1
Ya Ali asws! Madad (Intesab) YA ALI ASWS! MOLA O MOLAANA men AP k dar ka bhikari hun. Or daaman phelaye khara hun. Mere SYED O SARDAAR AP SULTANUN NASEERA hen. AP REHMAN O RAHEEM O KAREEM O ZULJALAL WAL IKRAAM hen. AP asws ayse hen k jab men apki rehmaniat ki sifat ka mushahida krta hun to daang reh jata hun k
rehmaniat ye hai to raheemiat kia hogi? AP asws! Ye sab kiyun Na hun AP asws he to hen Jo ISAMULLAH O SIFATULLAH hen. Men Apki asws madad chahta hun or AP ASWS k us farzand ASWS k baray men likhny ki haqeer koshish kr rha hun. JIS asws ajtf k zahoor say ALLAH J.J ki sifat e qahariat zahir hogi or sifat e raheemiat bhi... Jis asws ki sifat e qahaar say koi dushman e KHUDA J.J na bach saky ga or jis asws ki waja say momineen k dil men thandak or jis asws ki ziarat say momineen ko NOOR ALLAH J.J naseeb hoga or RAHEEMIAT momineen per khul kr barsay gi. Men YA ALI ASWS apki madad say madad chahta hun or apni es khuloos o aqeedat bhari koshish ko SHUHDA E KARBALA ASWS! ki khidmat men hadiya pesh krta hun k JIN asws k khoon e na haq ka inteqaam IMAM E ZAMANA AJTF asws! ne a kr lyna ha. (NASRUM MINALLAHY FA FATHUN QAREEB)
2 TOQI E MUBARIK PR EK NAZAR: (kamal udeen wa tamamun niama urdu page no,489 toqi no 44) BISMILLAH HER REHMAN NERAHEEM Ay ali bin samari! ALLAH tumhari wafat per tumhare bhaion ko sabr krne pe ajre azeem ata kry. Ab sy 6 din baad tumhara intiqal ho jaega lehaza apne umoor ko mukamal krlo or aynda k liy apna wasi kisi ko muqarar na krna jo tumhari wafaat k bad tumhara qaim muqam ho es liy k meri ghaibt e taama waqia ho chuki hai. (esi ghebat k jismen shahood ka guzar tk na ho) or jab allah ka hukam hoga usi waqt zuhoor hoga es arsay men logon k dil sakht ho jaengen, zameen zulm o jor say bhar jaegi, hamare shiyun men sy kuch asy hongen jo mujhy dekhne ka dawa krengen magr jo kharooj e sufiyani or saday e aasmani k peda hony sy pehly mujhy dekne ka dawa kryga wo jhota or muftari hai. WALA HAULA WALA QOWATA ILABILAH AL ALIULAZEEM. KUCH EYHAM BATEEN: 1: IMAM asws ne ali bin samri ko wasi muqarar na krny ko kaha. 2: kuch shia log apki ziarat ka dawa krengen magr imam ne unhen jhota or muftari kaha magr khrooj e sufiyani or sada e aasmani k bad IMAM asws zahir hongen.
