Concept of Self Respect (Khudi) : . Nigah-E-Faqr Main Shaan-E-Sikandari Kya Hai?

Download as doc, pdf, or txt
Download as doc, pdf, or txt
You are on page 1of 26
At a glance
Powered by AI
Some of the key takeaways from the poetry include emphasizing self-respect, faith, serving humanity, and standing up against colonial influence.

Dr. Iqbal is urging Muslims to rediscover their faith and identity, reject colonial influences, and work to empower themselves and their nation instead of remaining passive or dependent.

Dr. Iqbal discusses themes like faith, serving humanity, self-respect, resisting colonial influence, the importance of strong individual character and leadership.

Concept of Self Respect (Khudi)

*.     Nigah-e-faqr main shaan-e-sikandari kya hai?


        Khiraaj ki jo gada ho, wo qaiseri kya hai?
        Falaq nay ki hai ata un ko khaajgi kay jinhain
        Khabar nahin rawish-e-banda parwari kya hai?
        Kissey nahin hai tamanna-e-sarwari lekin
        Khudi ki mout ho jis main, wo sarwari kya hai?
        Buton say tujh ko umeedain, Khuda say no meedi
        Mujhey bata tou sahi aur kaafri kya hai?
 
(Meanings: Nigah-e-Faqr  main shan-e-sikandari kya hai = What is the worth of
kingdom in eyes of a saint?; Khiraj ki jo gada ho, wo qeseri kya hai = Such a rule in
which ruler is always worried about keeping it secure, is worthless; Falaq = Nature;
Khaajgi = Ruling class; Khabar nahin = Ignored; rawish-e-banda parwari = Sense of
serving humanity; tamanna-e-sarwari = Desires to rule; Khudi ki mout ho jis main
wo sarwari kya hai = Such rule is insulting to gain which, self respect is required to
be sacrificed; Buton = Idols (referring to fellow human beings here); umeedain =
Expectations; no meedi = Disappointment; Kaafri = Non Muslim who donot believe
in Oneness of God)
 
*.     Aey Tair-e-Lahooti, uss rizq say mout achi
          Jis rizq say aati ho, parwaz main kotahi
          Aain-e-jawanmardi, haq goi-o-bay baaqi
          Allah kay sheron ko, aati nahin rubaahi
 
(Meanings: Tair-e-Lahooti = Simile, addressing to Muslim youth; Rizq =
food/income; Kotahi = Laziness, denotatively and connotatively referring to slavery
here; Aain-e-Jawanmardi = Conditions to live with dignity; Haq goi = Honesty; Bay
Baaqi = Bravery; Rubaahi = cunningness, hypocrisy)
 
 
*.     Hai Fikr mujhey misra-e-saani ki zyada
         Allah karey tujh ko ata Fuqr ki talwaar
         Jo haath main ye talwaar bhi aa jayey tou Momin
         Ya Khalid-e-Janbaaz hai, Ya Haider-e-Karrar
 
 (Meanings: misra-e-saani = proceeding verse; Fuqr ki talwar = Strong Faith;
Khalid-e-Janbaaz = Khalid Bin Waleed (May Allah be pleased with him); Haider-e-
Karrar= Ali Ibn-e-Abu Talib (May Allah be pleased with him))
 
*.     Wo kal kay gham-o-aish per kuch Haq nahin rakhta
         Jo aaj khud afroz-o-jigar soz nahin hai
         Wo qaum nahin laiq-e-hangama-e-farda
         Jis qaum ki taqdeer main imroz nahin hai
 
(Meanings: gham-o-aish = thick n' thin; khud afroz-o-jigar soz = A person with
motivation and determination; Laiq-e-hangama-e-farda = worthy to survive
anymore; imroz = Present)
 
*.     Paani paani ho gaya sun ker Qalander ki ye baat
         Tu jhuka jab ghair key aagey, na tann tera na mann
         Apney mann main dub kay pa ja suragh-e-zindagi
         Tu agar mera nahi banta, na ban, apna tou bann
 
(Meanings: paani paani ho gaya = ashamed of oneself; Qalander = Saint; Ghair =
Stranger (British here); tann and mann = Body and Soul; suragh-e-zindagi =
Connotatively referring to secrets to live prestigious life)

*.     Ho terey bayaban ki hawa tujh ko gawara


         Iss dasht say behter hai na Dilli na Bukhara
         Jis simt main chahey, sift-e-sal-e-rawan chal
         Wadi ye hamari hai, wo sehra bhi hamara
         Ghairat hai bari cheez jahan-e-tag-o-dou main
         Pehnati hai derwaish ko taj-e-sir-e-dara
         Afraad kay haathon main hai akwaam ki taqdeer
         Her fard hai millat kau muqaddar ka sitara
         Deen haath say dey ker agar azad ho millat
         Hai aisi tijarat main Musalaman ka khasara
(Dr. Iqbal is addressing British here)
(Meanings: Bayaban = referring to Britain here; gawara = acceptable; dasht =
Desert denotatively (India  connotatively); Simt = Direction; sift-e-sal-e-rawan =
Continuous flow; Wadi = Valley; Sehra = Desert; Ghairat = Self Respect; Jahan-e-
tag-o-dou = World of struggle; Derwesh = begger here; Taj-e-sir-e-dara= Royal
crown; Afraad = People; Akwaam = Nations; Fard = Individual; Millat = Nation;
Muqaddar = destiny; Deen = Islam; Tijarat = Deal/Trade agreement; Khasara =
Loss)
 
 
*.     Kabhi aey, Naujawan Muslim! taddabur bhi kiya tu ney?
          Wo kya gardon tha tu jis ka hai ik toota hua tara
          Tujhey uss qaum nay pala hai aaghosh-e-mohabbat main
          Kuchal dala tha jis nay paon main taaj-e-sir-e-dara

(Meanings: Taddabur = To think; Gardon = Sky (Simile, group of Prophet (PBUH)


and his companions here); Qaum = Nation (Muslims here); Aaghosh-e-Mohabbat =
Caring protection; Kuchal = Trample; Taj-e-sir-e-dara = Royal crown)
*.     Hawa-e-byaban say hoti hai kaari
         Jawanmard ki zarbat-e-ghaaziyanan
         Paltna, jhapatna, jhapat kay palatna
         Lahu garm rakhney ka hai ik bahana
         Parindon ki duniya ka derwesh hon main
         Kay shaheen banata nahin aashiyana

(Meanings: Hawa-e-byaban = Deserts (referring to challenging tasks here); Kaari =


Influential; Jawanmard = Brave man; Zarbat-e-Ghaziana = Daring strike; Lahu =
Blood; Bahana = Excuse; Derwesh = Saint; Shaheen = Falcon (Muslim youth here);
Aashiyana = Permanent residence)

  *.    Utha mat khana-e-shesha-e-farang kay ihsaan


         Sifaal-e-Hind say meena-o-jaam paida ker
         Hazar chasshmey teri sang-e-rah say phootey
         Khudi main doob kay zarb-e-kaleem paida ker
 
(Meanings: Khana-e-sheesha-e-farang = Referring to British here; Sifaal-e-Hind =
Referring to former united India (sub contient) here; Meena-o-jaam = Referring to
necessities of life here; Chasshmey = Denotatively means fountains but connotative
meanings here, referring to obstacles; Sang-e-rah = Track/path; Phootey =
Emergence; Zarb-e-Kaleem = Powerful Strike)
 
*.     Nahin tera nash-e-mann kasr-e-sultani kay gumband per
         Tu Shaheen hai basera ker paharon ki chatanon per
 
(Meanings: nash-e-mann = home; kasr-e-sultani = denotatively, it stands for royal
palace but here, it means ease and laziness; Basera = Shelter; Chatanon = Rocks)
 
*.     Aghyaar kay ufkaar-o-takhayyul ki gadai
        Kya tujh ko nahin apni khudi tak bhi rasai?

(Meanings: Aghyaar = Referring to British; Ufkaar = Policies; Takhayyul =


Theories; Gadai= to beg; rasai = access)

*.     Khudi ko ker buland itna kay her taqdeer say pehley
        Khuda bandey say khud poochey bata teri raza kya hai
 
*.     Ghulami main na kaam aati hain shamsheerain, na tadbeerain
         Jo ho shok-e-yaqeen paida tou cut jaati hain zanjeerain
         Koi andaza ker sakta hai iss kay zor-e-bazu ka?
         Nigha-e-mard-e-momin say badal jati hain taqdeerain
 
(Meanings: Ghulami = Slavery; Shamsheerain = Swords; Tadbeerain = Plannings;
Shok-e-yaqeen = Sense of self respect; Zanjeerain = restraints; Andaza= Guess; Zor-
e-Bazu= Strength; Nigah-e-Mard-e-Momin = Glare of a Muslim (connotatively
referring to strength of a strong faith Muslim); Taqdeerain = Destiny)
Prayers for improvement in condition of Muslims and encouragement of Muslim
youth in light of history
*.     Ghareeb-o-sada-o-rangeen hain daastan-e-Haram
         Nihayat iss ki Hussain, Ibtada hai Ismail
 
(Meanings: Ghareeb-o-Sada-o-Rangeen = Simple and full of lessons of honesty,
determination, devotion; Dastan-e-Haram = History of Islam; Nihayat = Conclusion;
Hussain = Grandson of Prophet (PBUH), Hussain (may Allah be pleased with him)
who sacrificed his life to keep the flag of Islam high; Ibtada = Beginning; Ismail =
Prophet Ismail (PBUH))
 
