Noor Ki Talash Mein

Download as doc, pdf, or txt
Download as doc, pdf, or txt
You are on page 1of 9

AJ TERI Galiyon sy guzra to hua yeh Ehsas

teri aahat aj b hai mery wahm o guman mein


SAYA FIGIN

Hai Yeh Tera INTAZAR ya meri zat ka khali pan


K aj tk mein hn teri yad mein MAHWY
SUKHAN

Na bhok hai khany ki na nind hai ankhon mein,


Na hai milny ki cha kisi sy
Bichar k tjh sy lgta hai jaisy
wasl ho gya ho mlk ul maut sy jaisy

aj hogya ajb mamla mery sath hai


krta haidil k aj raulaon tjh ko b apny farak may mein
tarpaon tujhay b waisy jaisy hn tarpat6a yadon mein teri mein
suolaon aj tm ko b un angaro py
jin pr lothta subah sham hn mein
chahta hn aj tmhary alfaz ko sach kr dn
k tm jo kehti thi k hn bhot zalim mein
krta dil mera hai k lay lon tm sy
tmhari dharkanaintmhari muskhuratain tmhari sansain mein
lakin phir sochta hn k kia kron ga in ka mein
k jb pyar sy na ban sakain yeh meri
to chein k kia kr lon ga in ka mein

ik arsa hua tera intazar krty krty


kai janm guzar gay teri tapasaya krty krty
tm keh k gay thy k jld laut k aao gy
ik umr beet gai tery wady py yakeen krty krty
aj mila tha ik misl_e_majno sary_e_rah mujhay
lgta tha wo b thak gya tha mahboob ki parastish krty krty
ab to laut aao k mein b thak gya hn
apni in hasraton ka katl krty krty
ab to ho gya muhaida mjh may aur hijr may
k aut gay thy hum dono hi aaps mein jang krty krty

dekhein thein un gint mahjabain,pri chera aur pariyan husan ki


bhot si thein kabhi hmary phelo may karti sargoshiyan
lakin ab k ajb hua mamla hmary sath hai
dil tarapta hai us k liay jis k sath tha taluk bs wajbi sa

yeh dil b nadan hai bhot


mgr yeh b sch hai k tmhain chahta hai bhot
jis din tm humain chor k gay
yeh tarpa tha tmhary farak may bhot
mein ny roka isy,toka isy,smjhia b
mgr is ny bhain hain ansoo khon k tmhary intazar may bhot
lgta hai apni hi niyat may fatur mjhy
warna yeh dil bichara to tha sabir bhot
ab to baksho meri ankho ko noor
ek arsy sy yeh by noor hain bhot

aj aagya tera khyal dil may mery bs yunhi


rula gya dil ko khon k ansoo bs yunhi
aarhay hain yad wo din mjhay
jb likhty thy nam dharkhton py apny hum bs yunhi
jo mila ek sukha hua ghulab aj kitab amy
to jal uthy yadon k deep meri ankhon may bus yunhi
jo guzra mein teri rahon sy bay khiali mayaj
to ho gya gham gin yeh mera dil bs yunhi
ab to koi khirki b kholon to
teri judai ki hawa aajati hai undr bs yunhi
sochta hn tung aa kr ab tery hijr sy
k chala jaon is jahn sy bs yunhi….
Aj aai na teri yad din bhar
Pr tarapta raha phir b mera dil najany kyon
Halan k arsa hua TARK_E_TALUK huay
Pr aj b mein so nai pata na jany kyon
Dhobty sauraj k sath to aj
Dhob gya mera chlni dil b najany kyon
Sochta tha ab aur na bhain gy aanso teri yad may
Phir b ho gya mera takya num najany kyon
Kiya tha irada k na karain gy kbhi kisi sy muhabat
Ho gain phir b dil ki dharkanain bay chain na jany kyon
Lay raha hn sans b tawatur sy
Pr yeh dil dharkna.bhol gya najany kyon

Dhalti sham k saaye yad dilaty hain mujah tmhari


Ghari hoti rat ki khamoshi yad dilay mujhay tmhari
Bichry huway jb milain ik dojy sy arsy bad
Un ki varaftagi yad dilay mujhay tmhari
Jb koi rhoty huay ko mnay to
Us ki ada_e_ bayniazi yad dilay mujhy tmhari
Jalti hui shama ko dekhta hn to
Parwno ki dewangi yad dilay mujhay tmhari
Lgta hai aa pohncha hai mery kouch ka waqt
K ab yeh aati jati sanso k silsaly yad dilay mujhay tumhari

Hai yeh shairi b ik ajb dil lagi ka khel


K keh dyti hai wo sb kuch jo hota hai dil ki mael
Tha ik arsy sy intzar mujhy shaid isi ka
K aj hai yehi wahid zaria meri dil ki tashaki ka

