Naat PDF

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 26
At a glance
Powered by AI
The poem discusses the beauty and blessings of Madinah and being in the presence of the Prophet (SAW).

The poem praises Madinah and expresses longing to return there due to the blessings and peace it provides.

The Prophet's (SAW) status is compared to paradise, destiny, blessings, and intercession - and said to be greater than all of these.

Table of Contents

Moula Ya Salli Wasallim Daaeman.................................................................................................. 1


Karam Ke Badal .............................................................................................................................. 2
Unki Mahak Ne Dil Ke Ghunche Khilaa Diye Hai .............................................................................. 3
Subha Taibah Me Hui Bat'ta Hain Baada Noor Ka ........................................................................... 4
Sunte Hain Ke Mehshar Main Sirf Oun Ki Rasaayi Hain ................................................................... 5
Naimatain Baantta Jis Simt Wo Zeeshan Gaya ................................................................................ 6
Mere Lab Pe Raat Din Hain ............................................................................................................. 6
Main Madinay Chala, Mein Madinay Chala..................................................................................... 7
Tu Shamme Risalat Hain Aalam Tera Parwana ............................................................................... 8
Faryaad hai faryaad hai .................................................................................................................. 9
Utha Do Parda Dikha Do Chehra................................................................................................... 10
Waah Kya Martaba Aey Ghaus Hai Baala Tera .............................................................................. 11
Lamyati Naziro ............................................................................................................................. 12
Dare nabi par ............................................................................................................................... 12
Khuda Ke Fazl Se Hum Par ............................................................................................................ 13
Sarkaare Ghaus E Azam ................................................................................................................ 14
Koi Guftoogu Ho Lab Par Tera Naam Agaya Hai ............................................................................ 15
Madeena Madeena Madeena Madeena....................................................................................... 16
Dinon ki baat karoon .................................................................................................................... 17
Twalab ka mounh......................................................................................................................... 18
Rehmat ka hai darwaza khula....................................................................................................... 19
Yeh sab tumhara karam hai aaqa ................................................................................................. 20
Qadira Sarwara Rehnuma Dastageer ............................................................................................ 20
Sheikhe Tareeqat Hazrate Khushtar ............................................................................................. 21
Alhamd Faateha hai Qur-aane Kareem ka .................................................................................... 22
Hum Madinay Se Allah Kyun Agaye .............................................................................................. 23
Jahan Roza-e-Pak e Khair Ul Wara Hai .......................................................................................... 24
Sar ta ba-qadam hai tan e sultane zaman phool ........................................................................... 25

Moula Ya Salli Wasallim Daaeman


Moula Ya Salli Wasallim Daaeman Abadan
A'la Habibi ka Khayril Khalqi Kullihimi
Alhumdo Lillaahe Munshil Khalqe Min Adami
Shum Mas Salaato Alal Mukhtaare Fil Qadami
Muhammadun Sayyedul Kawnani Wa-thaqalani
Wal Fareeqani Min Urbiw Wa Min Ajami
Amin Tazak Kore Jiraanim Bezi Salaami
Mazajta Dam-An Jara Mim Muqlatim Bedami
Fama Le Ay Nay Ka In Qultak Fofa Hamata
Wama Le Qalbe Ka Inna Qultastafiq Yahemi
Fa Kayfa Tunkero Hubbam Ba'ada
Ma Shahedat Behi Alayka Udulud Damaey Was Saqami
Astagferul-Laaha Min Qawlim Bela Amaalin
Laqad Nasabto Behi Naslal Lezi Ooqomi
Nabiyyonal Aameerun Naahi Falaa Ahadunn
Abarra-Fi Qawli La Minhu Wa laa Na'Aami
Huwal Habibul-Lazi Turja Shafaa'-Atohu
Li Kulli Hawlim-Minal Ahwaali Muqtahimi
Da'aa Ilal Laahee Fal Mustamsi Kuna Bihi
Mustamsi Kuna Be Habli Gharinn Munfaswimi
Kaz Zahre Fi Tarafin Wal Badre Fi Sharafin
Wal Bahre Fi Karamiw Wad Dahre Fi Hemami
Ya Akramal Khalqe Maliman Aluzo Behi
Siwa Ka Inda Hululil Hadesil Amami
1

Wal Aale Was Sahbe Summat Tabe-Eena Lahum


Ahlittoka Wannoka Wal Hilmi Wal Karami
Summar Rida An Abi Bakrinw Wa An Umarin
Wa An Usmana Wa An Aliyyiw Zil Karami
Faqann-Nabeeyena Fi Khalqinw-Wafi Khulukinn
Wa Lam Yuda Nouhou Fil Ilminw-Walaa Karami
Faghfir Lana Shidiha Waghfir Li Qari-Iha
Sa'Al Tukal Khara Ya-Zal Judi Wal Karami
Ya Rabbi Bil Mustafa Balligh Maqasedana
Waghfir Lana Ma Madwaya Wasi Al-Karami