*.     Ye Ghazi ye Terey purisraar bandey
        Jinhain Tu nay bakhsha hai zoq-e-Khudai
        Dou neem inn ki thokar say sehra-o-darya
        Simmat ker paharr inn ki haibat say rai
        Dou alam say beygana kerti hai dil ko
        Ajab cheez hai lazzat-e-aashnai
        Shahadat hai matloob-o-maqsood-e-Momin
        Na maal-e-ghaneemat, na kishwar kushai
(Meanings: Ghazi = Brave warriors; Terey = Referring to Allah; Purisrar Bandey =
Devoted slaves; bakhsha = blessed with; zoq-e-Khudai = Love for God; Dou neem =
minor stuff; thokar = kick; sehra-o-darya = deserts and rivers; simat = to contract;
paharr = mountains; haibat = grace; rai = giving way to; dou alam = universe;
baygana = indifferent; ajab = amazing; cheez = devotion; lazzat-e-aashnai = Strong
faith; Shahadat = Martyrdom; Matloob = Required; Maqsood = Goal; Momin =
Muslim; Maal-e-ghanimat = booty of war; Kishwar kushai = appraisal)
 
*.     Cheen-o-Arab hamara, Hindustan hamara
        Muslim main hum, watan hai sara jahan hamara
        Tauheed ki amanat senon main hai hamarey
        Asan nahin mitana naam-o-nishaan hamara
        Duniya kay bu't kadon main, wo pehla ghar Khuda ka
        Hum uss kay pasban hain, wo pasban hamara
        Baatil say dabney waley, aey Asman! nahin hum
        Sou baar ker chuka hai Tu imtihan hamara
        Salar-e-Karwan hai Meer-e-Hijaaz (PBUH) apna
        Iss naam say hai baaqi, aaram-e-jahan hamara
        Iqbal ka tarana baang-e-dara hai goya
        Hota hai jada paima, phir karwan hamara
(Meanings: Cheen-o-Arab = China and Arabia; Hindustan = India; watan =
homeland; jahan = world; Tauheed ki amanat = Islam; Senon = Insight; asan = easy;
mitana = eliminate; naam-o-nishan = survival; bu't kadon = idol temples; pehla ghar
Khuda ka = Referring to Khana Kaaba; pasban = Protector; Baatil = Oppression;
Dabney waley = Oppressed; Asman = Nature; Salar-e-Karwan = Leader of Caravan;
Meer-e-Hijaaz (PBUH) = Muhammad (PBUH); Aaram-e-jahan = satisfaction;
Tarana = Anthem; bang-e-dara = Voice of bell; jada paima = reactivate)
 
*.     Ya Rabb! dil-e-Muslim ko wo zinda tammana dey
        Jo qalb ko germa dey, jo rooh ko tarpa dey
        Phir wadi-e-faran kay her zarrey ko chamka dey
        Phir shok-e-tamasha dey, phir zoq-e-taqaza dey
        Mehroom-e-tamasha ko phir deeda-e-beena dey
        Dekha hai jo kuch main nay, auron ko bhi dikhla dey
        Bhatkey huey aahu ko phir su-e-Haram ley chal
        Iss sheher kay khugar ko phir wus'at-e-sehra dey
        Iss dour ki zulmat main her qalb-e-pareshan ko
        Wo dagh-e-mohabbat dey, jo chand ko sherma dey
        Ihsaas inayat ker aasar-e-museebat ka
        Imroz ki shorish main andesha-e-farda dey
        Main bulbul-e-nalan hun ik ujray gulistan ka
       Taseer ka sa'il hun, mohtaaj ko Datta dey
(Meanings: Zinda Tammanna = Motivation; Qalb = Heart; Rooh = Soul; wadi-e-
faran = Islamic nation; Chamka dey= Shine; shok-e-tamasha = Determination; Zoq-
e-taqaza = zeal; Mehroom-e-tamasha = Ignored; deeda-e-beena = awareness; bhatkey
huey aahu = referring to Muslim nation who has gone astray; su-e-Haram =
awareness of Islam; Khugar = Thoughts; wus'at-e-sehra = Broad horizon; zulmat =
darkness/depression; qalb-e-pareshan = depressed; dagh-e-mohabbat = relaxation
(referring to Islam) ; Ihsaas = Awareness; inayat = Bless; asar-e-museebat =
expected hurdles; imroz ki shorish = commitments of present; andesha-e-farda =
Foresight; bulbul-e-nalan = complaining; ujray gulistan = referring to downtrodden
Muslim nation; Taseer = Blessing; Sa'il = begger; Mohtaj = begger; Datta = Allah)
 
*.    Ye faizan-e-nazar tha kay maktab ki karamat thi
        Sikhayey kis nay Ismail ko aadab-e-farzandi?
        Terey azad bandon ki na ye duniya na wo duniya
        Yahan merney ki pabandi, wahan jeeney ki pabandi
(Meanings: faizan-e-nazar = Special blessings; maktab = School/training institute;
karamat = credit; sikhayey = to educate; aadab-e-farzandi = obedience for parents)
 
*.     Her lehza hai Momin ki nayi shaan, nayi aan
        Guftaar main, kirdaar main, Allah ki Burhaan
        Qahari-o-ghaffari-o-qadusi-o-jabroot
        Ye chaar anaasir hon tou banta hai Musalman
        Hamsaya-e-Jibreel-e-Ameen, Banda-e-Khaaki
        Hai iss ka nash-e-mann na Bukhara na Badakhshaan
         Jis say jigr-e-lala main thandak ho wo shabnam
         Daryaon kay dil jis say dehel jayen wo toofan
          Ye raaz kisi ko nahin maloom kay Momin
         Qari nazar aata hai, haqeeqat main hai Quran
(Meanings: lehza = moment; shaan = grace; aan = dignity; guftaar = speech; kirdaar
= character; burhan = reflection; Qahari = Strict; Anasir = factors; Hamsaya-e-
Jibreel-e-Amin banda-e-khaki = Referring to a true Muslim who is given simile to as
worthy as angel Gabriel;  Nash-e-mann = premanent residence; jigr-e-lala = flower;
shabnam = dew drops; dehel = to tremble; tufan = thunder; raaz = secret; qari = one
who recites)
 
 
*.     Nikal kay sehra say jis nay Roma ki saltanat ko ulat diya tha
         Suna hai qudsiyon say main nay, wo sher phir hoshyar ho ga
         Khuda kay bandey tou hain hazaron, banon main phirtey hain marey marey
         Main uss ka banda banon ga jis ko Khuda kay bandon say pyar ho ga
(Meanings: saltanat = State; ulat = to conquer; Qudsiyon = fortune tellers; sher =
lion (referring to Sultan Salah ud Din Ayubi and other brave Muslims); hoshyar =
Attention; banon = forests)
 
*.     Guftaar-e-syasat main watan aur hi kuch hai
         Irshaad-e-Naboo'at (PBUH) main watan aur hi kuch hai
(Meanings: Guftaar-e-syasat = in political terms; Irshad-e-Naboo'at (PBUH) =
Sayings of Muhammad (PBUH))
 
*.     Apney parwanon ko phir zoq-e-khud afrozi dey
        Barq-e-daireena ko farman-e-jigar sozi dey
(Praying to God)
(Meanings: Parwanon = Believers; zoq-e-khud afrozi = sense of self respect; Barq-e-
daireena = Strength of old times; farman-e-jigar sozi = Faith)
 
*.     Aankh ko baydaar ker dey wada-e-deedar say
        Zinda ker dey dil ko soz-e-johar-e-guftaar say
(Praying to God)
(Meanings: Aankh = vision; baydaar = conscious; wada-e-deedar = Promise of
keeping true Faith; soz-e-johar-e-guftar = Faith)
 
*.     Shab guraizan ho gi aakhir jalwa-e-khursheed say
        Ye chaman mamoor ho ga naghma-e-Tauheed say
(Meanings: Shab guraizan ho gi aakhir jalwa-e-khursheed say = Sunshine will
dominate the darkness of night eventually; chaman = referring to Islam; mamoor =
blessed; naghma-e-tauheed = Islam)
 
*.     Dilon ko markez-e-mehr-o-wafa ker
        Hareem-e-Kibriya say aashna ker
        Jissey nan-e-jaween bakhshi hai Tu nay
        Ussey bazo-e-Haider bhi ata ker
(praying to God)
(Meanings: Dilon = Hearts/insights/thoughts; markaz-e-mehr-o-wafa = Center of
love and loyalty; Hareem-e-Kibriya = God; aashna = Familiar; Nan-e-jaween =
determination; Bazu-e-Haider = Strength and faith of Ali (may Allah be pleased
with him))
 
*.     Azaim ko senon main baydaar ker dey
         Nigah-e-Musalman ko talwaar ker dey
(Praying to God)
(Meanings: Azaim = Motivations; senon = insights; baydaar = conscious)
 
*.     Taqdeer kay paband nabatat-o-jamadat
         Momin faqat ehkaam-e-ILahi ka hai paband
(Meanings: Taqdeer = Fortune; paband = restricted; nabatat-o-jamadat = low lives/
weak people; ehkaam-e-ILahi = Commandments of Allah)
 