Ab to thk gya hn ic banwary dil ko samjhaty smjhaty


Pr yeh b ajeeb ahi k thakta nai teri yadain sajaty sajaty
Kehta hn ic na samjh ko k bhol ja us ko
Wo wady wo kasmain wo na mukaml mulakatain
Pr lgta hai kahi hai kasm ic ny tery pyar mein
K tarpon ga sda us ki hi yad may
Mein ny manaya isy jhirka isy roka isy
Dekha wasta apny taluk ka samjhia b isy
Pr yeh b zidi tha shaid teri tarah ka
K aaya na baz deewangi ki khak urany sy

Aj pocha tha meri ma ny bary chao sy


K hai koi k jo ho tery dil k liay bais-e-taskeen
Jwab mein is k jo kuch keh na ska
To uchal di us ki taraf ek muskan pikhi si
Ab kya kehta mein us paikr-e-wafa ko
K han hai ek taswir mery dil k aainy mein b
Lakin mushkil hai yeh k wo tasweer bni hai kisi ki bato ki khushboo sy
K wo taswer us ki haijo chor gya mjhay intazar ki ghairaion may
Jo kr gya tanha mjhay is tnhai k dasht may
Jo kehta tha tm hi meri duniya ho aur aj
Khud kr gya duniya meri viran wo
Han meri pyari maa tha kbhi koi meri b rahon ka hmsafr
Lakin mein tjhay keh na ska pr kuch ajb nai q k
Yeh sb to us ko b mein keh na ska

Teri yadon k saaye jb phailain mery char so


Lgat hai lg gai ho aag jaisy char so
Ab to mushkil ho gya jina mera
K phail gya gham teri judai ka char so
Na do mjhhay dua lambhi umr ki
K phailain hai naza k jal mery char so
Lgta nai hn mein kyla ic jahn may deewana
MIR,GHALIB,AMJAD,WASi b hain mery char so
Bhot andhari ho gain hain meri ankhain
Kbhi to phailao apna noor mery char so
Ab to aagya wakt karib milny ka IZRAEEL sy
Ktm hi tm phail gay ho mery char so
Dil b deewana hai k dhondta hai tawailain tery jany ki
Kabhi kehta hai k wo aay ga ek din laut k bhar ki tarah
Kabhi kehta hai k usy kiya naraz meri bay rukhi ny
Kbhi kehta hai k usy mutnafir kiya mery shak k khanjar ny
Kbhi kehta hai k dhukaya us k dil ko
Mery ik dil lagi py mabni jhot ny
Pr mera to ek hi swal hai is kaid may PARHPARHATY PRINDY sy
Thi itni hi ulft us sy to
Kaha kyon us sy
K hai wo teri bato ki maye ka khumar
K jis may raksy kuna hai mera ang ang

Hijr o intazar k tapty sehra may chalty chalty


Jo dekh ek ssaye ko to hua guman tery wajud ka
Jo dekha pas ja kr to hua malom yeh k
Yeh to tha ek sarab tery wady ki tarah ka
Ajb na tha mera is sarab ko dekh k mshor ho jan
K ab tera wasl marhon-e-minat hai inhi nazr k faraibon ka

Aj dil hai udas bhot


Pr yeh nahi koi bat nai
Na guzra koi din aisa tmhary jany k bad
K jb yeh roya na ho tarpa na ho
Pr tm ko kya fikr ic nadan aur majzob ki
Tm ny to kaha tha k jld laut k aaon gi
Pr shaid tm ny b smjha na zarori wapis aana
Mjhay shikayat nai tm sy gila hai to bs itna
K tha jana hi tmhain yun monh morh k
To tha dharkaya ic banwary mun ko phely kyon
Aur upr sy yeh dil b deewana mera
Jb thy pas tm to ki na kbhi kdr tmhari
Aur ab k jb nai hai koi surat tmhary laut k aany ki
To bay chain hai aisy jaisy tha azl sy tmhara mutmani
Ab to khuda hi reham kry meri halt pr
K nai koi saurt hai tmhary laut aany ki
Na koi tdbir hai ic nadan ko bhelany ki

Bighon jo bay mausam ki barish may akela to ankhain bheg jati hain
Mily koi pl jo guzara tha tmhari bahon may to ankhein bheg jati hain
Chalon jo un rhon rahon py jin pr
Chly thy tm mera hath pakr k to ankhein begh jati hain
Guzron jo un dharkhton tly sy
Jin k nichy beth kr hua tha milap hamara to ankhein bheg jati hain
Niklon jo galti sy rat ko bahir mein
To chand ki chndani ko dekh k ankhein begh jati hain
Dekhon jo lehron ko tarapta sahil k liay
Dekh k un ki yeh tarap ankhein begh jati hain
Ab to ho gya mushkil is jahn sy jana mera
Kambakht hr dharkan pr ankhein begh jati hain

Shb-e-hijr ,sham-e-tanhai, shab-e-farkat


Kaisy kaisy nam dy rakhy hain teri judai k palon ko
Ary koi kambakht sidi tarh kyon nai keh dyta k WAQT-E-NAZA a pohncha

