All Trademarks, Images, and Poetry On This Book Are The Property of Their Respective Owners, and Are Hereby Recogniseds

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 21

<www.Facebook.

com/basyadeen> Note:

All trademarks, images, and poetry on this book are the property of their respective owners, and are hereby recogniseds
__________________________________ ek muskan to mujay ek baar dey do> khuwab mien hi chahy ek baar dey do > bus ek baar kar lo aany ka

wadaa> phir chahy umer bhar ka intzar dey do> -------------------------------------------------------------------------yado me teri yad thi, kia yad thi kuch yad nahi, teri yad me sab bhol gaye, kia bhol gaye kuch yad nahi, yad ho tum sirf yad ho tum, q yad ho kuch yad nahi. -------------------------------------------------------------------------MAIN KISI AUR KI HOON ITNA BATA KAR ROI, WO MUJHE MEHNDI LAGEY HATH DIKHA KAR ROI,,, UMAR BHAR KI JUDAI KA KHAYAL AYA THA, WO MUJHE PAS APNE BITHA KAR ROI,,, KHAT KITABEIN WO PYAR K TOHFEY, MOHABBAT KI SAB NISHANIYAN JALA KAR ROI,,, TUMHARI DI HUI SAB CHEEZEIN UTAR LI GAYEIN, WO MUJHE SEJ PE SAJEY ZEVAR DIKHA KAR ROI,,, AB K NA SAHI ZARUR HASHAR MAIN MILEINGEY, YAKJA HONEY K DILASEY DILA KAR ROI,,, MUJHSE ZIYADA GHAM BICHARNEY KA USEY THA, WAQTERUKSAT WO MUJHE SEENEY SE LAGA KAR ROI -------------------------------------------------------------------------Ajeeb Kashmakash Thi K JAAN Kis Ko Dein. Woh Bhi Aa Bethay Thay

Aur MOUT Bhi. -------------------------------------------------------------------------Hina ka Rung Hon Main, Hath pe to Aaon ga. Uter Gaya to Mehek Apni Chhor Jaon ga. Ghazal ka Shair Hon, Dil ki Kitaab mein likh lo. Bhula Diya to Kabhi Yaad Bhi na Aaon ga. Tera he AshqeTamana Hon, Rok lo Mujh ko. Main ek Din Teri Palkon pe Jagmagaon ga. KhalooseDil se Sada di Agar kisi ne Mujhe. Gayi Bahaar ki Tarah lot Aaon ga. Dilon ka Dard Agar koi na samjha RAHAT! Main Pathron k Zamaney Main Lot Jaonga. -------------------------------------------------------------------------Wohi Muntazir nigahein, Wohi Shamegham ka aalam, Main Azal se tak raha hoon teri waapsi ki rahein.!!!........... --------------------------------------------------------------------------

Kuch Khud Bhi Thay Afsurda se Kuch Tum bhi Hamse Rooth gaye Kuch Khud Bhi Zakham k Aadi thay kuch Sheeshay hath se Choot gaye Kuch khud Bhi thay Hassas bohat Kuch Apnay Muqadar Roth gaye Kuch tumko Such se Nafrat thi Kuch Hamse Bolay na Jhoot gaye Kuch logon ne Uya Tumhen Kuch Apnay Muqadar Phoot gay Kuch khud itnay Muhtaat na thay Kuch Log bhi Hum ko Loot gaye Kuch Talkh Haqaaiq thay itnay K khwab hi Saray Toot gaye. -------------------------------------------------------------------------Tere Hasin Tasavur ka Aasra lekar Dukhon k Kante Main sare Samet leta hun.

