤ ِت ال ُْملْك م ْن تشآ ُء و ت‬


ُ‫ْنع‬
ُؕ‫ء‬-ُ ‫٘و ُت ِع َُز م ْن تشآ ُء و ُت ِذ َُل م ْن تشآ‬ - ‫ال ُْملْك ِم َم ْن تشآ ُء‬
‫شء ق ِد ْیر‬ ْ ‫ل‬ َ ِ ُ ‫یُؕاِ نَك ع ٰٰل ك‬
-ُ ْ ‫ِبی ِدك الْخ‬
Tarjuma: Yun Arz Kar Aye Allah! Malik Ke
Malik Tu Jise Chahe Saltanat De Aur Jis Se
Chahe Saltanat Cheen Le Aur Jise Chahe
Izzat De Aur Jise Chahe Zillat De Saari
Bhalai Tere Hi Hath Hai, Beshak Tu Sab
Kuch Kar Sakta Hai-
(26‫آتی‬:‫)آلرمعان‬

َٰ ‫او ل ٰ ِك َن‬-۫ ‫اّلل ما اقْتتل ُْو‬


ُ۠‫اّلل یفْع ُل ما ُی ِر ْی ُد‬ ُ َٰ ‫و ل ْو شآء‬
Aur Allah Chahita To Wo Na Ladte Allah Jo
Chahe Kare -

(253‫آتی‬:‫)رقبہ‬
(7) Kalam:

ُۚ‫اّلل ُم ْو ٰٰس تكْ ِل ْی ًما‬


ُ َٰ ‫و كل َم‬
Aur Allah Ne Musa Se Haqeeqatan Kalam
Farmaya -
(165‫آتی‬:‫)اسنء‬

6
Shirk Kya Hai?

‫و اِ ْن احد َِمن ال ُْم ْش ِر ِك ْنی ا ْستجارك فا ِج ْر ُه ح َّٰت ی ْسمع‬


ِ َٰ ‫كلٰم‬
‫اّلل‬
Tarjuma: Aur Aye Mehboob! Agar Koi
Mushrik Tum Se Pnaah Mange To Use
Panaah Do Ki Wo Allah Ka Kalam Sune -
(6‫آتی‬:‫)وسر ٔہوتہب‬

ِ َٰ ‫ ُی ِر ْی ُد ْون ا ْن یَُب َ ِدل ُْوا كلٰم‬-


ُؕ‫اّلل‬
Wo Chahite Hain Ki Allah Ka Kalam Badal Den -
(15‫آتی‬:‫)حتف‬
Guzishta Aayaat Mein Aap Dekhenge Ki Aksar
Hasr Ke Sath Irshaad Hai Ki Allah Hi Hai "Hayat Wala,
Ilm Wala, Sunne Wala, Dekhne Wala, Qudrat Wala" In
Aayaat Ko Le Kar Agar Koi Shakhs Zaati Aur Atai Ka
Faraq Kiye Baghair Ye Kahne Lage Ki Allah Ta'ala Ne
Hayat, Ilm, Sama, Basar, Qudrat Sab Ko Apni Zaat Se
Khaas Kiya Hai Lihaza Us Ke Siwa Koi Bhi, Us Ki Ata
Se Bhi Na Janne Wala, Na Sunne Wala, Na Dekhne
Wala, Na Qudrat Wala, Jo Shakhs Kisi Ke Liye Khuda
Ki Ye Khaas Sifaat Saabit Maane Khuah Us Ke Dene Hi
Se Mane Wo Mushrik Hai- Is Liye Ki Quran Ne Saaf
Bata Diya Hai Ki Ye Sifaat Bas Allah Ke Liye Saabit
Hai Aur Kisi Ke Liye Nahi, Zaati Aur Atai Ka Farq Nahi
Kiya To Us ke Khilaaf Manne Wala Mushrik Hai-

7
Shirk Kya Hai?
Yaani Kainaat Mein Allah Ke Siwa Sab Be-Ilm,
Andhe, Behre, Be-Taqat Hain Jese Patthar Dekhne,
Sunne, Janne, Chalne Phirne Se Aajiz Hota Hai Wese Hi
Saare Insaan Bhi Hain, Aur Jin Aur Farishte Bhi -
Awwalan:
Ye Majnoon Istidlaal Jo Sirf Ek Qism Ki Aayaton
Ko Samne Rakh Kar Kiya Gaya Aur Sare Jahan Ko
Mushrik Thaihrane Ki Koshish Ki Gai,
Duniya Mein Koi Aaqil Ise Tasleem Na Karega -
Is Ke Liye Ek Shakhs Ya Ek Tabqe Ko Majnoon Maan
Lena Us Se Ziyada Aasan Hoga Ki Sare Jahan Ko
Mushrik Mane Aur Aqal Aur Mushahide Ke Bilkul Bar-
Aks Faisla Kare -
Saaniyan:
Quran Bhi Inka Sath Na Dega Is Liye Ki Quran
Mein Bhi Bandon Ke Andar Ba-Ataa-e-Ilahi In Sifaat Ka
Isbaat Mujood Hai - Mulahiza Ho:
(1) Hayat:

َ ِ ْ‫ت ِمن ال‬


ُؕ‫ح‬ ِ ‫ح ِمن الْم َِی‬
ِ ‫ت و ُم ْخ ِر جُ الْم َِی‬ َ ْ‫ُی ْخ ِر جُ ال‬
Wo Zinda Ko Murda Se Nikalta Hai Aur
Murda Ko Zinda Se Nikalne Wala Hai -
(95‫آتی‬:‫)ااعنم‬
Jese Wo Jandaar Sabze Ko Be-Jaan Dane Aur
Gudhli Se-Jandaar Insan Wa Haiwaan Ko Be-Jaan Nutfe
Se - Jandaar Parind Ko Be-Jaan Ande Se Nikalta Hai Aur
Jese Wo Jandaar Darakhat Se Be-Jaan Gudhli Aur Dane
8
Shirk Kya Hai?
Ko - Jandaar Insan Wa Haiwaan Se Nutfe Ko- Aur
Jandaar Parinde Se Ande Ko Nikalta Hai -
(Tafseer)
Yaha Ghair Allah Ko Hayat Wala Farmaya Hai:

ُ ‫الصلٰو ِة و ال َز كٰو ِة ما ُد ْم‬


‫ت ح ًَیا‬ ْ ِ ‫و ا ْو ٰص‬
َ ‫ن ِب‬
(Hazrate Eisa Alaihis-Salam Bayan Karte
Hain) Aur Us Ne Mujhe Namaz Wa Zakat
Ki Taqeed Farmai Jab Tak Mein Zinda
Rahun -
(31،‫آتی‬:‫)وسر ٔہرممی‬
(2) Ilm:

‫اِ نَا نُب ِ َش ُرك ِب ُغلٰم ع ِل ْیم‬


Ham Aap Ko Ek Ilm Wale Ladke Ki
Basharat Dete Hain - (Is Mein Ghair Allah
Ke Liye Ilm Ka Isbaat Hai)
(53‫آتی‬:‫)وسر ٔہرجح‬
(3-4) Sama Wa Bashar:

‫اِ نَا خلقْنا ْاَلِ ْنسان ِم ْن نَُ ْطفة ا ْمشاج ﳓ نَ ْبت ِل ْی ِه فجعلْ ٰن ُه‬

ً ْ ‫س ِم ْی ًع٘ا ب ِص‬
‫یا‬
Beshak Hamne Aadmi Ko Paida Kiya Mili
Hoii Mani Se Ki Wo Use Janchen To Use
Sunta Dekhta Kar Diya -
9
Shirk Kya Hai?