Aj aya ek ajb khyal mery dil may hai


K likhon kuch us k bary may b
Jis ki kismt likhi hai mery haton pothni
Jahn tk hai andaza mera
Ho gi wo parhti in dino kisi duswain gyarwain jamat may
Ho gi wo b kisi ki dharkano ki taskeen
Ho ga koi us ki ankho k liay b bais-e-thandk
Lgta to hoga tjhy yeh sb amyana sa mery dost
Pr kya kiya jay k yehi hai dastor-e-hayat
Abhi to kafi arsa hai us sy milny may
K abhi to sabit karna hai khod ko kabil us k
Dekhta hn chand ko hamisha yeh soch kr
K hogy dekhty tm b isy kisi darichy sy bhol kr
Beghta hn barsat ki barish may yeh soch kr
K rakhty ho gy tm b hath ic may apna bhol kr
Sauta hn rat ko to yeh soch kr
K kabhi to sajao gy mery khawabon ko bhol kr

Jis din sy huay hm juda hain


Us din sy lgta hai jaisy
Ek arsa hua in ankho ko roshan huay
Ek arsa hua in labon ko muskaray huay
Ek arsa hua ic dil ko dharky huay
Ek arsa hua ic jism ko jiay huay
Ek arsa hua ho meri roh ko parwaz kiay huay

Barh rahu hai meri tanhaiyon ki umr laut aao


Dhus rahi hain tmhari baton k nag hmain laut aao
Dekhny k liay tmhain meri viran ankhain
Tarap rahi hain sadion sy laut aao
Muntazir hain mery hont janmo sy
K chom tery rukhsar laut aao
Ja raha is jahan sy rhot kr
Logon km tano sy dr k hi laut aao

Sochta hn lyta apny bistr may rat k ic pher mein


K thi shaid galti meri hi ic rishty ko shoro krny mein
Kash k mein na dyta jawab tmhary us phygam ka
Pr krn kya k hn mein b ik beta adam ka
Kash k tm bat rkhti mehdod sirf dosti tk phely phel
Pr tm ny to kr dia IZHAR_E_ISHQ dosry din ki hi bat may
Mein ny to dekha b na tha abhi tmhara wo chera
Tha jis k bary may dawa tmhain k wo hai chand k liay b BAIS_E_RASHK
Jo mangy mein ny kuch pal tmhari sangat k
To ho na saka tm sy kuch siway rony aur tawilain dyny k
Phir ik din jo bola jo jhot kuch mazak may mein ny jo
To us din sy tm roth k aisy gay ho k
Thak gya hn ab mein tmhainn pukarty pukarty
Tm to keh k gai thi k jld laut k aaon gi
Lakin lautna to ik taraf tm to ho gai mutnafr hmary paygam sy b
Aur kuch nai mangta mein tm sy bs itna kro karm
K ik bar aa kr keh do tm mujh sy
K TM MERY KUCH NAI

Tot gay mery sary khawab b aaj


Roht gain tmhari sb yadain b mujh sy aj
Jo mil na ska tmhara mashor kun qurb mjhay
To itna hi kro k amngo dua k mr hi jaon mein aj
Na ki jo tm ny yeh dua to hai yeh tay
K ho jaon ga dewana tmhary hijr may aj
Na ruko humain bolny sy rakh k hamary munh py hath
K ab to hai kr liya irada k tarpain gy tm ko b khob aj
Wo meri ulfatain chahatin aur muskurahatin
Jo cheen li thein tm ny laut do mjh ko aaj
Kron ga zindagi ka sb sy bara sauda aj
Ly k hansi tmhari dy jaon ga apni maut ka taufa aj

Tarapti hn gi rohain b NASIR, SAAHIR aur SAAGIR ki


Jb dekhti hn gi mjh jaisy nang-e-adab ko mahwy sukhan
Pr kya kron aay adab k ifthikharo
K nai milta koi chara saz siway ic adat-e-sukhan k
Ik yehi to hai nkhlistan ic dasht—e-tanhai ka
Yehi to wo maye hai jo bhula dy ti hai yad us jafakash ki

Aj dekh jo ek jalty huay diay ko to hua guman ek deewany ka


Dekha jo ik parwany ko to hua guman ek
deewany ka
Dekha jo is ghumti dunya ko to hua guman ik deeewany ka
Dekha jo ik Abid ko to hua guman ik deewany
ka
Dekha jo ek bulbul ko phol kinary to hua guman ik deewany ka
Dekha jo jlty huay surj ko to hua guman ik
deewany ka
Dekh jo bay karan lehron ko aj to hua guman ik deewany ka
Ghalti sy jo dekha aainy mein aj to hua guman
ek deewany ka

Tah jo ik rishta tjh sy mera wo taut gya


Yeh jo tha mera shishy sy nazuk dil wo taut gya
Jb sy hua hn alg tjh sy lgta hai
Nata tha jo zindagi sy wo taut gya
Dekha tha jo khawab tery sng jiny ka
Wo b teri jafa ki garmi sy taut gya

You might also like