Tumara Naam he kafi h RahateJaan ko Ghamon ki Taiz Hawaon ko Morr deta hn. -------------------------------------------------------------------------Masoom Mohabbat ka bas itna Fasana hay, Kaghaz ki Hawaili hay aur Baarish ka Zamana hay... Kya shartemohabbat hay, kya shartezamana hay, Awaz bhi Zakhmi hay aur Geet bhi gaana hay... Us paar utarnay ki Umeed bohat kam hay, Kashti bhi Puraani hay aur Toofan ko bhi aana hay... Samjhay ya na samjhay wo Andaaz Mohabbat kay, Aik shakhs ko Aankhon say Shair sunana hay... Bholi si Adaa koi phir 'Ishq' ki, zidd par hay, Phir 'Aag ka Darya' hay aur doob' kay jana hay...!!! -------------------------------------------------------------------------Main tumharay aki aarzoo mein baaayina hi bani rahi Kabhi tum na samnay aa sakay, kabhi mujh pay gard pari rahi Woh ajeeb shaam thi,aaj tak meray dil mein uka malal hai Meri tarah jo teri muntazir, teray rastay mein khari rahi Kabhi waqfehijr main ho gaei,kabhi khwabewasl mein kho gaei Main faqeereishq bani rahi, main aseereyaad huwi rahi Bari khamshi say sarak kay phir meray dil kay gird lipat gaei Woh ridaeabresfed jo sarekohsar tani rahi Huwi usay jabb meri baat bhi,thi shareekedard woh zaat bhi To na janay kon si cheez ki meri zindgi mein kami rahi --------------------------------------------------------------------------

Yeh Fakhar Toh Haasil hay , Buray hayn k Bhalay hayn Do Chaar Qadam Hum bhi Teray Saath chalay hayn Jalna toh Chiraghon ka Muqaddar hay Azal se Yeh Dil k Kanwal hayn k Bujhay hayn na Jalay hayn Thay kitnay Sitaray k Sirr e Shaam hi Doobay Hungaam e Sehar Kitnay hi Khursheed Dhalay hayn Jo Jhayl Gaye Hans k karri Dhoop k Tewar Taaron ki Khunak Chaon mayn Woh Log Jalay hayn Ek Shama Bujhayee Toh Kayee Aur Jala Leen Hum Gardish e doraan se bari Chaal Chalay hayn -------------------------------------------------------------------------jis tarah ki hain yeh devarain yeh dar jaisa bhi hai sar

chupanay ko muyar toh hai ghar jaisa bhi hai usko mujhse mujhko use nisbatain hain beshumaar meri chaahat ka hai mehavar yeh nagar jaisa bhi hai chal para hun shauqebeparvaah ko murshad maan kar raastaa pur_pech hai yan pur_Khatar jaisa bhi hai --------------------------------------------------------------------------

Raaz e Ulfat Chupa Kay Dekh Liya Dil Bohat Kuch Jala Kay Dekh Liya Or Kia Dekhnay Ko Baaki Hay Aap Say DIL Laga Kay Dekh Liya Wo Mera Ho Kay Bhi Mera Na Howa Un Ko Apna Bana Kay Dekh Liya Aaj Un Ki Nazar Main Kuch Ham Nay Sab Ki Nazray Bacha Kay Dekh Liya Faiz Taqmeel e Ghum Bhi Ho Na Saki Ishq Ko Aazma Kay Dekh Liya

Aas Us Dar Say Tootti Hi Nahi Jaa Kay Dekha Na Jaa Kay Dekh Liya -------------------------------------------------------------------------Ibaar kuch aisa mein chahta hoon Tum ko apna banaana chahta hoon Bhula kar apne sab gham Tumhe dilse apnana chahta hoon Tumhe tumhari ijazaat se Apne dil mein basana chahta hoon Apne naam k saath joar kar tumhara naam Duniya ko sareaam dikhana chahta hoon Kab ho Qubooliyat ki ghari na jaane Tumhe har dua mein mangna chahta hoon Ho jaao tum meri aur main tumhara Harr pal bas yehi ehsaas chahta hoon Tum se hi ki bamohabbat main ne Apni sari zindagi tumhare sang chahta hoon Karta hoon aaj main ye iqraar Main batumhe batumhe hi chahta hoon Haq ke saath kahoon tumhe main apna Tumse baaaj main yehi raza chahta hoon -------------------------------------------------------------------------Muhabbat Rooth Jaye to Usay Baanhon Main Lay Lena. Bohat He Paas kar k Tum Usay Jany Nahi Dena.