Karam Ke Badal
Karam ke baadal baras rahe hain, dilon ki kheti hari bhari hai
Yeh kaun aaya ke zikr jiska, nagr nagr hai galli galli hai
Yeh kaun ban kar qarar aya, yeh kaun jaane bahaar aaya
Gulon ke chehray hain nikhray nikhray, kali kali main shaguftagi hai
Diye dilon ke jala e rakhna, nabi ki mehfil sajaya e rakhna
Jo rahat e dil sukun jaan hai, Woh zikr zikr e muhammadi hai
Nabi ko apana khuda na mano, magar khuda say juda na jano
Hai ahl e imaan ka yeh aqida, khuda khuda hai nabi nabi hai
Na mango dunya ke tum khazine, chalo niyazi chalein madinay
Ke badshahe se bharh kea ala nabi ke dar ki ghadagari hai

Unki Mahak Ne Dil Ke Ghunche Khilaa Diye Hai


Unki Mahak Ne Dil Ke Ghunche Khilaa Diye Hai
Jis Raah Chal Diye Hai Kooche Basaa Diye Hai
Jab Aagayee Hai Joshe Rahamath Pe Unki Aankhe
Jalte Bujha Diye Hai Rothe Hasaa Diye Hai
Ik Dil Hamaara Kya Hai Aazaar Us Ka Kitna
Tum Ne To Chalte Phirte Murde Jilaa Diye Hai
Un Ke Nisaar Koyi Kaise Hi Ranj Me Ho
Jab Yaad Aagaye Hai Sab Ghum Bulaa Diye Hai
Aane Do Ya Dubo Do Ab To Tumhaari Jaanib
Kashthi Tumhi Pe Chodi Langar Utha Diye Hai
Allah Kya Jahannam Ab Bhi Na Sard Hoga
Ro Ro Ke Mustafa (salallahu alaihiwasalam) Ne Darya Baha Diye Hai
Mere Kareem Se Gar Qatra Kisi Ne Maanga
Daryaa Bahaa Diye Hai Dur Be Bahaa Diye Hai
Mulke Sukhan Ki Shaahi Tum Ko Raza Musallam
Jis Simth Aagaye Ho Sikke Bith-Aa Diye Hai

Subha Taibah Me Hui Bat'ta Hain Baada Noor Ka


Subha Taibah Me Hui Bat'ta Hain Baada Noor Ka
Sadqa Lene Noor Ka Aaya Hain Taara Noor Ka
Baaghe Taibah Me Suhana Phool Phoola Noor Ka
Mast Bu Hain Bul Buley Padhti Hain Kalmah Noor Ka
Main Gada Tu Baadshah Bharde Piyala Noor Ka
Noor Din Duna Tera De Daal Sadqa Noor Ka
Taaj Waale Dekh Kar Tera Imama Noor Ka
Sar Jhukate Hai Ilahi Bol Baala Noor Ka
Teri Nasl-E-Paak Me Hain Bachha Bachha Noor Ka
Tu Hain Aine Noor Tera Sab Gharana Noor Ka
Chaand Jhuk Jaata Jidhar Ungli Utha De Mahd Me
Kya Hi Chalta Tha Isharo Par Khilona Noor Ka
Ay "Raza" Ye Ahmed E Noori Ka Faize Noor Hain
Ho Gayi Meri Ghazal Badh Kar Qaseedah Noor Ka

Sunte Hain Ke Mehshar Main Sirf Oun Ki Rasaayi Hain


Sunte hain ke mehshar main sirf oun ki rasaayi hain
Gar oun ki rasaayi hain lo jab to ban ayi hain
Sab ne safe mehshar mein lalkaar diyaa hamko
Aye be kason ke aaqa ab teri duhayi hain
Bazaar e amal main to sauda na bana apnaa
Sarkar karam tujmein aye bhiigi samayi hain
Mujrim ko na sharmao ahbaab kafan dak do
Moon dekh ke kya hoga parde mein balayi hain
Yun to sab unhi ka hain par dil ki agar pooch
Ye toote hue dil hi khaas unki kamayi hain
Tayba na sahi afzal makaah hi bada zaahid
Hum ishq ke bande hain kyun baat barhayi hain
Matla main ye shaq kya tha wallah raza wallah
Sirf unki rasaayi hain sirf unki rasaayi hain

Naimatain Baantta Jis Simt Wo Zeeshan Gaya


Naimatain Baantta Jis Simt Wo Zeeshan Gaya
Saath Hi Munshi-E-Rahmat Ka Qalamdaan Gaya
Lay Khabr Jald Kay Ghairon Ki Taraf Dhyaan
Gaya Mere Mawla, Mere Aaqa, Tere Qurbaan Gaya
Dil Hai Voh Dil Jo Teri Yaad Se Mamoor Raha
Sar Hai Voh Sar Jo Tere Qadmon Pe Qurbaan Gaya
Unhe Jaana, Unhe Maana Na Rakha Gair Se kaam
Lillahil Hamd Main Duniya Se Musalmaan Gaya
Aaj Lay Unki Panaah, Aaj Madad Maang Unsay
Phir Na Maaneingay, Qayamat Mein Agar Maan Gaya
Jaan O Dil Hosh O Khird Sab Tau Madinay Paunchay
Tum Nahin Chaltay Raza Saara Tou Saamaan Gaya