(MERA MAQSAD) Mera maqsad sirf o sirf etna hai k wo waqiaat or alaaym e zahoor jo logon ko nhi maloom wo sab k sab to nhi bta sakta kyun k wo nishaniyan bohat hen. wese to imam k zahoor per bohat c kutab shaya ho chuki hen magr log un nishaniyun ko na samjhne ki bina per chup ho kr beth jaty hen. kher mera maqsad un hazraat per tanqeed nhi hai men sirf ijmali tor per un nishaniyun or un faraaiz ka zikr krna chahta hun jo khas hen. kuch zahoor ki nishaniyan jb insaan parhta hai to wo zarb taqseem shuro kr deta hai k acha esa hoga to imam aengy. esi bina per aksar log kisi bhi zati aqeeda ko apna lyte hen. Ghor es baat per zarori hai k imam a.s ki ghaibat ka maqsad kia hai? ye mera mozu nhi hai magr bech men in haqaiq per farman e masoomeen asws! pesh kr diy jaengen. agr kisi ko es per tafseel say jaana ho to kitab k aakhir men ghaibat e imam k maqsad per shaya hone wali kitab ka hawal mojod hai. mera maqsad sirf o sirf nai nujawan nasal k zehnun men apne imam asws k zahoor ki nishaniyan jo zaror bil zaroor pori hongi bitha dena hen k shia quom ka her bacha ye baat jaan ly k agr es door men wo waqiaat zahir hun to unhen kia samjhna or krna chaiye???? (AEN OR KUCH SAMJHTY HEN?) Toqi e mubarik men jesa k apne parha k IMAM a.s ne khrooj e sufyani or sada e aasmani ka zikar kia hai es bary men aagy chal hum apko hukm e masoom a.s baten gen. Es waqt wo jumla jismen imam a.s ne frmaya k jhrooj e sufyani or sada e aasmani sy pehle meri ziarat ka dawa kia wo jhoota or muftari hai. ESA KYUN KAHA? 4 1: JO dawa kryga log usay azeem hasti samjh kr us k garvida ho jaengen or wo jo chahyga kryga. 2: Imam a.s ne ye bat keh kr esay khurafaat ka munh he band krdia. 1: Jesa k imam jafar sadiq asws! ne frmaya zahor e imam say qabal jo jhanda baland hoga samjh lo k uska buland krne wala taghoot (shetan) hai jo allah azowajal k siwa kisi or ki paristish krta hai. (bihar al anwaar jild 1 page 689) 2: imam jafar sadiq a.s .... her wo bait jo qabl e zahoor li jaegi wo kufar o nifaq hai dhoka hai allah ki lanat ho us per jo un a.s k liy bait ly. (bihar ul anwaar jild 12 safa no, 481) 3: Imam jaffar sadiq a.s .... Imam e zamana a.s ki taweel ghbait ki waja say aksar log deen say kharij ho jaengen or 13 imamun ya us say zada k qayal ho jaengen. (alqatra jild 2 safa 269 urdu) (kamaludeen jild 2 safa 359) (NATEJA) Jesa k aj ho rha hai kahen aljihad k nary buland ho rhy hen to kahen ye kaha ja rha hai k mere btae hovy ehkamaat per amal karo to men zamin hun. TUF! to un per hai jo es dawa ko such man kr un per amal krty hen or es zaum men hen k agr hukam ghalt hova to es
shy ka yani hukam gunah us k sir hai jisne hukam dia hai. Ghbait e imam a.s es liy bhi zarori thi k kufr o nifaq khul kr saamne a jae or apny paraye ki tameez ho jae jesa k imam jaffar sadiq as ne frmaya! Allah hamare qaim ki ghbait k arsay ko tawel krdayga ta k haq wazeh ho 5 jae emaan irtadaad ki kadurat say khalis ho jae or wo jinki tenat khabees hai wo hamare mukhlis shiyun say juda ho jaen jo un k nifaq say darty hen. (kamaludeen jid 1 safa 360) (DOR E GHBAIT MEN SHIYUN KA FARZ) 1: Imam jaffar sadiq a.s ne frmaya! jab esa waqt ay or imam tumko na mil saken to phir unhen ehkamaat per amaal krty rehna jo pehle say tumhary pass mujood hen. (biharul anwaar jild 11 pg, 672) 2:Imam mohammad baqir a.s ne frmaya! jb tk ye zameen o asmaan sakin hen tum bhi sakin raho or tum bhi kisi per khuroj na karo es liy k jb tumhare sahib ul ammar a.s aengen to kisi per mukhfi na rahyga. (bihar jild 