Woh Daman Bhi Churaye To Usay Tum Qasam De Dena. Dilon k Maamlon Main to Khataaen ho He Jati Hain. Magar Tum in Khataaon ko Bahana Mat Bana Lena. Muhabbat Rooth Jaye to Usay Jaldi Mana Lena. -------------------------------------------------------------------------Ankhein bhi wohi hain dareecha bhi wohi hai aur soch ke aangan mai utarta bhi wohi hai, Jis nay mere jazbon ki sadaaqat ko naa jana ab meri rafaaqat ko tarasta bhi wohi hai, Is dil ke kharabe se guzar kis ka hua hai ankhein bhi wohi hont bhi wohi lehja bhi wohi hai, Jo kuch bhi kaha tha meri tanhai ne tujh sey is sheher ki deewar per likha bhi wohi hai, Woh jis nay diye mujh ko mohabbat ke khazaane baadal ki taraha aankh se barasta bhi wohi hai -------------------------------------------------------------------------Wo Kehti Hai, Suno Jaana!!.. Mohabbat Maum Ka Ghar Hai Tapish Ye BadGhumani Ki Kahin Pighla Na De Iko.., Main Kehta Hoon, Key Jis Dil Mein Zara Bhi BadGhumani Ho Wahan Kuch Aur Ho To Ho Mohabbat Ho Nahi Sakti... Wo Kehti Hai, Sada Aise Hi Kiya Tum Mujh Ko Chaho ge..?? Key

Main IMein Kami Bilkul Gawara Kar Nahi Sakti.., Main Kehta Hoon, Mohabbat Kiya Hai Ye Tumne Sikhaya Hai Mujhe Tumse Mohabbat Key Siwa Kuch Bhi Nahi Aata... Wo Kehti Hai, Judai Se Buhat Darta Hai DiL Mera Key Tum Ko Khud Se Hatt Kar Daikhna Mumkin Nahi Hai Ab.., Main Kehta Hoon, Yehi khadshey Buhat Mujh Ko Satatey Hain Magar Sach Hai Mohabbat Mein Judai Sath Chalti Hai... Wo Kehti Hai, Batao Kiya Mere Bin Jee Sakogey Tum..?? Meri Baatein Meri Yaadein, Meri Aankhein Bhula Do Gey..?? Main Kehta Hoon, Kabhi IBaat Per Socha Nahi Maine Agar Ik Pal Ko Bhi Sochon To Sansein Rukne Lagti Hain... Wo Kehti Hai, Tumhe Mujh Se Mohabbat IQadar Kyun Hai..?? Key Main Ik Aam Si Larki, Tumhe Kyun Khas Lagti Hoon..?? Main Kehta Hoon, Kabhi Khud Ko Meri Aankhon Se Tum Dekho Meri Deewangi Kyun Hai Ye Khud Hi Jaan Jaao Gey... Wo Kehti Hai, Mujhe Waraftagee Se Dekhte Kyun Ho..?? Key Main Khud Ko Buhat Hi Qeemati Mehsoos Karti Hoon.., Main Kehta Hoon, MataEJaan Buhat Anmol Hoti Hai Tumhe Jab Dekhta Hoon Zindagi Mehsoos Karta Hoon... Wo Kehti Hai, Batao Na!! Kise Khone Se Darte Ho..?? Batao Kaun Hai Wo Jis Ko Ye Mausam Bulate Hain..?? Main Kehta Hoon, Ye Meri Shayari Hai Aaina DiL Ka Zara Dekho Batao.. Kiya Tumhe IMein Nazar Aaya...?? Wo Kehti Hai Key, Jee Buhat Baatein Banatey Ho Magar Sach Hai Key Ye Baatein Buhat Hi Shaad Rakhti Hain.., Main