(2‫آتی‬:‫)وسر ٔہدرہ‬

(5) Qudrat:

‫نی‬ َُ ‫استاْج ْرت الْق ِو‬


ُ ْ ‫ی ْاَل ِم‬ ْ ‫اِ َن خ ْی م ِن‬
Beshak Behtar Mulaazim Wo Hai Jo
Quwwat Wala, Amanat Wala Ho-
(26‫آتی‬:‫)وسر ٔہصصق‬
Hazrate Shuaib Alaihis-Salam KI Beti Ne Un Ke
Samne Hazrat Musa Alaihis-Salam Ko Quwwat Wa
Amanat Wala Bataya -

‫اروا ْاَل ْرض و عم ُر ْوهاۤ ا كْثر ِم َما‬


ُ ‫ِهْن ق َُوةً َو ا ث‬
ْ ُ ْ ‫كا ُن ْۤوا اش َد م‬
‫عم ُر ْوها‬
Wo Un Se Zyada Quwwat Wale The Aur Un Ho
Ne Zameen Joti Aur Aabad Ki, Unki Aabadi Se Zyada-
(9‫آتی‬:‫)وسر ٔہروم‬

‫فاعِ ْی ُن ْو ِنْ ِبق َُوة‬


To Tum Taqat Se Meri Madad Karo-
(95‫آتی‬:‫)فہک‬
Ye Hazrate Zulqarnain Ne Ri'aaya Se Farmaya Is
Mein Ri'aaya Ke Liye Quwwat Ka Isbaat Bhi Hai Aur
Un Se Isti'aanat Bhi -

10
Shirk Kya Hai?
(6) Iraada Wa Mashiyat:

ٰ ْ ‫ك ْم َم ْن َُی ِر ْی ُد‬
‫اَلخِرة‬ َُ ‫ك ْم َم ْن َُی ِر ْی ُد‬
ُ ‫الد ْنیا و ِم ْن‬ ُ ‫ِم ْن‬
Tum Mein Koi Duniya Chahita Tha Aur
Tum Mein Koi Aakhirat Chahita Tha -
(152‫آتی‬:‫)آلرمعان‬

ِ ‫ی ْعمل ُْون ل ٗه ما یشآ ُء ِم ْن َمح‬


‫ار ْیب و تما ثِ ْیل‬
Us Ke Liye Banate Jo Wo Chahita Unche Unche
Mahel Aur Tasweeren-
(13‫آتی‬:‫)ابس‬
Yaani Jin Hazrate Sulemaan Alaihis-Salam Ke
Liye Un Ke Hasbe Irada Chizen Banate -

‫ماِ نَ ٗه ِبما ت ْعمل ُْون ب ِص ْی‬


ۙ- ْ ‫اِ ْعمل ُْوا ما ِش ْئ ُت‬
Jo Chaho Karo - Beshak Wo Tumhare Kaam Dekh
Raha Hai-
(40‫آتی‬:‫)محدجسہ‬
(7) Kalam:

‫تُك ِل َ ُم ال َناس ِف الْم ْه ِد و ك ْه ًل‬


Logon Se Tum Baten Karte Gahvaare Mein Aur
Pakki Umr Ke Ho Kar -
(110:‫)امدئہ‬

11
Shirk Kya Hai?
Ye Rab Ta'ala Ka Hazrate Eisa Alaihis-Salam Se
Khitaab Hai Aayaat To Aur Bhi Pesh Ki Ja Sakti Hai Aur
Qur'an Ko Ba-Ghoor Padhne Wala Khud Bhi Kaseer
Aayaat Talash Kar Sakta Hai Jinme Bandon Ke Liye In
Sifaat Ka Isbaat Mujood Hai - Yaqeenan Qur'an Mein
Koi Tazaad Nahi Balki Jo Loog Sirf Ek Qism Ki Aayaat
Padh Padh Kar Logon Ko Gumrah Karna Chahite Hain
Wo Khuda Ke Bandon Ka Iman Aur Un Ki Aqal Donon
Chinna Chahite Hain - Ahle Sunnat Donon Qism Ki
Aayaat Par Pukhta Imaan Rakhte Hain - Qur'an-e-Karim
Se Jaha'n Ye Maloom Hota Hai Ki Jaanna, Dekhna,
Sunna, Taqat Wa Quwwat Waghera Khuda Ke Siwa Kisi
Ke Liye Nahi Wahan Muraad Hai Ki Zaati Toor Par
Baghir Kisi Ki Ata Ke Ye Sifaat Sirf Allah Ke Liye
Saabit Hain - Aur Jaha'n Rabb-e-Karim Apne Bandon
Ke Liye Ilm, Sama, Basar, Aur Taaqat Wa Quwwat
Waghera Saabit Farmata Hai Wahan Ye Muraad Hai Ki
Allah Ki Ata Se Bandon Ko Ye Sifaat Hasil Hain-
Agar Ye Farq Na Ho To Qur'an-e-Muqaddas Mein
Khula Huwa Tazaad Lazim Aayega - Jis Ka Qatil Koi
Sunni Nahi Ho Sakta- Koi Ghair Sunni Agar Saare
Jahaan Ko Mushrik Thaihrane Ke Shooq Mein Qur'an
Mein Tazaad Ka Qail Ho To Koi Tajjub Ki Baat Nahi -
Duniya Mein Aqal Aur Imaan Se Kore Bohut Guzar
Chuke Hain Aur Har Door Mein Hote Rehte Hain -

Ab Ek Behes Ye Reh Gai Ki Ibadat Kiya Hai? Aur


Mabood Banane Ka Kiya Matlab Hai?
12
Shirk Kya Hai?
Qazi Naseeruddin Baizavi Ne Apni Tafseer
‫انوار التْنیل‬
Mein Is Ki Tareef Ye Likhi Hai:

‫العبادة اقىص غایة الخضو ع والتذلل‬


Ibadat Farotani Wa Taabe'Daari Ki Aakhiri Had
Ka Naam Hai- Allama Nisfi Ne Bhi
‫مدارک التْنیل‬
Mein Yahi Likha Hai -
Ab Sawaal Ye Hai Ki Farotani Wa Taabe-Daari Ki
Aakhri Had Kiya Hai? Agar Koi Ye Kahe Ki Aakhri Had
Sajda Hai - Agar Kisi Ne Kisi Ke Aage Sajda Kar Liya
To Us Ne Us Ke Ibadad Ke Aur Use Mabood Banaya To
Is Par Ye Atraaz Hai Ki Namaz Az Takbeere Tahreema
Ta Salam Mukammal Ibadat Hai- Agar Ibadat Sirf Sajde
Ka Naam Hai To Qiyaam, Qu'ood, Ruku, Qir'at Aur Zikr
Ibadat Se Khaarij Ho Gaye - Dusra Atraaz: Ye Hai Roza
Aur Zakaat, Haj Bhi Ibadat Hain- Roze Aur Zakaat Mein
Sajde Ka Kahin Pata Nahi Subah-e-Saadiq Se Ghuroob-
e-Aaftaab Tak Khane, Peene Aur Qurbat Se Qasdan
Baaz Rahne Ka Naam Roza Hai, Sajde Se Is Ka Taluq
Nahi Esi Tarha Zakat Niyyat Ke Sath Mustahiq Ko
Khaas Miqdaar-e-Maal Ka Malik Banana Hai, Is Mein
Sajda Nahi - Haj Bhi Ahraam, Wuqoof-e-Arafah Aur
Tawaaf-e-Ziyaarat Ka Naam Hai- Farz Yahi Hain Baki
Wajibaat Aur Sunan Wa Aadaab Hain - Is Liye Farotni