Mere Lab Pe Raat Din Hain


Mere lab pe raat din hain tera naam Ghause Azam
Tere zikr se bane hain mere kaam Ghause Azam
Mere raaste mein a kar kabhi mushkilay na tehray
Mere kaam a raha hain tera naam Ghause Azam
Jo nazar utha ke dekhoun to ho saamenay madina
Mere ishq ko ata kar wo makaam Ghause Azam
Meri khaali jholi bhar do mujhe beniyaaz kardo
Tera faiz teri rehmat to hai aam Gause Azam
Hai unhi ke rukh se raushan maho mehr aur anjum
Meri subha Ghause Azam meri sham Ghause Azam

Main Madinay Chala, Mein Madinay Chala


Main Madinay chala, mein Madinay chala
Phir karam ho gaya main Madinay chala.
Saaqia mai pila main madinay chala
Mast-o-bekhud bana main Madinay chala.
Kaif sa cha gaya main Madinay chala
Jhoomta jhoomta main Madinay chala.
Kya bataoon milli dil ko kaisi khushi
Jab ye mujhda suna main Madine chala
Ashk thamtay nahi, paon jamtay nahi
Larkharaata hua main Madinay chala.
Mere Aaqa ka darr hoga paish-e-nazar
Chahiye aur kya main Madine chala.
Gumbad-e-sabz par jab paray gi nazar
Kya suroor aega main Madinay chala.
Mere Gande Qadam Aur Unka Haram
Laaj Rakhna Khuda Main Maine Chala
Rooh-e-muztar theher tu nikalna udher
Itni jaldi bhi kya main Madinay chala.
Kya karega idher baandh rakht-e-safar
Chal Obaid-e-Raza main Madinay chala.
Lutf to jab milay mujh se murshid kahain
Chal Obaid-e-Raza main Madinay chala.

Tu Shamme Risalat Hain Aalam Tera Parwana


Tu Shamme Risalat Hain Aalam Tera Parwana
Tu Mahe Nubuvvat Hain Ay Jalwa E Janana
Jo Saaqi E Kausar Ke Chehre Se Nikaab Uththe
Har Dil Bane Maikhana Har Aankh Ho Paymana
Dil Apna Chamak Utthe Imaan Ki Tal'at Se
Kar Aankhein Bhi Noorani Ay Jalwa E Jaanana
Kyu Zulfe Muambar Se Kooche Na Mahak Uthe
He Panja Qudrat Jab Zulfo Ka Tere Shaana
Tum Aye Chati Baazi Ronak Huwi Phir Taazi
Kaaba Hua Phir Kaaba Kar Daala Tha Butt Khana
Peete Hain Tere Dar Ka, Khate Hain Tere Dar Ka
Pani Hain Tera Pani, Dana Hain Tera Dana
Sarshar Ise Kar De Ik Jaam E Labalab Se
Taa Hashr Rahe Saaqi Aabad Ye Maikhana
Is Darr Ki Huzoori Hi Isyan Ki Dawa Thahri
Hai Zehre Ma Aasi Ka Taibah Hi Shifa Khaana
Har Phool Me Boo Teri Har Sham-A Me Zao Teri
Bulbul Hai Tera Bulbul Parwaana Hai Parwaana
Duniya Mein Hume Tum Ne Jab Apna Banaaya Hai
Mehshar Me Bhi Keh Dena Yeh Hai Mera Deewana
Gir Pad Ke Yaha Pohcha, Mar Mar Ke Ise Paya
Chute Na Ilahi Ab, Sange Dare Jaana Na
Sange Dare Jaana Hain, Thokar Na Lage Kisko
Ay Kash Wo Sun Lete, Mujhse Mera Afsana
8

Sange Dare Jaana Par, Karta Hu Jabee Sayi


Sajda Na Samajh Najdi, Sar Deta Hu Nazrana
Woh Kehte Na Kehte Kuch Woh Karte Na Karte Kuch
Ay Kash Wo Sunn Lete Mujh Se Mera Afsana
Sarkaar Ke Jalwon Se, Roushan Hain Dile Noori
Ta Hashr Rahe Roshan, Noori Ke Ye Kaash Aana
Faryaad hai faryaad hai
Faryaad hai faryaad hai faryaad hai ya Ghaus
Yeh banda dar-e-moriday baybaad hai ya Ghaus
Kehtain hein bhikaari tera barbaad hai ya Ghaus
Mumkin nahin ye dar tera aabaad hai ya Ghaus
Kya khawf koyi gar sitam ijaad hai ya Ghaus
Meray liyay kaafi teri imdaad hai ya Ghaus
Hai wirday zabaan shayan lillah ka nara
Har ranj say saa-il tera aazaad hai ya Ghaus
Achha hun bura hun mein beher haal tera houn
Kya haq mein meray aap ka irsaad hai ya Ghaus
Ho naza ka dam ya kai lahad ho kai ho meezaan
Har eik jagah lab pay teri yaad hai ya Ghaus
Looti hai issi nai mere ghar bhar ki kamaayi
Rehzan hai sitamgar hai ye jallaad hai ya Ghaus
Farmaa kay mureedi liya aahosh karam mein
Taa hashr har eik gham say ye aazaad hai ya Ghaus
Khushtar sag-e-darbaar hai tukray pay pala hay
Farmadein ye banda mera aazaad hai ya Ghaus
9