Kehta Hoon, Ye Sab Baatein, Fasane, Ik Bahana Hain Key Pal Kuch Zindagani Key Tumhare Sath Katt Jayein... -------------------------------------------------------------------------Mere Wajood Ki Mujh Mein Talash Chor Gaya Jo Pori Na Ho Kabhi Aisi Aaas Chor Gaya Yehi Karam Nawazi US Ki Mujh Pe Kam Hai Kia Ka Khud To Door Hai Yadein To Pas Chor Gaya Jo Khawhishen Thi Kabhi Hasraton Mein Dhal Gayi Ab Mere Laboon Pe Wo Eik Lafz Kash Chor Gaya Ye Mera Zarf Hai Ik Roz US Ne Mujh Se Kaha Ka Aam Logon Mein Eik Tujh Ko Khas Chor Gaya Baharon Se Mujhy Isi Liye To Nafrat Hai Inhi Ruton Mein Mujhe WO UdaChor Gaya ------------------------------------------------------------------------- dard ki harr ik hadd se ab guzar gaya hoo'n mai phir kabhi na simtunga you'n bikhar gaya hoo'n mai maut bas nahee'n aati rooh k nikalne se sans mujh mai baqi hai phir bhi marr gaya hoo'n mai zindagi mai jitni bhi roshni thi use thii mustaqil andhero'n mai abb utar gaya hoo'n mai baam o darr bhi uske baad ho gaye hain you'n khamosh aur dil ulajhta hai jabb bhi ghar gaya hoo'n mai uska sath jab tak tha rung rung mausam thai bas khiza'n k mausam mai ab thhehar gaya hoo'n mai

-------------------------------------------------------------------------KHABHI JO DEKHNI HO MUHABBAT TU MERI CHAHHATON MAI AJANA KHABHI JO KARNI HO MUJSE BATEN TU MERI YADOON MAI AJANA KHABHI JO CHAHO MEHSOOS KARNA PYAR MERA TU MERI ANKHON MAI AJANA KHABHI JO SUNNI HO AWAZ MERE DIL KI TU MERI DHARKANO MAI AJANA KHABHI JO PAO KHUD KO AKELA SA TU MERI RAHON MAI AJANA KHABHI JO SOO NA PAO MERI YADON MAI TU MERI RATON MAI AJANA KHABHI JO GHABRAO IRD GIRD K MAUSAM SE TU MERI BAHON MAI AJANA.......... -------------------------------------------------------------------------Bharosa Toot Janay Se Zara Pehle Bata Dena, Mujhe Tum Azmanay Se Zara Pehle Bata Dena, Ki Helay Bahanay Se Zara Pehle Bata Dena, K Mujhko Tum Bholanay Se Zara Pehle Bata Dena, Zameen Ki Rait Pe Tumne Jo Muhabbat Likhi Thi, Woh Tehreerein Mitanay Se Zara Pehle Bata Dena, Mere Dilbar K Is Dil Par Main Rakh Lon Zabt Ka Pathar, Suno Daman Churanay Se Zara Pehle Bata Dena, Ki BHi Mor Pe MOHSIN Bura Pao Agar Mujhko, Zamanay KO

