Qarz Ki Adaigi Ka Wazifa
Qarz Ki Adaigi Ka Wazifa
Qarz Ki Adaigi Ka Wazifa
Qarz jaisay marz k liye essay pahlay main ek do amal meray blog me likh chuka hun.ye amal
Ahaadis me aaya hain es amal ka asar yaqini hain.aur jo bhi meray bhai ya bahan qarz ki aafat me
mubtila hain es amal ko puray qakin se karay.insha Allah zaroor zaroor najat milaegi aur aaenda
kabhi qarz k marz me mubtila nahi hongay.
Kuch dost qarz me mubtila hotay hain aur wo mujsay es masalay k liye koi taskheer arwah ka amal
mangtay hain taki usay hasil karkay wo apnay mas’alay suljalay.lekin jab fikr e mash ho to aisay
aamal kamyab nahi hota aur aaj k daur me ek chillay me aisay aamal me kamyab hona na mumkin
sa hain esliye bahtar to ye hi hain ki sab se pahlay apnay aap ko sunnat w shariyat k paband bana
liya jaen.rizq halal ki koshish me rahay.gibat juth kinna,hasad,bad nigahi jaisay gunaho se dur
rahnay ki koshish kartay rahay.rozana durood e pak aur astagfaar ki aaadat banalay aur sab se
barhi bat hain ki Allah taala se na ummid na ho.
kyu k mujay kai mails aur msg aisay hotay hain jismay saaf Allah se na ummidi zahir hoti
hain.duniya ko hamaray nabi e pak sallallahu alayhi w sallam ne Jail qaraar diya hain.to Jail ya qaid
me bhi kabhi Rahat hoti hain? Aur agar kuch Rahat hain bhi to ye Kitni barhi neamat hain? Ham jis
maqsad k liye bhejay gaye hain usay yad Rakhay aur kana’at paida karay.Allah ka shukr ada kartay
rahay.insha Allah jail me qaid me bhi rahat milti jaegi.aur duniya ka koi bhi insan ho uski zindgi me
khushi kam gham ziada hi milaegay.kyu? to takhlik e aadam k waqiye ka muta’ala kar lijye samj
aajaega.
Khair sab se pahlay to Allah Rabbul izzat ki bargah me apnay Habib sallallahu alayhi w sallam aur
unki Aal w Aulad aur Sahaba e ikram k tufayl dil se dua hain ki Agar meri choti si dag dag jaoli me
kuch nekiya bhi hain jo kabil e kabool hain to meray tamaam Ashiq e Rasool bhai aur bahan ko qarz
ki bala se nijat ata karay aur iman w izzat ki hifazat ata karay aameen…ya Rabbul aalmeen…bi jahin
nabi a kareem…!
Urooj mah me yani chand 1 se 14 k darmiyan kisi bhi jumerat se ye amal shuru karna hain.
Isha ki namaz k bad gusal karkay pak kapday pahan kar khushbu laga kar kisi goshay e tanhayi me
chahay ghar me kamray k kisi konay me ya masjid me kisi konay me do rakat namaz hajat ada e
qarz ki niyyat se parhay.har rakat me su.fateha k bad su.ikhlas 3 martba parhay.
Uskay bad 11 martba durood e pak[agar durood e tunajjina sharif parhay to behtar] parhay aur phir
zail ki dua ko 200 martba parhay….
ْ ال َّل ُه َّم ْاكفِنِي ِب َحاَل لِ َ"ك َعنْ َح َرا ِم َك َوأَ ْغ ِننِي ِب َف
ْ ضلِ َك َع َّمنْ سِ َو
اك
Allahumma Akfini Bi Halalika 'An Haramika Wa Aghnini Bi Fadlika 'Amman Siwak.
Pahlay din jis waqt shuru kiya tha usi waqt pe phir rozana parha karay.ab rozana amal se gusl
karnay ki ya namaz e hajat ki zaroorat nahi.lekin parhezgari ki zindgi guzara karay yani gunah se
bachay shariyat ki pabandi ki koshish me rahay.amal k bad Allah ki bargah me gidgida kar dua
manga karay.40 din ka ek chilla hain.insha Allah 40 din me aapka qarz ada ho jaega ya kam se kam
uskay ada honay ka koi zariya Allah paida kar dega.aur agar dusra chilla karaengay to qarz ada ho
kar maal me khair o barkat paida ho jaegi rizq me barkat hogi ki tangdast na rahengay aur agar 3ra
chilla bhi karengay to insha Allah aap dusro ki madad k kabil rahaengay aur rozana ta zindgi parhtay
rahaengay to kabhi mohtaj na hongay.