Aye Pyare Logo

Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 5

Aye Pyare Logo!

Sajday mai Jaakay (Lyrics & Download)


Aye Pyare logo! Sajday mai ja ke Maango Dua ye Khuda se Khaak-e-Watan ko Sairaab kar dai Apne Karam ki Ghata se Aye Pyare logo! Sajday mai ja ke Maango Dua ye Khuda se Kitni Hasee'n pyar ki yeh zameen hai Jis ka zamanay mai saani nahi hai Pyara hai apni dharti ka chehra Dunya ke har dil ruba se Aye Pyare logo! Sajday mai ja ke Maango Dua ye Khuda se Khaak-e-Watan ko Sairaab kar dai Apne Karam ki Ghata se Aye Pyare logo! Sajday mai ja ke Maango Dua ye Khuda se Hum ne kisi ki taraf kam hi dekha Chamkayee khud apne hathon ki rekha Sab log apne Rooh-o-Badan se Likhtay hain ye sada se Aye Pyare logo! Sajday mai ja ke Maango Dua ye Khuda se Khaak-e-Watan ko Sairaab kar dai Apne Karam ki Ghata se Aye Pyare logo! Sajday mai ja ke Maango Dua ye Khuda se Apne watan ki jo Aab-o-Hawa hai Sab ke liye woh payam-e-shifa hai Hum ko watan ki loo bhi pyari Gheron ki baad-e-saba se

Singers : Naheed Akhtar & Shaukat Ali Poet : Himayat Ali Shaair Music : Nisar Bazmi Release : 1986 Remake : Arifa Siddiqui & Imran Nashad ( 1991 for PTV ) Aye Watan pyare Watan Pak Watan Pak Watan Aye Mere Pyare Watan Tujh se hai Meri tamannaon ki Duniya pur Noor Azm mera Kabhi mere iraaday hain ghayyoor Meri Hasti mai ana hai meri masti mai shaoor Ja'n fiza mera takhayyul hai to shereen hai sukhan Aye Mere Pyare Watan Aye Watan Pyare Watan Pak Watan Pak WatanAye Mere Pyare Watan Tu dil afroz baharon ka tar-o-taaza chaman Tu mehaktay huwe phoolon ka suhana gulshan Tu nawarez anasir ka bahari maskan Rang-o-Ahang se mamoor tere koh-o-daman Aye Mere Pyare Watan Aye Watan Pyare Watan Pak Watan Pak Watan Aye Mere Pyare Watan Mera dil teri muhabbat ka ja'n bakhsh dyar Mera seena teri hurmat ka hai sangeen hisaar Mere mahboob watan tujh pe agr jaa'n ho nisar Mai yeh samjhoon ga thikanay laga sarmaya-e-tan Aye Mere Pyare Watan Aye Watan Pyare Watan Pak Watan Pak Watan Aye Mere Pyare Watan

Singer : Amanat Ali Khan Poet : Khalil Ahmed Release : 1970 Radio Pakistan Lahore