Batanay Se Zara Pehle Bata Dena.....!!! -------------------------------------------------------------------------Chaman roye Hansey shabnam bayabaan pe nikhaar aaye Ik aeisa bhi neya mosam mere Parwadigaar aaye Woh sar kholey humari laash pe diwana waar aaye Ehe ko moot kehtey hain toh YA RABB bar bar aaye SarGoor gareebaan aawo lekiiin yeh guzarish hae Wahaan munh phair kar rona jahaan mera Mazar aaye Baha aye chashm e tarr aeisa bhi aik ansoo nadamat ka Jisey Daman pe leiney Rehmaat e Parwadigaar aaye Qafas kay ho liye hum toh , magar aye ehl e gulshan Humey bhi yaad kar leina jab chamaan mein bahar aaye Najaney kia samjh kar chup hoon aye Saiyaad warna Woh Qaidi hoon agar chahoon Qafas mein bahaar aaye Wasif Dil kia hae main toh oun ki khatir Jaan bhi dey doon Meri Kismaat agar oun ko phir na aitbaar aaye -------------------------------------------------------------------------is aalamehairatoibrat main kuch bhi to saraab nahi hota koi neend misaal nahi banti,koi lamha khwab nahi hota ik umr namoo ki khwahish main mosam k jabr sahay to khula har khushbu khaas nahi hoti, her phool gulaab nahi hota yahan manzar se pasmanzar tak hairaani hi hairaani hey kabhi asal ka bhaid nahi khulta,kabhi sachha khwab nahi hota kabhi ishq karo to phir dekho,is aag main jaltay rehne se kabhi dil per aanch nahi hoti kabhi rung kharab nahi hota...

-------------------------------------------------------------------------KhizaN ke rang mein bhi bahaar abhi baqi hai Chiragesahar hai par intazar abhi baqi hai HameiN salam karo aye hawaadisedauraN Tumhaare saath hain phir bhi qarar abhi baaqi hai Guzar chuka hai ummidoN ka qafla kab ka Raheyaqin per ab bhi ghubar abhi baqi hai Hamein pukaar lo jab chaho ham milenge wanhi Mile hain Khaak mein lekin Waqar abhi baqi hai -------------------------------------------------------------------------Zikr ulfat per natija ye hua taqreer ka Mein bhi chup hun,woh bhi chup aalm hai ek tasveer ka Aate aate ruk gaya hai dam jo mujh dilgeer ka Aah bhar ker muntazir hun ,aah ki taseer ka Zulfelailaeshabegham hoti jati hai daraaz Aur e dil kya asar ho naalaeshab geer ka Tor ker pahlu ko nikla hai khadang naaz yun Dil nahin ek doosra paikaan hai goya teer ka Saaf baatin hain,hamara raazeulfat kya chupe Dil mein aalm hai yahan aainaetasveer ka Subh tak dekhen dilemahjoor ka kya haal ho Qasd hai phir aaj mashqenaalaeshab geer ka Shama hai bazmejahan mein kya adabeaamozeishq Lab pe shikwa tak nahin berehmiegul geer ka Maut se kya saaz ker rakha hai us ne e nazar Muddatein guzrin sabab khulta nahin takheer ka...!!!!

-------------------------------------------------------------------------Ki hurf main, ki baab mein nahi ayega Tera zikar meri kitaab main nahi ayega Nahi jayegi ki ankh se koi roshni Koi khwawaab ab kay azaab main nahi ayega Koi khud ko sehraa nahi karega, meri tarah Koi khwaisho'on kay saraab main nahi ayega Dil badgumaan tere mausamo'on ki noveed hO Koi haar dastegulaab main nahi ayega Issey lakh Dil se pukaar lo, iy dekh lo Koi aik hurf jawaab main nahi ayega Teri raah taktey rahe,agarchey khabar bhi thi Kay yeh din bhi mere hisaab main nahi ayega -------------------------------------------------------------------------Qi Abhi Hijaab Se Aagay Nahin Barha Main Aap', Woh Janab' Se Aagay Nahin Barha Muddat Hui KitaabEMohabbat Shuroo Kiay Lekin Main Pehlay Baab Se Aagay Nahin Barha Lambee MusaafataiN Hain, Magar ISawaar Ka PaaoN Abhi Raqaab Se Aagay Nahin Barha LogoN Ne SangOKhisht Kay Qal'ay Bana Liay Apna Mehel To Khawab Say Aagay Nahin Barha ToolEKalaam Kay Liay Main Ne Kiay Sawaal Woh Mukhtasar Jawab Se Aagay Nahin Barha -------------------------------------------------------------------------Zameen pe chal na , aasman se b gya