Utha Do Parda Dikha Do Chehra


Utha Do Parda Dikha Do Chehra Ke Noore Baari Hijab Me Hai
Zamana Taarik Ho Raha Hai Ki Mehr Kab Se Nikaab Me Hai
Nahi Wo Meethi Nigaah Waala Khuda Ki Rehmat Hai Jalwa Farma
Ghazab Se Unke Khuda Bachaye Jalaal E Baari Etaab Me Hai
Jali-Jali Bu Se Uski Paida Hai Sozish E Ishqe Chashme-Wala
Kabaabe Aahu Me Bhi Na Paaya Maza Jo Dil Ke Kabaab Me Hai
Unhi Ki Bu Maya E Saman Hai Unhi Ka Jalwa Chaman Chaman Hai
Unhi Se Ghulshan Mehek Rahe Hai Unhi Ki Rangat Ghulab Me Hai
Teri Julu Me Hai Maahe Taibah Hilaal Har Margo Zindagi Ka
Hayaat Jaa(n) Ka Rikab Me Hai Mamaate A'ada Ka Daab Me Hai
Wo Ghul Hai Lub-haye Naazuk Unke Hazaaro Jhadte Hai Phool Jinse
Ghulab Ghulshan Me Dekhe Bulbul Ye Dekh Ghulshan Gulaab Me Hai
Jali Hai Soze Jigar Se Jaa(n) Tak Hai Taalib E Jalwa E Mubarak
Dikha Do Wo Lab Ki Aab E Haiwa(n) Ka Lutf Jinke Khitaab Me Hai
Khade Hai Munkar Nakeer Sarr Par Na Koi Haami Na Koi Yaavar
Bata Do Aakar Mere Payamabar Ki Sakht Mushkil Jawab Me Hai
Khuda E Kahhar Hai Ghazab Par Khule Hai Badd-kariyo(n) Ke Daftar
Bacha Lo Aa Kar Shafe'e Mehshar Tumhara Banda Azaab Me Hai
Kareem Aisa Mila Ki Jiske Khule Hai Haath Aur Bhare Khazane
Batao Ay Mufliso Ki Fir Kyu Tumhara Dil Izterab Me Hai
Gunah Ki Tareekiya Ye Chayi Umad Ke Kaali Ghata-e Aayi
Khuda Ke Khursheed Mehr Farma Ki Zarra Bas Ijteraab Me Hai
Kareem Apne Karam Ka Sadqa La-eeme Be Qadr Ko Na Sharma
Tu Aur Raza Se Hisaab Lena Raza Bhi Koi Hisaab Me Hai

10

Waah Kya Martaba Aey Ghaus Hai Baala Tera


Waah Kya Martaba Aey Ghaus Hai Baala Tera
Unche, Uncho Ke Saro(N) Se, Qadam Aala Tera
Sar Bhala Kya Koi Jaane, Ke Hai Kaisa Tera
Aulia Malte Hai Aankhei(N), Woh Hai Talwa Tera
Kya Dabe Jis Pe Himaayat Ka Ho Panja Tera
Sher Ko Khatre Mei(N) Laata Nahi(N) Kutta Tera
Tu Hasani, Hussaini, Kyo(N) Na Muhyiddin Ho
Aey, Khizr Majmaaey Bahrain Hai Chashmah Tera
Qasme De, De Ke Khilaata Hai, Pilaata Hai Tujhe
Pyaara Allah Tera Chaahne Waala Tera
Mustafa Ke Tane Besaaye Ka Saayaah Dekha
Jis Ne Dekha Meri Jaan, Jalwaaey Zaiba Tera
Kyo(N) Na Qasim Ho Ke Tu Ibne Abul Qasim Hai
Kyo(N) Qadir Ho Ke Mukhtaar Hai Baaba Tera
Nabawi Mei(N) Alawi Fasl, Batooli Gulshan
Hasani Phool, Hussaini Hai Mahekna Tera
Tujh Se Dar, Dar Se Sag, Aur Sag Se Mujh Ko Nisbat
Meri Gardan Mei(N) Bhi Hai, Dur Ka Dauraa(N) Tera
Is Nishaani Ke Jo Sag Hai(N), Nahi(N) Maare Jaate
Hashr Tak Mere Gale Mei(N) Rahe Patta Tera
Meri Qismat Qasam Khaaey Sagaane Baghdaad
Bartaaniya Mei(N) Bhi Hu(N) To Deta Rahu(N) Pehra Tera
Fakhre Aaqa Mei(N) Raza Aur Bhi Ek Nazm Rafi
Chal Likha Laaey Sana Khwaano Mei(N) Chehra Tera
11

