Udaan

Download as doc, pdf, or txt
Download as doc, pdf, or txt
You are on page 1of 4

Pairon ki, bediyan, khwabon ko, baandhe nahi re

kabhi nahi re…


mitti ki, parton ko, nanhe se, ankur bhi cheene
dheere dheere..
iraade hare hare, jinke seeno mein ghar kare
woh dil ki sune, kare, na dare, na dare…

subah ki kirnon ko rokein jo salaakhein hai kahan


jo khayalon pe pehre daale woh aankhein hai kahan
par khulne ki deri hai parinde udh ke choomenge aasman aasman aasman
subah ki kirnon ko rokein jo salaakhein hai kahan
jo khayalon pe pehre daale woh aankhein hai kahan
par khulne ki deri hai parinde udh ke choomenge aasman aasman aasman…

aazaadiyaan aazaadiyaan
maange na kabhi mile mile mile
aazaadiyaan aazaadiyaan
jo cheene wahi jee le jee le jee le
subah ki kirnon ko rokein jo salaakhein hai kahan
jo khayalon pe pehre daale woh aankhein hai kahan
par khulne ki deri hai parinde udh ke choomenge aasman aasman aasman

kahani khatam hai, ya shuruwaat, hone ke hai


hone ke hai
subah nayi hai ye, ya phir raat, hone ko hai
hone ke hai…
kahani khatam hai, ya shuruwaat, hone ke hai
hone ke hai
subah nayi hai ye, ya phir raat, hone ko hai
hone ke hai…
aane wala waqt dega, panahein
ya phir se milenge doraahe
khabar kya…
kya pata….

Nadi mein, talab hai, kahin jo agar


samandar, kahan door, hai…
damakti, garaz hai, sone mein agar
to jalna, bhi manzoor, hai…
ik udaan, kab talak yoon kaid rahegi
roko na, chod do ise…
ik udaan hi sapno ko zindagi degi
sapno se jod do ise
purani daleelon, rasmon ko sabhi
abhi se, kahe alvida
badalte dino ke, tareekon se
seechein hum, naya gulistaan…
ik udaan, kab talak yoon kaid rahegi
roko na, chod do ise…
ik udaan hi sapno ko zindagi degi
sapno se jod do ise

ik udaan, kab talak yoon kaid rahegi


roko na, chod do ise…
ik udaan hi sapno ko zindagi degi
sapno se jod do ise

Geet mein dhalte lafzon mein,


taal pe chalti nabzon mein
naya, kuchh naya, zaroor hai
shaam se leke sehron mein,
dhoop chhadi duphero mein
naya, kuchh naya, zaroor hai
kya baat hai, jo baat hai, taaza lage
zindagi ki nayi nayi faza lagey
haan yeh umango se, poora hua seena hai
seena hai seena hai seena hai
lamha yeh maanga nahi, ise humne cheena hai
cheena hai cheena hai yoon hi jeena hai

dhool jami thi aankhon mein,


khwaab khile ab lakhon mein
naya, kuchh naya, zaroor hai
dard ki baatien kal ki hain,
aaj mein khushiyan chalki hain
naya, kuchh naya, zaroor hai
jaibon mein hum, raatein liye, ghuma kare
fursat ke yeh, mauke sabhi, jhooma kare
haan yeh umango se, poora hua seena hai
seena hai seena hai seena hai
lamha yeh maanga nahi, ise humne cheena hai
cheena hai cheena hai yoon hi jeena hai

andheri mein hai, nayi garmiyaan…


junoon sakht hai, gayi narmiyan…
hai dilchasp yeh, aag si
aag si…
mitenge nahi, yaad se
yaad se…

geet mein dhalte lafzon mein,


taal pe chalti nabzon mein
naya, kuchh naya, zaroor hai
shaam se leke sehron mein,
dhoop chhadi duphero mein
naya, kuchh naya, zaroor hai
kya baat hai, jo baat hai, taaza lage
zindagi ki nayi nayi faza lagey
haan yeh umango se, poora hua seena hai
seena hai seena hai seena hai
lamha yeh maanga nahi, ise humne cheena hai
cheena hai cheena hai yoon hi jeena hai

Chhadti lehrein laang na paye, kyun haanfti si naav hai teri naav hai teri
naave hai teri
tinka tinka jod ke saansein, kyun haanfti si naav hai teri naav hai teri
naav hai teri
ulti behti dhaar hai behri dhaar hai behri
ulti behti dhaar hai behri dhaar hai behri
ke ab kuch kar ja re bandhu

bigar juta ke baal bandh le, hai baat thehri jaan pe teri jaan pe teri
jaan pe teri
bhaiyaon ki taan saadh le, jo baat thehri jaan pe teri shaan pe teri
shaan pe teri
chal jeet jeet lehra ja
chal gulaal phera ja
ab kar ja tu ya mar ja, kar le teyaari
udh ja ban ke dhoop ka panchi, chhuda ke gehri chaon, andheri chaon andheri
chaon andheri
tinka tinka jod ke saansein, kyun haanfti si naav hai teri naav hai teri
naav hai teri

rakh dega jakjhor ke tujhe, toofano ka ghor hai dera ghor hai dera
ghor hai dera
bhanwar se dar jo haar maan le, kaahe ka phir jor hai tera jor hai tera
jor hai tera
hai dil mein roshni tere
cheer daal sab ghere
lehron ki gardan kass ke, daal phande re
daal phande re
ki dariya bole wah re panthi, sar aankhon pe naav hai teri naav hai teri
naav hai teri
chhadti lehrein laang na paye, kyun haanfti si naav hai teri naav hai teri
naave hai teri
ulti behti dhaar hai behri dhaar hai behri
ulti behti dhaar hai behri dhaar hai behri
ke ab kuch kar ja re bandhu

Aankhon ke pardon pe pyaara sa jo tha, woh nazara


dhuan sa ban kar udh gaya ab na raha…
baithe the hum toh khwaabon ki chaaon ke tale…
chhod ke unko jaane kahan ko chale…

kahani khatam hai, ya shuruwaat, hone ke hai


subah nayi hai yeh, ya phir raat, hone ko hai
kahani khatam hai, ya shuruwaat, hone ke hai
subah nayi hai yeh, ya phir raat, hone ko hai
aane wala waqt dega, panahein
ya phir se milengi, woh raahein
khabar kya….
kya pata……

You might also like