Kaat k per ko parinda urran se b gya Tbah kar geiy mujhe pakke makaan ki khawaish Mein apne gaoon k kache makaan se b gya Bhulana chaha tou bhulaane ki hudh kar di Ab wo shakhs mere wehmogumaan se b gya Kisi k haath se nikla hua wo teer hoon mein Jo nishaane ko chhoo na aur kamaan se b gya -------------------------------------------------------------------------AjeeB tarah ki judai hai yeh key main is baar sakooN main hooN buhat Beqarar ho kar bhe. . . . .! -------------------------------------------------------------------------Woh pani ki lehron pe kya likh raha tha Khuda jane harf e DUAA likh raha tha Mohabbat mein nafrat mili thi usay Ju her shakhs ko bewafa likh raha tha Zara us ki ankhon se aanso na nikle Woh jis waqt lafz e saza likh raha tha NAMAZ E MOHABBAT MEIN WOH APNI HOYE THAY Jo SAJDE,QAZA LIKH RAHA THA -------------------------------------------------------------------------Palkon Peh Ruki Boond Bhi Ronay Ko Bohat Hai Ek Ashk Bhi Daaman Ke Bhigonay Ko Bohat Hai Yeh Waqia Hai Dil Mein Meray Teri Mohabbat Honay Ko Buhat Kam Hai, Na Honay Ko Bohat Hai Phir Kya U Tareekh Ko Dohrao Gay Qatil

Nezay Peh Mera Sir Hi Pironay Ko Bohat Hai Har Shaakh Se Utrain Gay Samar Dushmanion Ke Nafrat Ka Bus Ik Beej Hi Bonay Ko Bahat Hai Kis Tarah Se Baatin Peh Charhi Mail Utaarain Jo Zakhm Badan Par Hai Wo Dhonay Ko Bohat Hai Ab Saamna TughyanieDarya Ka Hai Mohsin Ek Lehar Bhi Kashti Ke Dibonay Ko Bohai Hai -------------------------------------------------------------------------ShaamEFurqat Dhalay Hum Nahi Chahtay Ghum Say Fursat Milay Hum Nahi Chahtay Phir Naya Waar Sehnay Ko Tayyaar Hain Tu Pareshaan Rahay, Hum Nahi Chahtay Aaj Ansoo Bahaanay Say Mat Rokiye Aaj Baarish Thamay, Hum Nahi Chahtay Hum Teray Baad Ujrray Howay Theek Hain Ab Kahin Dil Lagay, Hum Nahi Chahtay Teray Paikar Ko Hum Dekhtay Hi Rahain Tu Nazar Say Hatay, Hum Nahi Chahtay Kis Qadar Dil Nasheen Hai Yeh Mojon Ka Shoor Ghum Ka Darya Rukay Hum Nahi Chahtay IQadar Pyaar Se Tu Pukara Na Kar Aag Dil Ko Lagay Hum Nahi Chahtay --------------------------------------------------------------------------

Kitni Shaamein Roshan Hongi Kitne Deep Jalao Gi, Pyar Ki Saalgirah Tum Kis Ke Sath Manao Gi. Main To Rukhsat Ho Hi Raha Tha Aaj Tumhari Galiyon Se, Ab Tum Kis Ke Sath Raho Gi Kis Ka Sath Nibhao Gi. Aakhir Woh Din Kab Aaye Ga Jab Khalwat Mein Mujh Se Tum, Mere Dil Ka Haal Suno Gi, Apna Haal Sunao Gi. Farz Karo Agar BaadeFurqat Main Tum Ko Mil Jaon To, Hairat Mein Parr Jao Gi, Ya Seeney Se Lag Jao Gi. Jaaney Se Pehle Bas Itna Soch Lo Gar To Behtar Hai, Dil Ki Galiyaan Band Milen Gi Jab Tum Loat Ke Aao Gi. Theek Hai Tum Lotaa Do Mujh Ko Mere Tohfey Aur Khatoot, Lekin Jo Din Pyar Mein Guzrey Woh Kaise Lotao Gi. Ho Jao Tum Laakh Kisi Ki Lekin Phir Bhi Tum, Mujh Se Hi Mansoob Raho Gi Meri Hi Kehlao Gi... --------------------------------------------------------------------------