13
Shirk Kya Hai?
Wa Taabe'Daari Ke Intifaai Had Sirf Sajde Ko Manna
Dursat Nahi -
Teesra Atraaz: Ye Hai Ki Agar Mutlaqan Kisi Ka
Sajda Karna Us Ki Ibadat Ho To Farishton Ne Ba-
Hukm-e-Ilaahi Hazrate Aadam Alaihis-Salam Ka Sajda
Kiya Magar Wo Na Hazrate Aadam Ke Ibadat Guzaar
Huwe, Na Un Ko Mabood Jana- Agar Aesa Ho To
Yaqeenan Wo Mushrik Ho Jate Aur Sirf Iblees Jis Ne
Sajde Se Inkaar Kiya Wahi Shirk Se Mahfooz Hota
Halan ki Is Sajde Par Rab Ta'ala Ne Malaika Ke Madh
Ki Hai Aur Iblees Ko Raande Dargaah Kar Diya - Esi
Tarha Hazrate Yusuf Alaihis-Salam Ko Un Ke Bhaiyon
Ne Un Ki Walida Aur Un Ke Walid Hazrat Yaaqoob
Alaihis-Salam Ne Sajda Kiya Magar Un Mein Se Koi Na
Hazrat Yusuf Alaihis-Salam Ka Parastaar Thahra, Na Un
Ko Mabood Jana, Na Mushrik Huwa - Sirf Un Ki
Tauqeer Tazeem Karne Wala Qarar Paya- Maloom
Huwa Ki Mutlaqan Sajda Kar Lena Bhi Ibadad Nahi To
Ibadat Kiya Hai? Aur Farotni Wa Taabe'Daari Ki Aakhri
Had Kiya Hai? Haq Ye Hai Ki Ibadat Ke Liye Ek Etiqad
Ye Ki Jis Ke Liye Amal Ke Baja Aawari Kar Raha Hai
Use Ilaah Ya Faa'il Bizzaat Wa Mustaqil Bizzaat Mane -
Aur Niyyat Ye Ki Ye Amal Mein Khaas Is Ilaah Wa
Faa'il Ke Liye Kar Raha Hun - Agar Koii Hath Baandh
Kar Khada Ho Gaya, Ruku, Sajda, Waghera Sab Kar
Liya Magar Rab Ki Itaa'at Maqsood Na Thi To Na
Namaz Hui Na Ibadat Sirf Ek Jismaani Warzish Hui Ya
Laghw Harkat Esi Tarha Agar Koi Shakhs Kisi Ke
14
Shirk Kya Hai?
Saamne Baitha Ya Tazeem Ke Sath Sajda Kiya Magar
Us Ko Na Ilaah Janta Hai, Na Faa'il Bizzaat Balki Banda
Aur Makhooq Manta Hai To Niyyat-e-Tazeem Ke
Bawajood Ye Fe'l Ibadad Na Huwa Is Liye Malaika Ka
Hazrate Adam Alaihis-Salam Ko Sajda Aur Hazrate
Yusuf Alaihis-Salam Ko Un Ke Walideen Aur Bhaiyon
Ka Sajda Masjood-lahu Ke Tazeem To Hai Magar Ibadat
Nahi - Han Hamari Shariyat Mein Ghair Allah Ka Sajde
Tazeemi Haram Qarar Diya Gaya is Liye Ab Kisi Ghair
Ka Sajda Haram Wa Gunah Zarur Hai Magar Shirk Nahi
Is Liye Ki Shariyate Islaamiyah Ke Dalaail Se Is Ki
Hurmat Hi Saabit Hai- Hamari Shariyat Bhi Sajde
Tazeemi Ko Ghair Ki Ibadat Ya Khuda Ke Sath Shirk
Nahi Batati- Hurmat-e-Sajd-e-Tazeem Ke Dalaail Imam
Ahmad Raza Quddisa Sirrahu Ke Kitaab.

‫الزبدة الزكیة يف تحریم سجود التحیة‬


Mein Tafaeel Mujood Hai-

Tazeem Aur Ibaadat Mein Farq Na Karna Sakht


Jahaalat Hai- Musalmaan Ne Bataur Tazeem Agar
Mus'haf Shareef Ko Ya Kisi Muazam-e-Deeni Ko Bosa
Diya, Ya Kisi Ki Tazeem Ke Liye Khada Huwa Ya Us
Ke Gird-o-Pesh Ka Adab Kiya In Sab Ko Ibadat Kehna
Aur Muslmanon Ko Mushrik Thahrana Bahut Bada
Zulm Hai-
Ba-Rivaayat Imaam Nisai Hazrate Anas
(RaḍiyAllāhu ʿanhu) Se Aur
15
Shirk Kya Hai?
Dalā'il al-nubūwwah. Lil-Bayhaqi
Meim Hazrate Shaddad bin Aus
(RaḍiyAllāhu ʿanhu) Se Hadees e Me'raaj Mein
Marfuan Aaya Hai Ki
"Hazrat Jibreel Alaihis-Salam Ke Batane Ke
Mutabiq
Huzoor e Aqdas ‫ ﷺ‬Ne Taiba Mein Namaz Padhi,
Is Liye Aayinda Wo Huzoor Ki Hijrat Gaah Hone Wala
Tha, Phir Toor e Seena Mein Namaz Padhi Jahan Rab
Ta'ala Ne Hazrate Musa Alaihis-Salam Se Kalam
Farmaya, Phir "Bethlehem" Mein Namaz Padhi Jahan
Hazrate Eisa
Alaihis-Salam Ki Wiladat Hui-
Agar In Maqamaat Ki Kuch Bhi Azmat Wa Waqa't
Nahi To In Mein Thehrne Aur Namaz Padhne Ka Kiya
Matlab? Hazrate Jibreel Alaihis-Salam Ke Farmane Ke
Mutabiq Sarkar Alayhiṣ-Ṣalātu was-Salām Ka In
Maqamaat Mein Utar Kar Namaz Ada Karna Is Baat Ki
Daleel Hai Ki Mehboobaan e Ilaahi Se Nisbat Wa Taluq
Rakhne Wale Maqamaat Ka Adab o Ehtaram Khud
Rabb-e-Jaleel Ke Nazdeek Matloob Wa Mehboob-o-
Mehmood Is Ka Shirk Hona To Bahut Door Balki
Muhaal Hai - Kisi Tarha Ye Gunah Balki Khilaaf e Aula
Bhi Nahi Ho Sakta - Mukhtasar Ye Ki Agar Kisi Ko
Ilaah Aur Faa'il Bizzaat Maan Kar Us Ki Koi Tazeem
Karta Hai Ya Us Ki Itaa'at Karta Hai, To Ye Ibadat Hai
Aur Agar Ghair Allah Ke Sath Muamla Karta Hai To
Shirk Hai - Aur Agar Ghair Allah Ko Banda Wa
16
Shirk Kya Hai?
Makhlooq Mante Huye Us Ki Tazeem Ya Itaa'at Karta
Hai To Ye Na Us Ki Ibadat Hai, Na Shirk- Han Agar Koi
Aesi Tazeem Ya Itaa'at Karta Hai Jis Se Hamari Shariyat
Ne Mana Kiya Hai To Wo Mamnu Ka Murtakib Zarur
Hoga Magar Mushrik Hargiz Na Hoga.-

Ab Baaz Mukhalifeen Ye Kehte Hain Ki Agar


Bande Ke Liye Fitri Aur Mamooli Qudrat Mani To Shirk
Na Hoga, Han Agar Ghair Mamooli Qudrat Aur
Maafauqul-fitrat Quwwat Mani To Shirk Hoga- Is Par
Hamara Kalam Ye Hai Ki.
Awwalan: Ye Tafreeq Unhone Kahan Se Nikali
Shaikh Najdi Muhammad ibn Abd al-Wahhab Ya Shaikh
Dehlvi Ne Apni Kitaab "Kitab At-Tauhid" Ya
"Taqwiyatul Iman" Mein Ye Farq Na Kiya - Bande Ke
Liye Khuda Ki Ata Se Bhi Koi Taqat Wa Quwwat Har
Tarha Shirk Thehraya -