*.     Zameer-e-lala main roshan chiragh-e-aarzu ker dey
        Chamman kay zarrey zarrey ko shaheed-e-justaju ker dey
(Praying to God)
(Meanings: Zameer-e-lala = Insight of Muslims; roshan = enlighten; chiragh-e-aazru
= Lamp of hopes; zarrey = each part; shaheed-e-justaju = strive to be stronger)
 
*.     Bazu tera Tauheed ki quat say qawi hai
        Islam tera des hai, tu Mustafawi hai
        Nizara-e-daireena zamaney ko dikha dey
        Aey Mustafawi! khaak main iss bu't ko mila dey
(Meanings: Qawi = strong; des = country; Mustafawi = Referring to Muslims here;
Nizara-e-daireena = Old times when Muslims used to be the most united and strong
power)
 
*.     Phir dilon ko yaad aa jayey ga paigham-e-sajood
        Phir jabeen khaak-e-Haram say aashna ho jayey gi
        Aankh jo kuch dekhti hai, lab pay aa sakta nahin
        Mehw-e-hairat hon kay duniya kya say kya ho jayey gi
(Meanings: paigham-e-sajood = Message of Muhammad (PBUH); jabeen =
foreheads; khak-e-Haram = referring to worship of Allah; lab = lips; mehw-e-hairat
= amazed)

Miscellaneous 

*.     Wo dana-e-subul, khatam-ur-rasul, maula-e-kul jis ney


         Ghubar-e-rah ko bakhsha farogh-e-wadi-e-seena
         Nigah-e-ishq-o-masti main wohi awwal wohi aakhir
         Wohi Quran, wohi Furqan, wohi Yasin, wohi Taha
(Referring to Prophet Muhammad (Peace Be Upon Him))
 
*.     Teri nigah main sabit nahin Khuda ka wajood?
         Meri nigah main sabit nahin wajood tera
         Wajood kya hai? faqat johar-e-khudi ki namu
         Kay apni fiker ker, johar hai baynamud tera
 
*.     Zairan-e-Kaba say Iqbal, ye poochey koi
        Kya Haram ka tohfa zam zam kay siwa kuch bhi nahin?
 
*.     Gulzar-e-hast-o-bood na baigana waar dekh
        Hai dekhney ki cheez, issey bar bar dekh
        Aya hai tu jahan main misl-e-shola zaar dekh
        Dam dey na jayye hasti-e-napaydar dekh
        Mana kay teri deed kay qabil nahin hon main
        Tu mera shok dekh, mera intizaar dekh
        Kholi hain zoq-e-deed nay aankhain teri agar
        Her rehguzar main naqsh-e-kaf-e-paay-e-yaar dekh
 
*.     Iss chaman main murgh-e-dil gayey na azadi kay geet
        Aah! ye gulshan nahin aisey taraney kay liyey
 
*.     Terey ishq ki inteha chahta hon
         Meri saadgi dekh, kya chahta hon
         Bhari mehfil main raaz ki baat keh di
         Bara bayadab hon, saza chahta hon
 
*.     Ye Hind kay firqa saaz Iqbal aazri ker rahey hain goya
         Bacha kay daamin buton say apna ghubar-e-rah-e-Hijaz ho ja
 
*.     Parwaney ko chiragh hai, bulbul ko phool bas
        Siddique kay liyey hai Khuda ka Rasool (PBUH) bas
 
*.     Aag hai, aulad-e-Ibraheem (PBUH) hai, namrud hai
        Kya Kisi ko phir kisi ka imtihan maqsood hai?
 
*.     Khatar pasand tabiat ko saazgaar nahin
        Wo gulistan kay jahan ghaat main na ho sayyad
         Muqam-e-shok terey qudsiyon kay bas ka nahin
        Unheen ka kaam hai ye jin kay hosley hain Zayyad
 
*.     Jalal-e-paadshahi ho, ya jamhoori tamasha ho
        Juda ho deen syasat say, tou reh jaati hai chengezi
 
*.     Issi Quran main hai ab tark-e-jahan ki taleem
        Jis nay momin ko banaya may-o-perween ka amin
        Tan ba taqdeer hai aaj un kay amal ka andaz
         Thi nihan jin kay iradon main Khuda ki taqdeer
 
*.     Hai mamlakat-e-Hind main yek terfa tamasha
        Islam hai mehboos, Mullah hai azaad
 
*.     Wajud-e-zan say hai tasweer-e-kaynat main rang
        Issi kay saaz say hai zindagi ka soz-e-darun
        Sharf main berh kay surrayya say masht-e-khaak iss ki
        Kay her sharf hai ussi darj ka dur-e-maknu
 
*.     Mashriq say ho bayzaar, na maghrib say hazar ker
        Fitrat ka ishara hai kay her shab ko seher ker
 
*.     Na Asia main, na Europe main soz-o-saz-e-hayaat
        Khudi ki mout hai ye, aur wo zameer ki mout
        Dilon main walwala-e-inqilaab hai paida
        Qareeb aa gayi shayad jahan-e-peer ki mout
 
*.     Main kar-e-jahan say nahin aagah hon lekin
        Arbab-e-nazar say nahin poshida koi raaz
        Ker tu bhi hakoomat kay waziron ki khushamad
        dastoor naya aur nayey dour ka aaghaz
 
*.     Teri hareef hai ya Rabb! syasat-e-afrang
         Magar hain iss kay pujari faqat ameer-o-raees
         Banaya aik hi Iblees aag say TU nay
         banayey khaak say iss nay dou sa'd hazar iblees
 
*.     Tera pesha hai saffaki, mera pesha hai saffaki
         Kay hum kazzak hain dono, tu maidani, main daryai
 
*.     Teri dua say qaza tou badal nahin sakti
         Magar hai iss say ye mumkin kay tu badal jayey
         Teri dua hai kay ho teri aarzu poori
         Meri dua hai teri aarzu badal jayye
 
*.     Aaj wo Kashmir hai mehkoom-o-majboor-o-faqeer
        Kal jissey ahle-e-nazar kehtey thay Iran-e-sagheer
 
*.     Mumkin hai kay tu jis ko samjhta hai baharan
        Auron ki nigahon main wo mosam ho khizan ka
         Shayad kay zameen hai ye kissi aur jahan ki
         Tu jisko samajhta hai falak apney jahan ka
 
*.     Mutmain hai tu, pareshan misl-e-bu rehta hon main
        Zakhmi-e-shamsheer zoq-e-justuju rehta hon main
 
*.     Iqbal bhi Iqbal say aagah nahin hai
        Kuch iss main tamaskhar nahin, Wallah nahin hai

Dilemma of Muslim world and its causes

*. kal aik shorida khab gah-e-Nabi (PBUH) per ro ro kay keh raha tha
     Kay Misr-o-Hindustan kau Muslim banay-e-Milat mita rahey hain
     Ye zairan-e-hareem-e-maghrib hazar rehber banain hamarey
     Hamain bhala un say wasta kya, jo tujh(PBUH) say na-ashna rahey hain
     Suney ga Iqbal, koun in ko, ye anjuman hi badal gayi hai
     Nayey zamaney main hum ko purani batain suna rahey hain

(Meanings: Shorida = Desperately in love; Khab gah-e-Nabi (PBUH) = Tomb of


Prophet Muhammad (PBUH); Misr-o-Hindustan = Egypt and India; Banay-e-Millat
= Unity of Muslim nation; Mita = To eliminate; Un say wasta = Concern with
British; na-ashna= Not Familiar; Anjuman = System/thoughts; Nayey Zamaney =
Modern Era (Connotatively, referring to secular thoughts); Purani = Old, outdated
(Connotatively, a taunt on Muslims who ignored Islamic teachings and followed
British traditions due to inferiority complex of being slave of British)

*     Masjid tou bana di shab bhar main, Iman ki hararat walon nay
       Mann apna purana papi hai, barson main Namazi ban na saka
       Kya khoob ameer-e-faisal ko sanawasi nay paigham diya    
       Tu naam-o-nasab ka Hijazi hai, per dil ka Hijazi ban na saka
         Iqbal bara updeshak hai, mann baton main mo leta hai
          Guftar ka ye ghazi tou bana, kirdar ka ghazi ban na saka
 
(Meanings: Masjid = Mosque; Shab bhar = Within a night; Iman ki hararat walon =
Men with strong Faith; Papi = Sinner; Barson = Years; Namazi = Worshiper
(referring to man of strong faith here); Ameer-e-Faisal = Leader of Muslims;
Sanawwasi = Air; Paigham = Message; Naam-o-nasab = Race and Culture; Hijaazi =
Muslim; Updeshak = Man with speaking power; mann mo lena = To impress; Guftar
= Speeches Kirdar = Character)

 
*.     Mata-e-Aql-o-Danish lutt gayi Allah walon ki
          Ye kis Kafir ada ka ghamza-e-khunrez hai Saaqi
 
(Meanings: Mata-e-Aql-o-Danish = Creative thoughts and wisdom; Lutt = Robbed;
Allah Walon = referring to Muslims here; Kafir = non Muslim; ghamza-e-khunrez =
Evil planning; Saaqi = Friend)
 
*.     Mujhey Tehzeeb-e-Hazir nay ata ki hai wo azadi
         Kay zaahir main tou azaadi hai, baatin main giraftari
         Tu, aey Maula-e-Yasrab (PBUH)! aap meri chara sazi ker
          Meri Daanish hai afrangi, mera Imaan hai zannari
 
(Meanings: Tehzeeb-e-Hazir = Present Civilisation; Azadi = Freedom; Zaahir =
Physical existence or denotation; Baatin = In reality or connotation; Giraftari =
Bondage; Maula-e-Yasrab (PBUH) = Prophet Muhammad (PBUH); Chara Sazi =
Treatment of ailments; Daanish = Wisdom; Afrangi = Inspired by British; Zannari
= Adulterate)
 
*.     Azab-e-Daanish-e-Hazir say ba khabar hon main
         Kay main iss aag main phainka gaya hon misl-e-Khalil (PBUH)
 
  (Meanings: Azab-e-Danish-e-Hazir = So called present civilisation;  ba khabar =
Informed, updated; phainka = Thrown; Misl-e-Khalil (PBUH) = Like Abraham
(PBUH))
 
*.     Barh kay Khyber say hai ye marka-e-deen-o-watan
         Iss zamaney main koi Haider-e-Karrar bhi hai?
         Manzil-e-rehrawan dur bhi dushwaar bhi hai
         Iss kaafley main koi kaafla salaar bhi hai?
 