11 pg 681) 3: Imam mohammad baqir a.s say ravi ne pocha farzand e rasool a.s ghbait e qaim k zamane men momin ka behtareen amal kia hona chahiye? ap a.s ne frmaya! apni zubaan ki hifazat kry or ghar men tehray. (gosha nasheen hojae). (kamaludeen wa tamam un nima jild 1) 4: Imam mohammad baqir a.s ne frmaya! men tumhen nasihat krta hun k allad say daro or logon k hajoom say kinara kash ho kr gharun men beth jao hamare khandan men say jo khuwarij hen unse perhaiz karo kyun k inka na koi rasita hai na manzil nez ! ye bhi jan lo jo giroh bhi khara hoga wo na to zulm rafa kr sakta hai na deen ko izat bakhsh sakta hai bal k un pr esi balaeyn tot parengin jo unhen pichahr kr rakh dengi. (bihar jild 11 pg 676) 6 5: Imam jaffar sadiq a.s ne frmaya! ay sadeer! apne ghar raha karo or bilkul khana nasheen ho jao. jab tk ye din rat sakin hen tum bhi khamosh ho raho magr jb tumhen ye khabr mily k sufyani ne khrooj kia hai to foran hamre pass a jao khuwa tumhen pedal he chal kr kyun na aana pary. (bihar jild 12 pg 275) 6: AMERULMOMINEEN A.S NE FRMAYA! (YE FRMAN NEHJUL BALAGHA MEN BHI MOJOD HAI) Zameen pakry raho masaib per sabr say kaam lo apne hathun or talwarun ko bilkul herkat na do zubaan roky rakho jab allah ko khud tumhary liy jaldi nhi hai to phir tum kyun jaldi chahty ho? agr tum men say koi es dor men mr gaya bashart ye k wo allah ki marifat rakhta ho or allah k rasool a.s or un k eyhlybait a.s k haq ko pehchanta hova mary to wo shaheed maryga. Allah usay shaheed ka swab dyga or jin amaal e saleha ki neaa,t
or tamaana rkhta hoga un sab ka sawab usko aata hoga talwaar chalny ki niaat he talwaar chalany ki qaim muqam ban jaegi es liy k her sahy k liy ek waqt muqarar hai. (bihar jild 11 pg 491) (Ek chohti c baat) Ye they wo chand farman e masoomen asws! jinka zikr zarori tha ap heran honge k esay esay hukam masoomeen as k mojod hen jo bechari sada shia awaam say chuhpaye jaty hen agr ap kutb e aahadees ka mutala karen to esi rawayat o aahadees k anbaar lagy hovy hen. ye to sirf halki c jhalak thi in frameen e masoomen a.s ne zahoor e imam a.s tk hamary liy lahay amal tay kr dia hai jis per amal krne men hamry liy sadat hai. log es zamany ki nazakat ko nhi samjhty or esy ek 7 aam zamana samjhty hen. apni aksriat dekh kr en k dil men bhi ye tamana chutkiyan leny lagti hen k hum bhi muzahry karen jalos o reyliyan or siyasi o hakomati umoor ka hisa banen Jo k enhi k liy zehr e qatil hai. Shia to wo hai jo apne dil ko maary or apny aaqaun a.s k hukam ki tameel kary or agr koi esa shaks nazar aye to kinara kash h jae. 1 firqa jisay kafir qarar dia gaya tha to jo qadyani k nam say mashhor hai us ne in tamam baton per amal kia or faida uthaya jo k gher hai jab k afsoos shia wahen k wahen rahy. KHUTBA E MEKHZOUN (ALAYM E ZAHOOR) (Jo k nehjul israr men bhi mojod hai or bihar jild 13 men bhi mojod hai us men say kuch hisa naqal krty hen chun k khutba bohat taweel hai.) Imam jaffar sadiq a.s ne frmaya k Imam Ali amerulmomineen a.s ne frmaya! ba tehqeeq k her aamar k liy ek waqt muqarar hai. chahiye k us waqt ka intazaar karen. khuda j.j kisi baat men ujlat nhi krta yahan tk k uska waqt a jae. pus es mazda per khush ho k tum ko uski basharat di ja chuki hai or us amar ki tasdeeq karo jo chez tumhary qareeb ki hai or rah e khuda men qurbaani k sath uska etraff karo k wo tumhary say qareeb hai or tumse jo wada kia gaya hai uska badal mang lo. Ba tehqeeq k makhlook ko hamari janib dawat di gai hai. ALLAH us HUJAT E BALIGAH a.s ki dawat k sabab