Saniyan: Un Ka Istidlaal Jin Aayaat Se Hai Un


Mein Bhi Ye Farq Nahi-
Qism Awwal Ki Aayaat Mein Yahi Hai Ki Saari
Quwwat Allah Hi Ke Liye Hai - Izzat Wa Qudrat Wala
Wahi Hai - In Mein Fitri Aur Ghair Fitri Ka Koii Farq
Nahi- Jab Inhi Aayaat Ki Wajah Se Bandon Ke Liye
Qudrat Manne Se Inkaar Hai To Un Aayaat Ke Mutabiq
Har Qism Ki Qudrat Se Inkaar Karna Chahiye-
Isi Tarha Kabhi Ye Kehte Hain Ki Zindon Ke Liye
Mamooli Qudrat Manna Shirk Nahi Magar Murdon Ke
17
Shirk Kya Hai?
Liye Kisi Tarha Ki Qudrat Manna Shirk Hai- Is Liye Ki
Insaan Marne Ke Baad Mitti Ka Dher Ho Jata Hai Us
Mein Na Hayat Hoti Hai Na Sunne Dekhne Aur Tasaruuf
Karne Ki Quwwat Hoti Hai - Is Par Bhi Hamara Wahi
Kalam Hai Ki Ye Tafreeq Na Un Ke Peshwaoon Ki
Ibadat Se Saabit Hai Na Quran Wa Hadis Se Saabit Hai
- Na Usool Aur Aqal Se Is Ka Koi Talluq Hai- Is Liye
Ki Khuda Ki Zaat Wa Sifaat Mein Kisi Ko Bhi Shareek
Thehrana Shirk Hai Khwah Wo Zinda Ho Ya Murda-
Insaan Ho Ya Jin Ya Farishta, Ye Hargiz Nahi Ho Sakta
Ki Sifaat e Baari Mein Zinda Ko Shareek Thehraye To
Momin Rahe, Murda Ko Shareek Thehraye To Mushrik
Ho Jaye - Momin Rahega To Donon Surat Mein -
Mushrik Hoga To Donon Surat Mein -
Saalisan: Un Se Hamara Sawal Ye Hai Ki Fitri Aur
Ghair Fitri, Mamooli Aur Ghair Mamooli Ki Had Kiya
Hai?
Bandon Mein Insaan, Jin Aur Malaika Sab Daakhil
Hain Magar Kisi Ke Liye Ek Kaam Kharq-e-Aadat,
Ghair Fitri Aur Ghair Mamooli Hai Aur Dusre Ke Liye
Wahi Kaam Aadi, Aur Mamooli Hai-
Maslan: Zameen Se Aasmaan Tak Ki Masaafat
Thodi Deer Mein Tay Kar Lena Insaan Ke Liye Ghair
Aadi Hai Aur Farishton Ke Liye Aadi Aur Rozana Ka
Mamool Hai - Zameen Ke Door Daraaz Goshon Mein
Baghir Sawaari Ke Chand Saa'aton Mein Pahuch Jana
Insaan Ke Liye Ghair Aadi Hai Aur Jin Ke Liye Aadi
Hai-Pure Roo-e-Zameen Ko Kaf-e-Dast Ki Tarha
18
Shirk Kya Hai?
Dekhna Malk-ul-Maut Ke Liye Aadi Hai Aur Insaan Ke
Liye Ghair Aadi Khud Insanon Mein Dekhe To Ek Man
Ka Patthar Ek Jagah Se Utha Kar Dosri Jagah Le Jana
Ek Aazmooda-Kaar Tawana Shakhs Ke Liye Aadi Hai
Aur Ek Naheef Wa Na-Tawan Ke Liye Aadhe Man Ka
Patthar Le Jana Ghair Aadi - Jis Ne Insanon Ke Liye
Aesa Amr Saabit Kiya Jo Farishte Aur Jin Mein Hai, To
Us Ne Insaan Ko Jin Aur Farishton Ka Shareek Thehraya
Yaani Ek Bande Ko Dosre Bande Ke Barabar Thehraya-
Khuda Ka Shareek Khuda Ke Barabar Hargiz Na
Thehraya- Us Ne Insaan Mein Bhi Ye Qudrat Khuda Ki
Ata Se Hi Maani Aur Jin Ya Farshte Mein Bhi Ye Qudrat
Khuda Ki Ata Hi Se Maani - Phir Shirk Kese Huwa?
Ziyada Se Ziyada Kizb Ho Sakta Hai Agar Insaan Mein
Wo Quwwat Hasil Nahi Jo Jin Ya Farishte Mein Hai-
Han Agar Koi Aesi Sifat Maani Jis Se Nusoos-e-Qat'iyya
Ki Takzeeb Ho To Ye Kufur Hoga.
Maslan: Jise Nabuwwat Wa Risalat Hasil Nahi Use
Nabi Ya Rasool Mana Ya Us Ke Liye Wahi Nabuwwat
Ka Qail Huwa To Ye Kufur Hoga - Ahle Sunnat Ka
Aqeeda Yahan Bilkul Waazeh Aur Do Took Hai - Allah
Ki Tarha Kisi Ke Liye Bhi Agar Koi Ye Manta Hai Ki
Use Khuda Ke Diye Baghir Apni Zaat Se Koi Qudrat Ya
Kamal Hasil Hai To Wo Mushrik Hai- Khwah Insaan Ke
Liye Mane Ya Jin Wa Malaika Ke Liye Ya Haiwanaat
Wa Jamadaat Ke Liye - Khwah Ek Zarre Aur Patte Ko
Harkat Dene Ki Mamooli Qudrat Mane Ya Aasmaan Wa
Zameen Ko Zer-o-Zabar Karne Ki Ghair Mamooli
19
Shirk Kya Hai?
Quwwat Mane- Khwah Zinda Ke Liye Wo Quwwat
Mane Ya Wafaat Yaafta Ke Liye, Behr Haal Wo
Mushrik Hai - Aur Agar Koi Shakhs Allah Ki Ata Se
Kisi Ke Andar Taqat Wa Quwwat Manta Hai To Wo
Mushrik Nahi Khwah Murde Ko Zinda Karne, Maadar-
Zaad Andhe Ko Shifa Dene, Chipi Chizon Ki Khabar
Dene Ki Quwwat Mane Ya Zameen Wa Aasmaan,
Shams Qamar, Sitaron, Siyyaaron, Behr-o-Bar, Sajar Wa
Hajar Waghera Sab Ka Nizaam Chalane Aur Sab Mein
Tasarruf Karne Ki Taqat Mane Jese "Mudabbiraat e
Amr" Farishton Ke Liye Ye Qudrat Ham Quran Se
Saabit Mante Hain- Agar Koi Ye Samjhta Hai Ki Bande
Mein Itni Zyada Qudrat Maan Kar Bande Ko Khuda Ke
Barabar Kar Diya To Ye Us Ki Sakht Jahalat Hai- Us Ne
Khuda Ki Qudrat Zameen Wa Aasmaan Ke Darmiyaan
Mehdood Samjhi Jab Ki Allah Ki Qudrat Ghair
Mutnaahi Aur La Mehdood Hai- Bande Ki Qudrat Atai
Hai Khuda Ki Qudrat Zaati - Bande Ki Har Sifat Balki
Us Ki Zaat Bhi Haadis Hai, Khuda Ki Zaat Wa Sifaat
Qadeem Hai - Bande Ki Sifat Aur Zaat Jaayaza-ul-Fanah
Hai, Khuda Ki Zaat Wa Sifaat Wajib-ul-Baqa- Aese
Zabrdast Farq Hote Huwe Bande Ki Qudrat Ko Khuda
Ki Qudrat Ke Baraabar Wahi Kar Sakta Hai Jis Ko Ilm
Aur Aqal Se Mas Na Ho Ya Jo Khuda Ki Qudrat Wa
Azmat Se Bilkul Jahil Aur Na-Aashna Ho –

Ab Ham Yahan Bandon Ko Ba Ata-e-Ilaahi


Maafauqul-Fitrat Aur khariq e Adat Quwwat Hasil Hone
20
Shirk Kya Hai?
Ke Kuch Dalail Pesh Karte Hain Taki Ye Baat Tishna
Na Rahe -

(1) Quran e Karim Mein Hazrate Eisa Alaihis-


Salam Ka Ye Qaul Mazkoor Hai:

‫ی فا نْ ُف ُخ فِ ْی ِه‬
ِ ْ ‫الط‬
َ ‫نی كه ْیــ ٴـ ِة‬
ِ ْ ‫الط‬ ُ ‫ا ِ َنْۤ ا ْخل ُ ُق ل‬
ِ َ ‫ك ْم َِمن‬
‫ح‬ ِ ْ ُ ‫ئ ْاَل كْمه و ْاَل ْبرص و ا‬ ُ ‫اّللو ا ُبْ ِر‬
ُۚ-ِ َٰ ‫ی را ِباِذْ ِن‬
ً ْ ‫ك ْو ُن ط‬ ُ ‫فی‬
- ‫و ا ُن َِب ُئك ُْم ِبما تاْكُل ُْون و ما ت َدخ ُِر ْو‬-‫اّلل‬
ْ ‫نۙ ِف‬ ُۚ ِ َٰ ‫الْم ْو ٰت ِباِ ْذ ِن‬
ُؕ‫ُب ُی ْوتِك ُْم‬

"Mein Tumhare Liye Mitti Se Parind Ki Si Murat


Banata Hun Phir Us Mein Phoonk Marta Hun To Foran
Wo Parind Ho Jati Hai Allah Ke Hukm Se, Aur Mein
Shifa Deta Hun Madar-Zaad Andhe Aur Safeed Dagh
Wale Ko Aur Mein Murde Jilata Hun Allah Ke Hukm
Se, Aur Tumhe Batata Hun Jo Tum Khate Ho Aur Jo
Apne Gharon Mein Jama Kar Rakhte Ho"-
(49،‫آتی‬:‫)آلرمعان‬
Parinde Ko Paida Karna, Madar-Zaad Andhe Ko
Shifa Dena, Bars Wale Ko Theek Karna, Murdon Ko
Zinda Karna Aur Ghaib Ki Khabren Dena Ye Sab Ghair
Mamooli Aur Khariq-e-Aadat Umoor Hain- Aur
Sayyiduna Eisa Ala Nabiyena Alayhiṣ-Ṣalātu was-
Salām Ko Hasil Hain -
21
Shirk Kya Hai?
Imam Bukhari Ne Tarikh Mein Aur Tabarani,
Aqeeli, Ibne Najjar Ibne Asaakir, Aur Abul Qasim
Isbahaani Ne Ammar Bin Yaasir RadiyAllāhu Ta'ala
Anhu Se Riwayat Kiya:

