Hadith - Roman Eng
Hadith - Roman Eng
Hadith - Roman Eng
[Rawa-hubne Majjah]
"Hazrat Usmaan Bin Affan RadiAllahuAnhuma bayan karte hai ki Huzoor Nabi Al Kareem
SallallahuAlaihiWaSallam ne farmaya: Roze Qayamat teen giroh shafa'at karein ge: Ambiyaa, Ulemaa aur
shuhada"
Mazameen:
....................................................................................................................
*Hadith 2*
"Hazrat Abu Darda RadiAllahuAnhu se marwi hai wo farmate hai ki Rasool Allah SallallahuAlaihiWaSallam
ne irshaad farmaya: *Meri ummat me se jisne bhi chalis [40] hadith yaad kiya jo deen ke ehkamaat ke
mutaliq ho Allah Ta'ala use qayamat ke din faqih banakar utaayega aur mein us din uske liya shafa'at bhi
karunga aur uske liye gawah bhi rahunga"*
*Mazameen:*
1) 40 ahadees yaad karne wale ko qayamat me ehle ilm me shumaar kiya jayega.
2) 40 ahadees yaad karne wale ko Huzoor Nabi SallallahuAllahiWaSallam ki shafa'at mayasar aayegi.
.......................................................................................
*Hadith 3:*
[Rawa-hut-tirmizi]
"Hazrat Abdullah Bin Masood RadiAllahuAnhuma se riwayat hai : Mein ne Huzoor Nabi Kamreem
SallallahuAlaihiWaAalihiWaSallam ko farmate hue suna: *Allah Ta'ala us shakhs ko khush wa khuram
rakhe jisne humse koi baat suni aur use dusro tak aisehi pohchaya jaise suni thi. Boht se log jinhe ilm
pohchaya jaye sunne wale se ziyada samajhdaar hote hai."*
[Al-Tirmizi]
*Mazameen:*
2) Ilme hadees ko farogh dena Aaqa Salato WasSalaam Ki Raza Ka Bayas Hai.
....................................................................................................
*Hadith 4*
Mayi-yuridillahu bihee Khairainyy Yufaqqih hoo Fiddeen. Wa Innamaa Ana Qasimunw Wallahu Yuútee.
[Rawa hu Bukhariyu]
*Allah Taàla jiske saath bhalaayi ka irada farmata hy, Usey Deen ki Samjh-Boojh ataa Farmaa deta hy, Aur
mai hi Taqseem Karne Waala hu Jab ke Allah Taàla Mujhe Ataa karta hy.*
Mazameen:
.......................................................................................................................
*Hadith 5*
Hazrat Abu Zar Ghaf'fari RadiAllahuAnhu bayan karte hai - "Huzoor ﷺne mujhe
farmaya: Subha ke waqt tumhara ilm ka koi baab seekhna chahe uspar amal huwa ya na huwa tumhare
aik hazaar raq'at nafil namaaz adaa karne se behtar hai. "
Mazameen :
1) Ilm ka aik baab seekhna 1000 rakat nafil padhne se behtar hai.
2) Ilm hamesha aise amal par fazilat rakhta hai jo baghair ilm ke ho.
.........................................................................................................................
*Hadith 6*
Hazrat Abdullah Bin Masood RadiAllahuma riwayat karte hai ki Huzoor Nabi Kareem
SallallahoAlaihiWaSallam ne farmaya : Musalman ko gali dena fisq hai aur uske saath qatal karna kufr hai.
*Mazameen :*
2) Musalman (Insaan) ke qatal ko jaiz samajh kar qatal karna kufar hai.
.................................................................................................................................
*Hadith 7*
[Al-Bukhari]
"Hazrat Abdullah Bin Umar RadiAllahuAnhuma riwayat karte hai ki Huzoor Nabi Al Kareem
SallallahuAlaihiWaSallam ne farmaya:*Jis shakhs ne hum (yani musalmano) par hathiyaar uthaya wo
humein se nhi."*
*Mazameen:*
1) Huzoor Nabi Kareem SallallahuAlaihiWaSallam ne musalmano par aslaha uthane wale ko ummat se
khaarij farmaya hai.