(Meanings: Barh kay = More than; Khyber = A place where Ali (m.Allah.b.p.w.him)
won a historical fight; Marka-e-deen-o-watan = Challenge of raising the flag of
Islam; Haider-e-Karrar = Ali (m.Allah.b.p.w.him); Manzil-e-Rehrawan =
Destination; Dushwar = Tough; Kaafley = Caravan; Kaafla Salaar = Leader of
Caravan)
 
*.     Ye Dour apney Baraheem ki Talash main hai
          Sanam Kada hai Jahan La ILa ha IL Allah
          Kiya hai tu nay Mata-e-gharoor ka soda
          Fareb-e-sod-o-ziyan La ILa ha IL Allah
          Agarchey Bu't hai Jamat ki aastino main
          Mujhey hai Hukm-e-Azan La ILa ha IL Allah
 
(Meanings: Dour = Era; Baraheem = Abraham (Peace Be Upon Him); Talash =
Search; Sanam Kada = Temple where idols are placed; Mata-e-gharoor = Referring
to Faith here; Fareb-e-sod-o-ziyan = An agreement of loss; Agarchey = Although;
Bu't = Idol; Jamat = Group of worshipers who say prayers in Mosque; Aastino =
Referring to insight faith here; Hukam-e-Azan = Command (from Allah) to speak
truth)
 
*.    Kiya gaya hai ghulami main mubtala tujh ko
       Kay tujh say ho na saki Fuqr ki nighebani
       Misaal-e-maah chamakta tha jis ka daagh-e-sajood
       Khareed li hai farangi nay wo Musalmani
 
(Meanings: Mubtala = Imposition; Fuqr = Faith; Nighebani = Protection; Misaal-e-
Mah = As graceful as crescent; Daagh-e-Sajood = A graceful mark on the forehead
of worshipers; Khareed = Purchased; Farangi = British)
 
*.     Sheeraza hua millat-e-merhoom ka abtar
         Ab tu hi bata tera Musalman kidhar jayey?
         Iss raaz ko ab faash ker, aey Rooh-e-Muhammad (PBUH)!
         Ayaat-e-ILahi ka nigheban kidher jayey?
 
(Meanings: Sheeraza = Organisation; Millat-e-Merhoom = Referring to
downtrodden Muslim nation here; Abtar = Worst; Faash = Expose; Rooh = Soul;
Ayaat-e-ILahi = One who believes and follow Quran; Nigheban = Protector)
 
*.     wo faqa kash kay mout say derta nahin zara
         Rooh-e-Muhammad (PBUH) uss kay badan say nikal dou
          Fikr-e-Arab ko dey key farangi takhayyulaat
          Islam ko Hijaz-o-Yaman say nikaal dou
          Afghanion ki ghairat-e-deen ka hai ye ILaaj
          Mullah ko un kay koh-o-daman say nikaal dou
          Ahl-e-Haram say un ki riwayaat cheen lo
          Aahu ko murghzar-e-hatan say nikaal dou
          Iqbal kay nafs say hai laaley ki aag tez
          Aisey ghazal sira ko chamman say nikaal dou
 
Dr. Iqbal is assuming here that Satan is addressing to his followers.
(Meanings: Faqa kash = Poor man but of strong Faith; derta = Scared of; Badan =
Body; Fikr = Thoughts; Takhayyulat= Concepts; Ghairat-e-deen = Strong Faith;
ILaaj = Cure; Mullah = Referring to strong faith Muslim here; Koh-o-daman =
Country (Afghanistan here); Ahl-e-Haram = Muslims; Riwayaat = Traditions; Aahu
= Deer; Murghzar-e-Hatan= Land of Faith and peace; Nafs = Thoughts; Laley =
Garden; Ghazal Sira = Reformer here)
 
*.     Hai tawaf-o-Haj ka hangama agar baqi tou kya?
         Kund ho ker reh gayi Momin ki taigh-e-bay nayam
         Kis ki nomeedi pay hujjat hai ye farman-e-jadeed
         Hai Jihad iss dour main mard-e-musalman per haram
 
(Meanings: Tawaf-o-Haj = Pilgrimage; Hangama = Activities; Kund = Dead/rusted;
Taigh-e-beynayam = Courage and bravery; Nomeedi = Disappointment; Farman-e-
Jadeed = New order; Jihad = Holy War)
 
*.     Kiya riffat ki lazzat say na dil ko aashna tu ney
         Guzari umer pasti main, misal-e-naqsh-e-pa tu ney
         Ta'assub chor nadan, deher kay aina khaney main
         Ye tasweerain hain teri jin ko samjha hai bura tu ney
         Zaban say ger kiya tauheed ka dawa, tou kya haasil?
         Banaya hai bu't-e-pindaar ko apna khuda tu ney
 
(Meanings: Riffat = Dignity; Lazzat = Familiarity; Aashna = Familiar; Umer Pasti
main= Low life; Misal-e-naqsh-e-pa= In a disgraceful manner/like a coward slave;
Ta'assub = Revolt/Hatred; Nadan = Stupid; Deher = Darkness; Aina Khaney = Era;
Tasweerain = Pictures; dawa = Claim; Bu't-e-Pindar = Idol)
 
*.     Satwat-e-Tauheed qaim jin namazon say hui
         Wo namazain Hind main nazr-e-brahmin ho gayeen

(Meanings: Satwat-e-Tauheed = Strong Foundations of Islam; Qaim = Organised;


Hind = India; Nazr-e-Brahmin = Dominated by Upper Caste Hindus)

*.     Khird nay keh bhi diya LA ILA tou kya haasil?
         Dil-o-zaban musalman nahin tou kuch bhi nahin
         Ajab nahin kay pareshan hai guftagu meri
         Farogh-e-subha pareshan nahin tou kuch bhi nahin

(Meanings: Khird = Intellect; Haasil = Reward; Dil-o-Zaban = Heart and Soul;


Pareshan = Depressed)

*.     Kabhi aey haqeeqat-e-muntazir, nazar aa libas-e-majaz main


          kay hazar sajdey tarap rahey hain, meri jabeen-e-nyaz main
          Jo main sir basajda hua kabhi, tou zameen say aney lagi sada
          Tera dil tou hai sanam aashna, tujhey kya miley ga namaz main

(Meanings: Haqeeqat-e-Muntazir = Referring to God Almighty here; Libas-e-Majaz


= Being Visible; Sajdey = To prostrate; Jabeen-e-nayaz= Forehead; sir basajda = To
Prostate; Sada = Voice; Sanam Aashna = Beloved of idols)

*.     Tamaddun, tasawwuf, shariat, kalaam


         Butaan-e-Ajam kay pujari tamam
         Haqeeqat khurafaat main kho gayi
         Ye ummat riwayaat main kho gayi

(Meanings: Tamaddun = Traditions; Tasawwuf = Mysticism; Shariat = Islamic Law


(referring to fake Islamic law created by so called scholars in self interest, in name
of Islam); Kalam = To praise (referring to hypocrisy of such Muslims, whose
worship is to impress people instead of pleasing God. Those for whom, last three
verses of Surah Maa'on in Noble Quran have been revealed); Butaan-e-Ajam = gods
of other religions; Pujari = Worshipers; Haqeeqat = Truth (referring to original
teachings of Islam); Khurafaat = Senseless things; Ummat = (Muslim) Nation;
Riwayaat = Traditions)
*.     Haath bayzor hain, ILhaad say dil khugar hain
        Ummati bais-e-ruswai-e-paighambar (PBUH) hain
        Bu't shikan uth gayye, baqi jo rahey Bu't ger hain
        Tha Baraheem Pidr, aur ye Pisr-e-Aazr hain
        Koi qabil ho tou HUM shan-e-kai detey hain
        Dhoondney waley ko duniya bhi nayi detey hain
 
(This verse is taken from poem "Jawab-e-Shikwa" and Dr. Iqbal is assuming that
Allah Himself is addressing to Muslims)
 