Lamyati Naziro
Lam YaAti Naziro Kafi Nazrin, Misle To Na Shud Paida Jaana.
Jag Raaj Ko Taaj Torey Sar So, Hai Tujh Ko Shahey Do Sara Jaana.
Ana Fi Atshiv Wa Sakha Ka Atam, Aey Gesu-Aey Paak, Aey Abr e Karam,
Barsan Haare Rimjhim, Rimjhim, Do Boond Idhar Bhi Gira Jaana.
Al Bahro Alaa wal Mavjo Tagha, Man Bekaso Tufaan Hosh Ruba,
Manjdhaar Mein Houn Bigri Hai Hawaa, Mori Nayya Paar Laga Jaana.
Ar Rooho Fida Ka Fazid Harka, Yak Shola Digar Barzan Ishqa,
Mora Tan, Man, Dhan, Sab Phoonk Diya, Yeh Jaan Bhi Pyaare Jala Jaana.
Al Qalbo Shyjivm Wal Hamo Shujut, Dil Dar Chuna Jaan Zer Chuno,
Pat Apni Bhi Pat Mein Kaaisay Kahoun, Mera Koun Hai Teray Siva Jaana.
Bas Khaama-Aey Khaam Nawaaey Raza, Na Yeh Taraz Meri Na Yeh Rang
Mera,
Irshaade Ahibba NaAtik Tha, Nachaar Is Raah Para Jaana.
Dare nabi par
Dare nabi par para rahoon ga pare hi rehne se kaam hoga
Kabhi to qismat khule gi meri kabhi to mera salam hoga
Khilafe mashooq kuch huwa hai na koi aashiq se kaam hoga
Khuda bhi hoga udhar bhi aye dil jidhar woh aali maqam hoga
Kiye hi jaoon ga arz matlab milega jab tak na dil ka matlab
Na shaam e matlab ki subha hogi na yeh fasana tamam hoga
Jo dil se hai mail-e-payambar yeh is ki pehchan hai muqarrar
Ke har dam is be nawa ke lab par durood hoga salam hoga
Isi tawaqqa pe ji raha hoon yehi tamanna jila rahi hai
Nigahe lutfo karam na hogi to mujh ko jeena haram hoga
12

Khuda Ke Fazl Se Hum Par


Khuda ke fazl se hum par he saaya gause aazam ka
Hume dono jahaan me he sahaara gause aazam ka
Mureedi la-takhaf keh kar tasalli di gulaamo ko
Qayaamat tak rahe be-kahuf bandaa gause aazam ka
Humaari laaj kis ke haath he baghdaad wale ke
Musibat taal dena kaam kis ka gause aazam ka
Hui ek deo se ladki riha us naam leva ki
Padha jungal me jab usne wazifa gause aazam ka
Rasulullah ka dushman he gaus e paak ka dushman
Rasulullah ka pyaara he pyaara gause aazam ka
Gaye ek waqt me sattar mureedo ke yahaa aaka
Samaj me aa nahi sakta muamma gause aazam ka
Azizo kar chuko taiyaar jab mere janaaze ko
To likh dena kafan par naam leva gause azzam ka
Farishto rok te ho kyo muje jannat me jane se
Ye dekho haath me daaman he kis ka gause aazam ka
Lahad me jab farishte muj se puchhege to keh duga
Tariqa qaadri hu naam leva gause aazam ka
Janaab ghaus dulha aur baraati auliya honge
Mazaa dikhlayega mehshar me sehra ghaus e aazam ka
Nidaa dega munaadi hashr me yu qaadriyo ko
Kidhar he qaadri karle nazaara gause aazam ka
Mukhalif kya kare mera ke he behad karam muj par
Khuda ka rahmatallil aalmeen ka gause aazam ka
13

Farishte madrasse tak saath pahonchaane ko jate the


Ye darbaare ilaahi me he rutba gause aazam ka
Salasile jahan kyu gar na unke rob se kaampe
Na laya sher ko khatre me kutta ghause aazam ka
Jameel e qaadri sau(100) jaan ho qurbaan murshid par
Banaaya jis ne hum jaiso ko bandaa gause aazam ka
Sarkaare Ghaus E Azam
Sarkaare Ghaus E Azam, Nazre Karam Khudaara
Mera Khaali Kaasa Bhar Do, May Faqir Hu Tumhara
Maula Ali Ka Sadqa, Gange Shakar Ka Sadqa
Meri Laaj Rakhna Mira, May Faqir Hu Tumhara
Mira Bane Hai Dulha, Shaadi Rachi Hui Hai
Sab Auliya Baraati, Kya Khoob Hai Nazara
Jholi Ko Meri Bhardo, Warna Kahegi Duniya
Aise Sakhee Ka Mangta, Phirta Hai Maara, Maara
Duniya Mei Sab Ka Koi, Koi To Aasra Hai
Mera Bajuz Tumhaare, Koi Nahi Sahaara
Yeh Adaa E Dastgiri, Koi Mere Dil Se Puche
Wahi Aa Gaye Madad Ko, Maine Jab Jahaa Pukaara
Yeh Tera Karam Hai Ya Ghous, Jo Bana Liya Hai Apna
Kahaa Mujhsa Ye Kameena, Kaha Silsila Tumhara