:‫تعال علیه وسلم یقول‬


ٰ ‫قال سمعت رسول اللہ صٰل اللہ‬
)‫تعال ملكا اعطاه اسماع الخلئق (زاد الطرباين‬
ٰ َٰ ‫ان‬
‫اّلل‬
‫ ال یوم القیامة) فما من احد‬:‫قائم عٰل قربی (زاد‬
‫یصٰل عٰل صلة اَل ابلغنیها‬

Unhone Kaha Mene Rasool Allah ‫ ﷺ‬Ko Farmate


Hue Suna Ki Allah Ka Ek Farishta Hai Jise Allah Ta'ala
Ne Tamam Makhlooq Ki Baten Sunne Ki Quwwat
Bakhshi Hai Wo Qayamat Tak Meri Qabr Ke Paas
Khada Rahega Aur Jo Bhi Mujh Par Durood Bhejega Wo
Mujh Par Pesh Karega-
Allama Zarqaani Ne" Sharah Muwaahib" Mein
Aur Allama Manaavi Ne "Sharah Jaame Sageer"
Mein Farmaya Ki Allah Ne Us Farishte Ko
Makhlooq Ki Aawaz Sunne Ka Haassa Yaani Aesi
Quwwat Ata Farmai Hai Ki Jin-o-Ins
Waghera Mein Se Har Makhlooq Ki Baat Sunne
Par Qadir Hai Manaavi Ne Itna Aur Ziyada Kiya Hai
"Chahe Jis Jagah Bhi Ho"

22
Shirk Kya Hai?
Makhlooq Ke Liye Is Tarha Ki Quwwat Ka Saabit
Karna Wahabiyah Ke Nazdeeq Shirk Hai To Un Ke
Gumaan Ke Mutaaniq Allah-o-Rasool, Riwayat Karne
Wale Sahabi Wa Muhadiseen, Sharah Karne Wale
Ulama o Mufassireen Sab Ke Sab Ek Makhlooq Mein Is
Quwwat Ka Etiqaat Rakhne Ke Sabab Shirk Ke
Murtakib Hue -

(2) Hazrate Sulemaan Alaihis-Salam Ke Waqiye


Mein Mazkoor Hai:

ْ‫ن ِبع ْر ِشها ق ْبل ا ْن َیاْتُ ْو ِن‬ ُ َُ‫قال ٰۤیایَُها الْمل ُؤا ای‬
ْ ِ ‫ك ْم یاْتِ ْی‬
‫) قال ِعف ِْر ْیت َِمن الْ ِج َِن ا نا ٰا تِ ْیك ِب ٖه ق ْبل‬۳۸(‫ُم ْس ِل ِم ْنی‬
َ ‫و اِ ِ َنْ عل ْی ِه لق ِو‬-ُۚ‫ا ْن تق ُْوم ِم ْن َمقا ِمك‬
‫) قال‬۳۹(‫ی ا ِم ْنی‬
ِ ‫ی ِع ْند ٗه ِعلْم َِمن الْ ِك ٰت‬
‫ب ا نا ٰا تِ ْیك ِب ٖه ق ْبل ا ْن َی ْرت َد‬ ْ ‫ال َ ِذ‬
ْ ‫فل َما ر ٰا ُه ُم ْست ِق ًَرا ِع ْند ٗه قال ٰهذا ِم ْن ف‬-ُؕ‫اِل ْیك ط ْرفُك‬
‫ض ِل‬

ْ ‫ر ِ َب‬
Sulemaan Ne Farmaya Aye Darbariyo! Tum Mein
Kon Hai Jo Us Ka Takht Mere Paas Le Aaye Qabl Is Ke
Ki Wo Mere Huzoor Muttia Ho Kar Hazir Ho - Ek Bada
Khabees Jin Bola Ki Mein Wo Takht Huzoor Mein
Haazir Kar Dunga Qabl Is Ke Ki Huzoor Ijlaas
Barkhaast Karen, Aur Mein Beshak Us Par Quwwat
Wala Amanat-Daar Hun - Us Ne Araz Kiya Jis Ke Paas
23
Shirk Kya Hai?
Kitaab Ka Ilm Tha Ki Mein Use Huzoor Mein Haazir
Karunga Ek Pal Maarne Se Pehle Phir Jab Sulemaan Ne
Takht Ko Apne Paas Rakha Dekha, Kaha Ki Ye Rab Ke
Fazl Se Hai -

(40‫ات‬38،‫آتی‬:‫)المنل‬
Chashm-Zadan Mein Takhte Bilqees Ko Shehre-
Saba Se Hazrate Sulemaan Alaihis-Salam Ke Paas Lane
Wale Hazrate Aasif Bin Barkhiya The - Jo Hazrate
Sulemaan Alaihis-Salam Ke Sahabi Aur Unke Wazeer
The - Ek Azeem Takht Ko" Saba" Se "Shaam" Tak
Chashm-Zadan Mein Haazir Kar Dena Yaqeenan
Maafauqul-Fitrat Aur khariq e Adat Amr Hai Aur Ye
Quwwat Ek Maqbool Bande Ko Haasil Hai -
(3) Aaj Ek Se Ek Aalaat Aur Maschinon Ki Ijaad
Ho Chuki Hai Magar Koi Aesa Aala Nahi Jis Se Chyunti
Ke Chalne Ki Aahat Aur Chyunti Ki Aawaaz Suni Ja
Sake- Chyunti Ki Zabaan Samjhna To Bahut Door Ki
Baat Hai - Bil-Farz Koi Aesa Taraqqi Yaafta Aala
Tayyar Ho Jaye Jis Se Chyunti Ki Aahat Sun Li Jaaye
Phir Bhi Koi Aesa Aala Mutasawwar Nahi Jis Se Us Ki
Zabaan Samjhi Ja Sake- Zoor Zoor Se Chikhne Chillane
Wale Charind-o-Parind Mujood Hain Jin Ki Aawaazen
Ham Shab-o-Rooz Sunte Rehte Hain Magar Koi Aesa
Aala Ijaad Na Ho Saka Jo Un Ki Zabaan Se Aashna Kara
Sake - Mukhtasar Ye Ki Chyunti Ki Aawaaz Sunna Aam
Insanon Ke Liye Maafauqul-Fitrat Aur Aadatan Muhaal
24
Shirk Kya Hai?
Hai Magar Hazrate Sulemaan Alaihis-Salam Ke Liye Ye
Quwwat Balki Us Ki Zabaan Samjhne Ki Bhi Salahiyat
Ba-Ataye-Ilaahi Haail Hai Jese Unhe Parindon Ki
Zabaan Samjhne Aur Hawa Par Hukm Raani Ki Quwwat
Hasil Hai-

Quran e Karim Mein Hai:


ٰۤ
‫ت ن ْملة َٰیۤایَُها ال َن ْم ُل ا ْد ُخل ُْوا‬
ْ ‫ال‬ ‫ق‬ۙ -
‫ل‬ ‫م‬
ِ ْ ‫ن‬
َ ‫ل‬ ‫ا‬ ‫د‬
ِ ‫ا‬ ‫و‬ ‫ٰل‬
ٰ ‫ع‬ ‫ا‬ ‫و‬
ْ ‫ت‬ ‫ا‬ ۤ ‫ا‬ ‫ذ‬ِ ‫ا‬ َ‫ح‬
‫ّت‬
‫هٗۙو ُه ْم َل‬- ‫ك ْم ُسل ْی ٰم ُن و ُج ُن ْو ُد‬
ُ ‫َل ی ْح ِطم َن‬-‫م‬ ُ ‫م ٰس ِكن‬
ُۚ ْ ‫ك‬
‫) فتب َسم ضا ِحكًا َِم ْن ق ْولِها‬۱۸(‫ی ْش ُع ُر ْون‬

Yahan Tak Ki Jab (Sulemaan Aur Un Ke Lashkar)