hum zinda quam hain painda quam hain hum zinda quam hain painda quam hain hum sab ki hai pehchan, hum sab ka Pakistan Pakistan Pakistan Pakistan hum sab ka Pakistan hum zinda quam hain painda quam hain hum zinda quam hain painda quam hain hum sab ki hai pehchan, hum sab ka Pakistan Pakistan Pakistan Pakistan hum sab ka Pakistan har dil ke ufaq per hai chand ek sitara ek hai kalma bhi wahid, parchim bhi humara ek har dil ke ufaq per hai chand ek sitara ek hai kalma bhi wahid, parchim bhi humara ek hum yak dil hum yak jaan hum yak dil hum yak jaan hum zinda quam hain painda quam hain hum sab ki hai pehchan, hum sab ka Pakistan Pakistan Pakistan Pakistan hum sab ka Pakistan ikhlaas yakeen tanzeem hai milat ka manshoor har chara O manzil per milat ke dil ka noor ikhlaas yakeen tanzeem hai milat ka manshoor har chara O manzil per milat ke dil ka noor Allah Nabi Quran Allah Nabi Quran hum zinda quam hain painda quam hain hum sab ki hai pehchan, hum sab ka Pakistan Pakistan Pakistan Pakistan hum sab ka Pakistan rehmat ki tarha sir per behnoan ki ridaein hain himat ke liya humrah maaOn ki duaein hain rehmat ki tarha sir per behnoan ki ridaein hain himat ke liya humrah maaOn ki duaein hain hum per rab ka ihsan hum per rab ka ihsan hum zinda quam hain painda quam hain hum sab ki hai pehchan, hum sab ka Pakistan Pakistan Pakistan Pakistan hum sab ka Pakistan Islam ke lashkar mein hain Qasim se farzand is mulq O milat mein bachay bhi kadi qamand Islam ke lashkar mein hain Qasim se farzand is mulq O milat mein bachay bhi kadi qamand borhey bhi chari kaaman borhey bhi chari kaaman hum zinda quam hain painda quam hain hum sab ki hai pehchan, hum sab ka Pakistan Pakistan Pakistan Pakistan hum sab ka Pakistan in millOn machienO ke sab paiyeh ghoomein ge

mazdoor bhi hongey shaad dehkaan bhi jhoomein ge in millOn machienO ke sab paiyeh ghoomein ge mazdoor bhi hongey shaad dehkaan bhi jhoomein ge sona dein ge khalian sona dein ge khalian hum zinda quam hain painda quam hain hum zinda quam hain painda quam hain hum sab ki hai pehchan, hum sab ka Pakistan Pakistan Pakistan Pakistan hum sab ka Pakistan hum zinda quam hain painda quam hain hum zinda quam hain painda quam hain hum sab ki hai pehchan, hum sab ka Pakistan Pakistan Pakistan Pakistan hum sab ka Pakistan

Singer : Amjad Hyssain, Tehseen Javed, Benjamin Sisters & Fatima Jafari Poet ; Released : 1988 ( Pakistan Television ) Remake : Shehzad Roy ( in 1997 for STN )

Apni Quwwat Apni jaan La ilaha Illallah Muhammad-ur-Rasool Allah(SaW) Har Pal har Sat har Aan Jag Raha hai Pakistan Pakistan..................... Niklay hain Mardaan-e-Haq Seenon mai lekar Qurn Hum se rahay Baatil Hushyaar Hum hain Ik Charhta Tufaan Apni Quwwat Apni jaan La ilaha Illallah Muhammad-ur-Rasool Allah(SaW) Har Pal har Sat har Aan Jag Raha hai Pakistan Pakistan..................... Hum hain Qasim(Ra) ki Awaz Hum hain Khalid(Rza) ki Lalkaar

Hum hain Tariq(Ra) ka Baazu Hum hain Tipu(Ra) ki Talwaar Apni Quwwat Apni jaan La ilaha Illallah Muhammad-ur-Rasool Allah(SaW) Har Pal har Sat har Aan Jag Raha hai Pakistan Pakistan..................... Parcham-e-Nusrat Hum se Khula Rasm-e-Shujat Hum se Chali Hum hain Johar-e-Tegh-e-Hussain(Rza) Hum hain Zor-e-Dast-e-Ali(Rza) Apni Quwwat Apni jaan La ilaha Illallah Muhammad-ur-Rasool Allah(SaW) Har Pal har Sat har Aan Jag Raha hai Pakistan Pakistan..................... Fateh hain to Ghazi hain Deen pe Mit jain to Shaheed Nara Apna hai Islam Kalimah Apna hai Tauheed Apni Quwwat Apni jaan La ilaha Illallah Muhammad-ur-Rasool Allah(SaW) Har Pal har Sat har Aan Jag Raha hai Pakistan Pakistan.....................

Singer : Taj Multani & Chorus Poet : Mehshar badayooni Music : Natthu Khan Released : 8th Sept 1965 Radio Pakistan Karachi Remake : Shaukat Ali (1978 for Radio Pakistan ) : Arif Ansari ( 2002 for PTV )

You might also like