14

Koi Guftoogu Ho Lab Par Tera Naam Agaya Hai


Koi Gooftagu Ho Lab Par Tera Naam A Gia Hay
Teri Mudaha Kertay Kertay Ye Mukam A Gia Hay
Deray Mustafa Ka Menzer Meray Cheshmay Der Ke Under
Kabhi Sobho A Gia Hay Kabhi Shaam A Gia Hay
Jo sakrhi hain dunya bar ke wo ghadha hain tere dar ke
Ke karam ka unke haathon mein nizaam aa gaya hain
Ye Tulab Thi Anbeea Ke Ruhkay Mustafa Ko Dekhain
Ye Namaz Ka Waseela Unain Kam A Gia Hay
Do Jahan Ke Nematon Se Teray Der Pe Job Hi Manga
Meray Damanay Talab Main Wo Tamam A Gia Hay
Wo Jo Pee Ke Sheikh Sadhi Bulagh-ul-ula Pukaray
Meray Dustay Naataon Main Wo Hi Jam A Gia Hay
Mera Kalab Wo Hi Rah Hay Jahan Wahi Ye Naahat Utri
Ye Saheefa-e-muhabat Meray Naam A Gia Hay
Wo Adeeeb Jiss Nain Mehshar Mainbufa Kia Hay Meshar
Wo Kahey Ke Dekho Ye Ghulam A Gia Hay

15

Madeena Madeena Madeena Madeena


Madeena Madeena Madeena Madeena
Yehi kehtay marna yehi kehtay jeena
Nazar gumbad-e- sabz par dil Madeena
Jo aisay main maut aa ay jeena hi jeena
Na poocho meri zindagi ka qareena
Madeena kabhi dil kabhi dil Madeena
Madeena say main duur mujh say Madeena
Yeh jeena bi hai ko-ee jeenay main jeena
Jo ishq-e- Muhammad ( )main ho chaak seena
Meray bakhya gar isko hargiz na seena
Maza day raha hai gham-e -ishq-e- Aaqaa ()
Jo girtay hain aansoo wo ban kar nageena
Tumhain doobtay jab kissi nai pukara
Har eik mauj ban kar kay aayi safeena
Jahan ko main baaghe iram say badal doun
Jo milja-e- Aaqa ( )tumhara paseena
Na chehro mujhay ay nakeero na chehro
Woh dekho woh aa- ponh-chay Shahe Madeena
Yeh kaaba, yeh zamzam, Safa aur Marwah
Madeenay say hai sab ki rownaq Madeena
Yehi Aakhri hai tamanna - e- Khushtar
Idhar Rooh niklay Udhar ho Madeena

16

Dinon ki baat karoon


Dinon ki baat karoon ya karoon maheene ki
Bas ekh rat hai mujhe har ghari madeene ki
Mujhe na marne ki khwahish yahaan na jeene ki
Abhi to door hai manzil bari madeene ki
Agar ho izle hazuri hazur tak pohche
Hamari rooh ko haajat nahin safeene ki
Madeena jaoon pir aoon madeena pir jaaoon
Isi liye hai tamanna kuch aur jeene ki
Jise bhi dekhiye mehshar mein bas yehi doun hai
Tumhare haanth se kawsar ka jaam peene ki
Darood nikle tere naam par magar nikle
Shareef kitni tamanna hai is kamine ki
Jo oumr guzre durood-o-salaam mein guzre
Yehi to baat hai Khushtar bare kareene ki

17

Twalab ka mounh
Twalab ka mounh to kis kaabil he ya ghawss
Magar tera karam kamil he ya ghawss
Douhaayi yaa muhayyouddin douhayyi
Madad ko aa dame bismil he yaa ghawss
Azouman kaatilan indal kitaali
Madad ko aa dame bismil he yaa ghawss
Khudaa-raa naa khuda aade sahaara
Hawaa bigri bhawar haa-il he yaa ghawss
Rahi haan shaamate aamal ye bhi
Jo tou chaahe abhi zaa-il he yaa ghawss
Tou kouwat de mein tanhaa kaam bisyaar
Badan kamzor dil kaamil he ya ghawss
Hasad se inke sine paak karde
Ke badtar dukh se bhi ye sil he ya ghawss
Razaa ka khaatemaa bilkheir ho gaa
Teri rehmat agar shaamil he yaa ghawss

18

Rehmat ka hai darwaza khula


Rehmat ka he darwaza khula, maang are maang
Deta he karam unka sada, maang are maang
Aa jaega taiba se bulawa bhi kisi roz
Har waqt madine ki dua, maang are maang
Mayus na ho ye mere lajpal ka dar he
He kis liye khamosh khada maang are maang
Main sarkar se sarkar ko manguga niyazi
Sarkar ne jis waqt kaha maang are maang