Chyuntiyon Ki Waadi Ke Paas Aaye - Ek Chyunti Boli:
Ae Chyuntiyon, Apne Gharon Mein Chali Jaao Tumhe
Kuchal Na Dalen Sulemaan Aur Un Ke Lashkar Be
Khabri Mein - To Wo Us Ki Baat Se Muskura Kar
Hansa-

(19-18:‫)وسرہلمن‬
Hazrate Sulemaan Alaihis-Salam Ne Teen Meel Ki
Doori Se Na Sirf Ye Ki Chyunti Ki Aawaaz Suni Balki
Us Ki Baat Bhi Samjhi Aur Rab Ki Ne'mat Ka Shukr Bhi
Ada Kiya Jaisa Ki Is Aayat Mein Aage Zikr Hai-
Waazeh Rahe Ki Ahle Sunnat Ke Nazdeek Sarkash
Jinon Aur Insanon Ke Siwa Kainaat Ki Har Shay Rabb-
25
Shirk Kya Hai?
e-Jaleel Par Imaan Rakhti Hai Aur Us Ki Tasbih Karti
Hai-
Quran e Karim Mein Hai:

‫شء اِ ََل ُیس َِبحُ ِبح ْم ِد ٖه و ل ٰ ِك ْن ََل تفْق ُه ْون‬


ْ ‫و اِ ْن َِم ْن‬
ُؕ‫ت ْس ِب ْیح ُه ْم‬
Aur Har Cheez Us Ki Hamd Ke Sath Us Ki Paaki
Bayan Karti Hai, Magar Tum Unki Tasbih Nahi Samjhte
(44،‫آتی‬:‫)وسرہارساء‬
Tasbih-Hum Jama Aaqil Ki Zameer Se Har
Chiz Ka Saahib e Aqal-o- Maarifat Hona
Bhi Zaahir Farma Diya - Isi Tarha Har
Cheez Ka Hamare Rasool ‫ ﷺ‬Ki Risaalat Par
Bhi Imaan Hai Aur Wo Saari Khilqat Aur
Saare Jahanon Ke Liye Rasool Bana Kar
Bheje Gaaye-
Quran Mein Hai

ُ ‫ی ن َزل الْف ُْرقان ع ٰٰل ع ْب ِد ٖه لِی‬


‫ك ْون لِل ْٰعل ِم ْنی‬ ْ ‫ت ٰربك ال َ ِذ‬
ً ‫ن ِذ ْی‬
‫ـرا‬
Badi Barkat Wala Hai Wo Jisne Utara
Quran Apne Bande Par, Jo Saare Jahaan Ko
Dar Sunane Wala Ho -
(1،‫آتی‬:‫)وسرہرفاقن‬

26
Shirk Kya Hai?
Muslim Sharif Ki Hadis-e-Sahiih Mein Hai:

‫ارسلت ال الخلق كافة‬.-


Main Saari Makhluq Ki Jaanib Rasool Bana Kar
Bheja Gaya -
Hazrate Yala Bin Murrah RaḍiyAllāhu Ta'ala
ʿanhu Se Tabraani Waghera Ki Riwaayat Hai- Sarkar
Farmate Hain:

‫ما من شئی اَل یعلم ان رسول اهلل اَلمردة الجن‬


‫واَلنس۔‬
Har Cheez Ye Jaanti Hai Ki Mein Allah Ka Rasool
Hun Magar Sarkash Jin-o-Ins
‫صدق هللا جل جالله ورسوله صلى هللا تعالى عليه وسلم‬

Allah Ta'ala Ki Zaati Sifat Hai:

‫ُید َِب ُر ْاَل ْمر‬


(2،‫آتی‬:‫)وسر ٔہردع‬
Wo Amr Ki Tadbeer Farmata Hai -
Magar Farishton Ke Liye Bhi Usne Ye Sifat Saabit
Ki Hai - Irshaad Hai:

‫فا ل ُْمد َِب ٰر ِت ا ْم ًر ۘا‬


(5،‫آتی‬:‫)وسر ٔہانزاعت‬
27
Shirk Kya Hai?
Tarjuma- Phir Kaam Ki Tadbeer Karne Wale
Tadbeer-Amr Ke Tahat Zameen-o-Aasmaan Ke
Saare Kaam Aate Hain- Bandon Ke Liye Nizaam-e-
Aalam Ki Tadbeer Ka Isbaat Khud Quran-e-Karim Mein
Mujood Hai-
Is Aayt Ki Ek Dosri Taujih Ye Bhi Hai Aur Quran
Mutadid Ma'aani Wala Hai Jaisa Ki Abu Naeem Ne Ba-
Waasta-e-Ibne Abbas RaḍiyAllāhu Ta'ala ʿanhum, Nabi-
e-Karim ‫ ﷺ‬Se Riwaayat Ki Hai Aur Aaima-e-kiram
Hamesha Us Se Is Ke Ma'ani Par Istidlaal Karte Rahe
Hain Aur Quran Ke Azeem Vujuuh-e-Aejaaz Se Hai-
Allama Bayzawi Ne Surah An-Nazi'aat Mein Zikr
Karda Sifaat Ki Ek Dosri Taujih Karte Hue Farmaya:

‫أوصفات النفوس الفاضلة حال المفارقة فأنها تْنع عن‬


‫اَلبدان غرقا ای نزعة شدیدة من اغراق الناز ع يف‬
‫القوس فتنشط ال عالم الملکوت و تسبح فیه فتسبق‬
‫ال حظائر القدس فتصی لشرفها وقوتها من المدبرات‬

Tarjuma: Ya Ye Sifaat Faazila Ki Hai- Badan Se


Judaai Ke Waqt Ki Ye Roohen Bahut Zyada Sakhti Ke
Sath Jismon Se Kheenchi Jaati Hai:

‫اغراق الناز ع يف القوس‬

28
Shirk Kya Hai?
Se Makhooz Hai- (Is Mein Is Baat Ki Jaanib Ishara
Hai Ki "Gharqa" Ighraaq Ka Masdar Hai Ba-Hazf e
Zawaaid) Phir Wo Roohen Aalam-e-Malkoot Ki Jaanib
Rawana Hoti Hain Aur Faza-e-Baseet Mein Terte Hue
Hazaair-e-Quds Ki Taraf Tezi Se Parwaaz Karti Hain-
Phir Apne Sharf Aur Quwwat Ke Baais Mudabbiraat-e-
Amr Se Ho Jati Hain- Nisbat, Ilm Aur Tareeqat Mein
Shah Ismaa'il Dehlvi Ke Jadde Amjad Shah Waliullah
Mohaddis Dehlvi Ne Farmaya:

‫فإذا مات انقطعت العلقات و رجع إل مزاجه فیلتحق‬


‫ و یسىع فیما‬،‫بالملئكة وصار مهْن وألهم كالهامهم‬
‫ و نصر‬،‫یسعون وربما اشتغل هوَلء | بإعلء كلمة اهلل‬
‫ وربما‬،‫حزب اهلل وربما كان لهم لمة خی بابن آدم‬
ً‫ ناشئا‬،‫اشتهي بعضهم ال صورة جسدیة اشتیاقاً شدید‬
‫ واختلطت‬،‫من اصل جبلته فخر ع ذلك بابا من المثال‬
‫ وصار‬،‫به قوة منه بالنسمة الهوائیة‬

‫ وربما اشتاق بعضهم إل مطعوم‬،‫كا لجدس النوراين‬


‫ونحوه فامد فیما اشتهي قضا ًء لشوقها (حجة اللہ‬
)‫ شاہ ول اللہ دہلوی‬:‫ تصنیف‬:‫البالغتہ‬

29
Shirk Kya Hai?
Tarjuma: Jab Maut Aati Hai To Rooh Ka Talluq
Jism Se Munqata Ho Jata Hai Aur Wo Apni Asal Ki
Taraf Lot Jaati Hai Phir Farishton Ke Sath Laahiq Ho
Kar Unhi Mein Se Ho Jati Hai Aur Farishton Ki Tarha
Ilhaam Aur Unke Kamon Mein Koshish Karti Hai -
Basa-Auqaal Ye Roohen Aelaye Kalimatullah Mein
Mashghool Hoti Hain Aur Allah Ki Jamat Ki Madad
Karti Hain Aur Basa-Auqaal Un Ka Aadmi Se Behtar
Talluq Hota Hai Aur Baaz Roohon Ko Jismaani Surat Ka
Bada Shouq Hota Hai, Ye Aesa Shouq Hai Jo Un Ki Asl
Sarisht Se Nikalta Hai To Ye Ek Misaali Jism Bana Leta
Hai Aur Us Ke Sath Hawai Jaan Ke Baais Ek Quwwat
Mukhtalat Ho Jaati Hai Baaz Ruhen Basa-Auqaat Khane
Waghera Ki Khuwahish Karti Hain To Un Ki
Khuwahish Ki Takmeel Ke Liye Un Ki Madad Ki Jaati
Hai-