(Meanings: Bayzor = Weak; ILhaad = Apostasy; Khugar = Convinced; Ummati =
Muslims; Bais-e-ruswai-e-paighambar (PBUH) = Matter of depression for Prophet
(PBUH); Bu't Shikan = True and determined Muslims; Bu't ger = Lovers of idols;
pisr-e-aazar = Followers of Aazar, an idol maker; Qabil = Competant; Shan-e-Kai =
Success; Dhoondney = Search)
 
*.     Kis qadar tum pay garan subha ki baydari hai
        Hum say kab pyar hai, haan neend tumhain pyari hai
        Taba-e-azad per qaid-e-ramzan bhaari hai
        Tumhi keh dou, yahi aain-e-wafadari hai?
        Qaum Mazhab say hai, Mazhab jo nahin tum bhi nahin
        Jazb-e-baham jo nahin, mehfil-e-anjum bhi nahin
 
(Meanings: Qadar = Extent; Garan = Tough; Subha ki baydari = Referring to get up
for morning prayers; Hum = Referring to God here as Dr. Iqbal is assuming that
God is addressing Muslims; Neend = Referring to preferring other things over
prayers by Muslims; Taba-e-Azad = Written in taunting way, referring to careless
nature of Muslims; Qaid-e-Ramzan = Taunting again, referring to Muslims who
take holy month of Ramadan as a burden or liability to be released unwillingly;
Ain-e-wafadari = Rule of submission and sincerity; Mazhab = Religion; Jazb-e-
baham = Joint efforts; Mehfil-e-Anjum = Success and fruitful results)
 
*.     Jin ko aata nahin duniya main kli fun, tum ho
        Nahin jis qaum ko parwa-e-nash-e-mann, tum ho
        Bijliyan jis main hon aasuda wo khurmen, tum ho
        Baich khaatey hain jo Islaaf kay madfan, tum ho
        Thay tou A'ba wo tumharey hi magar tum kya ho?
        Haath per haath dharey muntazir-e-farda ho?
 
(Meanings: Funn = Skill; Parwa-e-nash-e-mann = Strive for excellence and
prosperity; Bijliyan = Referring to creative and constructive ideas; Islaaf =
Forefather; Madfan = Coffins; A'ba = Ancestors; Muntazir-e-Farda = Waiting for
some help)
 
 
*.     Manfia't aik hai iss qaum ki nuqsaan bhi aik
        Aik hi sab ka Nabi (PBUH), Deen bhi, Imaan bhi aik
        Harm-e-Pak bhi, Allah bhi, Quran bhi aik
        Kuch bari baat thi hotey jo Musalmaan bhi aik?
        Firqa bandi hai kahin, aur kahin zaatain hain
        Kya zamaaney main pinapnay ki yahi batain hain?
 
(Meanings: Manfia't = Profit; Nuqsaan = Loss; Harm-e-Pak = Referring to Khana-e-
Kaba; Firqa bandi = Sectarian culture; Zaatain = Caste System; Pinapney = To
progress)
 
*.     Koun hai tarak-e-Aain-e-Rasool-e-Mukhtar (PBUH)?
        Maslehet waqt ki hai kis kay amal ka mayaar?
        Kis ki aankhon main samaya hai sha'ar-e-aghyaar
        Ho gayi kis ki nigah tarz-e-salaf say bayzaar
        Qalb main soz nahin, rooh main ihsaas nahin
        Kuch bhi paighan-e-Muhammad (PBUH) ka tumhain pass nahin
 
(Meanings: Tarak-e-Aain-e-Rasool-e-Mukhtar (PBUH) = Those who have
rejected/ignored teachings of Prophet Muhammad (PBUH); Maslehet =
Compromise; Sha'ar-e-aghyaar = Impressed by non Muslims; Nigah = Vision; Tarz-
e-Salaf = Practices of Ancestors; bayzaar = tired of/ fed up; Qalb = Heart; Soz =
sense of responsibility; Rooh = Soul; Ihsaas = sensibility; Paigham-e-Muhammad
(PBUH) = Message of Muhammad (PBUH); pass = care)
 
*.     Shor hai ho gayey duniya say Musalman nabood
        Hum yeh kehtey hain kay thay bhi kahin Muslim mojud?
        Wuza main tum ho Nasara, tou tamaddun main hanud
        Ye Musalman hain, jinhain dekh kay sharmain Yahud
        Yun tou Syed bhi ho, Mirza bhi ho, Afghan bhi ho
        Tum sabhi kuch ho batao tou Musalmaan bhi ho?
 
(Meanings: shor = noise; nabood = Eliminated; Mojud = Present; Wuza = Outer
apperances; Nasara = Christians; Tamaddun = Life style; Hanood = Hindus;
Sharmain Yahood = referring to 'better than Jews')
 
*.     Her koi zoq-e-may-e-mast-e-tan aasani hai
        Tum musalmaan ho, ye andaz-e-musalmani hai?
        Haideri fuqr hai, nay dolat-e-Usmani hai
        Tum ko islaaf say kya nisbat-e-rohani hai?
         Wo zamaney main mo'aziz thay musalman ho ker
         Aur tum khawar huey, tarak-e-Quran ho ker
 
(Meanings: Zoq-e-may-e-mast-e-tan aasani = Lazy/ dull/ leisure minded; Andaz-e-
Musalmani = Ways of Muslims; Haideri Fuqr = Spiritual values of Ali
(m.Allah.b.p.w.him); Dolat-e-Usmani = Wealth of Usman (m.Allah.b.p.w.him);
Islaaf = Ancestors; Nisbat-e-rohani = Spirutual inheritance; Wo = Referring to
companions of Prophet Muhammad (PBUH); Mo'aziz = Respected; Khawar =
Insulted; Tarak-e-Quran = Those who rejected/ignored Quran)

Solution of problems of Muslims

*.     Quran main ho ghota zan, aey mard-e-Msualman


         Allah karey tujh ko ata jiddat-e-kirdaar
         Jo harf-e-Qul il afw main posheeda hai ab tak
         Iss dour main shayad wo haqeeqat ho namudaar

(Meanings: ghota zan = Referring to read, consult and understand; Jiddat-e-Kirdaar


= Strong faith/strong character; Harf-e-Qul il afw = Words of Quran; Posheeda =
Hidden; Namudar = To expose)

*.     Aashna apni Haqeeqat say ho, aey dehqan zara


         Dana tu, kheti bhi tu, baran bhi tu, haasil bhi tu
         Aah! kiski justaju awara rakhti hai tujhey?
         Rah tu, rehro bhi tu, rehber bhi tu, manzil bhi tu
         Kanpta hai dil tera andesha-e-tufaan say kya?
         Nakhuda tu, beher tu, kashti tu, sahil bhi tu
         Shola ban kay phoonk dey khashak-e-ghair Allah ko
         Khauf-e-batil kya hai, kay hai ghaarat-e-batil bhi tu

(Meanings: Aashna = Familiarity; Dehqan = Hard worker/ ploughman; Dana =


Fruit; Kheti = Final product; Baran = Blessed rain; Haasil = Reward; Justaju =
Struggle denotatively but referring to "wait" here; awara = useless; Rah = Passage;
Rahru = Passenger; Rehber = Guide; Manzil = Destination; Kanpta = To shiver;
Andesha-e-tufan = Fear of thunder; Nakhuda = Sailor; Beher = Ocean; Kashti =
Ship; Sahil = Bank of ocean; Shola = Flame; phoonk dey = Eliminate; Khashak-e-
ghair Allah = Enemies of God; Khauf-e-batil = Fear of Oppression; Ghaarat-e-Batil
= One who eliminates oppressor and oppression)

*.     Aaj bhi ho jo Baraheem ka Imaan paida


         Aag ker sakti hai andaz-e-gulistan paida

(Meanings: Baraheem = Abraham (PBUH); Imaan = Faith; Andaz-e-gulistan =


Referring to miracle of Prophet Ibraheem (Abraham PBUH), who was thrown in
fire and fire was converted into the roses)

*.     Baykhatar kood para aatish-e-namrood main Ishq


         Aqal hai mehw-e-tamasha-e-lab-e-baam abhi
         Shewa-e-Ishq hai Azadi-o-deher aashubi
         Tu hai zannari-e-bu't khana-e-ayyam abhi
(Meanings: Baykhatar = Fearlessly; Kood para = Jumped in; Aatish-e-Namrood =
Referring to fire of Namrood in which, prophet Abraham (PBUH) was thrown; Ishq
= Referring to strong Faith and devotion of Prophet Abraham (PBUH); Aqal =
Wisdom; Mehw-e-tamasha-e-lab-e-baam = Stunned/shocked/in state of disbelief;
Shewa-e-Ishq = Strong Faith; Azadi = Freedom; Deher Aashubi = To get rid of
slavery; Zannari-e-bu't khana-e-ayyam = Under influence of idol worshipers)

*.     Dekh ker rang-e-chamman ho na pareshan maali


        Kaukab-e-ghuncha say kirnain hai chamakney wali
        Khas-o-khashaak say hota hai gulistan khali
        Gul ber andaz hai khoon-e-shuhda ki lali
        Rang gardun ka zara dekh tou, unnabi hai
        Ye nikaltey huey Suraj ki ufuk taabi hai

(Meanings: Rang-e-chamman = Referring to downtrodden enslaved Muslim nation;