Ghumehijreyaar kab tak, rahoon beqarar kab tak merey dil bata yeh mujhko, karoon ussko pyar kab tak yeh hujoomenamuradi ghumebeshumar kab tak terii baat kaa bharosaa teraa intezaar kab tak shabehijr ki udasi kahin mujhko lay na doobey meri dharkano pe hoga tera ikhteyar kab tak na hi aaj ka bharosa na hi kal ki hain umeedein teri raah guzar takun mein shabewaslyaar kab tak mein nikal pari thi tanha liyey saraey ranj dil par magar phir khayal aya keh sahoon yeh baar kab tak merii aankhein takrahi hein teri wapsi ki raahein

tu hi ab bata dey mujhko karoon intezar kab tak mujhay yoon tou dey geya hay wuh dilasa jatey jatey magar ab yeh sochti hoon karoon eaitbaar kab tak buhat ilteja ki uney ,kaha us nay nahi jao magar uki bedili ka bhala sehtii waar kab tak -------------------------------------------------------------------------Nighaon K Tasadum Se ajab Taqrar Karti Hai, Yaqeen Kamil Nahi Laikin Guman Hai Pyaar Karti Hai, Laraz Jata Hun Main Yeh Soch K Kafir Na Hojaon, Tabiyaat U Pooja K Liye Israar Karti Hai, Usay Maloom Hai Shayad Mera Dil Hai Nshanay Par, Labon Se Kuch Nahi Kehti, Nazar Se Waar Karti Hai, Main Usay Puchta Hun Khuwab Mein Mujhse Muhabbat Hai...?? Phir Ankhein Khol Deta Hoon Jab Woh Izhar Karti Hai....!!! -------------------------------------------------------------------------kafi arsa beet gya janey ab wo kesa hoga waqt ki sari karwi baatein chup chaap hi sehta hoga ab bhi bheegi barish mein wo bin chatri ke chalta hoga mujh se bicharey arsa beeta ab wo kis se larta ho ga ''Acha tha jo saath hi rehtey'' baad mein une socha hoga apne dil ki saari baatein khud se khud hi kehta hoga

-------------------------------------------------------------------------Dsht_e_Ghurbat MeIN Muflison Ka lahu Aam Bikta HAI Kisi Ka Jism Bikta Hai Ksi Ka Naam Bikta Hai Dunya De Gi Kya Tum Ko Or Tum lo Ge Kya Is Se Aao Mera Daman Thaam, K Maikadey Mein Jaam Bikta Hai Hirs K Bazaron Mein Hawa Ki Beti Ka Aanchal Pehly SubAh Ko Bikta Tha Mgr Ab Shaam Bikta Hai Ameer_e_Shehr K Mehlaat Ki Baat B Khob Hai Mgr Faqeer_e_Shehr Ki Goad Mein Aaram Bikta Hai.... -------------------------------------------------------------------------Nazar jub tum se milti hai main khud ko bhool jata hoon, Bas ek dharkan dharakti hai, main khud ko bhool jata hon, Tumhain milne se pehle main bohut sajta sanwarta hon, Magar jub tum sanwarti ho main khud ko bhool jata hon, Main ar kitabon pe tera hi naam likhta hon, Magar kuch tum jo likhti ho main khud ko bhool jata hon, Main ar yehi kehta hon, main tum say pyar karta hon, Magar jub tum yeh kehti ho main duniya bhool jata hon -------------------------------------------------------------------------All trademarks, images, and poetry on this book are the property of their respective owners, and are hereby recogniseds From:ahsan farooq Facebook.com/basyadeen

You might also like