Maut Dena Allah Ki Sifat Hai:

‫ّلل یتو َف ْاَل ْن ُفس ِح ْنی م ْوتِها‬


ُ َٰ ‫ا‬
(42،‫آتی‬:‫)وسر ٔہزرم‬
Allah Jaanon Ko Wafaat Deta Hai Unki
Maut Ke Waqt -

Magar Quran Hi Mein Ye Sifat Malak-ul-Maut Ke


Liye Saabit Ki Gai Hai - Irshaad Hai:

30
Shirk Kya Hai?

‫ی ُوكِ َل ِبك ُْم ثُ َم‬ ُ ‫قُ ْل یتوفَٰىك ُْم َمل‬


ْ ‫ك الْم ْو ِت ال َ ِذ‬
Tum Farmaon Tumhe Maut Deta Hai Maut
Ka Farishta Jo Tum Par Muqarrar Hai -
(11،‫آتی‬:‫)دجسہ‬
Kisi Ko Beta, Beti Dena Allah Ki Sifat Hai -
Quran-e-Karim Mein Hai:

ۙ‫ب لِم ْن َیشآ ُء الذَُ ك ُْور‬


ُ ‫ب لِم ْن َیشآ ُء اِ نا ثًا َو یه‬
ُ ‫یه‬
Allah Jise Chahe Betiyan Ata Farmaye Aur
Jise Chahe Beta De-
(49،‫آتی‬:‫)وشری‬
Magar Hazrate Jibreel Alaihis-Salam Ne Beta
Dene Ki Nisbat Khud Apni Taraf Ki- Quran Mein Hai:

‫ك غُل ٰ ًما ز ِك ًَیا‬ ِ َ‫اِ نَماۤ ا نا ر ُس ْو ُل ر ِب‬


ِ ‫ك ﳓ َِلهب ل‬
Mein Tere Rab Ka Bheja Huwa Hun Taki
Main Tujhe Ek Suthra Beta Dun-
(19،‫آتی‬:‫)وسرہرممی‬
Batayen Kiya Hazrate Jibreel Alaihis-Salam Apni
Jaanib Ye Nisbat Kar Ke Maaz Allah Mushrik Ho Gaye?
Aur Quran Ne Un Ke Shirk Ko Bila Inkaar Barqaraar
Rakha?
Kisi Muslmaan Ne Agar Maqboolan-e-Baargah Ki
Jaanib Kisi Qudrat-Ikhtiyaar Ki Nisbat Ki To Foran Us

31
Shirk Kya Hai?
Par Shirk Ka Hukm Laga Dete Hain Magar Quran Mein
Ghni Karne, Nemat Dene Aur Ata Karne Ki Nisbat Allah
Aur Rasool Donon Ki Taraf Ki Gai Hai- Kiya Ye Shirk
Hai Jo Khud Rabbul-Izzat Ke Kalam Mein Mujood Hai?

Dekhe Agli Aayat:

ْ ‫اّلل و ر ُس ْولُ ٗه ِم ْن ف‬
ُۚ‫ض ِل ٖه‬ ُ ُ ‫(الف) و ما نق ُم ْۤوا اِ ََل ۤ ا ْن ا ْغ ٰن‬
ُ َٰ ‫ُهى‬
Aur Unhen Kiya Bura Laga Yahi Na Ki
Allah-o-Rasool Ne Unhen Apne Fazl Se
Ghni Kar Diya-
(74،‫آتی‬:‫)وسرہوتہب‬

‫و قا ل ُْوا ح ْس ُبنا‬-‫اّلل و ر ُس ْولُ ٗۙه‬ ُ ُ ‫(ب) و ل ْو ا نَ ُه ْم ر ُض ْوا ماۤ ٰا ت‬


ُ َٰ ‫ُٰهى‬
ِ َٰ ‫ۙهاِ نَاۤ اِل‬-ٗ ۤ ُ‫ض ِل ٖه و ر ُس ْول‬
ُ۠‫اّلل ٰر ِغ ُب ْون‬ ْ ‫اّلل ِم ْن ف‬
ُ َٰ ‫اّلل س ُی ْؤتِ ْینا‬
ُ َٰ
Aur Kiya Achchha Hota Agar Wo Is Par
Raazi Hote Jo Allah-o-Rasool Ne Un Ko
Diya Aur Kahte Hame Allah Kaafi Hai Ab
Deta Hai Hamen Allah Apne Fazl Se Aur Us
Ka Rasool Hamen Allah Hi Ki Taraf
Raghbat Hai-

‫ك عل ْیك‬ ُ َٰ ‫ا ْنعم‬
ْ ‫اّلل عل ْی ِه و ا ْنع ْمت عل ْی ِه ا ْم ِس‬
Jise Allah Ne Nemat Di Aur Tumne Use Nemat Di
(37،‫آتی‬:‫)ازحاب‬

32
Shirk Kya Hai?
Raha Wahabiya Ka Ye Gumaan ki Ambiya Bad-e-
Wafaat Jamaad Aur Patthar Ke Misl Ho Gaye Aur Un
Ke Liye Sunne, Samjhne, Nusrat-o-I'aanat Aur Chalne
Firne Ki Quwwat Baki Nahi Rahi To Ye Sara Gumaan
Nusoos-e-Sareeha Ke Sarasar Khilaaf Hai- Allah Ta'ala
Ne Shuhada Ki Shaan Mein Irshaad Farmaya Jab Ki Wo
Ambiya Se Darje Mein Kam Hain:

ِ َٰ ‫و َل تق ُْول ُْوا لِم ْن یَُقْت ُل ِف ْ س ِب ْی ِل‬


‫ب ْل ا ْحیآء َو‬-ُؕ‫اّلل ا ْموات‬
‫ل ٰ ِك ْن ََل ت ْش ُع ُر ْون‬
Tarjuma: Aur Jo Khuda Ki Raah Mein
Maare Jayen Unhen Murda Na Kaho Balki
Wo Zinda Hain, Han Tumhen Khabar Nahi-
(154،‫آتی‬:‫)وسرہرقبہ‬