Pareshan = Worried, Maali = Referring to worried Muslims; Kaukab-e-ghuncha =
Referring to new buds; Kirnain = Ray of shining light; Chamakney = Brightness;
Khas-o-Khashaak = Trash/garbage; Gulistan = Referring to Muslim circle here; Gul
ber Andaz = About to blossom; Khoon-e-Shuhda ki lali = Blood/sacrifices of martyrs;
Gardun = Sky; Unnabi = Golden/colour of rising dawn; Nikaltey huey Suraj = Rising
dawn; Ufuk taabi = Signs)

*.     Hai jo hangama bapa yorish-e-balghari ka


        Ghafilon kay liyey paigham hai baydari ka
        Tu samjhta hai, ye saman hai dil azaari ka
        Imtihan hai terey eesaar ka, khuddari ka
         Kyon hirasan hai saheel-e-fars-e-aada sey?
         Noor-e-Haq bujh na sakey ka nafs-e-aada sey

(Meanings: Hangama bapa yorish-e-balghari ka = Inclination of world towards


atheist culture; Ghafilon kay liyey paigham hai baydari ka = Message to get up from
slumber for ignored ones; Saman = Matter; Dil Azaari = To offend, to hurt; Imtihan
= Test; Eesaar = Sacrifice; Khuddari = Self Respect; Hirasan = Scared of; Saheel-e-
fars-e-ada = Oppressor; Noor-e-Haq = Ligh of Truth; Nafs-e-aada = Struggle of
oppressor)  

*.     Misl-e-bu qaid hai ghncey main, pareshan ho ja


        Rakht ber dosh hawa-e-chaminstan ho ja
        Hai tinak maya, tu zarrey say byabaan ho ja
        Naghma-e-moj say hangama-e-tufan ho ja
        Quat-e-Ishq say her past ko bala ker dey
        Deher main Ism-e-Muhammad (PBUH) say ujala ker dey

 (Meanings: Misl-e-bu = Referring to true faith here; Qaid= Bound; Ghunchey=


Bud; Rakht ber dosh hawa-e-chamnistan = Advising to start making efforts against
oppressor; zarrey say bayaban = From zero to hero; Naghma-e-moj = Unity;
Hangama-e-tufan = Revolutionary strength; Quat-e-Ishq = Referring to strong faith;
past = Low/slave; Bala = Respected; Deher = Times of slavery; Ism-e-Muhammad
(PBUH) = Advising to follow teachings of Muhammad (PBUH); Ujala = End of
oppression) 

*.     Aqal hai teri saper, Ishq hai shamsheer teri


        Merey derwesh! khilafat hai Jahangir teri
        Ma siwa Allah kay liyey aag hai takbeer teri
        Tu Musalman ho tou taqdeer hai tadbeer teri
        Ki Muhammad (PBUH) say wafa tu nay, tou Hum terey hain
        Ye Jahan cheez hai kya, loh-o-qalam terey hain    

  (Meanings: Aqal = Wisdom; Ishq = Faith; Shamsheer = Strength/tool/sword;


Derwesh = Innocent man; Khilafat = System of Pious Caliphs of Islam; Jahangir =
Way out; Ma siwa = Except; aag hai takbeer teri = Your destiny is hell fire; Taqdeer
= Luck; Tadbeer = Policy; Wafa = Sincerity/loyalty; Hum = Referring to Allah as Dr.
Iqbal is assuming that Allah is addressing His creature; Jahan = World; Loh-o-
Qalam = Universe)

*.     Uth kay ab bazm-e-jahan ka aur hi andaaz hai 


        Mashriq-o-maghrib main terey dour ka aghaaz hai
(Meanings: bazm-e-jahan = Present era; Mashriq-o-Maghrib = Across the globe;
Aaghaz = Beginning)
 
*.     Yaqeen muhkam; amal paiham, mohabbat fath-e-alam
        Jihad-e-zindagani main hain ye mardon ki shamshirain
(Meanings: Yaqeen muhkam= Confidence; Amal paiham = Hard work with strong
motivation; Mohabbat fath-e-Alam= Strive for excellence; Jihad-e-zindagani = Life;
Mardon = Men; Shamshirain = Tools)
 
*.     Fard Qaim Rabt-e-Millat say hai, tanha kuch nahin
        Moj hai darya main, aur berun-e-darya kuch nahin
(Meanings: Fard = Individual; Qaim = to survive; Rabt-e-Millat = Unity of a nation;
tanha = Alone; Moj hai darya main aur berun-e-darya kuch nahin = Simile, giving
example of a wave which can't survive out of ocean. Similarly, individual is strong
as long as he is part of a nation. Together we stand, divided we fall)
 
*.     Baykhabar! Tu johar-e-aina-e-ayyam hai
        Tu zamaney main Khuda ka aakhri paighaam hai
(Meanings: Baykhabar = Ignored; Johar-e-aina-e-ayyam = Jewel of the time)
 
*.     Nahin hai na umeed Iqbal apni kasht-e-weeran say
        Zara namm ho tou ye mitti bari zerkhaiz hai saaqi
(Meanings: Na umeed = Disppointed; Kasht-e-weeran = Muslim youth; namm = Soft;
mitti = referring to Muslim youth; zerkhaiz = productive)
 
*.     Jo naghma zan thay khalwat-e-oraaq main tayyur
        Rukhsat huey wo terey shajr-e-saya daar say
        Shaakh-e-barida say sabaq andoz ho kay tu
        Na-aashna hai qaida-e-rozgaar say
        Millat kay saath rabta-e-ustawar rakh
        Paiwasta reh shajar say, umeed-e-bahar rakh
(Meanings: Naghma zan = Singers; Khalwat-e-oraaq= referring to glory of
ancestors; tayyur = birds; Rukhsat = to leave; shajr-e-sayadaar = Shady tree;
Shaakh-e-barida = Ancestors; Sabaq andoz = To Learn lesson; Qaida-e-rozgar =
Formula of success; Rabta-e-Ustawar = Being continuously in touch; Paiwasta =
Hopeful; Shajar = Fruit (outcomes); Umeed-e-bahar = Good time)
 
*.     Agar manzur ho tujh ko khizan na-aashna rehna
        Jahan-e-rang-o-bu say pehley qata-e-aarzu ker ley
        issi main dekh, muzmir hai kamal-e-zindagi tera
        Jo tuj ko zeenat-e-daman koi aina ru ker ley
(Meanings: Khizan na aashna = Not familiar with downfall; Jahan-e-rang-o-bu =
World; qata-e-aarzu = To be determined to achieve something; mizmir = hidden;
kamal-e-zindagi = formula of success)
 
*.     Bandagi main ghut kay reh jaati hai ik ju-e-kam aab
        Aur azadi main behr-e-baykaran hain zindagi
        Kulzam-e-hasti say tu ubhra hai manind-e-hibab
        Iss zayan khaaney main tera imtihan hai zindagi
(Meanings: Bandagi = Slavery; ghut = Exploitation; ju-e-kam aab = large amount of
water; behr-e-baykaran = powerful strength; Kulzam-e-hasti = Humanity; Ubhra =
Emerged; Manind-e-Hibab = Like a saviour; zayan khaaney = Referring to world)
 
*.     Ye ghari mehsher ki hai, tu arsa-e-mehsher main hai
        Paish ker ghaafil, amal koi agar daftar main hai
(Meanings: ghari = Time; mehsher = Day of resurrection; arsa-e-mehsher = Era of
destruction; paish = to present; ghaafil = ignored; amal = something on one's credit)
 
*.     Rabt-o-zabt-e-millat-e-baiza hai mashriq ki nijaat
        Asia waley hain iss nuktey say ab tak baykhabar
        Phir syasat chor ker daakhil hisaar-e-deen main ho
        Mulk-o-dolat hai faqat hifz-e-haram ka ik samar
        Nas'l Muslim ki agar mazhab per muqaddam ho gayi
        Urr gaya duniya say tu manind-e-khaak-e-reh guzar
        Aik hon Muslim, Haram ki paasbani kay liyey
        Neel kay saahil say ley ker ta-ba-khaak-e-Kashghar
        Ta Khilafat ki bina duniya main ho phir ustawaar
         La kaheen say dhoond ker islaaf ka qalb-o-jigar
         Aey kay nashnasi khafi ra az jali, hoshyaar baash
         Aey giraftar-e-Abu Bakar-o-Ali, hoshyaar baash
(Meanings: Rabt-e-zabt-e-millat-e-baiza = unity of Muslim nation; nijaat = freedom;
nuktey = point; baykhabar = ignored; syasat = politics; hisaar-e-deen = Islam; hifz-e-
haram = by product of religion; Nas'l = Race; muqaddam = priority; manind-e-
khaak-e-reh guzar = Like dust of the road/being worthless; pasbanai = protection;
Ta ba khak-e- Kashghar = Land of Kashghar; Ta Khilafat ki bina = Referring to
Pious Caliphs and their system; ustawaar = reactivation; Islaaf = Ancestors; qalb-o-
jigar = Strength and Faith; giraftar-e-Abu Bakar-o-Ali = Referring to those Muslims
who always praise Abu Bakar and Ali for their bravery, but never follow them;
hoshyar baash = Attention)
 
