Urdu Shairi Newsletter July 2012 Mohd Anwar Jamal Faiz
Urdu Shairi Newsletter July 2012 Mohd Anwar Jamal Faiz
Urdu Shairi Newsletter July 2012 Mohd Anwar Jamal Faiz
July 2012 /***********************************NOTICE*************************************** Dedicated to my frendzzz and readers who have consistently asked for good shairis/ghazals of Urdu literature. Hence, this newsletter. Urdu-Shairi-Newsletter is dedicated to poetry lovers across the globe. It will contain couplets/ ghazals by some known and/or unknown Shaiyars. Any sher written specifically by me or some known writer is mentioned. Unmentioned can be presumed to be of any writer but not known to me. Disclaimer: Typing and/or grammar errors may creep into the document. Some parts or complete lines may have been attributed to a wrong poet/shayar. Any error should be omitted, since this eZine / Newsletter is out of my hobby. Copyright: This eZine/Newsletter is subjected to copyright in totality. Direct couplets which are directly not written by me or any mentioned authors are collected from books/sms/internet/gatherings, hence author has no claims over that. But Shairis written by me have all rights reserved to me. This document if shared anywhere via email/blogs/social networks/print/electronic/ or any other related media, should have the Notice header attached. Thanks and regards, Mohd Anwar Jamal Faiz [email protected] www.meonshow.com/splash.php?uid=toughjamy +91-8888327658 *Please feel free to give feedback and/or report errors. You may also send your original content to be included. ********************************************************************************/
I will start with none other that Mirza Ghalib... unke dekhe se jo aa jaatee hai muNh par raunaq woh samajhte haiN ke beemaar ka haal achcha hai
Let's see this one. I like this one... Deewar-e-khastagee hoon mujhay haath mat laga Mein gir paroongaa dekh, sahaara na day mujhay ye kisi mashoor shair ki hai.. i forgot name meri nahi hai bhai..
And now see this again by Ghalib.. Just dwell into its meaning. Its like an abyss of emotions... Ranj se khugar hua insaan to mit jaata hai ranj, Mushkile itni pari mujh pr k asaan ho gyi.
And read this one... Jiss K Chehray Per Sahbi Jhoot Ki Tehrirein Hain Dil Uss Shakhs Ke Waadon Say Behlta Kiyon Hai
awesome one again.... Shamme mazaar thi, ya koi shog waar tha, tm jispe ro rhe the vo kiska mazaar tha !! Jaadu hai ya tilism tmhaari jbaan me ? Tm jhoot kh rae the mujhe aitbaar tha
Faraz Saheb ki hi kahi ek aur Naadani ki inteha dekhiye... Bohat ajeeb hen yeh bandishen Muhabbat ki Na us ne qaid me rakha na hum farar huway... long liner i liked recently..
Waqt ne hmse kaisa lia imtehaa, hmne roka nahi, tm ruke bhi nahi. Bn to skti thi kitni alag daasta, hmne roka nahi. Tum ruke bhi nahi. And my funny reply... hmmm.. kaha tha kisne ki ahade wafe karo usse kiya hai jab to phir ye gila kisse wo to aayi hi thi tumhare mama ke ghar
ek humare-tumhare haalat pe unknown aadmi ki sher yaad aa rahi hai... haqeeqat me sochna is par aapki khidmat me pesh hai mere ek dost ka SMS. not literally nice, but attempt is nice.