ِ َٰ ‫ب ال َ ِذ ْین قُ ِتل ُْوا ِف ْ س ِب ْی ِل‬


‫ب ْل‬-ُؕ‫اّلل ا ْموا ًتا‬ َ ‫و َل ت ْحس‬
‫)ف ِر ِح ْنی‬۱۶۹(ۙ‫ا ْحیآء ِع ْند ر َِب ِه ْم ُی ْرزق ُْون‬
Tarjuma: Aur Jo Allah Ki Raah Mein Maare
Gaye Hargiz Unhen Murda Na Khayal
Karna Balki Wo Apne Rab Ke Paas Zinda
Hain Rozi Paate Hain, Shaad Hain -
(170-169،‫آتی‬:‫)وسر ٔہآلرمعان‬
To Agar Ye Loog (Shuhada) Jamaad Aur Patthar
Hain To Aayat Mein Mazkoora Hayat, Rizq, Aur Farha
Ke Kiya Ma'ani Hain
33
Shirk Kya Hai?
Sahi Ahadees Mein Muslmaan Murdon Ko Salam
Karne Ka Hukm Diya Jana Saabit Hai To Agar Unko
Sunne Aur Samjhne Ki Quwwat Hasil Nahi To Is Ilm Se
Kiya Muraad Hai? Meraj Ki Ahadees Mein Marwi Hai
Ki Nabi-e-Karim ‫ ﷺ‬Ne Baitul Muqaddas Mein Ambiya
Ki Imamat Farmaai Phir Un Se Aasmaanon Mein
Mulaqaten Huoin- To (Kaho) Baitul Muqaddas Mein
Imamat Aur Aasmaan Mein Mulaqat Karne Ka Kiya
Matlab? Kiya Nabi-e-Karim ‫ ﷺ‬Ne Murdon Aur
Pattharon Ki Imamat Farmaai Thi? Ya Zindon Ki
Imamat Farmai Thi Jo Ba-Ikhtiyaar Hain Aur Aalam-e-
Malkoot Mein Chalne firne Ki Ek Azeem Quwwat
Rakhne Wale Hain Ki Kisi Waqt Wo Ru-e-Zameen Par
Hain Aur Dosre Lamhe Aasmaan Ki Bulandiyon Mein
Seer Karen - Aur Is Ka Kiya Matlab Hai Ki
Hazrate Musa Alaihis-Salam Ne Hamare Nabi
Alaihis-Salam Se Mulaqat Ki Aur Raat Din Mein
Pachaas Waqt Ki Namaz Ke Hukm Mein Takhfeef
Karane Ka Mutalba Kiya - Agar (Maaz Allah) Hazrate
Musa Alaihis-Salam Murda Hain To Mulaqat Kaisi? Aur
Agar Rasool Allah ‫ ﷺ‬Ummat Ke Liye Sifarish Karne
Aur Amr-e-Ilaahi Mein Guftugu Karne Par Qadir Nahi
To Kese Ummat Ke Khaatir Takhfeef-e-Salaat Ki
Sifaarish Ki Aur Is Muamle Mein Baar Baar Apne Rab
Se Muraja'at Ki Yahan Tak Ki Pachaas Mein Se Sirf
Panch Namazen Baki Reh Gain -
Kiya Bukhari Wa Muslim Ki Ahadees Aur Digar
Kutub Sahi Wa Hisaan Sab Asateer-ul-Awwaleen,
34
Shirk Kya Hai?
Aglon Ki Be-Sar-o-Paa Dastaanen Hain Jin Ko Bayan
Kar Ke Muhaddiseen Ne Khilvaad Kiya Hai? Jaisa Ki
Firqa-e-Ahle Quran Ka Khayal Hai - Koi Muslmaan In
Beshumar Hadison Ko Rad Karne Ki Jur'at Nahi Kar
Sakta - Jaise Is Baat Ki Jur'at Nahi Kar Sakta Ki Door-e-
Sahaba Se Le Kar Aaj Tak Tamam Ummat-e-Muslima
Ko Mushrik Kafir Aur Iman-o-Shirk Ke Ma'ani Se Be-
khabar Kahe - Han Wahabiya Deen Par Sahaba Par Aam
Muslmanon Par Balki Ambiya Wa Rasool Par Allah
Jalla-Jalaaluhu Par Bade Jari Aur Diler Hain Lihaza In
Se Ba'aid Nahi Ki Tamam Makhlooq Ko Balki Khud
Khaaliq Ko Bhi Mishrik Shumaar Karen -
‫اّلل ال ُْم ْشت ٰک‬
ِ َٰ ‫و اِ ٰل‬
(Aur Allah Hi Ki Baargah Mein Shikayat Hai)

Main Mukhtasar Kalam Karna Chahita Tha Magar


Silsila Daraaz Hota Gaya - Ulama-e-Ahle Sunnat Ki
Kitabon Mein Mazeed Tafseeli Behasen Mujood Hain -
Mene
)‫ھ‬1421( ‫حدوث الفنت و جهاد اعیان السنن‬
Mein Bhi Kuch Dalail Wa Abhaas Zikr Kiye Hain
-
Ye Kitaab Hindustaan Mein Raza Academy
Mumbai Aur Al-Majma-ul-Islami, Mubarakpur Se
Shaya Ho Chuki Hai - Misr Beirut Aur Yaman Ke
Mutaddid Idaron Se Bhi Is Ke Kai Acdition Manzar-e-
Aam Par Aa Chuke Hain- Maulana Andul Ghaffar
35
Shirk Kya Hai?
Aazmi Misbaahi Ne Is Ka Urdu Tarjuma Bhi Kiya Hai
Jis Ka Naam Hai "Fitnon Ka Zahoor Aur Ahle Haq Ka
Jihaad" Ye Tarjuma Bhi Al-Majma-ul-Islami,
Mubarakpur Se Kaai Baar Shaya Ho Chuka Hai,
Mulahiza Kar Sakte Hain-

36
Shirk Kya Hai?
Roman Urdu Mein Humari Dusri Kitabein Aur
Rasail :
Bahaar -e- Tehreer (Ab Tak 13 Hisso Mein)
Allah Ta'ala Ko Uparwala Ya Allah Miyan Kehna
Kaisa?
Azaan -e- Bilal Aur Suraj Ka Nikalna
Ishqe Majazi - Muntakhab Mazameen Ka Majmua
Gaana Bajana Band Karo, Tum Musalman Ho!
Shabe Meraj Ghause Paak
Shabe Meraj Nalain Arsh Par
Hazrate Owais Qarni Ka Ek Waqiya
Dr. Tahir Aur Waqar -e- Millat
Taqreer Karne Waala Kaisa Ho?
Ghaire Sahaba Mein Radiallaho Ta'ala Anho Ka Istemal
Ikhtelaf Ikhtelaf Ikhtelaf
Chand Waqiyaat -e- Karbala Ka Tehqeeqi Jaayeza
Binte Hawwa By Kanize Akhtar
Sex Knowledge
Hazrate Ayyoob Alaihissalam Ke Waqiye Par Tehqeeq
Aurat Ka Janaza By Janabe Ghazal Sahiba
Ek Aashiq Ki Kahani Allama Ibne Jauzi Ki Zubaani
Huzoor Ki Shaan In The Quraan - Mufti Ahmad Yaar
Khan Nayeemi Rahimahullahu Ta'ala
Husne Mustafa Aur Kalame Raza - Maulana Sajjad Ali
Faizi
Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooqe Aazam -
Huzoor Tajushshariah Rahimahullahu Ta'ala

37
Shirk Kya Hai?
Kya Hazrate Bilal Radiallaho Ta'ala Anho Ka Rang
Kaala Tha?
Hazrate Bilal Ke Islam Laane Ka Waqiya Kya Tha?
Sharah Mishkaat (Kitabul Iman) - Mufti Ahmad Yaar
Khan Nayeemi Rahimahullahu Ta'ala
Chand Ghair Motabar Kitabein - Maulana Hasan Noori
Tirmizi (Part 1)
Aaiye Namaz Seekhein (Part 1)
Sharah Mishkaat (Kitabul Ilm) - Mufti Ahmad Yaar
Khan Nayeemi Rahimahullahu Ta'ala
Sahih Bukhari Aur Ilme Ghaib - Allama Muhammad
Abdul Qadir
Difa -e- Kanzul Iman - Huzoor Tajushshariah
Rahimahullahu Ta'ala
Pehle Farz Nafl Baad Mein - Aala Hazrat Rahimahullahu
Ta'ala
Qiyamat Ke Din Logon Ko Kis Ke Naam Ke Saath
Pukara Jayega
Yaare Ghaar By Dr. Asif Ashraf Jalali
Tie Ka Mas'ala - Huzoor Tajushshariah Rahimahullahu
Ta'ala
Sawaneh Tajushshariah - Mufti Dr. Yunus Raza
Huzoor Tajushshariah Aur Bukhari Shareef Ki Pehli
Hadees Ka Dars - Maulana Muhammad Raza Markazi
Huzoor Tajushshariah Ke Kalaam Mein Muhawraat Ka
Istemal - Muhammad Kashif Raza Shaad Misbahi
Hussamul Haramain
Haque Par Kaun? By Allama Muhammad Zafar Attari
38
ABOUT US

Abde Mustafa Official Is A Team From Ahle Sunnat Wa Jama'at


Working Since 2014 On The Aim To Propagate
Quraan And Sunnah
Through Electronic And Print Media.

We are :
Writing articles, composing & publishing books, running
a special matrimonial service for Ahle Sunnat

Visit our official website

www.abdemustafa.in
Books Library

books.abdemustafa.in
about 100+ tehqeeqi pamphlets & books are available in
multiple languages.

E Nikah Matrimony
www.enikah.in
there is also a channel on Telegram
t.me/Enikah (Search “E Nikah Service” on Telegram)

Find us on Social Media Networks :


Subscribe us on YouTube @abdemustafaofficial
like and follow us on Facebook & Instagram @abdemustafaofficial
Join our official Telegram Channel t.me/abdemustafaofficial
Books Library on Telegram t.me/abdemustafalibrary
or search “Abde Mustafa Official” on Google
for more details WhatsApp on +919102520764
AMO
Abde Mustafa Official

SAB YA VIRTUAL PUBLICATION

You might also like