*.     Kitaab-e-millat-e-baiza ki phir shiraza bandi hai
        Ye shakh-e-Haashmi kerney ko hai phir barg-o-ber paida
        Agar Usmanion pay toota koh-e-gham, tou kya gham hai?
        Kay khoon-e-sad hazaar anjum say hoti hai seher paida
 
(Meanings: Kitaab-e-millat-e-baiza = Holy Quran; Shiraza bandi = Unity, integrity;
Shaakh-e-Hashmi = Muslim Nation; Barg-o-ber = Roses and Jewels; paida = to
produce; Koh-e-gham = Bundle of troubles; khoon-e-sad hazar anjum = Lots of
sacrifices; Seher = Rising of Dawn)
         
*.     Sabaq perh phir sadaqat ka, adalat ka, shujaat ka
        Liya jayey ga tujh say kaam duniya ki imamat ka
 
(Meanings: Sabaq = Lesson; Saqadat = Truth; Adalat = Justice; Shujaat = Bravery;
Imamt = Leadership)
 
*.     Butan-e-rang-o-khoon ko torr ker millat main guum ho ja
        Na turani rahey baaqi, na Irani, na Afghani
        Mitaya qaiser-o-kisra kay istabdad ko kis nay?
        Wo kya tha? zor-e-Haider, Faqr-e-Bu Zar, Siqd-e-Salmani
 
(Meanings: Butan-e-ran-o-khoon = those traditions or practices which are forbidden
in Islam; Turani/Irani/Afghani = Regional status of Muslims; Mitaya = To eliminate;
Qaiser-o-Kisra = Curel rulers who had been hard on Muslims; Istabdad = Cruelty;
Zor-e-Haider = Strength of Ali (m.Allah.b.p.w.him); Faqr-e-Abu Zar  = Faith of Abu
Zar (m.Allah.b.p.w.him); Sidq-e-Salmani= Truth of Salman (m.Allah.b.p.w.him))
 
*.     Jab iss angara-e-khaaki main hota hai yaqeen paida
        Tou ker leta hai ye baal-o-per-e-rooh ul Amin paida
(Meanings: Angara-e-Khaaki = Human being; Yaqeen = Faith; baal-o-per =
Qualities; Rooh ul Amin = Angel Gabriel (Jibraeel))
 
* .     Hamara Narm ru qaasid (PBUH) payam-e-zindagi laya
         Khabar deti theen jin jo bijliyaan, wo baykhabar niklay
         Jahan main ahl-e-Imaan soorat-e-Khusheed jeetey hain
         Idhar doobey, udher nikley, udher doobey, idhar nikley
(Meanings; Narm ru qasid = Muhammad (PBUH); payam-e-zindagi = Guide to live
life in correct manner; Khabar deti thin jin ko bijliyan = Those who claimed that they
are gods or most poweful; baykhabar = ignored; Ahl-e-Imaan = People of Faith
(Muslims))
 
*.     Yaqeen Afrad ka sarmaya-e-tameer-e-millat hai
        Yahi qu'at hai jo surat-e-ger taqdeer-e-millat hai
(Meanings:Yaqeen = Faith; Afrad = People; sarmaya-e-tameer-e-millat = Assets of a
nation; Qu'at = Strength/tool; surat-e-gar taqdeer-e-millat = fortune of Muslim
nation) 
        
*.     Amal say zindagi banti hai Jannat bhi, Jahannum bhi
        Ye Khaaki apni fitrat main na noori hai, na naari hai
        Khrosh amoz-e-bulbul ho girah ghunchey ki wa ker dey
         Kay tu iss gulsitan ka wastey baad-e-behari hai
(Meanings: Amal = Deeds; Khaaki = Human bening; fitrat = Nature; noori = saint;
naari = evil)
 
*.     Hawas nay ker diya hai tukrey tukrey no-e-insan ko
        Akhu'at ka bayan ho ja, mohabbat ki zuban ho ja
        Ye Hindi, wo Khurasani, ye Afghani, wo Turaani
        Tu, aey sharminda-e-saahil! uchal ker baykaran ho ja
        Khudi main doob ja ghaafil, ye sirr-e-zindagani hai
        Nikal kay halqa-e-shaam-o-seher say Jawadan ho ja
     
(Meanings: Hawas = Lust; tukrey = pieces; no-e-insan = Human race; Akhu'at =
Integrity; bayan = Advocate; Hindi/Khursani/Afghani/Turaani = Referring to
regionalism and racism; sharminda-e-saahil = Muslim; uchal ker baykaran = getting
united disregard of race/colour/region; Khudi = Self respect; sirr-e-zindagani =
Secret of success; Halqa-e-shaam-o-seher = thick n' thin; Jawadan = Ever living on
the basis of some unique work)

Exposing character of so called scholars of Islam

*.     ILfaaz-o-maani main tafawat nahin lekin


        Mullah ki azan aur hai, Mujahid ki azan aur
        Parwaaz hai dono ki issi aik fiza main
        Girgis ka jahan aur hai, Shaheen ka jahan aur
(Meanings: ILfaaz-o-Maani = Words and meanings; Tafawat = Difference; Mullah =
Referring to so called Muslim scholars; Mujahid = True Muslim with strong Faith
and belief; Parwaaz = Flight; Girgis = Kite; Shaheen = Hawk)
 
*.     Saudagri nahin, ye ibadat Khuda ki hai
        O baykhabar! jaza ki tammanna bhi chor dey
        Wa'iz saboot layey jo ma'y kay jawaz main
        Iqbal ko ye zid hai kay peena bhi chor dey
(Meanings: Saudagri = Trade or some agreement of give n' take; Ibadat = Worship;
Baykhabar = Ignored; Jaza = Reward; Tammanna = Desires; Wa'iz = One who
delivers speech in Mosque; saboot = Proof; Ma'y = Referring to sins and forbidden
things; Zid = To insist upon something)
 
*.     Sher mardon say hua baisha-e-tehqeeq tahi
        Reh gayey sufi-o-mullah kay ghulam aey saaqi
        Ishq ki taigh-e-jigar daar chura li kis nay?
        ILM kay haath main khali hau nayaam aey saaqi
(Meanings: Sher Mardon = Brave Muslims with strong faith; baisha-e-tehqeeq=
Referring to Muslim nation; Tahi = Empty; ghulam = slave; saaqi = friend; Ishq =
Strong Faith; taigh-e-jigar daar = Strength; chura = To steal; ILM = Knowledge;
Khali = Empty; Nayaam = Sword holder)
 
*.     Go uss ki khudai main mohajin ka bhi hai haath
        Duniya tou samajhti hai Farangi ko Khudawand
        Ehkaam TEREY Haq hain, magar apney muffassir
        Taweel say Quran ko bana saktey hain paband
        Derwesh-e-Khuda mast na sharqi hai na gharbi
        Ghar uss ka na Dilli, na Safahan, na Samarqand
        Chup reh na saka Hazrat-e-Yazdan main bhi Iqbal
        Kerta koi iss banda-e-gustaakh ka mun band
(Dr. Iqbal is assuming here as if he is taken to Almighty God and is talking to HIM)
(Meanings: Go= Although; Uss = Referring to British here; Mohajin = Referring to
Hindu Brahmins; haath = involvement; Farangi = British; Khudawand = Master;
Ehkaam = Commandments; TEREY = Referring to Allah; Haq =
Justified/valid/true; Muffassir = One who explains or educate others; Taweel = False
logic for self benefit; Paband = Referring to interpret wrong meanings in self
interest; Darwesh-e-Khuda = True Saint; Sharqi = Eastern; Gharbi = Western; Ghar
= permanent residence; chup = Silent; Hazrat-e-Yazdan = Before Allah; banda-e-
gustaakh = Rebellious natured man)
 
*.     Yahi sheikh-e-Haram hai, jo chura ker baich khata hai
         Galim-e-Bu Zar-o-dalq-e-Awais-o-chader-e-Zehra
         Hazoor-e-Haq main Israfeel nay meri shikayat ki
         Ye banda waqt say pehley qayamat ker na dey berpa
(Meanings: Sheikh-e-Haram = Referring to so called Muslim scholars who have
established their clergy in religion, hence ignoring the Commandment of Quran that
no clergy is allowed in religion; Chura ker baich khana = To defame Islam and to
misrepresent teachings of Muhammad (PBUH); Galim-e-Bu Zar/Dalq-e-
Awais/Chader-e-Zehra = Practices and teachings of companions/daughter of
Muhammad (PBUH); Hazoor-e-Haq = Before Allah; Israfeel = An angel; Shikayat =
Complaint; berpa = emergence)
 
*.     Ishq say paida nawa hai zindagi main zer-o-bam
        Ishq say mitti ki tasweeron main soz-e-dam badam
        Aey Musalman! apney dil say pooch, mullah say na pooch
        Ho gaya Allah kay bandon say kyon khali Haram
(Meanings: Ishq = Faith; nawa = voice; zer-o-bam = Thick n' thin; Mitti ki tasweeron
= Human beings; soz-e-dam badam = Life)
 
*.     Ye misra likh diya kis shokh nay mehrab-e-Masjid per?
        Ye nadan gir gayey sajdey main jab waqt-e-qayam aya
        Diya Iqbal nay Hindi musalmanon ko soz apna
        Ye ik mard-e-tan asan tha, tan asanon kay kaam aya
(Meanings: Misra = verse; shokh = jolly; mehrab-e-Masjid = wall of Mosque; nadan
= ignored; sajdey = prostrate; qayam = standing straight in prayers; Soz = thoughts;
mard-e-tan asan = man of words, not of action)
 