2) Musalmano ko harasa aur khauf zadah karne walo se Huzoor SallallahoAlaihiWaSallam ne la-ta'aluqi
ka ailaam farmaya.
..................................................................................................................................
*Hadith 8*
An Abdillah hibni Amrin RadiAllahu Anhuma Qaal : Inna Rajoolan Sa-a'-lan Nabiyaa
SallallahuAlaihiWaSallam: Ayyul Musliminaa Khayr ? Qaal : Man Salimal Muslimoona Min Lisaanihi
Wayadihi. [Muttafaqun Alaihi]
"Hazrat Abdullah Bin Amr RadiAllahuAnhuma se marwi hai ki aik aadmi ne Huzoor Nabi Kareem
SallallahuAlaihiWaSallam se arz kiya: *Konsa musalmaan afzal hai? Aap SallallahoAlaihiWaSallam ne
farmaya: Jiske zubaan aur haath se dusre musalmaan mehfooz ho".*
*Mazameen:*
.......................................................................................................................
.......................................................................................................................
*Hadith 10*
Hazrat Abdullah Bin Umar RadiAllahuAnhuma se riwayat hai ki Huzoor Nabi Al Kareem
SallallahoAlaihiWaSallam ne farmaya :*Islam Ki Bunyaad paanch cheezo me hai : Ye Gawahi Dena Ki Allah
Ta'ala ke siwa koi mabood nahi aur ye ki Muhammad SallallahoAlaihiWaSallam Allah Ta'ala Ke Rasool Hai,
aur namaz qayam karna, zakaat ada karna, haj karna aur ramzaan ke roze rakhn."*
Mazameen:
Arkaane Islaam Paanch (5) hai. Shahadat Tauheed Wa Risalat, Namaaz Qaayam Karna , Roza, Hajj aur
Zakat.
...............................................................................................................................
*Hadith 12*
"Hazrat Abu Huraira RadiAllahuAnhu semarwi hai li Huzoor Nabi Kareem SallallahuAlaihiWaSallam ne
farmaya: *Jis shakhs ne halate Imaan me aur sawab ki niyat se ramzaan ke roze rakhe to us ke saabiqa
gunah muaaf kardiye jate hai aur jo ramzaan me Imaan ki halat aur sawab ki niyat se qayaam karta hai to
uske (bhi) sabiqa gunah muaaf kardiye jate hai aur jo Lailatul Qadar me Imaan Ki Halat Aur Sawab Ki
niyat se qayaam kare uske guzishta gunah baksh diye jaate hai"*
*Mazameen*
2) Maahe ramzan ki raato me qayaam (taraweeh) sabiqaa gunaho ka kaffarah ban jaati hai.
3) Lailatul Qadar ki aik raat ka qayaam zindagi ke gunaho ki muaafi ka sabab ban jaati hai.
................................................................................................................
*Hadith 13*
[Al Bukhari]
1) Har saal aitikaaf baithna Huzoor Nabi Kareem SallallahuAlaihiWaSallam Ka Mamool Mubarak Tha.
.............................................................................................................
*Hadith 14*
[Ibne Majjah]
“Hazrat Abu Huraira RadiAllahuAnhu riwayat karte hai ki Huzoor Nabi Kareem SallallahuAlaihiWaSallam
ne farmaya: Imaam is liye banaya jata hai ki uski iqtida ki jaye, jab wo AllahuAkbar kahe to tum log bhi
Allahu Akbar kaho, aur jab qiraat kare to chup raho.”
*Mazameen:*
..............................................................................................................................................
*Hadith 15*
Anil Bara’ RadiAllahuAnhu Anna Rasoolallahi SallallahoAlaihiWaSallam Kana Izaf Tatahas Salata Rafa
Yadaihi Ila Qareemim Min Uznaihi Summa Layoodu.
“Hazrat Bara Bin Azib RadiAllahuAnhu Riwayat karte hai ki Huzoor Nabi Kareem SallallahoAlaihiWaSallam
Jab Namaaz Shuru Karte To Apne Dono Haath Kaano Tak Uthate, Aur Phir Aisa Na Karte”
*Mazameen :*
1) Huzoor Nabi Kareem SallalhoAlaihiWaSallam Takbeer Taihreema Me Haath Kaano Tak Buland Farmate
The