Iskadar Ishq Mein Mashhoor Huye Hum Ik Tadap Si Rahi Bas Mazboor Huye Hum Chahat Ke Is Bazaar Mein Do Pal Sahi Teri Hasti Palko.n Ka Saroor Huye Hum Teri Ankho.n Ke Aaieeno.n Mein Aks Mera Tha Ik Thokar Lagi dekho Choor Choor Huye Hum i like this one. I find this awesome... Samajhte the magar phir bhi na rakhi duriyan humne, Chiragon ko jalane me jaladi ungliyan humne And see this one.... sar jhukaoge to patthar bhi devta ho jaega itna na chaho use wo bewafa ho jaega Mirza ghalib ki ek... haiN aur bhee duniya meiN suKHanwar bohot achche kehte haiN ki GHalib ka hai andaaz-e-bayaaN aur
again by ghalib... har ek baat pe kehte ho tum ke 'too kya hai' ? tumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai? [ guftgoo = conversation ]
chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai? [ pairaahan = shirt/robe/cloth, haajat = need/necessity, rafoo = mending/darning ]
jalaa hai jicm jahaaN dil bhee jal gaya hoga kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai? [ justjoo = desire ]
ragoN meiN dauDte phirne ke ham naheeN qaayal jab aaNkh hee se na Tapka to phir lahoo kya hai ? Following is by Majaz..... Husn Phir Fitnaagaar Hai Kyaa Kahiye Dil Kii Jaanib Nazar Hai Kyaa Kahiye Husn Khud Pardaadaar Hai Kyaa Kahiye Ye Hamaarii Nazar Hai Kyaa Kahiye Aah To Be-Asar Thii Barason Se Nagmaa Bhii Be-Asar Hai Kyaa Kahiye Aaj Bhii Hai Majaz Khaaknashiin Aur Nazar Arsh Par Hai Kyaa Kahiye how about this... Main Diya Hoon Toote Mazaar Ka Sar Shaam Kiss Ne Jala Diya Teri Berukhi Adaoon Ne Mujhe Zarra Zarra Bana Diya maine usko salam likh bheja. haale dil tamam likh bheja. maine pucha tere baal kaise h. usne kudrat ka inaam likh bheja.
maine pucha tere hoth kaise h. usne sirf jaam likh bheja. maine pucha kab hogi mulaqat. usne qyamat ki shaam likh bheja. maine pucha itna kyu tadpati ho. usne jawani ka intqaam likh bheja. maine pucha kisi se nafrat bhi karti ho. zaalim ne mera hi name likh bheja. 3 Dil ki deewaro pe kya dekha, Bas tera hi naam khuda dekha, Teri aankhon me humne kya dekha, Kabhi kaatil kabhi khuda dekha, Apni soorat lagi parayi si, Jab kabhi humne aaina dekha, Haaay andaz tera rukne ka, Waqt ko bhi ruka-ruka dekha. ? Hamaary Inteekhaab ka Mayaaar kuch Bhi Ho, Jise Hum Chahenge,Usey Be-Misaal kar Denge.... ? 4. Again by Majaz Junuun-E-Shauq Ab Bhii Kam Nahiin Hai Magar Vo Aaj Bhii Barham Nahiin Hai Bahut Kuchh Aur Bhii Hai Jahaan Mein Ye Duniyaa Mahaz Gam Hii Gam Nahiin Hai
5. Jawed Akhtar Saheb ki do line... Tere Baghair Bhi Hum Jee Toh Rahay Hain Magar / Saza-E-Maut Kay Maayoos Qaidiyo'n Ki Tarah..
6. above line pe mera jawaab. This one is by Me (ie. Anwar jamal) Main Aur Ravish-e-Maayoos Qaidi, Tauba. Ye Qaid-e-Khaas Hi Sabaa-e-Zindagi Apni. --Anwar.
see following, its a good attempt by a stranger... "Mar bhi jaaon to kahan log bhula dainge... Lafz mere, mere hone ki gawahi dainge...!!" Badshah Bahadur Shah Zafar ki ek bahut umdaa sher hai. Completely awesome... Lagta Nahin Hai Dil Mera Ujde Dayar Mein Kiski Bani Hai Aalam-e-Napaidar Mein Kehdo In Hasraton Se Kahin Aur Ja Basen Itni Jagah Kahan Hai Dil-e-Daagdaar Mein Umr-e-Daraz Mang Ke Laye The Chaar Din Do Aarzoo Mein Kat Gaye Do Intezaar Mein Din zindagi ke khatm hue shaam aa gayi
phaila ke paanv soyenge koonje mazaar mein Kitna Hai Badnaseeb Zafar Dafn Ke Liye Do Gaz Zameen Bhi Na Mili Koo-e-Yaar Mein - Bahadur Shah Zafar Mirza ghalib ki world famous shairi... KHat likhenge garche matlab kuchch na ho ham to aashiq haiN tumhaare naam ke ishq ne 'GHalib' nikamma kar diya warna ham bhee aadmee the; kaam ke
-----abhi ke liye itna hi-----Mohd Anwar Jamal Faiz [email protected] www.meonshow.com/splash.php?uid=toughjamy +91-8888327658 *Please feel free to give feedback and/or report errors. You may also send your original content to be included.