apne ko zahir or apni wasi nemat ko tamam karyga or jo us say mutamasik hova usko karam e fazal ata karyga or hikmat say sarfraz hoga. khuda j.j ne apni rehmat say kuch rehmat 8 tumhen ata ki apni rehmat say quloob ko pur noor kia or gunahun k wabaal ko tumhari gardan say dor kia tumhare seenon ki shifa or kamoun ki islah men usne tajeel ki hamari janib a.s say tum per salam ho. ( esi tarhan imam a.s bayan frmaty rahay ab hum bech bech men say esi khutba ko jari rakhen gen) Ay! logon sawal krlo k janib e mashriq fitna barpa ho or mer kr zinda hony k bad log
apny peyr utha kr apny ajzaa per say guzarne lagen or qabal es k k maghrib men kaseer lakriyun k sath aag roshan ho jaegi or shulay buland hon or qabal is k k fitna adawat o kina k sath ya us k misal masayb nazil hun or sada e wawela buland ho to tum log kehne lago k wo Imam e akhru zaman a.s ya to halak ho gae ya kisi bayaban ki tarf chaly gae. Pus es ayat ki taweel us roz zahir hogi. :phir ghalba krne ko tumhare liy qarar dia or malo ulad say humne tumhari madad ki or tumharey doston ki tadaad brha di: ES ayat ki tabeer ki chand alaamat hen pehli alamat kofa ki qilabandi hai jo burjun or khandqun k sath ki jaegi, kofa ki galiyun men mashkun ka para para krdena or jala dia jana or 40 shab masajid k mutal rehna, 3 almun ka masjid e akbar k etraf junbish dia jana jo alam haye hidayte hongen lekin qatil o maqtool donun jahnumi hongen. Nez qatl e kaseer mot e aam nafs e zakiya ka rukn o muqam k drmiyan qatal hona or un k 70 sathiyun ka pusht e kofa per qatal kia jana. dosri alamt sony ki saleeb or sabz jhandy k sath sufyani ka khrooj hoga. es ka ameer qabila bani qalb ka aadmi hoga sufyani 12 hazar ka lashkar makah o madena ki tarf bhejyga jiska sardar bani umaiyah ka ek shaks hoga jisko khazima kahengen usko bayen ankh na hogi dosri ankh me khoon ka nuqta hoga wo ehly duniya per zulmo jor kryga us k jhandy ko koi gira na saky ga yahan tk k wo madena pohnch jaega pus aaly mohmmad say chand mard or urtoun ko jama kayga or abul hassan umvi k ghar bhej dyga or aaly mohammad say ek 9 aadmi ki talash men 1 fouj bhejyga. (esi trhan imam or waqiat or nishaniyan batlaty rahy mazeed tafseel k liy alaym e zahoor bihar jild 13 ki tarf rujo karen) 1: QATAL E NAFS E ZAKIYA: (bihar men bhi hai es waqt nehjul israr jild 1 pg 226 sy akhaz kr rhy hen) 1: IMAM ALI AMERULMOMINEEN a.s ne frmaya! Nafs e zakiya jo k sadaat say hongen ma,aa 17 mrdaan saleh k pusht e kufa per qatal kiy jaengen or makkah muazima men rukan or muqam k drmiyan ek bani hashim ka qatal hoga kofa men 40 shab masajid mutaal rehngi 2: Imam jaffar sadiq a.s ne frmaya! Mohammad ibne hassan zakiya jo k aaly mohammad a.s say hongen khana e qaba k qareeb rukan or muqaam k drmiyan qatal iy jaengen nafs e zakiya k qatal or zahoor e mehdi a.s k drmiyan 15 roz say zada waqfa na hoga. (nehjul israr jild 2 pg 13) (almlahim) 2: AASMANI CHEIKH: 1: RASOOL E AKRAM A.S ne frmaya: Jab mah e ramzan men aasmani cheikh sunaie dy to hoshyar ho jao es zamana men qatal kaseer hoga ek sahabi ne pocha ye cheikh kia hai? Ap a.s ne jawab dia k wast ramzan men juma k roz zohar k waqt sunaie dygi jb tum esay mah e ramzan ko pa lo to yad rakho ye awaaz soutoon ko jaga dygi estadah logon ko bhatka dygi jb tum log juma ko namaz e fajr parh lo to apne makanun men dakhil ho jao, apne drwazey band kr lo drwazun or sorakhun ko bilkul band krlo kanun ko bilkul band krlo. Es cheikh ko sonu to foran khuda j.j k samne sajday men gir paro or ye zikr krty jao.
