Qateel Shifai Poetry

Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 1

Qateel Shifai Poetry

Ru-Baruu Wo Hai Ibaadat Kar Raha Hun


Oske Chehray Ki Tilaawat Kar Raha Hun

Lo Kharido Ik Nazar Ke Moul Mujhko
Apni Qeemat Mein Riyaayat Kar Raha Hun

Li Hai Sabr-o-Zabt Ne Mujh Se Ijaazat
Apne Mehmaanon Ko Rukhsat Kar Raha Hun

Chhin Gaya Mulk-e-J awaani Bhi Tou Kia Gham ?
Ab Bhi Yaadon Per Hukoomat Kar Raha Hun

Koi Bhi Gham Osko Loutaaya Nahi Hai
Yun Amaanat Mein Khayaanat Kar Raha Hun

Osne Tou Bas Ik Zara Si Baat Chehri
Mein Wazaahat Per Wazaahat Kar Raha Hun

Ishq Karke Aap Bhi Ban J aayein Insaan
Sheikh Sahaab Ko Naseehat Kar Raha Hun

Aashiqui Tufaan-e-Girya Chahti Hai
Aur Mein Aahon Per Qanaat Kar Raha Hun

Aasmaan J o Shaks Hai Sab Ki Nazar Mein
Osko Chhuu Lainay Ki J urrat Kar Raha Hun

Mein Ne Dekha Hai Qateel Os Ka Saraapa
Mein Kahaan Zikr-e-Qayamat Kar Raha Hun ???

You might also like