Sharir Ki Gandagi Bahar Nikalne Ke Upay - Detox Your Body Tips
Sharir Ki Gandagi Bahar Nikalne Ke Upay - Detox Your Body Tips
Sharir Ki Gandagi Bahar Nikalne Ke Upay - Detox Your Body Tips
Tips
kyakyukaise.com /body-ko-detox-kaise-kare-sharir-ki-gandgi-bahar-nikalne-ke-upay-hindi/
1/5
1. Lehsun (Garlic)
Lehsun mein antibiotic aur antibacterial tatav hote hai jo body se hanikarak padarath (toxins) bahar nikalne mein
madad karte hai. Bhojan banate samay lehsun ka paryog jarur kare.
2. Kheera (Cucumber)
Kheere mein paani ki matra adhik hoti hai, ye body ke toxins urine ke raste bahar nikal deta hai. Khere ko bhjoan ke
sath salad ke rup mein khaye. Ye shareer mein paani ki kami ko bhi pura karta hai.
3. Green Tea
Green tea mein natural antioxidents hote hai jo liver ko kai parkar ki bimariyo se door rakhta hai. Din mein 2 se 3
cup green tea piye. Ye body ka metabolism strong karne ke sath weight loss karne mein bhi madad karti hai.
Jane Green Tea Kaise Banaye
4. Hara Dhaniya
Hare dhaniya mein antiseptic, antifungal tatav body ki gandgi ko door karte hai aur liver ki safayi karne wale
enzymes ko bhi badhata hai. Iski pattiya aap kachi bhi kha sakte hai aur khane mein bhi paryog kar sakte hai.
2/5
5. Adarak (Ginger)
Adarak sharir ki bimariyo se ladne ki shamta badhta hai aur pachan tantar ko majboot karta hai. Khane mein adrak
ka paryog kare aur ho sake to adarak wali chaye piye.
7. Nimbu (lemon)
Nimbu mein vitamin C ki matra adhik hoti hai jo free radicals nasht karta hai. Rojana subh ek glass garam paani
mein thoda nimbu ka ras mila kar piye. Ye drink body se jeharile chemicals ko bahar nikalne mein madad karta hai
aur body ke PH balance ko banaye rakhta hai. Nimbu ras ka ye drink body ki immunity bhi badhata hai.
8. Fresh Fruits
Fruits mein fibre, vitamin aur sabhi jaruri nutritions hote hai jo skin aur hairs ko jaruri poshan dete hai aur digestion
bhi acha karte hai.
9. Chukandar (Beetroot)
Chukandar mein iron, magnesium aur vitamin C adhik matra mein hota hai jo sharer mein cholesterol control karta
hai aur liver mein maujood toxins ko bahar nikalta hai. Jin logo ke sharer mein khoon ki kami ho unhe chukundar ka
sevan karna chahiye.
1. Sugar na Khaye
Agar body ko vishale aur hanikarak padartho se bachaye rakhna hai to chini ka sevan kam kare aur jitna ho sake
mitha kam ihaye.
3/5
6. Nose Cleaning
Aajkal vatavaran mein polution adhik ho gya hai. Hawa mein maujjood hanikarak chemicals saans ke dawara
hamare andar pahunchte hai jo body ko nuksan karte hai. Is problem se bachne ke liye naak ki safayi kare. Isse air
pollution se nijat milegi aur achi neend bhi aayegi.
7. Achi Neend le
Shareer mein susti aur aalas ka sabse bada karan hai ki hum thik se aaram nahi karte. Rojana 8 ghante ki gehri
neend lene se body fresh aur chust rehti hai.
4/5
Apni body ko fresh aur energetic banaye rakhne, shareer se gandgi bahar nikalne, khoon saaf karne
aur body ko detox karne ke liye ye upay bahut kargar hai.
5/5