*.     Dil hai Musalman tera na mera
        Tu bhi namazi, main bhi namazi
        Main janta hun anjaam uss ka
        Jis maarkey main Mullah ho ghazi
(Meanings: Anjaam = Conclusion; Maarkey = Adventure; Ghazi = Warrior)
 
*.     Andaz-e-bayan agarchey mera shokh nahin hai
        Shayad kay terey dil main uter jayye meri baat
        Wo mazhab-e-mardan-e-khud agah-o-Khuda mast
        Ye mazhab-e-mullah-o-jamadat-o-nabatat
(Meanings: Andaz-e-bayan = Speech; Agarchey = though; shokh = Jolly (referring to
being impressive here); wo mazhab-e-mardan-e-khud agah-o-Khuda mast =
Referring to strong Faith and practices of companions of Prophet (PBUH) and
praising them for their honesty and strength; ye mazhab-e-mulla-o-jamadat-o-
nabatat = Referring to present day's Islam and calling it a creation of so called fake
religious scholars, who defamed Islamic teachings in self interests)
 
*.     Ajab nahin kay Khuda tak teri rasai ho
        Teri nigah say hai poshida aadmi ka muqaam
        Teri namaz main baqi na jalal hai, na jamal
        Teri azan main nahin meri seher ka paigham
(Dr. Iqbal is addressing so called fake scholars here)
(Meanings: Ajab = Amazing; Rasai = Approach; Nigah = Sight; poshida = Hidden;
Aadmi = Human being; Muqaam = Grade; Namaz = Prayer (referring to deeds and
moral values too); Jalal = Grace; Jamal = prestige; Azan = Call for prayers
(Referring to patience, wisdom and foresight too); Seher = Referring to true
teachings of Quran which were practically demonstrated by Muhammad (PBUH))
 
*.     Zinda qu'at thi jahan main yehi Tauheed kabhi
        Aaj kya hai? faqat ik masla-e-ilm-e-kalaam
        Qaum kya cheez hai, qaumon ki immamat kya hai
        Iss ko kya samjhain ye becharey dou rakat kay Imaam
(Meanings: Zinda qu'at = Influential strength; Jahan = World; Tauheed = Referring
to Islam; Faqat = Merely; Masla-e-ILM-e-Kalam = A matter of recitation only;
Qaum = Nation; Qaumon ki Immamat = Leading nation; Becharey = Poor; Do rakat
kay Imam = Referring to so called scholars of Islam)
 
*.     Wahdat ki hifazat nahin bay quat-e-bazu
        Aati nahin kuch kaam yahan aql-e-Khudadad
        Aey mard-e-Khuda! tujh ko wo qu'at nahin haasil
        Ja baith kisi ghaar main Allah ko ker yaad
        Mullah ko jo hai Hind main sajdey ki ijazat
        Nadan ye samjhta hai kay Islam hai azaad
(Meanings: Wahdat = Tauheed/Islam; Hifazat = Protection; Bay quat-e-bazu =
Without strong faith; Aql-e-Khudadad = mere wisdom; Mard-e-Khuda = Referring
to fake scholars of Islam here; haasil = possession; Ghaar = Cave)
 
*.     Sufi ki tareeqat main faqat masti-e-ahwaal
        Mullah ki shariat main faqat masti-e-guftaar
        Wo mard-e-mujahid nazar aata nahin mujh ko
        Ho jis kay rag-o-pey main faqat masti-e-kirdaar
(Meanings: Sufi = fake religious scholar; Tareeqat = speech; faqat = Only; masti-e-
ahwaal = paper claims with no practical model; Mullah = fake scholar; Shariat =
law; masti-e-guftaar = attractive theories without any demonstration; Mard-e-
Mujahid = Man of strong Faith; nazar aata nahin = Doesn't exist; rag-o-pey = all
deeds; masti-e-kirdaar = Practical example of truth and Quran)
 
*.     Peeran-e-kaleesa hon ya sheikhan-e-Haram hon
        Na jiddat-e-kirdar, na jiddat-e-guftaar
        Duniya ko hai uss mehdi-e-berhaq ki zaroorat
        Ho jiski nigah zalzala-e-aalam-e-ufkaar
(Meanings: Peeran-e-Kaleesa = Priests in Church; Sheikhan-e-Haram = Muslim
scholars in Mosque; Jiddat-e-Kirdaar = Strong character; Jiddat-e-guftaar =
Impressive speech; Mehdi-e-berhaq = Mehdi Mo'ud denotatively, connotatively
referring to a savior of people; nigah zalzala-e-alam-e-ufkaar = Strong character and
honest)
 
*.     Bayan main nukta-e-Tauheed aa tou sakta hai
        Terey damagh main bu't khana ho, tou kya kahiyey
       Muqam-e-faqr kitna buland hai shahi say
        Teri nigah ghulamana ho, tou kya kahiyey
(Meanings: Bayan = Speech of scholars on matters of religion; Nukta-e-Tauheed =
Discussion on Islam; Bu't khana = Temple of idols/referring to non Islamic
traditions; Muqam-e-Faqr = Grade of hospitality; buland = high; shahi = Grade of
royal crown; Nigah = Vision or thoughts; Ghulamana = Slavish)
 
*.     Baqi na rahi wo teri aina zameeri
        Aey kushta-e-sultani-o-mullai-o-peeri
(Meanings: Aina Zameeri = Faith; Kushta-e-sultani-o-mulla-i-o-peeri = Those
ignored and aloof Muslims who blindly follow so called fake scholars and treat them
like sacred souls)
 
*.     Koi ye poochey kay wa'iz ka kya bigarta hai?
        Jo bayamal per bhi karam Wo Beynyaz karey
        Gharoor-e-zehd nay sikhla diya hai wa'iz ko
        Kay bandgan-e-Khuda pay zaban daraaz karey
        Hawa ho aisi kay Hindustan say aey Iqbal!
        Urra kay mujh ko ghubaar-e-rah-e-Hijaaz karey
(Meanings: Poochey = To inquire; Wai'z = One who delivers speech in Mosque;
Bigarta = Loss; Bayamal = Non practicing and low graded Muslim; Karam =
Blessings/mercies; WO Baynyaz = Referring to Allah; Gharoor-e-Zehd = Being
proud of one's high religious status; Bandgan-e-Khuda = slaves of Allah; Zaban
Daraz karey = To criticise; Hawa = Direction; Ghubaar-e-rah-e-Hijaaz = Dust of
Makkah and Madina)
  
 
*.     Tu bhi hai shewa-e-arbab-e-raya main kaamil
        Dil main London ki hawas, lab pey terey zikr-e-Hijaaz
        Jhoot bhi maslehet aamez tera hota hai
        Tera andaz-e-tammaluq bhi sarapa ejaaz
(Addressing to fake scholars here)
(Meanings: Shewa-e-arbab-e-raya = Hypocrite; Kamil = specialist; Dil main terey
London ki hawas = Desires of visiting London; Lab pey terey zikr-e-Hijaaz = Praising
Makkah and Medina all the time, thus being hypocritical; Jhoot= Lies; Maslehet
aamez = better than truth; Andaz-e-Tammaluq = To flatter or being slavishly low in
praising others for self benefit; Sarapa Ejaaz = Simply great (Dr. Iqbal is making
fun of the so called scholars by saying that since they pretend to be sacred figures,
even their sins are better than good deeds of an ordinary person)
 
*.     Nasha pila kay girana tou sab ko aata hai
        Maza tou tab hai kay girton ko thaam ley saaqi
        Kati hai raat tou hangama gustri main teri
        Seher kareeb hai, Allah ka naam ley saaqi
(Meanings: Nasha = Drugs/addiction; pila kay girana = To betray others; Maza =
Something different or unique; girton ko thaam ley = To help the oppressed and
troubled; Kati hai raat tou hangama gustri main teri = Addressing to fake scholars
saying that their night passed in spreading revolt and sectarian riots; Seher kareeb
hai, Allah ka naam ley saaqi = addressing to fake scholars and advising them that it
is better late than never, and they should now submit to original teachings of
Quran)
 
*.     Mujh ko tou sikha di hai Afrang nay zandiqi
        Iss dour kay Mullah hain kyon nang-e-Musalmani?
        ho naqsh ager baatil, takraar say kya haasil?
        Kya tujh ko khush aati hai Adam ki ye arzaani?
(Meanings: Sikha di = To give training; Afrang = British; zandiqi = Corruption; Iss
dour kay Mullah = Muslim scholars of the present era; Nang-e-Musalmani =
Lacking knowledge of Islam and Muslim character; Naqsh = proved; Batil = False;
Takraar = Argument; Haasil = conclusion; Khush aati hai = To be happy; Adam =
Human being; Arzaani = Clashes) (Dr. Iqbal is comparing himself with a sinner low
graded Muslim and saying that reason of such people's downfall is ignorance of
Islam and influence of British. Dr. Iqbal is pondering in second verse that why
Muslim scholars of this era are also lacking Islamic vision. He further says that if
something is already proved to be wrong by everyone, what is the reason of arguing
upon such thing then? Is it an attempt to spread revolt which might excite some?)

You might also like