SUBHANAL QUDOOS, RABANAL QUDOOS: 10 Jo ye amal kryga nijat paeyga or jo na kryga halak ho jaega. (nehjul israr jild 2 pg 14, baz rawayat men 23 ramzan shabe juma likha hai) 2: Imam jaffa sadiq a.s ne frmaya: 23 ramzan ki shab (sahb e juma) fajar k qareeb ek sakht cheikh ki awaaz aasman say aygi jo jibrael a.s ki hogi esko duniya ka her shaks apni zubaan men sonyga esko duniya ka her shaks apni zuban men sonyga wo ZAHOOR E IMAM ajtf a.s ki khabr dengen usi roz waqt e aasar shaitan laeen bhi us k mushabeh awaaz deyga . (nehjul israr jild 2 pg 10, kamaludeen) NOTE: Rasool e akram asws! Ne bhi esi shetani awaz say bachne ko kaha hai isi liy rasool allah ne imam a.s ki marifat ka hukam dia hai k kahen mushabeh awaz per labaik keh di to lashkar e imam a.s k baja e lashkar e shaitan men shumar kiye jaogy. 3: SORAJ O CHAND GEHAN: 1: Imam Muhammad baqir ny farmaya: ousl e falkiayat k khilaf 5 ramazan ko chand gehan or 5 ramazan ko soraj gehan hoga hazrat e aadam a.s say aj tk kabhi esa nhi hova. (nehjul israr jild 2 pg 10, kamaludeen)
4: khrooj e dajaal o yamani: (Es k mutaliq khutba e mekhzun, iftikhariya o bayan nehjul israr men mulaheza karen) 5: khrooj e sufiyani: 1: Imam jaffar sadiq asws ne frmaya: Qaim as ajtf k zahoor 11 say pehle ye omoor zaror zahir hongen. Ye pisre jigr khuwara abu sufiyan ki olad say hoga uska nam usman or us k bap ka nam autba ya autiba hoga ye intehai kareeh sorat gandah dehan hog abla ro or neeli ankhun wala hoga jo dekhyne men bhenga hoga ye aabo giyah falisteen ki khushk wadi say mah e rajab men khrooj kryga es k khrooj say pehle zameen per ek jange azeem ho chuki hogi us k sath 70 hazaar zalim o safaak yahodi hongen wo awaaz deta rehyga "khoon mun khoon mun, sipus khoon mun" ye es liy k eski ek um e walad hogi wo usko es khoon say k kahen wo eska nam na bta dy zinda dafan krdyga wo sham k 5 shehrun damishq, hamas, falasteen,uradan,or qansreen per qabza kr k 8 maheene hakomat krega jis say ek roz bhi zinda na raheyga. Imam asws ajtf ka zahoor bhi esi saal hoga. Us say na qabil e bayan mazalim serzard hongen uski afwaaj madena munawarah ko tabah o barbad ker dengi. Sham say ly ker iraq tk uski waja qatl o gharat ka bazaar garam rehyga jab uski fojeen makkah e muazimah ki tabahi k liy aagy barehngi muqam e beda per zameen men dhans jaengi bilah aakhir wo imam asws ajtf k hathoon qatal hoga. ( nehjul israr jild 2 safa 9,10)
2: Imam mohammad baqir asws ne frmya: sahib e aasar asws ajtf ka zahoor or sufyani ka kharooj 1 he saal hoga. Baaz rawayat men hai k sufyani,yamani,or khurasani sab ka khrooj 1 he saal men hoga. ( nehjul israr jild 2 safa 10) (TARTEEB E ALLAMAAT) Imam jaffar sadiq asws ne abi baseer say frmaya k QAIM ajtf k zahoor say pehle 5 alaamat zarori hen subse pehle mahe ramzan ki cheikh, phir sufyani or khurasani ka khrooj, nafs e 12 zakiya ka qatal, phir muqam e beda per zameen ka dhans jana, or bani abbas ki hakomat ka tamam aalam say khatam ho jana in omoor k zahir hone say pehle surkh o safeed tauon ka pehlna zarori hai (safeed tauon kasrat e marg mafajaat or surkh tauon qatal o gharat or jang se khoon rezi hai) QAIM asws ka zahoor us waqt na hoga jb tk k nida dyne wala asmaan say nida na dy dey ye awaaz 23 ramazan ko aygi or ye manadi jibraeel a.s hongen. (nehjul israr jild 2 pg15).