19

Yeh sab tumhara karam hai aaqa


Koi saleeqa hai aarzoo ka, na bandagi meri bandagi hai
Yeh sab tumhara qaram hai aaqa keh baat ab tak bani hui hai
Kissi ka ehsan kyon uthain, kissi ko haalat kyon batain
Tumhein se mangein gey tum hi do gey, tumhare dar se hi loo lagi hai
Ata kiya mujh ko darde-ulfat, kaha thi yeh pur khata ki qismat
Mein iss karam ke kaha tha qabil, huzur ki banda parwari hai
Shoor o fikro nazar ke dairey, had ka in se barh na paain
Na choo sake un balandiyon ko, jaha maqame Muhammadi hai
Tajaliyon ke kafeel tum ho, murad tu ke khalil tum ho
Khuda ki roshan dalil tum ho, yeh sab tumhari hi roshni hai
Bashir kahiye nazir kahiye, unhein siraje munir kahiye
Jo sar ba sar hai kalam-e-rabbi, woh merey aaqa ki zindagi hai
Ammal ki merey asas kiya hai, bajuz nadamat ke paas kiya hai
Rahe salamat tumhari nisbat, mera to ek aasra yehi hai
Hai Qaaba bhi marja-e-khalaiq, bohat numayan hai yeh haqaiq
Magar jo maqsoode-e-aashqi hai, huzur ke dar ki haazri hai
Yehi hai khalid asas rehmat, yehi hai khalid bina-e-azmat
Nabi ka irfan zindagi hai, nabi ka irfan bandagi hai
Qadira Sarwara Rehnuma Dastageer
Qadira Sarwara Rehnuma Dastageer
Ghous-e-Azam (RA) Imam-e-Mubeen Bay Nazeer
Zikr se Tere tal jayein sab mushkilein
Naam Se Tere paein Rehai Aseer
20

Tere Zairey Qadam Auliya Asfiya


Sarware Sarwara Peer e Roshan Zameer
Tu Jise Chahe De Jis Qadar Chahe De
Teri Bakhshish Nirali Ata Bay Nazeer
Kuch nahin chahtay Tere Dar Ke Siwa
Kaisay Sultan Hain Ter Dar Ki Faqeer
Teri Nisbat Hai Meiyar Izzo Sharaf
Kaisay Adna Rahey Jiska Aala Ho Peer
Yeh Wazifa hai har dam ka darma waqar
Ghouse Azam (RA) Madad Al Madad Dastageer

Sheikhe Tareeqat Hazrate Khushtar


Aisa pilaaya jaame Mohabbat, Sheikhe Tareeqat Hazrate Khushtar
Jo bhi mila hai, unn se mila hai, Sheikhe Tareeqat Hazrate Khushtar
'Aabido Zaahid, 'Aarifo Kaamil, Muftiyo Qaari, 'Aalimo Haafiz
Dar se tumhaare sab ko 'aqeedat, Sheikhe Tareeqat Hazrate Khushtar
Guftaaro 'amal razaae Mawla, seerato soorat Allah-waala
Khush-guftaar, Khoob Tweenat, Sheikhe Tareeqat Hazrate Khushtar
Le ke sanad 'ishqe Nabi ki, aankhon pe Moo-e Paak sajaae
Hai ye 'izzat, qurbato rif'at, Sheikhe Tareeqat Hazrate Khushtar
Dar se tumhaare sab ko 'aqeedat, Faiz rahe taa-umr Qayaamat
Paane-waale paate hein ni'mat, Sheikhe Tareeqat Hazrate Khushtar
Andaaz niraala Ghawth ke dar par, khaake Dare Aqdas hai sarr par
Sarr ba-falak ye shaan ye 'azmat, Sheikhe Tareeqat Hazrate Khushtar
Chaadare Ghawth ko sarr pe liya jab, wajd mein aae ehle mohabbat
Na'ara lagaae ehle 'aqeedat, Sheikhe Tareeqat Hazrate Khushtar
21

Ghawtho Qutub Abdaal Wali sab, dar pe khare hein sarr ko jhukaae
Hai tumhein haasil bhi ye nisbat, Sheikhe Tareeqat Hazrate Khushtar
Teri har subh, teri har shaam, tera kaam Raza ki raza hai
Maslake A'la Hazrat har waqt, Sheikhe Tareeqat Hazrate Khushtar
'Eidgaah, Masjid, Zikr Manzil aur Khaanqaah yaade Raza hein
Sunni Razvi ki ye 'imaarat, Sheikhe Tareeqat Hazrate Khushtar
Faizo karam ka chashma rawan hai, Aap ka mastaana khara hai
Kardein uss par nazre 'inaayat, Sheikhe Tareeqat Hazrate Khushtar

Alhamd Faateha hai Qur-aane Kareem ka


Alhamd Faateha hai Qur-aane Kareem ka
Laa-raib har waraq hai Alif-Laam Meem ka
Jab se liya hai naam Khudaae Raheem ka
Khatra nahin raha mujhe duzde Rajeem ka
Kaise karoun mein shukr Ghafoorur Raheem ka
'Irfaan mujhko bakhsha Rasoole Kareem ka
Banda houn kiska, banda houn Rabbe Kareem ka
Ya'ani Shafee-e Hashr Raoofur Raheem ka
Mujhko pata hai khauf nahin hai Jaheem ka
Hoga jo faisla mere haq mein Kareem ka
Uss ni'mate tamaam pe an'amt hai gawaah
Mujhko sha'oor raahe mustaqeem ka
Har zarra hai jahan ka 'ask wajood zaat
Haadith bata raha hai pata kya qadeem ka
Sadqa Huzoore Paak ka anjaam ho ba-khair
'Aalam bara hi sakht hai ummeedo beem ka
22

