Poetry Poetry

Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 8

Itna Sa Yaad Rakh Mujhay

Jaise Kisi Kitaab Main


Beetay Dino K Dost Ka
Ek Khat Para Hua Mila

Lafz Mity Mity Se Hon


Rang Ura Ura Sa Ho
Likin Woh Ajnabi Na Ho

Bhoolay Huay Tamam Dukh


Guzre Huay Tamam Sukh
Beetay Dino Ka Sab Kuch
Tujh Se Kahai Aur Ro Paray

Bas Itna Sa Yaad Rakh Mujhay


K Jab Kabhi Baat Be Baat
Yaad Hamari Ajaye
To Thoda Sa Muskura Lyna
Or Dill Ko Yeh Samjha Lyna

Nadan Sa Tha Par Acha Tha


Ik Dost Hamara Sacha Sa Tha.~~~```
Mezan-E-Ishq Mein Jab Barha Tola.
Muskan-E-Yar Tib-E-Luqman Se Behtar Nikli.

Mohabat Jheel Jaise Ha.


Najane Kitne Gehri Ha.

Jaanta Hun Ek Aise Shakhs Ko Main Bhi 'Munir.


Ghum Se Patthar Ho Gaya Lekin Kabhi Roya Nahi.

Ghazal

Mujhe Acha Sa Lagta Hai


Tumhi Ko Dekhte Rehna
Tumhi Ko Chahate Rehna
Tumhi Ko Sochte Rehna

Tumhi Ko Sunte Rehna


Bohat Gherey Khayalon Main
Jawabon Main Sawalon Main
Muhabbat K Hawalon Main
Tumhara Nam Aajana
Mujhe Acha Sa Lagta Hai
Tumhare Sang Sang Chalna
Wafa Ki Aag Main Jalna
Tumhain Naraz Kar Dena
Kabhi Khud Bhi Rooth Jana
Tumhari Berukhi Pe Bhi
Tumhari Aarozo Karna
Khud Apne Dil Ki Dharkan Se
Tumhari Guftugu Karna
Mujhe Acha Sa Lagta Hai

Ghazal

Na Ganvaao Naavak-E-Neemkash,
Dil-E-Reza Reza Ganva Diya
;
Jo Bache Hain Sang Samet Lo,
Tan-E-Daag Daag Luta Diya
;
Mere Chaaragar Ko Naved Ho, Saf-
E-Dushmanaa Ko Khabar Karo
;
Wo Jo Qarz Rakhte The Jaan Par,
Wo Hisaab Aaj Chuka Diya
;
Karo Kaj Jabin Pe Sar-E-Kafan,
Mere Qaatilon Ko Gumaan Na Ho
;
Ki Guroor-E-Ishq Kaa Baankpan,
Pas-E-Marg Hamne Bhula Diya
;
Udhar Ek Harf Ki Kushtani,
Yahaan Laakh Uzr Tha Guftani
;
Jo Kaha To Sun Ke Uda Diya,
Jo Likha To Pad Ke Mita Diya
;
Jo Ruke To Koh-E-Garaan The Ham,
Jo Chale To Jaan Se Guzar Gaye
;
Rah-E-Yaar Hamne Qadam Qadam,
Tujhe Yaadgaar Bana Diya

-------------

Koi Pochay Zara In Say..


Keh Dil Jab Mar Gaya Ho
To
Kiya Tadfeen Jaiyz Hai?

Mohallay Ki Kisi Masjid Mein,


Kiya Elaan Wajib Hai??

Koi Pochay Zara In Say..


Mohabbat Chorr Dainay Par,
Dilon Ko Torr Dainay Par,
Koi Fatwa Nahi Lagta??
Ajab Qanoon Hai Sahib!!
Koi Poche Zara In Say..
Mohabbat Iss ko Kehtay Hain??
Jo Sab Kuch Khatam Karti Hai??
Dilon Ko Bhasm Karti Hai??

Agar Yehi Mohabbat Hai,


To
Phir Aisi Mohabbat Say,
To
Apni Be'rukhi Achi..

Agar Yehi Mohabbat Hai, To


Phir Aisi Mohabbat Say,
To
Mout He Achi'.....

--------------
Tumhein Hum Apna DiL Samjhe
Tumhein ApniNazar Janaa.
Magar Tum ne Hamare ISHQ Ko Na
Mout'barjanaa.

Meri Zooq-e-Nazar ka Alam hi


Nairala Hai.
K Har Zarre Ko Main Ne Aap Hi Ka
Sang-e-DarJanaa.

Hum Apne Azam Par Qaim Rahe


Rah-e-Muhabat Me.
Na Agaz-e-Safar samjhe Na Anjam-
e-safar Janaa.

Zamane Ki Nigah0n Me Tumhi Tum


Thay Tumhi Tum Ho.
Bura Kiya Hai Jo Main ne B Tumhen
Jaan-e-Nazar Janaa.
Nazara Kar Rahe Hein Aaj Wo Meri
Tabahi Ka.
Zafar.! Acha Nahi Aise Me Marr
Janaa.

-----------------------

You might also like