IMAM ajtf a.s sabse pehle aa kr kia karengen??? Imam jaffar sadiq asws ne frmaya: jab QAIM a.s zahoor karengen to sabse pehle jhoty shiyun ka taqub karengen or inhen qatal kr dalengen. (kitab hakomat e mehdi safa 201 per bahawala rijal kashi safa 299 or asbatul hudah jild no 3 pg 561). Or esi kitab k safa 198 per rijal kashi asbatl hudah, biharul anwaar or alawaam k hawaly say Imam jaffar sadiq asws frmaty hen: Jab hamare QAIM a.s zahor karengen or hamara bolne wala bolyga nez quraan ki taleem deen o ehkaam k qawaneen naey siray say tumhen dengen jis tarhan rasool e khuda asws nazil hovy hen to tumhary ulma "hazrat a.s ki us raftaar ka inkaar karengen or tum khuda k deen or uski rah per sabit nhi rahogy magr talwaar k zariye jo tumhary saruon per saya figan hogi".
13 Ab sochna o ghoro fikr krna apka kaam hai k ye konse ulmaa hongen jinhen imam a.s tumhare imam keh rey hen? Kahen ye wo to nhi jo kehty hamre batae hovy ehkaamat per amaal karo? Mere khayal se jitne bhi log apne imam say mohabat rakhty hen or unka intezaar kr rahy hen unhen ye tamam masoomen asws k frameen pardh kr bakhobi andaza hogya hoga k marifat e imam kitni zarori or kia cheez hai oe marifat e gher masoom kia wabaal
hoti hai? Akhir men: MOLA O MOLAANA IMAM AYATULLAH AL KUBRA O UZMA HUJATULLAH QABA O QIBLA SYED O SARDAR IMAM UL MUTAQEEN, SYEDULWASIEEN, LISANULLAH WAJHULLAH, YADULLAH, AENULLAH, UZUNULLAH, JANBULLAH, NAFSULLAH, AMARULLAH, MASHIATULLAH BAABULLAH, ELMULLAH, ISAMULLAH, SIFATULLAH AMEERULMOMINEEN ALI ASWS! Ka frman jis se insaan ko uska nafs ye sochne per majboor krdeta hai k marifat e imam o intezaar kia cheez hai? Hamre amar ka muntazir us shaks ki manid hai jo jihad men rah e khuda j.j men apne khoon men loota ho. ( nehjul israr jild 2 safa 16, kamaludeen) marifat e imam k moju per shoro men humne jis kitab ka zikr kia tha wo kitaab
www.shiabooks.org www.alihaq.com www.hubeali.com www.wilayatmission.com per parhi or download ki ja sakti hai. Kashaf ul
ghayab syed baqir nisar zaidi. Or bohat c alaamat hen magr men ye chahta hun k jo bhieay parhyga usay parhny k baad ye shok zaror peda hoga k wo un baqi nishaniyun k bary men bh jany.