Har bekhabar ki rehti hai har pal jisse khabar


Banda ye KHUSHTAR aise Khabeero 'Aleem ka

Hum Madinay Se Allah Kyun Agaye


Hum Madinay Se Allah Kyun Agaye
Qalb-e-Hairan Ki Taskeen Wahin Reh Gai
Dil Wahin Rehgaya Jaan Wahi Rehgai
Qam Usi Dar Pe Apni Jabin Rehgai
Yaad Atay Hain Humko Woh Sham-o-Sahar
Woh Sukoon-o-Dil-o-Jaan Woh Rooh-o-Nazar
Yeh Unhi Ka Karam Hai Unhi Ki Ata
Aik Kaifiyat-e-Dil Nasheen Rehgai
Allah Allah Wahan Ka Durood-o-Salam
Allah Allah Wahan Ka Sujood-o-Qayam
Allah Allah Wahan Ka woh kaif-e-Dawam
Woh Salat-e-Sukoon Afreen Rehgai
Jis Jaga Sajda Rezi Ki Lazzat Mili
Jis Jaga Har Qadam Unki Rehmat Mili
Jis Jaga Noor Rehta Hai Sham-o-Sahar
Woh Falak Rehgaya Woh Zameen Rehgaee
Padhke "Nasrum minal Lahi Fat-hun Qareeb"
Jab Huway Hum Rawan Suey Kooey Habeeb
Barkatein Rehmatain Sath Chalnay Lagin
Bebasi Zindagi Ki Yahin Rehgai
Zindagani Wahin kash hoti basar
Kash Behzad atay na Hum Lot kar
Aur poori Hui har tamanna magar
Yeh Tamanna-e-Qalb-e-Hazeen Rehgai
Written by Late Behzad Lakhnavi

23

Jahan Roza-e-Pak e Khair Ul Wara Hai


Jahan Roza-e-Pak e Khair Ul Wara Hai
Woh Jannat Nahin Hai To Phir Aur Kya Hai
Kahan Mein Kahan Yeh Madinay Ki Galiyan
Yeh Qismat Nahin Hai To Phir Aur Kya Hai
Muhammad (SAW) Ki Azmat Ko Kya Poochtay Ho
Ke Woh Sahibe Qaba Qousain Tehre
Bashar Ki Sare Arsh Mehman Nawazi
Yeh Azmat Nahin Hai To Phir Aur Kya Hai
Jo Aasi Ko Kamli Mein Apni Chupale
Jo Dushman Ko Bhi Zaqam Khakar Dua De
Usay Aur Kya Naam Dega Zamaana
Woh Rehmat Nahin Hai To Phir Aur Kya Hai
Qayamat Ka Ek Din Muayyan Hai Lekin
Hamaray liye har nafas hai qiyamat
Madinay Say Hum Jaan Nisaron Ki Doori
Qiyamat Nahin Hai To phir aur kya hai
Shafa'at Qiyamat Ke Taabay Rahi Hai
Yeh Chashma To Roz-e-Azal Se Hai Jari
Qataa Kaar Bandon Pay Lutfe Musalsal
Shafa'at Nahin Hai To Phir Aur Kiya Hai
Tum Iqbal Yeh Naat Keh To Rahay Ho
Magar Yeh Bhi Socha Ke Kya Kar Rahe Ho
Kahan Tum Kahan Madhe Mamdoohe Yazdan
Yeh Jurrat Nahin Hai To Phir Aur Kya Hai
Written By Marhoom Iqbal Azeem (RA)

24

Sar ta ba-qadam hai tan e sultane zaman phool


Sar ta ba-qadam hai tan e sultane zaman phool
Lab phool, dahan phool, zakan phool, badan phool
Sadqe me tere baagh to kya laye hai ban phool
Iss guncha e dil ko bhi to imaan ho ke ban phool
Tinka bhi hamare to hilaye nahi hilta
Tum chaho to ho jaye abhi kohe mehan phool
WALLAH jo mil jaye mere ghul ka paseena
Maange na kabhi itr na fir chahe dulhan phool
Dandaan o lab o zulf o rukhe shah ke fidayi
Hai durre adan la'ale yaman mushke khotan phool
Ho baare gunah se na khazil doshe azeeza(n)
Lillah meri na'ash kar aaye jane chaman phool
Dil apna bhi shaidayi hai us naakhun e paa ka
Itna bhi mahe nou pe na ay charkhe kuhan phool
Kya gaaza mala garde madeena ka jo hai aaj
Nikhre hue joban me qiyamat ki phaban phool
Hai kaun ki girya kare ya faatiha ko aaye
Bekas ke uthaye teri rehmat ke bharan phool
Dil ghum tujhe ghere hai khuda tujhko wo chamkaye
Suraj tere khirman ko bane teri kiran phool
Kya baat Raza us chamanistaan e karam ki
Zahra hai kali jisme Husain aur Hassan phool

25

You might also like